॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #858 · 24 march 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Vikram pande ji mirjapur se shri Harivansh maharaj ji Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aapka satsang sunta hoon aur kripa ka anubhav hai maharaj ji. Maharaj ji mera prashn yah hai ki aapse sari duvidhaon aur samasyaon ka samadhan prapt hone ke baad bhi maharaj ji aapki baten jeevan mein utarne mein asmarth ho raha hoon. Maharaj ji iske liye asmarthta isiliye ki bhajan nahi hai. Agar bhajan rupi adhyatma bal ho to samarth ho jaoge. Kaun si kathin baat hai aap hamen batao kya kathin baat hai?

raj ji main jab pichle bar aaya tha to ab nasani nasiyon ka sankalp aapse kaha tha tut jaata hai to aapne kaha tha ki bada vriksh hota hai na jab wo andhi mein ukhad jaata hai to mahino hara bhara dikhayee deta hai lekin uski jad nahi hoti samjh rahe ho na waise anek janmon se hamare sanskar galat ho chuke hain ab ham sharanagat hai mane unki jad ukhad gayi hai par harebhre kai mahino tak dikhayee denge to yah ho sakta hai ki kai kai varsho tak aapki shithil sadhna hone ke karan aapko vishay akarshan karke bhrasht kar de.

lekin vishwas karo aap sharanagat ho. Aap bhagwan ke jan ho ek din vijay prapt karoge. Yah dridh vishwas rakho aur naam jap karte raho aur jitna bach sakte ho bachte raho. Jab na bachne ki baat ave to aise ho jao bhagwan se. Aap mujhe bacha lo. Hamari baat mano. Aisa karna. Jahan kahin galat ho raha ho tumhare jeevan mein aur tum apne ko na rok pa rahe ho wahan se hath utha do. He bhagwan aap dekhna ab aap sambhal lena meri samarth nahi hai. Mujhe aapki maya prachnd hai. Ghaseetti ja rahi hai. Main galat ja raha hoon. Prabhu main jaan raha hoon ki main galat hoon.

lekin main nahi ruk pa raha hoon. Prabhu ham par kru jarur bal denge. Wo koi aisa rasta bana denge ki aap nikal jaoge. Samjh rahe ho na? Lekin aap janbujhkar ke giroge to phir nahi phir to pare hi rahoge wahi janbujh ke agar jahr khaoge to mar hi jaoge agar koi dhoke se jahr khavaega to bhagwan bchane ka chans hai Meera ji ko jahr pilaya to bach gaye na lekin janbujh ke jahr khaoge to mar hi jaoge phir ye jahr se bhi vishaila hai vishay bahut janmon se bhogte aa rahe hain to jahan ab lagta hai ki ham galat kam nahi karenge avsar mila to phir galat kar baithe to phir paramarth se nirasha aa jati hai.

sabse zyada ghate ki baat yah hoti hai ki hamse galti ho gayi to wah galti kya karegi? Idhar ka unnati mar degi. Man hi nahi lagega. Bhajan mein, satsang mein, sadhu mahatmaon ki baton mein man hi kharab ho jaega. Phir hamara jeevan barbad ho jaega. Galti ho jana utna bhayanak nahi jitna galti ka parinaam bhayanak hai. Wo hamare andar utsah hi khatm kar deta hai. Bhajan ka yar kya itne mainej kar rahe hain, bhrasht ho gaye. Ab kya hoga? Yah kar deta hai. Wah adhyatma se hin bana deta hai. To hamen lagta hai bachne ki koshish karo.

manushya jeevan bada durlabh hai. Isi janm mein bhagwat prapti ho jae. Jahan girne ko hamari ek ek baat pakar lo. Jahan girne ke chans ho aap sambhal na sakte ho wahan aise ho jana. Andar se bhagwan wo turant sambhal lenge. Giroge to unki god mein giroge. Jan avgun prabhu man na kaun din bandhu ati mridul swabhav bahut din bandhu karunamay bhagwan hai apne jan ke aparadh ginte hi nahi hai prabhu ji ghar mein bhagwan ji shiv ji ka mandir hai lekin jab se aapko sunne lage hain tab se shyama Shyam aur aapko virajman kiye hain shankar ji ki kripa se hi shyama Shyam ke charnon mein priti prapt hoti hai.

aap to mandir mein baat kar rahe ho. Ham to kashi mein rahte the. Shankar ji ke hi purn anannya purn anannya pure virakta keval shankar ji aur kuch hai hi nahi to hamen shyama Shyam ke marg mein bhej diya to unki kripa se hi shyama Shyam ki prapti hoti hai. Maharaj ji subah jaise uthte hain 3:00 baje 4:00 baje jab bhi to samjh nahi pate pehle kiski puja karte pehle shankar ji ki puja kar jagatguru hai vaishnavacharya hain. Unhin ki kripa se shyama Shyam ki prapti hogi. Theek hai? Rajesh saini ji shri Radha klab maharaj ji vairagya hue bina bhi param pad ki prapti ho sakti hai.

haan ho sakti hai. Yadi ham ghar grahasti ke bhogon ko dharm purvak bhoge to jaise bhookh lagi hai to dharm purvak kamae hue ann se pet bhare. Kam sata raha hai. Dharm purvak pani grahan ki hui patni se sahwas karen. Hamen moh sata raha hai. Apne bachchon se bhagvatik bhav se prem karen. Dharm ke antargat kiya hua bhog moksh ki padvi pradan karne ki yogyta pradan kar deta hai. Aur adharm se kiya hua bhog narak ki gati pradan karta hai. Dharm purvak kam bhagwan ka swaroop hai. Adharm purvak kam narak ka swaroop hai.

