॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #40 · 12 december 2022

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

shiv gopal ji Delhi se Gurudev aapke charnon mein bar-bar pranam. Gurudev aapke satsang se ke prabhav se man ko mana bhi leta hoon aur man man bhi leta hai bat phir bhi bhatka deta hai. Arth ko lekar ek duwidha si bani rahti hai ki paisa khuda nahi hai par khuda se kam bhi nahi hai. Aisa man mein rahta hai. Maharaj ji soch kabhi paramarth mein nahi chal sakte. Kabhi nahi chal sakte. Jab itna bada aadar aapne de diya kabhi paramarth mein nahi chal sakte. Nahi chal sakte. Likh lo kaagaz mein. Paramarth mein bhagwan se barabar hai paisa bhagwan ke barabar hai are jo maa lakshmi swayam bhagwan unki taraf chita hote charan dabati rahti hai aapne bhagwan ke saman paise ko rakh diya kya deta hai ye vishay sevan sharir ka poshan ye bhagwan hai hamara kya ek swas abhi thakur ji rok de paise mein takat hai dusri swas chala de takat hai thakur ji ne kar diya khatm swas paisa kya chij hai?

agar Sumeru parvat jaisa sona ho, karodon arab kharab ke ratna ho to aap ek swas nahi kharid sakte. Use thakur ji ki barabri kaise de sakte ho? Sharir poshan ke liye arth hai, bhojan hai, parivaar hai, samuh hai. Isi ka naam maya. Sharir main hoon kya? Sharir main thodi hoon. Mere mera swaroop to bhagwan ka ansh hai na. Wo paise se chalta hai kya? Sharir ke liye jo avashyak samgri hai wah bhagwan apne aap sabko dete hain. Tum to manushya ho. Tum to karte ho isliye ahankaar tumhen ki main karke kama raha hoon. Kitne aise srishti mein jeev hain jinko bhagwan hi to keval bharan poshan karte hain.

anant jeev hain. Tum na sabun laga ke nahate ho. Aise chidiya pakshi ke dekhte rah jaoge. Ekdam rang biringe ekdam svasth na unko doctor ki zaroorat hai aur na unko bhog samgri ki zaroorat hai. Apne aap bhagwan sari vyvastha karte hain. Rahman bahu bheshaj karat byaj na chhadat saath khag mrig basat arog ban hari anath ke nath aisa kaise nikal gaya tumhare muhn se jo bhagwan se kam nahi hai. Aisa nahi bhagwan ke saman ham keval bhagwan ko samjhte hain. Jinke ek sankalp se anant bramhandon ka srijan hota hai. Wah maya bhagwan ki samanta kar sakti hai.

tum to ek dhan ko keval lekar bole sampurn charachar jagat unki ek sankalp vritti se unki samanta kaun kar sakta hai? Sarad shesh Mahesh jinke gunon ka gaan karte hain maa lakshmi jinke charan chapti rahti hai jinke bhay se mrityu bhayabhit rahti hai mrityu jo sabko bhayabhit bhagwan se kam nahi aisa matlab aap kyonki bhakt vesh mein isliye sansari aadmi bolta to matlab hi nahi usse lekin aap raj lagae ho aap bhakt ho aap aisa nahi bol sakte haan aisa nahi bhagwan bharan poshan karne wale hamare Swami dekho unke bhakt kya kah Kabira sab jag nirdhna dhanvant nahi koi dhanvant soi janie jake Ram naam dhan hoe bhagwan ka naam sampurn sukho ko pradan karne wala hai.

jisne dhan ko bhi manaya hai wo malik hai. Ek parvat ka naam suna sumer parvat 4 lakh yojana ka hai sone ka ek yojana ka matlab char kosh ek kosh ka matlab teen kilometer 4 lakh yojana lamba 4 lakh yojana choda ek parvat hai uski srishti mein aise anekon parvat hai ratnnon ki khan hai uski samanta ye maya kar sakti hai ham log isi bhram mein isiliye age nahi badh pate isliye age wo hamare liye nai srishti paida kar dega hamara malik hai. Hamare liye nai srishti kar dega. Hamara bharosa to dridh ho jae na. Hamara bharosa isi mein laga hai.

