maharaj ji ne kyon kaha ki is baat se hamara hriday bahut dukhi hai ??
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
onkaranand ji maharaj ma ji Swami ji prat smaraniya maharaj ji aapke charnon mein koti koti pranam maharaj shri vartman samay mein sanskar aur shikshan ke bare mein betikon ko sanatan dharm ki shiksha ke liye hamen hamen kya karna chahiye hamare ab aapke bas ki baat nahi rah gayi hai a bhagwan hi sambhal sakte hain kyonki jab tak swayam ka hamara hriday sankalp nahi kar ga sadachar ke liye pavitra aacharan ke liye to ham log chillate rahenge koi fark nahi padega aajkal hamare jo bachchha bachchyan hain nai avastha ki sabse zyada kumargh gami vrityio ko wah bahut padha likha samaj samjhte hain matlab wo hamari na bhasha unko samjh mein aayegi aur na hamari baat unko samjh mein aayegi lekin unko y prakrit samjha degi chahe bachchha ho chahe bachchi ho jo prakritik dand milta hai na phir samjh mein aa jaata hai abhi samjh mein nahi aata jahan balyvastha se jab tak pani grahan sanskar na ho brahmcharya ki hamare shastr agyaa karte hain wahan vyabhichar pravrittiyon ko boyfriend girlfriend bana kar ke is tarah ke
jo ku pravriti hai jo kahin bhi kisi bhi tarah se na is lok mein sukhad hai na parlok mein sukhad hai ab aisi vyabhichar pravriti ko sweekar karna ek dosti mani gayi ek manoranjan mana gaya ek matlab sthiti mani gayi wo bahut achhche sthiti ke bade gharo ke bachchhe hain kyonki wo aisa karte hain jab aisi bhavna hai to ham santo ki baat hamari shastr baat unko kaise samjh mein aayegi aur jiska charit hi pavitra nahi hai uske liye sare updesh aise hi hai jaise jisko kan se sunai na deta ho aap ved vakya wahan bole to hamari to baat samjh mein nahi aa rahi ki kaun sa upay kya kiya ja sake purush ho chahe stri ho ye sharir hai stri purush ke ba ka aacharan charit yah jeevan ki niv hai hai agar ji makan ki niv hi nahi hai to building ki baat kya karen us makan ki baat kya karen jiski niv hi bigad gayi hai ab aap vichar kijiye sabse gandi pravriti vyabhichar pravriti kahi gayi hai ham to matlab asmarth hai na is vishay mein kuch kah nahi sakte is vishay mein kuch kar nahi sakte ham kya kar sakte hain ham to
sadbhavna kar sakte hain sad sankalp kar sakte hain par sa santo ka sad sankalp wahi lagta hai jahan dainya hokar ke unke prati astik ka bhav ho astik bhav ho swikrati ho asti mane hota hai hai sweekar karna ki yah jo baat kah rahe hain yah hamare mangal ke liye agar sweekar karen to santo ki baat santo ki kripa jo aacharan vihin badhti chali ja rahi hai yah hamare samaj ke liye bahut bada shaap hai mata-pita ki avhelna kar dena jinhone tumhen apne jeevan ko arpit karke pala posha hai tum unki kam se kam ek salah to le lo ki tum kidhar kadam rakh rahe ho bachchhe ho wo tumhara ahit thodi karenge tumhare mata-pita hain to kam se kam itna adhikar to de do apne jeevan ka ki aap kadam kidhar rakh rahe hain unko salahkaar kam se kam itna to salah unse le hi sakte ho yad pure jeevan ka adhikar mata-pita par hota hai kyonki voh hamare ko prakt kiye hain hamara palan poshan kiye hain kaun jane ki kitna va kasht hamare liye sae abhi jara si kahin soch padi ho na to aap ghrna karke nikelnge aur pure soch mein lith