kam krodha tatha lobha tasma detram taje triwidh narkasdam dwaram narak ke teen dwaar kam krodh lobh aur wahi agar dharm purvak kiya jae to bhagwan ki prapti karane wala ban jaata hai. To aap adharm ka tyag karke bhagwan ka naam jap karte hue ghar grahasti mein rahte hue yadi bhajan karo to bhagwan ki prapti ho jaegi. Kyon? Bhagwan ki prapti karne ke liye jo hamen chahiye wah hai dharm. Wah hai bhagwan ka bhajan. Agar virakta hokar dharm se na chale aur bhagwan ka bhajan na kare to kya virakta ko bhagwan ki prapti ho jaegi?

kya nahi agar ye prapanch mein phas gaya guru chela rupya kamana ye wo to har shishya dhan sok na har so guru ghor narak ma par usko narak jana padega. Bhajan se bhagwan ki prapti hoti hai. Grihasth virakta se koi matlab nahi. Manmani aacharan kare, paap aacharan kare, bhajan na kare to narak jaega ki nahi jaega? Accha ruko Baba ji ban ke yahan galat kam kare to kanun band karega ki nahi karega? Yahan ka kanun usko utha ke band kar dega ki nahi kar dega? Jab yahan ka kanun nahi bakhshe to agar ham sant bankar ke galat aacharan karenge, gandi baat karenge to hamen narak milega.

aur grihasth bankar ke yadi ham achhche aacharan karenge to bhagwan milenge. To achhche aacharan aur bhajan donon ko karna hai. Chahe Baba ji ho, chahe grihasth ho. Agar achhche aacharan aur bhajan hai to bhagwan ki prapti hai. Chahe grihasth ho, chahe virakta ho. Aacharan bhrasht hai. Bhagwan ka bhajan nahi to koi bhi ho phir to durgati hai hi. Yahan bhi durgati wahan bhi durgati. Ji dhiraj kumar Sharma ji Rajasthan se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji bhagwat kathaon aadi mein nishulka bhajan gayan ki seva deta hoon.

shri ji ki kripa se unko rijhata hoon. Maharaj ji mera prashn hai ki is ghor kalyug mein jahan vybhchar aadi faila hua hai. Aisi sthiti mein dekhkar vivah se dar sa lagne lag gaya hai ki jo bhi vivah karke aae aayegi wo kahin mere bhagwat marg mein badha na ban jae. Hai to bahut bhayava ki parivaar ki sadasya aajkal jo hai ki patni ka matlab hai jo sadhvi susheel sajjan apne pati ko bhagwan manne wali to byah hai to khtre ka mol lena aajkal kyonki boy friend girlfriend ye sab jo chal raha hai na ye bahut vishaila chal raha hai kyonki man lo jaise do char ladkon se jo mili hui hai wo ek pati ko bhagwan mankar kaise pooch sakti hai badi samasya hai par aisa nahi hai jaise durachariyon ke beech mein sadachari bhi rahte hain.

aise sadacharni bhi hain. Ek se ek bahut pavitra ladkiyaan hain jo apne jeevan ko pavitra rakhen. Par hai bahut kathin. Pavitra milna bahut kathin. Kyonki apne log pavitra aacharan vihin ho rahe hain. To apne ko pavitra ki asha kaise ho sakti hai? Ghar wale bhi zabardasti karte hain ki karo. Ye iklauta matlab vansh badao. Aap ghar mein to santan utpann karke vansh utpann karna bhagwan se manao jaise kardam ji ne 10,000 varsh tak tapasya ki bhagwan se kaha mujhe patni chahiye to devbhuti jaisi patni mili to 10,000 na sahi to sal bhar sahi sal bhar kuch ann kam pao shankar ji ki upasna karo maharaj hamen patni de do bhagwan shankar ki aradhna karo ki hamen devi ji ki aradhna karo to koi ho ki susheel sajjan mil jae hoti bahut kam hai bahut kam par bhagwan ne kahin na kahin agar byah hai tumhare bhagya mein to likha hi hoga

kahin na kahin tayyar ho rahi hogi wo bhi aapke pani grahan ke liye aisa ho shri ji ki ichchha samjh ke hi bas chalta rahe ki bas ab jaisi unki ichchha haan bilkul bilkul bakayda aapka jo prashn hai bahut gambhir prashn hai ki aaj susheel bachchon ko susheel bachchi milna ya susheel bachchiyon ko susheel bachchhe milna bahut durlabh baat ho gayi kyonki skulon mein naye-naye bachchhe jo thoda achhche wo bhi matlab bhrasht marg mein ja rahe hain jaise nasha karna girlfriend boyfriend bankar vybhchar karna ye sab bahut gandi baten ho rahi hain hamare desh mein pehle hamare samay mein to tha hi nahi girlfriend boyfriend tha hi nahi system hi nahi tha gandi bhawnaen nahi thi ab ye jab se mobile chala na tab se gandi bhavna ka bachchon mein srijan ho gaya.

gandi gandi baten ab to liv in relation bhi chal gaya hai. Wo to aur bhi bura hai maharaj. Bilkul bilkul nahi ye hamari bharatiya paddhti nahi. Ye kalyug ka antim charan hai. Abhi to pratham charan hai. 432000 varsh ka hai jismen abhi 5000 ke upar hua hai. Abhi to 32 pure nahi hue. Are bha bhrashtachara sab sansara dharm sun nahi kanha kalikaal bihal ke manuja nahi mane ko anuja tanuja aisa matlab samay kalikaal ka aayega kahan se kaun se kya kya charit hain wah kaise matlab uski vyakhya kaise karen hamare desh mein to is baat ka praman hai ki ek bar jisse hath mila liya aajeevan usse nirvah kiya kabhi dusri ki taraf aankh utha ke nahi dekha ye bharat hai ye bharat hai yah videsh nahi hai ki aaj uske saath kal uske ke saath aisa nahi hai.

bahut gandi baten videsh se ai hain. Aur dekho sukh bhi isi mein hai. Apni patni hai. Apna pati hai aur aajeevan ek ke saath to sukh bhi. Ab pati ko vishwas nahi. Patni ke upar patni ko vishwas nahi. Pati ke upar ek ghar mein rah rahe hain. Aviswas se kaisa jeevan? To aaj ka samay bahut vichitra hai. Bahut vichitra hai. Bhagwan bachave. Kisi ko charitrvaan pati mil jae ya charitrvaan patni mil jae to badi kripa samjho bhagwan ke. Nahi to aajkal dekho sab charit vihin ho rahe hain. Naye-naye bachchhe vishesh to vybhchar pravriti to malin pravriti hai.