apbal tapbal aur bahubal chautha bal hai dam. Nahi baat banegi. Sur kishor kripa sab bal hare ko hari naam. Ab baat ban jaegi. Agar dhan bhagwan se kam nahi hai to meri shanti ho jani chahiye hriday mein. Kyonki bhagwan ke saman hai na. Aaj tak kisi ek vyakti ka naam lo jiske paas dhan uski ichchha ke anusaar aa gaya ho aur wah kah raha ho ab kachu nath na chahe more ek vyakti itihas mein bata do pragat mein to baat hi kya hai itihas mein Sikandar jab gaya tha na to usne aise apne shav se hath nikalwane ke liye agyaa ki thi jab main marun to aise hath karke ja ki wo Sikandar jo kahin parajit nahi hua saanp ko lutne wala wo lut ke ja raha hai kuch nahi le ja raha hai kya hai aisi buddhi rakh se ham phir bhagwan ke marg mein age le kuch

chale mast raho paras mani hai to sone ki zaroorat nahi loha chhwa do sona ban jaega bhagwan hai to anant bramhandon ka srijan karne wale hain unke saman to abhi kyonki apne log bachchhe hain abhi gyan nahi hai avastha sharir ki ho gayi hogi lekin buddhi to bachchha hi hai na bachchha jaise khilone se itna pyar karta hai kahta hai ki mata-pita ko main chhod sakta hoon khilone nahi chhod sakta lekin akhiri baat agar keval khilone nahi dekar use alag kar diya jae to unhin khilone ko phod daelga aur bhag ke maa ki god mein baithega.

wo kuch kshan ke liye apne rag ko nahi sambhal pata to kahta main khilauna nahi dunga. Main mummy papa ko chhod sakta hoon. Lekin thodi der baad jab uska rag khatm hoga tab usi khilone ko tod ke bhag ke mummy papa ki god mein jaega. Hamare mummy papa hai bhagwan. Ye sab khilaula hai. Khilone mein aise raji ho gaye bachchon ki tarah. Ye apne mummy papa tumhen ho mata pita tumhen ho tum bandhu sakha tum ho tumav vidya aur dravinam tum sarvam mam dev dev isi se param labh mile bhagwan ko apna manush sab kuch prapt ho jaata hai jo sharir yatra ke liye chahiye na wo sab vyvastha kar dete hain wo akhil logon unke paas vyvastha ki kami aise vyvastha hoti hai unko kareegar ki thodi zaroorat hoti hai vyvastha ke liye bhagwan ne jab srishti banai to kisi ko unko to sahyog ki thodi zaroorat hai.

wahi brahma ban gaye, wahi Vishnu ban gaye, wahi mahadev ban gaye. Wahi charachar jagat apne aap se apne aap mein man lo kumhar hai to chak hai aur kumhar hai, mitti hai. Teen alag hue. Phir wo patr nirman karta hai. Ismen bhagwan apne aap se apne aap ka vistar kar diye. Dusra koi hai hi nahi. Jab gyan hoga aapko to yahi dikhayee dega. Jaise goswami ji ko dikhayee de raha Siya Ram main sab jag jani. Bhagwan hi bhagwan sab jagah hai. Lokesh ji Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev mere man mein kuch bhav ate the parantu aapki agyaa yad aati thi ki naam jap aur agyaa palan karo to guru ke paas hi ho.

parantu Gurudev kuch din pehle ek ekantik vartalaap mein aapne kinhi sadhak ke prashn ke uttar mein kaha ki hamari nazo mein raho. Ate jaate raho. Jab ham dekhenge ki yah seva mein hai to tumhare upar ham shasan karenge ki ham tumhari galtyon ko prakashit batakar tumhen theek marg par chalenge. Gurudev mere man mein hamesha yah bhav ate hain ki aap mujh par shasan karke apni agyaa mein chalaen. Dur rahkar mujhe yah purn rup se sambhav pratit nahi hota. Kripya margdarshan karen. Nahi agar guru ko manushya samjhoge to yah baat hai.

