hamare sukh ki khoj kab samapt hogi ? / aashray ka chamatkar
shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.
pura pravachan
he lalni he swamini anant janmon se bhtak rahe hain aapke charnon se vimurkh nana prakaar ki yoniyon mein nana prakaar ke karmon ko karte hue kabhi vishram nahi mila kabhi krit kritya ka anubhav nahi hua aapki kripa se manushya deh mila aapki kripa se shri dham Vrindavan ka aashray vas mila aapki hi kripa se rasik janon ka sang mila aapki hi kripa se upasna ko yat kinchit ham jaan paye aur kar pa rahe aapki hi kripa se aapki prapti hogi aisa dridh vishwas hai kyonki ham krit sadhno se bhagwat prapti nahi hoti karta bhav se lok loka ke sukh dukho ki prapti hoti hai bhagwat prapti aham galit hone se hoti hai aur aham galit rasing se shri ji ki kripa rang se nahi to koi bhi sadhan kare ham pusht hota hai jab kripa se shri dham Vrindavan ki raj ka sevan aur rakon ka sang milta hai tab yah deha bhiman swatah galit hone lagta hai jaise surya uday hone par kohra hataya nahi jaata swayam hat jaata hai aise hi prem ka uday hone par sampurn vilasita sampurn vasna sampurn bhogon ki trishna
swayam hat jati hai hriday se hriday nirmal ho jaata hai isliye Vrindavan das ji kah rahe hain jab Vrindavan raj paie jab Vrindavan raj paie sur nar nag ram chalo puni hari pur ha bisrai jab Vrindavan raj paie bharat khand pari dakshina kari kari gin gin teerath naha aie nahi samtal tarni ja darshan kahan lagi sujas sunaaiye kahan lagi sujas sunaaiye jab Vrindavan raj paie shri Vrindavan das ji maharaj kah rahe jab tak Vrindavan ki raj ka sevan nahi karoge tab tak kisi anya sadhan se prem prakashit hone wala nahi yat durlabh to
gyan ko bhi kaha gaya hai shuddh bodh hona bahut durlabh hai par usse bhi dubh hai prabhu pra mein vir mein tadpna vikal hokar ha Radha ha swamini ha priyaj yah bahut unchi baat hai pakhand se nahi damb se nahi swabhavic sahja avastha Priya pritam ke anurag ki aisi sahja avastha kshan kshan rudan karam ek kshan mein vyakul hokar rudan ho raha chhin gavat anand ha ek kshan mein anand mein mein bhar kar ke gaan kar dusre kshan mein nritya kar raha tisre kshan mein phir ro raha hai aisi prem ki jo hriday mein dasha
hai wo Vrindavan raj rani prakashit karte hain shri Vrindavan das ji maharaj kah rahe hain yah sukh swarg mein naglok mein brahm lok mein aur bhi jo lok hai janlok tap lok maha lok rasatal aadi sutla aadi in lon mein bhi wah sukh nahi hai jo Vrindavan mein Vrindavan ki raj mein baithkar naam jap karne se satsang sunne se Priya pritam ki mansik seva karne se jo sukh hai wah kisi lok mein nahi kyonki sab log maya krit hai aur Vrindavan maya tit hai sab sukh maya krit hai aur prem maya tit hai kaalatit hai triguna ta hai kisi bhi lok mein wah sukh nahi hai man lijiye bade-bade mahapurushon ki baat to phir mrityu lok mein kahan ho sakta hai jahan shri bhagwan ne kaha gita ji mein dukhal haim asha swat ismen dukh hi dukh hai aur jo bhi milega jo bhi mile hain sab chhutne wale nashvan jo asha shav hai dukhal ya sukh kaha jo punya bal se prapt hote hain swarga aadi log jo badi-badi tapasya brahmcharya tirth atan aadi se prapt hote hain jan lok tap lok mahar lok aadi phir brahm lok aa brahm stambh
