॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

nihang Sikh jano aur maharaj ji ke beech kya varta hui aur unhone kya bhet di ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

ham aapse satya kahte hain ki Guruvani kisi ek ki nahi hai pure vishv brahmand ki hai jo sweekar karen ham matlab hriday ki baat kahte hain to yah nahi ki wo aapko zyada pyar karte hain hamko kam karenge aisa le Guruvani ji aisa le vishv brahmand ka sirtaj hai sweekar karo aur chahe jis sampraday ke chahe jahan ke ho agar aap kahin bhi jaate hain to aapki guru vani ka hi pushan ho raha hai jaise aap aae to Guruvani ki agyaa hai ki sadhu samagam karen to sant samagam aapko puri shraddha wahi rakhni hai

Guruvani par agyaa hui hai to ham ja rahe hain sadhu samagam ke liye wahan se hamara kalyan hoga isliye nahi ja rahe samjhna yahan se kalyan hoga isliye nahi aae hain guru agyaa hai Guruvani ki agyaa hai sadhu samagam kare isliye sadh samagam kar rahe baat to Guruvani se banni hai aisi nishtha hriday mein rakh waheguru ka la waheguru ji ka Khalsa waheguru ji ki fateh aao ji virajman ka la varu ji ki sa shi akaal y hamari leela hai ye bhi kam krodh ko marne ke liye diya bahut kripa hai Gurudev bahut kripa y hamari kutia jri guru guru Govind sinh ji ki ba gurujanon ne bade-bade kasht sahe hain dekho aap aise itihas sakshi hai jab padh ke dekho na lagta hai hamara samarpan hamari bhakti kya hai apne jo gurjan hai kaise kaise mahan kasht sahe hain par apne dharm ko apni nishtha ko apne bhav ko jhukne nahi diya surakshit rakha hai ham log maya ke akarshan mein itne bah rahe hain ki ek bhi baat manne ke liye tayyar nahi hai apne mahat janon ki gurujanon ki agar ek baat man le Guruvani ki ek baat man le

gurujanon ki to wahi bahu samudra se par kar de pha ham man mani aacharan kar baithe hain agyaa ka ullanghhan kar dete hain dekho guru manna sahaj hai par guru ki manna bahut kathin hai guru manna to sahaj hai man liya lekin guru ki manna baat banegi guru ki manne se isiliye mahapurushon ne kaha ki guru granth sahab ko hi sab kuch samjhiye kyon wo guru ki agyaa hai sabse bada baat kya hai guru bana lena nahi hai guru ki baat manna hai to guru ki baat kya hai guru granth sahab hai sahab virajman hai wo jo kah rahe hain unki baat mano ho gaye param kalyan unki baat na mano to aapko labh nahi milega labh aap kahte jarur rahenge ki ham Gurudev ke hain labh nahi labh to wahan baitha hua hai vani ji mein jo Guruvani kah rahi uske anusaar khuli vastu rakhi Guruvani mein khuli vastu rakhi bas aise uthana hai aur doob jana hai usmen par wah itna bahirmukhi bhatkav hai ki wo use pakar nahi paya khuli vastu rakhi hoti hai gurujanon ne khuli vastu rakh di hai bas usko pakar lo jo guru vani kah rahi pakar lo aur andar

manan karo to ye yahi sa aap prakt ho jaenge yahi yahi baithe hue hain yahi anand baitha hua hai yahi parmanand baitha hua hai yahi jo bolo Ram baitha hua Shyam baitha yahi wo baitha hua hai kahin dur nahi hai ham log kya karte hain ki jitna hamen man ko accha laga utna to man liya aur bakaya phir ham nahi mante to aisa nahi hota hai man ke anukul guru vani nahi hoti guru vani ke anukul man ko banana padega jo agyaa ho rahi uske anusaar chalna padega ham aapse satya kahte hain ki guru vani kisi ek ki

nahi hai pure vishv brahmand ki hai jo sweekar karen ham matlab hriday ki baat kahte hain to yah nahi ki wah aapko zyada pyar karte hamko kam karenge aisa nahi Guruvani ji aise nahi vishv brahmand ka sirtaj hai sweekar karo aur chahe jis sampraday ko chahe jahan ke ho vastu hai na jaise mitha hai to mitha kisi sampraday ko ko mitha lagega aisa hai kya ki bhai tum is sampraday ke tumhen mitha nahi lagega nahi nahi lagega mitha hai na amrit hai guru vani amrit hai aaj tak hamko kabhi ek shabd bhi

