॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #70 · 13 january 2023

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Varun ji bengaluru se Radha vallabh shri Harivansh Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji main bengaluru mein rahta hoon. Wahan main job karta hoon. Maharaj shri mere jo rummet hain wah bahut zyada din mein mans madira ka sevan karte hain. Asuri pravriti rakhte hain. Maharaj ji meri bhajan dincharya karna wahan bahut kathin ho jaata hai. Main kya karun? Kaise unke beech mein rah ke hi prabhu ka sanidhy prapt karun? Maharaj ham [gala saaf karne ki aawaz] jaise Ravan ki nagri mein rah ke vibhishan ji ne bhakti ki.

aise hi karna padega. Kiska aapka prashn hai? Kiska hai? Haan. Jaise Ravan ki nagri lanka mein rahkar vibhishan ji ne bahut hai kathin yadyapi durachari aur abhaksh bhakshan karne wale logon ke sang se bhajan mein bahut vighna parta hai. Par phir bhi apna jeevan barbad nahi karna hai. Prabhu ka smaran karna hai. To dekho puri lanka mein asuri pravriti ka hi to tandav hai. Lekin vibhishan ji ek bhagwan ki bhakti mein jim darshan jeev bichri 32 danto ke beech mein jaise jeev aise kusangi jan hai aur agar hamara lakshya bhajan hai to phir par hai kathin kyonki prarambh mein kusang ka tyag karke bhajan ki sthiti prapt karna asamabhav hai.

kusangiyon ke sang se to asamabhav hi hai. Prarambh mein jo uttam bhajnanandi phir unka koi kuch nahi bigad sakta jo rahim uttam prakriti ka kar sakat kusang chandan vish vyapat nahi lapte rahat bhujang par is sthiti tak pahunchne ke liye hamen satsang ki avshyakta hai. Dusht swabhav wale janon mein bhi bhagwat bhav karke duri banane ki avshyakta hai. Yadi aisa kuch ho jae ki aapka kamra alag ho jae, vaash alag ho jae, kaise bhi to phir nahi to asar to hota hi hai. Aur jo bhagwat anand mein magan hai to phir Kabira teri jhopdi galkatton ke paas karega so bharega.

tu kyon ho tu udas par aisi sthiti to chahiye. Ab is sthiti ke liye satsang chahiye. He kusang nahi tajre man hari vimukhan kusang jake sang kumti mati upjay karat bhajan mein bhang to ashubh anar bal sang jan vimurkh tajo sab koi vimurkh tajo sab koi jhooth bolat sach manat dosh karat nirsankh rank kar santan janat abhimani garwishta lobh mad mat agadha dusht parihar dur bhajat bhaj shri hari Radha mahapurushon ka acharyon ka to aisa ka adesh hai ki aise dusht janon se duri bankar rahe aur bhagwan ke bhajan mein Priya pritam ke bhajan mein tab apne chitt ko lagaya ja sakta hai nahi to unka sambhshan darshan sparsh sahwas ye kaise bhajan hone dega asamabhav haan sthiti prapt ho gayi to phir koi baat nahi to abhi to sthiti prapt nahi hai prambhik bhajan hai to ismen hamen vatavran ka bahut bada satvic vatavran satvic logon ke beech rahna satvic to hamara lakshya keval dhan [gala saaf karne ki aawaz] hi nahi hona chahiye.

agar hamari pavitra nasht ho rahi hai, aacharan nasht ho rahe hain, mujhe lagta hai aise dhan prapti ki taraf phir muhn mod lena chahiye. Hat jana chahiye. Jahan apna charit nasht ho jae, wahan dhan kya karega? Sansari aadmi kya hota hai? Wah apne charit ko bhi bech deta hai. Lekin charit hi hamara hamara bhagya hai. Hamari mahanta isi baat ki rahegi ki ham apne charit ko dushit na hone den. Khanpan uthna baithna dekhna ye hamara pavitra hona chahiye. Manushya janm mila hai. Dev durlabh yoni kahi gayi hai.

