॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab kisi ne kaha bhagwan ne mera sab kuch chhin liya !

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

vishal Varma ji Delhi se Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti koti pranam maharaj ji do sal hue bhagwan ji aur aap shri santo ki kripa se bhakti marg mein pravesh mila bhagwan ke naam ki sharan mili maharaj ji shuru mein hi sun liya tha ki Krishna bhakti aur Krishna prem mein dhire-dhire sab kuch chhin jaata hai tab utna seeriyasli nahi liya ab idhar sab kuch dhire-dhire chhinta ja raha hai aur Krishna prem bhi abhi prapti waisi nahi mil pa rahi maharaj ji kripa margdarshan tumhara tha kya jo chhin gaya ham bataiye bhai report to ham tab kar sakte hain jab hamari koi vastu chheeni ho aapka tha kya hamen bata dijiye aapne kya rachna ki aapka kya purusharth tha kismen panch bhautik sharir mein y panch bhauton se bana hua ya aap mein aap bhagwan ke ansh hai kya purusharth agar wah ek akh hata dete hain unki mauj ki baat hai wo ek se dikhana chahte hain unki vastu hai na aapki kya hai main bata da aapka kya hai aapka kya hai aap batae padhe likh gaye aap to bhagwan ne buddhi di hai na buddhi ka aran kar le to

footpath mein kaagaz ba torte ghumte hai kya aapke paas ab jo baat ai chhin gaye iska praarabdh hai aap samjho jo ham log kahte bhagwan sarvasv chhin lete hain uska tatparya hota man aur indriyon ko bhagwan mein samarpit hona bhagwan apne bachchon ki bahari lilaon ka khel khilone ka vinash nahi karte bhav ko samjhiye avashya mein bhog tavy kritam karm shubha shubham abhi aap us koti ke sharanagat nahi ki aapke shubh aur ashubh ka vinash ho gaya ho samjhna aap khud sweekar karte hain do varsh se bhakti mein ab kis kot ki bhakti hai do varsh mein jagrit ho gayi va aap dekho iske piche kya hota raha janm janmantar mein isi janm mein aap dekho to jo boya hai piche sal ki fasal khana to padega na aur usmen kah de ki hamne bambu boya tha kante aa rahe hain bhagwan ne jab se bhakti shuru ki tab se kante khane ko mil rahe hain galat baat pichle varsh jo aapne kisani mein boya is varsh wahi khaoge ab jo bo rahe ho use tum age fasal katoge abhi is koti ka tumhara gyan ya bhakti nahi ai jisne janm janmantar ke sanskaro ko

bhasm kar diya ho aur vishuddh gyan se prakashit ho gaya ho to phir prashn hi nahi aayega ki hamara chhin liya kya bhram agyaan moh paap bhagwan kya chhin hain ye chhin hain nahi ladka chhin liya to bhram hi to tha tok wo tumhara putr hai bhagwan hi to aae the tum jaan paye kya tumhare karm ke bhog ko dene ke liye utne samay tak wo bhagwan hi andar aae hue the putr rup mein tum bhram se apna man liya ro baith ke tumhen bhram rulaega nahi mera aishwarya chhin liya to anant brahmand ka aishwarya kiska hai bhagwan ka hai munim ban ke rahte to theek se chal lete malik ban gaye to maya ne vidhvans macha diya ki maya pati to sirf phahi hai shri hari tu maya pati kaise ban sakta hai to mera beta beta ban ke rahta munim ban ke rahta to malik ki sampatti agar munim rahoge to ghata munafa mein saman rahoge hamen to payment mil rahi jo ghata par malik ka jo munafa ho malik to muni bane nahi kyonki ghata munafa ka tumhare upar asar ho raha hai tum harshit ho rahe ho shakit ho rahe ho

siddhant se samjhoge to bhagwan par kabhi dosh nahi laga paoge sachchi mane kya chhin liya hai jab kuch tha hi nahi mera to chheena kya kora ahankaar chheena hai hamara agyaan chheena hai hamara bhram chheena hai baat satya man lijiye bhagwan jaisa kripal koi nahi adhyatma jaisa koi marg nahi parmanand prapti ke liye adhyatma marg hai jab ham adhyatma marg mein chalte hain to ismen ek gupt baat hai ki anant janmon ke papon ko bhagwan bhasm kar dete hain par jo un janmon se paap karm ka phal nikaalkar is sharir ki rachna hui hai wo hamen bhogna padega kyonki ab hamari bhakti chal rahi sharir banne ke pehle jo hamare karm the unke anusaar sharir ki pure jeevan ka phal likh diya gaya hai itne samay ke baad yah rog hoga itne samay ke baad hath tutega itne samay ke baad akh hamare karm ke anusaar aur bhakti ab ham kar rahe hain to hamari bhakti piche ke jo karm sanskar jama hai unko nasht kar diya age jo karm sanskar bhakt hain isliye gande honge nahi agar bhul chuk se ho bhi jae to bhagwan use kshma kar dete hain

