ekantik vartalaap evam darshan #65 · 8 january 2023
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
dharmendra ji phatehpur se Sadgurudev bhagwan ke charnon mein sadar navat pranam Gurudev bhagwan grahasti mein kisani ki seva hai pitaji sahyog karte hain lekin unka vihaar dusron ke prati gali dena ahankaar karna ninda karna aisa wah karte hain to bhagwat bhav hamara chhut jaata hai krodh aa jaata hai jalan hone lagti hai kya karen bhagwat bhav to rakhna hi hai heater ho chahe fridge ho arthat sheetalata pradan karne wala ho chahe garmi pradan karne wala ho donon chalte to bijli se hi hai na to aise gali dene
wala ho ya puja karne wala ho donon mein prabhu hi hai ismen to koi sanshay nahi hai to bhav kyon bigadu samjh pehle mul baat ko samjhna hai ki bijli to sab mein ek hi hai na yantr alag-alag hai unka prabhav alag-alag hai pankha kular AC fridge heater kitne prakaar ke yantr hai aise nana prakaar ki srishti hai unmein bijli bhagwan hai yah mul mein baat yad rakhoge to ab bijli kat gayi to sab yantr aise khade bhagwan sam mein yah yantr ka alag-alag prabhav hai hamare karan na man buddhi chitt ahankaar malin hai to gali bak rahe hai nirmal hai to bhagwan naam kirtan kar rahe hain malin hai to dusron ka apman kar rahe hain pavitra hai to apna man rahit hokar dusron ko sammaan ye gun dosh hai tatv usi mein wahi hai bhav to bigadna hi nahi hai accha rahi koi bhi baat ki jaise kisani hai vyapar hai nokri hai yah seva hai ham sab bhagwan ke sevak hain puri srishti bhagwan ki hai alag-alag department bate hue hain koi virakta hai koi grihasth hai koi vyapari hai koi kisan usi srishti sanchalak prabhu ki sab seva kar
rahe hain aap prabhu ki seva mankar kisani karen atithi aur mata-pita ka sammaan karen wah kaise hain nahi dekhna ham murti mein seva isliye achhche se kar lete ki murti kuch kahti nahi hai lekin murtiman prabhu jab chalte phirte mata-pita ke rup mein hai to dekho hamne dekha hai vriddhon ki se se karke vridh janon ki seva karo to parinaam mein va gali milti hai kyonki wo bhagwan aisa vidhan rachte hain unke pair daba rahe hain wo gali de rahe hain ab aapko gali sah ke chupchap seva karni hai agar unki gali ko sunoge to phir seva nahi kar paoge isliye murti seva se badhkar hai ye murtiman jagat ke chal chalte phirte bhagwan ki bas isi ko tika le mahatma ho gaya tik nahi pata isliye tut jaata hai phesal jaata hai ek bar hamko ek katha mein satsang mein bhi sunaya hai jab ham ganga kinare bhramn kar rahe the to brahmavarta bithur mein gaye sham ka time tha aise ganga ji ki trangon ka darshan kare to baitha hua tha ek aadmi uth ke aaya hamare paas ladkhda aata hua hamen laga shayad uski chal hi aisi hogi yah
dimaag nahi gaya ki madira pi ki ganga ki lahron ko madira pi ke koi kaise dekhega va to nazdik aaya tab gandh se pata chala ki sharab pe aise aao tumko chij dikhate hain nai avastha thi koi bhay to tha nahi nirbhay swaroop tha sharir mein bal aur takat thi ki agar koi kisi bhi tarah ek thappad mein jamin mein lat jae brahmcharya mein jeevan tha ab to kidney failure hai kaha chalo to savdhaan sthiti mein chale wo bhagwan ke mandir mein gaya jab bhagwan ke mandir mein gaya to meri astha uske prati ki sharab piye to kya hua sthan mein to achhche laya hai dekho bhagwan ke shri vig ka dekho wahan ham dekh rahe to usne kaha dekho yah murti hai til til kati gayi hai lekin tuti nahi to aji upar rakhkar puji ja rahi aur kaha niche dekho yah kya hai ham ka sang marmar yah kya hai sang marmar bole ek sang marmar pairo ke niche bicha ek murti mein sang marmar wahi hai par dekho kaat kaat karke lekin wo tuti nahi to aaj wo puj rahi hai dekho ye niche bole tutna nahi kabhi to hamne usko panchang pranam kiya tha jise gurjan ko kiya jaata hai
