Ramkrishna mission se aae pujya sant janon se sharnagti ki pushta par adbhut charcha !!
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
patit pavan sant bhagwan ki jai mere Shyam ho jaiye Swami guneshanand ji maharaj Ramkrishna mission se pujya maharaj ji aapke charnon mein sashtang dandvat pranam maharaj ji hamen kaise samjh aayega ki hamari sharanagati pusht ho rahi hai sharanagati tan vang manobhir amlai soham tav vashrit tan se man se vani se swayam se aur beech mein shabd hai amlai amlai mane kisi bhi tarah ki koi bhi susukh wanchha na hona vasna kamna hona sprah trishna yah mal hai. Bhoge hue bhog ko punah bhogne ki ichchha hona trishna hai. Sune hue dekhe hue bhogon ko bhogne ki ichchha kamna hai.
vasna rup mein jab bar-bar bhoga jaata hai to sanskar ban jaate hain. Vasna to durvasan mam sada parikarshati. Loktar ki kisi bhi prakaar ki shubh ya ashubh vasna ko agar ham sweekar kar rahe hain to wah mal hai. Bhagwat prapti shubh aur ashubh donon se pare hai. Shubh brahma ke dwara rache hue jitne lok hain. Ashubh brahma ke dwara rache hue jo narak aadi yantrana bhog hain. Bhagwat prapti brahma ke bhi upar ki baat hai. Jahan se brahma prakt hue hain. Us param tatv ka bodh ho jana ya uske prem ko prapt hona.
bhakti ya gyan tan man vani jab hamari amlai ho jae soham tava main to aapka hoon hi prabhu main tan man vani se alag hai ye matlab agar koi sansari vyakti prashn karta to isko dusri tarah se batte par apne log paramarth ke pratik hain. Apne ko samjhna hai ki tan man vani yah paramarth ki prapti mein karan matra hain. Karan matra yah main nahi hoon. Yah seva patr hai. Sharir man seva ka nischay manan swikrati chintan. To wahi char rupon mein varnan kiya gaya. Buddhi nischay man sankalp vikalp chitt chintan ahankaar kriya swikrati ya kriya bhogta susukh bhogta antahkaran ye main nahi hoon.
aur jo vani hai wah to ek indri hai hi lekin swabhav yah bhi maya janit hi hai. Prakriti ka swabhav racha hua hai. Tino ko pehle ham naam jap ke dwara sadguru ki bataai hui seva paddhti ke dwara jab hamara kuch hriday nirmal hota hai tab dikhayee deta hai ki tino alag hain. Hamari kamnayen inheen ko le hoti hain. Dhyan dena. Sharira abhiman mein hi sari kamnayen hoti hain. Main stri hoon, main purush hoon. Paraspat akarshan main amuk hoon. Mujhe aisa mujhe jitni bhi abhav sthiti hai abhav mein hi to maang hota hai.
wo inheen ko lekar ke hai. Sharir ko lekar antahkaran ko lekar swabhav ko lekar. Swaroop mein kabhi bhi abhav nahi hai. Jo hamara main swaroop hai kabhi koi maang nahi. Isliye jinko swaroop bodh ho jaata hai unhen kahte hain brahm bhut. Aur brahm bhuta prasann atma na sochti na kakshati sama sarveshu bhute sumat bhaktim late param wo brahm bhut mahapurush na kuch sochta hai na koi chah hoti bina soch aur bina chah ke kaisi paramanandmay sthiti hogi ye wahi janta hai jiski sthiti hai dusra nahi jaan sakta ya anuman se janne wali koi prakritik sthiti nahi hai ye chidanand sthiti hai.
