॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #317 · 23 sitambar 2023

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maharaj ji swasth ka dhyan rakhna haan aap shri ji ke hawale hai jaise to ye shri ji ke bal se chal raha hai jab tak chal raha hai labh le lo hota hai na hawa ai hai labh le lo kripa ki hawa ai hai nahi to swarth mein fansane wale bahut mil sakte hain. Lekin Priya lal ke charnon mein man fansane wale to bahut kam hote hain. Shri ji ne kripa ki hai avsar hai. Abhi labh utha lo. Jo updesh mil rahe hain jo marg mila hai khub chalo. Jeevan ka koi thikana nahi. Kab shant ho jae iska koi nahi. Kab sham ho jae jeevan ki koi bharosa nahi.

Radha Radha har samay japo shri Radha apne kartavya ko bhagwan ko sakshi karke puja man ke kar do aur naam jap bichbich mein aur koi bhi hamse aisa karm na ho pave jo ham jis unchai par chadh rahe hain hamen gira de jaise hamen manav deh mili na ab isse bada koi labh nahi hai bharat ki seva mili jan samaj ki seva mili bade-bade sant ekantik gufa mein bhi bhajan karne ke baad samaj seva mein ana padega aapko kyonki samaj ka sharir hai. Samaj ka ann khaya hai. Aapko to samaj seva mil gayi. To isliye use jaise apne parivaar ke logon se ham bartaav karte hain.

ham hamare vichar aise badhe ki jitna adhikar hamara seva ka hai usko ham parivaar jaisa. Jaise koi galat karta hai to apne parivaar mein thappad nahi marte. To dand dena bhi dular hi hai. Agar adharmacharan karne wala hai aur usko ham dand dete hain to mano ham puja kar rahe hain bhagwan ki aur jo dharm aacharan karte hain unka support karen. Unko sahyog karen. Yahi aapke liye puja ho jaegi. Yahi bhagwat prapti ka hetu ho jae. Aur yatra marg se pichle kuch dino se maharaj ji ka swasth kharab hai to teen din se Vrindavan vas kiya hai.

Janaki ji sarkar ke adesh anusaar ye Kachchh phal hai jab bhagwan Vishnu ne Kachchh ka avatar liya tha tab vriksh ko sparsh kiya tha ye durlabh prajati ka bij hai jo kaleegram ki taraf pujit hai aur aaj bhi ise Kachchh ke rup mein puja jaata hai uttam swasth ke liye ji srinath ji dwara jai shri Vallabha [gana gane ki aawaz] ki jai Shri mane maharani ki jai Radhe rani ki seva ki bol shri girraj dharan ki jai bol shri Radhe [gana gane ki aawaz] puchhdi ke la ki phu pyare [gana gane ki aawaz] Brajraj khama badi mauj hai tere darbar [gana gane ki aawaz] mein chak hai chakra sudarshan dhari tera bharosa bhari sharan girdhri laj hamari girraj shikhar pe khabar lo hamari mathe pe tera har nakhra aa gaye tere gan ke bajra le aa gaye bajra Brajraj khama Radhe rani ki jai ho barsane wali ki jai ho dhari ki jai ho rangi sarkar ki jai ho jugal jodi sarkar ki jai ho Krishna Radhe ki jai ho Krishna Sudama ki jai ho aaj ke anand ki jai ye bhagwat parsad hai.

haan ved bhi inke vachan ke samne laghu hai. Ye bhagwat parsad jai ho meri ladli kya ji aapki agyaa ho to main do shabd aapke liye bolun. Bol bolo kya aap hi mere Mathura kashi aap mere Brij dham aap hi meri Radha rani aap mere Ghanshyam pranam aapki ladli kaise bano hamari ladli ka naam jap karo aur mata-pita ki agyaa mein raho theek hai to aap hamen jaan jaenge ki aap hamare hridyasta jo ladli hain waise hi aap ladli ho jao mata-pita ki agyaa mein raho Radha Radha naam jap karo jaisi mata pita agyaa karen to aap achhche ho jao.

theek hai? Jai jab se dekha hai aapko dusra accha nahi lagta. Haan Radha Radha japo to aap hamko asliyat mein dekh paoge. Abhi aap hamare bahari panch bhautik sharir ko dekh rahe hain. Jo hamara swaroop hai wo Radha naam se hi prakashit hoga. Meena tripathi ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji jab se yah manushya sharir mila hai tab se ishwar mein sadaiv astha bani rahi. Parantu is jeevan mein bahut sare dukh aae maharaj ji aur pati bhi chhod ke chale gaye. Dukh dukhalai mein rah ke dukh nali ke kinare rahe durgandh na ave.

