ekantik vartalaap evam darshan #889 · 24 april 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
maharaj ji inka ek aur prashn hai ki pavitra nadiyon mein sikke dalne ki koi dharmik manyata hai kya? Man lo ganga ji hai, yamuna ji hain. Ek rupaye ka ata le lo aur ghor karke usko aise goli goli banao aur dal do to usmen machhli hai, kachua hai. Wo pa lenge. Rupya dalne ki kaun si baat hai? Are rupya ki kisi ke vastu padaarth kharid ke de do. Rupya ganga ji mein yamuna ji mein dalne ki zaroorat nahi hai. Koi shastr agyaa nahi hai. Ye sab manmani aacharan hai. Jab dalte hain to main mana karta hoon ki bhai kyon dal rahe ho?
to wo batte nahi hai. Bole tumhen kya matlab hai? Sab dal de. Nahi aajkal log manmani karte hain. Ham kahte hain ganga ji yamuna ji inme jaise aap hai na ek do char ka ata le lo aur uski goli goli bana ke dalo to chhote-chhote jo jal jantu hote hain wo khaenge prasann rahenge unka bharan poshan hoga rupya dalne se kis kam mein aayega ham to dekha hai kesi ghat mein wo ladke jo hote hain na wo golgol wo chumbak chumbak chumbak haan rassi mein teen char bal ke aise dalte hain yavla ji aur wo chipak ke nikal ate hain aise din bhar lage rahte dete jahan zyada yatriyon ka aavagaman hota hai.
hamen lagta hai aisa karen ek ek rupya agar tumhen dan karna hai na to tum ekatrit kar lo. Ek golak bana lo. Ek ek rupya ab ₹100 hai. ₹100 ka hara chara lekar gay ko dal do ya ₹100 kisi bimar aadmi ke kam mein de do. Ya ₹100 ka bhojan kisi ko pawa do. Gali kuche mein baithe hue aise log garib hai jo ham par daya karne ke liye baithe bhojan pawa do. Aise rupya fenken se kya fayda hai? Ji Madhav Vashisht ji maharaj ji kah rahe hain ki jo shri ji ko poshak dharan karai jati hai usmen kya savdhani rakhni chahiye?
jaise garmiyan aa gayi hain to garmiyon mein kya unko bhi shri ji ko sukhad hona chahiye aur hawa lagni chahiye. Aise vastr jaise hamko anukul bhagwan ki seva kaise kahte hain? Deh bhav se. Bhagwan ki seva kaise karte hain? Jaise agyani purush apne deh ka poshan karta hai. Agyani purush jaise garmi ka samay hai to apne sharir ke liye kaisa vastr dharan karta hai? Kaisa jal chahta hai? Kaisa bhojan chahta hai? Hamko theek waise hi karna hai. Jaise deha abhimani jeev apne sharir ko sukh dene ke liye karta hai. Aise apne isht ke sukh ke liye karna chahiye.
lakshman ji ke liye aaya hai ki Siyaram ji ki kaisi seva karte hain. Jaise ji aviveki purush shareerah jaise aviveki purush apne sharir ko sukh dene ke liye bhai garmi ab jaise sardi hai to pani ko ham utna hi garm karen pehle apne hath mein dal ke dekhen phir shri ji ko snaan karaen. Apne ko jaise garm kapde to komal aur garm kapde shri ji ko. Ab jaise garmi aa gayi hai to aise kapde dharan karvaaye jisse garmi na lage shri ji ko vastr bhi dharan ho aur sukhad ho sparsh mein sukhad ho patle kapde ho aur badhiya sukhad kapde ho shri ji ko sukh mile aisa bhog lagane mein jaise ritu phal hai jal hai aur sharbat hai aur phalan ka joos hai aise achhche-achhche bhav karke jitna pavaoge utne shri ji prasann rahenge maharaj ji ek ek prashn vyang chal raha hai to maharaj ji jaise jo shri ji ki poshak hoti hai wo kya ham phir se unko dhona dho dho ke hi phir dala jaata hai ya usko rakh de phir kabhi bhi dal sakte hain nahi agar dhone layak ho man lo jinke paas bahut hai to ek do bar pahnae phir de diye kisi ko de diye bakaya jo dhoya bhi ja sakta hai lekin aise sthano par dhoya jae shri ji thakur ji ki ki jismen laghu shanka na ho ki gayi ho aisi jagah dhoya jae jaise ham ek tasle mein dhol dho lete hain bade patr mein dho dho lete hain.
ek bar pani se nikal ke jaise dho ke jaise bhi bane aur wo ham vrikshon mein dal den. Bhagwat wastron ko sambhal ke aise dhoya jaata hai ki jaise prakshaln kiya gaya dhoya gaya. Ek to wahan zyada usmen sabun sab ki zaroorat nahi hoti. Saaf hi hote hain. Agar prakshaln pavitra karna hai to jaise pani dal diya gaya aur niche patr rakha hua hai. Bada tap rakha hua hai. Wo sab pani tap mein gaya. Tap uthakar kisi vriksh ke thale mein dal diya gaya. Jise kisi ke pairo ke niche bhi na pare. Bathroom mein bhi na jae.
ab jaise yahan Vrindavan hai yahan to koi baat nahi. Yah to bhagwan ka dham hai. Yahan to bhagwan ke dham ka puri bhumi satchidanandmay hai. Yahan to koi baat nahi. Lekin ganv gali mein savdhani is baat ki rakhen. Par ji ek bar jo poshak dharan kara diya agar gandi nahi hai to ham usko sambhal ke rakh de aur phir dharan kara sakte hain. Phir haan phir ismen aisa nahi ki usko dhona padega ya prasad. Nahi nahi aisa nahi nahi nahi aise aisa nahi. Aur abhushan ka maharaj ji haan abhushan to aajeevan dharan kara sakte hain.
