17 sal se Australia me rah raha hoon, ab lagta hai apne bharat vapis aa jaun, kya karu ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
sakshi ji sani davas ji Radha vallabh shri maharaj ji Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti koti pranam maharaj ji ham 17 sal se Australia mein rah rahe hain pehle lagta tha zindagi mein sirf kam karna hai aur arth kamana hai 2 sal pehle aapse mile aap aur shri ji se aapne milwaya ab life mein bahut sukoon aur shanti hai maharaj ji ab ham donon ka bhav yah hai ki ham wapas bharat akar bhakti marg par age badhe par phir bhi aisa lagta hai ki ham apne karm se to nahi bhag rahe kartavyon se to nahi bhag rahe ji margdarshan kya bharat mein arth nahi hai kya bharat arthaheen desh thodi hai kayta ka ek bhav aata hai ki kahin hamara jaisa nahi nahi nahi param kartavya ke liye jo kadam uthata hai va Shurvirr hota hai kayar nahi hota bhogon ke prati jo kadam uthata hai param kartavya ka tyag kar use kayar kahte hain ye thodi ki ham bhagwat marg ke liye chale to ham kayar kah jaenge nahi nahi aisa nahi bachchon ke liye maharaj ji jaise do bachchhe ham ye kah rahe hain ki jo karya kar rahe ho kya wo bharat
mein nahi hota kya arth ki arth ki itni koi problem nahi hai maharaj ji arth ke liye ham nishcint hai puri to dharm ke liye to videsh ke log ate hain bharat mein apne dharm ankur jagrit karne ke liye agar kahin vishv mein vishesh dharm ka prakash hai to bharatiya rishi muni ka prabhav hoga nahi swarg nark se age badhkar koi baat nahi hai swarg nark se badhkar koi baat hi nahi hai moksh aur param pad aur prem ye keval bharat ke divya rishiyon ke anubhutiyan hai agar kahin bhi koi is pare chal raha hai to bharat ke rishi ki anubhuti hogi to arth ki jab koi baat nahi to dharm ki baat phir sweekar karne mein kya iski chahat hai jaisa aapne bol diya aap vichar kijiye nahi aap vichar kijiye apne ye bas prashn wo kar raha tha ki bachchhe jaise bahar hai to unko ab ham lekar aaenge ya unko chhod ke nahi ham yah janna chahte hain ki videsh bhog pradhan hai bhog ki bahulya ho sakti hai lekin bharat desh dharm pradhan hai ab dekho wahan ke hamne to kabhi gaye nahi ham kabhi dekha nahi ham to suni baat kah rahe agar aap
usko support kar pave wahan kahte hain ki koi bhi kisi bhi tarah ki dharm mariyada nahi aaj aap ke saath kal aapke saath ghumu koi pareshani nahi aisa hai na hamara bharat desh ise sweekar hi nahi karta hai hamara bharat desh sweekar karta hai ki ek bar hath pakda zindagi nirvah kar denge agar tumhara kaisa bhi swabhav ho ham donon milkar ke chalenge aur pure jeevan bhar saath rahenge pavitra hai na ki prem mein sukh hai ya keval bhog mein sukh hai aap socho keval bhog to raaksasi vriti hai prem prem kya yah bardast payega ki jisko hamne apna jeevan diya wah kisi dusre ke saath hamen khada dikhayee de ya khadi dikhayee de prem kahan hoga to agar grihasth bhi yahan ki bharat ki hai to pavitra hai ek pani grahan sanskar matra se aajeevan ke dukh sukh ka sathi ban kar ke aur nirvah karna kitna sukh hai ab bahar ki adhnikta aaj pravesh kar rahi hai ab boyfriend girlfriend livin relation to kya kahte hain haan aap samjho yah bharat hai yahan ki ek mariyada hai yahan veer sati hui hain yahan veer yati hui hain yahan ki
