॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sari jimmedariyan nibhate hue kabhi-kabhi man bahut nirash ho jaata hai, aise mein kya karu ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

doctor ashish dixit ji maharaj ji aapke charnon mein koti koti pranam maharaj ji mere jeevan mein apaar sangharsh ke baad bhi aapke sanidhy mein akar param sukh prapt ho raha hai main jab se apni kleenik ke table par jaata hoon wahan aapki tasweer rakhi hai mujhe bahut atma bal mil raha hai prabhu ji ek chikitsak hone ke nate main purn nishtha se apna karm kar raha hoon aur samajik jeevan mein mujhe bahut safalta bhi mil rahi hai prabhu ji main keval ishwar mein astha rakhkar apne mrijon ko shreshth labh dene ke uddeshya se jeevan jeena chahta hoon lekin jeevan ke kai aise ghatna chakra hai jo jeevan mein nirasha pradan karte hain man vichlit ho jaata hai prabhu ji main jimmedariyon se bhag bhi nahi sakta aur jimmedariyon ke saath ra dekho nirasha tab hogi na jab aap asha karoge asha hi param dukham nairashya param sukham yahi to raas se nahi samjh mein aa raha hai asha hi param dukham nairashya param sukham asha ek Ram ji se duji chhod de nata ek Ram ji se duja nata tod bilkul saral bhasha mein samjho prabhu ki sharan mein

ho to jyon ja rakh to ho tyun tyun rahit ho he hari aap jaise rakh phir hamen dukh kis baat ka agar hamen koi gali de raha hai to hamare purv paap nasht kar raha hai jo hamen dand bhogna parta wo kat vachan se dur kar raha hai kitna badhiya sun liya bas khatm wahi dand bhogna parta jo ninda kar rahe hain apman kar rahe hain jaise koi kisi ne kaha aap kahte ho saho agar ham sahenge to badhta chala jaega to tum rok lo tum rok lo abhi tum shuru karoge jail jaoge jeevan bhar bandi ban kar ke dukh bhogo ga aur tum chup rahoge na to uska karm use nasht kar dega tumhare nasht karne ki zaroorat nahi hai avashya mein bhakt kritam karm Subha subham ashubh karm kar raha hai na tum bachao apne aap ko usko dand uska karm de dega kisi aur ko dene ki zaroorat tumhen dene ki zaroorat nahi shant raho gambhir raho bhagwan sabka bharan poshan karte hain apne kartavya mein kayarta mat rakho jaisi paristhiti ave usmen nirash mat ho age age badhte chale jao dekho yah pakka samjho chahe koi kitna bhi dharmatma ho raat aayegi rok sakga par t ke

dwara tum apne prakash mein ji sakte ho raat puri tum hata do aisa asamabhav hai par tum apne kamre mein light jalakar sukh purvak ratri ke dukh se rahit ho sakte ho aise hi sansaar mein yah dwaand chhae hui hai sukh dukh labh hani man apman ninda sthiti jai parajay janm mrityu yah dwaand ekdam chhae hue hain isko tum hata nahi sakte tum gyan ka prakash karke apne hriday mein is agyaan dwaand se dwaand vateet ho sakte ho agar apne ko sudharne chalo to tumhare hriday mein dwaand vyap nahi sansaar mein nahi rahenge aisa nahi jo jitna apne ko badlna chahta hai wahi badal paya hai kisi ki samarth nahi hai ki badal pave isliye nirasha aur asha in donon se hato aap chahte ho jagtiik unnati prabhu pata nahi aapko kis jagah pahunchana chahte hain shayad wo apna ang se bhi banana chahte ho jagat mein na phasana chahte ho aapko kya pata ho kya dena chahte hain ham logon ki halat ye hai jaise garib aadmi ganv ka kisi chakravarti samrat ke samip jae aur samrat prasann hokar ke kahe mango ji kya chahiye u ji

