॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #80 · 23 january 2023

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

pushpendra ji madhya pradesh se pujya Sadgurudev bhagwan aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev is sharir ke sambandhi abhaksh padaarth ka sevan karte hain. Lekin ham unse alag rahte hain. Meri rasoi bhi alag hai. Lekin kabhi-kabhi unke bartan mere ghar aa jaate hain aur bachchhe mere bartan unke ghar le jaate hain. Maharaj ji kya aise mein shri ji ko ham bhog laga sakte hain? Matlab bachchhe udhar le jaate hain. Kuch dene aa jaate hain. Aisa bata rahe hain. Kaise bol sakte hain is vishay par? Kyonki ab jin patron mein mans randha gaya hai khaya piya gaya agar rasoi mein ghus gaye to sab patr fenken layak hai hamari drishti mein hamari vaishnav kaise bhog usmen pa sakta hai jab vaishnav nahi pa sakta to vaishnav ke aradhya dev kaise pa sakte hain aisa kaise ho sakta hai yadi ham bhagwat marg ke pati hai to aisa khilwad ho sakta hai khilwad upasna nahi hui upasna karne wala khilwad nahi karta ye baat samjhna hoga ismen ham koi bhi kisi bhi tarah ka matlab chhut nahi ho sakti.

isiliye diksha bahut hosh mein lena chahiye. Samjh ke lena chahiye. Jab diksha le li to phir uska hamen palan karna chahiye. Nahi to Radha Radha naam jap karo. Bhagwan ke ashrit raho. Wo ek alag. Lekin diksha lekar vaishnav sanskar se yukt hokar to phir yah sab nahi chalega. Hamari rasoi mein agar jis patron mein mans banaya gaya ho ya mans paya gaya wah patr aa jae to puri rasoi phenk denge. Nahi usmen ham bana nahi payenge. Jo siddhant hai nahi hamen vihaar ka poshan nahi karna. Siddhant hai. Nahi to chupchap apne sthiti ke anusaar bhajan karo.

vaishnav sanskar mat lo. Tilak kanthi vaishnav sanskar guru diksha aur phir bhrasht aacharan karoge bhogna padega tumhen. Isliye naye mat lo Radha Radha kaho sabka kalyan naam se hota hai naam jap karo jaisi sthiti mein agar aapne sanskar le liye hain phir hosh mein raho ab koi tum aise nahi ki jaisa mana hai vaisa kar liya aacharan aisa kaise ho sakta hai shri ji ke bhog ki baat karte ho hamen pata chal jae ki tumhare yahan ek aisa pane paya gaya hai patron mein to us rasoi ko sparsh nahi kar sakte ki aisa abhaksh padaarth pane wala un thal mein paya aur wahi thal tumhari rasoi mein rakhi kaise yah bhagwat marg aisa nahi ho sakta.

raaksasi bhojan jahan parosa jae, jahan paya jae, jahan bana aisa kaise ho sakta hai? To isiliye phir aise logon ko diksha nahi leni chahiye. Naam jap karo. Bhagwan jab tumhen samarth de aise ki ab ham apna jeevan vaishnav sanskar se kaat lenge to chalna chahiye. Nahi aur bhi upay hain bhagwat prapti ke. Naam jap karo. Satsang suno, naam jap karo. Dhire-dhire ab dekh lo. Jab sthiti aa jae to aap niklo. Ab aisa nahi ki manmani aacharan nahi ho sakte. Is par ham nahi chhut ki dekh lo aisa question aisa dharm ka palan karna aisa koi khilwad samjhte ho.

itna to dhyan rakhna hi padega. Ye nahi chalega ismen. Jaise kalyug ka pravah nahi chal raha. Koi chhota bada nahi. Koi jaise haan mata-pita ko gali de rahe hain. Pranam nahi kar rahe. Unka adap nahi man rahe kyonki injeeniyring padh rahe hain. Wo padhe likh ke aae hain. Budhe mata-pita padhe likhe nahi. Unko galiyan de rahe. Yah sab bhrashtachar hai. Buddhi ka ye viparit marg hai. Aisa nahi hai. Are wo sab chalta hai. Ghar mein sharab pi ke tum ludhke hue ho. Wahan bhog lagega shri ji ka. To phir kya karo?

