॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit nahi hota. Hamara bhagwat anand kyonki bhagwan hamare hain. Wo anand hamari nij sampatti hai. Koi parai nahi. Uska karan kya hai? Ananyata ki hani. Ye bade-bade achhche sadhako mein dosh paya gaya. Ham kami hain. Ham kroadhi hain. Ham doshi hain. Lekin shri ji ke hain. Ye baat pakki hai. Ham kisi aur ke age hath nahi faila sakte.

aur se asha nahi kar sakte. Agar aur ki asha hai to keval natak hai babagiri ka kuch nahi hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar in par vijay pane ke liye hamen marg mein chale hain. Ho sakta hai ladte ladte kahin gir jae. Lekin shri ji ke hokar girenge. Anya ke hoke nahi. Ye anya ke jo age sevak ji maharaj bole hain dekh mein jorat hath latkat vishay in ke age dekhe mein jorat hath latkat ketik ayu ketik jeevan kahe vinashat ka jhatkat agar vastvik bhagwat marg ka anand lena hai ham ye nahi kah rahe ki aap nirdosh hokar aie aap dosh sahit aie.

dosh rahit to hamare isht karenge. Dosh rahit hamare isht karenge. Dosh aur ananyata ye do alag-alag chij hai. Ham mein ye dosh hai lekin shri ji ke hai. To laj unko ave aur wo hamara sudhar karen. Lekin ham aur ke nahi. Hamare guru ji ke dwara likhaya hua hai. Wah jo bolte the to kabhi kabhi bahar nikal kar diary se likhte the. Isht hi ke rang rache isht hi ki kripa jache. Isht bina aur nahi. Jaki hi yah vasna. Isht hi ko gawe jas isht hi ko bhave ras isht bina kahu ki jo rakhe man asna isht hi te pave man isht bal balvan isht bina chahe man kan ko nivasna ras rupi isht dham tah mein atal vas yaah kusumti kahe sudridh upasna sudridh upasna ka swaroop kya hai bole isht hi ke rang rache bahar aur bhitar radhaval bhi hai ye dekh ke aap pehchan sakte ho kyon isht hi ke rang rang nache ham pura isht ka shringar kiye hue hain [gana gane ki aawaz] isht ke dastv ka to andar bhi Radha vallabhi hona chahiye bahuvallabhi nahi andar bhi Radha vallabhi hona chahiye ham mein dosh hai.

ham is baat ki safai nahi dete ki ham nirdosh hain. Lekin ham shri ji ke ismen pakka ismen koi aap lanch nahi nikal sakte. Ismen lanch nahi nikal sakte. Isht hi ki kripa jache aur ham par kripa karne aae to hamen kisi aur ki kripa ki zaroorat nahi hai. Kisi ki kripa ki zaroorat nahi hai. Hamare guru aur hamare isht samarth hai. Wo hamko chahe to mahatma bana de, chahe duratma bana ke chode. Wah drishti na de to ham duratma to hai hi hain. Wah drishti de de to ham atma ban jaenge. Isht hi ki kripa jaate hain.

ham kisi aur sadhak sant mahatma panth sampraday acharya sab hamare bhagwat swaroop sabko pranam hai. Par hamen kripa apni ladli aur Gurudev ki chahiye. Apne Gurudev ke siva kisi aur ki kripa hamen nahi chahiye. Bane to raghuvar te bane bigde to bhrpur tulsi aur te bane ta dur hamara hriday shri ji ke liye hai ham ghar se kis liye nikle pehle hamen is baat ka hamen prashn ka uttar mile ki ham ghar se kis liye nikle hain kya sun ke nikle hain kya pane ke liye nikle bhojan rupya building pranam namaskaar yash kirti nahi us samay to keval lakshya tha shri bhagwan phir beech mein kyon phir beech mein kyon anya aashray isht hi ki kripa kisi se kisi bhi tarah hamen nahi chahiye bhagvatik bhi hamen kripa nahi chahiye

sansarik to sansarik hamen bhagvatik bhi kripa kripa nahi chahiye jo kripa ho hamare Gurudev karen hamari ladli jo kare to karen na kare to ham padhe bigde to bhrpur bigde to bhrpur hamari baten pakki man lena nahi pachhtaoge pura jeevan vyarth chala jaega ye karod ye arab maroge to lad ke le jaoge aur ye aacharan ye swabhav tumhari pakki durgati kar dega pakki durgati kar dega kahe haridas te jeev vimurkh bhaje dusri kardari dusri karari dusri kardari nahi hamare isht se jo hamara kam banega

