॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #899 · 4 mai 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

rashi Gupta ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab bhi ham koi naya karya shuru karte hain aisa kaha jaata hai ki kisi ko na bataya jae kyonki pehle bata dene se wah karya safal nahi hota kya yah nahi aisi koi manyata nahi apne karya ko gupt rakhne se karya mein pushta hoti hai ab ham kisi se kah rahe hain ham aisa karenge ham aisa karenge pata nahi kar paye ki na kar paye to ek uphash ke ham patr baenge. Pehle ham apne karya ko gupt rakhte hain aur ham karte hain aur karke jab safalta prapt ho jati hai tab kah dete hain to koi pareshani nahi.

uska koi aisa matlab shastriya siddhant nahi hai par wo ek laukik siddhant hai ki kisi karya ko karne ke pehle bahabudi ham kyon mare? Ham aisa karenge, ham aisa karenge, ham aisa karenge. Jab ham ho jaenge, tab wo sab pura samaj jaan hi jaega. Ham kyon bole vyarth ki baat hai bakaya aur koi aisa nahi ki aap bol denge to karya nahi hoga aisa nahi niti ke anusaar bhi maharaj ji niti shastr mein bhi jaise koi dushman us karya mein aadha pehle utpann haan haan apne karya ko gupt rakh ke jab karya ki safalta ho jae to to apne aap sab koi jaan jaega ham pehle se kyon usko prakashit karen yah ek matlab samajik vyvastha ke antargat hai.

yah koi shastriya agyaa nahi ki aap pehle bol denge to anisht ho jaega aur wah karya hoga nahi. Aisa nahi hai. Kitne aise veer hain jo pehle ailan kar dete hain baad mein karya pura karte hain. Kitne aise niyamon wale hain, sudridh bhav wale hain jo pehle ailan kar dete hain. Main aisa karunga vaisa karke dikha dete hain. Lekin apne ko chahiye ki karya ki pranali ko gupt rakhen aur jab karya ho jae to samaj apne aap jaan jaega. Maharaj ji agar koi ninda kar raha ho aur aap sirf sun rahe hain to kya hamen bhi utna hi paap lagta hai jitna ninda karne wale ko to aisa kya karen ki suna hua ninda mafi mil jae aise kan mein anguli dale sune na jab ninda ho rahi ho Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha uth ke chal le wahan se aur jo purv mein suna hai man lo kisi ki to ab bhagwan se kshma mange kyonki bhagwan hi sab rupon mein hai bhagwan se prarthna karen to kshma ho jaegi age se savdhaan rahe jahan

jahan kisi ki ninda ho rahi ho to par ninda ke kiye te aavat nahi kachu hath murkh parvat paap ko le chal apne saath lena na dena bematlab mein paap ki potri sir par bandh rahe are wo bhala hai bura hai jaisa hai bhagwan jane hamko kya matlab hamko apna hriday pavitra karna hai to kisi ki burai sunne se apna hriday apvitra hota hai malin hota hai hamare upar paap chadta hai to ham paap ki baat kyon sune us samay turant kan mein ungli daalen haan aur Radha Radha naam ucharan isliye karen ki uska koi shabd na pare.

ham chhod ke turant us sthan ko chal den jahan bhakt ki ninda ho rahi ho. Sant ki ninda ho rahi ho, bhagwan ki ninda ho rahi ye sab nahi sunna chahiye. Vijay Parashar ji Agra se maharaj ji Radhe-Radhe. Maharaj ji aapse janna chahta hoon ki jab ham laddu gopal ji ko nahlate hain to us jal ka nistaran kaise karen. Abhi tak to main dekhta aa raha tha ki hamare parivaar us jal ko tulsi ji ke paudhe mein dal dete the. Kya ye sahi hai hamare? Haan. Thoda to charanamrit le achman karen aur phir agar tulsi ji hai to tulsi ji mein dal de nahi to usko ek patr mein bhar ke rakhta jae aur phir ganga yamuna nadi mein jo aaspas apne pavitra nadiyan ho unmein usmen mila de ya to aise vriksh ke ghere mein daalen jahan pair na pare kyonki bhagwan ka snaan ka charanamrit hai na to uchit yahi hai ki tulsi ji ke ghere mein daalen jiske ghar mein tulsi ji nahi hai wo to ek patr rakh le 5 liter 10 liter ka aur usi mein dalta rahe aur jab bhar jae to paas mein jo nadi pavitra ho wahan jakar ke usi mein dal de aise aise kar de ya ab jaise ghar mein 10 panch log ho thoda-thoda charanamrit piye to sab pi jae thakur ji ke snaan ka to charanamrit pan karna chahiye par man lo leetron mein tayyar hota hai to ab kaise pan karen to phir usko aise prayog kar de peepal ki jad mein dal de tulsi ji ki jad mein dal de ya aisi lata mein dale jahan pair na pare ya pavan nadiyon mein dal de.

