jab kisi ne ashudh avastha mein mantr va path kiya to uske saath kya hua ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Manoj ji Australia se Radhe Radhe Radhe Radhe maharaj ji maharaj shri mujhe Vishnu sahasra naam mein shraddha hai aur kanthsth bhi kiya hua hai samay ke abhav ke chalte kabhi-kabhi chalte phirte job par jaate hue path kar leta hoon aur koi sadhan puja nahi ho pati kintu bh bhagwan ji ki stuti ka jo path hai jaise Bhishma stuti Kunti stuti aadi gata rahta hoon maharaj shri videsh ki life mein akelapan bahut hai jiske chalte indriyan bhogon ki taraf jati hain aur janbujhkar ya anjane mein shastr virudh ho jaate hain jabki log mujhe dekhkar sidhe Krishna naam lete hain unko mujhe dekhte hi Krishna smriti hoti hai andar se kabhi awaz ate hai ki tu bhangla bhagat ban raha hai kripya maharaj ji margdarshan karen main aise chalta ab pahli to achchhi baat ye hai ki aap apna bahut badhiya nireekshan parikshan kar rahe ho aap dosho ko dosh man rahe ho isliye dhanyavaad hai aap dosho ko dosh to man rahe ho nahi to prayah aisa hota hai ki dosho ko ham sukh buddhi se gun buddhi se unko dushman ko dushman man le to ek din
hat jaega to aap dosho ko dosh man rahe ho aap apne ko man rahe ho ki hamse truti ho rahi hai ab ismen khas baat ye hai ki jaise stuti hai Vishnu sahasra naam hai ye pavitra bhagwan ke jo stuti granth aadi hai inko pavitra avastha mein hi gaan aadi kiya jaata hai ab jaise aap jin paduka ko pahnkar shauchalay gaye jin paduka ko pahnkar laghu shanka hue wahi paduka pahne aap Vishnu shastr naam path karen to shastr mariyada kahti hai yah theek nahi hai naam jap kar sakte ho lekin jo stuti aadi hai jo pavitra path aadi hai unko pavitra avastha mein kar lo jab aapko samay mile ab ya phir pavitra vastr aur wah paduka honi chahiye jo soch aur bathroom mein prayog na kare aisa hota hai shooj jo varka ke hote hain varka par pahan ke jane ke wo nahi ham kah rahe hain aap duty mein gaye aapko lu shanka lagi aap soch gaye to unhin paduka ko pahan ke to jaenge na to phir unmein kaise aap shastriya in sab stuti hon ka kaise avi chalti rahti hai main karne nahi jaata hoon to bhi andar chalti rahti hai achanak shuru ho jati
hai aur bas chalti rahti hai soch mein bhi soch mein bhi chalti hai waise bhi chalti waise hamari haan waise dekho isiliye ham agar piche aapne suna ho hamne kaha hai ki shastriya paddhti ka ullanghhan karke manmani aacharan karne par Bhagvati hone par bhi usmen kam krodh aadi ki adhikta pai jaegi aapne suna hai ye kai bar uttar mein diya hai ki kam krodha aadi ki adhikta pai jaegi kyonki shastriya paddhti ka ullanghhan Chitrakoot wale maha haan maharaj ka udaharan dete hue hamne yah baat kahi aap khud anubhav karte hain na ki iski adhikta pai jae to meri prarthna man lijiye aisa abhyaas kijiye ki jab aap soch mein ho tab naam jab chale jo naam priy ho Ram Krishna hari Radha jo naam priy ho aapko us samay naam jap kiye aur jab pavitra ho to aap man mein ya uchh swar se aap stotr gaye na karen aap Vishnu sahasra naam gayan karen jab aapko aisa abhas ho raha ho ki mere vastr apvitra hai meri paduka aadi apvitra hai jo main pahne hue ho us samay naam jap kijiye bhagwan ke bade madhur madhur naam hai namon ka smaran kijiye
lekin jo pavitra stuti yaan hai pavitra stotr hai mujhe lagta hai pavitra avastha mein kiya jae to aapko vishesh labh milega chalte phirte nahi kar sakte aap pavitra ho to kar sakte ho matlab waise to aapke vastr pavitra ho aapki paduka pavitra ho vastr pavitra hote hai snaan karke hi karta hoon vinash haan to aapko jab abhas hai ki main pavitra hoon par shoos nahi hote na pavitra shoos to ana cha haan dekho ham isiliye prarthna karte ki agar ham kahin bahar jaise gaye ham pehle to lakdi ki paduka pahnte the jaise gaye to laghu shanka agar ham karenge to lakdi ki paduka ko utar ke nange pair karenge pair dhok phir lakdi ki paduka pehle kyonki guru ji ne kaha tha ki jis paduka mein laghu shanka aur soch ho na usmen mantr na japna to mantr nirantar japne ka abhyaas karen to ham us paduka ko pavitra rakhte hain hamen ge pair laghu shanka ke pair dhoe phir paduka pahan li dekho gurujanon ki agyaa shastr agyaa usko ham aisa abhyaas bana hua hai jaise ham aapse baat karte hue jae aur hamen bathroom mein pravesh
