॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

janiye parastri gami,sharab-chori,sab tarah ka nich, papi keval is ek baat se kaise Bhagwad prapt ho gaya ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

purv kal mein tung bhadra nadi ke tat par ek anupam nagar basa hua tha usmen sabhi varnon ke log apne apne dharm aacharan karte satya mein tatpar rahte the us nagar mein samasth vedon ka gyata saut smartha karmon mein nipun ek brahmin rahte the jinka naam tha Atmadev tej to aisa tha mano dusre surya bhagwan hi ho brahmin tejasvi vaid gya satkarma anusthan karne wala aur kabhi uske darwaze se koi bhikshuk wapas nahi louta itna udaar hriday wala dega hi kuch na kuch par purv praarabdh ke anusaar unki jo patni thi unka naam tha dhundhli pati ka naam Atmadev aur patni ka naam dhundhli tha sundari thi kuleen thi par ladaku swabhav tha apni baat par ad jana ab voh bade gyani the vadaj ved ke gyata isliye wah shant rahte the ladai ghar mein nahi hoti wah ladne wali hi baat karti thi par wah shant rahte the jab ghar mein nahi hoti to padosi se jakar bhidna jara jara se karan mein krur swabhav vakwadi swabhav grah karya mein nipun lekin kanjus aur jhagdalu praarabdh hai bhog vilas ki kami nahi thi khub

sampatti thi ghar badhiya sundar parantu sukh nahi tha kyonki jab Atmadev ghar mein ate to bas updrav ladai jhagda sab bada narak samjho jiski ghar mein ashanti ho jhagda hota bada narak hai chain se namak roti khae pyar se jeee to grahasti dhanya aur khub badhiya sab vyvasthaye hain par kal ashanti man nahi mil raha ek dusre ye bahut dhire-dhire avastha dal gayi koi santan nahi hui bade-bade punya karm kiye khub dan punya kiya lekin santan nahi hui ab wo brahmin bade chinta tur hue Atmadev ki jiske santan na ho to phir usko pind dan kaun karega grahasti mein vichar hota kul parampragat chalane wala to koi hona chahiye a bade chinta tur hue har upay karke har gaye the to ek din unke man mein aaya ki ekant jangal mein chalte hain aur apne prannon ko tyag dete hain kyonki ghar mein jao to kale hai na koi santan hai ab kya sab kuch karke dekh liya budha aa raha hai putr to hua nahi to kam se kam putr hota to kul parampara chalane ab kya wah aisi bhavna mein the ki jeevan vyarth hai jangal ko chal diye

udhar ek sarovar mein pyas bujhane ke liye ek mahan sant aa rahe the jab koi dharmatma purush dukhi hota hai to bhagwan avyakt rup se santo se mila dete hain va sanyasi mahatma the brahmin dekha ki wo jab jal pi chuke to jakar sashtang dandvat kiya shastron ka gyan tha hath jodkar khade ho gaye to katham rodsi vi pratam kate chinta balisi vadam savat satma maham swas dukh karan ye lambi lambi sas kheech rahe ho udas khade ho dukhi dikhayee de rahe ho dekhne se to lagta hai ki tum brahmin ho kyonki tejasvi ho kya chinta hai tumhari jo tum jaldi jaldi swas khinch rahe ho lambi aur dukh prakt kar rahe ho brahmin ne kaha maharaj akhiri upay aap hai waise to main batau apne jeevan se nirash ho chuka hoon aapko dekha to asha ban gayi purv janm ka kaun sa praarabdh mujhe pata nahi par santan yog nahi ab mere pitr garam garam aansu chinta janit chhod rahe hain kyonki pind dan karne wala hamare kul mein koi nahi raha santane nahi utpann hui bahut dukhi ho gaya hoon sahi batao main aam pran

tyagne aaya hoon jangal mein mera man mujhe dhikkar hota hai ki tumhara sab kuch bekar jab santan nahi aur yahan tak ki main jis gay ko palta hoon wo bhi bachra deti wo bhi baj ho jati hai yahan tak ki jo ped lagata hoon usmen bhi phool phal nahi ate kitna main durbhagya bada bhaga hoon ab main apne pran tyagne aaya hoon foot foot karar rone lage sant ka hriday bada karunamay hota hai sant chahe to naveen praarabdh tatkaal rakh sakte hain kyonki bhagwan ke bhajan mein apaar samarth hai unhone apni divya drishti se dekha kaha Atmadev brahmin putr ka moh to chhod de aap vivek ka aashray lo bhajan karo main tumhari rekha ko dekh raha hoon ek janm nahi sat janm tak koi santan hai hi nahi dekho santan ke piche mat pado raja sagar maharaj ang bade-bade santan mein bahut dukh bhoge hain ab tum bhajan karo jangal mein nikal aae bhajan karo santan ki asha chodo brahmin ne kaha ki mujhe updesh nahi yah updesh nahi sab padha hoon mujhe putr chahiye putr dev nahi main aapke samne abhi pran tyag hoon mujhe