paryant sarvam maya mayam jagat tinke se lekar brahmlok tak sab maya se rachit hai to sacchidanand sukh kahan hai sacchidanand ko bhi adhin karne wala samarth shali prem Vrindavan mein virajman hai jo Vrindavan ki raj ka sevan karta hai use Baikunth ka sukh bhi nahi khinch sakta phir maya krit lon ki to baat hi jane do bharatkhand pradkshina kari kari gan gan tirth nahaye pure bharat ki pradkshina kiye ho aur jitne tirth hai ek ek gin gin kar bilkul niymanusar snaan kiya ho ek aadmi pure bharat ki pradkshina kare aur sab tirthon ko gin gin kar niymanusar avgahan karen aur ek Vrindavan akar ke bihari ji Radha raman Radha vallabh ji ke darshan kar liye raj mein laut liya yamuna ji ka achman snaan kiya to uski bara bari bharat ki pradkshina karne wala sare tirthon mein avgahan karne wala nahi ho sakta bharat khand par dakshina kar kar gani gani tirth nahaye nahi samtal tarni ja darshan kahan lagi sujas sunae kahan tak mahima ka varnan karun Vrindavan ka darshan matra hi usko laghu kar dega jo pure bharat ki
pradkshina ki bharat pradkshina yamuna ji ki ganga ji ki Narmada ji ki sab ki pradkshina ki hue aur ek Vrindavan ki raj rani mein louta bihari jose aankh milai Radha raman Radha vallabh ja se aur iske baad yamuna ji ka achman snaan karke baithkar thodi der Radha naam kirtan kiya uski samanta nahi kar sakta wah pure bharat ki pad yatra karne wala gin gin kar tirth nahane wala uski samanta nahi kar sakta jo Vrindavan ki raj mein lata hai age kah rahe kanak basan gaj bhumi gau jo kotin dan karae badi mahima hai kanya dan gau dan swarn dan vastr dan ann dan bahut prakaar ke danon ki mahima hai bole karodon karodon gaye dan kiye hoe sab dan kiye ho ek aur dusra keval ek karya karta hai Radha naam ratta hai Vrindavan ki raj mathe par chadhata hai uski samanta yah kanak basan gaj bhumi gau jo kotin dan karaie gaj dan bhumi dan gau dan kanya dan vasan dan kanak dan ann dan ye sab ek kiya aur ek Vrindavan ki raj kan ko mathe par chadhata hai Radha Radha uski samanta wo nahi kar sakta aap kah sakte ho ham kaise mane
kyonki dan karne wala swayam dani banta hai aur yah punya loko mein jaega apne dan ka lakh guna phal bhoge phir mrityulok aa jaega lekin Radha naam japak Vrindavan ki raj mathe par chadne wala Priyalal ko prapt hoga kaise samanta kar sakta hai koi dani bhagwan naam japak aur Vrindavan raj up sevi ki samanta nahi kar sakta ki jai kaha mahatam tusal swarg sukhneet dhai ji phal jag pravah mein puni puni surapti ram kahai jab Vrindavan raj paie kya hoga tumhara prithvi mein bahut yash ho gaya hai vishv ke
sabse bade dhani vishv ke sabse bade logon mein tumhara naam gina kya hoga marne ke baad kya hoga yahi tumhari sampatti yahi tumhara naam yahi tumhara sab mitrata sambandh sab yahi rah jaega ab aapne kiya kya hai jeevan bhar wah aapke saath jaega asat karm aur shubh karm kyonki jo bhagwan ke bhajan mein nimgn hai use na lok pratishtha ki chah hoti hai na dhani banne ki chah hoti hai na sharir bhogon ki cha hoti hai va lokna vitna putr shana in sabse kanchan kamini kirti se tino se pare hota hai bole yah bhus hai bhus jaise bhus kutne wale ko kuch nahi milta kyonki dana nikal gaya hai dhan ki bhushi hai use kato kuch nahi milega aise hi mrityu lok mein khub rupya kama ke arabon bank mein jama kar liye jab maroge to ek rupya nahi jaega kuch hath nahi laga bahut kuch sab yahan kar liya lekin prabhu ki sharan mein hokar bhajan nahi kiya sab vyarth chala gaya sab vyarth chala gaya pura ka pura vyarth chala gaya sachchi maniye bhav samudra se agar manav deh prapt karke aap apna udhar nahi kiya itni
badi hani hai ki kahin kisi yoni mein nahi purn ho sakti pata nahi kis yug mein phir hamko manushya banaya jaega satsang milega bhajan karne ka bhav aayega bilkul bhav bhajan karne aata ekdam hriday shunya bas wahi vishay vikar wahi nana prakaar ki bhog vasna hai bole isse kya hoga agar aap yagya kar liye punya kar liye dan kar liye to aapko swarg milega wahan ke bhog bhog karke phir yahi ana padega mrityu lok mein to bana nahi kuch kuch din ke liye naya accha swapna jaisa swarg sukh milega phir jage to