ye to sab asuri pravriti ke bhule hue log hain. Becharey nahi jante. To inko manushya rupan mrigashcharti shastr kahta hai mrig mane to pashu ye manushya rup mein sakshat pashu hai unko vivek hi nahi hai vivekheen manushya pashu hi hai bhaktiheen manushya murda hi hai jin hari bhagat hriday nahi ani jivit shav saman [nak se ki jane wali aawaz] te prani ab murde ki tarah apvitra log hain murda jismen chaitanyata hi nahi rah gayi hai inme mein adhyatmik ki chaitanyata hi nahi rah gayi. Sharab pi rahe hain, mans kha rahe hain, vybhchar kar rahe hain.

ye ken prakaar hain. Bas ji rahe hain. Mare hue log hain. Manushya jeevan in kin prakaar jine ke liye thodi hai. Satmarg ke liye achhche bano. Dusron ko sukh do. Apne mein kam kharch karke paise bachao. Budhe mata-pita bimar janon ki seva kisi aise bhukhe ko bhojan aisi jo avyvastha hai usko vyvastha kar diya. 10 ₹1 jod liye ₹200 ka ek garm kapda le kisi garib ko de diya jo kamp raha hai apna 10 ₹1 bacha liye kabhi gaun ko ek kuntal chara le dal diya ho gaya dusron ke prati jo sukh ki bhavna hai wo tumhari unnati karegi dusron ko jo dukh dene ki bhavna hai tumhara nash kar degi usko dukh pahunche na pahunche tumhara patan ho jaega to isliye hamari to ray yahi hai ki kamra badal do.

unka sang badal do. Yadi aisa sambhav nahi to chhod do. Jisse hamara charit bigad jae. Charit bar-bar nahi banta hai. Jaise ek bar charit bigad gaya na bhagwan ke avatar to bhagwan hai hi hain. Shri Ram ji par Ravan bhi koi chhota-mota avatar thodi bhagwan ka parsad hai jo bhagwan ka swaroop hi hai. Aur waise bhi agar is parampara se lok parampara se dekha jae to bhagwan ka avatar raghuvansh mein ho raha hai. Uttam kul kulastha karati brahm rishi ki santan hai Ravan yah samjho uttam kul mein uska janm hua lekin aacharan charit asuri hai raaksasi Ravan Rakshash thodi hai mul mein to bhagwan ka parsad hai aur jahan janm liya hai usne to waise vishwaswa ka putr hai maharaj pulast ka nati brahm rishi pulast kahlati hai bhagwan raghuvansh mein paida ho rahe hain wo pulast vansh mein param pavan pavitra brahm rishi pulast ji vishwaswa unka putr hai lekin aacharan kharab ho gaye to Rakshash ho gaya aacharan se hi devta hai aacharan se hi Rakshash hai aacharan se hi mahan hai to hamare yahan charit ka gayan kiya jaata hai jiska charit hi theek nahi to phir kya hai Ravan ka keval baat ek hi thi charit theek nahi tha upasak tha bhagwan shankar ki upasna usne ki aaj bhi badi bade-bade pavitra sabhaon mein uske likhe hue tandav ka gaan hota hai.

jatatpi galat jwal pravah pavit ye usi ki to rachna hai. Bhishma par Kailash ko jhule ki tarah se uthaya pure Kailash ko mahadev sahit mastak katkar unke charnon mein chhoti moti bhakti hai. Mastak kaat ke chadha bas aacharan bigad jae. Charit bigad gaya. To Ram charit ka gayan kiya jaata. Charit hamare yahan pujniya yah bharat desh hai. Aur sarvatra aisa nahi hai. Yah bharat desh hai. Yahan charit [nak se ki jane wali aawaz] ek bar wahan Varanasi mein ek nyayadhish the. Wo sant ban gaye. Bade unche sant the. Vayovriddh the.