ek bail hai gay hai bhais hai ek sal ke liye chara de dijiye aur sab pure ghar ko ek jodi kapda de dijiye aur sal bhar ke liye bhojan de dijiye wo samjhega bahut kuch maang liya himmat nahi na uski agar va raja ko upar chhod de ki ham kya mange sahab aap jaisa wo de dega pure jeevan ke liye le de dega hamari bhul hoti hai ek bar rashtrapati udaharan ek rashtrapati bharat ka ek bar swatantrata divas tha to tihar jail mein gaye sab kaidiyon ko balaya bole aaj ke din hamara bharat swatantr hua tha isliye aaj jo mangega va ham sab kuch denge kah se khule dil se mango bo sahab hafte mein do sabun diye jae theek hai likh lo sab sardiyon mein jo kambal diya to bahut halka hota hai accha hona chahiye sab jis kothri mein rahte use patwa diya jae sabne sab manga va ek bada chatur tha baad mein utha aur gaya bole sahab jail se mukt kar dijiye bole isko mukt sab bole mujhe bole nahi tumne sabun manga tumh mukt le aise hi hai hamari halat aisi hai ki agar bhagwan bhi mil jae na to isi jail mein sansaar du khale

ladka de do rupya de do yah nahi kahega ki mujhe jeevan mukt kar do prabhu apni maya se hamari halat yahi hai to hamen chahiye ki ham asha prabhu ke upar chhod de jaise chaho aap mere Swami ho kartavya mein pramad nahi karunga dharm virudh aacharan nahi karunga aur jaise rakhoge muskura ke rehunnga jahan koi aisi paristhiti aati koi apman koi pratikul mere prabhu ka diya hua har vidhan usko khushi se sahna muskura ke nikalna aansu nahi ghabrana nahi nahi nahi hamne prabhu se pyar kiya hai to pyare ka hi samrajya hai aur uska har vidhan hamare liye sarkhon pa hai hamko uska virodh nahi karna usko sahna hai wah dekhna chahta hai is paristhiti mein tum kaise muskurao ga to hamen sahna hai bilkul aise kamzor mat bano ki koi kuch kah de tum ro do thodi si ha ho gayi tum ro do nahi tum aise malik ke jo bhrikuti vilas srishti le hui itne mein ise nimes kahte hain niveesh mein anant brahmand ka srijan kar deta hai wah jab chahega to nihal kar dega jaise wah chahe hamen waise rahna hai ab to kya

dukh hoga kya dukh hoga matlab samjh hamari thodi theek ho jae to ham nirash kyon ho ki aisi paristhiti aa are paristhiti badalne mein der lagti hai kya aaj khane ko nahi kal bhandara shuru ho jaega usko uska khel aisa hai aisa hi hai aisa hi hai aisi paristhiti thi ki bhiksha mangne jae to ab sharir rog se grasit mangne ja nahi sakte koi pani dene wala nahi ek rupya nahi kyonki sansaar se kisi se milna julna nahi tha phal phool to sab baat jane do mishri hai na Vrindavan ki to ek Brijvasi dete

the 250 gram mishri 15 din mein to itna tukda apni shri ji ko jo aaj phool bangla mein baithe bhog lag rahe hain itni mishri ka tukad 24 ghante mein par wo asuon se lagta tha ki shri ji mujh akinchan ke paas ab aap isi se tript ho jaiye isi ko man lijiye 56 bhog hai sham ke phool mangte the bihari ji ke samne jo daliya lagti hai char pach 10 phool mil jaate the unki saiya laga ke shri ji ko shri ji sahan karo aaj phool bangla ban raha hai unki mauj hai kabhi footpath pa to kabhi mahlo pe kabhi koi poochne wala tha nahi tha aaj karodon netron se keval pyar pyar mil raha hai ham dekhte hain ki log prayah santo ke paas jaate hain mujhe yah de do hamare paas ate hain tumhari ayu badhe tum sukhi raho tum svasth raho bolo ulta dekho dekho na kaun kar raha hai yah kaun kah raha hai yah hamare prabhu in rupon mein aa ham yahi ascharya mante hain santo ke pa jaate la maharaj mere cancer ho gaya theek ho jae maharaj ye hamare yahan aise ate hain maharaj aap theek ho jao aapki ayu badhe aap sukhi rahe aapko meri ay