ye leela tumhari kuch bhi ho bhagwan aap mujhe updesh kar rahe ho pranam kiya haan unhone kaha jeevan mein kabhi tutna nahi wo bas andar se to jab ham apne prabhu ko dekhte hain to hamare mangalmay baat unse mil jati hai hamko aacharan kuch bhi har jagah wo bhagwan leela kuch bhi kare bhagwan hai use pranam karna uski baat manani hai mera bhagwan sarvatra hai jab aap aisi bhavna karoge to aapko shiksha dene lagenge kriyaen unki kuch bhi ho rahi ho wo bhagwan hai ye pakka bijli wahi hai pakka hai achhche bhav se raho mata-pita kitna bhi pratikul ho par tum kabhi pratikul na hona tum bhakt ho kanthi tilak dharan kiye ho bhagwat marg mein ho kabhi aisa wo mare bhi to chupchap peet gaye chale gaye gali de rahe sah liya kisi aur ko gali de rahe jhagda hone wala hai uske pair pakar rahe hain jo vipaksh mein hai kshma karo inka swabhav aisa hi hai unki raksha karo unki isse bhagwan prasann ho jaenge samjh gaye na ji maharaj shri vihaar mein kisani ke karya mein log ek dusre ki ninda karte hain to bahut dukh hota hai bhajan ke
viparit vatavran hai kabhi-kabhi krodh aa jaata hai rojana prabhu ki kripa bal se nirantar bhajan ka prayas karte hain lekin ha yahi prayas karna hai du du sang ka tyag karna jaise log ninda aadi kar rahe ho uth ke chal do unki bhi burai mat karo uth ke chal do jo bhakt hota wo kahin jhagda nahi karta bhakt mein jhagda nahi hota kalah nahi hoti wo bhagwan ke naam ka jap karke itna shital rahta hai koi prabhav nahi unka swabhav hai wo apne swabhav mein vichar rahe hain aapka unke swabhav mein swabhav nahi milna chahiye aap apne alag bhav se raho naam jap karte raho koi kahe kaise ja rahe ho koi bahana bata de laghu shanka lagi soch lagi pind chhudao na hamen dekhna hai na hamen chhedna hai na hamen rukna hai apne marg mein cha ye jab paramarth mein bhajan karoge to kala aa jati hai yukti jise kahte yukti se mukti har bandhan se mukti yukti se hoti hai guru pradatt naam mantr ka jap karte hue to aapko andar hi marg mil jaega isse kaise bachna hai isse kaise bachna pura sansaar aapke khilaf hai aapko keval bhagwat marg
mein chalna hai aise bhav se y chala jaata hai sansaar mein hamara koi support karne wala nahi kaise jaise koi hamen bahut pyar kar raha hai bahut pranam kar raha hai namaskaar kar raha hai wo bhi ham vipaksh mein kyonki hamara man kheenchega anukulta mein sammaan mein to gaye na pura sansaar hamare ko paramarth se rokne ke liye hai hamko pure sansaar mein na koi shatru banana na koi mitra banana chupchap nikal jana akele prem gali ati sakri ta mein do na samay koi sathi nahi milega aap socho ki sab anukul hokar ke hamare chale ham phir bhakti karen bhul jao abhi kya jaise jaise kadam badao ga vaisa vaisa prashn aata jaega bade-bade prashn ate hain bade bade santo mein aae Meera ji ko devarhi aisa virodhi mil gaya ki hahkar machaya tha pure jeevan mein narsi ji ki bhavi aisi thi ki virodh hi karne lagi Prahlad ji ka bap hi aisa tha ki virodh karne laga vibhishan ji ka bhai hi tha ki jo virodh mein khada ho gharhi mein rach diye jaate hain to bas chup shant apna kam banao archan ji jai jai shrihit Harivansh maharaj shri