putr chahiye brahmin ka aisa agarh dekh kar ke sanyasi ji ne kaha ki dekho vidhata ke lekh ko koi mita nahi sakta chitra ketu ka charit padh ke dekh lena davi jiske udyog ko kuchal deta hai wah safal nahi hota tumhen putr sukh nahi hai unhone kaha phir ham kah rahe bas ab putr ka ashirwad dehi dele to pran tyag denge aapke samne sanyasi ji ne dekha hai tum manne wale nahi unhone yog bal se ek phal prakt kiya tapo bal se aur kaha lo yog to nahi tumhare putr ka par main phal deta hoon apni patni ko khila dena isse bada gyani mahatma putr paida hoga tumhari stri ek sal tak satya soch daya dan brahmcharya ka palan karen ek time ann khae to aur yah phal pane ke baad ek varsh ke baad aisa mahapurush prakt hoga jo tumhara kalyan bhi kar dega tumhare pitro ka bhi udhar kar dega wo yogeeraj sanyasi phal diye ab to Atmadev bade prasann hue kyonki kamna purn ho gayi phal lekar aae dhuli unki patni thi jo ladaku swabhav ki bada krur swabhav dusht

swabhav waise hi krur swabhav tha aake kaha ho bhagya ek sanyasi mile phal diye aur unhone niyam bataya hai ki ek sal tak satya bologi pavitra rahogi dusron ko dan karogi ek samay tum ann khaogi aur bahut shuddh swabhav wala mahatma balak paida hoga yah phal kha lo to unhone kaha ki phal turant thodi khaya jaata na ho ke bade pavitra se khaya jaata lao aur jao aap nishcint raho bole agar hamare samne tumhe vishwas nahi darte bhi the ghar ke bahar ho gaye ab wo kutila swabhav ki thi krur swabhav ki unhone apni bahan ko bulaya aur ro ro ke kahne lagi ki bahan mujhe badi chinta ho gayi samasya aa gayi kya bole pandit ji jo y phal laye hain phal se garb rah jaega pehle to niyam bata gaye hain ki ek sal tak jhooth nahi bolna pavitra rahna hai aur dusron ko dan dena hai ek samay ann khana hai ab ham to badi bhayabhit hai ki jab pet mein garb badhega to bhojan kam ho jaega pet badhega to bhojan kam ho jaega yah to maine kar nahi sakti kyonki teen bar to hamko accha bhojan chahiye pandit ji ne kaha

ek bar khana yah to ho nahi sakta accha garb badha pet badha khaya piya jaega nahi bahut pareshani usmen lagegi aur kahin davav se agar daku aa gaye to bhag bhi nahi paungi chalo daku na aae kahin aag lag gayi ghar mein tab to ham jal ke marhi jaenge kyonki garb pet mein yah to hamse nahi aur phir garb nikelte samay suna bahut kasht hota hai yah sab hamse nahi hone wala dekho y krur swabhav ki nakaratmak soch aur kahin prasav kal mein garb tedha ho gaya to ham to marhi jaenge yah to hamse nahi hoga agar garb hamara bada hone laga aur ghar mein nanand aa gayi sab mal mata samet ki rahegi ham to kuch lad hi nahi payenge kyonki ladne layak nahi rahegi yah sab vichar karke uka yah sab hamse nahi hone wala unki bahan ne kaha soch kyon karti ho theek isi samay hamen anubhav hua hai do char din mein isi mahine mein ki hamare pet mein hai tum hamare pati ko dhan de dena aur garbhvati ka natak karo jab hamare bachchha hoga ham tumhare yahan pahuncha denge ham apne aa sor gol kar denge bachchha mar gaya kaun dekhne aata hai aur

