man bar-bar chhodi hui aadaton ki or le jaata hai, bahut pareshaan ho jaata hoon, kya karu ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
gaurav pande ji Radha vallabh shri Harivansh maharaj shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapse satsang mein suna ki hamko sirf naam jap karna hai aur iske siva ham kuch kar bhi nahi sakte agar kuch kar sakte hain to sirf apna bura kar sakte hain agar chhut ho jae to ham kahan gire ye hamara chintan kahan hamare hriday ki maang kya hai hamari drishti kahan agar ham ruke hain to kripa ki baadh hamen roke rakhiye maharaj ji aapki kripa se sab accha chal raha hai par kabhi-kabhi man jo purane vyasan chhut chuke hain sansarik pratikultaa ane par bahut jor se udhar le jaata man jisse pareshaan ho jaata hoon aur is man se isi se to rachna hai naveen kusang se aur purv sanskar se hamara yuddh hota rahta hai jaise naveen koi hamne drishya dekha koi baat suni koi bhog sanidhy hua bhogne ki ichchha hui naveen kamna bhoge hue bhogon ki trishna yahi isse to yuddh hona hai wo bhoga tha accha laga tha ye man chintan karva ke udhar le jana chahiye rahta hai usi samay na ab nahi ab lo nasha yadyap bahut bura lagega man ko bahut bura lagega wo
aapko jalega aur us jalan ko sah jana hi adhyatma hai yam hi na vyathte pursham purushav jo man ke dwara di hui vyatha se parast nahi hota vyathit nahi hota ka matlab hai parast nahi hota jaise ham aapse milna chahte hain aur koi hamen sukh mila hai aapse ab man vivash karega aapke paas chalna nahi agar galat hai to nahi mujhe jana nahi ab wah jalega na bhajan mein lagega na kahin nahi lago bas wo bar-bar wahi prashn karega wahi chalo wahin chalo wo bar-bar wahi bhog mangega hamko bar-bar kar nahi tu chahe mar dal main nahi jaun kuch bhi kar Radha Radha Radha wo thodi der jalan dega shant ho jaega phir dobara jab uthga to pahli bar 15 minute jalan di thi.
ab abki bar 10 minute jalan dega. Phir panch minute phir do minute phir sada sada ke liye Radhe-Radhe ho jaega. Par itni kshamta rakhni padegi ki uske is war ko sahna padega. Uska swabhav hai pramthan. Man ko mat dalna. Ekdam yar sab baad mein dekhenge. Pehle yah kha lete hain. Pehle ye bhog lete hain. Pehle ye pi lete hain. Pehle ye dekh lete hain. Uska aisa swabhav hai. Man ke swabhav ko sah jana yahi sadhuta hai. Sahit sahit baadh bhagat grih tan guru hitgar. Jab na sahyan ho to ro pado bhagwan ko sakshi karke.
he nath aap dekh lo hamari durdasha hone ke liye. Ye kya man kar raha hai. Prabhu aap sambhalo. Mujhe samarth do. Prabhu us samay prabhu ko pukare. Us samay naam kirtan karne lage. Us samay satsang sunne lage. Us samay kisi sadhak se batchit karne lage. Ekant mein to phir tik pana bada mushkil hai. Jab hamara man kisi vishay par araj gaya ho aur ham ekant na ekant mein tumhara bar-bar tumhen parast karega. Us samay hamko khojana hai ki kis vishay se shant hoga. Koi shastr swadhyay koi satsang sunna kisi sadhak ke paas baith jana kuch nahi hai to jorjor se bhagwan ko pukarna Radha Radha kishori he Lalu he prabhu mujhe bachao mera man aise kyonki isko sahna bahut kathin hai.
baten bana lena updesh de lena updesh sun lena sab saral hai. Lekin jab yah hatheela man kisi vishay par hat kar leta hai ki mujhe yah chahiye mujhe bhogna hai. Phir bada mushkil ho phir to matlab ghbarahat paida kar dega bhari jalan paida kar dega vyatha paida kar dega kahin lagega nahi to aapko bhi buddhi salah degi are kar lo aaj ke baad kabhi nahi karenge par aaj kar lete shant to ho jaega man bas mar gaye ab fansa liya phir shanti jab hogi na to kahega ki nahi karunga par punah jab sankalp bharega to tum lad nahi paoge turant wahi karna padega phir do char bar harne ke baad man kya kahega ab tum jit sakte hi nahi.
lage raho isi mein. Phir wo jeev ki yar sal bhar to hamne chhoda tha. Phir yar ham nahi chhod paye. Phir ham gir gaye. Ye pahla jo vishay chhoda hai usko chans mat do. Agar chans diya to phir tumhen chans nahi dega wo jitne ka. Ye pakka samjh lo. Pura jeevan ka jeevan nikal dega aur aapki himmat nahi padegi ki usse aap lad sako. Aur ek bar ladna seekh gaye ho. Ek bar parast kar diya to aapke andar anand uthga ki yar wo baat se ham bach gaye. Wo baat se ham bach gaye. To aap har baat jo buri hai usko aap parast kar denge.