agar guru ko paramatma tatv manoge to akhand mandalakar vyaptam characharam. Tum jahan ho wahi tumhara Gurudev aaspas tumhen dekh raha hai. Tumhari raksha kar raha hai. Tumhare hriday mein baitha hai. Tumhare bahar baitha hua hai. Guru ko manushya samjhoge to manushya ek desi hota hai aur wo phir raksha nahi kar payega. Ek desi ek desh mein raksha kar sakta hai. Lekin sarvatra virajman jo guru ko manta hai wahi surakshit rahta hai. To aap jahan bhi ho Gurudev ke samne koi bhi galat kam karne ke pehle dekho ki Gurudev virajman jad mein chaitanya mein sab mein Gurudev tabhi to vastvik Gurudev ka aap pujan kar rahe hain.

Gurudev ki aap mahima ko jaan rahe hain. Nahi to phir Gurudev kamre mein baithe hain. Ek desh hai to baat nahi banegi. Akhand mandlakar vyaptam characharam tatpadam darsh tasmai shri guruve namah aur kuch baten bachchha aisi hoti hai ki jo samne wale ke anusaar uttar diya jaata hai wo sabke liye nahi ho sakta ab jaise medical store mein davaiyaan ai hai lekin doctor ek hi bukhar hai lekin alag-alag power ki dawai dega alag-alag ab kah do wo teblar shuru diya hamko bhi to nahi hai uske man ke anusaar chalo apne nahi aise mano kisi upasak ko dekh rahe hain us samay andar purn ho rahi ki aisa hi usko updesh dena hai.

ab wo sarvjanik nahi hoga. Keval us vyakti ki avastha sthiti ke karan usko updesh diya jaata hai. Yah baat samjh jaise ham to man lo prashnakarta ki sthiti dekhkar kahte hain zaruri nahi ki aap tilak lagaiye. Zaruri nahi ki aap kanth bandhie. Agar parivaar mein virodh hota hai, jhagda hota hai mat kijiye. Radha-dha bolie. Ab ye siddhant to nahi ho gaya na. Yah personal uske liye updesh uski paristhiti ke karan updesh hai. Aise kai updesh hote hain jo paristhiti ke karan uske liye keval hote hain. Sarvjanik nahi hote.

to aise prashn agar apne dimaag mein aae to uttar le lena chahiye. Hamko hamen dekhna hai hamare yogya kya hai? Hamare liye kya adesh hai? Uske liye aisa adesh to aisa to nahi ki uske jaisa hi mere ko adesh hai. Agar wo sarvjanik hai to baat alag hai. Agar personal updesh hai. Ab yahan sarvjanik uttar kam personal uttar hote hain. Jaise aap prashn kar rahe hain to aapki taraf dekha aapki sthiti kya hai? Aapki bhavna kya hai? Uske anusaar uttar wahan jo bolte ho sarvjanik bolte hain. Satsang ho raha hai.

kisi ka prashn nahi wo sarvjanik hai. Sabka barabar adhikar hai. Usko grahan karo. Lekin yahan ke jo prashn uttar hai usmen vichar karna padega ki samne wala vyakti kis paristhiti mein hai. Kis sthiti mein hai uske anusaar usko uttar diya ja raha hai. Samjh rahe hain na? Ji Gurudev main aapki agyaa se aapki kripa se teen mahine se Vrindavan vas kar pa raha hoon. Gurudev main ek Brijvasi parivaar ke ghar mein kirae par rahta hoon. Unke ghar mein laddu gopal aur anya devi devtaon ka bhi thakur ji ka bhog lagta hai.