pati ko paisa de dena ha yah to badhiya baat rahi badhiya vidhan ban gaya jaise ko taise mile to badhiya vidhan ban gaya tu garbhvati ka natak kar aaj se ki phal pa liya aur main garbhvati ho gayi main apne balak ko mara ghoshit kar dungi aur yah jo phal laye hain iski pariksha ke liye jo gau hai usko pawa do jaisa unki bahan ne kaha tha waise dhundhli ne sab kar diya dekh lo kaha tha Swami ji ne tumhare sat janm balak nahi to dekho buddhi kaisi kharab hui gay ko pawa ab jab uski bahan ke putr hua tab tak va kapda para pet mein lagakar natak karti rahi hogi ki hamare garb hai phir ekdam ghoshna kar di jab wo putr rato raat pahunch gaya ki hamare santan ho gayi uske pita ko accha dhan de diya wah dhundhli ko lakar ke bahan ka beta de Atmadev to bahut anand ho gaye jani na jae nari gati bhai unko kya pata ki ghar mein kya rahasya hua wo to bahut sukhi ho gaye ki sant bhagwan ke dwara diye hue phal se hamare putr ho gaya bada anand bada utsav manaya balak ke jat karm sanskar karae khub dan punya kiya

manglik krit kiye dhundhli ne apne pati se kaha pata nahi kya karan mere vaksha sthal mein doodh to hai nahi aur abhi naya balak bina maa ke doodh ke jivit nahi rahega to hamari bahan ke balak hua tha padhar gaya hai usko bula le kya are unhone kaha bilkul lao ham aur paise denge swagat karenge hamara bachchha pusht hona chahiye bahut buddhi lagate krur swabhav ke log kaisa ekdam fit kar liya vidhan ab usko bula liya balak ka palan poshan karne ke liye paise ke va asli maa to wahi hai hi hai putr ki raksha ke liye jo jo kaha Atmadev ne va sab sweekar kar liya teen mahine is balak ke tit hone ke baad unhone kaha tha ek sal baad hoga teen mahine vyatit hone ke baad gau ke bachchha hua manushya ka keval kan gau ke pura manushya ka sarvang sundar divya tejon mein swarn ki si kanti kyonki wah yogi ke tap ka brahmin devta nach pare ki bhagwan jab diye to kitna anand ghar mein bhi bachchha gau ke bhi bachchha hi hua khub sanskar karke mangalda bade prasann hai sab log kahte Atmadev ka dekho kaisa

bhagya badla ki ghar mein bhi putr hua gau ke bhi putr hua bachra nahi keval kan bhar kaise ascharya ki baat divya balak utpann hua par is gupt rasya ka kisi ko pata nahi Atmadev ne dekha ki balak pura manushya akar keval kan gay ke to naam rakha Gokarn aur dhundhli ne kisi Shastri paddhti se nahi apni paddhti se hamara naam dhundhli to hamare ladke ka naam hoga dhundhkari uska naam rakha dhundhkari kuch kal vyatit hua donon jawan hone lage Gokarn mein purn vaidik siddhant dharm purvak bade

gyani mahatma aur dhundhkari purn dusht saucha char ka to naam bhi nahi tha pavitra ka dhundhkari mein khanpan pashu wala krodh nak mein chadha gandi vastuon se pyar karne wala bahut hi ganda swabhav chori bachpan se dves peet dena ladai karna yah uska chalte swabhav dusron kheti mein aag laga dena gharo mein aag laga dena gaushala mein aag laga dena jaise kisi ka balak khel raha hai aaspas dekha koi uthaya kue mein phenk diya bada dusht swabhav aur bada hua hinsak swabhav ast shastr dharan karke jaise koi andha ja raha hai to aao Baba tumhen rasta bata de kue mein jakar dhakel deta hai bahut hi ganda swabhav dusht swabhav ab wo shikar karne laga pashu ka aur mans khane laga jahan Atmadev kitni pavitra se wahan dusht kitna ab dhire-dhire y vichar karne laga vaishya se sampark rakhne laga sampatti thi hi sari sampatti vai shyao ko ek din pita ne kaha Atmadev ne ki tumhare aacharan itne asuri prabhav ke hamen lagta hai ki tum hamara sarvnash karne ke liye prakt yah kyon karte ho to khub

gira gira ke mara Atmadev ko sanyasi ki baat ya ab yad ai ki tumhare bhagya mein putr sukh nahi hai khub mara Atmadev ko jab itni jor se mar raha tha to thodi to dayai ki pati hai bacha le to dhundhli gayi to phir dhundhli ki dharm jam ke pitai ki ab wo to raaksasi swabhav aur ghar ke jitne jevar bartan sab uthakar bech diye vaishya gami ho ab jab sari sampatti swaha khane ko bhi nahi to dhundhli baith ke roti rona isse to accha ki main baanjh rah jati dushtata ki na pati ne jab tumhen ek divya

