ekantik vartalaap evam darshan #252 · 20 july 2023
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Rahul ji durgapur se param kripalu Gurudev bhagwan aapke charnon mein koti-koti naman guru ji aapki kripa se jo man mein bhav bane maine apni mata ji ko galti se bata diye maharaj ji baad mein ehsas hua to bahut haan dekho batana batana koi khas hani ki baat nahi hai garv purvak batana khas baat ho jati hai hani ki jaise hamen koi baat aapko support karni hai aap kah rahe bahut dukh mein hai jab ham kahte dekho bhai hamari kidney kharab hai bhari se bhari kasht ek paisa nahi tha bhojan nahi tha koi dekhne wala nahi tha us kasht ki sthiti mein bhi aisa to ye ham ahankaar janit nahi kah dekho is dukh mein bhi bhajan ho sakta hai.
is dukh mein bhi anand se jiya ja sakta hai. To jaise maa hai ham usko bataya dekho waise to ham agyani jeev par guru ji ka jab satsang suna aur naam jap to mujhe aisa aisa aisa anand agar aap bhi jap karo to aapko bhi anand milega. Ahankaar rahit hokar yadi unke mangal ke liye ham apni koi baat bata dete hain to usmen aa nahi hogi aur apna mahatva rakh ke jab kahenge to antardhya ho jaegi wo baat kyonki wo tumhari baat nahi thi to kripa se ai thi hriday mein samjh rahe ho na to agar aham yukt hokar rahoge to phir wo hat jaegi.
aham yukt nahi hai to aur badhegi. Dekho hamen naam jap karne se bahut anand milta hai. Aap bhi naam jap kijiye. Ye ahankaar purvak nahi aapko sukh dene ke liye to baat chal jaegi. Aur agar yah baat hui aham pusht karne ke liye to naam jap kar hi nahi paoge. Dekh lena man vishyon mein bhatakne lagega. Man tumhen ghasit lega. Isliye kaha jaata hai ki naya sadhak apne manobhavon ko gupt rakhen kyonki aam mita nahi hai. Kahin aisa na ho ki gadbad ho jae. Aur agar wo paripakva avastha aa jati phir ek bar chana bhun jae phir wo jagne layak nahi rahta.
ek bar bhagwat anand ki anubhuti ho jae phir ahankaar sphurrit nahi hota. Phir bhagwan ka hi kripa prasad sphurrit rahta hai. Isliye kaha jaata hai gupt rup ka koi hani ki vishesh baat nahi hai. Aham ko mitane ke liye kaha jaata hai ki aap kahin apni aham ki vritti ko punah pusht kiye to yahi aham hi hamen agyaan mein fansakar nana prakaar ki chintaen dukh klesh ahankaar ye sab isliye bhav se maine kaha tha ki meri mummy mere bare mein accha soche bhav nahi haan ye to galat hai. Theek haan yah mere bhav mein koi mere liye koi accha soche yah aam ki pushti hai meri mummy agar yah baat samjh jae aur aise hi sukh mein nimgn ho jae yah baat alag ho gayi main haan jahan apne prati haan to ye badi abhi kripa hai jo aap apni baat ko samjh rahe ho apni galti ko ye adhyatmik sukshta hai haan bhagwan se prarthna karo dhire-dhire aham galit ho jaega avni pande ji vansh ji aap lal liye khadi rahte ho kya?
dikhao. Haan, pehchan mein aa gayi ho. Subah-subah jab wahan khade rahte ho. Haan ji. Gurudev bhagwan aapne satsang mein kaha hai ki hamen apne mata-pita ke charan sparsh karna chahiye. Parantu mere mata-pita mujhe charan sparsh karne hi nahi dete. Mujhe kya karna chahiye? Bhav se aise aise charan sparsh kai tarah se hota hai. Ek hota hai sparsh karke karna aur ek hota hai bhav se sparsh karna. Naman kiya aapne dur se bhi matha rakh ke naman kiya jaata hai. Hath jod ke jhuk ke bhi naman kiya jaata hai. Aur kabhi-kabhi netron se man hi man pranam bhi kiya jaata hai.