ismen kaise kaha ja sakta hai ki hamari santan hai. Varan sankarta fail rahi. Pitro ko shradh tarpsn aadi nahi milenge. Sab tarah se adharm ki vridhi ho rahi hai. Hamen lagta hai sudhar karo. Bhai jo sun rahe ho apne charit ko pavitra rakho. Apne jeevan ko mahan banao. Ye sab gandi baton se koi mahan nahi banta hai. Ramesh kumar Varma ji Jaipur se. Shri Harivansh maharaj ji Gurudev bhagwan aapke ab tak ke jeevan kal ki kathor tapasya ke smaran matra se hi hamari rooh ka kam jati hai jab sunte hain aapke parikar ki yuvavastha se is path par agradsar hain jabki hamari to kisi ek ansh ke barabri bhi koi sadhna nahi hai maharaj ji aise mein ham kaise aise mein agradsar ho sakte hain bhajan marg par injun mein power hota hai dibbe mein power nahi hota dibbe mein connection hota injun se injun mein do char log hi baith sakte hain.

dibbe mein saikadon log baith sakte hain. Ham log hain dibba injun hai acharya aur guru connection hai bahut jor ka tum ho yatri chupchap dibbe mein baithe raho. Kahe pareshaan hote hain? Aisa lagta hai nahi. To ham kah rahe hain ki injun banne ki koshish kyon karte ho? Dibba mein baith jao chupchap train wahi pahunchegi jahan injun jaega nahi pahunchegi to jeev bhagwan ka nitya ansh hai wo apne aap ko bhul gaya hai sant sadguru dev use jagrit kar dete hain. Wo unke vakya par baithkar ke paramatma swaroop ka darshan karta hai.

dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh mulam guru kripa jo ham kisi mahapurush ki sadhna dekhte hain. Wah aapke liye hui hai. Wah aapke kalyan ke liye hui hai. Jo sab tarah se asmarth hain unko bhagwan samarth banane wale hain aur samarth bankar asmarthon ka palan poshan karate hain. Hamko to aise rahna hai. Hamen thodi dekhna hai ki injun kahan se chala hai. Wahan jakar baithna hai. Nahi Mathura station aa gaya hai. Ham yahi se baith lete hain. Apne lakshya ko prapt hote hain.

to hamare samne jo mahapurush hai, sant jan hai ham unka sanidhy lete hain aur unke vachnamrit ka pan karte hue unki agyaa ke anusaar chalte hain to lakshya ki prapti ho jaegi. Zaruri thodi wo jitna tap kiya hamko utna tap karna padega. Nahi ham to unki kripa se par ho jaenge. Bas naam jap karte raho. Galat acharno ka tyag karo aur bhagwan ki leela katha amrit ka pan karte raho. Har karm bhagwan ko arpit kar do. Bhagwat prapt ho jaoge. Bilkul saral upay hai. Nahi pradip ji maharashtra se Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam prabhu ji kuch dino se bhagwan ki kripa se sadhu jeevan ji raha hoon.

ham sabhi ke kalyan hetu bhutkal mein sadhu hue hain. Bhavishya mein bhi sadhu honge aur aaj bhi sadhu hain. Prabhu yachna karte hue pooch raha hoon ki ki maharaj ji hamare liye aap margdarshan karen. Karneey aur akarneey sutro ko samjhane ka. Hamari sabse pahli baat hai ki aap bhagwat prapti karo. Jagat bhagwat swaroop hai. Ise bhagwat prapti nahi karna. Hamari drishti mein matta parat nyatat kinchit asti Dhananjay mere siva kinchin matra kuch nahi hai. Wo sab bhagwan purn paramatma hai. Sab rupon mein baitha hua hai. Yah hamari drishti hai.

ab hamko apni drishti inme paramatma bhav mein lane ke liye. Kisi mata bahan ki taraf hamari bhog drishti na ho. Sabse pehle sadhu ke liye hai kamini. Agar sataarg mein chalna hai to bandh langota bacha ke indri kabhi na dekha parare jo kachhwachh man nishchal rakhe dhan dhan janani teri re narsi mehta ji kahte hain parai mata bahno ki taraf kabhi bhi hamari kam drishti nahi ho agar kam drishti ho bhi jae to kriya kabhi nahi honi chahiye sadhu vesh mein sabse zyada parhej isi baat ka sabse pahla parhej ki hamen pure aajeevan yah niyam rakhna hai ki parai mata bahno ki taraf hamari gandi drishti na ho.

kabhi agar drishti bhi gandi ho jae. Man lo chuk hai. Bade janmon se ham usi mein lage hue hain to kriya nahi honi chahiye. Kam kriya ye nahi honi chahiye. Dusri baat hamari vani satya ka hi pravachan karen. Satya hi bole. Bhagwan naam satya hai. Bhagwan ki leela charcha katha satya hai. Iske alawa maun rahe. Tisri baat hamari shravan indri bhagwan ki charcha hi sune. Vishay charcha nahi. Na vishay charcha karni hai na vishay charcha sunni hai aur na vishay drishya dekhne hain. Mobile rakhte ho aap? Tach wala rakhte hain.

haan, bahut savdhaan rahne ki zaroorat hai kyonki tach mobile ham ekant mein baithe hain, padhe hain. Man bhajan mein nahi lag raha to man phir dekhne ko kahega. To aajkal kya hai ki serial vishay purushan dwara banae gaye hain. Jo ghor sansari vishay purush hain. Ab wah to mano akarshak ke liye apna ang pradarshn bhi karte hain. Kriya pradarshn bhi karte hain. Koi bhi aisa serial nahi hai jismen ang pradarshn na ho aur kriya pradarshn na ho. Jisse mano vrittiya sabki khinche. To virakto ke liye bada khtrnak khel hai.

