agar ham sare paap nark mein bhog lete hain to manushya janm mein kasht kyon pate hain ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
abhas sinh ji Radhe-Radhe Gurudev Gurudev bhagwan aapke charnon mein anant koti pranam Radhe-Radhe Gurudev Gurudev aapke shri mukh se hamesha sunti hoon ki bahut sare janmon ke godam se shubh aur ashubh karm nikaalkar praarabdh ka nirman hota hai jisko hamen bhogna parta hai Gurudev hamen yah samjh nahi aaya ki jab sharir chhorne ke baad hamari jeevtma ko narka aadi yatnaen sahni padti hain apne karmon ke anusaar to iska arth ye hai ki har bar mrityu ke baad us janm ke karmon ka niptara ho jaata hai to ka godam kaise banega nahi pura nahi pura niptara kya hota hai ek katl kiye na to pure aajeevan karavass aapko mila ek katl karne ke baad to yahan to ek hi khula na lekin wahan to ek-ek cheshta aapki pata hai na aapne jo swapna mein jagrit mein sushupti mein to wo ek-ek cheshta pata hai.
ab usmen mansik shareerik vani ke dwara ek-ek aparadh hai. To ab jaise ek katl kiya to aapko aajeevan karavass mila. Yahan mila. Ab aise saikadon aparadh hamare gupt hain jinko koi nahi janta hai. Lekin wo bhagwan ke darbar mein to unka hai na to ek-ek aparadh ka alag-alag dand bhagwa bhugwaya jaata hai. Kuch aise aparadh hote hain ki jo aise chhote-mote aparadh to unmein jaise hai hamara accident ho gaya, hath tut gaya, pair tut gaya. Yah sadharan papon wahan asdhran papon ka hota hai. Bhari nark mein bhari papon ka bhog bhogaya jaata hai.
jo thode-mode paap hote hain unse milakar ke phir mano de diya jaata hai. To thodethode accha kisi kisi ko dekho ki bhayanak pida yukt sharir ki pure jeevan nikal jaata hai. Bhayanak pida hote hue. Wo mahat paap bhogne ke baad jo bacha hua hai wo jaise aap dekho saja milti hai to bole isko 20 sal ki saja 1 lakh ka jurmana. Jab saja de di to jurmana kahe ko diya? Vidhan hai. To saja hui narak mein aur jurmane mein yah point jab manushya sharir diya gaya to rakh diya gaya. 20 sal mein accident hoga pair tut jaega.
ye uska hisaab hamare bhagwan ke nyay mein itni bhi chuk nahi hai. Aap ye pakka samjh kiska prashn hai? Haan. Itni bhi chuk nahi hai aur pure jeevan mein aapne ek paap nahi lakho paap kiye hain. Jinka aapko gyan hai aur gyan bhi nahi hai. Kuch agyaan mein hue aur kuch gyan mein hue aur jinka koi dand aapko nahi mila hai. Unka dand aapko bhogna padega. Wah sab stock mein jama ho raha hai. Wahan aisa thodi ki bhul bhulaiya ho gaye. Koi aisa sharir dhari nahi hai jo bhagwan ka premi aur bhagwan ka avtari purush hai.
uski baat nahi karta. Nahi sabse kuch punya aur kuch paap bante hain. Kuch paap hote hain jaise hamne kisi ko abhi chheda aur khul gaya to uski saja hogi. Kisi kisi mai bahan ko chheda aisa lakho bar ho chuka hai lekin khula nahi hai to wah ek bar hamara kes koi khul gaya to uski saja kya hogi bole nabalik ke saath aisa kiya bole phansi ki saja lekin aisa 50on bar aparadh kiya jo nahi khula hai ab wo dand wo to milega na dand bole bhagwan ke darbar mein nyay ye kya nyay hamne to koi galti nahi ki jaise bina kisi galti ke dand mil raha hai to tumne ne wo galti ki hai jo koi nahi janta hai wo dand karm akar ke ab is rup mein dand dega jahan tumhari koi galti nahi wahan phas jaoge aur wahan tumhen pida sahni padegi avashya mein bhoktuvi kritam karm subhas shubham to agar isi janm ka dekho bachpan se abhi tak aur imandari se jitna dhyan hai utne ko dekho kya un cheshaon ka dand nahi hai kya to kya wo free hi chali gayi kya khuli nahi hai ham ho aap ho aap ho imandari se sachchai se dekho.
