॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab sadhvi ji ne pucha ki kam-krodh mujhe gira dete hai, main kya karu ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radhe Radhe maharaj ji aapke pavan charan kamlo mein dasi ka koti koti pranam maharaj ji atma gyan ki prapti kaise hogi kyonki man abhi bhi kam krodh eersha dves rupi vikaro mein fas jaata hai yah vikar bahut havi ho jaate dekho sadhak ho isliye ham tumhen bata rahe se pakdna jab ham bhajan karte hain to bagal mein ek reel chalti rahti hai man ki ya to bhut ka chintan hoga ya bhavishya ki kalpna hogi ya vartman ka vyarth chintan hoga ek reel apne aap chalti hai wah man ki hai jab tak wah nirmal nahi hoga tab tak va phenkata rahega jo usmen bhara hua hai jab ham guru mantr japte hain ya bhagwat dhyan karte hain ya brahm vichar karte hain to side mein va apne vichar phenkata rahta hai man ab hamen un vicharon par dhyan na dekar na rag karna hai na dves aur nirantar guru prdat mantr aur naam ka jap karen to dhire-dhire jo man ki vrittiya hai kam krodh aadi ki ye shant ho jaengi ek matra bhagwad akar vritti rah jaegi wo rile khatm ho gayi ab jo aap chala rahe ho wahi mantr keval chal raha hai wahi naam chal

raha hai ab yah 50 varsh bhi lag sakte hain ismen aur yah pach mahine mein bhi ho sakta hai ab sadhak ki yogyta hai ki kis koti se wah tanmayata dharan karta hai chintan mein iske liye hamen kisi ke ashirwad ki zaroorat nahi hai iske liye hamko praytn ki zaroorat hai jo hamen naam mila hai jo hamen upasna mili hai jo mantr mila hai usmen ham tanmay ho aur bahut jaldi man ko ham delete karen nirmal karne ke liye jo uski asad vrittiya hai wo jab sad vrittiya ham jo jap rahe hain ye usmen bhar ra hain aur asad vrittiya nikal rahi aisa chintan karo na rag karo na dves karo udasin raho to vrittiya nasht ho jaengi aur jahan vrittiya sab nasht hui asat bhagwata ka phir kahne ki zaroorat thodi padegi phir to aisa amritam anand hai ki brahmadev tay narayan braj chandra ki lagan lagi hai jay wo phir phir sansaar ke bhogon ki taraf nahi swatma ramm vishay mrig trishna bhram yati atmaram purush kabhi vishay mrig trishna mein bhramit nahi hota to abhi kya hai hamara deh bhav nasht nahi hua jaise kitna bhi sadhan karo

aapko yahi rahega main stri hoon jab tak y stri bhav hai to isi aham mein kam krodh aadi ka aakraman rahta hai rahte nahi hai ama pain ani tas bharat bhagwan kah rahe hain matra sparsha stu kaute sheetoshan sukh dukhda agam payno ani tyaas ye ane jane wale nashvan hai kam sthai vriti nahi hai dekhna thodi der rahega phir chal agar aap chintan ke dwara usko barabar sanyog dete rahe to bhi sthai ho sakta hai lambe samay ke liye ho sakta hai ismen savdhani yah hai ki kusang na hone pave aur koi bhi aisi gandi baten chintan mein na lave swabhavic jo chintan ho raha hai hai usmen hamen koi pareshani nahi honi chahiye hamen naam jap ya mantr jap ke dwara usko nasht kar dena chahiye aur jahan hriday nirmal hua phir age ka to marg apne aap bhagwan hriday mein hi prakashit ho jaate hain lekin bahut lambi ladai hai ye koi sal chha mahina ki nahi hai isiliye jagat santo ko namaskaar karta hai kyonki pure jeevan yuddh hi yuddh hai pure jeevan sadhna hi sadhna hai agar 10 minute manoranjan kar liye to 50 varsh ki sadhna

