pehle sab path aur naam jap hota tha, ab nahi ho pa raha kya karu ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
ankit Tiwari ji madhya pradesh jai jai shri Harivansh maharaj ji shri haridas [gala saaf karne ki aawaz] maharaj ji ah das ek sal se naam jap kar raha hai. Saath mein 84 ji sevak vani Radha sudanidhi bhakt naam wali Bhaktmal keleemal rupad ratnakar Meera sudanidhi pritam kavya ka nitya path karta hai. 11 mala bhi karte hain. Jisse bhav mein vridhi hui hai. Office mein kam karte hue bhi Priyaju ka chintan hota tha. Lekin pichle teen mahine se bhav mein shunya aa gayi hai. Ab naam mein wo ras nahi milta. Prayas karne par bhi chintan nahi hota.
kabhi-kabhi aisa ho jaata hai ki hamen apne sadhan ka kahin na kahin meethameetha aham ho jaata hai aur ham kahin kisi bhagwat premi mahatma bhagwat bhakt bhagwat marg ke sadhak mein dosh darshan kar lete hain to aisi dasha aa jati hai. Kabhi-kabhi aisa hota hai. To yahi hota hai. Meethameetha ham jaan nahi pate. Jaise mera bhav badha hai. Ye kisne jana? Aham ne yah adhyatma hai. Bada sukshm hota hai. Jab bhav badhega tab aapko ghta mehsus hoga. Aapko rona aayega, tadpna aayega, chalna aayega. Yahi bhav badha hai. Jab yah santosh ho raha hai ki mera bhav bada hai to aham ko wo aham hi to janch kar raha hai na.
wo aham hai. Ye adhyatma bada sukshm operation hai. Ismen mere mein abhiman nahi hai. Ye kisko pata chala? Aham ko wahi aham hai. Mere mein bhav badha hai. Yah kisko pata chala? Aapki vani se nikla na mera bhav bhi badha hai. Kisko pata chala? Bhav badha to tab hona chahiye. Matlab doob rahe ho na? To jiske bhav badha hai usmen to vyakulta aati hai. Usmen to atripti aati hai. Usmen to asantosh badhta hai. Bhajnanandi ka bhajan mein kabhi santosh thodi hota hai. Ek vyakulta usse poohe bhav badha hai kya? To kahega ki nahi hamen jaisa hona chahiye vaisa nahi hai.
atripti prem sada bavo kare jo shashi kala subesh pya mein po nahi tate kab na shesh pratishan vardhmaan hone par bhi premi apne mein prem ki kami mehsus karta hai. Bhav ki kami mehsus karta hai. Aapko kaise mehsus ho gaya ki aapka bhav bada hai? Matlab truti ho gayi. Adhyatma ki baat ko sweekar karo. Ab is truti ne ek truti aur kar di. Yah kisi kisi na kisi sadhak par kahin na kahin dosh darshan kar liya to usse hamare bhajan mein shushkata aa jati hai. Sarasta chali jati hai. Ya kisi se samanta kar baitha ya kisi mein truti kar dekh baitha aur kisi mein samanta kar baitha.
ye bahut sukshm hota hai. Chintan se sab cross ho jaega. Chintan mein ho jaata hai. Bahut bahut dusht hai man. Bahut dusht hai. Yah bahut jaldi fansa deta hai. Kahin na kahin galti karva deta hai. Us samay tatkaal isht se Gurudev se prarthna karen. Prabhu kshma karo. Main nich adam aapki kripa se chal raha hoon. Ahankaar upar se ho raha hai. Chal rahe hain ham aapki kripa se. Daud rahi train aur ham samjh rahe hain yatra hamare pairo se ho rahi hai. Ham to baithe hain prabhu. Yatra to aapki kripa se ho rahi. Jaise train daud rahi.
ek aadmi daud raha tha dibbe mein idhar se udhar idhar se to ek aadmi ne pucha kya baat hai aap daud kyon rahe ho bole mujhe amuk station ja tu baith ja train chal rahi tu baith ja station train pahuncha to tu baith ja apna aham baitha le tu guru kripa se hari kripa se isht kripa se maharani ji ki kripa se is bhav desh mein age daud raha hai. Aham bada ghatak hota hai. To kai bar dekha gaya hai ki is aham ke dwara kahin na kahin dosh darshan ya kisi mahapurush se samanta ka bhav ane par yah shushk ho jaata hai.
pahla janch karna aur dusra kabhi-kabhi gun prabhav aata hai. Yah zyada der nahi tikta hai. Ye aath ghante 10 ghante isi mein sambhal jaega. Zyada der ye tikta hai jo pahla bataya. Gun prabhav mein kabhi-kabhi bhajan mein man na lagna ekdam man shushk ho jana. Kabahu to tho bhajan dhruvdas ji likh rahe hain kabhut vishal man ko dhiraj chhute nahi gaye na duji chal dhairya se rahna thodi der mein parivartit ho jaega rajogun tamogun jab apna prabhav dikhata hai to bhajan mein ruchi nahi rahti tisra kabhi-kabhi bhojan ashudh ho jaata hai.