aise maharaj ji thakur ji ke foolon ko pehle nadi mein visarjit karte the. Ab kya karen maharaj ji? Kisi paas ke sarovar ke tat mein khod karke aur unko samadhi de den. Jaise ekatrit phool ho gaye to 10 panch din ke ekatrit kar liye aur kisi sarovar nadi ke tat par gaye aur kinare mein khod ke aur un foolon ko aise kar diya. Unko aise amit kumar ji Radhe-dhe prabhu ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main 16 varsho se film line mein tha maharaj ji jab se maine mobile ke madhyam se aapka satsang suna mera man abhinay mein nahi lag raha aur main mumbai sab chhod chhod ke Vrindavan rahne ke liye aa gaya hoon maharaj ji nahi hamen lagta hai ki abhinay jeevan jine ke liye hai aur jeevan prabhu ke liye aisa bana lo abhinay karna jeevan jine ke liye hai arth milta hai aur arth se hamare jeevan ka poshan hota hai aur jeevan prabhu ke liye kar le to ismen koi pareshani nahi hogi.

abhinay koi nishiddh baat nahi hai ki ham tyag karen aisi baat haan bhagwan ka jab ham sat chintan karne lagte hain to phir asat baton mein man nahi lagta. Yah baat to hai lekin jeevan jine ke liye bhagwan ne hamen yahan bheja hai. Apna-apna role hai. Sab abhinay kar rahe hain. Sabka abhinay, koi mata ka abhinay, koi pita ka abhinay, koi pati ka abhinay, koi samaj ke bahut bade pad ka abhinay, sabko abhinay. To aapko jo abhinay mile wo aap abhinay karo aur bhagwan ka bhajan karte raho to kya pareshani hai? Nahi. Haan aisa karo kyonki jeevan sabka ek role hai.

sabko abhinay karna par raha hai. Ab yahan Vrindavan mein jaise to Vrindavan mein man lo kaise rahoge? Kuch na kuch to abhinay yahan bhi karna padega. Nahi karna padega. To yahan koi galti ka hone ka chans agar ho to hamen lagta hai dur rah ke Vrindavan ka chintan karen to zyada accha hai. Yahan rahkar agar koi hamse paap banne lage, koi gandi baten banne lagi, gande aacharan ho jae to hamen lagta hai dur rahkar yahan aoge to tatkaal paap nasht ho jaenge. Kyonki dham hai na aur dham mein paap ban gaya. Man lo jawan sharir hai.

ab kahin idhrudhur kisi se gandi baten ho jae to sab gadbad ho jaega na. Main sochta hoon chhod ke yahi rahe prabhu ji man nahi lag raha Baba ji ban raha hai kya main to waise hi soch raha are bahut kathin hai Baba ji banna bahut kathin hai Baba ji banna sachchai ka Baba ji banna sachchai mein chalne mein hamen lagta hai ki agar bhash na rakhe aur sachchi bhakti ki jae to aur zyada accha hai. Mat lo ab ham log dusron ke dwara diye hue ann paisa kapda latta unka prayog karke bhajan kar rahe hain to hamare bhajan ka hissa wahan bhi to jaega.

aap mehnat karke role karke kama rahe hain aur kha rahe hain aur sachchai se bhajan kar rahe hain to aapka bhajan aapke paas hi hai. To hamen lagta hai jab kabhi aisa koi bairagi accha to bhale sant ban jae nahi to hamen lagta hai sant banna ab kalikaal mein dhire-dhire kathin ho raha hai. Santatwa mein chalna. Ab aise dhong karna to bahut lekin sachchai se chalne mein bachchon bahut kathin baat hai. Bahut kathin baat hai. Isliye hamen lagta hai sadhu bhesh to dharo mat. Sadhu bano. Andar se sadhu ban jao aur bhash sansarik rakho aur mehnat karke kamao khao.

dusron ko khavao aur khub bhajan karo. Yah badhiya hai. Theek hai? Haan. Shivpal ji jhajjar Haryana se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji maine kisi granth mein padha tha ki mrityu ke samay jeevtma apne sukshm sharir ke madhyam se bahar niklti hai to tatkaal uska sanrakshan karne ke liye uske purv swajan isht guru aadi ka sahyog milta hai. Kuch nahi kuch nahi sab nahi aisa kuch nahi hota. Jo agyani jeev sharir chhota hai to karm bandhan mein bandha hua hota swatantr nahi hota aur uski koi raksha karne ki zaroorat nahi hoti.

wah do prakaar ki gatiyon ko prapt hota hai. Ya to narki gati ko ya punya atma hai to swarg gati ko. Agar swarg gati ko jaata hai to devlok se ate hain usko lene ke liye. Agar nark gati ko jaata hai to yamdoot lene ke liye ate hain. Hari guru sabki raksha karte hote to baat ban gayi hoti na. Sabki baat ban gayi hoti aur jo bhakt hai uska jab sharir chhutta hai jo vastvik bhagwan ki bhakti karta raha hai ant samay mein smaran ho gaya bhagwan ka to bhagwan ko prapt ho jaata hai agar ant samay smaran nahi hua uska to punyavanon ke loko mein jakar ke sukh bhogta hai phir yahan mrityu lok mein Shri van kulvan dhanwanon ke yahan uska janm hota hai aur wah purv bhajan jahan se uska ruka hua tha wahan se phir bhajan chal ke wo bhagwan ko prapt ho leta to aisi gatiyaan aisa nahi ki sab parivaar ke swajan koi swatantr hai kya?