ko mitti mein mila sakta hai 10 minute ka manoranjan isliye pure jeevan kapta hua bhayabhit hota hua bhagwan ki sharan ki taraf bhagta rahe jab antim swas hai tab ham nihal ho gaye ya phir jeevan mukt ho jae brahm bodh ho jae to phir koi baat nahi isliye sadhna mein tatpar raho daro mat yah kam krodh aadi ki vrittiya tumhare hi nahi sabke hriday mein utpann hoti hai inko sadhna ke dwara ksheen kiya jaata hai purntya nasht nahi hoti purn ya to brahm bodh hone par ya bhagwat sakshatkar hone par purntya na samjh le koi yah ksheen hoti hai spit i chali gayi chingari hai par usko jwala banne mein der nahi lagegi agar usko masala mil gaya sanyog mil gaya to jwala ban jaegi isliye sadhak ko chahiye jeevan bhar jab tak sharir mein pran hai ham shastr virudh aacharan ka sanyog na hone den shastr virudh na aacharan karen nahi to phir nasht ho jae koi kitna bhi bada vivek van yadi kusang karega shastr agyaa ka ullanghhan karega mano jaise stri purush ka ekant mein milna nishedh hai sadhna mein ki

aapka purush sharir to kabhi bhi chahe jitna pavitra sambandh ho kisi stri se ekant mein na mile agar milenge to chahe jitne bade gyani aap ho aapko bhrasht hona padega agar brahm bodh ho gaya hai sarvam lamdam brahm to ab nanav hi nahi hai to kam kahan se utpann hoga jo kam ka mul deha abhiman wahi nasht ho gaya hai par brahm bodh koi karodon sadhako mein ek hoga lakho mein nahi karodon lakho mein gyan ho jaega adhyatma ka lekin brahm bodh hona atma bodh atmanubhuti yah to paroksha gyan bahut bahut vani ke dwara gyan ka updesh kar dena alag lekin hriday mein jab chot lagti kam krodh ki phir usse jo vyathit na ho sacha gyani wahi hai yam heena tete pursham purush sab dukha sukha dheer matwa kalp jo man ki vyatha ko sah jae ma ji main ek sacha sant banna chahti hoon ek sache santat ki kya pehchan hai jo sansaar ka chintan chhod kar ke sansaar ka sang chhodkar ekmatra bhagwan ke chintan mein wahi sant hai jiska akhand bhagwat chintan hota hai wahi sant hai jis dekho teen rekhaen rakhi gayi

hain sant ke liye kanchan kamini aur kirti kanchan ka matlab matlab rupya mein priti hona kamini ka matlab kam bhav mein priti hona chahe wo stri sharir ho chahe purush sharir ho aur deh bhav ki param pusht ka swaroop hai iska man pratishtha yas kirti in tino ko jo mita de wahi sant hai jo kam vijay hai jismen kinchna matra dhan ke liye lobh vriti nahi matwa buddhi nahi hai jaise divin mein para hua kuda aise hi rupya samlo staa sm kanchna patthar ka tukda mati ka tukda sone ka tukda uske

liye barabar hai jo man apman sukh dukh labh hani ninda stuti mein saman bhav rakhta hai jo nirantar bhagwat chintan paraayan hai jo sahnseel hai jo sabke prati karuna bhav karta hai jo kisi ki apeksha nahi rakhta jo nirwair hai ek bhi shatru jiska vishv mein nahi hai voh bhagwat kripa patr sant hai santo ke to din bhar gun gav to bhi pura nahi hoga bhagwan ke chintan mein har minute vyatit ho yahi santo ka sahaj sahaj swabhav jaise ham logon ka sahaj swabhav vishay chintan aise santo ka sahaj swabhav hai bhagwat chintan nirantar tail dhara vat bhagwan ka chintan aur paap aacharan bilkul na rah jae pratikul sya varjan jo shastr pratikul guru pratikul bhagwat pratikul hai unka visarjan kathor niyam palan karte hue unka tyag kar de samne bhog upasthit hai lekin mujhe nahi bhogna ab is vesh mein stri sharir hai bahut bacha ke rahna aisi jagah raho jahan adhik sakhiyon ka sanidhy mil jae kahin aisa sanidhy aur nirantar bhajan paran karke jeevan kaat lo to bahut badi baat hai aur ichchhae jagrit hoti rahi unko puri karte rahe to bhagwat

prapti kabhi hogi nahi kyonki ichchha tyagi hi bhagwat prapti hota hai bhagwat prapti ka swaroop kya hai asha hi param dukham nairashya param sukham jo nairashya ko prapt ho jae jagat mein koi asha nahi ra asha ek Ram ji se duji asha chhod de nata ek Ram ji se duja nata tod de to bhagwat prapti sahaj ho jaegi

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…