shri dham Vrindavan mein baithe ho. Itni galtiya hui hai ki agar aapke samne nyayadhish bankar aapko bithala jae ki aapko in ka to aap kahoge accha aparadh hai dand milna chahiye. Mujhe milna chahiye. Agar sache hriday ke ho to sweekar kar loge. Hamare bhagwan kitne kripalu hain. Iske baad bhi avsar diya hai aapko. Ab bhi bhajan kar lo. Ab bhi unko nasht kar sakte ho. Jo isi janm mein hue hain aur bhajan ke dwara tum to pure godam par aag laga sakte hain. Aam swar paap mokshyam mascha yahi samjhane ke liye to satsang ho raha hai ki yah janm tum vyarth mat jane do ab apna kam bana lo lekin yahan kam banane ki jagah bigadte chale ja rahe hain stock par stock rakhte chale ja rahe ho bade khushi ki koi nahi janta hai bhaiya yahan koi janne na janne ka matlab nahi jisko janna hai wo nirnayak tumhari ek ek baat ko jaan raha hai bhajan karo karmon ko bhog lo aur karmon ko bhasm kar do ye mukt hone ka avsar hai aur agar isi ham naye-naye karm paap karm karte rahe to yah jo avsar mila hai iska labh nahi mil payega.
hisaab kitaab mein ek second ki bhi chuk nahi hai. Pakka samay ek second bhi jo tum kar rahe ho uska phal tumhen milega. Yahan tum aae ho to ja jab se aapki sudhi hui tab se mrityu tak ka pura hisaab hoga. Ab kuch aise hain jo kes phas jaate hain aur ham dand bhog lete hain aur kuch aise usmen hain ki hazaron kes dabe hue hain. To yahan bhi bhogo narak bhi bhogo agle janme mein bhi bhogo uska hisaab hai. Jaise nahi ab jab 20 sal ki usko kaid de di to jurmane ki zaroorat kya hai? To diya jaata hai na jurmana 500 jurmana 1 lakh jurmana.
ab wahi mehnat karo aur wahin se tumhara paisa katta jaega aur jail ki saja bhi bhogo. Isliye karm hai ka ek karm hai 10 minute ka vybhchar uski saja ek karm hai 10 minute mein krodh ko control nahi kar paye hinsa ban gayi aaj aise kitne gupt paap hain jinko koi nahi janta to unka dand hamen bhogna parta hai aur aise bahut janmon mein aparadh ho chuke hain bahut se paap ho jaate hain jo jaan karke hote hain. Kisi bhi jeev ki hatya karna paap hai. Hai na? Yah jo murga, murgi, bakri, bakra yah kha rahe hain paap nahi ho raha hai.
sharab pi rahe ho, mans kha rahe ho paap nahi ho raha hai. Aap vichar karke dekhiye aapke liye kya shastr agyaa karta hai ki aap ye paie. Aapke liye 56 prakaar ke bhog hain. Sundar-sundar bhog hain. To, ham log manmani kar rahe hain na aap. Lekin aap gaur se dekhiye. Agar tumhen shastr ka gyan ho jae to abhi tharra jaoge ki is paap ka itna bada dand, is paap ka itna bada dand. Dekho na 10 minute usne galat kiya. Aajeevan barbadi jail mein aap vichar karke dekho. Aapne aise hazaron karm kiye hain. Abhi koi dand nahi mila to kya dand nahi milega?
ek sarkari nyay hai bharatiya to yahan ye dand aur ek hota hai bhagvatik. Wahan to koi na wakil ki zaroorat hai aur na wahan kisi sakshi ki zaroorat hai. Aap hi uske sakshi hain. Wah ek second mein nyay ho gaya. Itna itna itna hisaab isiliye daro yahi dar hi darap Harivansh hit daro is baat se ki ab dobara hamko narak na jana pare. Hamara kam ban jae to Radha Radha Radha Radha bhagwan kah rahe main tumhen samasth papon se mukt kar dunga. Wahi batane ke liye baithe ki naam jap lo apne kartavya ka palan karo. Bhulkar paap mat karo.
wo bhogna padega. Wo kisi na kisi rup mein aayega aur aapko dand dega. Lekin ham usse lad jaenge. Agar hamare paas naam jap hai bhagwan ka aashray usse ham sah jaenge aur age chalkar ham mukt ho jaenge. Isko bhog liya. Purane ko bhagwan bhasm kar diye aur naye savdhani se chal rahe hain ki paap banne na pave. Mukt ho gaye. Samjh mein aa raha hai aapko?
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…