abhushan to ajeev keval jo phool aadi se bane abhushan haan phool aadi ke jo prasadi hai wo dobara nahi dharan kara sakte ji poshak mein rang ka mahatva hota hai kya koi rang ka mahatva nahi hota jab apna jo rang mein man aa jae ki aaj shri ji ko is rang ka pahnate hain wahi pahnate hain. Koi niyamavli thodi shri ji ke liye hamara man aa gaya hari dekha to aaj harit pahna dete hain. Aaj lal pahna dete hain. Aaj kali pahna dete hain. Aaj pili pahna dete hain. Kale vastr pahnte hain. Kyon nahi? Amavasya ko to kale vastr dharan karte hain.
hamare Priya pritam amavasya ko to kale vastr dharan karate hain. Priya pritam. Are yar apne bhav ke vishay hai. Unko koi kapda chahiye kya? Hamare bhav jaise bante chale ja rahe hain. Waise garmi ka samay tha. Thakur ji ki seva karke shayan kara ke Jaymal ji gaye. To upar chat par gaye. Bangle pe apne raja the to hawa aa rahi sheetalata unke man mein aaya yar thakur ji ko niche sahan kara ke ham upar hawa le rahe hain ye to theek nahi to thakur ji ke liye alag mahal banwaya aur upar jaisa apna bangla waise sab khidki se hawa aa rahi sab aise pura raj darbar ki tarah jali padi hui aur gadda laga hua shayan kaksh pura shital kaksh banwaya shital aur roz sham ke jakar ke Priya pritam ka shayan karate jo shri vigrah tha charan dabate ate aur shayan kara ke ate aur sidhi hata dete ki koi wahan pahunch na pave.
unki patni ne vichar kiya yah kya chakkar hai? Roz sidhi laga ke upar jaate hain alag mahal se pooch sakti nahi bhaywash. Unka kuch na kuch to gadbad hai. Unko shanka hui ki kuch na kuch to gadbad matlab kisse milne jaate? Kya hai vyvastha upar aur kisi ko jane nahi dete. Swayam wahan ki sevkai karte the. Jab sidhi laga jab wah so gaye to sidhi lagaya upar gaye to unhen murti nahi dikhayee di sakshat Priya pritam sote hue dikhayee diye upar chadh ke gaye darshan kiye kamp gayi ekdam ki are main kya sochti thi yahan to Priya niche utar kar ke ai aur dusre din kaha ki kshma kijiye hamen sanshay tha ki aap upar to unhone kaha upar gayi thi kyon gayi upar to kaha upar gayi dekha Priya pritam sakshat so rahe hain sakshat Priya pritam hoon to gale laga liya ki hamko to jeevan ho gayi seva karte hue lekin tumhen bhagwan sakshat darshan diye bhagwan to bhavna Priya pritam sakshat unko darshan isliye diye ki main seva sweekar kiye hoon kya bhavna ki yar ham to khule mein so rahe hain Priya pritam niche so rahe to aise hi bhavna jaise garmi ka samay hai to raybel gulab kamal ye phool le liye aur saiya laga di raybel ki bichhae upar kamal ki pankhudiyan upar gulab ki aur uske upar Priya pritam ke liye ek kapda maheen bicha diya.
sugandh sheetalata aur Priya prit bhavna ye bhavotsaven bhitam ras kam dhenu ham tumhen kaise batayen bihari ji ke jo daliya lagate hain na inse ratri mein phool mangte jakar ke to do-do phool de dete aur wahi jakar rote hue ki ham garib bhikshuk prabhu ham aapke liye kya saya lagave to aise aise tod ke phool do char aur aise karke aur jab shri ji ko sahan karate to aisa hriday mein lagta hai ki sakshat shri ji sahan kar rahe hain kyonki ek dainya bhav tha ek paisa paas nahi mangkar phool laye to jo bhav banta tha na ki mujh garib ki prabhu seva sweekar karo to bhav wo bhav agar aap char gulab ke phool liye aur char pankhudi aise dal diye aur bhavna ki ki Priya pritam ki maine saiya lagai to prabhu saiya ko sweekar karte hain bhav saven bhajta prabhu kah rahe bhav ka bhukha hoon main aur bhav ek sal bhala tribhuvan jinhone racha unko kya chahiye aap socho ham sabke data to wo hain ham unko denge lekin hamara jo bhav hai wah sweekar karte hain.
ashish pachore ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji apne guru ki kripa ko kaise mehsus kiya ja sakta hai? Jab hamare andar bhajan ki pravriti badhne lage, gande acharno se man bhayabhit ho jae, bhagwan pyare lagne lage, dusron mein bhagwan ki bhavna hone lage, dusron ko sukh dene ki bhavna hone lage to samjhna chahiye hamare upar guru prasann hai. Hamare upar Gurudev ki asim kripa hai. Guru kripa ka swaroop hai. Guru ke dwara nikle hue jo vakya hain unko mantr mankar unki agyaa ka palan karna. To isse guru prasann hai.