hue ham ko unhone kapde dhoe nahlaya dhula kitni seva wo hamara mangal karenge kya di ham apni baat unko bata de to mata-pita ko to agar wo dante to unko dant kar uttar dete hain aaj ke bachchhe to ab bhai jo unnati ke lakshan wo to hamen nahi dikhayee de rahe hain mata-pita ki agyaa mein chalna jab tak byaan ho tab tak brahmcharya sadachar ka palan karna apne jo kartavya hain padhai aadi unko bhagwan ka bhajan manna bhagwan ki prasannata manna aur bina anushasan ke kuch bhi accha nahi hota chahe va rashtr ho chahe matlab pradesh ho chahe wah ek ganv ho chahe ek ghar ho aur chahe swayam kyon na ho jab tak shastr ka anushasan ya bade bujurgo ka anushasan gurujanon ka anushasan to phir jeevan bekar hota hai wah sab bekar ho jaata hai to anushasan manne ke liye aaj thodi kripa nazar aa rahi ki naye bachchhe utsahit ho rahe hain ham pranam karte hain unko dhanyavaad dete hain ki wo gandi aacharan chhod rahe hain gandi baten chhod rahe achhche marg ka anusaran kar rahe hain par jaise ki sudhar ho hi jae iske
liye aapko tayyar hona padega hamari baat manani padegi hamare shastron ki baat manani padegi apne mata-pita ki adhinta sweekar karni padegi aaj bachchhe mata-pita ke adhin nahi hai aisa nahi yah shringar yah banavat sharir ki tabhi ki jati thi pati jab prapt ho jaata tha pati ko rijhane ke liye ki jati thi nahi to sadgi se apne sharir ko dhakkar pavitra aacharan karke padh likh kar ke aur phir jab jab mata-pita ke dwara pani grahan sanskar dharm purvak vaidik siddhant ke antargat kabhi hamne talak nahi suna ganv mein bachpan 13 varsh tak rahe kabhi talak shabd hamari smriti mein nahi hai aur aaj aap lav marriage karte hain aur talak aur hinsa aur ladai jhagda to aapka kya lav hai kya hai pyar yah pyar hai aapka wahan kabhi duha dekha nahi kabhi dulan dekhi nahi aur paraspat mata-pita ki keval ichchha ke anusaar byah ho gaya aur aajeevan nirvah kiya pavitra aacharan pavitra to phir desh bhakt bhagwan ke bhakt aisi santane prakt hoti thi ab aap vichar pravriti ko ab hamara is vishay par to bahut hriday matlab dukhi
hai ki hamari nai samaj jo hai aisi aisi gadhe mein girne ja rahi hai jisse koi pura jeevan barbad ho jaega pura jeevan barbad ho jaega ek swabhav mein samjho jaise hamne kai bar ham udaharan pyar se bataya y swabhav ban ga alag-alag duka na ka bhojan pana hotlon ka bhojan pana phir ek rasoi ghar ki uska bhojan accha nahi lagega baat samjh lo aise hamare sharir ki har indri hai us indri ko aapne va vichar mein pravat kar diya ab aap ek pavat dharm se nahi rah sakte aap ek patni vrat nahi le sakte bolo byah bhi hua aur pyar bhi nahi aur jeevan bhi theek nahi ashanti to pura jeevan barbad ho gaya na new aisi gandi par gayi ki pura jeevan barbad ho gaya aur aur yah khel kab tak kheloge jab tak tumhare andar jawani ka nasha chadha hai iske baad jab iske karmon ka bhog aayega tab tab phir bhagwan ko kosh hoge dharm virudh aacharan kiye unka phal avashya mein bhaktavatsal chahe bhai ho chahe bahne ho stri purush sharir poshake hain ham sab bhagwan ke ansh hain yadi ham bhagwan ki agyaa nahi manenge shastr agyaa bhagwan ki