karna hai to uski paduka alag hai johi hamara pair jaega to hamara mantr band ho jaega ham agar nai paduka bhi jaise yahan to nahi pahnenge wo na bathroom mein jaenge na usse log shanka nahi karenge agar us paduka mein pair jaata to mantr band hota phir ham usko samjhate hain man ko nahi nahi ye pavitra paduka hai ye laghu shanka soch mein nahi tab mantr chalega agar mukh mein hamne kuch bhi dal liya charanamrit prasad mantr band ho jaega naam chalne lage phir usko samjhana parta hai nahi charanamrit piya hai aisa mukh nahi jhutha hai tab phiram abhyaas aisa thodi khilwad thodi abhyaas tabhi paramarth ki unnati hoti hai meri prarthna man lo pavitra avastha mein mahan stuti aan hai ye mahan bhagwan naam jo Vishnu shastr naam gopal shastr naam ye pavitra avastha mein karna chahiye to pavitra avastha ka dhyan rakhte hue har samay naam jap karo aisa thodi abhyaas mein badi takat hai abhyaas ham jaisa karenge vaisa hi ho aapne vaisa abhyaas kiya aap vaisa abhyaas karo ye abhyaas aisa ho gaya hai ki achanak se shuru hi
ho jaata hai phir jahan achanak se shuru usi samay hamari baat yad karo aur usi samay shuru karo Radha Radha Radha Radha aur jahan phir pavitra ho to phir aap uska asan pa hi baith ke karu nahi chalte phirte bhi kar sakte ho par hamari shart pavitra ki hai wo aap nirvah karo pavitra ka kaise nahi to naam jap karo aur jab aap pavitra tab inka path karo dekho inke path ka inke swadhyay ka arth hai ki hamara antahkaran pavitra hona chahiye aur nirvikaar aata badhni chahiye aap sweekar karte hain ki wah is koti ki vikar ate hain ki aapko hi laan hoti hai ki main bagula bhagat hoon aati hai na to yah dhanyavaad hai ki aap apni kamiyon ko dekh rahe hain par iske mul karan ko dekhiye ki sadhan karte hue paramarth mein unnati kyon nahi ho rahi ek bar hamne kaha tha panchakshari mantr dwadsha aksha mantr aadi jo vaidik mantr hai ye log jo kirtan kar karte hain apvitra dasha mein jo bolte hain ye unke liye badi hanikarak hai unke mansik rogon ko badhaenge na ki shant karenge to wahi baat hai is baat ko samjh haan hamare baat
ko prarthna ko mana jae kyonki aajkal jo hota hai siddhanto ki dhajhiyan udai ja rahi hai vaidik siddhanto ko bhagwat siddhanto ko mitaya ja raha hai jo man mein ave so karo jaise man mein ave waise karo kyonki ab koi dantne wala nahi raha koi samjhane wala nahi to isliye sthiti bhi to nahi hai na sthiti bhi to nahi hai na dhanyavaad hai aapko ki aap apni sthiti kholkar rakh rahe hain samne aap kah sakte hain main bahut accha hoon ab ham kya bol payenge ab aapne bataya ki meri sthiti aisi
to praman mil raha hai na ki apvitra dasha mein sadhan karne par bhi adhyatmik unnati nahi ho rahi hai isliye shastriya paddhti se ham tasma shastram prmanam te karya karya vyvasthit bhagwan kah rahe karya aur akary ki vyvastha shastr paddhti se rakhi gayi hai mansik ek sthiti aati hai jo deha tit sthiti mein pahunch chuka hai ab wah hage bhi bada hai soch kiye hue aur wo bhagwata ka usmen koi fark nahi lekin aapko vikar satate hain aapka deha abhiman hai ki main purush hoon aapke andar kam krodh
aadi hai unke mitane ke liye aapko niyamavli se chalna padega wo siddh purushan ki sthiti ek alag hoti hai ham apni sthiti aur siddh purushan ki sthiti se milan nahi kar sakte voh to soch mein baithe unko pata hi nahi hai sharir soch ho raha hai aur va swaroop mein sthit unki alag sthiti hai ham sharir ke hi anusaar chal rahe sharir bhav mein hai to hamko shastr ke anusaar chalna padega veda sthiti ko prapt mahapurush ke upar ved ka shasan nahi hota lekin ham log dehati sthiti mein abhi nahi hai abhi
sharira bhiman mein to hamko waise hi kram se chalna padega theek hai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…