॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jeevan mein Stress kyon hota hai, mul karan aur bachne ka upay !

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

aditya Bharadvaj ji Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji jeevan mein tanav hone ka mul karan kya hai use pahchanana kaise agyaan agyaan bhram usi agyaan bhram se hamare andar kamnayen utpann hoti hain aur jab kamnao ki purti nahi hoti to hamare andar asantusht aati hai hamare kama san jaate krodha hamari buddhi malin hone lagti hai kamnao ki purti mein bhi lobh jagrit hota hai aur bhogne ki ichchha jagrit hoti kamna ki purti mein badha padne par krodh jagrit hota hai krodh hamari smriti ko chhinta hai smriti mein madhta ate buddhi nasht ho jati hai bas wo tanav jise depression kahte hain na to depression hona shuru ho jaata hai vishay vishyon ka jo chintan hai yahi nash ki jad hai agyaan ke karan hamko aisa lagta hai ki yad hamen manmani vishay bhogne ko mil jae to sukhi ho jae dekho hamen jo dhan priy hai na wo dhan nahi priy hai dhan se vishay milte hain isliye priy hai agar rupya priy ho to uski koi khas baat hai rupya priy nahi rupya se samgri milti hai ham jo chahe wo bhog sakte hain

jahan chahe ja sakte hain rupaye ka prayog priy hai isliye rupaye ki manyata hai ab wo prayog kyon priy hai kyonki man aur indri use accha mante hain yah bhog lu yah dekh lu ye chu lu to man aur indri jinke paas ye sab bhog hain unke kyon nahi tript ho gaye man lo aapne paas to hai nahi lekin va chij kisi ke paas hai wo kyon nahi tript ho gaya to iska matlab hai ki hamko drame mein fasaya gaya agyaan mein fasaya ja raha hai bar-bar bhogo bar-bar dekho dekho is sansaar ka sabse bada sukh

kahan nihit kiya gaya hai nihit mane sthaapit kiya gaya hai aap dimaag mein apne dhundho dimaag mein dhund ke jab aoge to indri bhog keval sabse bada sukh hai aap dekh lo sab apne dimaag mein dekho main padh likh kar ke accha nokri karun ya vyapar karun khub dhan kamau dhan kamkar makan banau aur sundar byah karun khub khane pine ki samgri ho badhiya hamare paas mitra ho jo hamari ardhangini ho man mani jo main chahun vaisa bhog lekin yah sab hai kisi ke paas jaisa tum soch rahe ho isse bhi accha hai kisi ke paas lekin voh bhi tript nahi hai vidambna hai ki jis sharir ko dekhkar tum chahte ho aisa ho to main sukhi ho jaun usi ko koi bhog raha hai aur wah udhar se nirapeksh va kisi tisre ki taraf dekh raha hai aur wah tisra jiske upar wah chauthe ki taraf dekh raha hai yah hai kya bada sukshm vishay hai agar isko dekha jae to y hai kya bole agyaan ye sabka mul jad agyaan hai jismen ham thas rahe hain jis hamare ko ab nikalna hoga wah nikalne ke liye adhyatma hai adhyatma hi nikal sakta hai anytha bahut

buri tarah se apne log daldal mein phas gaye daldal mein nahi man darta hai agar chhorne ki baat soch lo to man bhayabhit ho jaata hai aisa lagta pha sansaar mein rah kya gaya ab dekho ham log jo baat jante hain va tumhare man se man milakar jante hain jaise thodi der ke liye hamne aapse man mila diya ab aapke mein jo chal raha hai wo hamare to tumhen lagega ye to mere man ki baat bata rahe hain wo sari srishti ke man ki baat hai agar aapse kaha jae ki yah jhutha hai aap ise chhod do to chhorne ki baat sochne matra se lagta hai phir to ham mar gaye jeevan hi kis kam ka isi mein pura jeevan nikal jaata hai aur use vishram nahi mil pata hai ham kah rahe hain bhogo lekin dharm purvak bhogo dharm use ek sima mein bandh diya gaya hai dharm ek sima mein bandh deta hai tumhen yah khana hai tumhen yah pina hai tumhari patni tumhara aisa tum is sima mein raho naam jap karo aur dharm ko bhogo to nikal jaoge faso ga nahi lekin aap gaur se dekhiye imandari se Vrindavan ki bhumi mein baithe ho kya man sima mein raji hai imandari

se dekh lijiye man ko navam navam chahiye bhai navam navam aur yah isiliye paap kar baithta hai chahe jitna paisa lage navam navam aap hamari baat ko andar se samjh lijiye ab isi agyaan ki dhara se hamari durgati hoti chali gayi aur navam navam asli mein hai to bhagwan hai jinki nayo neh nav rang nayo ras naval Shyam bras Bhanu kishori nav Pitambar naval chunri nai nai bundan bheej gori nav Vrindavan harit manohar nav chatak sab naveen sab naveen aur ush naveen mein aa to tript ho gaya ji man vishram bina bhagwan ke nahi milega isliye ham sabse

prarthna karte hain ki thodi hamari baat man kar ke pehle gande drishya dekhna band karo gandi baten bolna band karo gandi kriyaen karna band karo tab tumhare gande vichar chhut jaenge aur gande vichar chhute positive hue ki har paristhiti mein aap aandit rahoge paristhiti hamen dukh nahi de sakti yadi hamare vichar sahi hai jise sukh chahiye use kasht hota hai aur jo sukh mein sthit hai usko kasht kya pahunchae thodi si dawa itni sunna wali kasht ko nahi hone deti aur chitt bhagwan mein jod do kasht hoga bade se bade kasht ko hans ke sa aa jaata hai to bachchha depression kyon dimaag mein bhaar kyon kyonki wah ahankaari agyani jeev bhagwan se prichay nahi prapt kiya adhyatma ko nahi jana isliye dukhi ho ra nahi bolo chintan ki kya pareshani hai tumhara dimaag svasth ho sharir svasth ho to koi fark nahi bhagwan ka bharosa adhyatma bal jab tak jagrit nahi hoga tab tak vishram nahi milna kisi ko kyon chinta karte ho agar aap chintan karne lago naam jap karne lago sat shastron ka swadhyay

karo mata-pita bade budhon ki seva karo samaj ko sukh pahunchao abhi aap prasann hone lagoge ab itna soch soch kar apne sukh ke vishay mein ham aaj satsang mein kahte sabse zyada jeev pareshaan hai over thinking pareshani sabse zyada hai samne bhojan rakha hai khakar us uska anand nahi le raha parso kya hoga kal kya hoga aaj jo abhi iska swad to le iska to wo to gaya hai wo to parso ke liye pareshaan hai overthinking mein pareshaan hai ham kah rahe hain jisne aaj sanvara hai wo kal bhi sanva rega wo parso par usse tumhara apna pal nahi prichay nahi isliye tum pareshaan ho rahe ho

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…