agyaa jo gurujanon ki agyaa bhagwan ki agyaa hai agar ham nahi manenge to age chalkar ke hamko iska parinaam wo milega jo ham jhal nahi payenge pakka nahi jhal payenge durgati par durgati hoti chali shubh gati kabhi vyabhichar ki hoti hai kabhi vyabhichar karne wala shubh vichar wala ban sakta hai kabhi vyabhichar karne wala dusron ko sammaan de sakta hai kabhi vyabhichar karne wala dusron ke sukh ki taraf dekh sakta hai aap socho hamari bahan ko koi gandi drishti se dekhe kaisa lagega vavya vichar bhav jab jagrit ho gaya to dusri ki bahan beti ke saath kaisa bartaav hota hai yah kya ho raha hai yah wahi ho raha hai wahi new hai jisko to u logon ne swayam has khelkar barbad kar diya ab wo drishti badti chali ja rahi hai hamare andar bhavna galat hoti jae to ham wahi galat drishya dekh rahe hain mobile hath mein galat baten kar rahe hain galat chintan ho raha hai to galat kriyaen ho rahi hain jo ham bolte hain jo ham dekhte hain jo ham sunte hain usi ka chintan hota hai aur jiska chintan hota hai usi ka sankalp banta hai jo sankalp
banta hai wahi kriyaen hoti hai jo kriyaen hoti hai wahi bhogna hota hai to ab hamare aacharan aise ho rahe hain ki bhogna bahut kathin padega pehle hamne kabhi cancer nahi sune the ab aise cancer ho rahe hain jaise kisi ko bukhar ho raha ho kya ho raha hai wahi karm wahi karmon ka phal aapko badhata chala ja raha hai kidhar durgati ki taraf kasht ki taraf badhata ja raha hai to daro galat aacharan se daro va phal diye bina nasht nahi hoga yadi bhajan ho jae to nasht ho sakta hai bhajan hi ek aisa bal hai ki ab lo nasha ab nan sahi ab tak galti hui ab age galti nahi karunga aur imandari se bhajan karne lago to phir bhagwan kahte hain ham tom sarv paap moksh sham ma sucha isliye hamen to yahi lagta hai ki jab tak hamare bachchhe sweekar nahi karenge hamari baat tab tak nahi pani grahan sanskar ke pehle koi sparsh na kare tumhare sharir ko y ek dharohar ki bhati hai jab ek dusre ko jeevan arpit karoge to madhya mein bhagwan rahte hain tumhara jeevan mangal mein grahasti mein bhi par hoga aur putr aise honge jo deshbhakta honge jo
bhagwat bhakt honge samaj ka mangal karne wale tumhari aradhna karne wale baenge tumhare aacharan jab galat hai na to santane bhi aisi honge ki tumko dekh dekh ke rona padega jalna padega isliye bahut savdhani se chale hamen to upay bas yahi nazar aa raha hai ki bhagwan kripa karen aur buddhi shuddh ho buddhi shuddh ho tabhi sab theek ho sakta hai aur wah shuddh hoti hai shastr swadhyay aur sant samagam se aur wah bada mushkil hai bada mushkil hai kyonki shastr swadhyay karne ki ruchi aur samay nahi hai mobile hath mein kaun shastr swadhyay kare accha santo par shraddha hona yah badi durlabh baat hoti hai ye to bhagwan ki kripa hai jo aap log yahan sunne aae baithe aae nahi to aise aacharan kuch ho gaye hain aur aise drishya kuch dikhae jaate hain ab kiski baat manenge sant ke liye ye baat ho gayi shastr swadhyay karne layak buddhi nahi ra rah gayi hai to sambhale kaun tumhen kaun sambhale ab jo shastron ka rajasya nahi samjh rahe hain keval vasna purti ke liye shastr ka ya is vesh ka to usse jo rahi
koi shraddha hai na wah bhi bhasm hoti chali ja rahi isliye bahut matlab hai to sankat purn samay din ka din age par yadi sambhal liya jae to kalyug ka prabhav nahi padega jite Vinayak shubh ashubh vighna kare nahi koi vighna kare nahi ko dare kalikaal kasht bhay hare sakal santap haras hari naam japat jai kalyug bhayabhit rahta hai naam japak se jo nirantar naam japne ka abhyaas karta hai aur achhche aacharan se chalta hai to kalyug vay bheet rahta hai uske upar apna prabhav nahi dal pata hai nahi to koi bhagwat prapti kar hi na