aapke charnon mein barbar balhari maharaj shri bahut se shri ji ne dikha diya ki sansaar mein sukh nahi hai to bhi yah man barbar sansaar ke sambandh ki abhi nahi mana hai jaise swapna mein ham dekh le ki jag gaye aur amuk kam kar rahe hain to swapne mein to dekh rahe hain abhi jage thodi hai usko lagta hai main jag gaya hoon main jag ke kam kar raha hoon lekin wo spane mein ek swapna dekh raha hai jagne ka aise jaise lagta hai ki ham jaan gaye sansaar sab jhutha hai koi apna nahi hai yah bhi usi jhuthe ka ek jhutha hai jaan nahi gaye ji hi jano tehi samasth bhogon se swabhavic vairagya aur bhagwan ke charnon mein anurag donon ek saath ho jaega aur wah bhagwat swaroop mein sthit ho jae phir use samjhana nahi padega yah tyagna y pakdna hai wah apne swabhav mein aa jaega hoe vivek moh brahm bhaga tab sab vishay vilas viraga jab jaan gaye to kaise man ja raha hai hamen ko koi vishwasneey aadmi bata de jo khir aapke samne parosi gayi dheer kan mein vish ismen aur bhala ba kha lo to aapko ham jane aapko zabardasti kha to band kar lo
nahi vish hai shastr gurjan kah rahe hain yah vishay vish se bhi bade bhayanak hai ka man rahe hain wah to chilla chilla kar bhagwan bhi kah rahe hain shastr bhi kah rahe hain dukhal dukh yo naya ham kahan samjh pa rahe hain to isliye abhi sahi mane mein ham jana nahi hai waise hi swapak janna hai vastu ko jab ham jaan lenge to phir janat tumhe tumhe ho jae phir va bhagwat sarup ho jaata hai use koi vishay akarshan nahi karta khub naam jap karo shastr swadhyay karo santo ke vachno ko suno unka manan karo unko jeevan mein utaro tab asliyat mein jankari aayegi asliyat mein jankari ka matlab iski jankari hone ka matlab hai jitendriy ho jana Shraddhavan te gyanam tatpara sahit indri jahan aapko gyan hua to uske paraayan hue to aapki indri sahit sammit ho gayi jahan indri sanyamit hui to phir ab bodh ho gaya ab gyanam lava param shanti mach dig a bhagwat swaroop aise anand mein bhari se bhari dukh ya bhari se bhari sukh usko khinch nahi sakta nu kesha ji Rajasthan se Radha vallabh shri Harivansh guru gudav
aapke charnon mein koti koti vandan Gurudev bahut samjhane par bhi bachchhe aur ghar wale soch ke baad snaan nahi karte maharaj ji is paristhiti mein main kya karun tum pavitra ho ho jo jaisa hai sab bhagwat swaroop hai ham pavitra hain ham apni vaishnav paddhti se chale jaisa ham sabko sambhal nahi sakte ham apne ko sambhale apne man ko sambhale ham apni bhakti kisi par thope nahi chahe beta ho chahe bhai ho chahe pati ho chahe parivaar ke sadasya prarthna kar de nahi chalte to phir hamen gussa bhi nahi karna hamen apne ko pavitra rakhna hai apna karya karna man lo wo bina nahaye rasoi mein ghus jaate hain aisa vaisa bilkul chidh ho mat naraz mat ho prabhu sab dekh rahe hain unmein bhi prabhu hai aap apni prakriya mein lage aap apne prabhu ke liye param pavitra hai aapka bhav rasoi pavitra nahi aapka bhav aap jo pavitra bhav se dainya bhav se dekho bhagwan vibhishan ji se kah rahe hain ki mujhe pata hai ki aap kaise bhakti karte ho jaise 32 daton ke beech mein jivya aise aapki bhakti ho rahi hai jim dashan namo jeev vichari pha kahte