naam jap karo. Aise hi karo. Vaishnav sanskar mat lo. Koi tumhare ghar gaya hai vaishnav banane ke liye. Mat lo sanskar. Jiska nirvah nahi kar sakte. Us marg mein kyon kadam rakho? Aag mein kyon chalo? Aur bhi marg hain. Radha-dha japo. Apne theek se chalo. Achhche aadmi bano. Manushya achhche bano. Dhire-dhire age upar uthte chale jao. Ab tilak kanthi aur sab ganda aacharan to phir narak hi jaoge dusra rasta hai kya bhai laisens aur billa sab khel inhi ka to hai ab billa to laga liya vaishnav ka aur aacharan ek bhi vaishnav ke nahi to phir aparadh banta hai na ye theek nahi hai bahut hosh mein chalna chahiye diksha nahi leni chahiye pakki baat samjho aise bhi to jeevan kato Radha Radha bolo theek se chalo santo ki baat suni chalo aur jab aapko lage ki haan ab ab ham sambhal ke tayyar [gala saaf karne ki aawaz] ho gaye chalne ke liye.

kisi ki an, kisi ki mariyada nahi. Ham apne dharm se chalenge. Aa jao akhade pe. Lo vaishnav mantr chalo. Ab aise manmani aacharan theek nahi hai. Ye jaise kanthi tilak bhi bandho, murga machhli bhi khao, sharab bhi piyo. Ye sab hamen lagta hai ki phir kal le mat bane. Aa kale le Ram Ram Ram Ram jap raha hai. Halwal ji ko soch raha hai kaise phasa lun. Jaise sanjivni buti na lagae. Lakshman ji padhar jae. Aise nahi theek se chalo le baad mein pooch mein lapte karke mar ke phenk diya usko to phir koi na koi aapko parast kar dega maya parast kar de ajay sen ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jab se aapke satsang sun raha hoon meri mere guru ke prati shraddha aur badh gayi hai.

maharaj ji agar guru charnon mein priti dridh ho tab tab bhi kya isht bhakti avashyak hai? Kya keval guru bhakti bhi prapt ho sakti hai? Guru hi kiska hai? Guru hi isht hai. Isht hi guru hai. Jab yah bhav man loge to sachchi guru nishtha mani jaegi. Phir prashn hi nahi bachta. Guru hi isht hai. Isht hi guru hai. Kahne ko do hai ek to phir prashn hi nahi bachta. Guru ne jo mantr diya hai, guru ne jo upasna di hai, agar usmen rat nahi ho to guru nishtha hi nahi. Wo guru seva hi nahi mani jaegi.

to prashn hi nahi banta ki phir alag se isht aradhna karni padegi kya? Kyonki guru ka aradhan yahi hai ki jo unhone naam diya, mantr diya, adesh kiya uske anusaar chalna aur wo guru ho nahi sakta jo hamen isht se vimurkh kar de to phir is prashn ka hamen astitva samjh mein nahi aaya. Ji ye ki guru ki puja hi ho jae ya phir isht bhi hona avashyak. Nahi guru ki puja aap kya samjhte hain? Unhin ka dhyan unhin ka diya mantr usi ko unhee ke vachan mein yahi yahi to isht hai phir kya hai prashn hi nahi banta isht kise kahte hain bhagwan ya kisi to guru kaun hai wahi guru hi bhagwan to phir aapko sanshay hai na isiliye prashn kar rahe ho tabhi to ham kahte hain prashn banta hi nahi na dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh guru ko isht rup mein jo dekh raha hai to uska ye prashn kaise ban sakta hai dusra aap par prashn kare to aap muskura sakte ho ki aap jante hi nahi ho isht isht aur guru do thodi to ek hi guru Govind ne bhed karae phir hamen sanshay nahi hona chahiye.

