jab maharaj ji ne Bank ke karmchariyon ko bataya tanavmukta jeevan ka rahasya
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
maharaj ji aap sabhi bank mein karyrat hain maharaj ji jo bank wagairah mein hote hain to pura din aapke kisi ka ek ka prashn tha ki pura din matlab tanav janit sthiti rahti hai pura din aisa pablik deeling mein rahta hai ki us samay ham kaise bhagwat chintan aur ek achhche marg aur ek accha karya kar sakte hain tanav tab jab aap bhagwat vimurkh jeevan vyatit karoge to tanav bana hi rahega aur nahi to raat din seva aap tanav hamen hona chahiye har samay kasht mein rahte hain lekin koi tanav nahi kyon ham uska uttar
de rahe hain wahi aapko pakar kyonki ham bar-bar sochte hain bhagwan ne hamko yah seva di hai aur bhagwan ki seva hi hamare jeevan ka param kartavya hai ab jo bank mein aa raha hai aapse us par bhagwat drishti ho jae ki bhagwan iske rup mein aa rahe hain aur bahut pyar se bartaav kiya apne adhikar anusaar karya pura kiya aur he bhagwan andar se yah karya ka jo samay gaya yah jo karya wo main aapko samarpit karta hoon aur naam jab ek bar do bar char bar Radha Radha aur phir aap dekho aapke hriday mein tanav rahta hai ya anand rahta hai kasht mein anand rahta hai kasht mein anand rahta hai naveen utsah rahta hai har samay dekho aap to aae to do minute ko laga na ki hamen to do minute mile lekin ham ye ghanton se silsila chala rahe hain tanav hamen ho jana chahiye tanav nahi hai ye sab log ate hain tanav mukt hone ke liye ate na agar ham hi tanav mein ho to inko tanav mukt kaise karen tanav hota hai tab jab ham bhagwat vimurkh hote hain hamari baat man lo chahe tum lakho roz kamao agar bhagwan ka chintan nahi adhyatma vihin chintan
hai to itni over thinking hogi ki aapka tanav mit hi nahi sakta hai itni kamnayen itni zaroorat itni y maya hai agar naam jap kar rahe ho bhagwat bhav se yukt ho to do roti aur namak khaoge na to bhi tanav mukt rahoge naam jab goswami tulsidas ji kah rahe hain tab lagi kushal na jeev kahu sapnehu man vishram jab lagi bhajan na Ram kah shok dham taj kam aur sabse bada tanav y ki hamen marna hai jana hai kab marna hai yah bhi pata nahi hai par marna hai yahan se jana kuch lekar nahi jana na tumhara pad jaega na bank
balance jaega na parivaar jaega na sharir jaega kuch nahi yar to kahan jana hai yah bhi pata nahi sab tanav hi tanav to hai bhagwat vimurkh mein tanav hi tanav hai aur bhagwat sanmukh mein apni seva karya bhagwan ko samarpit kar rahe hain parivaar nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari aur jana kahan bhagwan ke paas yar itna to bhajan nahi nahi mera pratyek kshan bhagwan ko samarpit hai aur bhagwan ne kaha yat karo se ye to sarwa karmani mein sanas mat par main sadhna mein chal raha hoon mujhe agar bank ka karya diya gaya hai yuddh ka karya arjun ko de rahe hain to kah rahe ham sanyaas lekar bhajan karenge to kah rahe nahi dhanush baan utha aur gale kaat samjh rahe ho na yah to nahi kaha mala lekar ke baith jakar ekant mein to aapko vaink ka karya diya to bhagwan ka karya hai ye srishti ka pura sampurn karya bhagwan ka karya hai aap ise bhagwan ka karya imandari se kijiye aur jo bhi aa rahe hain unmein pahli drishti mein bhagwat bhav kijiye zaroorat pare dant bhi denge aisa thodi ki hath jod ke baat karenge agar