darshan karne gaye to aise baithe. Aise mein aae tab badi jor se aise hath pakda. Pehle pehle darshan to mujhe laga ki thappad marenege kya? Ab bhav vridh sant ji aise hath jod ke khade ho gaye ham bhi sanyaas ke vesh mein hi the aise hath pakar hamari taraf dekha aur yahi kaha ki beta wo angrezzi se bole the ab hamko to angrezzi aati hai unhone kaha tha gud karrektar aise hi age shabd angrezzi ke bole the to kaha aur angrezzi se bhi matlab uska tha arth bhav ye tha hamne pucha tha jo ham isliye gaye the ki jiska charit looj hua jiska charit charitrheen kuch bhi ban jae kuch nahi hota Babaji ban jae sanyasi ban jae mahatum kuch nahi sab kada karrektar gud karrektar charit accha hona nai avastha thi lagbhag 30 varsh piche ki baat ho gayi wo shabd yad charit aapka charit bigad gaya to phir bekar ho gaya to isliye charit ki raksha ke liye sarvasv ka tyag kar dena chahiye charit hai to sab kuch aa jaega apne aap aur charit bigad diya to phir to sab bekar ho gaya.

charit dubara nahi aata. Man lo ek bar aap sharab pi liye, mans kha liye, gande aacharan kar liye to aap aisa nahi bol sakte ki jeevan mein hamne sharab nahi piya. Jeevan mein hamne mans nahi khaya. Ab bigad diya aapne. Ab aapko hichak ho gayi ki galti hui. Bigad diya na charit. Dag lag gaya na. Ye vivekvan wahi dag na lagne de. Nahi nahi nahi. To hosh mein chalo aur jahan aisa lage wahan chhod do. To bhagwan sahyogi hai na bhagwan ke liye chhod rahe ho na wo age ka marg pusht kar dete hain. [gala saaf karne ki aawaz] bhesh ji chandigarh se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji meri Vrindavan vas ki teevr ichchha hai to kya karen iske liye prayas karna chahiye ya Radha rani ki kripa ki pratiksha karni chahiye unki kripa ki ismen prayas to kam nahi karega yah dham hai shri ji ki kripa ka aur kripa ka anubhav karne ke liye Vrindavan sat leela hai.

shri dhruvdas ji ne likha hai uska gayan karo roz. Uska prabhav aisa hai ki Vrindavan se priti ho jaegi. Phir aapko rona nahi lagega ki ek ek din aisa lagega ki vyarth ja raha hai. To ladli jo phir kripa karke paas kar denge. Unhin ke dwara nahi badi-badi kothi dhani log banae kabhi dasav varsh ho jaate kabhi nahi aae. Aae hi nahi. Jab se banwae ek jagah ham do naukar ki or le rahe hain. Karodon ka nirman hai. Yahan ana koi aise shri Radhika kripa bin sabke manan gam mein jinko vrinda vipin hai kripa ta ki hoy Vrindavan mein tav to rah paye soe isliye Vrindavan sat leela ka path karo aur Vrindavaneswari se prarthna karo wo kripa karenge unhin ki kripa se [khansne ki aawaz] agar pragat mein vas nahi bhi ho raha to Vrindavan ka prem aa jaega hriday mein.

to Vrindavan chaitanya ghan hai. Sharir nahi rah raha to man Vrindavan ka premi ho gaya. Baat ban jaegi. Vrindavan sat leela path karo aur pyari ji se prarthna karte raho. Maharaj ji aksar main subah jaldi uth jaata hoon. Us samay ankhen band kar kar phir yah chintan hota hai ki main Vrindavan parikrama kar raha hoon. Maharaj ji ye jo mera anubhav hai iska kya tatparya hai? Kya yah bhajan ka hi swaroop hai? Haan yah kripa hai. Aisa karna se samasth papon ka shaman karne ke liye isko upay bataya gaya ki Vrindavan ko chintwan yah deep u bar koti janm ke agam kaat kare ujiya main Vrindavan mein gaya sant darshan kiye parikrama ki yamuna ji gaye bihari ji ke darshan karne gaye radhav Vrindavan [nak se ki jane wali aawaz] ko chintwan yah deep u to koti janm kem kaat karodon janmon ke papon ka nash ho jaata hai.