koi swatantr hai kya? Sab partantra hai. Karm ke vashbhut sab hain. To aisa thodi ki tumhare pita aa ke tumhari sameeraksha karenge. Wo na jane kaun se nark mein hai ya na jane kaun se swarg mein ya na jane kaun si yoni mein chale gaye. Wahan koi parivaar swajan sambandhi tumhara thodi hai. Sharir tak hai. Sharir ka kam khatm. Karm bandhan se wah jeev kahan kida banega jakar ki devta banega jakar ke kya banega uska koi yah sab pramanik kisi granth mein likha ho to hamen batao kyonki jahan tak bachpan se ham granth hi padhte rahe samjh mein aa raha hai aapko yah baat aisa hai jeev swatantr nahi hai jeev partantra hai karm ke parwar aur jis din karm par vijay prapt kar li usne to phir wo to bhagwan ka swaroop ho gaya brahm brahm bhavti wo to paramatma swaroop uska kahan ana jana hai.

jaise tarang samudra mein leen ho gayi to samudra ho gaye. Tarang ka astitva khatm ho gaya. To jab jeev ko gyan ho gaya to brahmvid brahm bhavti brahm swaroop ho gaya. Uska kahin ana jana nahi. Sarvatra vyapt kan-kan mein paramatma mein leen ho gaya. Sama gaya jaise tarang samudra mein leen ho gayi. Ab khojne par bhi tarang naam pata nahi chalega. Tarang vayu vikar jeev maya vikar maya vikar nasht hua paramatma swaroop ho gaya jab ana jana hai to wo jahan ana jana hai wahan ke parsad le jaenge mata-pita parivaar ye sab in sab ka pravesh nahi hai rajesh kumar ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab ye sharir bhakti karne yogya tha tab yah sharir prapanch mein raha parantu Gurudev bhagwan bhajan naam jap abhi shuru kiya hai ab ye sharir sharir ek avastha mein nahi baith sakta maharaj ji nahi baithna bhakti nahi hai bhakti ka swaroop hai tadpita akhilacharita tad smarnan param vyakulte devrshi narad ji kahte hain hamare har aacharan bhagwan ke anukul ho aur bhagwan ko samarpit ho anukul ka tatparya hai shastr dharm mariyada ke anusaar ab hamare aacharan ho koi bhi aacharan dharm ke virudh na ho paap aacharan nahi hona chahiye aur wah karm bhagwan ko samarpit hona chahiye.

jo bhi karm karen bhagwan ko samarpit karen aur uthte baithe chalte phirte khate pite sote jagte jab hamari smriti ave Radha Radha Radha Radha jo bhagwan naam priy hai wo naam ham jap kar rahe hain isi ka naam bhakti hai. Bhagwan ki leela kathaon ko sunna, bhagwan ki puja karna, bhagwan ke bhakton ka sang karna, bhagwan jahanjahan jo leela kiye un tirth sthaliyon mein jana to ye sab bhakti ke antargat aata hai. Baithna koi sadhna bhakti ki nahi hai ki ham baithkar hi bhajan nahi. Fawda chalate hue, jhaddu pocha lagate hue, vyapar karte hue, nokri karte hue bhi bhagwan ki bhakti kar sakte hain.

naam jap nirantar naam jap ka abhyaas karen andar hi andar aur bahar vihaar karte rahe to kya fark parta hai? To bhakti ka swaroop hai bhagwat smriti. Prabhu se chitt jode rahna. Maiyasakta mana bhagwan mein man jodna. Agar hamara man prabhu mein juda hua hai to hamari bhakti ho rahi hai. Wah ham chahe padhe hain to padhe hain hamara man bhagwan mein juda ho. Sharir ki sthiti ko bhagwan nahi dekhte. Aap ganga ji mein khade hokar galat chintan kar rahe hain to aapko galat chintan ka phal milega. Ganga ji mein khade hokar galat chintan karen to galat chintan ka phal milega.

aur aap soch mein baithkar ke badhiya chintan kar rahe hain to aapko badhiya phal milega. Sharir soch mein hai ya ganga ji mein? Isse matlab nahi zyada khas matlab aapka chintan kya hai? Aapka chintan yadi bhagwan ka hai to aapki bhakti ho rahi hai. Aapka chintan sansaar ka hai to Vrindavan mein rahte hue bhi bhakti nahi ho rahi hai. Chintan bhagwan ka chahiye. Jaise aapne tratak ke bare mein bola wo chahta tha ki vaisa nahi ho sakta baithe hue. Tratak bola tha ek bindu par. Dekho sabke liye sab sadhan nahi hai. Sabke liye sab sadhan nahi hai.

ab jo hamare samne jaise 500 jawan sadhak hai to unko to ham bolenge yar ek ghanta to baitho Padmasan mein ab wo jawan hai wo aram se baith sakte hain. Ab yah baat sabke liye nahi hai. Ab wo virakta hai. Unke liye alphar karo. Char ghante so aise chalo. Ab grihasth aadmi 4 ghante so ke kaise chal payega? Usko to sat ghante chahiye. Aur wo alphar karega to fawda kaise chalaega? Uske liye to accha bhojan chahiye. To yah dekhna chahiye ki updesh kisko diya ja raha hai. Agar updesh virakta ko diya ja raha hai to usmen se jo baten hamare layak hai wo ham le lete hain.