raat prabhu chit chuk kiye ki karat surat sa bar hi ki hriday se dekhte mera bhakt kshma kar dete par is sharir ka jo bhog aaya hai isko bhogna padega bade-bade santo mein dekho Ram Krishna Paramhans ji ke gale mein cancer tha har tarah ke bhog Shrivals ji ke angan mein khade hokar mahaprabhu chaitanya dev apne parikar ke saath kirtan kar rahe hain aur unka putr padhar gaya dasi ne kan mein akar Shrivals ji se kaha putr padhar gaya bimar tha padhar gaya u dobara awaz nahi mahaprabhu ke kirtan mein fark nahi padna chahiye va majeera jo ke aur jor se kirtan karne lage nachne lage mahaprabhu chaitanya dev ruk gaye unhone kaha Shrivals mera man kuch shushk sa ho raha hai koi ghatna ghati kya u kaha prabhu kya ghatna ghat sakti hai jahan aap mangal murti naam kirtan ho raha waha ghatna kya kar sakti tab kisi bhakt ne bataya ki Shrivals ka beta padhar gaya unka bataya kya bole prabhu batane ki kya baat hai aapka tha aapne use apni seva mein bhej diya aur jis jeev ko yah saubhagya mile ki aap swayam kirtan kar rahe hain aur wah

padhar raha hai iske liye to bade bade rishi muni yachna karte hain prabhu koi shokh ki baat hai yah koi dukh ki baat hai le wo aandit hai putr padhar gaye wah aandit hai us jeev ko jo saubhagya mila bade-bade rishi muni aisi yachna karte hain aur wah tha nahi mera aapka tha aapne bula liya aapne ab yah hai bhakti ka rang ismen kya chhin gaya jo ji jitne samay ke liye aaya utne samay tak rahega aur chala jaega yah sharir jitne samay tak ke liye pehle hi nirdhrit ho chuka hai iske baday chala jaega bhaiya agar vivek se

dekhoge to bhagwan ki kripa tumhen dikhayee degi avivek se dekhoge to lagega bhagwan ke saath hamne kya bura kiya jo unhone hamara chhin liya bhagwan spasht kah rahe hain avashya mein bhog tavy kritam karm Subha subham bhogna padega tumhen jo tum karm kar rahe ho ek upay hai aisi sharanagati prapt karo ki aham bhi samarpit ho jae to sab bhasm ho jaega abhi usmen pravesh hi nahi hua hai us sharanagati mein to pravesh hi nahi hua jise shuddh paramarth kahte uska kakra bhi nahi aata hai to voh baat to bani

nahi to isliye baat ko andar se hatao ki bhagwan chhin liye bhagwan kripa kar rahe hain sachchi mano hamare jitne karm agar ham par tut pare haan to ek shwas lene layak nahi ham aise aise karm kiye hain isliye bhagwan ki kripa manao aur bhakti mein age badho tab tum jab unchai par phucho phir dekhoge ki piche ki bhi baat ko to har kadam mein kripa dikhayee degi aapko oho bacha liya bhagwan ne kripa ki bhagwan ne agar hamare anukul parivaar milta anukul sampatti milti to bhogon mein fas jaata kabhi is anand ko prapt kitne kripalu bhagwan aapne mujhe wo diya hi nahi jismen fansa jaata hai mujhe diya hi nahi bade kripalu aapki ja aise manate abhi rag hai bhogon mein parivaar mein sansaar mein to hamen lagta hai ki bhagwan bahut bura karne wale hain ek aise hai ki jo unki zyada aarti puja karta hai usi ki wo dhul dete hain usi ko pitva dete hain usi ko kasht aisa nahi hai wo jo dikhayee aapko de raha hai wo isliye de raha hai ki ab akhiri hai anant janmon ka hisaab isi janm mein hokar khatm khel ab hamen prabhu ke paas

jana hai yah baat agar aap dekhoge to aap ro padoge ki jin karmon ko main lakho janm bhogta phir bhi nahi kaat pata unko bhagwan ne se chatpat thoda baad kasht deke nipta diya aur apne paas bula rahe hain bade kripal bhagwan hai to hamen to kripa hi kripa nazar aati bhaiya bhagwan par dosh karne ka to hamen kabhi samjhe mein nahi aaya agar aata to ham kah dete aisa kah dete ham hamne aaj tak aisa nahi dekha hai jab kabhi kahin koi hriday mein jalan hui to mere vichar ki kami hui mere aacharan ki kami hui mere bhagwan ki nahi sachchi kahta hoon unka aisa pyar hai unka aisa dular hai matlab karodon pran ho to bhi unke age balihar hai bhagwan ki taraf se to kripa hi kripa hai kripa hi kripa hai bolo hamare aise koi punya hai ki ham Vrindavan ane layak hai socho jara jis Vrindavan ke liye bade-bade mahapurush jo raj shiv sankaadik yachak soraj shish chadhau kishori tere charan ki raj pau bhala is raj mein mane layak shri Radhika kripa vin sabke manan agam man se bhi nahi soch sakte Vrindavan aap tan se aa Vrindavan aapke upar kitni kripa