phal diya tha khana chahiye tha main kahan jaun kaun mera sahyog kare badi vipatti bada dukh na khane ko na pine ko atre din pitai karta dukari Atmadev ki bhi aur dhundhli ki bhi pita baithkar ro rahe the main sanyasi ki baat man jaata to Gokarn ji aae aur unhone kaha pitaji aap jaise vidvan purush ko aisa shok karna uchit nahi tum shastr ke gyata ho tumhen chahiye ki sansaar ki asar aata ka to thoda vichar karna ho yah dukh rupi moh mein phaskar aap ek agyani pu ki tarah ro rahe ho peet rahe ho pitaji kya shastron mein nahi padha putr kiska dhan kiska patni kiski sharir kiska yah moh ke karan agyani jan raat din deepak ki tarah jal rahe pitaji na sukh indra ko hai na chakravarti raja ko hai sukh hai to ekant mein bhagwan ka bhajan karne wale ko hai yah dekho Gokarn y muncha gyanam praja rupam mohto ra ke gati ye narak jane wali baat putr ke moh mein fas kar ke aap chodo ise aapka sharir nasht ho jaega isliye meri prarthna mano aaj se niklo ghar se aur van mein jao bhagwan ka chintan

karte hue jeevan vyatit karo Gokarn ji ke vachan sunkar Atmadev van mein jane ke liye tayyar ho gaye unka beta aaj tak to kabhi van mein tapasya bhajan kiya nahi bada sharir se rag hai kya karun kaise bhagwat prapti karun to dehe sthi manas dhire matim tatvam jaya suta di su sada mamta vimu cha pasya nisam jagad dum kshan bhang nishth vairagya rag ras ko bhav bhakti nishtha dharmam bhaj sva satatam taj lok dharma sev sva sadhu purush jahi kam trishna anyas dosh gun chintan ma su mukt seva katha rasam ho tara pavam sant samagam kabhi vyarth nahi hota dekho sant samagam ka phal hai Gokarn ji Gokarn ji ne kaha pitaji jis sharir ko ko aap main man rahe ho aap main nahi hoon yah sharir haddi mans rudhir ka pind hai ise aap main manna chhod de aapki stri aapka putr yah kabhi aap mat mane yah aapke nahi the na pehle aur na baad mein beech mein bhas rahe ki aapke hain yah sansaar raat din nash ko prapt ho raha hai kshan bhangur hai kisi bhi koi vastu mein mamta mat karo ya kuch sthai nahi hai sab nasht hone wala hai bas ek matra

vairagya ras ke rasik hokar bhagwan ki bhakti mein lag jao kaise bhakti karen dharmam bhaj satatam sadaiv dharm ka bhajan karo kaun sa dharm bole taj lok dharmangar ka aashray lo bhagwat dharm ka aashray kaise prapt hoga bole sev sadhu purush sadaiv sant purushan ka sang karo unki seva karo unke sang se unke vachno se unki kripa se tumhare hriday mein bhagwat dharm ka prichay jagrit ho jaega tum maha bhagwat ho jaoge par santo ka sevan karne ke liye jo sabse bada dosh hai kam aur trishna yah nahi santo ke paas tikne

deti isliye jahi kam trishna kamna aur bhoge hue bhogon ko jo bhogne ki ichchha trishna inka tyag karke sant sang karo aur jab sant sang hone lage to savdhaan ho jao anyas dosh gun chintan masu mukt dusre ke gun dosho ka chintan na karke shri bhagwan ka chintan karen bhagwan ki seva karen bhagwan ki katha leela sune to usko nitya bhagwat dham ki prapti ho jati he pitaji sharir se ma pan chhod dijiye aur sharir sambandhi se mera pan chhod dijiye aur bhagwat dharm ka aashray lekar sant samagam kijiye sadaiv santo

