janiye sarv sukh pradan karne wali sadhan bhakti , bhav bhakti aur prem lakshna bhakti !
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
uttama bhakti chit swaroopa hoti hai iske teen bhed hote hain pahla sadhan bhakti dusra bhav bhakti aur tisra prem bhakti indriyon ke dwara sari ki sari cheshta prabhu ke liye hona jaise naam kirtan karna hai naam jap karna hai leela charit sunna hai seva karna hai parikrama karna indriyon ke dwara karm gyanendra ke dwara man sahit sari cheshta prabhu ke liye hona use sadhan bhakti kahte hain is sadhan bhakti mein do gun prakashit hote bade jor ke klesh agni shubh dayni sare klesh nasht kar
deti hai sadhan bhakti uttama bhakti ke teen sadhan teen pahla hai sadhan bhakti dusra bhav bhakti tisra prem bhakti is bhed ko pehle sadhan bhakti agar pahli sahi hai to dusri aa jaegi bhav bhakti aur bhav bhakti sahi hai to tisri prem lakshna bhakti jagrit ho jaegi pahli mein kitna labh shuru ho jaata sadhan bhakti mein klesh agni sampurn klesh ka nash ho jaata hai klesh kisse hote hain teen se klesh hote hain paap se vasna se avidya agyaan se jab ham sadhan bh karte hain sadhan bhakti ka matlab samjhe man sahit panch gyanendriay panch karmendriyon se jitna kuch ban raha hai va sab prabhu ki prasannata ke liye us sadhan bhakti ke do prabhav prakt honge sampurn klesh ka nash klesh kisse hota hai teen baton se paap se klesh hota hai vasna se klesh hota hai aur agyaan se klesh hota hai yah sadhan bhakti mein gyan prakashit ho jaata hai sampurn vasna bhasm ho jati hai aur paap nasht ho jaata hai isliye klesh agni sampurn klesh ka nash sadhan bhakti mein ho jaata hai aur shubh dayni kabhi-kabhi agyaan
ke karan arop bhagwan mein karte hain ki bhagwan ham par kripa nahi kiye itni bhakti ki itna naam jap kiya lekin purv praarabdh jo hai wah bahut balvan hai jab sharir ra gaya usi samay praarabdh racha gaya aapke saath ghatnayen ghategi isiliye naam jap kar lo praarabdh aur aprla jiska paap phal prakt ho chuka hai bhogo apaar abhi ane wala hai pehle se nischit hai ki 55 varsh ki avastha mein aapko yah bhogna hai pakka bhogo chahe jitna bhajan karo bhogne ki samarth bhajan se mil jaegi praarabdh ko mitana bahut kathin hai aur jab mitane wala bhajan ho jaata hai to mitane ki ichchha nahi rahti kyonki bhagwat prapti ke nazdik pahunch chuka hai to lautkar kaun jaise saanp apni kech ki taraf nahi dekhta aise bhagwat prapti ke yogya mahatma sharir ki taraf nahi dekhta to paap ka bij vasna hai isse hamare purv paap hue do prakaar ke praarabdh ban chuke hain ek praarabdh ek aprla jo ham bhog rahe hain ap jo age bhogne wala hai paap ki bij vasna is janm bhi paap kara rahi to ham jab sadhan bhakti karte hain to is janm ki vasna
ka nash hota hai aur purv staak jo papon ka hai uska nash ho jaata hai aur avidya jiske karan paap ho raha tha vasna ban rahi thi uska nash ho jaata hai par praarabdh bana rahta hai yah agyani jan na janne ke karan kahte hain ki are bhajan shuru kiya bada kasht bhog rahe hain to kya bhajan ka phal hai anant janmon se bhogte chale aa rahe ho paap karm karte chale aa rahe ho tumhen pata nahi logon ki samjh mein nahi aata machhli ko jal taroi kahte hain to tum kaun si taroi hoge tumhen bhi pata hona chahiye pakka masya avatar bhagwan ne liya hai ki nahi liya masya avatar bhagwan ne liya hai aur tum machhli ko jal to karte ho kadhai mein tal ke khate ho to tum bhi tle jaoge ab ek bar ke ahar mein kitne jeev khate hain log kitna paap kar rahe hain a gyanyon ko brahma bhi nahi samjha sakte murakh hriday na chet chahe guru mile baram cha samm phool far na bet bas mein chahe jitni khad pani laga do waha sev santra nahi lagne wale aise hi jo murkh swabhav ke log hote nahi samjhne wale jab sadhan bhakti ka anusthan kiya
