ham to bahut papi hain, adham hain hamen kaise bhagwan mil sakte hain ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
jab bhi bhajan karne ka prayas karte hain ya naam japne ka prayas karte hain to bar-bar man yah kahta hai ki tumhen prapti to nahi ho sakti ishwar ki ya sakshatkar nahi ho sakta kyon nahi ho sakti aap prashn nahi karte man se ha prashn karta hoon kahte tum bahut adham ho bahut hi paap hu tum to hamare prabhu ka naam suno na hamara sambandh hai prabhu se hamare prabhu ka naam adham udaharan ham bahut patit hai to prabhu ka naam hai patit pavan ham bahut anath hai unka naam hai deenanath hamara unka rishta pakka hai bhagwan to hamen milenge man ko uttar dena sikho hamare prabhu ka naam adham udaharan he bhagwat prapti hamare ghar ki baat hai bap ki property ka adhikari murkh putr bhi hota hai padosi wakil ho to nahi ho jaega samjh mein aa to hamare prabhu hai ham jaise hain to hi mohi nate anek maniye jo bhave jyon tyun tulsi kripalu charan sharan pave tu dayal din ho tu dan ho bikhari ho prasiddh pat ki ta paap punj hari nath tu anath ko anath kaun moso mo saman arat nahi arat har to sa brahm tu
ho jeev tu thakur ho chero tatma hamare sare sambandh aapse ham nich hai patit hai anath hai durgati yukt hai par nath aapke hain kya chala jaega hamen bhagwat prapti isi bhav se hoti hai agar kisi ko abhiman ho jae main bada punyatma mein tapasvi mein sadhak ab bhagwat prapti dur hai agar yah andar raha ki nath main jaisa hoon aapka hoon hamari kya samarth ki aapko main prapt kar sakun par prabhu man mein aa gayi baat ki aap hamare ho main aapko dekhna chahta hoon to wo gale laga lenge dekhne sunne ki to
baat jane do aapne jana nahi hai na hamare prabhu ke swabhav ko bhagwan shankar kah rahe hain Uma Ram swabhav jahi jana tahi bhajan taji bhavna ana aap to bhagwan ko bhagwan mankar kuch na kuch to bhav karte hain na Putna bhagwan ko marne gayi thi jahr laga ke to usko wah gati di jo Yashoda maiya ko mili Shishupal gin gin kar gali deta tha bhari sabha mein bhagwan ne usko wo gati di jo saru moksh bade-bade rishi munio ko prapt hota hai aap vichar karke aghasur bakasur aise kitne Rakshash jinko muni jan vanchhit
param pad bhagwan ne diya jinko jo bhagwan ko galiyan dete the bhagwan se ladte the bhagwan ko marne gaye unko to param pad de diya ham to unke ansh hain jaise bhi hain aur ham Radha Radha bolenge hamen shri ji nahi mil jaenge ham Ram Krishna hari bolenge hamen prabhu nahi mil jaenge ab ek baat samjh lo pahar jaisi rui jama ho to pahar jaisi aag ki avshyakta nahi ek tili ki avshyakta hai pura bhasm ho jaega aise pahar jaise paap ho ek bhagwan naam ki ragad chahiye jaise ham do lakdiyaan ke gharshan se agni paida kar dete hain aise jawan se jab ham Ram Ram Radha Radha Krishna Krishna hari hari bolte hain to isse gyana agni paida hoti bhakti ki premagranth hai vishwas karo bhagwan hamare hain ham jaise bhi hain bhagwan ke hain ham prayas karenge ki ham naam na bhule to bhagwat prapti ho jaegi aapne utne paap hi nahi kiye jin jin ko bhagwat kripa hui agar unke papon ka register dekha jae to pura ka pura keval paap se hi bhara tha lekin dhoke se nikal gaya narayan ulta bolne lage mara mara brahm rishi
ban bhagwan ko prapt ho gaye to himmat banti hai ki sher bhar wo the to pav bhar ham bhi hai jab sher bhar ko sweekar kar liya to ham panv bhar hamko bhi sweekar kar lenge samjh mein aa raha na nirash to hone ki zaroorat hamare prabhu ka bahut karunamay swabhav sachchi kahte hain kisi pakshpat ki baat nahi jis din jis pyar ke liye ham lalak rahe hain yahan sansaar mein aur wah pyar wahan thikane par pahuncha us din bas ek hi baat rah jati hai rone kisi aur kuch nahi lagta premi kya kar sakta hai keval rota hi hai aur
jinne rona pasand kar liya to hari usko mil jaate hain bin roye kin paiya prem pyara mein bahut kripal bhagwan hai waise ham bhagwan ki prapti ke adhikari nahi par unki kripa se ham sabke liye kahte hain ki ham aise bhagwan ki prapti ke adhikari hain jaise pita ne badi mehnat se rupaye ki sampatti kamai bada vidvan padha likha sab samaj pratishtit par ham uske murkh putr hain gawar putr hai to sarkari hisaab se property hamare naam aayegi padosi bahut vidvan hai usko nahi chali jaegi aise hi
agar hriday se hamne sweekar kar liya ki main nich hoon par apne prabhu ka hoon to nischit bhagwat prapti ho jaegi hamari baat man lo nischit bhagwat prapti ho jaegi aur jinko yah ghamand hai main tapasvi hoon main bada jitendriy hoon bahut abhi dur nagri ab janm janm yatna karna padega wah ahankaar nasht hoga tab bhagwat prapti hogi va apne log ahankaar karne layak hi nahi rahe jitendra kaise jitendra jab jo man chahta va karva leta hai ham to papi hai ham to adham hai ham to phisaddi hai to hamare andar
pehle hi baat aa gayi ki ham kisi kam ke nahi to wo baat aa gayi jisse bhagwat prapti hoti hai he din bandhu he pa pavan jaise ban raha ho aap bhajan karva rahe ho main bhajan kar sakun itni meri samarth nahi nath main aapka hoon isi se baat ban jaegi samjh pa rahe aap
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…