ab jaise-jaise hamari sharanagati pusht hoti jaegi waise waise hamare hriday mein vikar ki bhavna khatm hoti jaegi kyonki jab tak main swikrati hoti hai tabhi vikaro ka samuday rahta hai aur jahan main ko samarpit kar diya jaata hai to jiske prati samarpit kiya jaata hai jiska chintan kiya jaata hai wahi hamare sadgun wahi swaroop ban jaata hai jaise bhringi naam ka kida dusri tisri jati ke kide ko lakar apne mitti ke gharaunde mein pack karke aur apna chintan karata hai dank marte hue to wo bhan bhan aisi awaz nikalta hai wo kuch hi samay mein bina sharir chode wo bhrangi rup ko dharan kar leta hai kida aise hi bhagwan ke ham ansh hain jab ham bhaywash ya preetivash jo sabheet awa sharnai rakhyo tai pran ki nai sansaar bhay se bhayabhit hokar traahimaam prabhu prabhu ki sharanagati ya preetivash ladlele aapke siva koi nahi hai main aapka hi hoon bhaywash ya preetivash jab ham chintan karte hain to jinka chintan karte hain wo nirvikaar satchidanandmay to hamara hriday nirvikaar aur satchidanandmay sthiti ko prapt jitne
jitne vikar kam hote ja rahe hain to aap bhagwan ke nazdik pahunch rahe hain. Aapki sharanagati pusht ho rahi hai. Jab tak aham bakaya rahega tab tak vikar pind nahi chhodenge samjh lijiye aham rupi ghar mein hi ye bahut sundar asan laga ke baithe hue kam krodh lobh moh mad matsar aur ye ahankaar antahkaran ki vritti hai aham antahkaran ye badi gupt sthan mein baithe hain jahan bahirmukh purush sansari to jaan hi nahi sakta usko to aisa pagal banae hue hain ki wo yahi sochta hai main bhog raha hoon main mujhe rasendriy maang rahi man ke saath milkar wo kah kah raha mujhe hi accha lagta hai.
netrendar maang rahi man mana khashtan indriyaan prakriti sthan wo sweekar kar raha hai. Main dekhna chahta hoon. Main sunna chahta hoon. Main main ye isi main ke dhoke se janm janmantar se bhramn ho raha hai is maya mein. Ab isko thoda sa guru kripa se algav jo hai use dekho. Jad chetan granthi par gayi. Yadyapi mrish chhutat kath to jaisejaise aap bhagwan ke sharan mein hote jaoge waise waise nishchintita aati jaegi. Koi chinta nahi matlab dhire-dhire chinta khatm hoti hai. Nirbhayata ye koi bhi kitna bhi bada mahan ho chahe dhan mein chahe pad mein chahe sharir bal mein buddhi bal mein agar wah bhogon ko bhogega agar wo andar se koi dharm virudh aacharan karega to bhayabhit rahega koi bhi ho koi bhi ho vishad yukt rahega shok yukt rahega chinta yukt rahega aur jab aap dharm purvak chalenge to aap chahe sharir bal na ho, chahe aapke paas dhan bal na ho, chahe koi pad na ho, chahe koi bhi sahyogi na ho, aap nirbhay rahenge, nishcint rahenge, nirvikaar rahenge.
aapke hriday ki sthiti sadaiv prasann rahegi. Koi bhi ho, koi bhi ho agar adharm aacharan hai to vishad hai, bhay hai, shok hai. Aapke andar ghbarahat paida kar dega. Man wahi jo adharm aacharan kiya hai. Jis sthiti mein tum sukh lena chahoge usi sthiti mein sanshay paida kar de. Pata nahi pad nasht na ho jae. Pata nahi sharir nasht na ho jae. Pata nahi jisse ham prem kar rahe hain wo dhokha na de. Pata nahi jo hamne dhan kamaya koi chhin na matlab itne wo andar tabhi to depression mein pahunch jaate hain. Jab adharmacharan ka sangrah ho jaata hai to man ki sochneey shakti negative hote hue itna gir jati hai bina bhay ke bhay bina vishad ke vishad aur agar ham dharm se chal rahe hain sharanagat hain to hamare andar nishchintita nishukta nirbhayata nirvikarta ye sthiti badhegi kyonki bhagwan hamare nirvikaar hain.
bhagwan sarvlok maheshvar sarv samarthyshali sarvatra sarvagya to nishcint ho gaye wo hai na hamare saath phir hamen koi dar nahi lagega phir hamen koi shok nahi hoga ye vastu nasht ho gayi haan wo anant bramhandon ko ek kshan mein rach deta hai mere liye ye sthiti usko rachne mein kitni der lagegi wo to anant mahima nirbhay ho gaya nishuk ho gaya nishcint ho gaya beprvahi adbhut masti sabse bada ye bhagwat anand hai jiske ke ek bund se aise maro na to jo kan nikelte hain us bund mein use siker kahte hain.