pave isliye hamare to hriday mein yahi baat hai ki ab aap aur ham ya koi bhi kya kar sakta hai jab tak aap sudhna na chahe hai nahi man lo amrit rosh diya ab aap na pao to pana to aap accha pa liya aur ulti kar diya to bhi nahi banega pao aur use bachao jab pcha gaye to svasth ho gaye pa to aajkal paya to jaata hai suna aur dusre ko suna diya aur apne aacharan mein koi fark nahi para to wo ulti kar dela hai wo bhi labh le suni baat hamari aur aapne dusre ko suna di aacharan mein nahi utara na usne na aapne to kis kam mein aaya bekar gayi rasoi ulti ho gayi to bekar gayi rasoi wo aapke satsang sirf apne liye hota hai agar ham sab satsang sun rahe to apne liye ham apna mangal karne ke liye apne aacharan sudharne ke liye apni satsang ka matlab darpan apni kamiyon ko dekhne ke liye sadhu samagam mein baithe apni kamia dikhayee de rahi wahan nischay kiya jaata hai aaj tak to galti ho gayi ab mujhe pata chala ki main galat hoon ab main jeevan mein galti dobara nahi karunga yah satsang ka phal hota hai agar yah baten nahi aa
rahi to ya satsang nahi hai ya aapka hriday bahut malin hai jo aap sweekar nahi kar rahe nahi satsang mat kirti gati bhuti bhalai jab ja jatan jahaje pai so jano satsang prabhav loko vedan anu pav nischit mangal ho par sweekar kare bina swikrati ke to baat nahi hai mara shi poochne ka ek hi karan tha ki betiyan yahan chhatralay mein ashram mein rahke padhti hai 17 sal se Narmada ke kinare maharaj ashram hai wahan 100 150 bachchyan haan agar aisa aisa hai kya ki sarvjanik prashn tha na ab ye personal prashn
ho gaya ki jaise gurukul mein pehle chatra rahte the aise gurukul ki tarah aapke yahan chhatraen rahti hai haan ab ab agar aap is vishay mein prashn karen to batayen beti betiyan jitna bhi samay rahe paas mein jitna samay padhe utna samay aur uske liye soche unko aur sikhae aur 150 bachchhe Narmada kinare ashram wahi ganv ke bachchhe hain jo gali bolne wale bachchhe the machhi mar ke log wo aaj jai shri Ram hari Om bolne lag bahut sundar to aisa ham isliye pucha ki ham aapko aap hamko kuch sikhae ham aur accha bachchon ke
jitna bhi ha panch aae to pach 10 aae to aisa nahi ki zyada hai jitna ate hain ab dekho kya hai ki jaise bachchhe aapke paas rah rahe hain to unka kusang na hone pave sabse pahli savdhani hai dekho mali jab paudha ropta hai to uske pehle baadh tayyar karta hai khet mein agar hamko achchhi fasal ugani hai to sabse pehle kheti tayyar karne ke baad jahan ham beejaropan karte hain to uski baadh tayyar karte hain ki koi bhi bakri aadi aise pashu akar hamari kheti ko nuksan to ye maya maya rupi jo bakri hai iske bahut bachchhe hain kam krodh lobh moh madh matsar aadi to yadi ham un bachchon ko paraspat dosh rahit kar pave aise koi sanskar unmein ekant mein baith kar ke chahe bachchhe ho chahe bachchhe ho gurujanon ko mata-pita ko baithkar mitrvat shiksha deni chahiye mitrvat jaise ham dost dost baithe to kaise aise bachchon ke samne kuch der ke liye dost banna chahiye aao sab baithe hain aur phir unki mano sthiti ko unko prakt karne ka avsar dena chahiye ye sab betiyan adivasi vistar ki hai ji jo 17 sal se aati hai padhti
hai college tak padhti hai phir ghar jati hai phir agar wahan savdhani hai to wahan to girne ke koi chans hi nahi kyonki jab ghere pe hai na aur sant samagam par hain par bas yahi dhyan rakhen ki man bade-bade rishi munio ko bhi akarshit karta hai vishay ki taraf to apne bachchon ke paas baith kar ke unko y sujha hua unka vyaktitva jagrit karen ki aise jo man ki trange hoti hain unko kaise mara jaata hai haan jab hamari man kyonki Yavan avastha ki taraf padarpan hota hai na jaise 12 14 varsh ki avastha se phir man mein trange ja jagne lagti hain nana prakaar ke vikaro ki to yahi avastha hoti hai ab inme paas mein baith kar ke unko yah bhi jagrit karna chahiye ki ham apne man ko kaise mare usse kaise nirapeksh rahe chahe grahasti mein ho chahe virakti mein man hi to hamen dukh de raha hai man hi to hamen nana prakaar ke shok santap pahuncha raha hai to agar ham naam jap karte hue man ki prerna ko dekhen ye sat prerna ya asat prerna agar sat prerna usko support kar dete hain aur asat prerna to udasin ho