to kya main use paun kabhi agar wah den to? Haan brajvasi bhav se paie thakur ka prasad bhav se nahi brajvasi swayam bhagwat swaroop hai. Unka diya hua bade-bade sant pate hain. Aise pal lena chahiye. Gurudev ek aur prashn hai. Hamari parampara mein shri Radhavallabh lal ji ki upasna hai. Yah swaroop bhagwan bhole Baba ne apne hriday se prakt kiya hai. Aapke satsang mein hamne suna hai ki unka pravesh hamari seva mein jo hamare ladli lal nau nivatt nikunj mein virajman wahan kahin bhi kisi bhi granth mein aisa likha ho ki mahadev ji ne jakar shri ji ke charnon mein mavar lagaya.

wahan ki baat ka hai nau nivatt nikunj mein shri ji ke shri ang ki seva ka adhikar y Narda su agamyam kabhi aisa varnan kahin kisi bhi shastr mein ki narad ji Veena lekar nikunj mein pravesh kar rahe hain ek sima hai wahan tak mahan mahan bhakton wahan pravesh hota sirf sahachari dusra nahi samjh rahe na isliye varnan bahar ka kiya jaata hai aisa somesh ji shri Radhe Radhe-Radhe maharaj ji shri Ram sharanam ludhiyana se diksha li hai maharaj ji Ram sharanam se Gurudev ab mera man shri Krishna leela mein lag raha hai unke naam mein ruchi paida ho rahi hai par mere Gurudev nikunj gaman kar gaye Gurudev mera age ka margdarshan karen ki main abhi haan hamare hisaab se to aap apne Gurudev ke dwara diya hua mantr japiye aur khub satsang sunie aie prabhu se pyar kijiye chahe Krishna se kijiye chahe Ram ji se kijiye mantr Gurudev ka japiye haan aur satsang khub sunie koi pareshani nahi koi samasya hai kya do din pehle ham aae hain ghumne ke liye ji to hamen ye nahi malum tha ki yahan ka kaun-kaun se mandir hai

banke bari mandir mujhe malum nahi tha yahan pe aae ji wahan pe matha teka itna rash tha to ham mera man kala mein chala gaya ki chalo ham yahan se chalte hain itne rash mein nahi rahna hai jo hi ham vallabh ji ke mandir ke gaye aur wahan matha teka aur hamen wahan pe aisa aisa laga ki kuch alag sa mehsus hua aur jaise ham bahar aae usse le aaj tak aapke paas kaise aae hain? Kya ho raha hai? Aur aur mere prabhu ka vidhan hota hai unhin ke vidhan se aur kal satsang mein subah aapke paas aae to mere jo question the do din ke apne aap hi to main bada vichlit tha to do din se aise mere enarji level bhi alag se jab hamse prashn karoge to ham Shastri praman aapko uttar denge aur priti na kaun ki kan becharey jab prem ki baat hriday mein aati hai to kisi bhi siddhant ko nahi manta keval apne pyare se pyar karta hai.

jab priti ki tarang aayegi ki ladli lal to phir kisi ko updesh kam nahi karega. Ham kahenge ki nahi usi guru ko maniye, usi guru mantr ko japiye kyonki siddhant hai. Par aapka prem jab uday hoga to sare siddhant ko ek taraf karke ladli ji ke charnon ki taraf badh jaega. Samjh rahe hain? Agar aapke hriday mein shiv priti ho rahi Radha Radha japiye, Vrindavan aie, Vrindavan mein satsang sunie. Aajkal to mobile se bhi satsang sunne ko bahar se mil jaata hai. Par praman nahi milte mobile se praman to aise hi prapt hote hain darshan se.

santosh kumar ji Sadgurudev bhagwan ke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev main sadaiv aapki agyaa mein rahna chahta hoon. Gurudev kripya mera margdarshan karen. Main ab punah jeevan maran ke chakkar mein nahi padna chahta. Aap jo bhi agyaa denge main uska purnta palan karne ka koshish karunga. Palan karne ki samarth jahan se prapt hoti hai wahi agyaa usi mein lag jao. Radha Radha Radha jo naam mila hai jo mantr mila hai isi mein aapko palan karne ki samarth milegi. Agar aap naam jap nahi karenge mantr jap nahi karenge to yah sab bakwas ho jaega.

