॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #908 · 13 mai 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Vrindavan dham ki jai shri satgurudev bhagwan ki jai Pranav ji pu se Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji kya shri ji lakho bhakton ki ek saath uthi pukar ko sunti hain jab sabhi hriday se ek hi bhav se hi mangte hain ki hamare Gurudev unki ayu badhe unka shareerik kasht kam ho to kya wo karun pukar shri ji tak pahunchti hai suno bharat bhavi prabal bilakh kaho muni hani labh jeevan maran jas apjas vidhi yah pehle se nischit ho chuka hai.

usko nahi tala ja sakta. Jis din is sharir ki mrityu honi us din honi hi hai. Chahe 50 karod log vinay karo to panch second nahi badhaya jaega. Ye agar badhaya ja sakta aap vichar karke dekhiye. To jinke putr bhagwan shri Ram hai un mata kaushilya ko vidhva kyon hona parta hai? Kya wah apne pita dashrath ji ko lekin ayu khatm to khatm pakka sun lo bhagwan ne bhi aisa to isliye hamen lagta hai ki ham jab tak ek dusre se mil rahe hain tab tak ham itne balvan ho jae adhyatma balvan ho jae ki hamen kisi aur ki zaroorat hi na pare aur ham apne anubhav se is maya ke path ko pura kar len.

yah zaruri nahi hai ki hamara aapka saath bana hi rahe. Yah bichhdega. Yahan ka niyam hai. Yah sansaar ka niyam hai. Ham aap ek saath barabar nahi rah sakte. Yah sharir yah sharir pata nahi dekho hamko doctor ne kaha tha ki Baba aap sant ho isliye aapka koi gardiyan nahi ki main usse baat kar sakun. To aapse direct baat karta hoon. Aap dhai varsh ya 5 varsh aapki jis kidney ki jo halat hai wo aap dhai varsh ya panch aaj ke 20 varsh pehle kaha tha dhai varsh ya panch varsh aur char panch doctor milkar ke aisa Swami shri Ram Sukhdas ji ke santo ne wo sab vyvastha ki thi ham to akinchan bhikshavitti se jite the hamare paas to ek paisa bhi nahi tha to unhone kaha ki aap dhai varsh ya panch varsh to mujhe kuch bhay nahi laga mujhe laga ki bahut kam samay mein bhagwat prapti ho jaegi do dhai varsh mein ya panch varsh mein bhagwan mil jaenge.

ye 20 varsh ho gaye. Yah bhagwan ke will ko jana nahi ja sakta hai. Accha kai bar aise jhaatke ate hain ki ham ham bhi inko bol dete hain ki dekho tum log ab sab apne sambhalo kabhi bhi hamara sharir chhut sakta hai. Aisi paristhiti aati hai aur phir ek do din mein teen din mein to ham yah samjhte hain ki aap logon ki prarthna in jhatkon se hamen bacha rahi hai. Jo pure bharatvasion ki prem ki bhavna hai ye gire gire phir ekdam bilkul sambhal jaate hain. Lekin antim tithi ko nahi tala ja sakta. Jo antim tithi hai use nahi tala ja sakta.

wo nischit hai. Wah hamari bhi samjh mein nahi hai aur kisi ki samjh mein nahi hai. Wah jab aayegi to kisi ki prarthna kam nahi karegi. Usmen jana agar aisa hota to bade-bade siddh mahapurush hue hamare bharat desh mein aur log prannon se bhi adhik pyar karte the. Wo kyon jaate? Dekho chaitanya mahaprabhu chale gaye. Harivansh mahaprabhu chale gaye. Swami haridas ji chale gaye. Nabadkacharya Vallabhacharya shankaracharya bade-bade mahapurush aae aur antardhya ho gaye chale gaye to ham sabko bhi jana hai jane ki tayyari kar lo jo pehle se tayyar na the pachta pachta kar chale gaye ham sabko jana hai jane ki tayyari bas karni hai khub naam jap karo paap karm ko isi janm mein bhasm kar do naya koi paap karm na karo swagat hoga bhagwan ke darbar mein aapka ki aapne manushya janm lekar apna kam pura kar liya vrichni sharan ji maharaj jai maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam.