jaata hai to usse do prabhav prakt hote klesh agni aur shubh dayni klesh agni paap se klesh hota hai vasna se klesh hota vidya tino ka nash ho gaya lekin praarabdh aur apaar age ane wala bhog yah donon bhogne padenge isliye himmat jatao naam jap ke dwara itne balvan bano ke praarabdh dhave aur hanste hue bhog lo praarabdh ka nash karne ki jab yogyta aati tab nash karne ki ichchha nahi rah jati aur jab tak nash karne ki ichchha tab tak yogyta nahi ai sab klesh ka mul karan bhagwan ka bhajan na hona bhagwat vimurkh hai to jab ham bhakton ke sang ke prabhav se sadhan bhakti ka anusthan karte hain to sare klesh ka dukho ka nash ho jaata hai ab age dukh nahi hai bas itna hi hai rasta jisko aap bhog le sarv dukh nashak yah klesh agni se ho gaya ab shubh shubh ka arth hai sadhak ke jeevan mein param mangal param anand ka vidhan yah naam se prakt hota hai shri Harivansh chandra shubh naam sab sukh sindhu prem ras dham jam ghati visre nahi ek kshan na misro har samay naam jap karo yah maha shubh prakashit kar dega shubh
se kya hota hai jaise klesh agni se vasna paap avidya ka nash praarabdh ke bhogne ki samarth aa gayi shubh se kya hota hai bole shubh sari daivi sampada prakt kar deti hai sadhan bhakti se vishay sukh brahm sukh parmeshvar sukh yah sabhi prapt ho jaega aapko vishay sukh chahiye to bhi sadhan bhakti karo aap dekho vishay sukh prapt ho jaega brahm sukh prapt ho jaega parmeshvar sukh prapt ho jaega aur agar in sukho ki chah na karo to prem prakt ho jaega sadhan bhakti karte karte bhav prakt hota hai bhav bhakti teen bhed uttama bhakti ke pahla sadhan phir bhav phir prem sadhan bhakti bhav bhakti prem bhakti sadhan bhakti mein chakacha anand mein ho jaata hai sare klesh paap vasna avidya nasht ho gayi aur sab shubh sampada prakashit ho gayi mangal bhavan bhagwan ki taraf vriti sampurn rup se yah shubh ab bhav bhakti do gun prakashit karti hai sadhan bhakti do prakashit kiye klesh agni shubh dayni aur bhav bhakti do gun prakashit kiye moksh laghuta krit aur sudal bha klesh agni aur shubh dayni to ismen aa hi gaye apne
aap sadhan bhakti ke lakshan bhav bhakti mein to sama hi gaye klesh agni shabh dani par ismen moksh laghuta krit aur sudal bha bada sundar is bhav bhakti mein char lakshan ho gaye klesh agni subh dayni moksh laghuta krit aur su durlabh moksh laghuta krit itna anand prakt hota hai bhav mein ki moksh bhi laghu lagne lagta hai wo jab bhav prakt hoga bhavo save bhajta bhav prakt hoga tab aapko pata chalega ki moksh sukh bhi kadva lagne lagta hai isliye premi mahapurushon ne moksh sweekar nahi kiya aur sudur bha bhagwan ke us sudardi vy rahasya divya divya bhav uske hriday prakt hote hain jo anya kisi sadhan se nahi prakt ho sakte tab usmen mahmmahim prem lakshna bhakti jagrit hoti hai ab prem lakshna bhakti mein apne do gun prakashit hue sandranand vishesh atma pahla aur dusra shri krishna akarshan yah do gun to prem lakshna bhakti mein chhah gun upasthit ho gaye jo sadhan bhakti mein klesh agni shabh dayni aur bhav bhakti mein moksh laghuta krit aur sudal bha yah to prem bhakti mein hai hi aur prem bhakti ke apne