ye adhyatma ki baat hai. Thoda ismen sahan karna sikhna padega. Titakshu bhagwan agyaa karte hain matra spastu kaunte sheetoshna sukh dukhda ye jo hai agma pano anityasta titas bharat ye agma pana ane jane wale hain inko takshas bharat inko sa matra sparshastu kaunte sheetoshna sukh dukh ye jo garmi sardi anukulta pratikultaa labh hani ye nana prakaar ki ye ane jane wali hai kam krodh lobh ye vrittiya ane jane wali tikne wali nahi. Isliye he arjun tum inko sahan karo. Yah bhogne se nahi shant honge.
aur hamari indriyan chanchal hai aur man indriyon ke adhin hai aur buddhi man ke adhin hai to wah bhi salah deti hai bhog lo aur agar buddhi bhagwan mein lagi hui hai to wo kahegi nahi galat hai ham nahi karne denge. To agar buddhi na kar de to man kuch nahi kar sakta phir. Lekin man itna balvan hai ki wah buddhi ko apne adhin kara ke dastakhat karva leta hai. Indriyon ke saath bhi manmani vichran karta hai. Isliye khub naam jap karo. Satsang suno aur sahan karna sikho. Jo sahan kar gaya wahi age badh gaya. Jo tut gaya wo bikhar gaya hai sansaar mein.
abhi chha sat din pehle aise hi hua tha ki matlab jo waise chhut chuke hain puri tarike se to kuch aisi chijon hui kisi se batchit kahasni ho gayi to man bar-bar usi chijon mein le ja raha tha pura. Nahi. To matlab jaise aap kahte hain ki vichar aayega phir sanskar banaega phir sankalp hota hai to wah ho hi gaya tha phir mujhe laga ab main bhrasht ho jaaunga to bhagwan se prabhu ab nahi ho pa raha hai ham bhrasht ho jaenge usi samay kuch aisa prabhu ne kripa ki ki hua to kriya nahi ho pai kisi tarike se to bach gaye ab jaise maharaj ji man mein aata hai ki ab jaise diksha ab kripa ho rahi hai aapki kripa se hi sab ho raha hai varna ham to kisi layak nahi the ham to kahan pare the wo to hamko hi pata hai aapki kripa prabhu ki kripa hui to ab jo upasna mili hai wo aapki kripa se kar pate hain kar ho rahi hai phir man mein ye ab dar lagne laga hai ki se diksha le li.
uske baad age chalke phir aisa hua kahin kuch kriya yahi dar wo tumko giraega. Yahi dar giraega. Tumhen darna nahi. Main mar jaun lekin punga nahi. Mar jaun gaunga nahi. Mar jaun bhogung nahi. Tu kar tu kitna bhi bar-bar karm main nahi kabhi karunga. Kabhi hat karke dekho. Tum itna darpok kyon ho gaye? Itna dar kyon? Daroge mar daelga. Bilkul baat pakki samjho. Dushman se darna nahi hai. Agar dar gaye to phir tum phir to mar daelga phir to mar daelga phir aapko dekho na diksha ke liye ghbarahat paida kar dena wo aapko satmarg se rokega aapko kahna hai mar chahe jaun andar hi to hai wo andar hi sun raha hai aap sankalp karo ki main mar mar chahe jaun kabhi punga nahi marna bardast karunga pina nahi galat aacharan nahi karunga bilkul nahi karunga wo andar ek sophta jagah rakhta hai haan haan kabhi to ho sakta hai usi jagah mein prhar karo nahi kadpi nahi kadpi nahi bas hat karo nahi nahi wo aapse birjega kamzor karega bas yahi to yuddh chalta hai aur sahi pocho to aap par keval prabhav dur se dikhata hai apne mein milane ke liye kuch nahi kar sakta wo aapka aapki swikrati ke bina kuch nahi kar sakta wo aapko dara ke dhamka ke sukh ka pralobhan de ke nishchintita ka pralobhan aram ka pralobhan dekar wo fansa deta hai.
aap dastakhat kar dete. Chalo yar bad mar gaye. Nahi bach gaye. Ab ye naam jap karo isi yahi kala aa jaegi. Adhyatma ki kala aa jaegi. Aap chinta na karo phir bhagwan sabke rakshak hain. Par jo galti chhodi ab lau nashani ab nan se use punah mat karo. Nahi to bar-bar phir ye bhrasht karta rahega aur ek bar aapke man mein aa jaega ki main nahi chal paunga. Adhyatma mein main nahi chal paunga. Main yogya nahi hoon. Ab jo hoga so hoga to ham bas aise mar deta hai bhagwan ke ashrit ji.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…