isliye sadhu ko chahiye abhi kuch hi varsh se chala hai. Hamen lagta hai 25 30 varsh se chala hoga mobile. Iske pehle to hamne nahi dekha. Ji sal 2003 ke baad aae. Haan kyonki pehle ke sadhu mahatma bina mobile ke pehle kam kya nahi chalta tha. Man lo grihasth ka to ham man sakte hain ki chalo unke bahut se vyapar hain, bahut se karya hain. Apne logon ko ek labh mil sakta hai satsang ka. Bhai itna agar hamko ho to satsang ke liye yantr rakh lena chahiye. Bakaya hamen lagta hai mobile se bachna chahiye sadhu mahatmaon ko, santo ko, sadhako ko.

nahi to yah bahut khtrnak khel hai. Manushya hai. Sabke hriday hai. Sab koi ann pata hai. To kam, krodh, lobh to ate hi hai na. Ab us samay jab kam vedna jagrit hui aur mobile bagal mein rakha hai. To padhe likhe log hain. Search kar liye aur bhrasht ho gaye. Gandi baten dekhkar, gande chitra dekhkar, ganda drishya dekhkar hamare andar gandagi badhegi. Isliye ham khuli baat kahte hain. Itni samarth ho ki keval satsang sunenge. Iske alawa switch off rakenge. To mobile rakho anytha isko kudeda dane mein phenk do. To yah baat dekhna hai hamko ki mobile kahin hamen galat charitra mein na fansa de.

galat marg mein na le jae. To netron se galat dekhna, kano se galat sunna, vani se galat bolna yah band kar den. Agar hamara paramarth marg bhagwan ki kripa se hamen mila hai to wah pusht hona chahiye aur wah pusht hota hai nirantar bhajan karne se har samay jo guru ji ne aapko naam diya ho mantr diya ho uska nirantar jap karo jo naam diya nirantar jap karo kisi se zyada milo mat bhojan ke liye bhiksha vritti apna lo ya kisi ashram se jakar ke le lo jaisa bhi vyvastha bane zyada prapanch nai avastha avastha mein nahi karna chahiye.

aapki kitni avastha hai is samay? 33 is samay to ham keval ganga kinare rahte the. Kabhi kisi nagar mein pravesh nahi hue. Jawani mein kabhi kisi nagar mein pravesh nahi hue. To is avastha mein tap mein jeevan vyatit hona chahiye. Kasht mein jeevan vyatit hona chahiye. Tabhi virya pachta hai. Brahmcharya ka jo virya shakti hai wo tabhi pachti hai jab bhookh, pyas, garmi, sardi, man, apman sab sahte hue chintan keval bhagwan ka idhar-udhar bhatakne na pave. Tab hamara jeevan bhagwat prapt ho jaega. Kam bolna, kam sunna, kam dekhna, kam sona aur kam ahar karna.

ye panch par control karo. Stri se duri bana ke rakho. Stri sharir se agar brahmcharya rahna hai. Natak karna hai maya ka to baat alag hai. Aur rupya paisa jitni avshyakta ho bina mange aa jae. Jitne kam mein prayog kyonki aajkal aisa hai ki kahin jana hai kahin bhramn karna hai to man lo savariyon ka sadhan ka itna shariron mein dum nahi rah gaya ki savariyon ka savariyon ka prayog nahi kiya jeevan bhar ganga kinare chale ganga hi rod raha hai hamara koi sawari ki zaroorat hi nahi rahi jab ratri ho jati thi to ganv ke kinare koi devalay ya mandir ya school usmen pare rah ke kyonki ganga kinare jaise aise hi padho to mansahari kutte hain jo lash cheekhat cheet ke pate hain to pata nahi wo

jinda ya murda kab kha jae kya pata to isliye ratri ke liye thoda sthan chayan karte the shankar ji ka mandir hai ya koi jaise vidyalay hai to usmen ratri mein shayan kar gaye koi kuch de diya to kha liya nahi to phir jahan subah 4:00 baje ganga kinare phir aa gaye kisi se koi matlab nahi din mein kabhi sote the ganga kinare wahi jaise raat bhar sardi mein kampte rahe koi kambal rakhte nahi the ab dhoop lagi usmen behosh ho gaye to usi ko tum sona man lijiye nahi jaan ke thodi sona to tab hoga jab bharpet bhojan mile kabhi ek roti mil gayi kabhi do paretha mil gaye wo jo ate the na ganga kinare bari lagane wale log kharbuja tarbuj to wo log jab prasad jaise pa rahe hain aur udhar se to drishya to loge Baba to de do to sab to dete nahi the man lo char paretha hai to do hamen de diye do le do hi se kam chal gaya agar do paretha hue to prannon ka poshan ho gaya ek do din ke liye chal jaega ka kam bhagwan waise dete rahte hain.

kahin kabhi na kabhi kuch na itna gun bhi mil jaata tha to bada dhanyavaad bhagwan ka dete the ki bhagwan bade kripal bharpet bhojan to yada kada ek bar ek sanyasi ki kutia mein gaye jhopdi mein rahte the to wo ganga kinare ki jante hain ganga kinare ke santo ki rahni to unhone kaha kai din se bhojan nahi paya unka kaha teen char din to ho hi gaye bhojan ek aadmi ne doodh pilaya tha teen-char din pehle to unka kaha baitho ko main maang ke lata hoon kyonki wo bhi virakta the to koi tyohar hoga us din to itni puri kachori laye aur rakh diya ek bhi nahi bachi thi puri sab pa gaye the to hamen baad mein dhyan aaya ab maharaj aapke liye to bacha li bole hamen pata hai ganga kinare ke sadhu kaise hote hain ab phir pata nahi hafta 10 din mile ki na mile aisa jeevan tha usi jeevan se bhagwat anand ki anubhuti hoti hai naye sharir ko zyada grihasth ke ghar na sulae zyada grihasth se mitrata na karen.