do mil gaye sandranand vishesh atma aur shri krishna karshan bhakti chhah lakshan se yukt ho gayi klesh agni shubhda moksh laghuta krit su durlabh sandranand vishesh atma shri krishna karshan chasa klesh nashini shubh dayni is sadhan bhakti mein ho gaya moksh laghuta krit ka tatparya hai dharm arth kam moksh is sab vyarth nazar ane lagte hain jab bhav prakt hota hai Shrimadd Radha suda nidhi mein dharmartha chaturshty vijay tam kim tad bratha varta ya dharm arth kam moksh ki bekar ki varta hamare samne
kahte ho jagat mein vijay rahe mere samne jaise bhav mein dube hue bharat ji maharaj kah rahe arth na dharm na kam ruchi gati na chaho nirwan janm janm rati Ram pad yah vardan nan to moksh laghuta krit ka tatparya hai salok sup sami sari sayuj panch prakaar ke moksh ka bhi tyag diy manam grahan bina mat se vanam jana dharm arth kam ki to baat jane do panch prakaar ke moksh ka bhi tyag ho jaata hai jab bhav bhakti ka pradurbhav hota hai aur su durlabh sab siddhiya bade-bade sukh bade-bade labh bade-bade rahasya ye sab uske samne hote hain jo bhav bhakti mein duba hua mahapurush hai parantu apni bhav bhakti ki pradhanata se shighr un sabko cross karke prem mein pahunchne wala hai isliye kisi ko sweekar nahi karta sab kuch nichhavar kar deta hai apne pritam ke liye aur kripa par nirbhar ho jaata hai tab uske andar prem lakshna bhakti jagrit hoti hai aur uska gun prakt hota sandranand vishesh atma y sandranand vishesh atma karodon brahmanand ko bhi is prema amrit ke samne nahi ginta
jiske andar yah prem lakshna bhakti jagrit ho gayi ek brahma nand kya karodon brahmanand bhi us Premanand ke samne ek kan ki tulna ke bhi barabar nahi apaar atyant maha prem sukh us bhakt ko prapt hota hai jiske andar prem lakshna bhakti jagrit ho jati hai aur shri krishna akarshan bahut jor ki mahima ismen uske aradhya dev uske piche piche vasi bhut hokar ghumte prem lakshna bhakti se jo yukt ho gaya ekadshi skand mein bhagwan ne sweekar kiya Shrimad bhagwat mein kah rahe hain ki nirapeksh munim shantam nirwair sam darshan anu braja ham nityam puje ren bhi jo nirapeksh hai kisi ki apeksha nahi rakhte mannsil hai har samay mera manan karte rahte muni aur shantam jo har dwaand ko shant bhav se sah jaate hain nirapeksh muni shantam nirwair jinka sansaar mein kisi se bhi dves nahi sam darshan jo sab jagah mere ko dekhte hain samta ke bhav ko prapt ho gaye aise mahatmaon ke piche main dolta hoon ki unki charan raj mere upar par jae shri krishna karshan ka abhipray hai ki aise premi
bhakt ke piche piche bhagwan vasi bhut hokar dolte hain bhaktan pache yo phire jo bachhra sang gay upasak ko uttama bhakti ka anusthan karna chahiye jisse bhagwat prem ka hriday mein pradurbhav hota hai uttama bhakti ke liye sadhan bhakti atyant aniwarya hai aur sadhan bhakti ka swaroop shri mahmmahim dadu dayal ji kah rahe hain ham jeev hi asre sumiran ke adhar dadu chhat ke hath su to hamko bar na par bade mahapurushon ne kaha ki sumiran chal raha to ham ji rahe hain agar sumiran nahi