hamara kam kya hai hamara kam hai roro kar bhajan karna aur prabhu ka kam hai hamare jeevan ka poshan karna hamara keval kam hai roro ke bhajan karna prabhu [gala saaf karne ki aawaz] ke liye ro aur unka raat din bhajan karun bole isiliye to aae ho na ki prabhu ke liye tadpu prabhu ke liye roun prabhu ke liye phir ye beech mein kyon beech mein kyon hai anya astra kyon yahan kah rahe hain isht bina aur nahi jake hi vasna char ashram ban jae ye vasna nahi hai shri ji ka bhajan ho jae mil jae ham ye nahi kahte shri ji ka bhajan ban jae raat din hamen shri ji se milne ki parvah nahi kyon kyonki siddhant kahta hai naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas naam vani nikat Shyam shyama prakt to wo to hamare ko chhodenge hi nahi naam vani ham pakde hain na wo hamen nahi chhodenge aur chhod ke dikhao tum mein bal ho to chhod ke dikhao sab balvan bhagwan hai lekin nij janon ko chhorne wale bal nahi bhagwan ka shri vitthlnath ji se goswami ji se srinath ji ki varta

hui Krishna das ji ne jalebi ka bhog lagaya bazar mein thakur ji pa rahe the dekho aisi bhavna itne siddh mahapurush vitthal das ji ne parda khula dekha jalebi khaay jalebi ka to bhog lagaya nahi [gala saaf karne ki aawaz] aap kaise pa rahe ho unhone kaha Krishna das ne bhog lagaya hai bazar ki jalebi ka to bole Krishna das ka to hamne tyag kar diya hai bole aap acharya ho aap guru aap tyag kar sakte ho ham nahi tyag kar sakte hamen samarth nahi ki ham sharanagat ka tyag kar sakte bhagwan ek jagah kamzor ho bhagwan ki kamzori hai ananyata agar aap anannya ho to bhagwan ko kamzor bana doge.

kaise ho? Yah prashn nahi uthta. Anannya ho yah baat banti hai. Hamari baat samjh lo. Ham ye prashn nahi kar rahe tum kaise ho? Ham ye prashn kar rahe tum kinke ho? Apne isht se niche nahi utrna. Hamen bikna nahi hai. Hamara jeevan vyarth nahi jaega. Ghor vaishyagami jab isht ke anannya ho gaye to mahatma ho gaye bilkul mangal isht ki ananyata hamen pakdni hai hamare mein jo kami hai wo isht dur karega aur na dur karo to waise hi sweekar karna padega jaise hamen koti vipr badla jahu aae sharan tajo ne ta jo nar hoe charachar drohi ave sab sharan tak mohri taj chhal kapt moh madh mana karo sa teh sadhu ye unki duty hai yar sadhu wo banate hain ham to sadhu ke marg mein chalne ke liye kadam uthte hain unki prerna se aur unhin ke bal se sadhu bante hain hamare jeevan mein sadhuta bhagwan ki kripa se aati hai isht hi ke gawe jas aur isht hi ko bhave ras apne isht ka yashogan karen.

unki jai jaykar karen aur isht ke ras mein hi apne man ko lagave aur bhagwat ka ras hai Gokul nath mahaj vaibhav leela anek na chit khatai sevak hamara man hamara man to bas bansi vadan hua aur gopiyan sarvasv chhodkar jis ras mein nimgn hui usi bansi ki sharan mein ek riti pratiti bandh man moh sab Harivansh baja harivanshon ne Harivansh bansi hari ne bansi bajakar sabko mohit kiya isht bina kan ki jo rakhe man asna to yahi ham samjhana chahte hain is pankti ko isht bina kahu ki jo rakhe man asna [gala saaf karne ki aawaz] isht bina kisi ham shri ji ke bal bal hai.

ham kisi vyakti ke bal se chalte hain. Ham kisi aaj tak koi bhi hamen bata de ki kisi dhani ke age aise hath pata raha ho. Isht ka bharosa shri swamini ji ke bhrose ye sab chala hai. Kisi vyakti ke bhrose nahi chala. Aur jo vyakti kapt karega chhal karega parinaam bhugtega. Kaagaz mein likh lo. Koi bhi ho tum ho ham ho koi ho. Moh kapt chhal chhidr na bhawa isht ka aashray chhuta to kaun bacha sakta hai maya rak ke phenk degi isht ka aashray isht ka aashray nahi chodna hai ye bilkul baat achhche se samjh lo agar hamare paas bina mange ek phool aa gaya to ham thakur ji ko arpit kar denge ki bhai jai ho agar hamari kal bhojan ki vyvastha nahi hoti to sab manjeera bajakar Radha Radha gakar charanamrit pikar rahenge lekin ham kisi se yah nahi kahenge aaj bhukhe rahe.