duri bana ke rakhen. Jo mile so akash vritti se khae aur ganga yamuna ka sevan karke tirth dhamo mein ab ganv mein na ghume nahi mar dalenege. Kahenge bachchha chor hai. Nahi aajkal to ye aur ye bhi chala hai ki pehle jaise sant swatantr ghumte the. Ab ghum nahi sakte. To kanchan kamini kirti se bacho aur khub naam jap karo aur bahut sambhal karo. Bade bhagyashali ho jo sansaar se hat ke bhagwan ke marg mein chal rahe ho. Badhiya nirvikaar sharir hai. 19 sal se ghar se bahar. Haan. To ghar se matlab na rakho. Ghar walon ka phone number hai.

baat karte ho? Kabhi kabbhar ghar walon se nahi. Mata-pita ki rin hai na? Mata-pita. Sanyaas ke baad koi rin nahi rahta. Sanyaas ke baad jab ham sanyaas le lete hain to hamara sara rin bhagwan mukt karte hain. Hamara kisi se sambandh nahi hai. Jis din se ghar se nikle us din se bas hamara vasudh kutumbkam ye sab hamara parivaar hai. Yahi sab hamare nij jan hai. Hamara aur koi nij jan nahi. Sant ka vasudh kutumbkam. Pura vishv hamara parivaar hai. Parivaar ka ek kshetra. Ab man lo koi samasya parivaar mein phone kare to disturb ho jaoge.

phone se batchit karke. Yah phone bahut jahr hai. Baba ji ke liye to jahr hi hai. Hai nahi. Ab aise man lo aapke ghar mein koi ghatna ghati aapko kya pata? Masti se bhajan kar rahe ho. Ab kun kun kun kun haan bole amuk mar gaye. Accha ab jao tum nahi sharir se gaye to man se jao. Ab pareshaan ho. Bhajan chintan chhut gaya. To isliye bahut savdhaan hokar bahut kathin hai. Kalyug bhagwan aisi aisi vyvastha kare de rahe hain ki bhajan ho hi na pave. Kalyug mein bhajan hona sabse kathin hai aur jabki kalyug mein bhajan karke bahut jaldi bhagwat prapti ki ja sakti hai.

ab aisi vyvasthaye ho rahi hai ki bhajan kaise hoga? Sadhu mahatmaon ke paas badhiya badhiya bade-bade mobile hai, laiptop hai sabhi hain. Agar chuk jao to galat samay nasht hone lagega. Agar chuk jao to galat samay nasht hone lagega. Bilkul vyarth mein samay to ham sab santo se sadhako se prarthna karte hain ki mobile ka sadupyog kiya jae. Sadupyog mein aap satsang sun sakte hain. Iske alawa aap mat dekhiye. Switch off rakhiye. Bhagwan ka bhajan kijiye. Antarmukh hone ke liye jeevan mila hai. Bahar mukh hokar mobile mein hi lage rahne ke liye nahi mila hai.

deepa ji Delhi se. Jai shri Radhe. Jai shri Radhe maharaj ji. Aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji main nokri phaimili sab sambhal rahi hoon. Khud ko bahut badi bhakt to nahi kahungi lekin Krishna mere aradhya hain. Meri umr 36 varsh ki ho gayi lekin abhi tak apne jeevan ke uddeshyon ko samjh nahi pa rahi. Sab jagah ashanti aur ulajhne agar mera rasta galat hai to sahi rasta kya hai? Aur agar main sahi raste par hoon to itni uljan aur ashanti kyon hai? To kya sahi raste mein uljan nahi hoti kya?

ashanti nahi hoti kya? Jitna aap sahi raste par chalenge tyag aur vairagya aur sahenshilta utna hi badhani padti hai. Mahanta tyag ke upar tiki hui hai. Mahanta bhog mein nahi tiki hui hai. Bhogon ko shanti nahi kahte. Tyaga nirantram tyag mein hi shanti ki sthaapna hai. Hamara lakshya kya hai? Jaise adhyatmik marg mein main age chalna chahti hoon. Lekin jo lakshya mein lekin nahi hota. Lakshya mein agar magar lekin nahi lagna hota. Lakshya mein lakshya hai. Usko hamen pahunchna hai. Wahan hamen pahunchna hai.

wahan lekin shabd nahi lagta. Isiliye aap ladkhda rahe ho. Isiliye aap ashant ho. Aapka lakshya nischit nahi hai. Aap lakshya ko nischit kijiye. Aapki jeevan shakti nasht hoti chali ja rahi hai. Ayu mrityu ki taraf pahunch rahi. 36 varsh gaye. Ab 36 second hai ki nahi pata nahi. Bharosa 36 second ka bhi nahi hai ki hamara kab kahan vishram ho jae. Naam jap karo. Pati ko bhagwan ka bhav rakho. Parivaar ko bhagwan ki seva samjho. Naam jap karte raho. Jeevan ka lakshya bhagwan ki prapti banao. Parivaar sab ki seva ka phal bhagwan ki prapti honi chahiye.

aise chalo kya pareshani hai? Kis baat ki ashanti hai? Maharaj ji parivaar ko le kafi chijon aisi rahti hain. Dekho dekho sansaar mein dukh aur sukh ye saman rup se ate rahte hain. Jaise din aur raat sukh aae to phulo mat. Dukh aae to bhagwan ko bhulo mat. Cross kar jaoge. Sukh mein to harshit ho gaye to dukh mein shokit hona padega. Sabko dukh bhogna parta hai. Tum hi nahi ho. Jitne baithe sabse pooch lo. Sabka jeevan sangharshamay hai. In phauj ke javano se pocho. Maharaj ji main bhi phauj mein hi hoon to ghar se dur hi rahti hoon.