to hamari mrityu samjho param mahmmahim shri nanak sahab ji ki bhi ki naam hai to ham jivit hai naam nahi to agar naam chhuta sumiran chhuta to mano hamari mrityu ho gayi hamara jeevan hi naam hai y aisa uttama bhakti ke liye sumiran chahiye uttama bhakti ka sadhan is koti ka chahiye ki naam hai to ham jivit hai naam nahi to devesh nara ji kah rahe tad smaran param vyakul te ham param vyakul ho jae naam chhut jae to yahan rag dves nana prakaar ke vikaro ki dhoom machi hui hai aur usko hatane ke liye na main usko nahi raha sadhak dadu
vishay vikar so jab lag man rata tab lag cheet na aav tribhuvan pati data jab tak man vishyon mein laga hua naam jap nahi kar rahe to tumhara chitt tribhuvan pati bhagwan mein rati ko prapt nahi ho sakta dadu anish sada sharir mein hari chint din jai aur prem magan lay leen man antar gati lolai sharir mein jab tak pran hai tab tak hari chint din jae raat din hamara prabhu ke chintan mein jae prem magan la leen man ant gati lo lai antar hi andar andar hi andar chintan chal raha prabhu ka nirantar dadu anand atma avinashi ke saath pran nath hriday base to sagal padaarth hath yadi tumhara bhagwat chintan chal raha hai parmanand mein prabhu ki anubhuti ho rahi hai hriday mein to kya bakaya rah jaega y mare ghum rahe jeev vishwas nahi kar rahe vishwas nahi ho raha naam par vishwas nahi ho raha bhajan par vishwas nahi ho raha antargat hari hari kare tab mukh ki hajat nahi sahaj dhuni lagi rahe dadu man hi mahi pehle mukh se shuru karo naam jap karna phir upansu mein aata hai phir mansik jab mansik aata hai tab koi samjhane ki zaroorat
nahi apne aap anand mein doob jaoge jio ghun la ga kaat ko lohe la gaye kaat kam kiya ghat ja jara dadu bar bar jaise gehun mein ghun lag jae to upar gehun dikhayee dega lekin andar bekar ho jaega lohe ko jaise katne wala kaat dalta hai aise ye vasna en kaat dalti hai sadhak ko isliye vasna se bachne ke liye upasna a aniwarya hai upasna har samay apne aradhya dev ke samip rahna kaise chintan se rahna dadu kahe ja tu rakhe saiya to mar sake na koi bal na baka kar sake jo jag bairi ho yadi naam nirantar chal raha mera ishwar mera pritam meri raksha kar raha hai to kam krodh lobh moh mad matsar ye bal baka bhi nahi kah sakte je sir sau pya Ram ko sosar bhaya sanathan de ran bhaya jiska tis ke hath prabhu ne diya tha jeevan prabhu ko samarpit kar diya jo prabhu ko samarpit kar diya jiska sir prabhu ke hath mein kaun tribhuvan mein aisa paida hua ki uska bal baka bhi kar sake haan prabhu mangal vidhan karte rahte bade-bade bhakt jan jante bahari log to kahenge unko kasht diya gaya unko kasht diya gaya lekin
jinko kasht diya ja raha unko wah parmanand hai jo keval unka hriday janta hai dusre nahi jante hain isliye dadu jo sahab ko bhave nahi so sab pari hari pran manasa vacha karm na jet chatur sujan jo tumhare isht ko accha nahi lagta va kabhi mat karo yadi isht ke viparit karoge to dhokha hi milega jo upasak apne isht ke thoda bhi pratikul karega to hriday jalta rahta hai jo sab ko bhave nahi so sab parihar pran santo se isiliye suna jaata hai ki unka anubhav bhi hota hai kisi sadhak se kah rahe the ki tumhen siddhavat prapt karne ke liye koi vishisht sadhna nahi karni kyonki jaise bat vriksh ki chhaya mein baithe hue ko dhoop nahi lag sakti aise guru kripa patr ko maya nahi sata sakti bas tum ek agyaa ka palan karo asang raho sharir se asang raho aur man se bhi asang raho apne aap siddh ho jaoge apne aap bhagwat prapt ho jaoge jo gurujanon ke vachno ko man le to siddhi gurujanon ke vachno mein hoti hai moksh mulam guru kripa samjho pehle moksh mulam guru kripa ae tum aisa karo tumhara kam