phir mrityulok phir wahi dukh isliye kah rahe jo phal pravah karm ka aavagaman ke chakra mein dal raha hai wah hamare kam ka nahi hamare kam ka phal pravah wo hai jo bahakar Priyalal ke charnon tak pahuncha de wah naam jap iska phal aapko Priyalal ke charnon tak pahunchaega naam kirtan bhagwat leela katha shravan aur paropkar dusron ki seva isse bahut jaldi bhagwan prasann hote hain ras ki rasi rasik Radha pati shri guru bhed lakhai jab tak Gurudev ki charnon ki aradhna nahi hogi tab tak Priyalal ke charnarvind ke
prem ka rahasya hriday mein prakashit nahi hoga guru kripa hi kevalam chahe jo kuch kar lo ka tatv bhav to rahega to ye ka tatv bhav tumhara udhar nahi hone dega to isiliye kaha gaya guru kripa hai kevalam kyonki guru sharanagat ke hriday mein bhav y aata hai ki mere Gurudev ki hetu ki kripa se naam jap chal raha hai Gurudev ne diya unhin ke bal se chal raha hai unhin ki kripa se mujhe dham mila unhin ki kripa se satsang mil raha hai ismen mera koi punya tap ya kisi bhi tarah ki meri pradhanata nahi hai uska ahankaar galit ho jaata hai achal akhandit kanan yah sukh mil sat sangati paie aur jab rasyio ka sang milta hai to satsang ke prabhav se khandit aur nashvan hone wale sukho se vairagya ho jaata va akhandit avinashi sukh Priyalal Priyalal ka naam rup leela dham yah sukh prapt hota hai jo ko ami swad hoe puran kyon kharo jal bhaie jise Priyalal ka prema mrit ka swad lag jaata hai ye sab amrit hai Priyalal ka nama amrit leelamrit Rupa mrit dhama mrit charanamrit chita mrit sab kuch amrit hai
aur yahan sab mrit hai maya ke dwara iska naam hi mrityu lok hai to bole jise amrit ka swad lag gaya Priyalal ke naam rup leela dham ka use sansaar ka khara jal kyon accha lagega Vrindavan hit rup dham ras y lahi sab bihay bas dham ka aashray le lo sab ashra hon ka tyag kar do agar pakar pao baat to hamare ki baat aap pakar lijiye sabse badi baat hai sab shastron ka santo ka ek hi uddeshya hai sab ashra hon ka tyag karke prabhu ke ashrit ho jao bas ye khas baat hai andar se bhagwat aashray jagrit ho jae yah sabse badi siddhi hai sabse badi siddhi ek matra bharosa prabhu ka ekmatra aashray naam ka naam prabhu ka aashray prabhu ka naam aashray yah aapko pakka pakka vishwas kar lo sab shastron ki sar baat ka rahe chahe jitna daudo ghum ke yahi ana hai aashray bhagwat ka daswa aashray tatv hai piche suna chuke hain sab shastron ka vedon ka udesh aashray bhakti ka nava sopan atma samarpan hai iska bhi arth hai prapatti sharanagati purn aashray y badi masti hai bhagwat aashray bas vaishnav aparadh na bane jara
sa kisi vaishnav ke prati he bhav hua to aapke bhajan mein badha par jaegi pakka par jaegi jara sa kisi bhi vaishnav ke prati dosh vriti andar uday hui ki bhajan to nahi pakar sakte aap bhajan aise gayab ho jaega ki pakdne mein nahi aayega kahan jiska ham darshan kar rahe the jise sun rahe the jo nirantar chal raha tha kahan bas prapanch aa jaega aapke samne nahi to bhagwad ashrit ka swatah bhajan hota hai bhagwad ashrit swatah nishcint rahta hai jahan chinta jagrit i vaishnav ke hriday mein chahe va grihasth ho chahe virakta jahan bhay ashanti had jalan bhajan chhut jae jaan lena vaishnav aparadh ban gaya vaishnav aparadh koi thappad marna hi nahi hota kisi vaishnav ke kisi bhi aacharan ki sameeksha kar dena uski sthiti ke vishay mein jara bhi laghu bhav le ana bhajan ruk jaega bada sukshm vishay bada sukshm vishay kahu ke bal bhajan ko kahu ke achar vyas bhrose kuvar ke pav pasar jante ho jo naam japak hota hai uski suraksha swayam naam hi karta hai seem ki chap sak ko tasu bada rakhwar Ramapati jasu jahan gore charnarvind ki thesak