to ab ab phir aapko hamara pahla shabd tha tyag mein hi mahanta chhipi hui hai. Ham inka santo jaisa sammaan karte hain. Kyonki jahan taynaat kar de wahin jeevan ko samarpit kiye hue hain. Parivaar ka rag mita ke apne sharir ka rag mitakar chati chaudi karke dushmanon ke samne jahan bhi laga diya jae wahin taynaat hai. Va ham inka bahut aadar karte hain. Aur yah hamare liye praman hai is baat ke ki agar hamko apne parivaar ki suraksha chahiye, hamko apne rashtr ki suraksha chahiye to hamko tyag karna padega. Apne sukho ka tyag karna padega.

phir ashanti kis baat mein hai? Ashanti tab hoti hai jab ham virudh chintan karte hain. Ki kaash main apne ghar mein rahti hoti. Kaash main apne bachchon ke paas nahi virudh chintan nahi. Hamen bhagwan ne saubhagya diya rashtr seva ka. Hamara parivaar rashtr sammant karega parivaar ko. Jab koi phauj ka jawan shahid hota hai to har bharatiya ko lagta hai ki hamare parivaar ka gaya. Aap logon ko pata ho ya na pata ho har bharatiya ko lagta hai ki yar hamare parivaar ka sadasya gaya yah aur kisi na kisi bharatiya ka sadasya to hota hi hai to ham naman karte hain apne desh ke sainikon ko aur naman karte hain unko jo sangharsh karte hue apne jeevan ko dharm mein chalate hain to phir chinta sukh kis baat ki jab aap army mein hain hamare rashtr sainik hain to aapko chinta kis baat ki hai maharaj ji jaise maine bola ki Krishna mere aradhya hai kabhi aap bolte hain naam jap karne ke liye ya ek dincharya hoti hai ya is tarike ki chijon hoti hai to ham wo follow nahi kar pate.

kafi chijon aisi hoti hai. Kabhi ham kabhi ham army ke army ke janon ko agar theek se pravachan suna ho to kabhi hamne army ke janon ko koi dincharya nahi di hai. Jo mile jab mile jaisi paristhiti ho usmen Radha Radha bolo aur dat karke apne jeevan ko rashtr seva mein lagao. Koi niyam nahi. 25on 50on bharatiya sainik shishya hain. Koi unke liye niyam nahi ki aap 11 mala japo aap yah japo aap aap jahan ho bharatiya sena mein hamare rashtr suraksha mein ho. Aapki goli hi mala hai. Aap usi samay apne bahadur bhav se desh raksha ke liye date raho aur andar se naam jap karo.

jo mil jae khao sharir poshan karo. Rashtr seva mein samarpit karo jeevan. Chinta kis baat ki hai? Kis baat ki chinta hai? To maharaj ji tab lagta hai ki sab mujhse bahut age matlab itne bade-bade bhakt hain aur ham kahin kuch nahi kar pa rahe hain. Kya kar rahe hain? Ab ek taraf dekho ki bade-bade bhakton ko to rashtr bhakton ko nahi dekhti kya? Rashtr bhakton ka tyag nahi dekh rahe ho. Aap jis marg mein ho usi marg ko pusht karo. Rashtr raksha ke hetu aapne jeevan arpit kiya hai. To aap bilkul bhagwan bhi aapko dekh rahe hain aur sarkar bhi hamari aapko support kar rahi hai.

isliye aap chinta mat karo. Khub naam jap karo aur rashtr seva mein raho. Theek hai hemta ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aap kahte hain ki manushya ko apne karm kisi na kisi rup mein bhogne hi padte hain. Prabhu yadi apni santan ke dwara hi apman mile to santan ko to koi aparadh nahi banega na. Uska to naya karm ban nahi raha hai. Durgati uski to hogi hi. Agar apne mata-pita ko dand de raha hai to mata-pita apne purv karm ko bhog rahe hain aur wah naya karm kar raha hai.

apne mata-pita ko dharm virudh aacharan karke dukh de raha hai to uski durgati to hogi. Samjh pa rahe iske liye kya kar sakte hain prabhu? Bhagwan se prarthna karo ki uski buddhi shuddh ho. Naam jap karke usko dijiye. Do mala char mala naam jap kijiye aur bhagwan se prarthna karke usko dijiye. Uski buddhi shuddh ho jae to aparadh kahe ko karega? Prabhu wo khud naam jap karti hai. Shri ji ki seva bhi karti hai. Bahut achchhi hai. Aur meri bahan bhi hai to wo bhi aise hi karti thi. Aaj wo bahut dukhi hai. To isliye mujhe bahut dar lagta hai usse.

sab naam jap karen. Naam jap se buddhi shuddh ho jaegi. Shuddh buddhi se aparadh nahi hote. Hamko pakki baat pata hai. Jab tak naam jap theek se nahi karoge to buddhi apvitra rahegi. Apvitra buddhi mein dusron ka apman, dusron ki hinsa, dusron ka dukh yah bana rahta hai. Mala chalana koi khas baat nahi. Bhajan karna khas baat hai. Mala mein anguli ghum rahi hai aur jaban mein naam jap nahi chal raha, man nahi lag raha to uska koi mahatva thodi hai. Anguli chalane se thodi koi mahatva hai. To anguli chalao ya na chalao.

tumhara man bhagwan ke chintan mein lagna chahiye to parivartan hoga. Ab bahar anguli chal rahi hai. Hath ki kriya ho rahi hai. Man sansaar ka chintan kar raha hai aur jaban se aapka naam nahi chal raha to vyarth ka mala chalana. Keval mala ghumne se bhagwan ki prapti nahi hoti. Ek man ka liya Radha samne Radha naam dikhayee de raha phir dusra Radha Radha thoda bhajan bhi bahut labh dega aise karke dekho bhajan karne se buddhi shuddh hoti hai aur shuddh buddhi mein itni kshamta hoti hai ki wo dusron ko dukh de hi nahi sakta uska hriday itna komal ho jaata hai ravindra pateedar ji Radhe-Radhe Gurudev Radhe-Radhe aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji main bharat sarkar ke raksha mantralay mein ek vaigyanik pad par padastha hoon hoon maharaj ji mera ek prashn tha ki dan kise kahte hain?