matlab aisi koi paristhiti hai to guru hi pranam man hi man ki haan bhagwan jab ajo uthane ja rahe to guru hi pranam man hi man man se bhi pranam hota hai tan se bhi pranam sashtang aur kai tarah ki mudrae to agar sparsh nahi karati to man se pranam kar liya aise. Theek hai? Par bahut achchhi baat hai. Tum hamari baat suni aur uske liye prashn kiya. Isliye to waise to bhagya to tumhare hain. Roz khadi milti hai wahan. 3:45 baje jab ate hain ratri mein roz khadi milti hai. Shri Harivansh charan sharan hamari to gaur se isliye dekhte hain bachchhe hain na chhote-chhote.
use tumhen nind nahi aati. Pau:45 baje bachchon ka jag ke upajte pau:45 baje 88 baje tak jo jawan jawan hai sone ka abhyaas dal rahe hain. Chhote ye to bachchhe hain. Inka sona koi nishedh thodi kabhi bhi so jae kabhi lekin wo khade hain. Varsha ho rahi to bhi khade hain. Isko kai bar dekha hai thakur ji ko aise lage shri Harivansh charan ye hai purv bhajan. Purv mein aisa bhajan hua. Aise mata-pita mile, aise sanskar par rahe hain to jeev ka manav jeevan sarthak ho jaata hai. Chahe stri sharir mein chahe purush bhagwan ko stri purush se nahi dandkaran ke rishiyon ke yahan kisi ki kutia mein nahi gaye.
Sabri maiya ke ghar gaye nahi Shabri maiya ke ashram jo pyar Shabri maiya ko diya bhagwan ne wo wahan ke kisi bhi rishi ko nahi mila. Kyonki maiya ne guru bhakti dikhayee. Jo guru bhakti guru vachan bhagwan bik gaye. Sab wahan Sabri ka anadar karte the. Chu na jae aisa vaisa bhagwan ne sabko ek taraf kar diya maiya ke paas baithkar unke ber paye yahi bhagwan ki kripaluta yahi mahanta dekhkar apne sabke man mein utsah aata hai ki mere upar bhi kripa ho jaegi nahi to kahan unke kahan bhagwan aur kahan ham unke layak kahan aruna ji Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti charan vandan maharaj ji hamare is tan mein jo atma hai wo kaun kaun hai?
kahan se ai hai? Us atma ka mul sthan kahan hai? Naam jap karo. Naam jap karo. Bhagwan ke charit suno. Bhagwan ke charit gao. Ghar mein thakur seva virajman karo. Sundar-sundar bhojan bankar bhog lagao. Aarti karo, pranam karo, naam kirtan karo, parivaar ko bhagwan ka bhav rakhte hue seva karo. Isse sab jaan jaoge. Jisse jana jaata hai usko buddhi kahte hain aur buddhi se jo bhi jana jaata hai wah sab prakriti hoti hai. Wah prakriti aur buddhi donon ka Swami hai. Donon ka prakashak hai. Wahan tak pahunchne ke liye varta nahi hai.
upasna hai. Bhajan karo. Ham sab unhin ke ansh hain. Wahi atma hai. Wahi paramatma hai. Jeev dehabiman ke karan vilag hokar bhogon mein bhtak raha hai. Naam jap karo. Naam jap yah wah vastu nahi hai. Ki buddhi se jani ja sake anubhav gamya bhaj je santa sharir ko main manne wale indriyon ke bhogon mein sukh dhundne wale bhala bhagwan ki us mahan vritti ko kaise jaan sakte hain jo sarvatra sarvagya sarvshaktiman sab mein ek ras virajman hai wahi hamari atma hai wahi hamara swaroop hai kaun hai kahan se aaya hai kahan ko hai na ana hai na jana hai wo wo kan-kan mein sarvatra virajman hai.
koi kshan aisa nahi jahan wo na ho aur koi kan aisa nahi jahan aur na ho. Uske siva aur koi hai nahi. Jo aur koi dikta hai wahi bhram aur maya hai. Ham aur tum main aur tera isi ka naam maya hai. Isi ke mitane ke liye naam jap karo. Jaisa bataya waise sadhan karo. Phir dhire-dhire bhagwan apna prichay de denge. Aap bhagwat swaroop hain. Samudra mein tarang uchal rahi hai to tarang ki koi satta nahi. Wah samudra hi hai. Vayu vikar ke karan tarang hai. Aise hi ham deh bhav ke karan bhagwan ko jaan kahan se aae? Bhagwan ko kisne banaya?