ki seva bhagwat seva naam jap leela katha shravan gayan isi se bhagwat prapti ho jaegi bas usi samay Gokarn ko man se pranam karke ki bhagwan guru rup se isi rup mein akar mujhe updesh de rahe usi samay Atmadev ji ne to ghar chhod diya aur van ki yatra ki 60 varsh ki ayu ho chuki thi par gyan tha shastron ka badi nishtha se apni buddhi ko sameta sansaar se raat din bhagwan ke chintan mein laga diya bhagwan ke chintan aur bhagwat ke dasham skand ka roz path pura jo bhagwat ka dasham skand shri Krishna leela charit se bhara hua hai pura pra path aur nirantar naam jap iske prabhav se shri Krishna chand ki prapti hui Gokarn ji ke updesh se Atmadev ki ab jab pita ban ko chale gaye to aur chhut waise manta to tha hi nahi par aur chhut ho gayi ab dhundhkari ne uthyi lathi danda jo dhundhli ki dat ke pitai ki aur kaha bata dhan kahan hai ab jitna dhan tha to sab le gaya phir jalti hui lakdi luka usse bata dhan kahan hai kisi tarah chhut pai to bhagte hue jakar kue mein gir kar apne sharir ko nasht kar diya ki roz ki pitai

se accha ek bar durgati ko prapt hui dhundhli durgati ko prapt hui pati Atmadev shri Krishna chandra ko prapt hue yog nishth Gokarn ji ne jab dekha ki dhundhkari ka atank badh raha hai to unhone chhod diya jo gyani purush hote prapanch nahi sweekar karte unko koi sukh dukh isse nahi udasin bhav se tirth yatra ko nikal gaye dhundhkari ne panch vaishya hon ko apne sang mein rakha sab naujawan vais aae ab unke liye pashu ka mans chori karke unki manokamnaen puri karna buddhi bhrasht thi aacharan bhrasht the krur karma ek din un vaishya ne kaha ki hamko to har nahi pahnaya aaj tak kamna hoti ab panch ko har lane ke liye to bahut rupya chahiye maut ki bhi usko koi bhay nahi rah gayi thi wah jisko dekhta kaat kar ke jo milta dhan ekatrit karke panchon ke liye sundar abhushan har ab hinsa mein utra jo uske liye kya striyon ne socha ki nitya naveen chori karta hai aaj hamne har ke liye kaha to panchon ke liye vyvastha kar diya pakda jae jab yah pakda jaega to raja ise phansi denge

to hamko bhi panchon ko phansi milegi marna to hai hi hai na ise panchon ne vichar kiya marna to hai hi raja phansi dega to ham hi phansi de deti to kam se kam ham to bach jaenge bure karm ka bura hi parinaam hota hai kuch bhi koi kar le dhundhli kue mein sharir tyag karke durgati ko prapt hui ye jab jin vaishya ke liye prannon ki baji laga kar ke sab kuch la raha jante ho unka plan kya bana ki yah chori karta hai pakda jaega pakda jaega phansi ki saja hogi mara jaega aur jab yah pakda jaega to ham bhi pakri jaenge to phansi ki saja isko hogi to wahi ham de deti hai to ham to bach jaengi aur sara dhan lekar ratri mein nikal lengi panchon panchon ne gupt rup se aisa sankalp bana liya dun kari so raha tha panchon gaye panch hain hath pair char hi to hai pair do aur do hath char usmen lag gaye aur ek jo hai rassi se pura charpai par bandh diya aur jab uski akh khuli to rassi gale mein dal kar ke phansi laga rahi pare pare wo bahut papi aadmi jaldi marne wala to tha nahi khub gala dabaya

ab badi chinta hui vaishya ko ki agar marega nahi to hamen kaat dale gaye to rasoi se jo koyla jala hua aag tha uske muhn mein bhar bagar bagar ke samsi se are papi ki bahut durgati hoti dahakte hue angare uske muhn mein aur khub kas ke gala daba chhatapta chhatapta kar peet peet ke mar dala nd kari ko aur uske sharir ko va ghar mein D bana ke panchon ne gad diya aur wah sara malmatta paisa sab kuch unko pata tha stri naam nat vishwasam dushta naam kare budha vishwa se y sthi to mudha sa dukh pari bhute shastr kahta hai jo y vichar dusht swabhav wali jo keval arth par drishti rakh kar ke dharm ka tyag karne wali hai stri naam nat vishwasam dushta naam kare budha aise dusht aacharan chahe stri chahe purush aise dusht aacharan wale ko kabhi vishwas mein nahi vishwas patr nahi banana chahiye aur dusri baat ka rahe vishwase ya sthi to mudha sa dukha pari bhute jo vishwas karega ant mein mara jaega par vishwas pakka ho jaega kyon sudham am bacho amritam vachan vishwas ho jae sudha mayam bacho ya sam