ai meri maharani shri Radha rani hariram vyas ji kah rahe jo avtari mahapurush hai vishakha sakhi ke avatar hain wo kah rahe shri Radha pyari ke charnarvind shital sukhdai koti chand mand karat nakh vid jui pyari ju ke nakh chandra chhata aisi prakashit ho rahi ki karodon chandrama hon ki kanti bhi pheeki param shital maha sukh pradan karne wale gore charnarvind hamari maharani ु ke aur jo in charnon ka sharanagat ho jaata hai shaap tap rog shok darun dukh hari lal isht dusht dalan kunj bhavan chari Shyam hriday bhushan jit dushan hit sangi shi Vrindavan dhuri dhusar raas rasik rangi sharanagat virad patit pavan bane is par dhyan dijiye samujh ja aae sharan te daratlang baith gaya bhrose mein maharani ji ki jaisi ichchha maharani ja jaisi kisi ka saap kam nahi karega tino tap kam nahi karenge koi paap chu nahi sakta koi maran vashikaran mohan uchchatan keval bharosa keval bharosa tribhuvan pati akhil koti brahmand nayak jinke age hath jode khade hain un swamini ka bharosa yah nahi ki ham kisi aise ke paas jae ki mujhe bacha lo
tumhare paas koi mantr to bach phir to gaye phir nahi bachoge bhrose par baith ja apne isht ke bhrose jaise go Swami tulsidas ji ke bane to raghuvar te bane bigre to bhrpur aa kitna mitha shabd hai apne Swami ka divya bharosa aap anugrah karo ya dand de apai se hai aur aap nahi chahte to kaun paida ho gaya is brahmand mein jo aapke pratikul vidhan kar sak ke aisa mantr vetta aisa tantr vetta koi paida hi nahi hua hai jo bhagwan ke vidhan ke viparit vidhan kar sake haan agar mere Swami ki ichchha hai praarabdh anukul aisa sanyog aaya hai ki ab sharir pida se grasit kiya jaega to tum tantr karo ya na karo wo apne aap ho jaega aur agar unki ichchha nahi to tum sir ke bal khade hokar tantr kar lo shaap tap rog shok darun dukhari lal isht dusht dalan kunj bhavan chari shri swamini ja ke charan Arvind Radha Radha aur divya bhrose pe kai bar sunaya hai ek bar bahut bada tantrik jo hai wah sanyasiyon ko pareshaan karta tha vivid prakaar se uska dves tha sanyasiyon se dand bhari to kai
mahapurushon ne karpatri ji maharaj se kaha dharm samrat karpatri ji se ki wo bahut sanyasiyon ka apman karta hai tantr ke dwara vastr aparn kar lena kamdal gira dena dand gira dena usko gira dena kai tarah se kahan rahta hai bataya kai sanyasi saath chalte the gaye usne je bhi dekha to va dves rakhta tha sanyasiyon se tantr ka prayog kiya kuch bhi kam nahi kiya phir tantr ka kafi der wo khade rahe se kar patr aur kaha narayan narayan narayan ab ham prayog karen koi mantr nahi keval narayan narayan aur bhav hoga tumhen dand dene ka kyonki tum santo ko dand dete ho charnon mein gir gaya bole aap dharm samrat karpatri ji hai kya bole isse kya matlab aapko aap to sanyasiyon ko uphash karte hain unko tantr ka prayog karke pareshaan karte karo na kuch nahi aapke paas bhajan hai na naam ja jap hai bhagwat aashray hai naam jap bhi na ho to aashray bharosa bahut badi baat hai bahut badi baat hai bharosa pujya shri Swami Ram Sukhdas ji maharaj ji ne is bhrose ka ek udaharan diya tha kai bar