kaun ye sab baten hain. Radha Radha Radha Radha japo. Agar kahara aur matra seekh jaoge na to har itihas padh loge. Aise hi agar naam japna seekh gaye bhagwat ashrit ho gaye to sab gyan ho jaega. Bhagwan ke naam japne mein sab gyan samaya hua hai. Aur bhajan nahi karoge to kya jaan paoge? Kahan se aaya hai, kahan se jaega, na ana hai, na jana hai. Ane jane mein jo fanse usi se mukt karne ke liye sadhu samagam mila hai. Aur usse mukt hone ka upay hai nirantar naam. Naam let bhav sindhu sukhah karo vichar sujan man mae.
jo nirantar naam jap karta hai ye maya samudra sukh jaata hai. Hai hi nahi. Bhajan na kare to baton se uska anubhav nahi hota. Baton se kal par vijay prapt nahi kar sakte. Paro pravah kal ke kadpi chhut hai nahi. Vyas nand naam jo pratit so narat vishwas purvak prabhu ka naam jap nahi karoge to sab bakwas rah jaega. Baton se priti nahi hoti. Baton se brahm gyan nahi ho jaata. Baton se apne swaroop ka anubhav nahi ho jaata. Khub bhajan karo. Bar mathe ghat hoe varu sikata te varu tel binu hari bhajan na bhavatri ya siddhant apel balu ke perne se bhale tel nikal ave pani ke mathne se bhale ghee nikal ave asamabhav par aisa bhale ho jae par bina bhajan ke is agyaan samudra se par nahi hua ja sakta chahe purush napunsak nareeva jeev charachar koi sarv bhav bhaj kapt taji mohi param priy soe bhajan bhajan bhajan bhajan ke bina kuch nahi bhajan nahi to sab bakwas badi-badi gyan ki baten karte raho aur malmutr dhari sharir ki hi asakti bani rahegi kya hai mutrashay
malashay chamdi se dhaka hua ye ganda sharir kya hai ismen idhar se dekho durgandh idhar chhidko to gandagi muhn se thuko to gandagi gandagi ka ghar bhajan ho jae bhagwat prapti ho to yah divya man liya gaya durlabh manush dev ab baat karen ham gyan ki asakti hai bhogon mein sharir mein main stri main purush main karta main bhogta kaise us atma swaroop ko jaan paoge isliye Ram Krishna hari jo naam Gurudev ne diya ho khub japo dainya bhav se bhagwan ki aradhna karo wo swayam aapke hriday mein baithe hain wahi jana denge swai jane je dehu janai phir jaan gaye to phir baat samjh mein buddhi se nahi jaan sakte buddhi samarpit karne se man aadat ma buddhim niveesh bhagwan kah mere mein man samarpit kar do mere mein buddhi samarpit kar do tum mere mein hi nivas karoge jaan jaoge mujhe ji seetamai vihar se kishoreeshran ji maharaj haan dandvat maharaj Radha shri maharaj ji kuch santo ka kahna hai ki naam jap vyakulta ke saath hona chahiye to wo vyakulta kaise prapt hogi ye naam jap hi vyakulta paida kar deta hai naam
jap hi vyakulta pe ham pehle japte hain naam to hamare hriday mein pehle jalan hoti hai. Yah anubhav ki baten hain. Jab ham naam shuru karte hain japna to man vishyon mein bhagta hai aur hriday mein jalan hoti hai. Wahi jalan paap pravriti ka nash karti hai. Papon ka to nash aise hi ho jaata hai. Hansi khel mein naam ucharan karen to paap nasht ho. Jab ham naam jap karte hain, hriday mein vishay akarshan hai aur ham adharm yukt vishay nahi bhogte hain. Hriday jalta hai to us tap mein hamari paap pravriti nash hoti hai. Jaise-jaise tap badhta hai to anarthon ka nash ho jaata hai.
anarth karne wali pravrittiyon ka nash ho jaata hai. Ab dhire-dhire naam mein ek ruchi prakt hoti hai. Jab ruchi ke saath naam japna shuru kiya to wo rup prakt karta hai. Aradhya dev ka. Ab vyakulta paida ho jati hai. Ab vyakulta mein jaise naam jap ka matlab hai ar bhav se pukarna. Radha Radha Radha jab bharat ji bolte Siyaram to pura Chitrakoot premay ho jaata hai. Mahaprabhu chaitanya dev hare Krishna hare Krishna o krishnamay wo naam japte japte vyakulta aati hai. Naam japte japte kuch hamen age ki chinta nahi karni.