lag jae mera yah kahan y kaun bolta hai prabhu bol rahe hain itne mukho se prabhu bol rahe hain itne netron se jo ved kahta hai na sas sarkha purkha shastr mujhe dikhayee de raha hai mera prabhu itne rupon mein dekh raha hai mujhe mera prabhu itne rupon mein pyar de raha hai ashirwad de raha hai sachchi mane hai ek matra bhagwan ka aashray le lijiye jis din aashray pakka ho gaya pakka ka matlab jaise gay bandhta hai na khute par kisan to ta hai aur phir hila ko wahi dekhta hai ki agar hamse hila to abhi aur pitega phir aur thokta hai use aur jab dekha ki nahi hil raha tab gayan aise hi kuch hai sharanagati mein agar ham hil rahe hain to bhi pitai baki hai abhi thukai hogi pakke sharanagat jaha ho gaye phir nihal ye anant brahmand samrajya aapka kyonki aapne Swami ko sarvasv arpit kar diya to Swami aise udaar ke apna sarvasv arpit kar diye isliye savdhaan ham nirash to ho na nirash na ayengi paristhiti aisa nahi ki aapke upar aae aisa nahi hai koi aisa batao vishv mein jaise ki main sankat se lad raha

hoon koi aisa vishv mein ek bata do are jinke yahan bhagwan avtrit ho rahe swayam sacchidanand vapu shri Krishna hathkadi aur bediyan padi hui kans ke karagar mein raaksasi swabhav wale sainikon se surakshit karagar garbhavastha hai lekin hathkadi aur bediya aur garb mein kaun padhare hain akhil koti brahmand ke Swami bhagwan jinke bhagwan putr Ram rup mein utrat hue un mata ko vaidhavya pita ka parlok gaman 14 varsh Ayodhya vasiyon ke asuon ki jhadi ragan mein jalte rahe bhai dekho bhagwan avtrit

hue dekho na nange pair banvas prabhu ka Sita ji ka haran Ravan se aap dekho na jeevan tumhara sangharsh kya hai apne log kah dete na ki bhai hamara bahut sangharsh aapka kya sangharsh mein jeevan aap ghar mein to rah rahe ho prabhu ko ghar mein bhi rahne de 14 varsh ka balwas sarkar ko Priya shri aju ke saath jahan phool na chubh jae aise charnarvind wahan kankar aur pathreeli bhumiyon mein jangal mein jahan kate wahan prabhu vichran kar rahe hain isliye dhairya dharan kar ham prabhu ke bachchhe hain hamen kabhi ghabrana nahi aur dharm tyag nahi karna dharm se chalo naam jap karo aap dekh loge ham ye nahi kahte ki tumhara ban jaoge ham yah kahte hain ki tum aise dhani ho jaoge ki chah nahi rah jaegi sabse bada dhani kaun jiski chah hi nahi hai nahi to koi ek lakh ki maang karta koi ek karod ki maang karta hai koi ek arab ki maang karta hai to sabse bada bikhari kaun hua ek arab wala hua na wo kahte hain ek rupya wala jo ek rupya maang raha hai na bole bade bikhari hai nahi nahi bikhari wo to chhote hain aap bade bikhari ho

aapko ek arab chahiye wo ek rup mein santosh kar lega tumhen ek arab mein santosh le hai dhairya purvak vivek ke dwara samjho ham ham prabhu ki kripa se santusht ho jae chah mit jae anand hamare hriday mein ullash ho raha hai kisi bahari vastu aur kriya se jo anand prapt hota hai wah anand nahi hai voh anand koshya hai aur jo anand sacchidanand srot se prakt hota hai wo abad hota hai kabhi badhit nahi hota gyan marg mein hai jo jo anand kosh ka baad kar de wo anand sin swaroop ki taraf badhta hai abhi to ham jara sa kuch satvic bhav aaya to uska anand kabhi vi anand dhairya purvak chale nirash na ho

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…