aisa nahi laga ki hamari baat nahi hai yah hamare guru ki baat nahi hai yah hamare dharm ki baat nahi hai yah hamare marg ki baat ek bhi shabd aisa va bade swaroop mein bhi guru granth sahab jaha ham kutia mein virajte hain na to almari mein aise simhasaan par virajman do khand mein bade khand mein do khand mein virajman aaj se nahi das varsh se da hamen kabhi nahi laga aur aapko satya batayen yah jo aap log darshan dete hain na yah usi ka pratap hai aap log jo aake darshan de rahe hain na hamen samjh rahe hain ki hamare sahab ham par prasann hai apne par parsado ko bhej kar ke praman dete hain ki wo hamen pyar karte hain wo hamen pyar karte hain aap sab parsado ko bhejkar Gurudev sakshat vani ji hain bar-bar ham isliye kah rahe ki guru banane ke liye log bahut utsuk rahte hain aur guru bana lete hain ham kahte guru banane se baat nahi banegi guru ki baat manne se pa aapko jo guru vani hai sampurn sab gyan dhara hua hai sab ras sab jo chaho jidhar chaho koi aisa kshetra nahi hai jo usmen na ho bhakti ka

gyan ka nirakaar ka sakar ka jo chaho jahan chaho jaise chaho wahi Guruvani aapko saman legi wahi aapko bata degi kya chahte ho nirakaar rup ye le sakar rup ye lo sab vastu virajman hai bas man le ismen koi apna paray nahi guru ki vani apni paray nahi hoti hai guru guru shabd guru hai guru guru shabd hai aur tribhuvan mein kisi bhi kahin ka koi bhi jogi mahatma koi bhi ho guru vani se hi padha hai badha hai agar guru vani par vishwas nahi hai to age nahi badh sakta hai haan ab mere aur tere shabd thodi lagte hain guru mein guru shabd ki mere guru tere guru yah to maya krit shabd hai guru guru hai guru guru hai aur uski vani vani hai to guru vani tribhuvan ki vani hai tribhuvan ka mangal karne ke liye garaj rahi hai bas ham usko sweekar karen unki agyaa ke anusaar chale ham man ke anusaar nahi guru vani ke anusaar man ko chalave to abhi anand ke aisa apaar anand hai ki aap soch nahi sakte matlab wah sukh brahma ko bhi nahi hai brahma ji jo parmesthi pad mein hai wah sukh nahi Devraj

indra ko bhi nahi va sukh samrat ki to baat jane do jo Guruvani amrit pan karati hai wah brahma ke paas bhi nahi hai isliye bilkul kahin lubhae man mat ho aur kahin kisi vishay par par jhuko mat ye jo gurujanon ne ye poshak di hai ye jo niyamavli di hai jo astr diya hai va isi baat ke liye diya hai ki krur karmiyon ke age jukna nahi hai aur Guruvani andar hai yah kam krodh lobh moh mad matsar inke age bhi jukna nahi bahar se bhi aprajit aur andar se bhi aprajit bahar bhi koi parajit na kar sake aur andar se bhi koi parajit na kar sake tabhi dharm ki jai hoti hai haan bahar se parajit agar kar diya to phir andar ki baat va samjh nahi payega hamari isiliye sarv samarth shali bhagwat prapt mahapurush hote hue bhi yah astr dharan kiye hain na isiliye dharan ki ki krur karmi jo adrma aacharan karne wale hain wo bhay yukt hokar ke bhi yadi dharm mein lagenge to unka mangal ho jaega unka mangal nahi to antar mein itna ras hota hai ki kisi ko dand dene ki bhavna hi nahi aati nahi aati dekho gurujanon

ko kitna kasht mila lekin dand dene ki bhavna nahi ai tera kiya dekho kaise kaisa kaisa sukh hai kaisa amrit hai andar ki agar rosh kar de to nasht ho jae kyonki adhami hai wo nasht ho jae lekin mata ki tarah Gurudev ka hriday hota hai guru sahab ka hriday mata ki tarah jaise uddand bachchha hai na par unko bachchhe y samjhana agar apne swaroop mein akar ke to bhasm ho jae nasht ho jae kyonki aisi samarth hai lekin kah nahi nahi accha hai accha hai unke liye ahit nahi kiya unka amangal nahi kiya kyonki unka itna dular karne wala hriday itna amritam hriday hai to ham sab unhin ke kathan a sar apna jeevan bahut saubhagya hai ki sansaar ke rakh se hatakr apne marg mein prabhu ne laga diya ab jitna hai harna nahi bas itni prarthna hai jitna hai jo indri guru vani se vridh cheshta kare raund do usko usko dular mat karna bas itni baat samjhna agar indriyon ka dular chalu raha aur yah hamko girate rahe to ham amrit ras ka swad nahi le payenge jaise ghode ki ligam agar ham khinch ke rakenge to

sa to marg mein chalega narseeh mehta ji ek bahut bade mahapurush hue hain unhone kaha kaachh vaach man nishchal rakh hai dhan dhan janani teri re Vaishno jan tei kahiye peer parai jane baat ye ki langot ka pakka jaban ka pakka aur man ka pakka to bole dhanya hai dhanya hai usne vijay prapt kar li yahan nahi phisalna jeevan ka sar yahi ham aapko bata rahe hain ki agar jawan mein do chij hoti hai ek Rasendra swad lena ek bolna bolna mithya na ho aur swad mein jawan na fase langot ka pakka matlab jane endri ka