maharaj ji pichle kuch samay se naam mahima ka jo aap varnan kar rahe hain ki ek se 13 karod tak ki mahima ka varnan maharaj ji jo sadhak ladli lal swaroop apne Sadgurudev bhagwan ki charan kripa se unki alaukik lift mein baith gaya hai wah is koti ganna mein aayega ya nahi maharaj ji koi bhi swas hamari prabhu ke naam se vilag na ho bas hamara niyam yahi hai Harivansh naam bire na chhin shri Harivansh sahai bhal Harivansh bhrose bhay nidar nit garjat Harivansh bal bharosa acharya ka isht ka aur nirantar naam jap hamen ganna nahi karni ki kitne karod hamen japne hain.

ab pata nahi sham tak jie ki na jie to karod ka sankalp hamara kaise pura hoga. Ab ham koi avinashi sharir wale to hai nahi. Vinashi sharir hai. Ab kab chhut jae isliye hamen har shwas naam jap karni hai. Sankalp to tab pura hone ki baat ho jab mujhe pata hai main kal jiunga. Jab pata hi nahi ki kal tak jiunga ki nahi jiunga to kya sankalp nirantar naam jap karen aur pyari ju ke gore charnarvind ke bhrose mein rahe. Unhin ki kripa se hoga. Kaise papi kyon na ho Harivansh naam jo le alak ladti rijh ke mahal khavasi de bole kaisa bhi papi kyon na ho jo shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh aisa naam jap karta hai to Priya jo us par rijh karke apne mahal ki sahachari bhav ki seva pradan kar deti khavasi ka matlab hai sahachari bhav dasi bhav ki seva pradan kar deti hai to apne to sharanagat jan hai apne sankhya wale to hai mein apne sharanagat jan hai priyaju ke bhrose hain.

unhin ke bhrose mere bal shri Vrindavan rani jah nirantar sevat mohan ban vinod sukhdani mere bal shri Vrindavan rani jinki charan kripa te pai kunj keli ras sani jaisi rup lal hit hath bikani to nidhi pai manmani mere bal shri Vrindavan rani hamari upasna mein bik jana hai pyari ji ke hath bik gaye ab jaise ham adham nich pamar jo kuch ban raha hai wah kar rahe hain. Bakaya ham aapki sharan mein hain. Aapki kripa se hamara mangal udhar ya sahachari bhav se seva jo hai wah sab aapke charan kripa se hai. Apne logon ka bhav aisa hai.

shilpa ji Himachal se Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji guru ji man bahut malan ho chuka hai. Koi khas gun na hote hue bhi bahut jaldi ahankaar aa jaata hai. Sahenshilta bahut hi kam ho gayi hai mere mein. Thodi si pratikultaa ane pe bahut zyada ghabra jati hai. Haan naam jap karo. Naam jap se sab bal aa jaega. Karti hoon lekin sahan nahi hota. Nahi abhi karti nahi hoon. Dawa khae aur parhej se rahe to dawa zyada kam karti nahi. Gande aacharan, gandi baat, ganda chintan, ganda vihaar ye band karo aur naam jap karo.

dekho prabhav aata hai ki nahi? Naam jap ka. Bade se badi samasyaon ko shant bhav se muskurate hue sah jana ye adhyatmvan ki samarth hoti hai. Sansari aadmi jinme vichlit ho jaata hai adhyatmvan unmein gambhir rahta hai. Shant rahta hai. Prasann rahta hai. Aur abhi sharir svasth hai aap logon ka lekin chintan ho raha hai dukh alay sansaar ka to aap pareshaan ho. Sukh ki sanidhi mein bhi pareshaan ho. Pata nahi aisa na ho jae kahin aisa na ho jae. Kahin yah na ho jae. To ye overthinking vyarth ki bhut bhavishya ka chintan kyon Radha Radha Radha hoga wahi pyare jo Ram ji ko bhaega wahi hai soi jo Ram rach rakha ko kar tark badhav shakha as kah japan lage hari nama Radha Radha Radha Radha kya chinta karna anant bramhandon ka poshan bhagwan kar rahe hain ham unke das hain ham unki sharan mein wo hamara bharan poshan nahi karenge kya aur sharir bana hai paap aur punya se to sukhdukh bhogna hi padega.