tabhi mana ja sakta hai. Manmane aacharan ho aur guru prasann ho aisa nahi hai. Guru ke shastr ke anusaar hamare aacharan ho. Nirantar naam jap ho. Jeevan mein bhagwat prapti ki prabal lalsa aa jae. Gande kamon se bhay lagne lage to jano hamare upar bhagwan prasann hai. Guru prasann hai. Sant prasann hai. Ji ajay ji saharanpur ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji netron ke brahmcharya ko paripakva karne ke liye prambhik dasha kin-kin savdhanik ye bahut chanchal ho rahe hain. Sab mein nasag drishti rakhni chahiye.
baithe par nasag drishti rakhni chahiye. Chalne par ek dhanush keval. Itne mein hamen pata hai ki gaadi aa rahi hai ki nahi aa rahi hai. Kaun aa raha hai kaun ja raha hai. Bas itna aise nahi dekhna chahiye. Jo chahe aapan kalyana sujas sumati shubhgat gati shubh nana so parar leelar gosai tajau chauth ke chand kinai jo apni shubh gati chahta hai mangal chahta hai kalyan chahta hai wo matao bahno ki taraf aankh milaye nahi ye devi shakti hai bhagwan ki nij shakti angbhuta hai inke charnon ki taraf dekhe aur agar apna kalyan chahta hai to chauthi ke chandrama ko jaise nahi dekha jaata aise kisi stri stri ke mukh ki taraf na dekhe.
goswami tulsidas ji kah rahe hain nahi bhrasht hone mein der nahi lagega. Wo viptit ho jaega. Galat aacharan wala ban jaega. Aur jab baithe to aise baithe shant baithe apne netr ko yahan dekh donon drishti ise nasikagra drishti kahte hain. Aise baithe bahut gambhirta ki savdhani ki zaroorat hai. Manushya jeevan jitna aap sambhal kar chaloge utne hi devatwa aata jaega. Daivi sampada aati jaegi aur sambhal karke chaloge to bhagwan ke sadgun ate jaenge. Ye sab jo dukh shok chinta bhay depression ye sab papi paap kar rahe manmani aacharan karen.
man mana bhojan man mana vybhchar man mana nasha jaise ave rupya to depression mein nahi jaoge aap nahi karoge aur kya karoge jab paap badhega to karoge to kya karoge pareshani to aayegi abhi dharm se chalo nahi hamen rupya nahi chahiye jo meri mehnat ki kamai ka ₹100 hai ham uski namak roti ghar mein khaenge jake ham ₹500 ekstra lekar ke beimani ke rabri nahi khaenge aap dekho kaisa banta hai lekin tabhi sab hahkar macha hua hai. Phir aise ladke bachchhe aise milte hain jo atank paida kar dete hain. Ghar mein nana prakaar ki kumarggami pravrittiyon mein badhte chale jaate hain.
dharm ko man kahan raha hai? Rupya ave dharm gaya. Ab aajkal ka samay bahut vichitra hai. Pehle tha ki dhan gaya to kuch nahi gaya. Swasthya gaya to kuch gaya. Lekin charit gaya to sab kuch gaya. Nahi. Ab iska ulta kar do. Charit ki mahima nahi rah gayi. Pavitra ki mahima nahi rah gayi. Wah keval dhan mile keval manmani aacharan ho. To phir isiliye dukh shok chinta bhay yahi sab paap dimaag mein chhaya hua. Nahi manushya jeevan anand ke liye mila hai. Har pal ek divya pavitra ek divya anand dusron ko sukh pahunchana nirantar naam jap karna paropkar karna abhi anand aa jae.
lekin anand ka marg to idhar aur chal viparit rahe to kaise anand ki prapti ho? Ji Rajendra kumar ji bharatpur se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main sal bhar se naam jap kar raha hoon maharaj ji mera man thoda shant nahi rah raha ye kah rahe hain ki shanti chahte hain par shant kyon nahi rah raha pata nahi chal raha maharaj ji jaap bhi karne ka prayas kar raha hoon phir bhi kamnao ko jab tak ham control nahi karte tab tak shanti sukh nahi milta bin santosh dosh nam na sahi aur achat kam sukh sapne na jab tak ye kamnayen jinda hai tab tak ye hamen jinda rahne nahi deti ye ashant karti rahti hai thoda santosh dharan karo jo bhagwan jaise chala rahe hain usmen raji raho yatha labh santosh sada kahu so kachu na chaho jab santosh aa jaata hai to shanti apne aap aa jati hai jab tak santosh nahi hota tab tak shanti nahi hoti koi na koi kamna ashant karti rahti hai.
koi na koi baat ashant karti rahti hai. Nind bhi nahi padti hai. Nahi aap yah vichar karo ki agar koi andar baat na ho to parmanand jagrit ho jae. Ek baat samjho siddhant hai na agar koi baat andar na rah jae prashant atma to phir brahm bhut kalamsha akalmasha nishpap wo brahm bhut ho jae. Koi na koi baat hamare andar rahti hai. Jisko ham pakar nahi pa rahe. Hamen ashant kiye hue hain. Andar dekho koi baat hai. Koi kamna, koi ashanti, koi priyata, koi chah sab kuch theek ho gaya bhagwan kripa se maharaj ab koi kam nahi par to phir ashanti kyon hai?
ek sal se Ram naam ka jap bhi karta hoon. Bhojan pata hoon to bhagwan bhog karke pata hoon. Haan. To ashanti kis baat ki hai? Wo to pakdo na andar ki ashanti kis baat ko lekar hai? Maharaj ji aisa ho sakta hai ki bhajan mein zyada chitt lag raha ho ki abhi sansarik jo vihaar hai usmen man na lag raha ho. Aisa bhi ho sakta hai. Lekin udasin mat hoiye. Nokri se udasin mat hoiye. Yah bhi bhag pata nahi lagta bilkul pata nahi man bilkul vichlit ho jaata hai. Nind nahi pati hai. Bilkul kuch bhi nahi sochta hoon maharaj ji kyonki pata nahi ye agar bhajan se nind nahi aayegi to pareshani nahi hogi.