aap palan kar hi nahi payenge. Kyonki samarth nahi hai. Adhyatmik samarth ke bina jo hamara man hamen gande marg mein le jaata hai, use ham nahi rok payenge. Usko rokne ke liye adhyatmik samarth chahiye aur naam mantr ye adhyatmik samarth prakt karte hain. Shuddh gyan mein shuddh vivek mein dekh pate hain ki hamen man galat marg mein le ja raha hai aur ham use rok pate hain. Lagbhag lagbhag sabko pata hota hai ki ye galat kar raha hoon. Rok nahi pate kyonki samarth nahi hoti. To shri Harivansh naam bal ho tab baat banegi.

naam ka bal aa jae phir sab baat ban jaegi. Usi naam ka nirantar jap karo. Yahi sabke liye prarthna bhi hai aur agyaa bhi hai. Usi se sab theek ho jaega. Naam jap nirantar nahi karoge to samarth nahi aayegi. Phir to kabhi idhar khade hain maya ki taraf to kabhi idhar khade hain bhakti ki taraf. Aise hi samay vyatit hota rahega. Baad mein anubhav mein aayega ki hamare hath kuch nahi laga. Aur naam jap karte rahoge. Ek marg mein chalte rahoge. Manjil mil jaegi. Samjh rahe na ji sheela ji? Radha vallabh shri Harivansh Baba Baba Radha vallabh ji ki prasadi wastron ko kya ham pahan sakte hain?

kaise pahnoge? Baba jaise nahi ham kah rahe hain Radha vallabh ji ka jaise to kaise pahnoge tumhare sharir mein kaise aayega? Matlab chunri hai bhajan ke samay odh liya sirahane rakh liya ya jo prasadi unke jo bhi vastr hai apne sirahane takiya ke niche rakh liya har samay pranam namaskaar pavitra asan mein agar hamen lagta hai hamara saiya asan apvitra hai to simhasaan mein rakh liya prabhu ke prasadi vastr na unko ham ek to sharir mein pahne bhi nahi ja sakte aur dusre har samay sharir hamara pavitra rahta hai to ham mathe par laga ke pranam unko pahan nahi sakte.

kyon? Samjh mein aa rahi baat? Kya pahan sakte ho aap? Jaise jo un pe lahanga hota hai nahi. Simhasaan mein virajman karo. Almari pe rakh do. Darshan karo, pranam karo. Roz mathe pe lagao. Pahne jaise vihaar ki baat hai. Aap lahanga pahno. Aapko laghu shanka lagi. Phir aap kya karoge? Personal bathroom mein hai to utar ke rakh sakte hain. Lekin aap ghum rahe ho ya kahin darshan karne phir aap kya karoge? Prasadi vastr ki unke shri ang ki uski mahima ghat rahi na phir hamare dwara to ye sukshm baten hoti hain jo ham jaise ham kah rahe hain ki aap sirane rakh lo ya sin to usmen tark karne ki zaroorat nahi hai.

bahut vichar se ho raha hai. Bahut mangalmay shabd hai. Ab usmen jaise tark ki ham kyon nahi pahan sakte? To bahut se aise karan hai ki aap nahi pahan sakte. Pat prasad pahne ke liye agyaa hai. Aap jaise apne nap ke kapde banwae naye hain. Simhasaan mein chhwa diye, charan paduka mein chhwa diye pahan liye wo prasadi hai. Par shri ji ke shri ang mein jo dharan hua hai wo mathe par rakh ke simhasaan mein side mein almari mein rakh dete hain. Sirane rakh dete hain. Roz pranam karte hain. Mathe se lagate hain aur apne ang mein dharan kar.