baka wo to virakta ke liye hai. Apne ko dekhna hai. Apne grihasth hain. Apna satmarg kaise chalna hai? Ya kabhi kisi baat par sanshay ho to pooch lena chahiye. Jaise abhi pucha. Theek hai. Ji ashish ji Radha vallabh shri maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji mera prashn hai ki jab naam jap karte hain to jinka naam jap karte hain yani na ke swaroop ka dhyan aata hai. Jaise Radha naam mein Radha ji ka swaroop ka dhyan aata hai. Jaise Ram ji mein Ram ji isi prakaar jab tatv rup mein Ram Krishna Radha ji ek hi hain to naam jap mein swaroop mein bhed kyon hai maharaj ji kyonki naam mein bhed hai na naam mein bhed hai na Radha naam liya to Radha rup unhone dharan kiya hai to Radha rup aayega Ram naam liya to Ram rup aayega shiv naam liya to shiv rup aayega agar Om naam leo to tatv aayega maharaj ji ek chhota sa prarthna hai kisi ne swaroop ke darshan hi nahi kiye hue hain to naam dekhi rup naam adina wo naam hi to karva raha

hai bina naam jap ke aise jhanki aa jaegi kya aise aa jaega kya ye chitrapton mein jo hai wahi hai kya are bhai koti koti rasna jo rom rom prati ho pyari jo ke rup ko na praman kaho jat hai jo ko koti kalp lag jive rasna kotik pave to ruchir badnarwind ki shobha kahat na ave jab ham Radha Radha Radha Radha Radha Radha bahut japenege hamara man nishpap hoga tab Radha rup jhalkega aur jab Radha rup jhalkega to premay ho jaoge samjh pa rahe hain aap maharaj ji prakrit swaroop chidanand swaroop ek nahi ho sakta kisi se nahi kadpi nahi ho sakta bhagwan ka kabhi prakritik rup hota hi nahi hai jaise yah chitrapat aap dekh rahe hain yah mansik kalpna mein aaya ismen jo syahi lagi wah mayakrit lagi hui ismen chitrakar ki bhavna hai.

jaise Manu ye sakhi hai tung vidya jo to aisi hai tung vidya jo kalpna kar sakte hain. Ab ham mani sankhya tung vidya jo mani sankhya jaise school mein sawal hal karna hota tha to lagaya jaata tha mani sankhya kuch bhi rakh lo aur sawal hal ho jaata tha to mani sankhya tung vidya jo ab ham inhe man ke he tung vidya jo pujan karte hain aur dhyan mein tatpar hote hain to ham prakritik tung vidya ke rup ka chintan karte hue chidanand rup mein pahunch jaenge. Yah jo hamara prakritik swaroop hai aaj tak koi syahi hi nahi bani jo Shyam sundar ki Shyamta hai.

aaj tak wah koi gora varn hi nahi hai jo hamari pyari ju ka hai. Pita arun anant tad latabham ek bijli chamakti to hosh kharab ho jaate hain. Anant bijliyan ek saath uday ho aisi kant hai shri Radha kishori ji ki kaise jhal payega koi to ham mana shri Radha ji aur pujan karne lage aur naam jap karne lage to hamari indriyon mein prakritik jo kshamta thi wo hatne lagi aur chidanand kshamta ane lagi dhire dhire dhire dhire yah rup gayab ho jaega jo asli swaroop hai wo swaroop aa jaega yadi naam jap kar rahe aur prakritik rup ki aradhna kar rahe jo prakritik ham pashan murti virajman kiye ya asht dhatu ya chitrapat rup mein inheen ki aradhna se hamen chidanand rup ki prapti ho jaegi.

hamen chidanand tak pahunchna hai. Haan chidanand tak pahunchna hai kyonki jaise hamare prakritik netr hain aur bihari ji chidanand mein hai to kya hamen sukh milta hai? Agar sukh mile to phir bihari ji ke siva kuch yad na ave. Bihari ji ke siva aur kuch dekhne ka man na ho. Sukh mile tab na ho. Lekin thodi der baad phir mandir dekhne lagte hain. Idhar udhar dekh ke phir accha to na wo netr hai aur na wo ham rup dekh pa rahe hain. Jo bihari ji ka rup Swami ji dekhte the wo ham dekh pa rahe hain kya hai to wahi bihari ji.

ab jab ham kunj bihari shri haridas kunj bihari shri haridas khub naam jap karen hamare netron mein jab chidanand power jage to dekhenge ki koti-ki kamon ko bhi murchhit kar dene wale bihari jo hai koti kam lawanya bihari koti kam karodon ek kam pure tribhuvan ko nachne nach nachae karodon kam ko bhi murchhit kar dene wale bihari jo hain ab wo bhajan se hoga khub ham bhajan karen bihari ji ki aradhna karen tab hamen netron mein netr mile manas netr tab phir ham chachchidanand main deh tumhari vigat vikar jaan adhikari phir adhikar wo aa jaega phir janne mein aa jaega abhishek pande ji phatehpur se Radhe vallabh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main ek vidyarthi hoon aur ghar se bahar akele rahta hoon.

kabhi-kabhi sabke beech mein purv abhyaas was hansi majak mein vani ya cheshta se galti ho jati hai. Ekant mein aata hoon, bhajan karta hoon to man itna tej jalata hai. To pehle pehle 10 minute naam kirtan kiya karo to vani ka aparadh nasht ho jaega. Jab ham bhajan mein baithe to uske pehle jo hamen naam priy ho wo naam dhvani se kirtan karen. To naam kirtan se jo vani ke dwara aparadh kiya gaya hai wo turant kshma ho jaata hai. Vak indri se jo paap banta hai agar hamko lagta hai ki hamari vak indri se truti ho gayi to ham naam kirtan karte hain.