agar bhagwat marg mein chalna hai to is baat ko pakka hriday mein baitha lo. Agar mahapurushon ki aur gurujanon ki baat nahi mani jaegi to parinaam isht bina kan ki jo rakhe man asna yah vyakti hamara kam bana dega. Isko dupatta pahna. Hamse pucha gaya aap dupatta kyon pahnate ho bade adhikariyon ko? Wah jaj hai. Agar wah shraddha karega, hamari baat manega to hazaron nirdoshon ko bakhash dega. Kya baat? Agar uski buddhi bhrasht hui to hazaron nirdoshon ko phansi par chadha dega. Wo wakil hai. Agar uski buddhi shuddh hui to sahi vakalt karke garib ko bhi bacha lega.

agar ham kisi adhikari ko, kisi paddhikari ko to uske pad ka sammaan karte hue usko pahnate hain ki tum apne pad par sthit rahkar dharm purvak chalo. Hamara uddeshya dusra hai. Ham galat hai. Hamara siddhant galat nahi hoga. Siddhant abhi ham kaha hai ki ham par shraddha karo ya na karo hamari baat par shraddha kar lo. Isht hi te pave man. Aur isht bal balvan. Isht ke bal ka abhi aapko anuman nahi hai. Nirtan bhakuti badan ambuj mridu saras has madhu bolat to atihasak lal alim bas akhil koti brahmand jinki bhakut ratan matra se muskan matra se adhin ho gaye wah hamare isht hai radheshtam radheshtam hamari isht kaun hai Radha jinki bhakut sanchan matra se akhil bramhandon ka Swami adhin ho jaata hai aur wo kaisa man dilati hain garib Baba ji jiske paas ek khane ke liye tukda nahi bimar sharir to aushadhi ke liye paisa nahi bimar pare to dene wala koi pani nahi yah zyada duri ki baat nahi 15 sal pehle ki baat hai.

koi puchna nahi yahan se Radha vallabh ji Radha vallabh ji se apni kutia koi radheshyam nahi kahte isht hate pave man ab aankh khol ke aap dekh lo isht hitte pave jis vyakti se koi radheshyam nahi bolta tha jaise Akbar badshah ne jab taj utar ke rakha to tulsidas ji ke aansu aa gaye baad mein arjanon ne pucha ki samrat aaya. Is anand mein jab tulsi Ram ka nahi tha tab koi tukde nahi deta tha. Aaj tulsi Ram ka hai to badshah taj utar ke rakhta hai. Isht hi se pave man. Isht bal balvan. Ham garajte hain to isht ke bal se hamare mein jo bal hai wo isht ka bal hai.

hamare ko jo ye sab ye isht se hai. Hamare se nahi hai. Ye hamari shri ji ka chamatkar hai. Ye Radha naam ka chamatkar hai. Koi Premanand ko nahi janta. Koi Premanand ko nahi manta. Radha naam shri ji ka jal aur ham shri ji ke hain isliye ye hai yah bhash shri ji ka hai isi bhash ka sammaan ho raha hai kyonki shri ji ka hai shri ji ke bal balvan shri ji se pave man aur ek pad mein nanddas ji ne likha hai ki he sakhi man dene aap jaisa man dene wali dusri koi nahi hai. Koi nahi shri ji jaisa aap batao isht hi te paveman isht bal balvan aur isht bina chahe man kan ko nivasna abhi man mein dekho yadi aap kisi se ₹1 lakh lete hain to uske prati aadar buddhi hoti hai ki nahi mahatva buddhi hoti hai ki nahi aur jeevan mein nahi rakha dhani purushan ka jeevan mein nahi rakha ekantik mein ek ne prashn prashn kiya tha ki aap dhaniyon se bair kyon mangte hain?