tum sari ke sant preemo re dhar deh nahi aap jaise mahatmaon ke liye main avatar dharan karta hoon jab aap vikat aur visham paristhiti mein bhi apne dharm ka palan karenge bhajan karenge to bhagwan rijh jaenge wo sab kuch jante hain sarvagya hai aapki ki taraf se truti na ho koi truti kar raha hai wo truti tumhare upar lagu nahi hogi aapko koi soch ke hue chu leta hai to aapko barbar nahane ki zaroorat nahi Radha Radha Radha apwitrah pavitro wa sarwa vastha ga to pawa ya smar pundreeka aksham savaya abhyantar sachi va bah aur abhyantar se usi kshan pavitra ho jaata hai jahan pundreekaksha kamal nan bhagwan ka smaran kiya Radhavallabh Radhavallabh pavitra ho gaya aap chinta na karo rajesh khosla ji ludhyana punjab se jai jai Shri ta Harivansh Gurudev aapke charnon mein koti koti pranam Guruji mera ek prashn hai Guruji aapse suna hai ki yah sharir to panch tatv ka hai aur panch tatv mein hi vilin ho jaata hai atma ajar amar avinashi hai phir Guruji mrityu kiski hoti hai brahm ki agyaan ki moh ki aa shakti ki
mane hue kalpnatmak bhram ki is panch bhautik sharir mein mamta kar li aur aisi mamta kar li ki main hi sharir hoon ab sharir hai mrityu wala to uski mrityu ho jati hai yadyapi voh us samay bhi nahi marta hai par manne ke karan usko janm jaisa bhi pratit hota hai mrityu jaisa janmna aur mrityu hona aisa samjh lo gadh nind aur jag jana par ismen ekay rahta hai ki isi sharir mein sote ho isi sharir mein jagte ho isliye mrityu aur janm jaisa nahi lagta kyonki jage to phir wahi saiya phir wahi aur mrityu ek aisi gadh nind hai jismen jagne par sab drishya badal jaega jab jago ga to mata-pita dusre drishya dusra ghar dusra yahi kram chal raha hai vastvik marna kisi ka nahi hota hai panchtatwa panchtatwa mein leen ho gaye atma ki jo man buddhi chitt ahankaar antahkaran ke saath tanmayata hai wahi usko phir naye sharir ko dila deti hai naye sharir mein gaya wahan man liya main phir karm bane phir naya sharir phir aise kram chala raha hai mrityu kisi ki nahi hoti bhai ismen jo panch tatv hai va agni tatv agni mein akash tatv
akash mein jal tatv jal mein vayu tatv vayu mein prithvi tatv prithvi mein koi mara nahi na atma vinashi ajar mar hai to wo asakti lekar ke jaise jad bharat ji jo pehle bharat rup mein the mrig mein apna manyata man li usse pyar karne lage to agla janm unko mrig ka ho gaya janm ka matlab poshak jaise paise waise poshak par wah isliye poshak samjh mein nahi aati ki poshak to pahna aur utar diya dusri pahna par hamen gyan hai par yah poshak aisi hai ki utarne ke samay aap beshuddh ho jaate hain jo marta hai murchhit avastha ho gayi aur jab janmata hai tab murchhit avastha ho jati hai maa ke garb se niklti jab hosh hua to naya jeevan to use yah bhul gaya ki ham purana utar ke aa rahe hain bas use naya janm mankar phir wahi shuru kar deta hai jiske karan uska naya janm hua yadi sadhu sang ho jae phir usko y baat samjh mein ai ki kab tak kram chalta rahega punarpi janan punarpi maranam punarpi janani jathre shanam ab nahi ab is chakra ko ham katenge dekhenge kya hai jahan wo bhajan kiya aur antahkaran nirmal hua to koi ganth
hi nahi thi ki jise chodna pare wo jeevan mukt ho jaata hai phir uska kahin janm nahi hota ya wo bhagwat swaroop ho jaata hai agar bhagwan ki taraf se aata bhi hai to jagat kalyan ke liye aata hai aur karm bandho se yukt nahi aata hai par khub bhajan karo tab ye baten samjh mein aayegi adhyatmik ki baten hain jaise main sharir nahi hoon lag to raha hai nahi lag raha itni mamta ho gayi lagta hai ki mujhe thappad mara hai na mujhe aur hamara swaroop kya nainam chhind sastra nainam dhaat pav ka chenam kle depan marta aag jala nahi sakti astr chhed nahi sakta vayu sukha nahi sakti jal dubo nahi sakta to ham kahan fas gaye is panch bhautik sharir ki mamta aur itni jor ki mamta ki sharir mera hai aisa nahi main hi sharir hoon bas yahi baat hai yah bhul agar sudhar jae to jeevan mukt ho jae isi ke sudharne ke liye sant mahatma bhagat sab lage hue naam jap karo satsang suno dhire dhire hriday jab pavitra hoga tab yah buddhi se samjh mein nahi aayegi kyonki jo buddhi se ham samjh rahe wah buddhi apvitra hai to kya samjhae gi pehle