satsang mein sunaya hai ki ek gramin charwaha bakriyon ko jangal mein charane ke liye gaya sham tak chala kar ke bakriyan wapas unmein se ek bakri hari hari ko apne chunne ke dhun mein wo bhul gayi apni mandli ko ab wo charwaha itni bhid mein ek bakri ka kya dhyan rakhe na charwahe ko dhyan na bakri ko dhyan ki mujhe apne parikar ke saath jana hai jab dhyan aaya to kuch kuch andhera ho gaya tha ab wahan koi tha nahi ghabra gayi une socha ki jangli janvar mujhe kha jaenge bhediya hai sher hai aise kha jae itni pyas lagi ki vikal hokar ke wo dhundne lagi to dekha nadi hai pani piya to wahan ek bada sa panja dekha jor ka itne mein bhediya laar tapka hua aa gaya usko bakri bahut priy khane mein bhedie ko jei bakri ne dekha pran sukh gaye ab tohi mar daelga us panje ki taraf dekha aur baith gayi us panje ke paas nirbhay hokar bhediya aaya to yah panja dekh lo baithal gaya hai jo panja dekha bhaga pooch dawa ab to vishwas ho gaya y panja kisi jordar ka hai ab jo pashu aata panja dekh le jo dekhta sab sher aaya r mari
gaye panja dekh le sham se lekar abhi tak hamko kisi ne nahi khaya isi panje ko dikha dikha ke ham bachi to sher ne kaha tumhen pata hai panja kiska hai bole mujhe pata nahi bole mera hai jab tum mere bhrose panje ke bhrose hokar bach gayi to ab tumhen koi nahi khega hathi ko bulaya kaha pith par chadha aur ped ki upar upar ki kople se chuna jangal mein koi bhi is par nazar nahi daelga pujya Swami shri Ram Sukhdas ji maharaj ke shri mukh se yah udaharan ki aise hi anjane mein bhi koi bhagwan ka aashray le
le to tribhuvan mein sampurn jitne sukh hai uske charnon mein lutte rahte hain aur kal bhi bal banka nahi kar sakta uska jo bhagwan ka bhakt hai sharir chhutta hai samay par par va aise chhutta hai jaise garjaj ke gale se chhoti foolon ki mala gir gayi janmat marat dusa dukh hoi ye anubhav mein nahi aashray bahut bada tatv hai japat tirth atam sadhna y sab ek taraf aur ek ashrit hai wo ek taraf ashrit ka turant bhaar bhagwan le lete hain jaise Sugriva ji ashrit hue turant paksh lekar pura bhaar bhagwan ne le liya apne upar ashrit ka turant yogakshemam ka bhaar bhagwan lete hain yah bahut gupt baat hai sarv dharmanna mekam sharanam braj yah bahut gupt baat bhagwan ne kaha bhi hai ki sarwahit mam yah sabse gupt baat main tumhen batata hoon mere bhrose ho jao bas Priyalal ke bhrose ho jae to is durant maya se swabhavic tar aur kabhi kuch bhi anya se sahyog lene ki mat sochna ashrit ka kavach swayam bhagwan hote hain kavach mane raksha karna swayam bhagwan kyonki jante iska kisi anya ka bal nahi anya ka bharosa nahi to aap
hi daudte hain wo sarvagya hai wo sarvatra hai tatkaal uski raksha karte ek do bar nahi lakho bar ye is baat ka anubhav ki bhagwan bhagwan keval bhagwan daudkar bachhae lakho bar dekha pure jeevan mein aap logon ko bhi anubhav hai ki kai bar bhagwan gupt rup se akar chhadma bhesh mein aapka sahyog karte hain par aap bhagwat ashrit nahi isliye aapko vyakti dikhayee deta hai aapko amuk dikhayee deta hai lekin jab netr pavitra hote hain tab vyakti amuk nahi swayam bhagwan dikhayee dete hain is rup mein mere bhagwan akar
mujhe sahayog kiye wah anubhutiyan pakka jaise us bakri ko bhedie se pahli bar bachat hui to usko vishwas ho gaya ki yah panja kisi jordar ka hai ab mera koi bal banka nahi kar sakta aur nirbhay ho gayi aise hi sharanagat jab bhagwan ke mahatva ko sun sunkar anubhav karta hai are bhagwan aise kripalu to uske hriday mein apaar anand nirbhayata nishcint nisu hota abhi aap bhagwan ki bhagwata ko samjh nahi rahe yah jo aap bhagwat charcha sun rahe hain yah roz aapko bhagwan ki taraf ghaseete gi roz aapko bhagwat charnarvind mein pusht karegi
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…