jaise ham na chahe to kya raat nahi aayegi? Aayegi. Ham na chahe to din aayega. Aise hamare chah se nahi sukhdukh aayega hi aayega. Wo kram hai. Ab hamko ladna hai. Sukh mein abhiman nahi karna aur dukh mein hamko vyakul nahi ho jana. Hamko majbut rahna hai. Uske liye hamen chahiye naam jap. Uske liye satsang chahiye, shastr swadhyay chahiye, pavitra aacharan chahiye, pavitra bhojan chahiye. Tab baat aayegi. Ahankaar kis baat ka? Aapne apne sharir mein kya banaya hai? Aap batao aapne apne hi sharir mein aapka kya yogdan hai?

kuch nahi. Aap bataiye ki kya yogdan hai? Bhagwan ne banaya nahi. To na to sharir ka abhiman karna kyonki bhagwan ne banaya hai. Accha andar buddhi usmen aapne kya kiya hai? Kuch nahi. Jitni bhagwan ne di utni hai aapke andar. Chahe buri buddhi ho ya achchhi buddhi ho karm ke anusaar waisi hai. Aap ho kya? Aap kar kya sakte ho? Aapne kiya kya hai? Kis baat ka abhiman? Hamen to yahi samjh mein nahi aata ki jab ek yantr mein jo chadha hua nach raha hai jaise kathputli hai aur wah nach rahi aur abhiman kare ki main to bahut badhiya nach leti hoon to bekar ki baat hai wo parde ke piche baitha hua jo anguliyon se nacha raha hai wo kalakar hai wo jaisa chahta hai vaisa kathputli nach rahe to Uma dar joshit ke nai sab nachavat Ram gosai charachar jagat bhagwan ke nachae nach raha hai kahe kahe ko vyarth mein abhiman le ki main gunvan main sadgun mere andar ye kuch nahi bhagwan ne jahan tumhen janm diya bhagwan ne tumhen jo rup diya bhagwan ne tumhen jo gun diye wahi hai tumhare andar to tumhare abhiman karne ki kya baat hai wo to bhagwan ki di hui baat hai nahi naam jap karo to buddhi shuddh ho jaegi to jisse abhiman nahi aayega khub naam jap karo satsang sunte raho Sukhdev chakravarti ji Radhe Radhe maharaj ji Radhehe maharaj ji maharaj ji man, buddhi, chitt aur aham kaun kahan kis sharir mein virajman hai?

maharaj ji thoda sa jagrit avastha mein sthul sharir ka prichay milta hai. Jaise aap ja rahe ho sthul sharir ka prichay milta hai. Ismen jo harkat hoti hai sthul mein wah sukshm se hoti hai. Sukshm mein jo power aata hai wo karan se aata hai. Wah power hai. Jaise aap parde mein jo harkat hoti hai wah balakni ke niche se focus aata hai. Film mein jaise aap dekhne jao na to balakni ke niche se focus aata hai. Wo parde mein harkat paida karta hai. Parde mein kuch nahi. To ye parda hai. Jaise hamare yahan chinti kati to andar pehle sphurna hui.

man mein chinti kaat rahe. Buddhi ne turant nirnay karke bataya ki gale ke paas kaat rahi hai. To hath ko hast indri kar indri hai na turant man ne is indriy ko adesh kiya dekho kya hai wo aise dekhne to jo sthul mein harkat karwata hai wo hai sukshm sharir sukshm sharir vyakt hota hai swapna mein sthul sharir vyakt hota hai jagrit avastha mein ye jagrit avastha hai to sthul sharir hai jab aap swapna avastha mein hote hain to sthul sharir ka gyan nahi hota hai ki hamara ek sharir sharir aur saiya mein para hai nahi gyan hota to us samay jo harkat hoti hai swapna mein wo sukshm sharir se hoti hai us samay ek man pura bazar sansaar ban jaata hai aur wo swapna dikha deta hai aur jo hamara sone ke baad anubhav hota hai ki yar aaj main bahut soya to tum to so rahe the anubhav kaun karva raha hai ki aaj main bahut soya wahi sabka prakashak hai wahi param tatv atma tatv hai jo sabka ka prakashak hai.