ye panch bhautik sharir hai. Ek to wo saij nahi hai na aur dusri baat samarth nahi hai. Prabhu ke shri ang mal mutr se rahit hai. Chidanand hai aur ye malmutr yukt sharir hai. To thoda ye samjhna hoga. Bhav se samjhna hoga. Samjh pa rahe hain na? Ji Gurudev meri bahut ichchha hoti hai ki main naam jap karun. Aap kripa karen to rokta kaun hai? Abhi ichchha kahan hai? Kisne kiska hai? Hain? Ham bas baithe baithe. Aapko rokta kaun hai? Yah ichchha ho jae to jagat mangal karne ki samarth aa jae. Par bas itni aur ichchhae hain ki yah bhi ek aise side mein padi rahti hai.

agar is ichchha ka palan kar le to sab samarth aa jae. Naam mein itni samarth hai ki naam hi bhagwan ko adhin kar leta hai. Naam aur to kya baat hai. Bas ratte raho. Radha Radha Radha Radha Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh ichchha hi to nahi logon ke andar. Ichchha ho jae to phir kya ichchha ho jae to phir bahut badhiya baat. Agar ichchha hai to aapko rokta kaun hai? Khub naam jap kijiye. Dekho sabse prarthna hai agar aapka bhojan sahi nahi hoga, aapka sang sahi nahi hoga, aapka dekhna sunna sahi nahi hoga to aap bhajan nahi kar paoge.

aap gandi baten dekhoge, sansarik nautanki natak dekhoge, sansarik vyaktyo ke paas baithna hi padega. Kyonki sansaar mein khanpan ganda hai to bhajan kaise hoga? Aap batao. Agar aapka khanpan pavitra nahi to bichare pavitra nahi honge. Aapka sang pavitra nahi to aapka aacharan pavitra nahi. Aapka dekhna sunna pavitra nahi to aap gandi baten mat dekho. Gande logon ka sang karne se bacho. Ganda bhojan karne se bacho. To aapki buddhi shuddh rahegi. Phir aap bhajan kar sakte ho. Ab gande ahar bahut gandi tarah se bante hain.

aap apne ghar mein namak roti bana kha lo. Yah pi jao kya bargal do kya kahte hain inka ham to apne sab niji janon ko adesh kiye ki pehle ek varsh bazar ka kuch nahi khana sukhi chij lao apne ghar mein banao bhog lagao shri ji ko pao to phir dhire dhire dhire isko badhate hue isko chhod do bazar se bani hui vastue dekho agar bhajan karna hai to ab aapko samne theliya bhi dikhayee de rahe hai golgappe badhiya pani ye chat wo chat badhiya saaf lekin uska nirman kaise hua hai un logon unko ye thodi gyan pavitra kya hai?

apvitrata kya kaise to aapki buddhi kaise pavitra rahegi aajkal prayah jo log hai pyaaj lahsun anda mans isko kuch bura nahi manne lage hain. Aisa matlab maansikta ho gayi ki ab aap bhojnalay mein dekho to usi bhojnalay mein do vibhag ho gaye. Ek shakahari ek mansahari. Ab bolo kya usmen pavitra hogi? Tumhen jarur shakahari kah ke parsa ja raha hai. Lekin wo sab apvitra hi hai. To bhojan agar shuddh nahi hoga aapka sang ka prabhav parta hai. Jaisa sang karoge waise hi rang chadega. Accha drishya ka prabhav parta hai.

aapke hath mein mobile hai. Aajkal koi chhota mobile rakhna pasand nahi karta. Bada-bada mobile search karo ghar baithe aap sab dekho, pikchar dekho, natak dekho, gandi baten dekho. Phir aapko bhajan mein man lagega. Jaisi chij dekhoge, jaisa sunoge, jaisa bologe, jaisa khaoge, waisi chintan banega. Aur jaisa chintan banega vaisa aapke hriday mein shanti ashanti hogi. To aajkal to bahut kathin bhajan karna. Sabke paas mobile hai. Sabke paas matlab sansaar hai. Jeb mein agar mobile hai to aapke kuch bhi aap america search karo, inglaind search kuch bhi kuch bhi wo sab ab batao wo aise hi man chanchal hai aur vyvastha aur usko barbad karne ki hamare paas hai.