ek baat yah samjh lo agar bhajan se nind nahi aayegi na ki bhajan karte hue puri raat vyatit ho gayi aur nind nahi ai to pareshani nahi hogi. Aur agar shareerik kuch kami matlab aisi jo jisse nind na ave usko doctor ko dikha lo kisi aap aandit rahie. Aandit rahie aur andar ke vishay ko dekhte rahie. Hamen to lagta hai ki aap ek sal se naam jap kar rahe ho. Ham logon ka jeevan naam jap karte hua. Yah jarur hai. Jaise hamse pocho hamare man ki pocho to lagta band kamra ekant shant par hamko duty di hai bhagwan ne wo hamen karna hai.
apne man ko rok karke ham yah baat karte hain. Aapse prashn uttar karte hain. Aapse baat to jab hamara man bhajan mein lagne lagta hai to sansaar vyarth lagne lagta hai. Sab to phir wo accha nahi lagta hai. Phir accha nahi lagta. Par aisa hone par bhi apne kartavya ka palan karna chahiye. Man mar karke apne kartavya ka palan jaise ham kar rahe hain aise aapko karna chahiye aur nind wali baat to mujhe kam samjh mein aa rahi hai ki jaise din bhar bhajan karen to dat ke nind aa jati hai. Thak gaye na to nind aa jati hai. Yadi bhajan karte hue raat puri nikal jae aur nind na ave tab to aur anand aata hai.
disturb nahi hote. Hamen lagta hai kuch matlab aisi sharir ki maang hai kisi aushadhi ki jisse hamara dimaag shant aur sthir ho jae. Jaise joi joi pyaro kare soi ma bhave. Tej pratap ji Delhi se Radha shri Harivansh maharaj ji Gurudev jab ham kisi ke bare mein zyada sochte hain ya phir kisi ko bar-bar dekhte hain to wo chij kisi na kisi din hamare sapne mein avashya dikhayee deti hai. Lekin Gurudev jab wahi ham bhagwan ki leela dekhte hain ya phir unka zyada smaran karte hain to bhagwan usi rup mein swapna mein kiska aa rahe hain maharaj ji aisa nahi karte bhagwan ki zyada leela sunna aur bhagwan ke liye zyada chintan karna nahi to tum mahapurush ho jao tum sadharan baat samjhte ho keval prashn karna sahaj hai bhagwan ki lilaon ko zyada sunna aur bhagwan ki lilaon ka zyada chintan karna aur bhagwan ka naam chintan karna aur phir yah adhurapan hona ki bhagwan ki leela hamare swapna mein nahi aati.
kaisi baat karte ho? Kitna bhajan karte ho? Kitni leela padhte ho? Kaun se puran ka adhyan kar liya? Kaun se shastron ko shravan kar liya? Bolo. Kaun se baithkar ke sant charnon mein tumne sab shastron ka shravan kiya? Kitna naam jap karte ho? Kitna kirtan karte ho? Kitne ghante shastr swadhyay karte ho? Keval bachchha prashn kar lena sahaj hota hai. Aise mariyada bhagwan ki leela ki khandit hoti hai. Yahan to aisa lagta hai ki jage na sote hi rahe. Swapna mein jo anand bhagwan dete hain na haan kabhi vishesh mahapurushon ka samagam kabhi bhagwan ki mangalmay leela to aisa lagta hai jagna vyarth hai sote hi rahe jinme bhagwan ki leela aur chintan chalte hain zyada shabd mala do mala ghuma lo to bhi baat pavitra to hriday hone hi lagta hai lekin zyada jaise tum kah rahe ho to zyada karke dekho khuli aankh darshan hone lagenge khuli aankh bhagwan ki leela ka chintan hone lagega kaisi baat karte ho wo phir baat ham logon se karte ho.
hamari asha yahi hai. Hamara jeevan yahi hai. Hamari sadhna yahi hai. Hamari purnata yahi hai. Baat samjh mein ai? Haan to galat prashn tha. Bhagwan ki lilaon ka dekho to tum ga kaun se puran ko tumne samyak rup se sun liya? Kaun se puran ka samyak adhyan kar liya? Kaun se puran ki tumne leela samyak chintan ki? Bolie dekhte hain. Kya dekhte ho? Ramayan. Are Ramcharitmanas padhkar ek bar puri dekho aur Ramcharitmanas ka adhyan karo. Jis mahapurush ne jeevan bhar Ram Ram kah ke tapasya karke granth ko likha usko padho.
yah to prambhik manoranjan ke liye bane hain. Dekho wah keval abhinay kar rahe hain. Unmein wah pavitra nahi wo sadgun nahi hai. Jo abhinay kar rahe hain wo sadgun nahi hai. Wo yudhishthir ka charit dekhna to mahabharat padho jo bhagwan shri Krishna dwapan vyas dev ji ne likhi aur jab us un yudhishthir se prichay hoga tab tumhara pavitra hriday ho jaega. Ye to akarshan ke liye bahut badhiya banai hai. Kyonki sacchidanand leela ko prakritik leela mein utarna sacchidanand bhagwan avtrit hokar satchidanandmay leela kiye to Chinmay leela ko prakritik leela mein utara hi nahi ja sakta wo yatha ki chinta anubhav jo anuran kiya gaya wo wo bhi itna anand diya ki jis samay ramayan chalti thi us samay jam lag jaata tha sab shant ho jaate the log aandit hokar dekhte the to socho jab us samay satchidanandmay leela ko jab tum Valmiki ramayan mein padhoge jab Ramcharitmanas mein padhoge Ram Ram japoge aur leela ka padh ke chintan karoge to tum brahm rishi ho jaoge.