ho jaega bola aisa karne se kam kaise ho sakta hai khatm khel gaye tum aisa karo kam wah pakka ho jaega pakka ho jaega bina padhe charon ved prakashit ho gaye aisa kaise ho sakta hai yah guru kripa gay charane ko adesh kar diya gay charate hi brahm prapt ho gaye dadu jo sahab ko bhave nahi so bat na boojh re jab lagay man nahi ye man chanchal hai na sahab kahte is gali chalo wo nahi wo is gali chalega are wo rasta nahi chalna jismen hamare sahab ka adesh nahi sahab hamare Gurudev sahab hamare thakur ji hai
ye shastr hamare sahab hai jo agyaa kar rahe hain hamko waise chalna hai sai so sanmukh rahe is man sa joojh re man se ladna padega jo man se lad gaya wahi bahadur dusre ko patak dene wale to aapko mil jaenge lekin man ko patak de aise milne kathin hai man ki patki khane wale to karodon arabon milenge lekin man ko patak de aisa kura koi guru ka chela milega guru meharwan to yah chela pahlvan ab patak dega apne man ko yukti pa gaya na jisko guru ka sahyog mil gaya va maya par vijyan prapt kar le uska karan uska koi mano agarh hai kuch pakde hai agar pakar chhod de aur guru ke sahare aise ho jae to naiya pad ek board liye khade the jab aa rahe the kah the dariya bhi teri lahar bhi teri naiya bhi teri aur khivaiya bhi teri ab kya mujhe pareshani dariya bhi jahan dubne ka ba wo bhi tu hai teri hai lahar bhi teri hai dubne wali aur khivaiya bhi tu hai naiya bhi tu ab mere ko kya parvah bilkul param satya wahi dariya hai wahi lahar hai wahi naiya hai wahi khivaiya hai bas samjh ja aur pair pakar le hari ka aashray
mame prapadyate maya mein tam tarte dadu jo sahab ko bhave nahi so bat na boojh re sai so sanmukh ra is man so joojh re man se ladna padega agar gurumani ho gaye to maya mukt ho gaye man mani ho gaye to maya mein fas gaye apne sahab ko jo na bhave wah nahi karna chahiye nahi bhogo ga dekho ek prashn kiya parso ki jab mahapurush hote hain tab yah maya samjhne kyon nahi deti ki mahapurush hai aisa kyon hota hai jab hote hain tab samjhne nahi hote jab baad mein charit padhte tab lagta hai yar bahut badi nidhi the chale gaye ham vartman mein Duryodhan bhi nahi samjh paya bhagwan shri Krishna ko kyonki wah swayam aise leela bihari rachna rachte hain ki samjh na pave bade-bade siddho mein aisi leela rahi hai ki lagta tha ki aisa kaise ho sakta hai ichhavar y phatehpur jila mein hai jab bhramn kar rahe the yah yamuna ke kinare parta hai to wahan kuch din ruke to idhar bandaur hai idhar ichhavar hai ichhavar mein phakkad Swami rahte the phakkad Swami unko phakkad kahte hi the phakkad kise kahte hain phikar phaar nahi kare ta ko