phir naam jap mein baithe hain. To kirtan karne se nirparadh hokar ke hamare papon ka nash kirtan se bahut jaldi hota hai. Naam sankirtan yas sarv paap pranashnam sare papon ka nash hota hai. Aur phir ham shant bhav se baithkar ke naam ka chintan karen. Naam ka jap karen. Surendra bhatiya ji Radhe Radhe Radhe-Radhe guru ji guru ji paap kya hai aur punya kya hai? Jo shastr kahta hai ki yah karo use punya kahte hain. Aur jo shastr kahta hai yah na karo wo paap hai. Jaise stri swaroop char hain. Maa, bahan, beti aur patni.

aur ek stri swaroop patni se jo vihaar karna hai wah teen se nahi karna hai. Teen mein jo vihaar karna hai wah patni se nahi karna. Agar aap patni wala vihaar in teen pavitra sambandh to ye mahapap ho jaega. To jo shastr virudh aacharan hai unhen paap kahte hain aur jo shastr sanyat shastr niyat ki yah karna chahiye use punya kahte hain. Bhavna goswami ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji man va pratyek indriyon mein jo andhkar faila rakha hai wo samay nasht kar raha hai. Hamara is dusht man ko ham kaise keval prabhu mein hi lagaen.

janmajanma jaate ja rahe hain. Par maharaj ji kisi jeevan mein prabhu nahi mile aaj tak maharaj ji is jeevan mein unka naam aur isko kaise pakdu maharaj ji pakdo na kya jaban bhagwan ne di Radha Radha Radha Radha Radha Radha kan bhagwan ne diye hain bhagwan ki charcha suno aankh bhagwan ne diye sab mein bhagwan ki bhavna karo jaise bijli ke bina koi yantr nahi chal sakta aise bhagwan ke bina koi ye stri purush manushya pashu pakshi inme jo chetna hai ye sab bhagwan hi hai par man bahut pareshaan kar raha hai maharaj ji man pareshaan kar raha hai kyonki man ko tumne ne pareshani jagah mein laga rakha hai.

agar anand ki jagah mein lagao to anand mile. Anand sindhu Priya pritam hai aur pareshani ki jagah sharir aur sansaar aur bhog hain. To sharir sansaar bhogon mein lagaoge to pareshani paida hogi. Priya pritam mein lagaoge to anand prakt hoga. Ab Priya pritam mein lag nahi raha kyonki bahut janmon se sansaar mein laga raha hai. To ab prayas karo. Manushya janm mila hai. Praytn mila hai. Aap uthte baithe chalte phirte Radha Radha Radha Radha japne ki koshish karo. Chaturasi ji ka path karo. Shri ji ki seva virajman karo.

pavitra aacharan rahe. Sharir pavitra rahe aur aacharan pavitra rahe. Abhi man aandit hone lagega. Ab gande acharno mein man ja raha hai aur ham use chhut diye hain aur jo man aata hai wo karta hai. Jo man aata hai ham khate hain. Jaise man aata hai waise ham ji rahe hain. To man shant to rahega hi. Man ke anusaar nahi chalna. Dharm ke anusaar chalna hai. Prabhu ke anusaar chalna hai. Tabhi shanti milegi. Aap varita ji Haryana se. Radhe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji kya naam jap se manushya ki matlab meri rajogun ki pravriti badal sakti hai are rajogun ki baat kya rajogun tamogun to nasht hi ho jaenge aur satogun se upar trigunnatt avastha prapt ho jaegi naam jap nirantar jap ka abhyaas ban jae to y labdh apman siddho bhavti amrito bhavti tripto bhavti jo siddh ho jaata hai jo amrit pan kar leta hai jo tript ho jaata hai wah naam japak naam jaap naam mein samjhte ho badi apaar samarth naam bhagwan mein virajman bade

bhagyashali hain jo nirantar naam japne ka abhyaas lete hain par naam jap anand mile na mile sukh mile na mile labh mile na mile iski koi parvah na karke ek duty bye jab jap karen tab jakar sadhu dirgh kal nirantar satkar sevit dridh bhumi jo dirgh kal tak aadar sahit naam bhagwan ka nirantar jap karta hai wo dridh bhumi siddh ho jaata hai wo bhagwat prapt ho jaata hai pehle naam jap mein abhyaas ke dwara dhyan lagana sikhen sahi jap hath mein mala chal raha hai jaban mein naam chal raha hai man sansaar mein ghum raha hai abhi sahi jap nahi hua sahi jap hua mala ho ya na ho jaban chale ya na chale man ke dwara hamara naam jap par yah bahut unchai ki baat hai.