kam naam ras vardhanam hriday mein kam ras vardhan hridayam chhur dhara bham priy ko naam yoshita bahut savdhaan un dusht striyon ne bahut tarah se mar mar kar ke dhundhkari muhn mein angara gale mein rassi mar dandon se mar mar ke mar dala bahut buri tarah mara dhundhkari ko ab jab din mein nikalna chaha to log aaj dhundhkari nahi bole pritam kisi karya se bahar gaye aur sir lagakar panchon malmatta lekar bhag gaye bahut savdhaan sant vittam taya ta kulta bahu bharti kaha dhundhkari babhu vaat mahan pret kukarma jo kai purushan se sahwas karti hain ya kai striyon se jo sahwas karta hai aisa apvitra ho jaata ki uske chune matra se punya nasht ho jaate hain pha to unke sang se hi rah raha to use vasya use hi kahte un shyao ke sang se sare sukrit nasht ho chuke the mahan paap ka swaroop ho gaya tha aur wah sab bhag chuki thi to dhundhkari ko bhaykar pret yoni ki prapti hui pret yoni bhaykar pret ab va bavandar rup jo chakravat jaise bavandar dekhte ho na wah rup dharan karke dason dishaon mein bhatakta aur

pret ko swayam se pani pine ke liye koi suvida nahi aisa nahi nadi ke kinare rah raha to pani pi lega wo kisi ko pakdega tab uske dwara jo usko pani pilaya jaega wo usko milega aise pani nahi pi sakta na kuch kha sakta hai na kahin vishram kar sakta hai wah bas ha da haad chillata hua rota hua bhatakta hai pratiyon badi bhayanak hoti hai jab tirth yatra karke Gokarn ji laute to suna ki dhundhkari ka lapta mar dala gaya tab unhone phir gaya gaye aur wahan pind dan kiya dhundhkari ke liye bhi bade mahatma the gak shradh kiya aur kafi tirthon mein mantra anusthan kiya kika kalyan ho jae yah sab karke laut aae apne pita Atmadev ke ghar mein ratri mein koi dekh na pave isliye sidhe apne ghar mein gaye aur shayan kiya aur wahi gada tha dhundhkari pret atma ban ke wo mara raha tha wahi pret atma aise ko nahi chhuti jo bhagwan ka bhajan karte dekho ab ja dhundhkari ne dekha ki Gokarn aae hain to usko tasalli hui ki mahatma hamara kalyan kar dega va prakt hua bhed bana dhundhkari pehle

bhed bana bada aur aise Gokarn ji ne dekha ki darwaza to band tha bhed kahan se aa sakta hai turant bhaisa ban gaya turant indra rup dharan kar liya bhayavan kaha ye viparit avastha iska matlab y pret hai kyonki aisi viparit nindniy dharan kar raha hai durgati ko prapt hua pret atma hai va darne wale to the nahi gyani mahatma the Gokarn ne kaha kasto mug tro ratra kuto ya to da sami mam kiva preta pisach sann kaun hai tu pret hai pisach hai Rakshash hai kya hai yah kya natak kar raha hai kabhi bhed banta kabhi bhaisa banta hai kabhi indra banta hai kabhi yah rup kaun hai tu y adhogati ko prapt kaise hua tu Gokarn ji dare nahi agar sacha mahatma na ho tab to bhayabhit ho jae Gokarn ji sache mahatma hai ab wo chilla chilla ke keval ro raha hai ek shabd bhi nahi bo pa raha to Gokarn ji samjh gaye adhik paap hone ke karan yah bol nahi sakta tab anjali mein jal liya aur kai mantro ka jaap kiya aur phir uske upar fenka ja bhi fenka tab bol paya bhaiya main aapka bhai dhundhkari hoon bacha lo meri bhari