dan lene aur dene yogya kaun hai? Yah kis rup mein tan dekho sahi mayne mein dan hai avshyakta ki purti karna. Jaise koi bhukha aadmi hai use bhojan ki zaroorat hai. Ab use annadan karo. Use pawa do. Koi bimar aadmi hai use aushadhi ki zaroorat hai. Koi sardi se kamp raha hai use vastr ki zaroorat hai. Jahan atyant avshyakta hai aur wah asmarth hai. Wahan ham jaise bhukhi gauen hain unki vyvastha nahi unki vyvastha kar do. Dan ka sahi tatparya hai avashyak atyant avshyakta ki purti aur dan ka patr arth ka keval vichar karne ki zaroorat hai.

bhukhe ko ann dene mein vichar karne ki zaroorat nahi. Kutta bhi bhukha ho to usko bhojan kara do. Sadhu bhukha ho usko bhojan kara do. Usmen patrata ki zaroorat nahi hai. Patrata rupya dene mein hai. Ham rupya dete hain. Sharab piega yah vybhchar karega ki ganda aacharan karega. Rupya mein thoda hosh mein dan karne ki zaroorat hai. Ann vastr aushadhi jal inko to jahan yathayogya avsar mile pawa do usmen de kyonki lekin rupya mein kumarggami pravrittiyon mein rupya kharch hoga to aapko bhi narak jana padega.

isliye usmen phir patr dekhte hain ki hamare rupaye ka yahan sadupyog hoga ki durpayog. Agar lag raha hai sangopang sadupyog hoga to phir kar dena chahiye. Jaise Kanpur ki ek budhi mai dhanadya thi to nardanand Saraswati ji ke paas naimi sarni mein gayi aur ek rupya nikala aur samne rakha aur kaha prabhu main garib aadmi hoon. Sochti hoon ki ek rupya sant seva mein lag jae to kya sant seva mein lag sakta hai? Unhone kaha haan mai bhandari ko bulaya kaha ek rupya ka namak lao puri daal mein dal do sab santo ke samne daal paroshi jaegi aur mai aaj tum bhi prasad pa lo phir usne karodon ki sampatti Swami ji ke naam kar di ki jo ek rupaye ka sadupyog kar sakta hai wo karodon ka sadupyog kar sakta hai to rupya thoda dekh samjh ke dhyan dene ki baat hai anya vastue avsar par avshyakta par hamen de deni chahiye usmen vichar karne ki zaroorat mein jab arth dene ki baat aae jaise koi maang raha hai aapse sant

veshdhari ek to sant mangega nahi jo bhagwan ka nij jan hai wo kabhi aise nahi karega ye ham tumhen pakki baat bata dete hain jo kahave mor dasa kare tuchch naran ke asha to kaho kahan raha vishwasa bhagwan ka das kahlakar maran dharma sharir dhariyon ke samne hath pasare to bhagwan ka das hai kya are bhagwan ki das dasi hai lakshmi ji aur lakshmi pati ke ham das hain ki hamen jo avshyakta hogi prabhu denge tumse kya mangne ki zaroorat hai to bhagwan ka bhakt ya koi sant ya sanyasi hai mujhe to nahi lagta jo asliyat mein satmarg mein chalta hai uska lakshya to bhagwan hai tatv gyan hai wo rupya ki ke liye na aushadhi ke liye na yatra ke liye paisa mangega nahi haan kuch santo ka aisa hai ki agar praarabdh aa jaata hai to uska sadupyog kar dete kuch sant jhanjhat mein bhi nahi padte.

lekin agar koi veshdhari aapse rupya maang raha hai ki hamen tirth yatra ke liye ya yagya karane ke liye ya iske to aap swatantr hain na kahne mein bilkul dariega nahi ki hamara kuch ahit ho sakta hai. Kuch nahi ahit ho sakta. Hamari shraddha nahi ham nahi denge. Bilkul saaf rahna chahiye is samay. Maharaj pani pina ho pani pi lo. Bhojan karna ho bhojan pa lo. Iske age hamari shraddha nahi hai. Agar aapki shraddha dikhayee de rahi ki vastvik yagya hone ja rahi hai. Aapko pata hai unka prichay to jo bane tan man dhan sahyog kar dena chahiye.

matlab usmen janbujh karke hi diya ja sakta hai. Anjane mein dhan nahi diya ja sakta ki hamare dhan ka durpayog hoga to phir usmen sadgati bigad jaegi. Shraap on ke paas bhajan bal nahi hota. Aison ke paas bhajan bal nahi hota jo paisa mangte ghumte hain aur jinke paas bhajan bal hota hai wah kisi ko shraap dete bhi nahi hai aur agar shraap de diye to bhagwan se mila dete hain muninkar krodho mukti datar narad ji ne yamlarjun ko shraap diya bhagwan se mila diya agar bhajnanandi mahatma tumhen dand de de to bhagwan ki prapti kara dega bhajnanandi mahatma kabhi paisa nahi mangega paisa mangne wala kabhi bhagwan ka bharosa nahi rakhta tason ke paas wah hota nahi hai jo shraap dete hain jo

shraap ki dhamki dete hain unke paas kuch hota nahi aur jinke paas hota hai wo shraap dete nahi hai kyonki sam mein wo bhagwan ko dekhte hain apne bhagwan ko shraap denge kya aur agar kabhi dand vidhan ke anusaar kar bhi diya to bhagwat prapti kara dete hain muni ka krodho mukti datar moksh pad pradan karne wala lagta hai ismen dhan tan ke dan ko vareeta di gayi hai tan man tan to tan pehle aata hai to kya tan ko varita di nahi avshyakta haan ab jaise koi gira hua aadmi para hua hai ab wahan tum rupya phenk ke chale jao to kisi kam ka nahi zaroorat hai us samay tumhare tan ki ab koi aadmi bahut disturb hai ab us samay sharir se paas baithe rahne ki zaroorat nahi maansikta lagao man lagao ki iski ye disturb sthiti ko ham kaise sambhal sakte hain hansa ke bula ke khila ke aushadhi se kaise kaise aur ab wo zaroorat ta hai aushadhi ki to sharir aur man se kam nahi chalega.