age ek shishya yamuna snaan karne jana chahte the. Andhera tha to guru ji ne ek torcha di chhoti si. Wo timtim bas aise pair ek pair dikhayee de. Bole guru ji itni badi rasta kaise isse tay hoga? Bole ek pair dikhayee de raha hai na usmen pair rakho. Agla kadam ke liye prakash hai. Phir agle kadam ke liye prakash hai. Ham log kya hai? Bahut unchai ki baat ko sunkar ke pareshaan ho jaate hain ya nirash ho jaate hain ki yah baten to koi bahut bada avatar siddh mahatma aisa ham logon se kaise hoga? Nahi nahi ek kadam dikhayee diya na bas us par pair rakho tum tumhen wahi kadam lakshya tak pahuncha dega.
Radha Radha jo guru ji ne naam diya hai na jaise bhav kubhav anakh alas ho. Abhi hamen yah nahi dekhna ki vyakulta purvak wo age khud paida kar dega. Vyakulta kahin bazar mein to milti nahi hai na. Yah vyakulta to naam hi dega na. Jaise-jaise naam japte jaate hain, hriday nirmal ho jaata hai, nishpap hone lagta hai. Tab apne pyare ki bhavnamai jhalak ane lagti hai. Yah wahi upasak janta hai jo jap karta hai. Bhavna ab usko ab to jiya nahi ja raha uske bina. Ab wo pukar hoti hai. Ab uska jap nahi ho raha.
ab wo pukar raha hai. Kabhi aansu chal rahe hain, kabhi vikalta ho rahi hai. Kabhi shant baitha kisse apne dil ki baat kahe? Har samay bas wo vyakulta hi vyakulta uske andar antarda dav lagi rahe dhua prgate koi kah jane dil apno ya jasir biti hoe. Virah kamdal kar liye bairagi do nain mangat darsh madhu kari chhake rahat din na kahu so bolbo na koi vihaar bas apni kunwar kishori ko jayat nihar nihar bas usko aur kuch par yah sthiti hai sthiti ye bhajan se hi ai hai. Sadguru ke charnon ka aashray lekar bhagvatik upasna ke anusaar dharmaacharan karte hue jab ham naam jap karte hain to naam hamen bhumikaon mein pahunchata chala jaata hai.
ab vyakulta aur rote hue naam pukarne ka matlab bas bhagwat sakshatkar hone wala hai. Binu roye kin pya prem piyara mit to rud suram rajan Krishna darshan lalsa to tasa Mahavir bhut chhori samay man mukha Pitambar dhara sagwi sakshat manmat manamta karod karod kamon ko murchhit kar dene wale shri lal jo maharaj ke liye jahan roro ke pukarna shuru kiya to usi samay prakt ho gaye gopi janon ke to matlab ye to bhakti ki charm avastha hai ki asuon se bhigo bhingo karke naam pukarna par iske liye hamen hamen ghabrana nahi ki ye to unchi sthiti kaise aayegi?
yahi se aayegi. Jahan se ham chal rahe hain bas chalte rah. Bhajan apne aap rang la dega. Sab sthitiyan isi bhajan mein samai hui hai. Sachchi baat samjh lena. Kisi anya sadhan ki aur avshyakta nahi. Aap naam par dhyan dijiye. Yahi sari sthitiyan prakashit kar dega. Goswami tulsidas ji kahte hain ki bhagwan shankar ko sakshi karke kahta hoon meri jibh gal jae jo main ek bhi akshar kuch mithya bolun. Yah ra aur maa ye do mere mai bap hai. Inheen se jo kuch prapt hai mujhe isi se prapt hai. Do akshar jo kuch prapt hai mujhe isi se prapt hai.
bilkul pakki baat samjho jiski baat ye samjh mein aa gayi ki naam se sab kuch to lok parlok jo chahoge sab sthitiyan aa jaengi. Chahe Bhagvati ki sthiti chahe laukik sthiti sab naam bas itna naam jab karo ki pehle tumhare paap nasht ho jaen. Purv paap jo kiye hain wo jo tumhen dukh dene wale pehle naam unko mitata hai. Isiliye jaldi samjh mein nahi aata. Bole ham to char mahine se jap kar rahe hain lekin koi hamen labh nahi mila. Labh ye to amog sacchidanand mein prabhu ka naam hai. Bina labh kiye rah hi nahi sakta.