tum bhagwan ke nitya bhakt ho jaoge. Kaisi baat karte ho? Anuran kiya hi nahi ja sakta. Jo yat kinchit anuran hai wo hamare ko bhagwan ki taraf thoda sa lekin bhagwan ki lilaon mein pravesh kara de wo to ramayan karayegi. Ramayan ka roz path karo. Ramayan ki roz chintan vritti se aarti puja ut karo aur bhagwan ka khub naam jap karo aur bhagwan ki bhakti karo tab leela mein pravesh hoga aise aise leela nahi hai aisi leela unki to bas yah hai ki hamare prabhu ka role kar rahe hamare prabhu ke rup mein us samay aae to hamare prabhu ka koi bhi rup dharan kar le to ham jaise sant bhash ko pranam kahte hain aise apne prabhu ke rup lekin ham mein jo leela pravesh hai wo ramayan mahabharat tv ka dekh ke thodi leela pravesh ho jaega uske liye to sadhna chahiye.
uske liye to bhakti chahiye. Uske liye ramayan padhna padega. Bhagwat padhna padega. Mahabharat padhna padega. Uska chintan karna padega. Tumhen apne charit sambhalne padenge. Tab leela mein pravesh hoga. Tab swapna mein jagrit mein leela jhalakti hai. Neha ji Delhi se Radha bhagat shri Harivansh maharaj ji Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji yadi kisi ka sharir Vrindavan se bahar chhute lekin antim sanskar Vrindavan mein kiya jae to uska bhi kuch mahatva hamari samjh mein zyada mahatva nahi.
ant mati sogti us samay uska chintan kya tha? Bharat ji maharaj gandki nadi mein jahan se jiske Shaligram utpann hote hain. Antim chintan unka hiran tha to hiran bane. Sadgati nahi hui. Jabki wahin sab kuch sanskar hue honge. Gandki nadi ke paas hi jis nadi mein Shaligram bhagwan utpann hote hain. Ab hamara sharir chhuta sansaar ka chintan karte hue bahar. Hamare sharir ko Vrindavan mein jalaya gaya to wo to hans to gaya ab pinjra jalaya ja raha hai usse kya matlab hai khas baat samjho hans to gaya wo to ud gaya ab khali pinjra hai ab uske saath jo vihaar karoge ha thoda usmen sukrit mil jaenge lekin uska kalyan nahi hoga kalyan hoga jab jite ji Vrindavan ka chintan karte hue sharir chode shyama Shyam ka chintan karte hue sharir chode Ramkrishna bolte hue sharir chode tab baat banegi ya Vrindavan mein sharir chhute to kalyan ho jaega.
kashi mein sharir chhute to kalyan ho jaega. Ye ren upar marbo manglay bahar agar mar raha hai to uska chintan kahan hai? Yahan antim samay jab sharir jeev chhota hai to sakhiya aankh ke kan mein Radha naam sunati hai. Ye vrinda sakhi ka kshetra hai. Vrindavan dham. Jaise kashi mein koi mare to bhagwan shiv Ram naam sunate hain. Tarak mantr sunate hain. To ye dham ki mahima hai. Kashi ki mahima hai. Agar bahar sharir chhote ho to aapka chintan kya hai? Usi ke anusaar aapki gati hogi. Agar aap chintan sansarik karte hain to aapki gati sansarik hogi.
aapka sharir chahe kashi mein jalaya jae, chahe Vrindavan mein jalaya jae. Hansat gaya pinjda ko liye kahin bhi ghumo. Arya shrad Shri vastav ji jabalpur se maharaj ji main ek vidyarthi hoon maharaj ji mera prashn hai ki vidyarthi ki asli paribhasha kya hai? Pariksha mein achhche ank prapt karna ya phir samaj mein ek accha vyakti banna donon donon baten hain. Samaj vidya vinay sampannam vinay banati hai vidya vinym dadti agar vidya vinay sampann na kare to vidya kya hai? To samaj mein hamara vihaar vinay purvak hona chahiye.
mariyada purvak hona chahiye aur padhai mein achhche ank lana chahiye. Isliye hamko adhyatma se bhi judna chahiye. Hamen satsang sunna chahiye. Hamen gita hai, bhagwat hai, ramayan ji hai. Inka thoda-thoda adhyan karna chahiye aur apni padhai mein pura manoyog dena chahiye aur achhche number lana chahiye. Padhai mein achhche number lao aur samaj mein accha vihaar karo. Tabhi hai. Ab ye padh likhkar degree prapt kiye. Mata-pita ko thappad marte hain, galiyan dete hain, padhe hain. Yah udandta hai. Vidya uddandta sikhaati hai ki vinay sikhaati hai?
vidya vinym dadati. Padhe likhe mein namrata hoti hai, samyata hoti hai. Vinarm bhasha hoti hai uski. To aaj kahan vinamrata hai? Padhe likhe log apne mummy papa se aisa vihaar karte hain jo hona hi nahi chahiye. Bada mrid vihaar hona chahiye. Bhyo vridh, mummy papa, dadadi inse vihaar vinarm hona chahiye. To hamen lagta hai ki padhai mein bhi accha achhche number lao aur samaj mein bhi accha vihaar aapka hona chahiye. Tabhi aapki padhai safal hai. Tabhi aapka jeevan safal hai. Divyashi ji rishikesh Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kathin samay mein Radha naam se jo himmat milti hai wo adbhut hai.