ab dhan se kam chalega. Aushadhi lake usko do. Avshyakta kya hai? Mere tan ki samay avshyakta hai ya man ki avshyakta hai ya dhan ki avshyakta hai? Tino ko dekha jaega. Tino apni jagah saman hai. Apni jagah avshyakta ke anusaar tino barabar hai. Tan man dhan ji Kabir das ji nyujeelaind se haan Radha maharaj ji ye kah rahe hain ki inko bhojan ki ichchha dhyan se hata deti hai. Ye matlab jab khana shuru karte hain to phir lagta hai o ane de ane de. Nahi galat bhojan mat karo. Koi galat bhojan to nahi karte. Maharaj ye bol rahe hain ki du not it eneething rong.

ai it satvic ayurweda. Ye kah rahe hain ek satvic bhojan khate hain. Haan satvic bhojan aur usmen bhi aadha pet bhojan paiega. Jaban ko rokiega. Aadha pet bhojan paiega. It haaph da stamak. Ikwivelent tu haaph da stamak. Pleej haiv control on yor dait. Daitsa laik ai no da rulsa phor gud dait, gud gud saitwik food bat not shyor vhai. Sem mistek ivan ye kah mere se galti ho rahi hai. Main janna chahta hoon agar yog mein chalna hai to bhojan ka sudhar karna hoga. Satvic bhojan mein roti, daal, sabji aur wah bhi apne bharpet pane ki kshamta ko jaan le ki ham chhah roti mein hamara pet bhar jaata hai to ham teen roti khaenge aur aadha liter pani, ek liter pani aur uske upar vayu tino chijon chahiye na.

ann, jal, vayu tino ke dwara hamare prannon ka poshan hota hai. To agar hamara pet chhah roti mein bhar jaata hai to ham teen roti khain shesh jal ke liye aur utna jal piye ki vayu lene mein, swas lene mein hamen bhari na lage aur bhojan pa ke turant ham asan mein baith jaen. Aisi hamari kshamta ho. Ji. Yu shud it tu ikwivelent tu haaph da kaipesiti of yor stamak. Iph yu ar iph da kaipesiti of stamak iz ikwivelent tu siksa roteez, yu shud haiv thri. End den yu shud haiv leyar of vatar end leyar of eyar.

yu shud leev kaipesiti vid in yor stamak so dait it kain absorba evreething end den yu shud dediket yorselpha tu dhyan. Samjh paye? Andrastaind yu andrastud? Andrastud pleej aeedi traing abhyaas karunga. Haan abhyaas ye rulsa janta hoon. Main abhyaas karunga uska. Haan. Asan pe baithna jante ho? Padmasan ya siddhasan? Du yu no tu seet on asan? Padmasan aur siddhasan? Ya van van haiving. Kaun sa asan jante ho? Padmasan lagao. Dekho bharatiya asan videshi laga rahe hain aur Bharti baith rahe hain kursi pe.

baitho. Upar chadha diya. Haan. Niche wala upar chadha. Yah siddhasan ki taraf hai lekin pura siddhasan bhi nahi. Padmasan ek bar laga sakte ho? Kain yu du Padmasan? Phor lotasmeetas kamlasan. Lotas daitsa right. Waise bahut accha sadhak hai. Karekta. Badhiya hai. Aap bahut achhche ho. Yu ar veri nais. Bas ahar sudhar lo. Brahmcharya impruv yor dait end follow brahmcharya. Brahmcharya brahmcharya no girlfriend onli god girlfriend. Onli god bhagwan girlfriend hai. Bahut sundar. Bahut sundar. Veri nais. Bahut sundar.

accha jeevan hai. Haan koi rishi muni ki kripa hai aapke upar kyonki videsh mein rahte hue videsh mein paida hote hue bharatiya sanskriti ka ab dekho noya bachchha hai. Kitne sundar satvic bhav se chal raha hai. Apne yahan naye ke bachchhe jo hai videshi pharmula apna rahe hain aur videshi hamare dharm ko apna rahe hain. Dhanyavaad aapko. Yu ar veri blesda dait yu ar pholoing da satvic marg. God bles yu. Atithi ji Haryana se. Shri Harivansh maharaj ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki hamen bhagwan ji ko kaise bhog lagana chahiye?

unke samne bhog rakh ke parda laga dena chahiye ya phir apne hathon se khilana chahiye? Apne hathon se pawa parda kiske liye lagaen? Parda to wahan lagaya jaata hai mandir mein jahan bahut bhid bahari hoti hai. Apne ghar mein to sab unke sevak hote hain. To apne hath se pyar se pavana chahiye. Ek-ek kaval aram aram se pavana chahiye aur manana bhi chahiye. Thodi khir pa lijiye aur pa lijiye. To wo tumhare bhav ko dekh rahe hain. Bhav utsavan bhajtam raskam bhagwan ko phir bhookh lagne lagegi. Wo aapse prarthna karne lagenge ki mujhko ab yah chij khavao.

swapna mein akar batane lagenge. Ek din hamare thakur ko bhog lagne mein thodi si truti ho gayi. To ham madhyan mein vishram kar rahe the. So ekdam aae. Bole bhookh lagi. Phir jag gaye. Ye swapna mein dekha. Phir jab jage to ham kaha are turant thakur ji ko jagwaya aur sabko tayyar kiya turant bhog banao turant thakur ji ko bhog lagao thakur ji apne bhavuk bhakton ko wo anubhav karate ki main bhojan pata hoon mujhe bhookh lagti hai main sota hoon mujhe thandi lagti hai aisa anubhav karate hain to aap apne hath se pavao aur us samay parda lagane ki zaroorat nahi parda dusron ke liye lagaya jaata hai apne thakur apne pawa rahe to parde ki kya zaroorat hai theek hai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha aa

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…