ab jaise ham hai hamare Gurudev hain hamare acharya hain to hamen apne guru ki prasannata dekhni hai. Hamen prasannata hoti hai guru ka pujan karne mein aur guru ko prasannata hoti hai shyama Shyam ka pujan karne mein. To ham pehle shyama Shyam ka pujan karenge. Kyonki hamen guru ko prasann karna hai na. Guru ko pranam karne se hamen prasannata hoti hai ki ham guru ko pranam kar rahe. Guru ji ko nahi tum shri ji ko pranam karo. Ham shri ji ko pranam karenge kyonki usse guru ko prasannata hogi.

jab hamara bhav guru ke prati samarpit ho jaega to ham isht ke diwan ban jaenge. Kyonki isht hi aaya hai guru rup rakh ke apne swaroop mein sthit karne ke liye. Ye isht thodi hai. Ye isht thodi ho sakta hai. Kyonki ye to marega. Ye to mitega. Ye pehle nahi tha. Wo baad mein bhi nahi rahega. Beech mein prakashit hua hai. Hamko apne swaroop ka gyan karane ke liye. Hamare jaisa rup rakh ke hamari jaisi baat hamko bolenge to hamari samjh mein aa jaegi. Nahi guru vani to ho to rahi hai. Suno sun paoge.

uske liye divya kan hone chahiye. Guru vani to har samay akash mein gunjti rahti hai. Har samay bhagwat vani gunjti rahti hai. Aise ham nahi samjh payenge. Ab guru ne hamare jaisa rup rakha. Hamse baat kiya. Hamen dant rahe hain, dular kar rahe hain, pyar ab hamari baat ban gayi. To jab guru kripa hogi to isht prem jagrit hoga. Kyonki yah nashvan hai pakka. Yah jo guru ka dhyan hai isht ka dhyan karna. Hamare shyama Shyam jugal sarkar yahi Gurudev hai. Yahi Gurudev rup mein aae aur yahi dene aae aur yahi aasakt karne aae to ham Radha Radha Radha hamare Gurudev ka naam hai Radha Radha Radha isse Gurudev ki prasannata hogi.

isse Gurudev ki seva banegi. Samjh pa rahe ho? Na samjh pa rahe to jitna samjh gaye usi mein aasakt ho jao. Age ka marg aa jaega. Samjh sabse bada bhajan jo hai na bhagwat aashray hai. Prabhu ke ashrit ho jana. Andar se prabhu ko apna manna. Isiliye sansaar mein is marg par age nahi badh pate kyonki wo bahut kuch apna mane hue hote hain. Apna jati, apna kul, apni vidya, apna dhan, apna mahatva, apna parivaar, apni man bahut kuch apna. Isiliye jo keval prabhu ko apna manta hai. Dekho amrish ji chakravarti samrat the.

par agar wah apna bhajan mante apna ki mere paas bhajan hai to Durvasa ji ka virodh kar dete. Aise unko pata nahi tha ki sudarshan chakra suraksha mein laga ho. Unko nahi pata. Ati dainya bhav ek kadam piche nahi hate. Durvasa ji ne krodh kiya krutya paida ki to aise hi. Yah nahi kaha ki maine aparadh kya kiya tha? Ka hai koi itna tapasya ka prabhav dikha rahe hain. Are hamko tum aisa vaisa samjhe ho kya? Ham bhi bhagwan ke das hain. Prabhu ke siva kuch nahi. Yah bhagwan sab andar ki jante to sudarshan chakra laga hua tha seva mein aur na Durvasa ko pata tha yah baat aur na Ambrish ji ko pata tha.

