jab Advocate ne pucha hamare Profession mein agar jhooth nahi bolenge to Success nahi milega !
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji is propheshan mein adhe se zyada jhooth hote hain wakil hai maharaj ji agar ham sirf satya ki raah par chale to ismen sakses na ke barabar hai kripya margdarshan karen maharaj ji waise matlab kai bar aise bade-bade wakil bhi aae jo hai court supreem court to sakses shabd ka arth kya hota hai ham aapse puchna chahte hain aapke dimaag se ki aapne sakses shabd ka arth kya liya hai aapne kis bhavna ko sakses mana hai aap bolie jo kes main lad rahi hoon usmen safalta nahi milegi maharaj dusra yah ki parivaar ka bharan poshan nahi hoga donon baten dekhni hai ki yadi hamara hriday kahta hai ki ye aadmi aparadhi hai aur nirdosh ko fasane ke liye mujhe wakil banaya aur mujhe 5 lakh rupya dega 5 lakh se ham parivaar ka poshan karenge toy sakses nahi hai apne hathon se apne pair katne hain hamari sachchi baat man lena agar aapko pata hai phrad hai yah mukadma phrad hai yah aadmi adhami hai aur mujhe bahut paisa dekar ke aur mukadma mein jit gayi aur nirdosh ko saja hui to aapne apne
aap ko bilkul mitane ki tayyari kar liye bura na mana jae jo agar hamse prashn kiya jaata hai to ham jo shastr sammat hai wah kah rahe hain agar aapko pata hai ki dhan se hi keval parivaar ka poshan hota hai to yah bhram chhod dijiye bahut se dhani aise hain jahan vidhvans bacha hua hai bas yah baat dhyan rakho ham hriday ki baat kahte hain aap sab hamare parivaar ki tarah ho mana ki aapko 500 rup milega 5 lakh nahi milega par 500 ki jab rup ki sabji lekar jaoge aur ek kilo ata ki roti bana ker paoge to sab chain
se sukhi rahenge aur aapki buddhi badhiya kam karegi aur jab sharir chhutega na to aapko achchhi gati milegi aur agar yahan dharma aacharan karke bahut rupaye kama liye to lautkar parivaar mein piche mud ker dekhna ashanti aisi badhti chali jaegi ki rupya shanti pradan nahi kar payega aur aapko pashchatap hoga ki maine galti ki aur uska mujhe bhog isi janm mein mil raha hai ye to byaj hai parinaam age jab ham jaan rahe hain nirdosh hai aur hamari vani ke prabhav se yah mukt ho jaega aur wo phas jaega nirdosh fas jaega aur jiska ham paksh le wo to phir ham aparadhi hue na bas meri prarthna hai kapde saste pahno roti bhale aap do ki jagah ek pake ji lo nirdosh ko fasane wali vakalt nahi honi chahiye adharm hon ko paksh lekar ke apna to mujhe lagta hai ki aisa saksesphul jo jo bhi kaha jaata ho usko Hindi mein kya kahte hain unnati unnati unnati aisi hamari unnati kabhi na hoe bhagwan aisa manao unnati ho to aapko dekhkar hoti rahe aap dharm swaroop ho he bhagwan mujh mein aisi samarth do main dharm se chalu
bhale kasht paun dekho Sudama ji dharm se chale Dwarika Puri jaisi sudamapuri antim hui yudhishthir se chale banvas kasht bhog rahe hain Hastinapur ka chakravarti samrat unhin ko prapt hua Duryodhan ko nahi mujhe aisa lagta hai shastron ke swadhyay se santo ki kripa se aur apne kuch hriday se bhi ki adrma aacharan kabhi bhi kisi ko sukhi nahi kar sakta hai haan agar satya aapko samjh mein aa gaya hai kya ab ye nirdosh aur mujhe bachana hai to aap hazar jhooth bol doge to bhi wo aapko paap nahi lagega kyonki nirdosh ko bachana hai aise point rakho pata hai nirdosh hai bhale va paise kam de lekin ham mukadma nirdosh ka hi lenge par aisa ho sab kahan chal payega sansaar ka s wo jo kah rahe unki baat bhi ham samjh rahe hain par hamen jab aapko laga bhagwan ki aapke upar itni kripa ki aap sant samagam mein aae hain to aapko asliyat to pata chale na ab jo becharey hain sab kuch arth hi hai pranam hai bhagwan jaise chalae par aap bhagyashali ho jab ka din dayalu rag ho to sadhu sangati paie aapko yadi sant sang mil raha hai to