pakka ho aur man ka nischay pakka vishv mein koi use parast nahi kar sakta dhanya dhanya janani teri re dhanya dhanya uski maa jiska ladla aisa hua ki jo jannendriy Rasendra vak idri in teen par vishesh drishti agar teen par vishesh drishti aur savdhaan aur guru updesh ke anusaar to manjil dur nahi hai par yah chhoti moti phislan nahi hai yah jo kam krodh aadi ki phislan hai yah bahut maheen phislan hai badi phislan hai aur apne log yahi fisalne ki chuk kar baithe hain isliye wah jo anand hai usko dhakne wali chijon hain inko rok lijiye jaise bhi bane agar grihasth marg mein hai to sanyam se aur agar virakta marg mein hai ekdam amrit sevi swaroop to bhul kar ke bhi kadpi nahi pran de sakte hain lekin indri jan khel nahi khel sakte aisi nishtha rakhi jae pran de sakte hain par uske virudh aacharan nahi kar yah thoda hona chahiye bilkul ekdam alert savdhaan chuke to mare gaye yah chadhai aisi hai ki ismen chuke phesal gaye seva bhavna bhakti bhavna priy bhavna isi mein aata hai bahut sukshm baat hai aapko Shurvirr hai

paramarth ke aise koi nahi aayega ki lalkaar ke ave aise aayega aapke paas aapko girane ke liye aise aayega bhakti ka rup rakh ke seva ka rup rakh ke aap ko pahchanana hai jiske sang se Guruvani ke virudh aacharan ho jae wah bhakt nahi ho sakta wah sevak nahi ho sakta wah mitra nahi ho sakta wah shatru hai tatkaal duri bana li jae bilkul to phir age prakash ho jaata hai alag-alag marg jaise grihasth marg to ek sima mein usko rakha gaya hai lekin jaise virakta marg hai matlab aajeevan grast sweekar nahi phir

usmen yah pran lena chahiye ki pran chahe bhale chale jae par ham dharm virudh aacharan nahi karenge charit pavan gurujanon ke pavan charit hue hain to ham unhin ke bachchhe to hamara charit pavan ho aapke charit ko koi kharid na pave itni savdhani rakhni aur to Gurudev sab sambhale hi hai jo kahte waheguru ka Khalsa waheguru ki fateh fateh to hai hi koi gara ba yahan hamse agar chuk ho jaegi to phir baat alag ho gayi aap samjh pa rahe hain na hamare andar ki baat jo ham kahna chahte hain agar aapko tribhuvan par vijay prapt karni hai maya par vijay prapt karni hai bas in indriyon ko dekhna ki indri kahin hamko shithil karke gira na de agar yahan se bach gaya to age amrit kund hai usmen jahan dube to inki zaroorat nahi padegi jaise ek bahut nirmal shital jalashay prapt ho jae to chhote mote gaddhon ki yad nahi aati hai aise hi jab Guruvani ki kripa se amrit mein pravesh hoga na phir yah sab jo gande vishay maya ke y akarshit nahi kar payenge khub naam sumiran aur apni indriyon ko shasan shasan mein

rakhte hue apni guru nishtha mein rahe apni guru vani mein rahe agar aap kahin bhi jaate hain to aapki guru vani ka hi poshan ho raha hai jaise aap aae to Guruvani ki agyaa hai ki sadhu samagam karen to sant samagam aapko puri shraddha wahi rakhni hai Guruvani par agyaa hui hai to ham ja rahe hain sadhu samagam ke liye wahan se hamara kalyan hoga isliye nahi ja rahe samjhna yahan se kalyan hoga isliye nahi aae guru agyaa hai Guruvani ki agyaa hai sadhu samagam karen isliye sadhu samagam kar rahe baat to Guruvani se banni hai aisi nishtha hriday mein rakhe kalpna hoti hai kapna jada kalpna hoti hai nahi bhakt ke hriday mein kalpna nahi hoti wah satya hota hai kalpna sansarik shabdon mein prayog kiya jaata hai lekin jaise hamare Gurudev aa rahe hain ya koi mahapurush aa rahe hain ya koi satya vishay aa raha swapna mein ya jagrit mein ya baithe-baithe to aa rahe hain wo satya hain usko kalpna kabhi nahi manani chahiye kalpna wah hoti hai jo maya krit hoti hai sadguru kalpna nahi hote sant kalpna nahi hote jo

guru ka pratap hai wo kalpna nahi hoti ka baithe-baithe aise chintan mein dube aur koi leela chal padi to kalpna nahi hai wo kripa hai wo guru kripa hai use kalpna nahi kahte haan bhakti bhav mein use bhavna kahte hain par wo bhavna siddh mani jati hai satya mani jati hai jo asat chintan hai wah trikal mein asat hai aur jo sat hai wo trikal mein sat hai to chahe bhavna mein aa raha ho ya chintan mein dikhayee de raha ho ya swapna mein aa raha wo satya hi hai wo kripa karke padhar hain ha us aap sabke charnon mein pranam don't

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…