krutya ko bhasm karke Durvasa ji ko tribhuvan mein daudaya. Ek kshan mein nasht kar sakte sudarshan ji lekin nasht nahi kiya kyonki wo bhi bhagwan ke hai na par unko tapasya ka hai tabhi to krutya paida kar di bhagwan se prarthna thodi kiye the apne tapobul se krutya paida unko apna bal hai par hai bhagwan hi ke isliye sudarshan ji ne unko nasht nahi kiya jalaya tap bhago bhayabhit kiya bhago pure tribhuvan mein nahi to ek second mein kadam nahi badha sakte the Durvasa ji sudarshan chakra koi bhai itna hi daud payenge [nak se ki jane wali aawaz] to bhagwan ka adesh hua ki amuk lok ke amuk ko nasht karna hai.

bas itna hua ko nasht ho gaya. Yah thodi ki misail dagini hai. Wahi prakt ho gaye. Sudarshan ji nasht kar diya. Unke liye koi yatra thodi kar liye ki tribhuvan mein kis lok jahan bhagwan ka sankalp bana usi kshan vinash shuru ho uska. Aise parsad thodi ki ab dekho gaadi start karenge phir jaenge wahan paunchenge. Phir aisa thodi hai. To itna samay Durvasa ji ko kaise de diya? Pure tribhuvan mein bhag rahe hain kyonki keval unko gyan karana hai. Agar upasak keval bhagwan ka aashray le le sab baat isse bada koi sadhan nahi par bhagwan ka aashray nahi apni sadhna ka aashray hota hai.

apni tapasya ka apna bal sharir ka bal logon ka mahatva aur matlab kya-kya kuda karkat bhara hua hai. To jaise brajvasi janon ki ya prabhu ke nitya jo nij jan hai unki jo mahima isi baat ke prabhu ke unko Baikunth bhi accha nahi laga sarvlok chudamani bhagwan wahan viraj wo bhi achhche nahi lage hamara kanhaiya hamara wo hamara hai bhaiya tum to baikunthnath bane yahan baithe ho [nak se ki jane wali aawaz] ek kshan bhi nahi ruke unka hamen bas dekhna hi tha ki bhagwan ka Baikunth kaisa hai hamen hatao turant hatao yahan se hamare wo Shyam sundar jinke ham gale mein hath dal ke khelte wo sukh Baikunth mein bhi nahi hai thesak apne prabhu prabhu ka ek swabhav jaise jis bhav se jo bajta hai waise prabhu anubhav mein ate hain.

jo inhone prabhu ko apna yar mana to prabhu yar ban ke mile. Prabhu ko jinhone putr mana to dekho akhil loko ke pita uske putr ban jaate hain. Kitne kripalu hai prabhu ko pati mana jagat pati uske pati jaisi bhavna kare prabhu y tha mam prapaddyate ta bhajam bhagwat aashray prabhu ke charnon ka aashray prabhu ke naam ka aashray dham ka aashray rup leela yah sab bhagwat aashray hi hai bas sachchi bhakti ho gayi kisi aur ka jis din bharosa nahi rahega usi din prabhu ka sakshatkar ho jaega tab tak vilumb hai prabhu ki taraf se jab tak koi aur hai tumhare jeevan mein jis din aur koi nahi hoga vastu vyakti sthan kuch bhi itna bhi kuch aur kahte hain na dubne

wale ko tinke ka sahara kafi hota hai to yahan bhagwat anand mein dubna tinke ka bhi sahara nahi lena nahi wo kafi hota hai wahi badha pahuncha dega dekho hiran mein phas gaye pahuncha diya na badha ek janm aur laga phir sidhe sidhe de prabhu ka bharosa prabhu ke bal se prabhu ka bhajan karna aur us bhajan ka phal prabhu ki prasannata wo muskura de bas itni baat accha itna bada mahan mahimamay ishwar tumhara mitra ban gaya isse bada koi chahiye bhai 100 200 kilo sona tumhare paas hai aur wo nasht ho jae to kya fark padega jab paras mani tumhari jeb mein hai tum chahoge to pahar laga doge sone ka kyonki paras mani hai na to puri duniya banane wala tumhare sambandh mein hai.