to bahut sundar hai. Aap aisa hi kijiye. Maharaj ji main jap aur wo sab jab karta hoon to ghar wale kahte hain ki ye sab band karo. Ye kuch nahi kar raha hai. Isiliye mera vishwas dagamgaya hua hai. To ghar walon ki baat mante to yahan kyon ate? Isiliye main aaya. To meri baat man lijiye. Agar meri baat man lijiye to phir ghar walon ki baat nahi manoge. Agar ghar [gala saaf karne ki aawaz] walon ki baat mane to ana tumhara bekar ho gaya. Kyonki jab hamari baat nahi mani to hamare samne baithna aur prashn karna nirrathak hoga na to baat man lijiye lok parlok sab ban jaenge isiliye Harivansh mahaprabhu hamare acharya hain wo kasam dila kahte meri sau bhaiya Krishna gun san parlok sakal sukh pavat tumhen is [nak se ki jane wali aawaz] lok mein parlok mein sare ye kasam dilane ki kya zaroorat thi vishwas main tumhen apni shpath dekar kahta hoon tum keval Krishna ka bhajan karke dekho dekho is lok aur parlok mein sukhi ho jaoge.

to mujhe lagta hai ki aap apne ghar walon ki yah baat na mane ki prabhu ka aashray chhod do to phir rah kya jaega tumhare paas? Wo ghar wale thodi hai. Gharwale to prabhu hain apne. Janmjanm ke ham unhin ke ansh hain. Bhul ke naye-naye ghar wale banate ja rahe hain. Wo chhute ja rahe purane. Piche janm ke ghar wale kahan hamari samjh mein aa rahe hain? Ye aisa mat socho ki bhagwan ka bhajan vyarth jaega. Ek naam ek second bhi vyarth nahi jaega. Uska jab hisaab hoga to nach padoge. Vishwas bin vishwas bhagat hi nahi te bin drav Ram Ram kripa bin sapne jeev nala vishram vishwas se baat banegi kyonki yah [nak se ki jane wali aawaz] chij aisi to hai nahi ki ye lo khao vishwas kar lo phir age aap jaan jaoge itna to pata hai bhagwan hai itni to astikta hai aur jab bhagwan hai to aap pukar rahe ho to aapko sunai deta unko sunai nahi deta kya aapka kya naam hai dhanik dhanik ye bulaenge to aap haroge udhar ki nahi?

ji hain aap Ram bologe, Krishna bologe, Radha bologe to unke kan to sarv jagah hain. Tumhare kan to ek sima tak ki awaz sun sakte hain. Wo to aise kan wale hain ki aap vishv brahmand mein kahin bhi bolo man se bolo to sun lenge. To aisa vishwas to apne ko to nahi hona chahiye. [khansne ki aawaz] kisi ki baat ismen kisi ki baat nahi manani chahiye. Wo hamen galat salah de rahe hain. Bhale hamare pujya jan hai par wo galat salah de rahe hain. Sahi salah mein chalo to theek rahega. Aur dhan milna koi kripa nahi hai.

prabhu hi mil jaate hain. Jinhone anant brahmand ek second mein racha hai. Par bas yah baten tab tak samjh mein nahi aati jab tak hamari bahirmukhta hai. Sansaar ka mahatva hai. Thoda prabhu ki taraf ham mukh karen. [nak se ki jane wali aawaz] phir baat samjh mein aa jaegi. Aap sachchi maniye. Nihal ho jaata hai jeevan par bas manne se ismen accha char din naam jap karo socho check aa jae to phir thoda is agar kisan gehun boke na aur [gala saaf karne ki aawaz] roz bora le aa jae ki abhi udasi nahi ai to usko murkh hi kaha jaega agar roz ukhad ke dekhe gehun ki abhi uga ki nahi to bij hi nasht ho jaega.