goswami tulsidas ji kah rahe hain jo anand sindhu sukhrasi siker tay trailok supasi jis anand sindhu ke ek bindu ke ek siker se pura tribhuvan sukhi ho wo anand samudra bhagwan jiske hriday mein sphurrit ho rahe aur jo apna sambandh unse dridh sthaapit karke jo hai usi mein tanmay ho gaya hai wo nirvikaar ho gaya jaise koi baman khana nahi chahega ulti kiya hua aise hi Bhagvdanand ka bhogta brahmaadik ke bhog visham lagat keval pravachan nahi hota hai yah keval updesh nahi hote jeevan ki sthiti hoti hai jab asliyat samjh mein aa jaegi to brahmaadik ke bhog sab visham lagat tae narayan brajchand ke lagan lagi ham usi sacchidanand se pyar karte hain par samjh nahi pate hain agar samjh theek ho jae sab rupon mein wahi bana hua hai ek ham bahuma abhi nirbhay abhi nirvikaar abhi nischit he parivartnshil nashvan sansaar mein ek hi baat hai tum is bhram ko chhodkar sacchidanand bhagwan ko prapt kar lo jo pad mila hai jo seva mili hai jo kartavya mila hai use bhagwan ki puja samjho dusron ka hit karo aur apne man aur
indriyon par niyantran rakhna sikho yah tum nahi ho ye tumhari maang nahi dusht indriyon ki maang hai aur dusht purush yadi hamse maang karen to wah dandniy hai sanyam niyam ke dwara inko pavitra dand se pavitra hota hai jeev. Jaise koi paap aacharan karta hai usko saja milti hai. Usko dand milta hai. To yah bada upkar hota hai. Wo pavitra kiya ja raha hai. Uske papacharan ki dhulayi ho rahi hai. To aise apni indriy aur man ye jo papacharan mein lage hue hain inko dand dena chahiye. Sanyam niyam ek bhajan mein kaha hai dekhna indriyon ke na ghode [gala saaf karne ki aawaz] bhage raat din inme sanyam ke kode lage.
dekhna indriyon ke na sarwendra jitni hamari jo indriyan hai wah bahirmukh hokar jo vishyon ka chintan karti hai inse bachna hai sarwatmana vish bahir indriyaan sadhu sadhak upasak dhyan de wo apni indriyon ko chhut na de de nahi to vishyon mein patit ho jaega gir jaega phir to ek kriya matra rah jaegi anand ki anubhuti nahi kriya ye sab kriya matra rah jaegi. Wo jo vastu hai jo anand hai wo nahi rah jaega. To pratiphal nirvikarta ki taraf hamare kadam badh rahe hain to ham sharanagati mein safal ho rahe hain.
agar sharanagati vachan se kah rahe hain vesh bhi hai aur ham vikaro ki taraf gir rahe to hamare ahankaar ki pushta ho rahi hai. Dehabiman pusht ho raha. Sharanagati mein kahin na kahin dosh hai. Abhi nirdosh sharanagati nahi hui. Phir bhi yah hui vyakhya phir bhi jaise hain ham waise prabhu ke hain. Yah mankar agar ham ar bhav se pukare to jan avgun prabhu man na kaun din bandhavti mrid wo pyar ke samudra hain wo hamen kshma kar denge aur hamen sachchi sharanagati pradan kar denge. Hamen savdhaan rakhna hai kyonki jab koi chadhai par chadta hai to usko phislane ke liye bhi vyvastha hoti hai.
dhyan rakhna yah chadhai hai. Anant janmon ki bigdi baat is janm mein hamen banani hai. Manushya sharir mila hai. Kyonki tum ab pran pati ki prapti ki chah kiye ho na. Ab dikhao tum ki prabhu ki chah sachchi hai ya kacchi. Ab tumhare samne wah bhog bhog aa gaya jiski tumne kalpna ki thi. Jab samne wah bhog aaya aur tum usmen to tumhari chah jhuthi thi. Ab lago usi mein jab isse chah hategi tab wo chah phir denge wo malik. Isliye bahut badhiya avsar mila. Manushya sharir, satsang, sadhu sang hamari samjh mein aa raha hai ki ham marenge.
yah baat sabko achchhi nahi lagti sunne mein par suno ham marenge. Aaj ya kal kuch pata nahi. Phir tumhara pad, tumhara rupya, bank balance yahan tumhare bahut mitra, tumhare sage sambandhi, tumhara sharir sab yahi jaega. Keval aap duniya mein lakho ka mela juda. Hansa jab jab uda to akela uda. Aapka karm keval aapke saath to chaturi karo. Wo chij kamao jo tumhare saath jae. Yah sab karte hue bhi Radha Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna Krishna jo Gurudev ne marg bataya hai har kshan vikaro se ladna hamari sadhna hai.