malik hai, mitra hai jo bhi mano to hamko duniya puri nasht ho jae to kya fark padega? Wah ek dusri bana dega. Usne kisi ka sahyog thodi liya. Ek kshan bhi bana diya. Yah jab vishwas ho jaega ki prabhu ke siva baat ban jae. Par bada [nak se ki jane wali aawaz] wo maya ka khel hai na. Kahin na kahin ham aise aise rahte hain. Idhar maya ko pakde idhar prabhu ko bhi pakdna to pakar mein aaenge nahi wo wo nahi aaenge pakar mein jab tak pura ka pura aise nahi karoge na pehle aise ki dekho ham kisi ko nahi pakde dekho Draupadi ji bhakt hain mahan bhakt hain par bharosa apne patiyon ka kiya nahi aae malik phir sabha koi to dharmatma khada ho jaega koi nahi khada hua nahi aae prabhu phir apni bhujao ka nahi aae prabhu ki dant se pakar nahi aae prabhu aur jab aise he Krishna to ana jana thodi tha kapde ban gaye bhagwan ka avatar jo kahin nahi likha hai cheer avatar bhagwan ka ho gaya vastravtar kshan mein kartum anytha kar tum pahar lag gaya rang birangi sari ka par yahan se nahi hata pallu par ye chahiye agar pakde ho kahin to tum dekh lo phir utna hi vilumb tum kar rahe ho.

koi aur sahara hai to tabhi abhi kaha na ki keval prabhu ka sahara to phir der thodi lagti prabhu ko dekho va aa gaye hazaron hathi hathiyan uske anukul chalte the Gajendra ke jab wo grah se ladai hui na to sab sood se aise ek dusre ke uska sahyog kar rahe the bhaiya bahut varsho jhagda hua jab parivaar walon ne dekha hathi hathi bhaiya ye to nikalne wala nahi grah jalchar jeev aur balvan hota hai. Yah thalchar jeev jal mein kamzor hota ja sab chhod ke chale gaye. Ab bharosa gaya uska ki yar koi hamara sathi apna bal thak gaya.

ab laga ki ab to grah ghasit le jaega. Ab to jal mein to use purv janm ke bhajan se bhagwan ka bhajan isiliye kabhi nasht thodi hota hai. Yad aa gayi. Jab tak kisi aur ka sahara tha to bhagwan ki yad nahi ai. Jab sab sahare hate to bhagwan hari bhage bhagwan Garud chhod ke bhage aur pehle sudarshan ko adesh kiya jao grah ka grahak ko mara thodi Tara kyonki Gajendra bhakt ka pair pakde sala Gajendra ka baad mein udhar hua pehle grah bhagwat prapt hua sudarshan ji ke marne se kisi ki durgati thodi hoti sidhe bhagwan ko prapt hota hai kyonki grah ka jo swaroop hai wo Gajendra indra ke charnon mein aise pakde na muhn to phir uska patan kaise ho sakta hai?

bhakt ka charan pakar liya chahe jis bhav se uska to mangal hoga. To sudarshan ji ne pehle grah ko bhagwat prapt karaya. Phir bhagwan aake Gajendra ji ko in charitra se pata chalta hai ki agar ham kisi ka bhi bharosa liye to hamen bhagwan ki mahima nahi dekhne ko milegi. Jab keval bhagwan ka aapke siva wahi chamatkar prakt ho jaata hai bhakti ka ismen tapasya bhajan thodi kam kiya hai bharosa dekho khas baat dekho wo Gajendra kya hazaron [nak se ki jane wali aawaz] hathi hathniyon ke beech mein matwal hokar jidhar se nikalta hai hahkar macha deta hai bharosa usko jagrit ek kshan mein bharosa jagrit ho gaya ab koi nahi usi samay bhagwan aa gaye zaroorat hai bhrose ki par bharosa hai hamara kai jagah fansa hua hai to wahi satsang se bhajan se dhire-dhire ham apna bharosa samet kar prabhu ke