naam fakir nishcint mahatma jismen chah miti chinta miti manuva beparwah unko kahte phakkad mahatma koi phikar nahi koi chinta nahi bas ek langoti par rahte the aur 1000 guriya ka mala rakhte the rudraksha ka mota wala aur ganv ke log jab koi bhakti se unke paas bahari jana chahta to pehle hi lage the kah dete hath jodte mat jao hamare Swami ji ko aap ek shabd nahi bolenge agar jana hai to jao tumhen kis tarah swagat karenge bhagwan jane par aap bolne ki himmat nahi rakhte agar unka apman karoge to ham khade ham log aap jao mat ham pehle aapse bata rahe aur wah bade albele mahatma the lakho ki kamnayen siddh kar di wah siddh mahapurush the par siddh karna unka bahut vichitra tha ek pulis vibhag ke bade adhikari the unke santan nahi ho rahi thi suna phakkad Baba ke paas samasth kamnayen purn ho jati to pure apne labh laskar ke saath ganv ke log palehi lage rahte bahar dur unko bhi nazdik nahi rahne dete phakkad Swami dur se unhone kaha sahab hath jodte mat jao bo nahi ham to badi
shraddha se ja rahe bole wahan shraddha ki puja nahi hoti wahan dusri shraddha chalegi bole jo kuch hoga sahenge bole sahab ham bardast nahi kar payenge agar hamare Swami ji ko aap kuch bole bole kuch nahi bolenge jo to asthi matra hue rahe sharira aise the johi drishti gayi shastr naam ki tarah galiyan shuru kar di adbhut yah badi vichitra gati isiliye baad mein aise ab va to satsangi honge tabhi itna sahnseel the nazdik gaye kaha Swami ji har upay karke dekh liya hai santan nahi ho rahi santan ke bina hamen apna jeevan vyarth lag raha hai patni bagal mein uka pranam karo ab ab gali nahi de rahe the ab shant ho chuke the hazar guriya wala rudraksha uthaya maya mota mara unki patni ke to aise pura rudraksha aise ab wo chikh pare ganv ke log bilkul alert khade rahte kyonki unka vihaar aisa tha ki har ek bardast nahi kar sakta par bahut gambhir the aise hi khade rahe une kaha ja jab ho jae naya santo ka bhandara kar de aise siddh purush bade-bade mahapurushon ne jo cheshta ki unko us
samay samjh pala ki yah sakshat shri bhagwan hai bada mushkil hai bada mushkil hai aur jab va padhar jaate unke jab charit likhe jaate tab samjh mein aata hai ki yah to aisi badi nidhi jab lag ye man thir nahi tab lagi paras na hoi dadu manva thir bhaya sahaj mila soi wo yahi baitha hai paramatma aap mein baitha hai aapke samip baitha hai aapke aaspas hai aapka man vishwas kar le aapka man thir ho jae aapka man prem se yukt ho jae abhi bhagwat sakshatkar kahin dur nahi hai te samaj girja mein rahe avsar paye vachan kahu hari vyapak sarvatra samana prem se prakt hoe main jana jab pratham Gurudev bhagwan do varsh ke baad ant dhyan hue tab jo ghata laga uski purti Vrindavan mein akar ke shri ji ne ki Gurudev bhagwan punai s rup mein mile nahi to jo hriday pura jalta raha usko kaise batae guru ki chhaya mein rahne wala upasak kaisa nirvigghn hota hai aur jab chhaya hatti hai to puri dhoop sahni padti hai aur us dhoop ko sahakar maya ki koi age nikal jae koi virla hi hota hai isliye dhanya bhag hai jo guru chhattar chhaya mein hai
isliye sahab ki agyaa se chale man se ladai lade man mani koi bhi aacharan na kare kaha hamara man man papi parihar kam vishyon ka sang chhod de dadu mil hai Ram ai man papi ab mera kaha man de ye vishyon ka sang chhod de vishay purushan ka sang chhod de dekh tujhe bhagwan mil jaenge bhagwan ki prapti kathin nahi hai vishyon ka rag chodna bada kathin hai man ki chal ko rok pana bada kathin hai shri charan das ji maharaj jinhe hari bhakti pyari ho mata pita sahaj chhuti jave chhute sut aru nari ho dekho yahan chhutne ka matlab rag se hai rag chhorne se matlab parivaar mein rahte hue sab mein bhagwat bhav ho jae to hari bhakti aur parivaar chhodkar chahe jahan bhag ke jao naya parivaar ban jaata hai agar rag hai to shishya rag se bhi durgati ho jaegi shishya rag se bhi durgati ho jaegi ek siddh sant ja rahe the unke saath kai shishya the to ek kechua kechua samjhte hain na jo mitti khata hai bahut komal sharir wala hota hai aur lal chiti usmen lakho chipti hui thi to shishya khade ho gaye aur guru ji se kaha guru ji