isliye naye sadhako ko ghabrana nahi chahiye. Nahi class bye class bhumika hai. Naam jap ki bhumika hai. To hamen pratham bhumika mein chahiye ki jibhya hilate hue naam jap karen aur jahanjahan man hamara jae wahan wahan se hatakr naam mein lagaen. Bar-bar ye abhyaas karen aur jahanjahan man jae wahan wahan bhagwan ko dekhne ki cheshta karen ki wahan bhi paramatma virajman. Koi bhi vastu, koi bhi vyakti, koi bhi sthan aisa nahi jahan paramatma na virajman ho. To naam jap karte karte do abhyaas karen. Ek to jahan jae wahan se hata ke naam mein lagave aur ek jahan jae wahin bhagwan ko dekhne ki cheshta karen.

wahin paramatma ko dekhne ki cheshta karen. Dhire-dhire hamara man ye ham nahi kah rahe ki tum do mahine mein siddh ho jaoge. Char mahine mein. Abhyaas lamba kheenchna padega kyonki bahut janmon ka abhyaas hamara vishay chintan ka hai. To jab ham naam ko dhyan purvak japte hain. Dhyan purvak kaise kahte hain ki jaise hamne kaha Radha to ab hamare kan mein gunj gaya Radha. Hamari ankhon ke samne likh gaya Radha. Chahe ankhen band ho chahe khuli ho. Koi jaban nahi chal rahi andar se. Radha Radha ya Ram Ram Ram Ram aise ek dhvani chal rahi aur ham usi dhvani mein dubte chale ja rahe hain.

to jab ekagrata hoti hai naam jap ki tab use dhyan sahit jap kahte hain. Aur jab ekagrata tik jati hai ghanta do ghanta tik gayi tab use sampragyat samadhi kahte hain. Aur jab ekagrata uthte baithe chalte phirte khate pite sab samay bani rahti hai. Ek kshan ke liye bhi naam nahi chhutta to use asam pragyati vichakshana samadhi kahte hain. Wahi siddh purush ho gaya. Kabir das ji kahte thade baithe pare utana Kabir kahe ham thikana. Chahe ham khade hain ya baithe hain ya pare hain ya kha pi rahe hain. Ham thikane mein rahte hain.

arthat har samay bhagwan ke chintan mein rahte hain. To yadi is prakaar naam jap kiya jae to naam jap se trigunnatt avastha samadhi paramatma darshan leela mein pravesh jo chahe wah sab prapt ho sakta hai. Naam se badhkar koi sadhna nahi hai. Naam hi jeevan ka sar hai. Aisa nahi ki apne sadhan nahi kiye. Apne ashtang yog ka sadhan kiye hue hain. Sankhya yog ka sadhan kiye hue hain. Karm yog ka sadhan kiye hue hain. Sab karke aapko bata rahe hain ki sabka sar hai naam mein priti ho jana. Har samay madhur madhur bhagwan ka naam chal raha hai.

jo naam priy hai. Agar naam nahi hai to ham sab adhura samjhte hain. Jiske jeevan mein naam nahi uska jeevan kuda hai. Jaise shunya shunya shunya kya matlab rah gaya? Ab ek lagao phir shunya rakho to 10 ek shunya aur badha do 100 ek shunya aur badha do hazar wo badhta chala jaega ek hai naam agar naam rupi ek hai to aur sadhan rupi shunya lagate chale jao mahima badhti chali jaegi aur naam rupi ank hata do to shunya shunya shunya shunya koi uska arth nahi rahta isliye sabko naam jap karna chahiye naam jap se rajogun hi nahi tamogun bhi nasht ho jaega satogun ke upar avastha aa jaegi.

trigunnatt gunatit avastha aa jaegi. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji asang kaise raha jae? Iske kya niyam hai? Matlab inka divorce ho gaya maharaj ji. Uske baad jeevan mein asang rahne matlab chahte hain ki mansik aur adhyatmik unnati hoti rahe unki aur aajkal ke modarna jamane mein kaise maharaj ji isko jab tak ham antwritti ko bhagwan se nahi jodte hain tab tak asangta ho hi nahi sakti kyonki man kisi na kisi vastu vyakti sthan ka aashray liye bina rah nahi sakta. Iska swabhav hai. Yah aashray le hi rahega.

dekho aap shant hokar dekho to koi vyakti chal raha hai dimaag mein ya koi vastu ya koi sthan ya koi ghatna ya koi paristhiti wo aashray lekar uska chintan karta rahta hai. To iske in ashrayon ka jo purv mein aashray lekar apne andar kaiset bana li hai jab ham naam jab karte hain tab hamen khol ke dikhata hai ki yah kamai hai hamare paas to hamen use delete karni hai aur nai hone na pave. Iske liye hamen har samay naam jap karna hai. Andar se vritti jodni hai. Ab bahar se anguli se mala chal raha hai aur jaban chal rahi mukh mein aur man chal raha hai sansaar mein to bhi asang nahi ho paye.

man maiyasakta mana Parth bhagwan ne kaha mere mein aasakt man wala bane to bhagwan ki jab ham leela kathayen sunte hain jaise bhagwat ka dasham skand hai ham swayam padhen ham khub kano se sune bhagwan ki leela kathayen sunte hain bhagwan ka naam jap karte hain aur bhagwan ke marg mein chalte hain to hamare andar ek power aata hai bhagvatik power usse ham asang rahte hain hamen accha hi nahi lagega aise lagta hai ki main akela hoon. Koi to mera hona chahiye. Aisa lagta hai na sabko lagta hai jiske ham god mein sir rakhkar chain se so sake.