ekantik mein prashn kiya tha. Hamare acharya mahapurush jan kahte hain [gala saaf karne ki aawaz] jo charon yug ke bhakt hain. Unki charan vandna karte hain. Unse hamari mitrata hai. Abhiman tere bhut bhavishya lok 14 mein bhay hoe hari pyare tin so vihaar hamaro abhiman abhimaniyon ka aadar nahi abhimani ka aadar sant jan nahi karte. Sansaar mein jinka aadar hota hai, santo ke darbar mein unka aadar nahi hota. Sansaar mein jinka anadar hota hai santo ke darbar mein unka aadar hota hai. Din pyare ved pukare drav sushri bhagwan jisko dainyta priy hai jhuke hue aa rahe hain ankhon mein aansu sashtang laut gaye aur ab koi baat nahi ye jo matlab Shastri siddhant hai is par kamzor nahi hona ham kamzor hain par is par kamzor nahi hona siddhant par kamzor nahi hona isht bina chahe man ka wo nivas man mein agar aapne kisi se bhi rag kiya kisi se bhi kuch liya kisi chah karke chah ke to aapko uska chintan hoga uska manan hoga usse rag hoga aur wahi tumhari durgati ka karan banega ras rupi isht dham tahi mein atal vas ki yah hamare Vrindavan Priya pritam ka ras swaroop hai Priya pritam ka ras swaroop dham hai.

yah ras rup dham hai. Bole ismen atal vas karen. Shri ji ka upasak akhand vas kare. Vrindavan ko chode nahi. Chahe khand khand hoe jae tan ang ang sat tuk. Vrindavan nahi chhadi ho chhadi wo hai badi chuk. Ham Vrindavan nahi chhodenge. Yahi ko sumati kahe sudridh upasna. Isi ko sumati kahte hain. Isi ko sudridh upasna kahte hain. Hariram vyas ji ne ek pad mein kaha jaki hai upasna tahi ki vasna aur tahi ko naam rup leela gun gaiye. Vasna asha apne isht se jaki hai upasna tahi ki vas yar matlab itna nahi samjh mein aaya abhi tak ki aap sharanagat kiske ho ek mukhyamantri agar kahin hath mila le aur baith jao to jeevan bhar nahi bhuloge wo baat aur bhagwan ne tumhen sharanagati di shri ji ne tumhen sharanagati di tum bhul gaye dusre ko mahan manne lage.

dusra tumhara bharan poshan karega. Wo kah rahe hain yogkshm vamya mein tumhen vishwas nahi hai. Ye sabse badi baat hai. Hamen jo bhagwat vishwas nahi hai wahi hamari durgati ka karan hai. Chahe sant bano chahe mahant bano chahe kuch bhi bano. Agar bhagwat aashray dridh nahi to bole vesh dhari hari ke ur sale sale mane pida dete hain bhagwan ka das kaha karke aur kahave mor dasa kare tuchch naran ke asa to kaho kahan raha vishwasa kahan vishwas raha to yah hai anannya param dharm paripati ki Vrindavan bas anat na jaiye anannya dharm jo hamara Vrindavan upasna hai.

ab nij dharm apno kahe tha nit Vrindavan rahe to wahi tumhen bhi rahna hai. Vrindavan nahi chodna hai. Chhodbo hai badi chuk. Bole soi bechari an kahe an kare an kahe an kare wahi bechari bhakt nahi hai. Yahan vyabhchari kisko sabit kiya hari rav vyas ji ne an kahe aur an kare auron ki baat kah raha hai kah kuch raha hai kar pooch raha hai auron ki baat kah raha hai aur aacharan kar raha hai kya ananyata pare raho apne anannya dharm mein tako mukh dekhe darun dukh paye aison ka sang nahi karna chahiye bole aison ka mukh dekhne se darun dukh milta hai hari Ram vyas kah rahe vyas hoi uphash tras kiye as achat bhari dukh milega tras jo as tumhari bani rahi dusron se vishyon ke age isiliye Harivansh mahaprabhu ne pingla ka smaran kiya chaturasi ji jaise ras granth mein kyonki usne kaha asha hi param dukham narashyam param sukham asha hi param dukh hai.

nirasha hi param sukh hai. To kit das kah as achat kit das kahiye agar auron se asha hai to kaise tum Priya [gala saaf karne ki aawaz] pritam ke das ho kaise Priya pritam ki sharan mein hamen apne isht ka bharosa isht se palan wo kah rahe hain yogkshm bhav mein hamara keval kartavya anannya chintan ki wo kaun sa sukh chahiye kya? Par jaise apne man se ham parast hote hain. Apni indriyon se parast hote hain. Apne bete se parast hote hain. Apne nij janon se parast hote hain. Jaise hamara nij man jo kaha wahi kar diya.