bole bahut durgandh nali ke kinare rahe to durgandh aayegi na. Iska naam kya hai? Dukhalai. Bole bahut log hamare parivaar ke mar gaye to naam kya hai? Mrityu lok. Naam hai iska naam mrityu lok hai. Iska naam bhagwan ne dukhalai rakha hai. To aae ho dukh ki bazar mein to dukh hi to milega. Sukh ka bhram hai. Keval dukh hai. Sukh ka rup lekar ke dukh aata hai. Aise gale lagaoge kya? Dukh ko gale koi lagata hai. Jab sukh ki level mein dukh aata hai aur gale lagate hain. Jab parinaam mein pata chalta hai dukh to lagta hai yar yah bhi dukh tha.

yah bhi dukh tha. Sab dukh tha. To dukh wali to baten hi chodo. Kuch dukh hai nahi hai kya dukh hai sabse bada dukh hai ki hamari swas bekar ja rahi naam nahi jap pa rahe iske liye ro aur kya dukh hai are ji rahe ho kha rahe ho pi rahe ho oxygen le rahe ho abhi thakur oxygen band kar de to silendar rakha milega bagal mein nahi sunghna mushkil ho jaega swas lena wo to kripa ki hai na har char har tarah se tumhen wo yahan ki suvida di hai lekin sab hai dukhmay yahan ki har suvida dukhmay pehle samjh lo upar lagi mele ki level sukh ki lekin hai dukh mein.

ab yahan ek kam karne ke liye ham keval aae hain. Har shwas Radha Radha Radha ye nahi hai to bhari dukh hai. Kahe Hanumant vipatti prabhu soi jo to sumiran bhajan ab uski to varta hi nahi hai. Bahut dukh paye to bhaiya hai hi yahi dukal mein dukh. Ab pustakalay mein jao. Bole aadha kilo jara doodh wali barfi dena. To log tumhari taraf dekhenge ki nahi dekhenge? Ae padhe likhe ho. Bole haan bole likha kya hai lebal mein? Pustakalay maang kya rahe ho jao bhaiya mishthan bhandar mein jao aap aise hi bhagwan ne lebal laga di hai dukhalayam ashashwat maang kya rahe ho sukh to hansne ki baat hai dukhalai mein janm liya hai tum sukh chahte ho haan ek upay hai jinhone isko dukhalai banaya agar unka bhajan karoge to yah bhi sukhmay ho jaega ye bhi tumhare liye sukhmay dason dishaein sukhmay ho jaengi ekmatra bhagwan ka bharosa karke naam jap karo sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhera kar tum akartam anytha kar tum bhagwan tumhare saath bal banka bhi nahi hoga arun Garg ji punjab se shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jeevan mein achhche karm karna ya bhajan karna donon mein kya shreshth hai jal aur pani mein kya antar hai jal pani war toy vatar shabd keval alag hai baat dekhna accha kya hai?

sadgun. Satgun. Sat kaun hai? Bhagwan. Bina bhagwan ke prichay ke tum jise accha kahte ho wo bura hi hota hai. Aap hamen soch ke batao jo bhagwan se bilag kuch accha lage. Kuch bhagwan se bilag ho aur phir accha ho wo hamen batao. To aapne uske do vibhag kar diye. Ek achhche karm aur ek bhajan. Aapne use do mana. Do nahi hai. Bina buddhi shuddh hue aap jaan hi nahi sakte ki accha karm kise kahte hain. Samjh rahe ho? Aur buddhi shuddh hoti hai bhajan se. Baat ek hi hui. Jab ham bhajan karenge to hamari buddhi shuddh hogi aur shuddh buddhi se ham jaan payenge ki accha kya hai.

koi bhi apne liye bura karm karta hai kya? Chahe wo gadase se kaata ho. Wo accha samjhta hai. Iski jeb kaat lenge hamara kam ban jaega. Accha samjhta hai wah lekin wah accha nahi hai. Ham isko dan denge hamare ko bahut karke milega. Wo ise accha samjhta hai. Yah accha nahi hai. Itne mein to tumhari buddhi shuddh nahi. Jab aur badh ke milega to tumhari buddhi aur ashudh ho jaegi. Jab ham tumhen achchai ka marg dikhange to tumhen ek hi baat samjh mein aayegi ki hamare samne prakash sahi ho to ham marg ka sahi chayan kar payenge aur wo prakash hai shri bhagwan.