par labh kiya hai. Tum agyani jeev ho. Tumhen piche kar tum chahte ho vartman mein bhog mile. Yahi labh hai. Nahi nahi wo apna tumhare chahne se nahi. Dawa apna kam apne hisaab se karti hai. To naam jo hai yah bhavar rog ki achuk aushadhi hai. Pehle tumhare papon ka anarthon ka nash karegi. Dhire-dhire ruchi paida hogi. Naam gane sada ruchi aur phir aa jaegi vyakulta. Aur jab vyakulta ai, lalsa ai to bhagwat prapti ho gayi use. Lalsa ana durlabh hai. Bhagwat prapti durlabh nahi. Rakesh bharadwaj ji Radhe Radhe Radhehe maharaj ji Radhe maharaj ji bhagwat prapti ke liye nishkam karm ki bhi avshyakta hai nishkam karm se hi bhagwat prapti hoti hai nishkam karm ki avshyakta nahi nishkam karm se hi bhagwat prapti ki hoti hai lekin nishakmata bazar mein thodi milti phir wahi kaha bhajan se aayegi nishakmata jaise hamare man mein hai ki hamara sharir svasth rahe hamen ichchhit padaarth bhogne ko mile.
jitna ham soch rahe utna dhan to hona hi chahiye. Hamare mitra hamse kapt chhal na karen. Hamare parivaar ke log jaisa ham chahe waise chale. Hamse pyar karen. Lagbhag lagbhag sabki yahi kahani hai. Agar aap dekho maansikta to chhoti-moti mila ke total mein yahi aayega. Nahi aayega. Ye hai kya? Ye maang koi satya maang hai. Inme se ek bhi sharir kitne din ke liye aaya hai? Tumhen pata nahi. To is sharir ke liye to sari maang hui na. Anukulta ki maang hui na. Ab mere prabhu anant janmon se tumhen dekh rahe hain.
kahan-kahan gaye ho, kya-kya manga hai, kya-kya bhoga hai. Par aaj tak tumhari tripti nahi hui. Phir bhi wahi maang hai jinme tripti nahi hui hai. Jab ham prabhu se judte hain aur ye mange rakhte hain to jab wo kripa karte hain to nahi puri karte. Par ham chode na bhajan karna tab hamko gyan prapt hone lagta hai. Accha phir wah kamnayen nasht hone lagti hai andar se. Ab ichchhae nahi rah gayi. Jahan ichchha nahi rah gayi ta jo jo tum chah rahe the wo sab aa gaya. Badi chaturi se vaidya dawa deta hai ki rog nasht jahan tumhari ichchha nasht hui ta jo jo tumne pehle vasna ki thi wo sab aa gaye.
aaspas gher liya. Ab wo andar se baitha ke dekhne mein to andar se aapki aisi ruchi nahi hoti jaise koi baman ulti nahi khana chahta aise bhogon ki taraf ab sab bhog hai ichchha hi khatm ho gayi ab jo us mahapurush ki sthiti hoti hai lacha rahe hain bhogon ke liye bhog hai nahi wo ek sthiti aur bhagwan ne aisi sthiti di ki jab lacha rahe the tab bhog nahi the aur jab ichchha khatm kar di tab bhog upasthit kar diye ab tab usko lagta hai kitne kripal ab wo kam ke nahi rah gaye na ab wo kam ke nahi rah gaye tab wo sochta hai inheen ke liye to main jal raha tha inheen ke liye to main prabhu aapse bhi lad raha tha ki aap kyon nahi dete aur aaj de diya aaj samjh mein aaya ki kuch le na ab kuch le ab sab ab wo kah raha kripa hai kripa hai amog kripa hai jo prabhu ne nahi diya tha agar ab prabhu de dete to main yahan tak pahunch nahi pata bade kripalu to nishakmata hi bhagwat prapti karati hai par nishakmata bhagwan se hi milti milti hai kyonki hamari skamta ka vishay deh de dehabiman hai aur nishakmata prabhu se jagrit hoti hai.