indriyan jo kaha wahi kar diya. Shishya jo kaha wahi kar diya. Bas yah parast hone ka yah saath man indriy aur bhi jo sambandh hai wah sab isht ke anukul chale shri Krishna anukulas pratikuls visarjan pratikul baat chhod di jae to yah sabse prarthna hai ki isht ka bharosa rakho yar anant bramhandon ka Swami isht hai. Shri ji anant bramhandon ke Swami ki swamini hai. Ham kisse as karen? Kisse as karen? Asha ek Ram ji se duri asha chhod de. Nata ek Ram ji se duja nata tod de. Chalo grihasth nahi chhod pa rahe hain to aap to virakta ho.

aap sab to maro baji na. Isliye ye mil jae. [gala saaf karne ki aawaz] bilkul nahi. Ye na dhan saath jaega, na makan saath jaega, na beti saath jaegi, na beta saath jaega, na patni saath jaegi. Jab jab hansa uda to akela uda. Duniya mein lakho ka mela juda. Hansa jab jab uda to hamari baat thodi kadi bhi lag sakti hai. Lekin isko man lena. Ham hazar bar kaha hai hamko mat manna. Hamari baat man lena. Agar hamari baat man loge to nihal ho jaoge. Bhagwan ne sab kuch diya hai. Sab kuch diya hai.

kya nahi hai? Bas ananyata nahi hai. Yahi baat ananyata nahi hai to kal bhukhon maroge. Dekh lena aisa chakra chhaega maya ka ki pareshaan ho jaoge. Wo ananyata hai usar mein baith jao to bhukho nahi maroge. Unchi unchi baton se kisi ka pet bharta nahi. Ram ka bharosa kabhi bhukha marta nahi. Bhagwan ka bharosa ho, isht ka bharosa ho. To aaj ka satsang hamari baat ko samjh lo. Isht ke bhrose raho. Isht ki asha karo. Isht ka chintan karo. Isht ke bhrose pare raho. Sab theek ho jaega. Sab kuch theek ho jaega. Tumhare aacharan theek ho jaenge.

tumhari buddhi theek ho jaegi. Tumhara jeevan theek ho jaega. Aur isht ke siva anya ka aashray liya. Phir kahe haridas te jeev vimurkh je dusri karari dusre abhi kal hi the. Sadhak wo sadhna mein lage rahte hain. To unhone rokar ka kaha ki ham aapki agyaa ke anusaar hi chal rahe hain. Par hamen aisa lagta hai ki ham kahin truti kar rahe hain. Ham kaha kya? Bole aapke sanidhy se dur ja rahe hain to hamen lag raha hai ham theek nahi hai. Aur roka ki hamen bas yahi chahiye ki aap muskura dijiye. Aap prasann rahie.

mujhe aur koi shri ji aur koi bhagwan aur koi mujhe na pata hai na main kisi ko janna chahta hoon aap muskura dijiye aap aisa ham aap nishcint rahie aap sadhan mein jo lage hain wo hamari hi agyaa hai aap lage rahie bas isht aur guru isi se beda par ho jaega isi se mangal ho jaega yahan ka nirman karne ham Baba ji ban ke nikle yahan ka nirman hriday rupi mandir nirvikaar hokar bhagwan ko prakt kar le isliye Baba to to pura jeevan hua ja raha hai. Wo to karne ko ye nirman na rahe hain na rahega. Kabhi kahin mahal hua karte the.

aaj wahan khandhar hain. Kabhi jahan jai jaykar hua karte the wahan kabutar hag rahe hain. Ye bhagwan ki maya nagri isliye isht ke bal raho. Jitni svase hain isht ko samarpit karo. Isht hamari baat ko rag dves se na liya jae. Hamari baat ko siddhant se liya jae. Jab ham siddhant mein bolenge to ho sakta hai ki aapko aisa lage ki kahin paksh haan kahin pakshpat ye sarvjanik baat hai aur sabke liye hai. Sab sadhako ke liye hai. Sab sampraday ke sadhako ke liye hai. Koi apne liye hi ye baat nahi hai. Kyonki acharya aur gurjan aur mahapurushon ki baat sarvjanik hoti hai.

kisi ek ke liye nahi hoti. Isliye isht ke bhrose raho. Isht ki asha rakho isht ka chintan shri Radha ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi