janie parivaar ke sabhi sadasyon ka ek dusre ke prati kya kartavya hai
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
shadeeshuda jeevan mein ek aurat ka sabse bada kartavya kya hai ek dharm karm vrit nema kay vachan man pati pad prema ji iske viparit isi ka kar ki shadeeshuda jeevan mein ek purush ka param kartavya kya hai apni ardhangini ko pran manna bina uski salah ke koi dharm karya bhi na karna aur maharaj ji ek pati-patni ko apne bachchon ke prati kya kartavyon ka mukhya palan karna chahiye mar ji jab bachchhe samriddh ho jae unka apne mata-pita ke prati kya bhai ka bhai ke prati kya kartavya hai ma ji ek
bhrata ka apni bahan ke prati kya kartavya hona chahiye shweta shukla ji Radhe Radhe maharaj ji mar ji shadeeshuda jeevan mein ek aurat ka sabse bada kartavya kya hai dekho pahli baat to aap na aurat ho aur na koi purush hai pahli baat sweekar karo ki main bhagwan ka ansh hoon manti ho is baat ko pahli baat pehle ham bhagwan ke ansh hai phir dusri baat hai ki ye ansh stri sharir mein aaya hai to stri sharir ka karm hua lok dharm aur bhagwan ke ansh hai yah hua param dharm param dharm ka palan karte hue bhagwan ka
naam jap karte hue apne parivaar apne pati ko bhagwat swaroop mankar aradhna karna yahi ek stri ka param kartavya hai jaise sas sasur hai unmein bhagwat bhav karen devra nandrani jo bhi hai ye sab bhagwat swaroop hai ladai jhagda kale ashanti ta baat hoti hai jab hamare andar bhed buddhi hoti hai jab bhagwat buddhi hoti hai to sab pyar bhara jeevan aur jab ham sas sasur ki seva karenge apne pati ke parivaar ko prem denge to pati apne aap adhin bana rahega agar pati adhin bana hai aur parivaar ki bhagwat swaroop se seva ho rahi to aap khud dekho yah lok aapke liye param sukhmay ho jaega aur param dharm bhagwad ansh naam jap kar rahe isliye aapko bhagwan ki prapti hogi lok parlok donon aapke mangal mein ho jaenge yadi naam japte hue bhagwat bhav se apne parivaar ki seva karte hue uska phal apne pati ko prasann rakhna pati ki adhinta pati ke sukh ke vishay mein chintan karna ki ham kaun si cheshta karen jisse hamare pati ko sukh mile yahi stri ka param dharm hai ek dharm ek vrat ek karm ek niyam pati kaise prasann ho ek dharm karm vrit
nema kay vachan man pati pad prema sharir se vani se man se hamari cheshta pati ke charnon mein wah prasann rahe wah sukhi rahe agar yah ho gaya to lok parlok donon ban gaye maharaj ji ismen ek aur prashn hai yah to ekdam vishuddh uttar ho gaya maharaj ji agar pati pratikultaa de prati ki taraf se pratikultaa ho aur jaisa ham waise bhakti mein anand to tabhi aata hai jab ham aapko pyar karen aap hamen pratikultaa de aap anukul rahe to phir prem ka kya agar aap pratikul ho phir ham aapko pyar karen to hamari bhakti jordar ki ho gayi nahi ho gayi agar ham yah sochkar bhakti karen ki ishwar hamare anukul hi chale bahut kamzor bhakti rahegi aur jab yah soch ke chalenge ki aap hamen dand bhi denge pratikultaa bhi karen pyar ka matlab samjhte ho ham jaise aapko pyar karte hain aur aap sabha mein khade hokar dusre ko pyar kar rahe hain aadar de rahe hain hamara tiraskaar kar rahe hain phir bhi hamare hriday mein aapke prati pyar bhav bana rahe use pyar kahte yah pyar kaun karta hai upasak ke siva thodi koi kar sakta hai bhagwan ne
baman rup dharan karke bali se teen pag prithvi mangi guru ji ne unke mana kiya ki yah koi baman aur nahi bhagwan shri hari hai yah apna pair itna badha lenge ki tum teen pag de hi nahi paoge unhone guru ki agyaa nahi mani kya bhagwan jab mangne aae hain yah apne sankalp se bhi sakte the y apne parsado ko bhejkar hamen marwa bhi sakte the jab mangne aae hain to Gurudev aapki baat nahi manenge bhagwan ke liye to Gurudev hote hain aap bhagwan se mana kar rahe ho ki inko mat do ab ham aapki baat nahi manenge dekhte jana ham aapko prem ki baat kahe Gurudev ne saap de diya ja aishwarya bhrasht ho ja shri hin ho ja lakshmi hin ho ja koi fark nahi para bhali teen pag prithvi ka dan kiya guru se bhi ek tarah se avagya karke bhagwan ko teen ja hi bhagwan ko teen pak prithvi dan kiya to bhagwan ne itna vishal rup dharan kiya pehle hi kadam mein brahmlok tak niche dusre kadam mein rasatal talat patal matlab ko do kadam mein pure brahmand ko nap liya ab bali se kaha bol bada dani banta tha aur adesh
kiya Garun se ki bandh de ise Varun paas mein Varun paas pratiphal mrityu ka kasht deta hai bandh diya aur bole bol ab bada dani banta tha Gurudev ne mana kiya to bhi nahi mana ab tisra pag pura kahan karega to bali ji ko gussa aa jani chahiye ki nahi aa jani chahiye pehle to ban ke aae itne bade aur nap liya itne bade ban ke aur sab de diya ab hamen dant rahe ho lekin aisa kuch nahi kaha na katu vachan kahe na halke vachan kahe hath jod ker kaha prabhu naraz mat hoiye maine jhooth nahi bola maine teen pag prithvi ka dan karne ko kaha to nath do pag mein sampatti nap li tisre pag mein sampatti van ko nap lijiye hamare mastak par charan rakhiye prabhu aap to karunamay hai aap usi rup mein aie baman rup mein aur tisra pag hamen nap lijiye bhagwan band gaye aur bali ne kaha bhagwan hamara pranam sweekar karo bhagwan ajit kahlae bali ne jit liya ajit bhagwan ko dainya aur prem se se aaj bhi bhagwan baman ke rup mein rasatal mein dwarpaal bane khade hain jahan bali ka nivas hai dwarpaal bane bhagwan aaj bhi khade hain
to prem to wahi hai ki jab sarvasv kar le phir hamen pratikultaa mile phir bhi hamare bhav na bigde tab to prem hai nahi to phir prem ka matlab kya rah gaya prem bahut badi vastu hai to pati prem pati pratikul vihaar kar raha hai har kshan kasht de raha hai par ham uske prati bhagwat bhav rakh rahe hain to wo pativrata ek din pati ko adhin karke sab sukho ko prapt kar le ji iske viparit isi ka kar shadeeshuda jeevan mein ek purush ka param kartavya kya hai apni ardhangini ko pran manna jaise ham prannon ke poshan ke liye har bachav rakhte hain aur prannon ke poshan ke liye jo ichchha hui tatkaal uski purti karte hain aise ardhangini ko apni pati ko apna pran manna bina uski salah ke koi dharm karya bhi na karna dharm karya karna hai to usse salah lekar agar wo thoda ruksha swabhav ki hai kadvi swabhav ki hai pratikultaa deti hai to hamen sahan kar jana keval ek baat na ho par purush se raman karne ki lalsa na rakhti ho to har vihaar uska hamen sahan kar lena chahiye aur usko bhagwan ke