jaisejaise ham prabhu ke ashrit honge bhajan karenge waise waise ham nishkam hote jaenge. Koi nishkam paida nahi hota. Nishakmata prakt hoti hai bhajan se. Chahe wo grihasth ho chahe virakta ho. Bhai ji maharaj [nak se ki jane wali aawaz] jab ne nischay kiye shri hanuman prasad podar ji maharaj ki ab hamare jeevan ka lakshya keval bhagwan ka nirantar bhajan karna hai. Dhoti kurta mein bhi param sanyaas isse koi matlab gita vatika mein ek bahut bade jinki kai phaiktriyan thi. Arabon kharbon rupya the. Bhai ji ke paas aae aur bole ab hamara sharir budha ho gaya hai aur aap jaisa dharmatma purush hamari nazar mein nahi aaya abhi bas sab kuch aapko samarpit karta hoon bas aap sambhal lo bhai ji ne isiliye wo baat likhi thi apni bai ke liye nahi ki sadhak savdhaan sadhak savdhaan jab sab kuch chhod ke prabhu ki taraf to yah le sab kuch free aap keval dekhiye bas bhai ji ne kaha nahi babu ji ham is yogya nahi hai ab to dhruv ji jab param pad prapti ke liye chale to bhagwan narad ji aa gaye are beta wahan jangal mein bada
dukh saanp beechi Rakshash nahi main kshatriya balak hoon ek bar nischay kar liya kadam piche nahi nischay isiliye kiya na ki pitaji ne simhasaan mein jo god mein baithna abhi chalte hain raj tilak karva denge simhasaan dhruv ji bolegaa jiske liye chala to raj tilak ki baat ab to kadam piche hatenge hi nahi param pad mein aaj bhi guru ji virajman samjh rahe ho nishakmata apne aap nahi aayegi nishakmata bhajan se aayegi jaisejaise aapko anubhav hota jaega na waise nishakmata tab aa jaegi jab aapko prabhu se aisa apnapan
ho jae jaise chhota bachchha hai wo kuch nahi janta ki mujhe kya pahnna hai kya khana hai kahan soch jana hai kahan kuch pata wo maa ko pata hai sab kuch usko socha hi soch kar diya laghu sanka chhota bachchha hai na ab sari jimmedari maa ki hai na aur wahi jab sayana ho jaata hai tab thappad pata hai tujhe pata hai na wo shauchalay yahan kyon kal se chuk nahi honi chahiye to ham log jo samajhdar hai na isliye thoda thappad par rahe hain maya ke aur jis samay atmsamarpan ho jaega nishakmata aa jaegi wo hamen pavitra kar dega wo hamen gyan de dega wo hamen vyakulta de dega.
us daya ka samudra hai. Abhi thodi buddhi kam karti isliye thodi idhar-udhar thappad laga ke ki jahan hai theek se chalo. Aur jab buddhi samarpit ho gayi tab sahi mayne mein theek hua ki ab wo haan main ye man aadat main buddhi mein ab buddhi samarpit ho gayi bhagwan mein to nishkam apne aap ho jaega. Bhai dekho bahut badhiya khir banai meva dal ke sab badhiya 56 prakaar ke bhog banae aur kisi vishwasneey aadmi ne aapko bata diya ki ye jo aa rahi tha aapke samne ismen jahr para hai ab bolo aap khaoge apne aap nishkam ho jaoge khir jahr para hai rasgulla jahr para hai nishkam ho jaegi aise hi gurjan sant jan batte hain ki sampurn bhog dukh yoniya bhagwan swayam kah rahe dukh yoya ismen dukh mila hua hai.
dukh hi dukh jitna bhogoge vishay chuga man chuge jin chugat kachuk sukh hoe phir phansi aisi pare te sam dukh na koi to chatur khiladi hai ki baat man jae guru ki accha nahi khaonga phir aap jahr wali khir nahi khaenge aur jahan age badhe to aap prasann ho jaoge yar kha leta to mar jaata bacha liya prabhu ne bacha liya prabhu ne aise hi jo bhakt jan hai na bar-bar harega apaar kripa prabhu apaar kripa main to narak mein girne ja raha tha. Aapne bacha liya bade karuna ab wo nishakmata badhti chali jaegi. Jaise-jaise aapka anubhav badhta chala jaega ki prabhu hamen itna pyar karte hain.