tulna kar aur hamara desh dhan se kabhi garib nahi raha bahut bar lut chuka hai lekhon ne luta angrejon ne luta bahut bar lut chuka hai pura desh isliye koi ham garib desh ke nahi hai bharat ko waise kahavat mein purane log kahte the sone ki chidiya hai nahi to hamara desh koi nindniy ya garib ya aisa desh nahi aaj bhi garib nahi hai aaj bhi garib nahi bharat bharat hai maharaj ji eksaplen bhi karna aapki kripa se maine sharab chhod di bachchon ke liye nonvej sab kuch chhudrva diya unko samjhana bhi ab jaise jaate hain ki videsh bhi chhudrva denge ra bas sabse prarthna hamari yahi hai manushya jeevan ek anand ka jeevan hai anand ke liye aap galat rasta chayan mat karen sharab pina nasha karna parai bahan betikon ki taraf gandi dekhna kisi tarah se dhan ko shoshan vritti se lena ghus lena yah sab koi bhi ho kahin bhi ho adharm aacharan kabhi anand nahi de sakta yah dimaag mein baitha lo aur dharm bhale tumhen dukh dikhayee de raha hai lekin wah anand ki prapti karaega dharm sadaiv jai par virajman hota hai aur adharm sadaiv parajay ko
prapt hota hai isliye agar ham aap mile hain to bhagwan badi kripa se param pavan bhumi vrinda van mein sant samagam baithkar kar rahe hain to hamara aapka parivartan hona chahiye hamare aapke milan mein kuch jadu hona chahiye nahi hona chahiye ki bhai sant sang kiya to hamara jeevan parivartan hua to koi bhi gande aacharan ki taraf kadam uthae to pehle hamari baat ko sun le ki wo uska hi sarvnash karegi wah aacharan vritti usko hi girae gi usko hi dukh degi isliye sabse pehle andar jo sadguru dev baithe hain unki baat suno ja aap galat kadam uthaoge andar se aayega galat hai nahi ba unki baat man lo sabke andar aata hai na bhagwan Gurudev sabke andar baithe hue updesh dete hain achhche bano svasth raho sukhi raho aur isi janm mein bhagwan ki prapti ho jae yahi hamare jeevan ka lakshya hai aap khub aandit rahoge yadi hamari baat manoge aap man ke dekh lo koi paisa to lagta nahi baten to manani hai isliye aap log iska anand lijiye isko anand ka swaroop hai satya dharm achhche aacharan agar yah rahega na to kisi se ashirwad mangne
ki zaroorat nahi nahi chahe jahan gagh aaya ho hath rakhwaya ho kuch parivartan ho jae to hamen bata dena aapko apne aacharan sudharne honge aapko bhajan karna hoga aapko dusron ka upkar karna hoga sab ashirwad aapke paas aa jaenge satya mein chaloge to antar se ashirwad sabka aayega jitne vyakt avyakt mahapurush hai jaise samudra apni mariyada mein rahta hai aur nadiyan ufan kar karti hui wahan pahunchti hai aise dharmatma purush jo gambhir bhajana Anandi aur dharm se chalta hai sab eeshwa vaibhav sabke ashirwad apne aap
aa jaate hain samudra bulata kisi ko nahi hai jaise pushp mein parag aa jane par bhaure swayam madne lagte hain aise hi tumhare andar jehi bhagwat nishtha dharm nishtha jagrit hogi sab rishi munio ki kripa aap par aa jaegi dekho jamwant kaha sun Raghuray ja par nath karahu tum daya tahi sada shubh kushal nirantar sur nar muni prasannata upar soi vijay banai gun sagar tas sujas trilok ujagar nath aap jis par kripa kar do to jo dharm se chalta hai bhagwan ka aashray leta hai sab ashirwad sab mangal use gher lete isliye achhche se chalo galtyon se bacha jae bhagwan ka bharosa rakhkar ham mein to bal nahi bhagwan ka bal bhagwan ka smaran bhagwan ka naam jap hamara mangal kar dega
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…