zaroorat pare to dant bhi denge par bhav karenge bhagwat bhav aur imandari se chalenge aur beech-beech mein naam jap karenge Radha Radha Radha aur har karm agar ham ek ghanta bhul gaye to do ghante mein hamen yad aaya to do ghante mein bhagwan ko samarpit kar diye agar har karm har samay bhagwan ko samarpit kar denge iska phal hoga bhagwat prapti aur vartman mein iska phal hoga aapke hriday mein itni sheetalata itna anand rahega ki bhay dukh unta shok ye aapko chu nahi jaenge dekh lena adhyatma ke koi sukhi nahi ho sakta ye pakki baat hai vishv ke chahe jitne bhog bhog lijiye koi bhi ho adhyatma ke bina sukhi nahi ho sakte naye naye bhogon ko bhogne ki ichchha aapko jalati rahegi aur adhyatma hai to jatha labh santosh sada kaho so kachu na chah jaisi bhi sthiti bhagwan ne di bahut badi hamare liye hai ham usi mein santusht hai isi mein shanti ho jaegi to hamen lagta hai ki bhagwan se hamara chitt jude ham bhagwat bhav se apne bank ke karya ko karen aur imandari se karen aur sab mein bhagwat bhav dekhne ki cheshta karen to aap sant hi
hain bank ka karya karte hue yahi sant dar sant hai goswami ji kya dekh rahe si Ram mein sab jag jani sab mein prabhu virajman hai aur hamen jo mala japne se gati hogi wahi aapko note ginne se wahi aapko sahi vihaar karne se hogi aur jo jahan hai va usi karya ko bhajan man le agar bhajan man liya aur bhagwan ko samarpit kar diya to wahi karya use bhagwat prati kara dega pakka samjh lo nahi to arjun ji kah rahe sanyaas lekar bhiksha ka ann pana uchit hai main inko nahi marunga bhagwan kya kah rahe pratyancha chadao mar inko iska matlab kartavya karm ko karne ke liye bhagwan agyaa de rahe hain par saath mein kah rahe maman smar yuddh cha mera smaran karte hue yuddh karo to Radha Radha Radha Vrindavan dham mein ho naam jap karte hue bank ke karya ko bhagwan ki seva mante to tanav to nahi ho sakta ek anand rahega aapko wo karya karne mein anand milega jab bhagwan ke liye karya kar rahe hoge jaise aapko hamare prati shraddha ho jae ham aapko apna koi personal karya de to aapko bada utsah rahega chahe
pasina bhale ho yar Baba ne kaha char ghante aath ghante ka kam hai to bahut lagan se mujhse kare aise pure jeevan ka karya bhagwan ne diya hai parivaar sambhalna hai samaj sambhalna hai aapki jimmedari hai agar aap use sahi nirvah kar le gaye to bhagwan is khel se aapko mukt kar denge aur yahi jeevan ka labh hai ki ham is khel se mukt ho jae maya krit khel se bada bhyawah hai aaj to sharir svasth hai pata nahi kab ka insa nikal ave kab kya-kya are itna dukh hai sharir mein punya labh hai to svasth chal raha hai jis
din bigda to narak samjho narak sabke karm hai avsar par ate hain ab aa gaya is janm ka bhog to bhogna par raha hai par voh hamen kasht nahi de pa raha kyonki ham bhajan mein hain shri ji mein hai isliye jaise koi chadh ke baith ke girama chahe aur koi bal se khada ho jae isiliye ham kahte hain ek matra bhagwan ka bharosa aur bhajan yah tumhen bhale rupya na ho bhari samasyaen ho to bhi aap muskurao ga aur sab kuch hai aur bhagwan se vimurkh ho to aapki muskurahat nahi ho sakti wo andar-andar banavti bhale na has de
ho andar-andar aapke jo chintan galat chal raha hai jo over thinking chal rahi wo aapko maregi wo aapko depression mein le jaegi pareshaan karegi isliye naam jap Radha Radha Radha aur har karm bhagwan ko samarpit phir dekho aap ismen paisa lagne wali nahi ham yahi bar-bar kahte hain adhyatma paise se nahi aur jo paise se hota hai adhyatma nahi hota phir i hai phir hi bhagwat prapti aap paise se apna parivaar chalao aur seva bhagwan ki man lo aur isi se bhagwat prapti ho jaegi
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…