marg mein pyar se dular se chalana chahiye jaise patni ke liye kaha aise pati ke liye pati ki pran hai patni ardhangini ka matlab kya hota hai hamari pran hai aur uske liye pran pati hai donon jab aise priyata se chalte hain tab dharm ka nirvah ho jaata hai aur bhagwat prapti ke yogya ban jaate hain aur maharaj ji ek pati-patni ko apne bachchon ke prati kya kartavyon ka mukhya palan karna chahiye pati-patni ko bachchon ke prati aisa kartavya palan karna chahiye ki bhagwan ne hamko yah bahut badi seva di hai jaise hamare mata-pita ne hamko svasth kiya padha likha karke aur yah hamko sat marg diya aise jab tak ham apne bachchon ko padha likha kar pusht karke aur unki yogyta ke anusaar unka byah aadi karke unko apne vyapar nokri aad mein sarsabja na dekh le tab tak hamare liye aur koi dharm karm tirth yatra nahi hai ham naam jap karte hue itna rupya kamae padhaey likhae apne bachchon ko aur jaise hamen hamare mata-pita ne samriddh bana diya aise ham bachchon ko samriddh bana ke phir bairagya lekar
ke tirth tan kare aur bhajan kare to use koi dosh nahi lagta kumar ji jab bachchhe samriddh ho jae unka apne mata-pita ke prati kya bachchon ka sabse bada kartavya hai ki unke liye aur koi bhagwan nahi hai jin mata ne jab hamen na nahi tha ki ham soch lo shanka unke bistar mein unki god mein hi kar rahe hain us samay wah geele ki taraf let jati aur hamen sukhe ki taraf sulati apne sharir ka rakt dudh rup mein parinit karke hamko pilaya aisi mata-pita jab vriddhavastha ko prapt ho rahe ho to jawan putr ko chahiye ki kisi mandir aadi ke bhagwan ki aradhna nahi apne ghar mein virajman mata-pita ki bhagwan ki tarah aradhna karen unki seva karen unki agyaa mein rahe roz unko pranam karen mehnat se se rupya kamkar dharm purvak mata-pita ki seva karen vastr hai bhojan hai aushadhi hai apne hath se bhi seva karen aur dhan se bhi seva karen aur man se bhi seva karen to aise mata-pita ki seva karne wale putr ko apne aap bhagwat prapti ho jati hai aur agar maharaj ji putr do ho samriddh ho jae apne phaisle
swayam lene lag jae to bhai ka bhai ke prati kya kartavya hai bhai ko chahiye agar wo bada bhai hai to chhote bhai ke prati putravdhu zyada le raha hai to ladai nahi karna chahiye chhod dena chahiye chhote bhai ko chahiye ki bade bhai ko pitr vat man kar ke jaise pita ke saath bartaav karte hain aisa bartaav karna chahiye bade bhai ko apne chhote bhai ke hisse ka ek dana bhi straa nahi lena chahiye agar chhota bade bhai ke hisse ko le raha hai to use pita ke saman apna putr man kar ke use de dena chahiye lekin bade bhai ko chhote bhai ka hissa nahi lena chahiye chhote bhai agar bade bhai ka kuch hissa lete hain to daya aur dular karke de dena chahiye tum chhote ho jao aur chhote bhai ko chahiye ki apne bade bhai ko pita ke tully mankar unka aadar karen kabhi unka apman na karen to yah bhraat prem parivaar ko sukhad aur unnatsheel bana dega ma ji ek bhrata ka apni bahan ke prati kya kartavya hona chahiye bahan ke prati bhav ye rakhe ki jab tak uska byah na ho tab tak uthte baithe chalte phirte har
samay bahan ki suraksha ki bhavna rakhe kabhi us par wo koi dosharopan nane pave yah jawan bhaion ka kartavya hota hai ki Yavan avastha hai kahin man vichlit ho sakta hai to hamara kartavya hai ki ham apni bahan ki suraksha mein rahe aur jab byah ho jae to purnta pure jeevan bhar jo jo utsav padhte hain bhai ke un utsavon mein jae aur kuch bhet kuch samgri unko samarpit karta rahe to isse bhai bahan ka sambandh bhi pusht hota rahega
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…