prabhu hamari baat sun rahe hain. Prabhu hamen bacha rahe hain. Hamare mangne par bhi prabhu ne kripa karke hamko nahi diya to aap pure samarpit hote chale ja rahe hain. Nishakmata badhti chali ja rahi hai. Aur jahan aap purn nishkam hue to anubhav ho gaya. Bhagwan ka anubhav ho gaya. Bina nishakmata hai to bhagwan ka anubhav nahi hota. Aur abhi dekho saikadon kamnayen bhari hui hai. Isiliye aisa lagta hai ki jaise mai ne prashn kiya kaun bhagwan kahan se matlab kya atma kahan se ai? Kahan se jae ye sab phaltu ki baten bhari rahti hai.
bhajan karo sab clear aapko dikhayee dega. Poochne ki zaroorat nahi aur bhajan ke bina chahe jitna vedant padh lo kuch clear hoga hi nahi. Bhajan se hi baat banti hai. Ji vikki kumar ji patna bihar se ji shri Harivansh maharaj ji, Radhe-Radhe. Maharaj ji, main 2 sal se aapko sun raha hoon. Aap sare savalon ke jawab mere ko de dete hain ekantik vartalaap satsang mein. Phir bhi ek sawal mere abhi tak samjh nahi aa raha. Mujhe apne upar vishwas nahi hai. Har karya ke liye hamdardi chahta hoon. Koi dridh nischay nahi kar pata.
main is prakaar bhagvatik marg par kaise age badh sakta hoon, maharaj ji? Apne upar vishwas nahi matlab kaisa? Matlab koi inka wo bole ki haan bahut accha kar rahe ho. Hamdardi chahte hain ki haan tune accha kiya chalo bado aa gaye har baat ke liye bachchon ko hi bhav rahta hai thoda protsahan mile shabashi mile aisa abhi bachchhe hi to ho na [gala saaf karne ki aawaz] jab tak bhagwat [nak se ki jane wali aawaz] gyan ka pradurbhav nahi hota to agyaan rupi bachchha to bana hi rahta hai na hamen kisi ke support ki zaroorat nahi hai hamen kisi ke pith thapathpane ki zaroorat nahi hai abki aap abhi matlab deh bhav mein isliye to ham tumhara support kar rahe hain.
ham tumhen shabash kah rahe hain. Aap bolo kya chahte ho tum? Kya shabashi chahte ho? Kaise chahte ho? Ham tumhare dost hain. Is lok aur parlok ke bhi jo support chaho ham tumhen dene ke liye tayyar hai. Chalo bhagwat marg mein. Chalo grahasti mein rahte hue patna mein rahie. Adesh ka palan kijiye. Ham tumhen shabash kahte hain. Jab yahan koi kahta hai ki ham aapko dhanyavaad kahte hain. Ham kahte hain ham aapko param dhanyavaad dete hain ki aapne hamari baat man li. Tabhi to aap aae ho. Baat man li to aap aae ho. Aap hamare paas aae.
hamari baat man rahe to aap hamare sache dost hain. Mitra hain. Ham aapka saath denge. Haan sharir se bhale prakt mein aapke saath nahi lekin anubhav karna. Aap kabhi ka pariksha le lena. Aap jitna bhav rakt kursi ke anusaar aap anubhav karna to aapko uttar mil jaega. Wahi tumhen kisi na kisi rup mein sahyog mil jaega. Dekh lena mera prabhu har jagah sarvshaktiman hokar virajman hai. Bas tumhari nishtha aur bhavna ki zaroorat hai. Samjh rahe ho? Ab batao tum bilkul apne upar vishwas mat karo. Prabhu ke upar kar lo.
man ekdam hardam maharaj ji disturb karta rahta hai. Kya karta rahta hai? Man disturb karta rahta hai har samay. Aapke ane ka haan chhod chhod chodo usko. Chodo disturb karne wale dost ko chodo. Hamko dost bana lo. Ham tumhen batte hain kala. Jab wah aapko salah de raha hai. Aap mat mano dusra hai wah tumhara swaroop nahi hai. Ye aapko gandi baat sikhae. Aapko lagta hai gandi baat to aap kal se isse baat nahi karoge. Nahi karoge na? Is samay aapka man aapka shatru hai. Jo sadaiv vishyon ka bhog karta hua sansaar ke rag mein fansa raha hai.