aapka jeevan alag hona chahiye aapki unnati ka swaroop hai dharm se chalna to accha aap arth nahi kama pa rahe lekin arth aapka piche nahi chhodega parivaar ke aise sadasya tayyar ho jaenge mujhe lagta hai aaj aapka samay kamzor chal raha hai agar aap dharm se chaloge to kal aapka jordar samay hoga aur aaj jordar chal raha hai adharm se chal rahe ho kal aap khali ho ga dekh lena kal aapke hath mein kuch nahi milega dekh lo aap dekh lob jaise kabhi-kabhi sunne ko koi to aap dekh lo na aap to sansarik samchar sab sunte hain dekh lo unmein aapko pata chal jaega itni unchai aur itni li chai kuch nahi to yah beech ka khel jo hai bada gadbad khel hai hamara yah antim sharir nahi hai hamen phir janm lena padega yadi ham chuk gaye to ham akhiri unnati tak ko dekhe na abhi vartman ko keval dekhe aaj to ham rabri ras gulla kha rahe hain buddhiman wah hai ki aaj ka nahi dekhta kal kya hoga hamen kal ko bhi dekhna hai na to sharir hai tab to theek aur jab sharir chhutega tab jo kiya uska hisaab us par bhi to thoda buddhi dauda nahi chahiye to
jab us par buddhi rakhoge to adrma aacharan nahi karoge bhay lagne lagega aur jab bhagwan dete hain na to kahte hain na bhagwan dete to chhappar faad ke dete dehati bhasha mein kahte aur jab lete nahi to bas yah baat dhyan rakho agar wo denge to aisa putr ho jaega aisa parivaar ka koi sadasya ho jaega ki jaisi tumhari bhavna thi wo pura kar dega aur agar ham adrma aacharan karenge to na idhar shanti na udhar shanti matlab yah hamne shastr sammat baat kahi hai hriday mein isko utarie anand ka anubhav hoga bakaya vihaar mein hamari baat nahi mani jaegi ye ham abhi kah rahe hain bhai ab usko jaise bachchha nahi bo piche wale usmen ki agar ham 2000 wala mobile rakhte hain hamare mitra jo hai chhote-chhote bachchhe aeepho kya hai ai kya kahte ai phone rakhte hain to bole hamari beijjti hoti hai ab aise hi lagta hai ki main bhi to wakil hoon sabab gadiyon se chal rahe ho ham skuti se chale sabka aise to lagta hai ki yar kya jaata hai bas kya jaata hai main unko dekhkar nahi chalna voh hamari baat ko nahi manenge aap
kripa patr ho aap samjh lijiye bhagwan ki kru pa se kuch durlabh nahi rahta aur bhagwan se vimurkh hone par kuch hath nahi lagta karke sab dekh lo aur tumhare samne hi tumhari halat aisi ho jaegi tumhen lagega ki galti ki ab kya wo to phal aa gaya ab phal to ab to vidwans vinashi ho man jao meri baat man jao dharm se chalo bhale namak roti khaoge chain se nind ki goli le leni padegi aram se so jaoge apne bachchon ko dekhkar sukhi ho ga unka swasthya theek hoga unki buddhi praveen hogi galat unki aadat galat hogi wah jalaenge raat din tumhen jalaenge tumhen lagega jinke liye main sab kuch kiya wahi mujhe tras de rahe hain aur antim parinaam tumhara accha nahi hoga yadi hamse adrma aacharan hi hote rahe to hamen bhagwan ka aashray lekar jahan tak ho sat marg mein chale agar kisi achhche aadmi ko bchane ke liye hamen 100 jhooth bolni pare to ham usmen dab nahi usko bacha lenge aur kisi bure aadmi ko bchane ke liye agar hamko lakho mile to ham unki taraf dekhenge bhi nahi aisa yadi chalenge to bhagwan ka
bal mil jaega bhagwan ka sahyog mil jaega yah dekhna hai ab yah vichar karke chale
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…