jaate hain rok nahi rokne mein phir satya bhav aa jaega phir rokna mushkil ho jaega udasin jaise ham ja rahe hain koi hamen gali de raha hai na ham accha mana na bura mana to agli bar do char bar gali dega iske baad band kar dega ki iske upar koi prabhav nahi parta aise hi man hai jab hamko gandi prerna deta hai aur hamen bura laga to matlab prabhav para uski satta tumne sweekar ki ab hatana mushkil ho jaega aur accha laga to wo gira dega tumko bhrasht kar dega to udasin shabd hota hai
udasin na bura lagna na accha lagna wo viphurit ho raha hai va ham Radha Radha Radha ab wo nasht ho jaega wo sanskar nahi bana payega aur jo uska spharan hai wo nasht ho jaega kyonki ham usse prabhavit nahi ho rahe ham drashta matra hai na usse shatru paksh hai na usse rag paksh hai rag ya dves paksh na hone ke karan man dhire dhire dhire dhire nirwasan hone lagta hai to agar ham ye chatur kaen sikhae apne bachchon ko to jo ham hamare sanskar bigdne wale prerna hamar sabse bada dushman andar
baitha hua hai man wo phir usse ham bach jaenge aur sansarik cheshta hon mein bhi pran hona chahiye kaise hamen vihaar karna kaise hamen varta karni hamen kaise rasoi seva mein praveen hona ye bhi hona chahiye to hamen lagta hai ki is seva mein bhi praveen hona chahiye teen teen rakha hai ek school ejukeshan ek hamara dharm ka sanskar aur ghar kam haan ye ye ha ye ye bhi koi wahan par banane wa ladkiya apne aap rasoi banati hai ha ye bhi ye bhi uttam baat hai kyonki agar virakta na hokar bhagwat marg na prakt
mein grahan karke antar mein bhagwat marg lekar grihasth mein jaenge to sari pravinta honi chahiye gurukul mein isiliye chahe raja ka putr ho ya kisi kisan ka putr ho wahan isiliye bheja jaata tha wo in sab baton mein praveen hota tha rajniti dharm ki kaise hamen dharm niti ka gyan rajniti ka gyan aur vihaar ka gyan vihaar gyani jo hota hai na wah perfect vihaar wala hota hai uske vihaar mein truti nahi hoti to jo pehle gurukul parampara thi bahut achchhi thi aur ab zyada y adhnikta videshi sab chal gaya na to usne sab hamare jo pavitra bharat ke sanyam the unko sab matlab usam chal rahi hai jo bachchon ko nahi mobile ka dushan kuch bhi nahi kyonki usmen aur bhi karte hain to va bhi rakha nahi bachchon ko dete hi nahi ha accha hai ham mobile ko zyada doshi tab thahrate hain jab ham apne par shasan nahi kar pate nahi mobile se thoda labh bhi hai jaise aap aap sun ke ai ho to kisse sun ke ai ho agar kathiya Baba ke paas ek sant rahe hue the bahut sal pehle to unhone mere ko
aapka naam bataya y mein dekhne ko bola satsang sunna satsang sunne ke baad aisa ho gaya hai do sal se ki ek bhi din yadi satsang nahi sunaya to nind nahi aati bhagwan roz mera jeevan mein sadhna paksh mein ko kuch bhi itna samadhan mila hai main uska varnan nahi kar sakti hoon magar isliye yahan par ane ka beech maharaj shri ka pratyaksh darshan ke liye
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…