hamari jo buddhi ko shuddh karte hain wah shri bhagwan hai. Agar bhagwan ka bhajan hamare jeevan mein nahi, bhagwan ka naam nahi hai, bhagwan ka aashray nahi to aap soch sakte ho ki main accha kar raha hoon par accha nahi hai. Uska parinaam accha nahi hoga. Goswami ji ne tulsidas ji ne bahut vichar kar likha hai bar mathe ghat hoe bar shikta te bar tel binu hari bhajan bhatri ya siddhant apel vinishchitam badamten anytha vach mein bina bhagwan ke bhajan ke vishram shanti nahi achhche karm ka matlab hota hai sukh milna achhche karm ka matlab shanti milna achhche karm ka matlab anand milna to aaj tak aapko anand kyon nahi mila agar hamare achhche karm janm janm janmantar se hue nahi kya hamen anand milna chahiye pura jeevan ham anand aur sukh ke liye karte hain lekin aaj tak nahi mila wahi pyas wahi kamna wahi lalsa wahi ashanti samjh rahe ho na hamari iska matlab wo accha karm nahi hua jise accha karm kaha jaata hai bas wo hai accha karm bhajan bhajan karke dekho tumhara mangal ho jaega samjh mein aa gaya deepak Sharma ji Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam Gurudev kaise samjh aayega ki ham jo kar rahe hain wah sahi hai kyonki sab jante hue bhi chinta satane lagti hai.

sahi aur galat ka nirnay to bhai koi aisa prithvi mein nahi hai jisko andar se updesh na milta ho. Koi aisa nahi. Aap khud sab log dekho kya aapko prerna nahi milti ki aap galat karne jaate ho to andar se roka jaata hai. Bahar se jaan karke andar hi ham baat sikhna chahe. Bahar ki baat zyada kam nahi karti. Kahan mandir ki baat yah tum bachpan se dekh rahe hain. Jara sa galat baat hui. Ganne ka khet dekha. Man ne kaha ganna tod lo. Andar se baat ai galat hai. Ganne wala dekh lega. Pitaji se kahega pite jaoge.

galat hai. Ab kahta hai are koi nahi dekhega to ye bata dega. Side wale khet se ghus ke jao aur ganna tod lo. Wahi bata dega. Ab jab peetoge to kahega hamne kaha tha na tumse ki mat. Wo andar baitha hua param guru sabko updesh deta hai. To yah to baat aap kah hi nahi sakte ki kya accha hai kya bura hamen gyan nahi tha. Aisa nahi ya to bachchha hai ya to murkh pagal hai. Do ki baat ham nahi karte. Agar aap beech wale ho na bachchhe ho na murkh ho na pagal ho to aapko prerit karta hai wo bhagwan andar baithkar ki galat kya hai sahi hai.

aap yah nahi kah sakte mujhe pata nahi tha. Aisa nahi. Aap koi bhi kadam galat badao to aapke andar aa jaega. Jalan hone lagegi lagega galat hai theek nahi andar prerna aap achhche kam ke liye to ek hriday shital hone lagega utsah hoga yar bahut bhagyashali ham aaj Vrindavan aae satsang kiya prabhu ke ek accha lagega aur jab bura to aap doge aapka hriday ghabraega andar prerna kare galat hai are nahi koi galat nahi hai sab chalta hai ab uski baat kaat diye to phir age ka marg aapka andhkar mein ho gaya prerna wahi dega bal bhi wahi dega yah bhi dhyan rakhna wahi prerna dega aapko ki yahan se chadh jao aise aise chori kar lo aur aapko bal dega.

are koi nahi dekh payega. Pehle wah sachet karta hai phir aapko support kar deta hai. Kyonki usi ka khel hai. Aap wo khelnaa chahte ho khelo. Phir uske hisaab alag-alag hai. Jab danda chalega tab dhiraj kahega. Hamne mana kiya tha na. Isliye sachchai to hriday se hi pata chalti hai ki bhai ye galat hai, ye accha hai, ye bura hai. Aisa. Prachi kapur ji. Pranam maharaj ji. Maharaj ji main 12vin kaksha mein padhti hoon. Main 5 sal se Brajbhumi mein aa rahi hoon. Mera man hamesha sansaar ki vastu mein fansa rahta hai. Par bhajan mein nahi lagta.