parantu maharaj ji kabhi-kabhi jeevan ki kuch paristhitiyan itni kathin ho jati hai ki phir vishwas dagamgane lagta hai. Phir naam jap mein bhi man us samay prarthna karni chahiye. Jab aisi paristhiti ave to bhagwan se prarthna karni chahiye. Shri ji se prarthna karni chahiye. Prarthna mein bal hota hai ki nath pariksha mat lo. Main phayl hi hoon. Mere mein samarth nahi ki main paas ho jaun. Prabhu mujhe bal do jisse ya to vipatti hatao ya samasya hatao ya mujhe bal do ki main is samasya mein aapka sumiran karte hue nikal jaun.
nath agar aap mujhe chhod doge to main gir hi jaoongi. Mere mein koi samarth nahi. Prabhu to prabhu se prarthna karo. Aap dekhenge aapko tatkaal bal milega. Prarthna se tatkaal bal ki prapti hoti hai. Prarthna se bhagwan ka avatar ho jaata hai. Sab devta rishi muni milkar jab bhagwan ki prarthna karte hain to bhagwan avtrit hone ke liye vivash ho jaate hain. Yadi ham bhav purvak prarthna karenge to bhagwan ya to paristhiti hata denge ya paristhiti sahne yogya hamen bana denge. Aap prarthna kijiye aur naam jap kijiye.
jai prakash ji Mathura se. Radhe Radhe Radhe-dhe maharaj ji. Maharaj ji paap karm ka phal sankalp liye bina hi mil jaata hai. Lekin manokamnaen purti hetu koi bhi karmkand anusthan ke liye apna naam amuk gotr sthan tithi aadi bolkar sankalp liya jaata hai tatha vyavahrik tatkalik sukh ke liye wo tatkalik parivartan ke liye sankalp kiya jaata hai. Tatkalik ki main abhi yah chahta hoon aur jo purv se uska sankalp kiye ho kya? Jo purv ka punya hai uska sankalp karte ho kya? Apne aap akar ke sukh de deta hai.
jaise purv ka paap bina sankalp ke dukh de deta hai. Aise purv ka punya bina sankalp ke sukh deta hai. Abhi hamen ye parivartan chahiye. Ab sankalp karo. Uska anusthan karo. Aur agar uska anusthan jor parta hai to purv praarabdh jo paap hai usse jor ka anusthan ho jaega to parivartan ho jaega. Nahi khopdi ke bal khade ho jao to nahi parivartan hoga. Karke dekh lo. Ho hi jaata hai kya sabka ho hi jaata hai kya karke anusthan dekh lo yadi paap hai 250 gram aur sankalp hai 25 gram kya karega char panch bar anusthan karao aur wo nasht ho tab jakar safalta hogi aise thodi safalta aa jaegi nahi sab sankalp karte hain kam ban jae na turant sabke kam ban jaate hain kya sankalp karte nahi bante jiska ab paap hai 25 gram aur sankalp hai 250 gram daba ke use nasht kar diya safal ta prapt ho gayi to tatkaalik sukh ka parivartan karne ke liye ki ham tatkaalik paristhiti ko uttam banana chahte hain.
iske liye sankalp kiya jaata hai. Iske liye sankalp kiya samjh payega aap ki nahi paye? Ji ardhangini ko bhi to sadhna mein ardhangini patni ho aur uske bagair sankalp nahi liya ja sakta. Koi bhi anusthan karte hain to ardhangini ka hona zaruri hai. Kyon nahi zaruri hai. Ardhangini kyon banaya hai? Isiliye to banaya hai. Uski anumati zaruri hai. Uska dekho jab Ram ji Siya ji antardhya ho gayi na bhumi pe to jab Ram ji ne yagya kiya to sone ki Sita bankar ke bam bhag mein virajman kiya. Swarn ki Sita bam bhag mein virajman karke tab yagya yad kiya.
ardhangini isiliye ardhangini hai. Uske satsang mein ane ke liye jaise aapke darshan karne guru ji ke to ardhangini ka ana zaruri hai. Nahi aisa nahi aisa zaruri nahi aisa sankalpit karya jaise ham yagya kar rahe hain. Ham jaise saptahik bhagwat kar rahe hain. Koi anusthan kar rahe hain to usmen agar wah nahi ana chahti hai to uske liye asan zaruri hai. Uska uska ek adhikar hota hai. Aur aap jo punya karenge uska usko phal prapt hoga. Agar wo aapke anukul chalti hai to agar wah pratikul chalti hai, aapki avhelna karti hai, aapka apman karti hai, nirader karti hai to pativrat dharm mein hai nahi to usko kahan se prapt ho jaega?
lekin uska adhikar hai wah ardhangini hai aur aisa chahiye ki usse anumati lekar ke hi dharm karya kiye jae. Usse anumati usko is baat ka adhikar milna chahiye ardhangini ka aur usko sochna chahiye ki mere pati hain mere bhagwan hain. Mujhe pura inka sahyog karna chahiye. Donon prem se chalna chahiye. Lekin ye aaj bada asamabhav hai. Purv ki jinko ladka ladki ne dekha nahi. Keval ghar wale byah kar dete the. Jab ghar mein akar dekhti thi ki hamara pati hai, hamari patni hai to jeevan mein kabhi naam ucharan nahi karti thi.