charnon mein jab ek bharoso ek bhale ek aa bas phir bhagwat prapti ke koi dikkat koi samasya rah hi nahi jaegi are baat samjho bhagwan hamare to yar samasya kya rah jaegi jitna bhai wo sab unke sankalp se paida hua wo hamare hath mein ye vishwas ki kami jo hai na yahi haja dridh dridh vishwas ho jae bas chamatkar prakt ho jaenge jeevan mein dridh vishwas aisa hoga hi aisa kaise ho sakta hai ham ek din sunaya tha satsang mein ki [nak se ki jane wali aawaz] ek garib kevat tha nishad to uske yahan kuch karya tha matlab beti aadi ka byah to zamindar se paisa udhar liye byaj zamindar log pehle jo hai na bahut atank karte the garibon ke upar byaj pe byaj matlab ab agar paisa le liya hai to uska ka ghar aur kheti uske naam ho gayi zamindar ke wo itne hathkande apnate the ki matlab jeevan bhar unse mukt nahi ho sakta to apna kam hone ke baad wo byaj sahit paise wapas kar diye jake kuch din vyatit hone ke baad zamindar ne kaha paise do malik ham aap hi to liye the ham to de gaye the aapko paise jhooth bolta

hai ab to zamindar jhooth bolta hai kaha aur mukadma laga diya report kar di mukadma to jo nyayadhish isne pucha ki tumne paise de diye the. Kaha haan sahab zamindar ne turant kaha bilkul ye jhutha bol raha hai. Bilkul nahi diya. To ab wahan praman chahiye ki kaun kaun dekh raha tha? Usne wo bhagwan ko manta to tha hi. Usne kaha Raghunath ji hamare dekh rahe the ki hamne aapko paise diye. Praja ji ne kaha agli tarikh ham nischit karte hain. Apne Raghunath ko lana bula. Ab wo thodi ham samjh rahe kisi Raghunath ka naam hoga kisi general aadmi aur wo bhagwan ko kah bole haan sahab wahi dekh rahe the wahi aag gavahi denge pakka usko vishwas tha ki bhagwan aaenge dusre din tarikh mein pahuncha kahan hai tumhara gavahi aur zamindar janta tha ki koi to tha nahi wahan yah keval apni baat ko pusht karne ke liye aise hi kah raha hai usko kya pata tha ki bhagwan sarvvyapi uski baat sun usko dridh nischay tha ki mujh garib ki is is baat ko bhagwan ne dekha aur wahi aur nischit bhagwan aaenge.

kahan hai tumhara? To bole bulao jaise Raghunath hajir ho to le lathiya haan sarkar pahla darshan nishad bhi kar raha hai bhagwan sadharan jameedar ae tumko hamne kab dekha? Kaun hai tu? Kahan se us bhagwan hi the na? Bole amuk almari mein register number amuk mein amuk amuk number ke note ab bhi rakhe hain. Hamne dekha hai tum wahan usi samay aadmi bheje gaye register register se note ab to gavahi pakki zamindar ko pata nahi tha ki bhagwan hai. Use vishwas tha. Bas wah nikla aur bhagwan ka nitya bhakt ban gaya kyonki usne socha ki yar maine jab bhagwan ko sakshi kiya to bhagwan akar hamare sansarik karya ka support kiye to waise bhagwan ka mahan bhagat ban gaya.

ham vishwas kar nischit dekho ek ek katha sunai thi ek bar chharchura gopeenath ji ke paas ek gopal ji bhi thakur ji hain Odisha mein virajman hai wo Vrindavan ke thakur ji the gopal ji to ek brahmin ne tirth yatra ke liye to ek jawan brahmin garib tha usne kaha theek hai hamko bhi darshan ho jaenge chalo ham aapki seva karenge aap dhan laga dena sab aisa ho aur khub tirth yatraon mein jab Vrindavan aae to itni seva uski ki ki uska hriday gadgad ho gaya. To usne kaha gopal ji ke mandir mein ki bhaiya tumne itni seva ki hai.