mujhe krodh bhi bahut aata hai. Kripya karke mera margdarshan karen jisse main isse upar uth sakun. Jab tak naam jab bachchha nahi karoge tab tak hriday mein bal nahi aayega. Jaise ham jante hain hamen bura karya hai nahi karna chahiye. Par ham na chahte hue bhi karte hain. Uska matlab aapke andar wo bal nahi hai jo aapko rok sake. Wo hota hai naam bal. Jaise ham Radha Radha Radha Radha japenege to hamen shri ji ka bal milega. Adhyatma bal jise kahte hain. Phir ham buraiyon se lad sakte hain. Ab bhajan karte nahi chahe jeb mein dum nahi aur khade hain ham hiro javahrat ki dukan mein to kya karega dukan wala?

dhakka mar ke bahar karega. Jagah ghere khada hai bahar aise hi chahte hain sukh shanti anand prasannata bhajan mein karna nahi aur sab jagah man akarshit hota hai to dhakke ke siva kuch milega nahi kahin bhi dekh lo khuli baat hai ye jadu tona wala nahi ki ham tumhen jantur bana denge tum sukhi ho jaoge ye sab dupleeket hai haan ab jaise alag bole Shani viparit hai bole ghode ki nal ki anguthi pahan leo to ghoda parampad mein chala jae aur sukhi ho uski nal se yadi tum sukhi ho jao to itne kuntlo boja rota hai bechara kahe ko

kasht pave uski nal mein jab itna dum hai to wo ghode mein kitna dum hoga wo to bhagwan ko prapt kar le kitne murkh hai log hain achman karna hai thakur seva karni hai ghode ki nal ki anguthi pahne kaho shanichar na lage ham kahte hain Radha Radha ko shanichar tumhari seva mein upasthit ho jaega ye dekho agar rashtrapati ke saath tum chal rahe ho na to kitna bhi bada dekho dekho ek adhikari aae the kalektar ho kya kya sab hue bilkul ji yas sir ji sir to ye sab jitne hain na ye sab alag-alag vibhag ke adhikari hain shukra shanichar Rahu ketu ye sab srishti vibhag ke adhikari hain alag-alag department dhundhta hai ye dand vibhag bhi karte hain aur suvida vibhag bhi karte hain aap jab bhagwan se vimurkh hote hain to ye dand vidhan rachte hain bole sadhesati laga tumhen koi nahi bacha sakta aur jiske sadhesati laga aur Radha Radha bolna kuch ukhad le to hamen bata de la ke jhope Krishna charan man arpit to kar hai ka navgrah rank ye becharey garib navgrah kya kar lenge jab badshah hamare anukul hai shri Krishna

hamare anukul shri Krishna naam jap kar rahe hain Radha Radha rat rahe hain bas log samjh nahi pate hain hamko chahiye to shanti sukh aur ham karya karte hain ashanti aur dukh wala kaise ho sakta hai aisa kaise bambul ka ped lagao aur kalmi aam pana chaho to murkhta hi hai ki nahi ki he bambul ka ped ek ek din to aam de do na chahe jitna matha ghaso ke kante lage kuch nahi milega aise hi hamari dasha kya hai paap karm karna man ke anusaar cheshta karna aur chahte kya hai sukh mile shanti mile shanti dharm se milti hai dharm se sukh milta hai aur dharm ka palan nahi karna kaise baat bas yahi phas jati hai bhajan mein man nahi lagta jaise ek prashnta ne kaha tha bhajan mein man nahi lagta aur jab seva mein baithe hain to usmen hamen ruchi nahi hai to ab ham kaha bhaiya hamare paas uttar hi nahi hai.

bhajan mein man nahi lagta. Thakur seva mein ruchi nahi. Prapanch mein tumhara man lagta hai to narak ki tayyari karo. Hamare paas koi uttar nahi. Kya uttar den? Haan ham bhajan karte hain. Man nahi lagta. Ye baat samjh prayas karo aap. Ab jaise hamara man nahi lag raha. Ham Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha hamko man ko kya lena dena? Jaban se Radha Radha nikal raha. Shri ji sun rahi na unka naam le rahe hain. Bas ho gaya. Itne se hi kam ban jaega. Par mane to koi guru to lakho man rahe hain lekin guru ki baat ekko manne ke liye tayyar nahi to kaisi baat banegi hain?