dharm ki dhajhiyan udai ja rahi hain. Jo dharm ka siddhant hai uski dhajhiyan udae. Devi devta sab puj ke byah hone ke baad bhi pure ganv ke devi devta puj ke gurujanon ki agyaa lekar tab grihasth dharm mein utarte. Yahan zaroorat nahi. Pehle hi boyfriend girlfriend hai. Pehle hi liv in relation hai. Tabhi wah pati ke saath tikti nahi hai. Wo pati ke aur pati bhi unke saath le tikta hua aur to aajkal to bada vichitra hal hai ki kisi ki grahasti pavitra jud jae aur aajeevan nibh jae. Ye bahut badi baat hai.
ab to aisa chal para hai ki 30 30 sal ke baad divorce 30 sal ke baad divorce hain. Ek minute main adhivakta hoon. Telangana hai court mein praiktis karta hoon. Maine sat din mein divorce dekha hai. Sat din byah ho. Sat din mein divorce dekha hai. Maine dusre din alag hote hue dekha. Haan bilkul bilkul bilkul. To byah kahe ko kiye? Wo to galat acharno mein fansa hua vyaktitva hai. Chahe stri ka ho chahe purush ka ho. Isiliye are apna bharat desh aisa hai is dharm ki mariyada ek bar jiska hath pakar liya to kami veshi na dekh ke aajeevan nirvah kiya jaata tha purwajon mein dekho ganv mein kabhi hamne ye divorce shabd nahi suna kabhi shabd nahi suna aajkal dekho kaise vatavran ban rahe hain karan khandelwal ji mumbai se maharaj ji aapka bhi similar prashn hai ye kah rahe hain ki aap 10 salo se abhinay ki jagat mein hain.
yah kah rahe hain man ashant rahta hai maharaj ji koi kahta hai ki ka kisi ne jadu kar diya hai. Koi kahta hai ki overthinking chal rahi hai isliye haan jadu to nahi kiya. Jadu to nahi jadu hota to tum hamare paas yahan baith nahi sakte the. Overthinking ek jo apne chitt mein sabse bada banne ki mahan banne ki ek akanksha hoti hai. Ham chahe jis marg mein ho hamara kyonki mahan paramatma ke ham ansh hain to hamare andar mahan banne ki ichchha hoti hai. Sabke andar chahe jis department mein ho sabse bada banne ki ichchha hoti hai.
kyonki sabse bade bhagwan ke ham bachchhe hain na to hamen lagta hai ki ham sabse bade bane. Ab sabse bade banne mein hamare samne bade abhinay karne wale dikhayee de rahe hain. Jo safalta prapt karte chale ja rahe hain. Ab hamara chitt usse viksipt hota chala jaata hai. Pareshani aa jati hai. To hamen lagta hai ki bhagwan ka naam jap karo. Pavitra bhojan karo aur bhagwan jaise rakhen usmen raji rahna sikho to aandit ho jaoge. Naam jap karo aur jaisi paristhiti mein ho usmen raji rahna sikho yar. Age ki bhavna to karo lekin age na pahunch pao to usmen asantusht mat ho.
tumhare agar asantusht rahne ka swabhav ban jaega to depression mein chale jaoge. Olredi hai nahi nahi hoti nahi nahi yar aisa theek nahi depression mein kyon jao kyon jao kyon pareshaan ho pata hi nahi chala kaise wahan itni sari sichueshan aisa karo Radha Radha likhna shuru karo dimaag mein khali samay jo hai na shaitan ka man hota hai agar khali chhod do na to man shaitani karne lagta hai badmashi karne lagta hai overthinking mein fansa deta hai ki aap japo thoda man pavitra hoga to aapko anand milega Radha dekho ankhon ke samne samne likho Radha ankhon se hi likho Radha likha aap bar-bar Radha Radha Radha Radha ye aisi dawa hai ki lok parlok sab mil jaega haan Radha Radha Radha Radha ab akar Vrindavan mein aae ho to mangal to hoga hi bhagwan aur sant darbar mein ane se mangal to hota hi hai mangal na hota to aap kyon ate doctor ke paas jaate jadu tona aur jadu tona nahi kyonki maine kafi sare logon ko dikhaya tha.
estrolojar ko dikhaya tha. Pandit ko dikhaya tha. To sab ne yah kaha ki koi kala jadu hai jiski wajah se aapke aapke parivaar kuch nahi. Rupya khaseetne ke liye sab kala jadu hai. Koi kala jadu nahi. Koi tamasha nahi. Koi bhut pret nahi. Koi tumhare upar kuch nahi kiye. Ham tumse kah rahe hain. Pakki baat samjh lo. Jo bhi kam karta hoon mujhe kam milta hai. Par wo kam jaldi band ho jae. Haan. Theek hai. Tum Radha naam jap karo. Subah uthkar ke panch bhakton ke naam le liya karo jo bhagat tumhen yad ave kuch bhagat yad hai ekko bhagat yad nahi dekho ham tumhen naam bata Swami haridas ji chaitanya mahaprabhu ji Nityanand mahaprabhu ji nagreedas ji Harivansh mahaprabhu panch naam koi jaise yahi yad kar lena panch bhakton ka sumiran roz karo aur Radha naam ka sumiran karo aur 10 15 20 minute vyayam karo vyayam karte ho ab yar nahi 101 minute vyayam karo sharir ko thoda ab aise bujhe bujhe se yar bujhe bujhe se jeevan bujhane ke liye
aur vyayam karke naam jap karte hue koi na koi dincharya mein lage raho phaltu mat baitho khali mat baitho khali ho to shastr swadhyay karne lago theek hai na aur prasann man se raho aur aaj ham tumhen kah rahe hain na koi jadu tumhare upar hai na koi kala jadu hai na pila jadu hai koi jadu nahi ham tumhen jo bata rahe ho man lo koi jadu nahi kisi ki baat mat manna jo jhadphunk karvaaye kuch fark para jab to fark kya padega phir karwaya are yar agar tum aisi aisi jagah phas jaoge to neembu ki tarah nichod lenge hoga kuch nahi keval rupya lene ke liye sab hota hai koi kala pila jadu nahi hota naam jap karo kala pila jadu kuch nahi kar sakta aise dekho ham tumhen batayen jaise ham tumhara bura chahe aur tum naam jap kar rahe ho tumhara bura hona nahi hai to ham lakh chahe nahi ho sakta agar tumhara bura hona hai aur meri chah hui aur donon mil gayi to wah tukka lag gaya.