hamari ek beti hai. Ham apni beti ka byah tumse bole ham to kuch kaha nahi lekin aap hi ne kaha hai. Badal mat jana wahan ganv jake kyonki tum jab bade aadmi ho tumhare ladka aisa hai. Bole nahi badal kyon jaenge? Bhagwan ke mandir mein kahte hain ki ham beti ka byah kar denge. Sab hokar saransh mein bataya. Jab ghar pahuncha to mahina do mahina ho gaye. Koi sans hi nahi liye. To unse kaha Baba tumne kaha tha na to ladkon ne pehle unko unhone kaha bhai hamen yad nahi ki hamne kaha aur panchon ko ikttha kiya.

pehle ganv ke log pradhan ho sab panchayat karte the na. Panchon se kaha dekho hamne to chah nahi ki thi. Inhone apni taraf se kaha tha. To panchon ne kaha bhai koi gavahi hona chahiye. Haan buddhe sahab ai kaun the? Haan bhagwan ke samne gopal ji ke samne kaha tha to bole agar gopal ladke turant bol pare ki agar gopal ji akar yahan bol denge to apni bahan ka wo jante the koi murti chal ke thodi aati bhagwan thodi iske byah ki taki de unhone kaha accha agar aisi baat hai to ham ja rahe hain Vrindavan jo kuch uske paas punya punya tha bechbach karke Vrindavan aaya aur gopal ji ke mandir mein shayan ka samay tha to thakur ji ne kaha dekho piche ham aae the brahmin ke saath aapke darshan karne mandir mein kaha tha ki byah kar denge.

sun rahe ho chal ke wahan bata do chal ke ki usne kaha tha tumhara byah ho jaega. To jo seva karne wale the pagal aadmi kya kaisi baten bhagwan se kar raha hai? Parda laga diya bhagwan ka sahan ho gaya aur sab chale wo baitha sun rahe ho na dekho aapke siva koi mujh garib ka saath dene wala nahi na hamare paas paisa jab usne kaha tha us samay tum sun rahe the ki nahi to andar se awaz ai are kahin murti chalkar ke gavahi degi bole sun rahi murti bol sakti chal ke le sakti bhagwan aae nikal ke [nak se ki jane wali aawaz] bhagwan ne kaha yar tum baat karte ho tum saath to chalna pare par hamen Vrindavan mein tumhen khub khane pine ko mil raha hai.

tum saath chaloge hamen kuch khane pine ko nahi mile. Kaise vinod unhone kaha ham pehle pata tha ki jo hai gavahi dene wale khwa piya ke laya jaata hai. To bole isiliye ab kuch hamare paas tha wo bechwach ke laye. Khane pine ki to chinta nahi. To bole ham piche piche chalenge. Tum age age chalna. Bhagwan ne kaha bole hamko dekho phuslao mat. Hamen kaise pata chalega? Bole napuron ki jhankar tumhen sunai degi aur jis samay piche tum mud ke dekh lo phir ham age nahi jaenge. Theek hai bhagwan ko jab bhog lagana hota tabwa deta piche piche bhagwan gaye wahan Odisha prant mein apne Vrindavan ke thakur gopal ji haan wahan bhagwan gaye aur thoda hi nagar rah gaya to ab usko laga ki keval nau par sunai de rahe ki aa bhi rahe hain jo mud ke dekha to bhagwan muskura bole dekho hamara tumhara vada tha ab itne nazdik aap to nahi chalenge bola chalo bhi mat hamen koi pareshani ham bula ke laye pure ganv gopal ji aae sakshi sabko ascharya hua Vrindavan se thakur ji to ab kisi ko sakshi mangne ki himmat padi kya jab bhagwan sakshat ye hamen dridh vishwa dekho bhagwan gaye chal ke murti hote hue bhi pragat mein chal ke gaye hamen dridh vishwas ki avshyakta hai hamari bhakti mein dum nahi hai vishwas ki nahi hamen kamzor ho gaye hain ham ki hamen itna vishwas nahi jitna Prahlad ji ko hai dhruv ji ko hai in mahan mahan bhakton ko to inke charit padhe, naam jap karen, bhagwan mein vishwas badhave.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…