bhojan ke ashudh hone ke karan bhajan mein ruchi nahi hoti. Bhajan sukh purvak ham jaisa swad le karte the vaisa nahi hota. Par yah bhojan wala aur yah gun wala yah kuch samay ka hota hai. Lambe samay tak agar shushkata bani rahe to dhund lena chahiye pehle wale lakshan mein ki hamse koi truti ho gayi. Aham janit koi dosh darshan aham janit koi chhidranweshan dusre par dosh darshan yahi hamko bhajan se virat kar deta hai aur ye khub apne log badi sukshta se isko dekhe hue hain. Ye bada andar ka vishay hota hai na sukshta se hota hai.
kisi se hod kar lena. Kisi se apne ko jodne lagna taratamy gun dosh ka isse bhi bhajan mein hani ho jaegi ya kisi ki avhelna ninda dosh bhav aisa wo aap dekh lijiye teen mein se prayashchit kaise hoga iska iska prayashchit kaise hoga bas jaan liya aur andar se tap paida ho raha hai prayashchit to ho hi raha hai ki aap jal rahe ho andar se ki mere se mera bhajan wo nahi ho raha kya baat hai ab wo agar dhundho aap to aapko smaran mein aa jaega ab dhundna aap ekant mein baith ke naam jap karte hue to aapko accha maine amuk sant ke tab bachta hai bahut sukshm vishay hai nahi to baha le jaata hai bade dhire-dhire aur phir dusron ke dosh darshan karta hai dekho ye to aise ye to aise gira deta hai ise sambhal sambhal kar paramarth mein chalaya jae to nahi to ye fansa deta hai aap samjh pa rahe hain na yahi truti hoti hai nahi to phir bhajan dhire-dhire chhalang marta hai raat din ek anand ki adhyatmik unnati par usko har samay mehsus hoga ki jaisa mahapurushon mein hona chahiye vaisa mere mein nahi hai.
aisa mera bhav bada hai. Yah kabhi jaban se mat nikalna. Ab na nikalna. Ye mera bhav bada hai. Kahan theek hai. Aap gurujanon ki kripa santo ki kripa hai. Par jaisa hona chahiye vaisa. Har samay nahi jaise aapke paas ek karod rupya jeb mein ho. To aapse kaha jae aap karod rupya rakhte ho kya jeb mein? To aap sidhe nahi to aapka chalta hai nahi sab chal jaata hai idhrudhur se sab chal jaata hai kripa hai wo thodi bataega ki jeb mein karodon rupaye rakhe ki abhi char aadmi bahar rakh ke chhin le to ham apne bhajan ko kaise bata denge ki hamara bhav bada hai bahut chaturta bahut savdhani jaise ham kabhi santo gurujanon se kabhi baat karen to bhajan kaisa chal raha hai bas jaisa chal raha hai aap to sab jante ho kripa se hi hai hamare mein to kya bhajan ham kya kar payenge wo to bas ek sans mein apni puri sadhna ko bata jana.
wo aam note kar raha hai. Sukshta se samjh rahe hain na aap? Aham note kar rahe hain. Ham ye path kar rahe hain. Ham ye kar rahe hain. Ham ye kar rahe hain. Ye kar rahe hain. Matlab wo aham pusht ho raha hai. Usi ko marna hai. Sadhna kahe ki ho rahi? Ahankaar ke nash ki. Jiska jitna ahankaar nasht hua hai adhyatma mein wo utna hi unnati ko prapt hua hai. Jiska pura ahankaar nasht ho gaya wo bhagwat prapt ho gaya. Aap samjh rahe hain na haan matlab accha ismen aur dekho ab ham aapko abhi kahe ki tu ahankaari hai aur tu kuch tere paas hai nahi ab bura lagega ham kitna ahankaar ka paksh le rahe hain ki hamko doctor bata raha hai ki rog tumhare andar hai aur ham rog ka paksh le rahe ki nahi matlab dosho ko itna surakshit chhupane wale apne log hain ki gurjan bhi kahe bahut khushi honi chahiye ki ham to nahi pakar paye lekin pakar liye ki dushtata bhari ji nath ab aapne pakar liya hai to ab aap kripa karke iska nash kar hi dijiye.
ab hamare bas ka to hai nahi. Aisa hona chahiye aur jabki iska ulta ho jaata hai. Apne dosho ko ham jo chhipane ki pravriti rakhte hain isko bhi chodna hoga. Ye jo note kar raha hai na ki aap itna path kar rahe ho. Aap itna jap kar rahe ho. Aap itne sadhan mein lage ho aur bhav bada hai. Wo ahankaar hi hai jo note kar raha hai. Nahi aap nahi kar rahe. Aapse prabhu kara hai. Jab prabhu kara to aap usko karta kyon ban rahe ho? Ahankaar vimudh atma karta mante to samjh rahe ho na aap karta kyon ban rahe ho? Aapne kisne pucha ki aap kaun sa path karte hain?
kitna karte hain? Aap kyon bhul gaye? Ye aapke andar wo baitha hai na? Dekho aap jis liye aae ho adhyatma ke liye to hai na. Ye daktari bachchha hai. Isko samjho. Shant gambhir akarta bhagwan ke dwara sab bhajan nirantar chalne lagega aur jab yah baith gaya na to yahi dosh darshan kara ke yahi bhajan mein badha pahuncha deta hai. Ye bada sukshm vishay hai jo ham aapse charcha kar rahe hain. Ab isko sambhaliega. Theek hai? Bhagwan ki kripa bal se guru kripa bal se naam mantr japte hue shant bhav se
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…