to sab isliye bahut savdhaan raho. Kam se kam aise aacharan hamare ho ki jo rakshasaon se na milte ho. Mata-pita ka aadar karna. Bade budhon ka sammaan karte hue ghar grahasti mein jaise ho na accha bhojan pana. Achhche vichar khub naam jap karo. Svasth raho. Sharir se bhi aur man se bhi. Accha vihaar nahi hoga to jaise gande log aacharan karte hain na wo jama hota rahta hai man mein. Aur ek din man itna bekar ho jaata hai usi ko kahte hain depression. Ab bekar kar man ne hi usko bekar kar jis man ke saath mein gandagi usne batori wahi man ab usko jab tak jiega tab tak pareshani usko bhay be matlab ki kalpnatmak bhay itna wo depression mein ho jaata hai ki usko lagta hai ki sharir ko nasht kar de.

ye wahi man hai jiska tumne saath diya. Aaj tumhara wo nash karne ke liye tayyar ho gaya. To aisa mat socho ki agar ham gandi baten dekhenge, gande aacharan karenge, ganda sang karenge to hamara kya bigad jaega? Tumhara man jab gandagi ko bator lega tab wo tumko aisa dukh dega ki phir koi upay jab man hi dukh de raha hai to ab kisse bahar se kis kyonki aapka bhajan nahi aap prabhu ka chintan nahi kare to man ka kam chintan karna. Negative chintan karaega. Power hai nahi to negative chintan karne mein hota kya?

phir pareshani pareshani hai. Isliye savdhaan raho. Naam jap karo, shastron ka swadhyay karo, satsang karo, accha bhojan pao. Jahan tak ho sake pavitra bhojan pao. Logon ke saath aise vihaar karo jo accha vihaar ho. Ganda vihaar mat karo. Ye jo gandagi ki sab baten hain nahi. Ek dharm se chaloge to dharm tumhari raksha kar lega. Aur jo dharm se nahi chalta ho. Antim parinaam mein. Kuch samay ke liye to chhut hai. Aap kar lo paap. Kuch nahi bigdega kuch samay tak. Kyonki aapko avsar diya gaya aur jab us fasal ki aapko ann rashi milegi tab tumhare hosh kharab ho jaenge.

jo paap boya na aur jab katne ka samay aayega tab aap asmarth honge phir bhogna hi padega. Avashya mein bhoktuvi isliye daro koi paap na bane. Bhagwan se prarthna karte raho ki nath hamse koi paap na bane. Kisi ko dukh na pahunche. Bhai manushya janm mila hai na. Dekho apne thal sajakar ke bhojan karo to kya sukh milta hai aur koi bhukha aadmi baitha ho apna bhojan use pawa do phir dekho aapko kaisa lagta hai aapko matlab dabal urja milegi aur ek hriday shital hoga aur ek alaukik sukh milega bhojan wahi hai aap use pate to thoda sukh milega lekin ek bhukha aadmi hai aur aapne wo bhojan apna usko de diya to aap khud anubhav kijiye ki aapko kaisi sheetalata milti hai hriday mein aur ek umgan hoti yadyapi bhukhe ho par ek mein samarth jagrit hoti hai aapke andar aur aisa lagega ki yah kam ham jarur karte rahe kisi bhukhe ko kisi garib ko kisi dukhi ko kisi bimar ko chahe koi jeev ho agar ham thoda bhi sahyog kar den to dekho hriday shital hone lagta hai aur agar ham kisi ki thali chhin li hai kisi ko dukh diya hai kisi ki hinsa ki to hriday jalenga aur wah bhogna padega aaj hamen samjh mein nahi aata jab parinaam aayega to isliye parinaam ka vichar karo aur bure karm mat karo bure in logon ka sang mat karo, naam jap karo.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…