meri chah se tumhara bura nahi hua. Kaun kan ke sukh dukh kar data nij krit karm bhog sunbhata khilwad ka vishay thodi hai bhagwan ka bhajan hai bhagwan ka ham log aise rahte hain kyonki bhagwat bal hai bhagwan ka bhajan ka bal hai agar tum dushtata ke upar utar jao to phir hamari ek aaya tha hamne kai bar bataya satsang mein wo gaadi se aaya wahan jute pahan ke nahi jaya jaata tha ham baithe the senpur mein tha to hamne kaha ki bhai ae motorcycle rok jute pahan ke kyon aa raha hai aur 810 log baithe the aur wah kai katl kiye hue tha to hamari taraf aise dekha jaise koi murge ko dekhta hai halal karne ke liye aur wo gaya jute utar diye aur gaya phir aaya juta pahna aur wahi gaadi hamne kaha ae yahan gaadi start nahi hogi bahar hogi gaadi start hi nahi hui usko ghasit ke le jana para bhagwan vachan pura karte hain na ab wo jo ganv ke log baithe the wo ghabra gaye unhone kaha maharaj aapne bahut gadbad kiya aap yahan do char sant rahte ho.
yah kitne adamiyo ko kaat dala hai. Iska koi bigad nahi. Ganga kinare ki baat thi. Bole yahan ka badshah hai aur aapne bahut galat jagah to ham man mein to socha ki galat jagah isne panga le liya hai. Subah ham ganga snaan karke Ashok vriksh ke niche us samay bhi jatayen thi aur shant Padmasan mein baithe the ki khurra khurra patton mein jute ki awaz aati hai na. Mujhe laga koi aa raha hai to turant connection laga ham kaha kal wala wah purush to nahi hai to aise dekha to wahi tha ek bar man mein manushya hone ke karan ek bar man mein aisa laga ki yar accha vighna upasthit hua wo nazdik aaya bole ae Baba ji haan bhai usne chaku nikali itni badi chamachmati samne rakhi bole isko jante ho kahan chaku kahte pistol nikali aise usne aise isko jante ho samne rakhe baith gaya kyonki nirdayi aadmi accha ham akele ho na danda na kuch hamare paas to danda bhi nahi kamdal
rakha tha Gangajal ka ham kaha dikha chuke bole ham kaha kamdal ka dhakkan khola ham kaha isko jante ho ham kaha Gangajal hai tum aise Baba ji na samjh lena tu hai aur main hoon chal pistal utha aur chaku utha aur main panch bund Gangajal keval leta hoon ye khilwad sab sant mahatma badal ka khilwad nahi hai to aisa le ki koi jadu tona kal aisa ho na to bhagwan ke bhakton ko santo ki mahima sab aise nahi khilwad nahi ham log aise rahte hain lekin agar apne pe aa jae to samne wala tik nahi sakta rishiyon ne jo saanp diya hai wo vyarth kyon nahi gaya kyonki unke paas tap hai unke paas bhajan unke paas sadhna hai to yah baat to tum bhul jao ki tumhen kisi ne koi jadu tona ki hath se bilkul nirvigghn haan tumhara jo chintan hai usko tum sambhalo Radha Radha Radha Radha usmen aur khanpan theek karo mans khate ho main khata tha ab chhod diye aaj se chhod rahe ho ya pehle nahi aaj se nahi main hoon kya aur sharab sharab aap sharab mans mat khana aur Radha-aadha naam jap karna aur kuch din mein sab sahi hone lagega
dhire-dhire naam jap karte raho prasann raho aap chinta nahi karo theek Baba ham brajvasi hain ham giriraj ji ki seva bhav ji ho man mein bar-bar bhi hoe waise braj chhod ko man to kare na kahun agar ye sharir chhuto to dobara braj mein janm ho ke kahun kya ho pata is 84 kos ke andar sharir chhuta to yahi janm hoga agar iske bahar chhuta to ham nahi bata sakte phir agar us samay thakur ji ka chintan hai to phir aa jaoge thakur ji ka chintan nahi to jo chintan hoga wahi janm hoga bhagwan Rishabhdev ji ke putr bharat datt ji bhagwan ke putr hain aur hiran ka chintan karte hue sharir chhuta to hiran banna para.
to isliye braj 84 kos ki sima ke antargat ye sharir chhutta hai to garantti yahi chahe kide makoda bane lekin yahi raj ke baenge aur agar bahar sharir chhuta to phir bhagwan jane us samay aapka chintan kya hoga ye braj raj jane wahi nirnay kar sakte hain. Matlab har samay chintan giriraj ji ka hona chahiye kul mila ke haan kul mila ke ki jai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha aa ha ha
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…