wah bhi char mahine seenchta hai. Usko palta hai. Tab jakar fasal hoti hai. Hamare anant janmon ke ashubh karm jama hai. Naam pehle unko nasht karta hai. Phir jo anand ki baadh aati hai pocho mat. Isliye ab ham to yahi aapse kahenge ki ho sake to hamari baat man lena. Phir kabhi tumhen samjh mein aayega ki ham baat mani to kaisa hamen mila. Ek hi aisa mitra hai jo tumhen bacha sakta hai. Bas koi dusra mitra nahi sansaar mein. Abhi theek hai. Uchal kud lo. Ek samay aisa aata hai jab keval usi ki taraf dekhne ka hota hai ki koi nahi raha mera.

keval tu hi hai. To kahta ham pehle se tumhare ko hath phailae khade the. Tum to udhar bhag rahe the. Aao ham ab aaj bhi swagat kar rahe hain. Koi bhi antim nirnay sabka aise hi hota hai. Doctor se tum hath jodte hain. Sari sampatti le unko bacha lo. Wo kya kahega? Prayas mera. Wo aise kuch karta hai. Safalta uski. Ishwar chahega to prayas to mera hai. Aap prayas kijiye. Safalta uske hath mein hai. Wo kya banana chahta hai aapko? Kya karna chahta malik jane na. Hamara prayas jidhar ja raha hai hamari taraf se beimani nahi, pramad nahi, alasya nahi, ab phal nahi prapt ho pa raha to santusht raho.

koi hai aisa praarabdh jiska nash kiya ja raha hai. Age chalkar ke hamen anand prapt hoga. Din hai to raat aayegi. Raat hai to nischit din aayega. Aaj asflata hai to nischit kal safalta hogi. Aaj safal ho to kal asfal hone ke liye tayyar raho. Wo kram hai aise aur safalta asflata mein donon saman bhav rakhta hai wahi mahatma hai nahi sukh dukhe samkri labha labho jayaj jai aur parajay mein jo saman bhav rakhta hai wahi bhagwan ka bhakt hai to ab samjh lijiye aap jai jai shri Harivansh maharaj shri aapke charnon mein mera dandvat pranam maharaj shri hamare aaspas ke vatavran mein vishay prapanch ki varta hoti hai.

kabhi-kabhi hamare eeshta acharya evam gurujanon ki bhi ninda hoti hai. Aapke shri mukh se suna hai ki sabhi jan mein bhagwat bhav karen kintu yah sab dekhkar bahut krodh aata hai aur irshya utpann hoti hai. Kai bar se nahi ana chahiye [nak se ki jane wali aawaz] kyonki agar krodh aayega to wo [nak se ki jane wali aawaz] safal ho gaya samne wala. Wo hamen girama hi to chahta hai. Maya ka dut hai. Chahe koi bhi ho. Wo hamen krodh dila diya. Ham uske prati dves kar liye to jo wah hai wahi hamko bana raha hai.

ninda karke dosh karke hamko uttejit kiya. Ham uski ninda kar diye. Us par krodh kar diye to ban gaye na. Uska prabhav par gaya na nahi padna chahiye. Hamen andar se ye dekhna chahiye ki pyare aap bhi jor laga lo to bhi ab aapko chhorne wale nahi. [nak se ki jane wali aawaz] aap hi to sabko prerna kar rahe ho. Ab aap chahe jitni gali dilwao na ham aapko chhorne wale hain na aapke naam ko chhorne wale hain. Ab to [gala saaf karne ki aawaz] bel fail gayi jane sab koi mere to Giridhar gopal dusron nishtha se chalo unse kuch nahi hans diya karo hans diya karo ye sab bavare hain bachchhe hain.