buddhi pavitra ho jaise koi nashe mein ek raja ja raha tha sawari ja rahi thi badi raj vaibhav ki sawari ek sharabi ladkhda aata hua aaya bole raja bol apne hathi ki keemat kya hai va sab ascharya aise koi baat karta hai raja se raja ne kaha abhi le abhi le isko jao band karo ise subah baat karenge sub bole bhaiya ha hathi khareedoge hamara bole maharaj jo khareedne wala tha to gaya wo jo hathi khareedne wala to sharab thi wo to gayi maharaj ham to aapke jila ji rahe hain baat hai abhi jo hamari buddhi hai wo abhiman mein hai vishay ras mein jahan pavitra hogi to aise dikhayee dega sharir alag apna alag tabhi to jeevan mukt ho jaata hai agar aisa na ho toy jitne mahatma jan jo vastvik bhagwan ke marg mein ye kaise jeevan mukt hote isi sharir mein fase rahte phir unka janm nahi hota jo is sharir se jite ji asakti khatm kar dete hain abhi bhajan bal se hota hai dusra koi ismen buddhi yuddhi kam nahi karegi khub naam jap karo Radha Radha Radha Radha dhire-dhire wo sab gyan aa jaata hai Guruji maut mrityu hone ke
baad manushya ke karmon ka bhugtan kaun karta hai uska accha ya bura phal kisko milta hai jo mamta antahkaran mein kar liye na to antahkaran ke sahit jeevtma bhramit hota rahta hai ek puran upakhyan bhagwat mein hai bahut sundar vyakhyan par va thoda buddhi pavitra ho to samjh sakta hai ek raja puran naam tha wah bhramn kar raha tha to jangal mein usne ek bada sundar mahal dekha aur usmen nau darwaze the bada usmen dekh badi sundari stri tahal rahi aur wah kisi yuvak purush ka varn karna chahti hai puran aasakt hohi gaya aur wo varn karna hi chahti thi donon usi mahal mein bihar karne lage puran itna aasakt ho gaya ki puran ke siva aur kuch yad nahi raha jab mara to wahi puran ki yad rahi to agle janm mein va stri bana jakar ke udaharan usmen diya gaya puran hai buddhi wo mahal hai yah jangal hai sansaar aur jeev hai puran purwa mein ranjan karne wala ab fas gaya buddhi mein ab buddhi kahti yah khao raji yah sango raji yah dekho y yah theek nahi hai nahi theek yah haan haan jaisa ho kathputli ki tarah
buddhi ke adhin ho gaya isliye band gaya agar buddhi ko apne adhin aaj ka satsang inme se kisne suna hai jo suna hoga to usam yah sharir ek rath hai is rath mein baitha hua atma iska rathi hai buddhi iski sarathi hai man ligam hai aur indri ghode hain jo buddhiman sarathi ho ghodo ki ligam kaske indriyon ko theek bhagwat marg mein chalave to manjil mil jae par ab sharab piye driver ho to pura parivaar hi nasht ho jaega wo to aisi jagah bhida dega jakar ke to yah buddhi is samay sharab ke nashe mein hai
yah jo moh madira hai agyaan hai vishyon mein sukh hai dekho kitna pagal aadmi apne thode sukh ke liye dusre ko jala deta hai mar deta hai kaat deta hai hinsa kar kitna pagal aadmi hai kitni uski buddhi bhrasht ho gayi hai buddhi agar driver sahi na na bhul kar ke aisi galti nahi pahli to baat jaise hamen apna sharir priy aise har jeev ko sharir priy bole aaj murga aaj bakra aaj ye kya ho raha hai vyabhichar mein utre to apne hi sharir jaise dusre shariron ko jala rahe hain kaat rahe hain mar rahe hain yah