to sukshm sharir ko aap kaise dekh sakte ho? Kyonki aap to sthul sharir bane hue ho. Aapne apne ko purush man liya hai. Aapne apne ko deh man liya hai. To keval itna agar sadhan karoge to itna anubhav hone lagega ki yah man hai. Dekho man gaya. Nischay karne wali yah meri buddhi aaj kam nahi kar rahi. Mera chitt aaj nahi lag raha hai. Yah man, buddhi, chitt, ahankaar yah sukshm sharir hai. Isko koi yantr bhi nahi pakar sakte. Jaise ultrasound hai, siti scan hai, exra hai. Ye nahi pakar sakte. Isko dhyan ke dwara jana jaata hai.

jab dhyan mein to to man, buddhi, chitt, ahankaar sab ek ek dikhayee deta hai. Jab bhajan karte hain to bhajan karo tab jaan paoge. Aise thodi ye bahya sukshm hai. Aapki sthul drishti to sthul dekh sakte ho bahar antar mein aao antar mein ghuso tab sukshm mein pravesh hoga tab sukshm sharir ko janoge jab sukshm sharir ko jaan jaoge tab karan sharir ko janne ki yogyta aa jaegi aur jab sthul sukshm karan tino ko apne se alag dekhoge tab apne ko dekhne ki yogyta aayegi tab aap apne ko jaan paoge ye gyan hai ab ye koi aise samjh mein to aayega na bina sadhna ke bina bhajan ke samjh mein sant mahatma tmaa jo sachchai se chalte hain raat din usmen lage rahte hain

tab uska anubhav karte hain to ham naam jap karen isse kalyan ho jaega haan khub naam jap karo bure aacharan mat karo jaise sharab pina mans khana ye sab gandi baat nahi karte na haan parai bahan betikon ki taraf gandi drishti nahi byah ho jae to byah ho gaya ho to apni patni se hi keval anurag kisi se ye paap karm na karen aur naam jap kare to bhagwan ki prapti haan Radhe-Radhe nannu andarwa ji jai Gurudev shri Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji pichle do varsho se aapko sun raha hoon Gurudev aapke ekantik vartalaap ne meri zindagi hi badal di ab main naam jap bhi karta hoon aap ji ke ashirwad se Gurudev par purv ke papon mujhe bahut pareshaan kar rahe hain main aag ki tarah jal raha hoon maharaj ji haan bilkul age chalna chahta hoon par in accha chal rahe ho tabhi jal rahe ho accha chal rahe ho tabhi jal rahe ye jo jal raha hai na ye aap nahi jal rahe aapka man jal raha hai us man mein jo malinta hai na wo dur ho rahi hai.

to hriday jal raha hai. Hriday mein hi to man hai na. To jab hriday jal raha hai to hamko us samay sakshi rahna hai. Alag rahna hai ki main nahi jal raha hoon. Is man ne paap karm kiye hain aur naam jap chal raha hai aur sahi dhang se chal rahe hain to ab wo nishpap ho raha hai. Jaise sone ka mal dur karna ho na to use kasauti par chadaya jaata hai. Use jalaya jaata hai. To swarn tapane par jaise apna mal dur kar deta hai. Aise jab ham naam jap karte hain, bhagwat aradhna karte hain, tapasya karte hain to man ashant hota hai. Man jalta hai.