chahe bap kyon na ho apna bachchhe hain. Mayakrit bhogon ko satya manne wale sharir rag mein fanse hue jeev baat bhut vivash matware te nahi bole vachan bichare tin kar kaha suni nahi kanha goswami tulsidas ji ye becharey kuch bhi bolte hain ninda ka patr to wo hai jo madira pita hai mans khata hai vybhchar karta hai logon ki hinsa karta hai ninda ka to wo patr hota hai lekin agar ye acharya ki ninda kar rahe bhagwan ki ninda kar rahe to bachchhe hain na agar bachchhe mata-pita ko gali de unki dadi noche to mata-pita unko koi shraap thodi de dete hain unko koi bandhan thodi dete hain bachchhe hain.

aise hi agyaan krit sthiti ko prapt chahe 80 varsh ka budha ho bhagwat bhakton ki drishti mein bachchha hi hai. Bachchha kuch bhi bole muskura do. Pita ki dadi pakar ke noche aur thappad mare to pita patak dega kya? Bachchha hai. Aise hi sab bachchhe hain jo yahan bujurg kaun hai jo bhagwan ka bhajan kar raha hai. Wahi sabse shreshth hai. Dekho Sukhdev ji padhare ganga ke pavan tat par to unke pita pitamah bujurg ek se ek matra sab khade ho gaye kyonki bachpan se garb se hi bhagwan ki bhakti se yukt hai. Isliye wo bade hue to ye hamko ye baten nahi manani [gala saaf karne ki aawaz] hai.

wo ninda kar rahe hain. Aap muskura do. Koi prabhav nahi padna chahiye. Unke ninda karne se bura ho jaega kya? Accha hamari koi prashansha kare to ham bade ho jaenge kya? To hamari koi burai kare to ham chhote ho jaenge kya? Accha hamko khub log hain. Badhiya kha pi ke nikal rahe. Ham bhukhe hain pet mein to wo khub badhai kar rahe hain ki badhiya hai to chappan bhog pate to hamara pet bhar jaega kya? Hamen dekhna hai. Unke kahne se hamari thodi praman hai. Hamara praman to hamare aacharan se hamari bhakti se hai.

to aap apne bhav ko dridh kijiye. Unke bhav se pareshaan mat hoiye. Aur mujhe lagta hai jab bhakti ka virodh hota hai to bhakti rang lati hai. Pakka samjhna. Aapki bhakti badhne ka samay aaya hai. Aap piche mat hatie. Agar aap dekho koi bhi jhanda phahraega to usmen danda hota hai. Jitna uncha danda utna hi uncha jhanda. Ye jitni ninda karne wale virodh karne wale bhakton ke na yah dande ka kam karte hain. Unka bhakti ka jhanda utna hi uncha phahrata hai. Agar Meera ji ka devra virodh na karta to Meera ki bhakti itni prakashit nahi hoti.

agar Prahlad ji ka bap virodh nahi karta hiranyakashyap to Prahlad ji ki itni bhakti prakashit nahi hoti. Hamen lagta hai ki virodhi log bade kripalu hain. Hamari nishtha pusht karte hain. Hamari bhakti ka prakash karte hain. To pranam hai unko. Badhiya kam kar rahe hain na. Wo hamari pariksha le rahe hain. Hamko khare utrna chahiye. Mere prabhu hi to unke mujhe aisa kuch nahi lagta ki hari guru ki ninda karen to ham un par baras pare, tut pare, mare, ladai jhagda karen. Muskura do, age badho.

apna kam karo. Hamko rukna nahi. Agar ham ruk gaye to unka prabhav par gaya na hamare upar. Jo aadmi chidhta hai use pya chidhaya jaata hai. Kisi baat se tum chidhne lago na to char log tumhen usi baat se chidhaenge aur aap chup raho. Muskura ke utre koi fark hi nahi parta. Isko kahna band kar denge. To hamen lagta hai hamara bhakti path hai. Ismen shant rahna hi hamara sabka uttar hai. Shant rah. Apne prabhu se prarthna karen ki hamari nishtha pusht hoti rahe.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…