sab kya hai pagal log hain nashe mein hai buddhi unki ab inko paaglon ko jante ho pagal Yamraj Puri hai aise paaglon ki sahi dawa jo hai Yampuri mein hoti hai wahan koi jugad nahi bachne ka bhog keval dukh bhogna hai jaise swarg hai sukh bhogne ke liye aise narak hai dukh bhogne ke liye mrityu lok hai mishrit sukh dukh donon bhogne ke liye bhai agar buddhi shuddh ho jae to sab baat ban jae ab buddhi galat hai to usi buddhi mein apnapan kiye hue man mein indriyon mein to ye pura department se age janm
leta hai jakar ke wahi indriy wahi man wahi buddhi dekho chhota bachchha hai aise puchh karo prasann ho jaata hai janta hai ye ye ye ishara kiska aise karo rone lagta hai maa apne stan pakadti hai pine lagta hai ye kaise jana use kisne sikhaya kisi vidyalay gaya kya abhi to paida hua hai ye sab pura department kai janmon se wo dekh raha hai bhog raha hai jaise-jaise vikas hota hai waise waise andar chupi hui adte swabhav bole bada dusht hai hai to balak par bada dusht hai bole bada shuddh viveki hai
chhota bal gambhir rahta koi ye kya purane sanskar uske indriyon ke saath hai yah khel tabhi band hoga jab man prabhu mein lag jae buddhi prabhu mein lag jae aap prabhu mein lag jae indri prabhu mein lag jae apna mana hua sab pra to aap prabhu mein ho jaenge khatm ho gaya khel par ye bahut badi baat hai sab samet kar ke prabhu mein lagana to jaise bane waise naam jap karo yah sab mangal kar dega bhav ku bhav an khal sah naam japat mangal ye gyan hona naam ke hi bal se hai anytha chahe shastr padh ke gyan kar lo par sharir hi ka poshan hota rahta hai sharir ka dulara aaj jo satsang tha na indriyon ki gulami vishyon ke bhog ki sari chatukarita pravachan karte hain char log reej jaate hain rupya paisa aata hai uska bhog bhogte hain baat to wahi hui jisko ham katne ke liye gyan prapt kiya tha usi ko saja rahe hain to gyan kya va agyaan hi to hai ham agyaan ko hi gyan ke rup mein man rahe hain aisa gyan nahi gyan to wahi hai ki brahmadev mahatma ko ko la bhaay man kar sake va keval Krishna dusra
nahi ab utni unchai par chadne ke liye prayas karo naam jap karo prabhu se prarthna karo sab kuch kar denge kyonki dekho ham prabhu ke hain ismen koi sanshay nahi prabhu kaansh jeev hai koi sanshay nahi wo apne anshi ko pukare to bal mil jaega ek hi balak school ja raha tha bada sa patthar raste mein para tha sakri gali thi pita use chhorne aaya tha aur dur se khada dekh raha hai balak prayas kar raha hai patthar nahi hata pa raha har ke baith jaata hai to usne kaha tere ko baithe ki zaroorat nahi hai abhi mera jo bal hai wo tera hi bal hai abhi tu purn balvan nahi hai tera purn bal hoga mera bal lagakar tu mera bachchha hai chal aur lagai takat usko alag kar diya to ham to hain bachchhe maya ke patthar ko nahi hata sakte apne marg se to ham puka apne pita ko bhagwat bal aa jaega to phir wah ek second mein bana denge mame ye prapadyate to maya meta ं ab kya hota hai ham apna bal laga ker jab har jaate to phir vishyon ka sevan karne lagte hain par yah yad nahi aati ki hamara bal adhura hai hamara bal pura