durgati ho gayi main tumhara bhai hoon main dhundhkari hoon ab mujhe bahut kasht ho raha pashchatap ho raha maine sab kuch nasht kar diya dharm bhrasht papa achari ab meri badi durgati hai un kulta vaishya ne mujhe tadpa tadpa karke mara hai main kuch kar nahi sakta is samay aisa thodi ki pret hai jisko chahe patak de aisa nahi hai aisa vidhan nahi pehle vais ko marta jake main kuch kar nahi sakta pret yon mein padkar durdasha bhog raha hoon ab day was keval vayu se jivit hoon bahut pyas bhukha par nahi kha sakta nahi pi sakta aap daya samudra bhaiya mera udhar karo Gokarn ne kaha ki tumhara udhar to ho jana chahiye tumhare liye to main gaya mein gaya wahan shradh diya tirthon mein bhi anusthan kiya phir tumhara pret un se udhar kaise nahi hua to kaha bhaiya ek do bar gaya shradh se mera kuch nahi hone wala bahut papi hoon bahut bade bade paap kiye hain koi dusra upa chhote mote pind dan se dan punya se mera udhar hone wala nahi bahut stak hai hamare paap ka tumko ham batae

saikadon bar gaya shradh karo to bhi mera kalyan nahi ho sakta aisa main papi hoon koi dusra upay socho Gokarn ji ne kaha saikadon gaya shradh se tumhari mukti nahi ho sakti to tumhari mukti asamabhav hai kaha bhaiya main tumhare charnon mein para hoon mujhe mera udhar karo to kaha theek hai tu bhi is ghar se niklo kahin aur raho ham jab tumhen bulaye tab aa jana jao hatao hamare is ghar se hato hata diya unko Gokarn ji ki agyaa pakar dhundhkari bahar bhtak raha hai raat bhar vichar kiya ki iska kalyan kaise hoga jab saikadon gaya shradh se kah raha udhar nahi hoga ab jab prat kal hua darwaza khula to bahut se vign jan akar ke Gokarn ji se mile Gokarn ne sabse salah ki ki kya ho sakta hai aise aise striyon ne unko mara aur pret yoni ko prapt hue jo log vidvan the yog nishta the vedaj the unhone kai shastr path aadi ki baten bataai sabne par sahi uttar nahi mila Gokarn ji mahan tapasvi the gok ji ne prat kal snaan ar de rahe the bole auron se kya puchna sidhe

surya bhagwan se poohe mantr ka ucharan karte hue surya bhagwan ko sthagit kar diya rok diya bahut badi mantro mein tatha sarv surya vakyam tan mukto sthaapit param gokarna stambhan chakre surya vegas vat surya ki gati ko rok diya aur tom namo jagat saksha bahi mein mukti hetu kam ab kisse poohe aap hi batao he jagat sakshi bhagwan surya dhundhkari ka udhar kaise ho sakta hai aap kripa karke bataiye ki dhundhkari ki mukti kaise ho sakti Gokarn ki prarthna sunkar bhagwan suryadev ne kaha Shrimad bhagwat mahapuran niyam purvak sunao nischit uski mukti ho jaegi saptah paraayan sat din mein puri bhagwat shlok sahit surya bhagwan ki agyaa sabne suni Gokarn ji ne bhi suni bahut saral upay Gokarn ji ne nischay kiya main swayam sunaunga aur uska udhar karunga ab to katha ka samay nischit kiya bahut se log katha sunne ke liye wahan pahunche jab suna ki bhagwan ki katha sab papon ka nash kar deti hai to bahut se log papi punya atma jo bhi sab sabko baithe ki uchit vyvastha ki gayi ek sat ganth

ka bans jo sidha tha aavahan kiya dhundhkari ka aur kaha is par baith ja tu bhi katha sun to sidhe sat ganth ke bas par dhundhkari jakar ke baith gaya chhidr mein vayu rup hokar kyonki bahar kahin sthit nahi rah sakta chalae man to baithna hai Gokarn ji ne ek vaishnav ko mukhya shrota banaya aur pratham skand se spasht swar mein katha sunane prarambh ki shlok aur arth sayankal ko vishram diya to ek badi vichitra baat hui sabhasdon ke dekhte dekhte ek bans mein tad tad ki awaz hui ek gaath phat gayi dusre din katha hui dusri ganth tisre din tisri gaath sat dino mein sat ganthe faad kar ke dukari param pavitra divya rup bhagwat parsad rup dharan karke prakt ho gaya dhundhkari ka Shyam varn pita dharan ke tulsi ki mala sir par manohar mukut kano mein kamli kundal samne akar Gokarn ko pranam kiya aur kaha bhai ab main bhagwat parsad ban gaya pret yone se mukt sat din mein bhaykar papa atma dhundhkari shri bhagwan ki charcha sunne ke karan bhagwat swaroop ho gaya oho kitna pret pida mein sah raha tha