wo keval bhagwan hai. Nahi to sansaar kapti hai. Ye paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanch. Upar se kya hai? Andar se kya hai? Jaan pana bada kathin hai. Upar se kuch aur bhasha hai aur dikhava hai aur andar se bahut aur dikhava hai. To ek hai jo bhitar aur bahar donon se ek hai wo bhagwan hai. Bhagwan ka ham aashray len. Jisse bhi mile hamara pavitra vihaar hona chahiye. Ganda aacharan nahi hona chahiye. Koi hamko gali de to ham sun ke sah jae. Ham kisi ko palat ke gali na den aur naam jap karen to dhire-dhire hamare andar adhyatma ki wah yogyta aayegi jise asangta kahte hain.

asango ham purush main asang hoon. Yah aisa anubhav hoga kyonki vastvik ham asang hai. Hamara jo swaroop hai wo asang hi hai. Wo kabhi par wo swaroop jo hai galti kar baitha. Deh ko main mankar antahkaran man buddhi ko main mankar wo phas gaya. Isliye naam jap karo, bhagwat charcha suno, satsang suno aur achhche aacharan karo, pavitra aacharan karo. Tabhi asangta hai. Galat aacharan karen aur adhyatma ki baten karen to wo baten baten keval hai. Jeevan mein prakash nahi hoga. Agar jeevan ko unnatisheel banana hai, badhiya sukhmay jeevan vyatit karna hai to gande acharno ko pehle roko.

jo paap aacharan hai unko roko. Achhche aacharan karo aur naam jap karo. Baba iska bal aapko nahi yah bal jo hamen jahan se mila hai wahi khajana tumhen de rahe hain. Man lo ham kah rahe Radha Radha jap ko bhagwat charcha suno to isi se to hamen bal mila hai. Jis bal se ham tike hue hain wahi bal ham sabko de rahe hain. Agar is bal ko aap sweekar karen to lambe samay mein aap khud anubhav karenge ki aapke andar kaisi kshamta badh rahi hai. Aapke andar kaise bhav badh rahe hain. Ji sourabh Sharma ji saharanpur Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam Gurudev bhagwan Shrimad bhagwat gita mein bhagwan shri Krishna kahte hain ki kam krodh aur lobh ye teen prakaar ke nark ke darwaze jeevtma narkasdam dwaram nashnatman kam krodha tatha lobha tas maharaj ji in tino ka tyag kar dena chahiye parantu is bhautik sansaar mein rahte hue ye chijon swat hi jeevan mein aa jati hai maharaj ji aise mein is narak se kaise bahar nikle bhi sae ka kha jaoge swatah vish aa gaye to kha jaoge kya?

vivek hai ki yah vish hai. Yah khady nahi hai. To swatah hamare samne agar bhog ate hain to wah dharm yukt hai ya adharm yukt. Jaise bhagwan ne kam ko nark ka dwaar bataya to ek jagah kam ko apna swaroop bataya. Vibhutiyon mein jab bhagwan vibhutiyon ka varnan karte hain to kahte hain dharm yukt kam main hoon. Jaise pani grahan kiya dharm yukt patni shastr sammant sweekar kiya aaj jo yah vybhchar pravriti chal rahi na yah nahi shastr pramanit kul parampragat dharm yukt panik grahan vaidik mantro ke dwara agni ko sakshi karke jisko sweekar kiya santanotpatti ke liye usse kiya hua bhog wo bhagwat swaroop hai wo paap nahi hai wo uske liye dosh nahi hai aise stri ke liye hai.

apne pati ke saath sahwas karna dharm hai aur dusre purushan ko kam drishti se dekhna matra paap hai. Par ye baten kalyug ka prabhav kaisa chal raha hai? Itna ganda vatavran hota ja raha hai. Pavitra jahan chaai rahti hai wahan sanshay ho raha hai. Wahan ab sanshay ho raha hai. Aise pavitra sambandho mein ye gandi baten pravesh kar rahi hain. Jahan dimaag kam nahi karta aisa kaise ho sakta hai? Samaj mein kitni gandagi fail rahi hai. Kitna ganda vihaar ho raha hai. Yah samjha hi nahi ja raha ki yah dharm hai. Sharir ko pavitra rakhna dharm hai.

jaise stri sharir hai. Isko jab tak byah na ho tab tak pavitra rakhna yah dharm hai. Aur phir pati ko pavitra hokar samarpit karna aur aajeevan us pati ke adhin rahna yah dharm hai. Aise purush ke liye hai. Jab tak pani grahan na ho tab tak brahmcharya rahna dharm hai. Aur jab ardhangini mil jae to use pran ke saman pyar karte hue uski galtyon ko kshma karte hue uski manokamnaen purn karte hue use dharm ke liye usse anumati lete hue sahaj mitrvat bhav se aajeevan par karen. Ye grihasth dharm hamare sanatan dharm ka hai.

ab aaj kya ho raha hai? Aaj kya ho raha hai? Ye bahut gandi baten ho rahi hain. Aap sab naujawan bachchhe sambhlo. Isse tumhara jeevan bada sankat purn ho jaega. Bachchyan ek boyfriend breakup do boyfriend breakup teen boyfriend breakup ye kya chal raha hai ise kya kaha jaata hai vaishya pravriti jo kai purushan se sambandh banae use kya kahte hain aur jo kai ladkiyon se sambandh banae use vyabhchari kahte hain. To ab vyabhichari aur vaishya pravritti andar dharan karna. Ab isse aap sadgasta ban jaenge.