tabhi hoga jab apne ansi prabhu ko pukarenge unke pukarte hi unka bal to bada ascharya mein bal hai ek chhota sa saanp ka bachchha Garun ko kha jae ye sumer parvat dhul ki tarah ho jae bhagwan ka vish amrit ho jae aisa ho jaata hai bhagwan ka bal bahut bada bal hai par ham log us bal se parichit nahi hai to jaha aaspas kisi ka aashray liya to ham bhul jaate hain ki bhagwan bhi hai koi bhagwan ka bal hai apna bal laga laga ke har gaya Gajendra jab apne ansi ko pukara to dekho balvan ho gaya bahar ho gaya apna bal lagakar har gayi Draupdi ji jab anshi bhagwan ko pukara to yahan se vastr nahi hat paya bhagwan vastr ban gaye bhagwan vastr ban gaye to ham bhagwan ko pukare to hamen adhyatma bal milega to ham maya par vijay prapt kar sakte shailendra Mishra ji shri hariv shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti koti naman Gurudev mera sawal yah hai ki is sansaar sagar mein meri atma ka bhramn chal raha hai main jahan-jahan jaata hoon unhin chijon ka darshan hota hai aur sab aur meri atma ke hone ka bodh hota
hai lekin main aur mera ka arth mere sharir ke bhav se nahi hai kripya is pare thoda prakash daalie maharaj kyonki abhi sahi anubhuti nahi isliye chijon dekhna aur atma dekhna ye wahi swapna mein jagne ka bhram hai jab tak chijon dikhti tab tak atma tatv ka darshan nahi hota jab atma tatv ka darshan hota hai ta chijon nahi dikhti asliyat mein sarvam lamdam brahm ne na nasti kinchna tasma shastram prmanam te apni anubhuti shastr se pramanit honi chahiye kya shastr kah raha hai vasudeva sarvam
keval bhagwan jit dekho tit Shyam to yadi ham apne sawal ko jo galat hai use galat manenge to sahi laga payenge agar galat sawal ko bhi sahi man liya to phir ham vyarth mein apne ko ganitagya kahenge sawal jab janchne wala jache to zero rakh dega aapko lagega itni mehnat karke hamne likha hai to sahi abhi galat hai sawal abhi theek uttar nahi hai abhi naam jap karo aur jab yah anubhav hone lagega to ye vani ka vishay nahi ye swayam anubhav gam mein bhaje ja santa vihaar waise hoga patni ke saath patni ka beti ke saath beti ka maa ke saath maa ka ba ke saath bahan ka jiske saath jaisa bartaav waise hi hoga bete ko thappad mara jaega dap kaya jaega par brahma bhuti mein tanik bhi kami nahi hogi usi anubhuti mein usi bhav mein rahta hua wo vichre par wo bhav aise nahi aata khub naam jap karo naam jap nirantar naam jap naam bina naam ke sab bakwas ho jaega dhyan rakhna ham aapko chunki donon margo se hote hue aa rahe hain kashi ke gyan marg se Upnishad se bhi aur bhagwat charnarvind ki dasata se bhi bhagwan ki badi kripa rahi
ki haaph haaph jeevan donon dikha diye nahi to prashan ka uttar nahi ho sakta tha agar hamko udhar ka marg ka gyan na hota na to jaise aap bol rahe in prashan ke uttar nahi ho sakte the kyonki us us marg mein mahadev ji ne chalaya aur is marg mein bhi to prem aur gyan donon margo ka to isliye abhi sawal sahi nahi hai khub naam jap karo wo swayam mein aisi jagrti hogi jo aap wahi sab hai jo sab hai wahi aap hai aap mein sab hai sab mein aap hai sab khatm keval aap hi aap hai ab itni badi baat aa jaegi to sab baat bal gayi na na main na tu wah sthiti hai aur bade-bade mahatmaon ne is sthiti ki prapti ke liye kitna tap kiya kitna sadhan kiya kitna tyag kiya to ham unke pad chinho par to nahi chal sakte par unki baat man le to unki kripa se wahi pahunch jaenge yah pakki baat hai jaisa wo karke anubhav ke wo apne nahi kar sakte lekin wah jaisa kah rahe hain agar ham manna shuru karen to ham par kripa karke wo apni vastu de denge moksh mulam guru kripa wo kripa kar denge to hamara kam ho
jaega sadhan to hamse va nahi ban sakta bas Radha Radha Radha Radha Radha haan ja su kripa sab bhram mit jae unki kripa ka bharosa rakho
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…