jaise grahasti mein to dharm yukt bhog bhogna atithit seva karna paropkar karte hue bhajan karna wo bhagwat prapt ho jaega. Virakti mein hai bilkul line khinch di. Sangam tajet mithun naam mumuksho sarvatma banddrayan ek charnit man te se yujeet tad vritt sadhus chet prasanga sobhri ji jo machhli ke sambhog ko dekhkar maithun ko dekhkar 50 byah kiye aur ek din baithe the tab socha meri sthiti kya thi main ek darshan se kahan bhrasht ho gaya tab unhone virakto ke liye shlok likha hai sangam tajet mithun vana mumukshu ai mumukshu ai mukti prapt karne wale upasak vairagya bhav mein jo chalne wale hain dhyan se suno sangam tajet mithun naam mumukshu jo maithun dharm
se yukt prani hain jo isi sukh ko sarvshresht man ke bhagwat vimurkh hai bhulkar bhi sang na karen kyonki paramanu hote hain jaisa ham sang karenge vaisa hi rang chadega agar ham adhik sang vishay purushan ka karen unke saath khana pina baithna uthna to hamare andar vishay paramanu hi aaenge sangam tej ek machhli ko krida karte dekhkar jo vighna se rahit hone ke liye jal mein samadhi lagakar baitha tha mahatma samadhi bhang hui dekha machhli krida kar rahi maithun kar machhli mein kaun rup kaun sa ang pradarshn hai unko laga ismen sukh hai paramatma sukh ka lakshya karne wala maithun sukh ki taraf akarshit aur raja mandhata ke paas jakar 50 putriyon se byah kiya mahan tapasya ke dhani the.
bole hamara byah ki ichchha hui hai. Mandata se kaha apni ek Rajkumari se hamara byah karo. Haddi haddi hai jal mein rahne se durgandh aa gayi jaise machhli ke aise sharir mein aur na karte to brahm rishi shraap de denge. To unhone kaha maharaj aapko jo kanya prasann kar le aap sweekar kar lo. Main aapka sevak aap aur wo samjh gaye ki hamen kaun se wo rup dharan kiya ki 50on le jakar kaha 50on se byah kiya. Tab unhone kaha ki kitni badi chuk ho gayi mere se. Grahasti mein jana koi chuk nahi hai.
par virakta hokar grahasti mein jana chuk hai. Aap marg kaun sa chayan kiye hain? Phir grihasth mein rahkar dharm yukt bhogon ko bhogte hue prabhu prasad mein wah bhagwat prapti ka marg hai. Lekin virakta nivitti marg mein hokar ab bhagwat prasad keval utna hi jitne se hamare prannon ka poshan ho jae aur sab indriyon par sanyam karke ham bhagwat to hamari nirvikarta badhe ham par kripa hai. Yah hamari sharanagati hai. Hamen bhog samagriyon ki bahulyta mile mera durbhagya hai. Bhog samgri mujhe priy lag rahi hai.
mera durbhagya hai. Bhog bahulyta badh rahi hai. Mera durbhagya hai. Isliye bahut savdhaan hote hue sharanagati ko is baat mein dekhen ki hamare andar nirga chah nahi hai. Pura vishv gher le. Pure vishv ki bhog samgri chah nahi kuch nahi bigdne wala. Chah hai to ek kamdal ek langoti bhi fansa degi. Gati mein wah bhi badha pahuncha degi. Isliye hamare andar keval yah baat rah jae ki mere Swami prabhu ke siva aur kuch nahi hai mere paas. Wahi mere jeevan dhan mein kai bar sharanagati usmen kaha ajat paksh matram khga jaise chhota sa bachchha pakshi ka ghonsle mein baitha hai par pankh nahi hai ud nahi sakta wo keval apni maa ki bat jodta hai aise mein apne keval prabhu ki bat jo hai nath mere banae na banegi koti kalp lo aapke banae Radha Radha Radha shant jo vishay tyag ka ham bhash dharan kiye jo vishay tyag ka uddeshya liye hamen usi mein dridh rahna hai ham pran tyag sakte hain lekin kumar margagami nahi ho sakte.
galat kadam nahi rakh sakte. To phir chahe grihasth ho, chahe virakta ho, ek seemaen banai gayi marg ki. Agar aap idhar se jane wale marg se raftar se gaadi laoge to kitne logon ka nuksan hoga? Aapka bhi nuksan ho jaega. Nahi ho jaega. Kyonki aap ulta chal rahe ho na. Marg sarkari marg nahi bane. Aap idhar se jaiye. Aap idhar se jaiye. Beech mein divar rakh diye. Aise hi bhagvatik marg mein aise rakh diya. Yah grahasti marg hai. Ye virakti marg hai. Aap apne marg se jaiye. Aap apne marg se donon lakshya ko prapt ho jaenge.
aap apne marg se bhrasht hue to aap galat. Aap apne marg se gire to galat. Aur donon marg wahin ja rahe hain. Prabhu ke charnon mein hi donon ki purnata hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…