jab aapko patni milegi to aap apni patni mein santusht nahi rahenge. Jab aapko pati milega to aap pati mein santusht nahi rahenge kyonki aapka vybhchar karna swabhav ban gaya hai. Isliye dharm yukt byah aur usse phir jo santan utpatti ke liye bhog kiya jaata hai wo kam bhagwat swaroop hai. To aisa nahi ki hamare samne har bhog aa gaya to ham use bhoge. Hamare andar vivek hai. Dharm yukt bhog hai to use ham bhoge. Dharm yukt nahi hai to ham uska tyag karen. Nahi to hamen nark jana padega. Jo par purush se rati karte hain ra narak kalp sat par pativanchak parapti rati kar raro narak kalp sat par jo apne pati ka tyag karke dusre purush se sambhog wo saikadon kalp tak narak bhogti hai aise purush ke liye likha hua hai usmen Shrimad bhagwat mein padh ke dekho jahan narkon ka varnan hai jo purush dusri stri se sahwas karta hai to wahan lohe se tapi hui stri nark mein aur usi ka aalingan karwaya jaata hai aur marna hai nahi wahan ab varsho usi mein chipkae rakha lo bahut hosh mein bahut hosh mein aisa nahi hai ki karmon ka phal nahi milta bahut jab karm apne swaroop mein aa jaega to bade bado ko dand deta hai bade-bade sant mahatmaon ko bhi dand deta hai bakhashta nahi hai bade-bade santo ke jeevan mein dekha gaya to yah karm bahut balvan hai yah nasht nahi hota yah dand deke hi nasht hota hai isliye karm bahut savdhani purvak karna chahiye to bhagwan ne teen ko narak ka dwaar bataya.

kam krodha tatha lobha. To krodh ki swayam utpatti nahi hai. Iski kam se utpatti hai. Kama sanjayte krodha kam jab hamari vritti uday hoti hai usmen badha padti hai to hamare andar krodh aa jaata hai. Krodh swayam nahi aata. Krodh kamna mein badha padne par aata hai. Jaise kahte hain ki aap hamse namr vihaar karen to ye hamari kamna hai aur jab aap namr vihaar nahi karenge to krodh aa jaega. Kyonki hamne kamna ki. Kamna agar na ho to krodh ki satta hi nahi hai. To kamna se hi krodh prakt hua.

aur jo lobh hai wo kamna se hota hai. Kamna purti hone par lobh hota hai aur kamna ki apurti hone par krodh hota hai. To mul jo hai wo kam hai. Isiliye bhagwan ne gita ji mein kaha ye kam sabse bada shatru isko mar dalo arjun arthat nishakmata jab tak nahi aayegi tab tak shanti anand sadgati nahi hone wali. Isliye bhagwan ka naam jap karo. Achhche aacharan karo. Aae hue samasth bhogon ko nirnay karo. Vivek ke dwara ki dharm yukt hai ki adharm hai. Ab yah dharm nahi ki koi aapke samne akar kahe mujhe bhogo to nahi tum hamare kis dharm ke department mein ho jo ham tumhen sparsh karen.

nahi yah paap hai. Main kabhi nahi karunga. Aisi himmat honi chahiye. Par aise kya hai? Yahan to janbujhkar galat acharno ki taraf kud rahe hain. Bina adhyatma ke pashuv jeevan hota hai. Isliye shastr swadhyay aur sant sang adhyatma jarur janna chahiye. Aaj ke naye bachchhe adhyatma ko jante nahi. Isliye adhyatma anivad hai. Ham soch samjhkar karya karen. Hamara karm bada prabal hai. Wah hamko dand dega. Isliye koi aisa karm na karen. Bahut savdhaan rahe. Jaisa man mein khyal ate rahte hain kuch bhi to kya unka bhi paap lagta hai wo bhi nahi kalyug ka ek anya yugo mein to lagta tha kal kar ek punit pratapa manas punya hoe nahi papa manas punya to lag jaega jaise aapke man mein aaya ki ab hamare paas rupya hai kal chalte hain aur bihari ji ka bhog lagakar sabko bantte hain aur aapke samne kal aisi vipatti aa gayi ki rupya bhi gaya aur aap bhi na paye to aapko punya milega lekin haan wo punya milega le haan bhavna ka lekin aapne socha ki kal inko mar

denge paap nahi mare to paap nahi lagega kalkar ek punit pratapa manas punya hoe nahi papa agar mansik paap lagte to tab to pahar jaise paap ikttha ho jaate kyonki man paap to sochta hi rahta hai to kalyug mein mansik paap nahi lagte hain Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha ji ke darshan aap apni mukti varnan karen ye nar Baba thoda sa swaroop samjha thakur ji ko ye Baba treta yug se virajman hai narsingh bhagwan ek stambh pe baithe hain stambh pe 31 patti ko kamal baitho hai aur 31 patti ke kamal pe thakur ji aise pair karke aur apni janga pe hiranyakashyap rakh ke vakshasthal vid kar rahe hain apne hath se aur ek hath mein gadha hai aur ek hath mein padm hai aur ye thakur ji ki aap dekh rahe ho ye juaa hai thakur ji ki ji Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Ram haan.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…