ab aap satsang sunkar bhagwat marg mein chalna chahte ho. Yah usko pasand nahi. Wo aapko galat marg ki salah dega. Wo aapko nana prakaar ke aviswas paida karega. Nana prakaar ke udaharan pesh karega. Aapko ye samjha dega ki sansaar satya hai. Bhog satya hai. Ye sab natak hai. Aapko uski baat nahi manani. Jab wo aapko samjhane lage to aap Radha Radha Radha Radha wo aapko bhog samgri ki taraf Radha Radha Radha Radha ub ke wo tumhare adhin ho jaega. Hamari patni sab parivaar aapke baat kahe na Radha Radha kirtan karo.
raat ko aadha ghanta ek ghante jab ane wala wo dekho karo hamari baat andar se samjho. Ham man ko sambhalne ki baat karen. Sabka khatpat yahi hai. Sab jita hua man isse bada koi mitra nahi aur vishyon mein fansa hua man isse bada dushman koi nahi. Hamara bahar koi dushman nahi hai. Bahar koi mitra nahi hai. Yahi sabse bada dushman aur sabse bada mitra. Dekho bahut sahi dhang se ham chal rahe hain samaj mein Radhe-Radhe. Aur ek minute is beiman ke kah mein lag gaye aur koi galat aacharan kar diya. Sab mitti mein mila diya.
hai na bhari dushman pure jeevan ki kamai 1 minute mein kamai itna bada dushman yah hai ki agar iske kahne pe chal jao to abhi abhi 5 minute mein jo bhi tumhari pavitra dharm aacharan sab mitti mein mila dega bas isse bada koi mitra nahi abhi bhagwan mein tanmay ho jao abhi bhagwat prapt ho gaye sara khel is man ka hai ghabrao mat ye alag hai tum alag ho jab tum isko itna pyar dete ho ki isne kaha ye khana hi hai. Ab aap kahte ho nahi to ye jalane lagta hai to lagta hai yar jab tak khaonga nahi tab tak chain nahi milegi.
ab aap har jaoge. Tu jala kitna jalega? Main avinashi ka bachchha hoon. Tu mar ke dikha. Bas jit gaye jit gaye. Yah wo bhed hai jo bhediya ban ke dara raha hai. Aur jis din tumne apne swaroop ki taraf to yah bhagega pooch daba ke. Man tumhen parast nahi kar payega. Agar aisa na hota to jitne bhi grihasth virakta bhagwan ko prapt hue koi nahi prapt kar pata. Isliye daro mat. Yah jo hamen hai ki koi hamen support karen. Yah hamari kamzor vritti hai. Jab bhagwan ka aashray ho jaega to yah baat khatm ho jaegi.
bacchapan se marg mein chale the. Koi support dene wala thodi tha. Wahi the bhagwan. Har jagah unhin ka bharosa, unhin ka aashray. Pura jeevan is yatra mein dekho chalta chala gaya. Koi mitra nahi, koi shatru nahi. To support ki zaroorat bhagwan se hai. Insaan se nahi. Wah support karega to swarth vash karega aur jahan dekhega hamse badha ja raha hai wahin apna support hata ke tumhen niche raundna chahega. Aur bhagwan ek aise kripalu hain. Wo uthte hi chale jaate. Ahtuki kripalu bhagwan. Samjh paye bhaiya? Bilkul nirash mat ho.
haan. Akhil koti bramhandon ke ishwar ke tum ansh ho. Koi sadharan baat hai. Sharir rag ke karan ham mante hain ham is jati ke ham ye kuch nahi. Sab ek ghar ke ek bap ki santan hai. Bas samjh aa jae wo samjh mein thoda matbhed ho gaya hai. To ladai jhagda ninda stuti harjeet chal. Ek hi paramatma ke ham sab bachchhe hain. Ek hi paramatma ke ham samudra ki lahron mein kaun si badi lahar? Kaun si chhoti bhaiya? Kaun sa mahan hai? Kaun sa usmen laghu? Sab samudra mein hi to hain aur samudra ki hi hai. Aise hi paramatma rupi samudra ki ham sab lahren hain.
saman hain. Vayu vikar ghus gaya hai. To lahar hai. Vayu shant hui to samudra hi hai. Aise hi maya vikar ghus gaya to main tu te mera yah phas gaye aur agar wo hat jae to bhagavda anand hi hai. Dusra koi nahi. Ram Ram
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…