ekmatra shri Krishna chand ju ki leela katha sunne matra se main bhagwat swaroop ho gaya hoon bhaiya main kaise aapka upkar main nindniy nindniy wala kaisa ujjwal swaroop prapt kar liya bhala moh purvak lalan palan karne wale sharir ko jo hasht pusht karte hain unhone bhagwan ka naam jap nahi kiya charcha nahi suni to jeevan kis kam ka iske poshan ke liye paap karm kar rahe ho aur vriddhavastha ane wali parinaam mein dukh rogon ka dukh bhogon ki kamna ka dukh kya kya dukh iski kya gati hogi gad diya jaega ya jala diya jaega aise manushya sharir ko prapt karke bhagwat prapti nahi ki to jeevan vyarth chala gaya are jo ann prat kal pakaya jaata hai dusre der sad jaata hai usi ann se is sharir ka poshan hota chha ghante mein mal bankar nikal deta hai ye sharir kahin avinashi hai kya nashvan sharir hai jo log bhagwan ki katha se vanchit hai bhagwan ka naam jap nahi karte wo bud bude jeevan mein machchharon ke saman jeevan unka hai janme mare kis kam ke bhala dekho jis bas mein main baitha tha to bas ki

gaath phat gayi kya bhagwan ki katha sunne par chitt ki gaath nahi nasht ho jaegi jad chetan ki grit isliye dhanya hai wah jo bhagwan ki katha sunne mein apna samay vyatit karte hain dand kari aisi baten kah raha tha sabne dekha jayghosh karte hue namo namah namo namah aur ek divya viman aaya bhagwan vaikunth nath ke parsad mandla ka tejon mein viman aur sabke dekhte dekhte kaha dhundhkari aur wah divya parsad rup viman par chadha jab viman par chadkar jane laga to Gokarn ji ne rok diya ruko yah kya katha to shastr logon ne suni to aapko shastron viman lana chahiye aur sabko baithal kar le jana chahiye kyonki hamare sunane mein koi bhed nahi tha aur yah sun bhi sab dhyan se rahe the bhagwat ne kaha aapke sunane mein koi bhed nahi tha par sunne mein bhed ho gaya hai shravan bhed ho gaya yah upvas karke bina kuch khae piye raat din katha ka hi chintan karta raha manan karta raha iske karan inko bhagwat parsad rup milao ja rahe aur yah katha suna bhar hai manan nahi kiya manan vishyon ka hua isliye viman par nahi yah nirahar rahkar

sat din din mein charcha sunta raat bhar usi ka chintan karta uske prabhav se param pad ka adhikari hua isliye jo manan hin hai jinko guru vachno par vishwas nahi hai jo katha mein chitt ki ekagrata nahi hai wo phal bhed ho gaya wo bhagwan ke divya dham mein ek bar mein nahi ja sakte Gokarn ji aapko to lene ke liye swayam Golok bihari aaenge yun kah kar ke viman antardhyan ho arthat chale gaye Gokarn ji ne samasth shrotaon se kaha bina tumhen viman mein baitha le mujhe chain nahi savan ke mahina mein ham phir anusthan karenge sab log katha suno aur sache niyam se raho uska manan karo aisa hi kiya sab log upvas karke alphar karke katha sune aur jahi sat din mein katha ki samapti hui to bhagwan ke bahut se parsad viman lekar aae aur jitne katha sunne wale the sabko paramdhaam le gaye aur bhagwan ne Gokarn ji ko swayam Golok bihari hriday se lagaya je bhi hriday se lagate Gokarn bhagwat swaroop ho gaye wahi kri Shyam pitambar dharan ki hue kundal aadi se vibhushit yahan tak kahte hain ki us katha mein sunne mein

jo kutte bhi baithe the wah bhi Gokarn ji ki drishti padne par viman par baithkar bhagwat dham ko gaye bhakt vatsal bhagwan shri Krishna itne Gokarn ji par prasann hue ki tumne sabko katha sunakar mangal anusthan isliye Gokarn ji jis jis ko chaha mal katha sunkar kutta manan to nahi kar sakta lekin lekin Gokarn ji ne manan kiya ki ye kutta bhi katha mein baitha tha iska bhi bhagwat udhar ho jae ye aap isiliye aaspas joy jeev jantu sab bhagwat swaroop ho jaate hain bade-bade siddho ko jo gati nahi milti bhagwan ki leela katha sunne se Gokarn ji ke prabhav se dhundhkari sahit samasth shrotaon ko bhagwat dham ki prapti hui shesh charcha ga shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…