ladli ki yadi wo chheenne wale hote to tumhen bhejte hi nahi yahan socho accha hanuman ji ko dekh kar ke vibhishan ji ke hriday mein bha ki ab mahe bhav bhros hanumanta binu hari kripa mil aap sant samagam mein baithe hain a bhagya sut dara dhan lakshmi papi ke ghar hoe sant samagam hari katha tulsi durlabh bhagwan ne chheena nahi aapko diya hai durlabh manushya deh durlabh satsang durlabh bhagwan naam yah sab diya hai aap dene par nazar karo jo chheenne ki baat kar rahe wah vinashi hai wah apne samay se nasht ho jaega use koi

chhinta nahi hai barfi rakh do jo bahut badhiya dikhayee deti do char din mein aisi phaphundi aur durgandh ho ja kyonki uska swaroop hi yahi hai khane kya dekhne layak nahi rah jaegi dekho ek samay chikne chapad bachchhe the jawan hue jhuriya par rahe marne ki dasha rahe yah bhagwan thodi kar rahe hain iska swabhav hai bhaiya phool hai phal laga paka gira khaya gaya mal ban gaya nahi khaya gaya sad gaya y yahan yah system hai parivartnshil vinashay yah system hai isko dosh nahi diya yah system hai har log ka alag-alag system

hai yah yahan ka system hai wahi tumhare saath jab ho raha tumhen lag raha bhagwan chhin rahe hain to yahan kuch avinashi ho to mujhe batao kuch a nashi prabhu ne avinashi chij tumhari chhin li ho to hamen batao jab bhagwan likh diye hain man lo aap jao kisi pustakalay mein aur kah do jara ek injection do tablet aur wo jara to kahega bhaiya likha kya hai dekh lo ismen bole pustakalay to bole aap maang kya rahe ho aushdhalay jaiye aap ismen bhagwan ne lebal mein likh diya hai dukhal asha shavam dukhal aur nashvan ab bhagwan ne kya chheena hai bhaiya ismen lebal lagi hui pehle padho jahan tum aae ho iska naam mrityu log hai ismen dukh hi dukh hai ismen sab kuch chhutne wala hai ab tum pakar ke baitho ki hamara na chhute to aaj tak koi aisa nahi raha ki jiska pakda hua kuch bacha ho sab chhut gaya hai sharir bhi chhut gaya hai kya mila naam param dhan Radha naam Kabira sab jag nirdhna dhanvant nahi koi dhanvant sai janie jake Ram naam Radha naam Krishna naam Shyam naam to bhaiya aapko prabhu ne diya hai voh data hai wo lene wale

thodi hai bhul se sarkari sampatti par kabja kar lo aur jab sarkari parsad aak chhudae tab aap gali do sarkar ko bha dekho tumhari bhul hai mapheenama tumhen likhna chahiye sarkari jamin par kabja kiye ho aur iske baad ja chudane aa rahe to aap gali de rahe ho to galti aapki ho rahi na yah sab kuch sarkari hai bhagwal ka hai seva ke liye mili yah gaadi bangla seva ke liye mili bhagwan ki seva karkar parivaar ki seva karke apne rim se mukt ho jao bhagwan ko prapt ho ab man liya apna chahte ho ki avinashi bana rahe to y kuch avinashi nahi bhaiya sab dhokha hi dhokha hai agar koi aap praman do kuch bhi avinashi ho to batao bhagwan bhi avatar lete hain to samay ke saath antardhyan ho jaate hain samay ke saath samay jitna lek aae utna hi jab bhagwan nahi zyada ruke samay ke age prakt avatar mein to ham tum kaise asha karen ki bhaiya mein sanjivni moor chata dena ki ham thoda nahi jitni ayu hai chathi rav ke an jo vidhna ne likh diye chathi rav ke ank rai ghate na til badhe rahre jeev nishank yahan jo hola hai wahi

hoga tum Radha Radha japo dharm se chalo jo saath hai unko lekar chalo jo chhute jae jai shri Radhe age badho yah maha prasthan leela hai agar y pakar ke baithe hamara ladka hamari patni hamari sampatti hamara sharir ham vidvan ham dhani baad mein rone ke siva hath kuch nahi lagega kyonki yah sab tumhara na tha na hai na rahega pakka kisi kale aisa hua shuddh baat samjh loge na to aandit ho jaoge aur natak baji se iska hal hona nahi hai natak mein natak kya gandi nali ke ha pani se hath dhog to pavitra thodi ho jaenge maya ka natak chal raha hai main aur mor tor ta maya ek matra bhagwan hai dusra kuch nahi maya hi sab kuch aisa dusra dikha rahe bhajan karo maya ka nash hoga to aap khud samjh jaoge koi nahi aap satya swaroop bhagwat swaroop hai aap koi manushya nahi hai aap koi jeev jantu nahi hai aap bhagwan ke ansh arthat bhagwat swaroop hai aap yahi to bhul gaye aur yahi yad aa jae to abhi mast ho jaoge abhi anand aa jaega koi tha nahi koi hai nahi koi rahega nahi ek hi tha ek hi hai ek hi rahega baat pakar

lijiye dusra tumne jo mana hai tum ra bhram hai isliye tumhen rona padega bhayabhit hona padega dukhi hona padega yahi to ho raha hai na

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…