kitna bhayanak kasht is jeev ko kyonki yah chiti jab katti hai to manushya sharir mein bhi bahut pida hoti hai aur ek dag ban jaata hai lal lal aur dekho kitna komal sharir kachua ka lakho chiti hai bole main dhyan ke dwara dekhkar kah raha hoon purv janm mein guru ji the kechua ji aur ye jitne sab chela ji hain ye sab pida pahuncha rahe hain kyonki inhone thag karke inse arth ka shoshan kiya tha aur inhone vivek purvak guru nahi banaya tha to donon ki durgati ho gayi ye chiti bankar guru ji ko noch
rahe hain guru ji kachua ban karar ke bahut hosh mein yadi bhagwat marg vimurkh vishay chintan vishay kriya vishay vichar se yukt ho to bhagwan ki prapti nahi durgati prapti hai aur yahan kah rahe hain ki yadi bhagwan ke charnarvind ki bhakti mein tumhara chitt hai to kahin rag nahi rah jaega rag bahut khtrnak hai yah vish hai rag rag bahut bada vish hai kyonki jahan pratikultaa ta dves ho gaya rag aur dves yahi janm maran ka bandhan rag dves donon khoe tab khojie pad nirvaan jab bhakti ka rang lagta hai to lok bhog fike lage sam stuti gari ho hani labh nahi chahiye sab asha hari ho koi bhi asha jab tak hriday mein hai tab tak bhakti ka rang nahi aaya keval ek asha prabhu ki prabhu se nahi prabhu ki asha prabhu se asha bhogon ki prabhu se asha kalyan ki bhi nahi keval prabhu ki asha tab prem lakshna bhakti na han ki parvah hai na labh ka sukh hai na kisi lok ke bhog ki asha hai jag su mukh more rahe kare murari dhyan ho jit manva lago rahe bhay ghat ujiyari ho guru Sukhdev bataya premi gati bh ho charan
das charo ved su aur kachu nyari ho man mare tan bas kare sadhe sakal sharir phikar phari kaphni kare ta ko naam fakir wahi bhakt hai koi fikr nahi koi chinta nahi shri Gurudev ke batae hue marg par chalkar nirantar bhagwat aradhna mein tanmay hai manushya jeevan ka param labh uttam prem lakshna bhakti uttam prem lakshna bhakti ka saral shabdon mein nirantar apne prabhu mein chitt jode rahna jaise bane waise kar lo ga ke ro ke hans ke jaise bane waise chitt ko prabhu mein jode raho yahi sarvopri sadhna hai aur grihasth mein ho to apni patni se keval bhav wah bhi sanyam purvak aur bhagwan ki prapti ke liye sabse zyada dushman hai ye kam bhav bas isi se ladna hai sab isi se mit jaenge isliye pehle rakha hai kam kam krodh phir lobh moh mad matsar aise rakha gaya hai pahla mita ki sab mit jaenge pehle kam ko mitana hai jo bhakti ya gyan ya yog mein jana chahta hai sabse pehle is kam ko mitana hai kam ko wahi mita sakta hai jab iska chintan chhute iska chintan chhorne ka tatparya hai nirantar prabhu ka chintan
karna isiliye ham kahte hain Radha Radha Radha Radha har samay naam jap karte raho satsang suno manan karo usko aacharan mein utaro isi janm mein bhagwat prapt ho jao nihal ho jaoge shesh charcha aa ga shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…