accha samjhte hain guru ji ko shiv santra de hamara kam chal guru ji bhukho mar rahe hain shivsantra ke liye doctor mridula Indor se Radhe-Radhe shri sadar pranam pujya guruvar anek sant jan kahte hain ki bhakti marg mein sadhak ka ek isht hona chahiye. Meri duwidha yah hai ki prasang charcha ke anusaar main kabhi Ram bhajti hoon, kabhi Krishna aur kabhi hanuman ji. Atah mera prashn yah hai ki kya sadhak ka ek isht hona bhakti marg mein aniwarya hai? Yadi haan to ek isht par astha sudridh aur sthir kaise ho?

dekho upasna sabki sab bhagwat svaroopon ki aradhna se hi prarambh hoti hai. Jitne bhi hamare bhagwat swaroop hain, sab virajman hote hain. Lagbhag lagbhag prarambh mein dhire-dhire jab upasna ka rang aata hai to phir isht asakti prakt hoti hai. Yah guru kripa patron mein hoti hai. Apne anusaar bhagwat svaroopon ko virajman karke aradhna karna mangalmay hai. Lekin paramarth ki siddhi guru kripa se hoti hai. Guru kripa se upasna ka sangopang swaroop prakashit hota hai. Sangopang swaroop kahte hain guru pradatt mantr guru pradatt granth guru pradatt kant kant mane hota hai isht jab granth panth kant mantr yah guru pradatt hota hai phir ab hamari ruchi ki baten wahan nahi rah jati ki hamari ruchi inme bhi hai inme bhi hai inme bhi inme bhi phir hota hai guru ne jo hamen upasna di jo mantr diya jo upasya dev diye ab hamen unmein rati karni hai ab yahan se prem marg shuru hota hai wo nishedh nahi hai vandneey hai par utna hi nahi hai.

uske age jab ham badhte hain guru kripa se tab hamari prem nishtha jagrit karne ke liye anannya bhavna aati hai. Bhagwan shri Krishna chandra jo kahte hain anannya cheta satatam anannya chintyanto mam bar-bar anannya shabd ka prayog hota hai. Iske do bhav hain. [nak se ki jane wali aawaz] ek hai ki mere siva aur koi hai hi nahi. Aisa bhav karke jahan pujan kar rahe ho wahan bhav laga lo. Dusri baat yah hai ki jitne bhi tum rup dekh rahe ho jitne bhi rup sab ek hi parbrahm paramatma tatv ke hain aur unko hamare guru ji ne kaha hai Krishna naam hai unko guru ji ne kaha hai Ram naam hai ab hamko sab bhavna hata ke usi mein laga deni hai jaise goswami ji kah rahe hain bane to raghuvar te bane aur bigde to bhrpur tulsi auran te bane ta banwe pe dhur to kaha inko gyan nahi hai kya sab bhagwan ke swaroop hai are wo pehle kah rahe shri Ram mein sab jag jani kah rahe hain na to to phir aur kahan se aa gaye?

goswami ji kah rahe hain na bane to raghuvar te bane bigde to bhrpur tulsi auran te bane sabko apne isht rup mein man rahe hain par tulsidas ji maharaj ji ke hriday ki priti ka swaroop sarang dhanush dharan kiye hue siyaju ke parsha mein virajman hanuman ji jinke charnon ko sahla rahe hain wo us Ram rup ke ashik hain. Us rup se bane aur kisi rup se nahi aur swaroop inheen ke hain. Siya Ram mein sab jag jane karo pranam jo ab aa gayi ananyata ab aa gaya prem to ananyata ki prapti guru kripa se hoti hai guru pradatt upasna se hoti hai aur ananyata se bhagwat prem prapt hota hai bhagwat prem se bhagwan adhin hote hain.

isiliye bhagwan ka ek naam premadheen hai. Jaise ham apne ichchhit rupon ko lakar seva karte hain. Ichchhit naam jap karte hain. Uska phal hoga sadguru ki prapti aur sadguru pradatt mantr naam upasna isht ki siddhi bina guru ke vachno par chale aaj tak kisi ko bhagwat siddhi nahi mili bhagwat prem nahi mila kiska prashn tha haan to aapko samjh mein aa gaya ji ji Ram la

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…