usi jalan mein uske paap shant sab nasht ho jaate hain. Tab ek divya shanti aati hai. Tab ek anand aata hai. Pehle thoda jalan hoti to ise sahi chal rahe ho. Yah praman hai. Tabhi tumhare hriday mein jalan ho rahi. Sah jao is jalan ko. Aap saath rahna naam jap karunga. Haan bilkul sahit sahit badhe bhagat grih tan guru hit gar. Guru ke vachan mankar chupchap sah jae to age nikal jaega. Baadh bhagat uske hriday mein bhakti badh jaegi. Khub naam jap karo. Sadgurudev bhagwan kuch kabhi-kabhi ruk jaata hai jo jeeva se chalta hai halka kabhi-kabhi ji to ek to ho charnon ka ashirwad ho nirantar chal jae aur dusri ek chhoti si kutia hai kashi mein apni upar parivaar jan rahte hain to niche bhagwan Radha Krishna ka vigrah mein sthaapit karke seva unke Sadgurudev ka ashirwad le tabhi main kar sakta hoon.

uske liye adesh khub Priya pritam ki seva karo aur naam jap ko nirantar chalane ke liye bhojan pavitra aur alphar aur maun ka aashray adhiktar maun ka aashray matlab ham jad maun nahi kah rahe ki avashyak hua bol diya lekin adhiktar maun ka aashray len. Haan pavitra bhojan pavitra aacharan aur maun ka aashray to jibhya se nirantar naam lene ke liye hamara man tayyar ho jaega aur pehle upansu chalta hai phir mansik chalta hai aur jab mansik chalne lagta hai aur kuch samay tak chalta hai aur beech-beech mein rukne lagta hai to hamko turant upansh mein aa jana chahiye.

agar upansh mein rukne lagta hai to vachik mein aa jana chahiye. Hamko chodna nahi hai. Tad vismaran param vyakulte naam chhute hi hamare andar vyakulta paida ho jani chahiye. Agar naam chalta raha to koi bhi siddhi bakaya nahi jo aa na jae aur koi bhi sukh bakaya nahi jo aa na jae aur bhagwan ka swayam swayam bhagwan ka kripa prasad aapka varan kar lega. Naam mein apaar samarth hai. Jo Ram Ram nahi kah pate the wo jab mara mara bole to brahm rishi ho gaye aur bhagwan ke pavan charit itihas ko likh diya to aap vichar karo naam mein kitni apaar samarth hai.

jisne balak ke nimit se narayan pukara uska param kalyan ho gaya to ham narayan narayan pukarenge to hamara kalyan kyon nahi ho jaega? Khub mangal ho jae. Khub naam jap karo aur Priya pritam ki aradhna karo. Kabhi-kabhi man mein aa jaata hai ki jaise yah sab chijon ham banae hain to apne vartane ke liye hamare prabhu ka ye sansaar tatparya kya hai unka bhagwan bhram jaise shishe ke mahal mein aap khade ho jao aur shishe kai prakaar ke hote hain. Ek bada rup dikhane wala, ek chhota rup dikhane wala, ek bhaykar rup dikhane wala.

aise trigun maya ke shishe mein wah paramatma tatv apne aap ko bahut rupon mein dekh eko ham bahu shyama. Main ek bahut rupon mein ho jaun aur bahut rupon mein hokar apne aap se apne aap ka srijan kar raha hai. Apne aap se apne aap ka palan kar raha hai. Aur apne aap se apne aap ka sanhaar kar raha hai. Koi dusra nahi hai. Ek paramatma ke siva wo apne aap se apne aap mein khel raha hai. Yahan main tu ka khel nahi ho raha. Yahan apne aap se apne aap ka khel ho raha hai. Jo ye dekh le wo mukt ho gaya. Jo na main tu dekhe wo phas gaya.

jo main aur tu dekhe wo phas gaya. Ya jo main hi main dekhe to mukt ho gaya ya tu hi tu dekhe to mukt ho gaya. Main hi main brahm main aham brahmasam aur tu hi tu sab mein rama hua hai. To bhakt tu hi tu dekhta hai. Gyani main hi main dekhta hai aur fansa hua main tu dekhta hai. Main aur mor torte maya ek hi param tatv hai. Dusra nahi. Wo apne aap se apne aap mein khel raha hai. Kuch nahi hai. Ye sab Uma kahun main anubhav apna. Sat hari bhajan jagat sab sudas sinh ji Radhe-dhe shri haridas maharaj ji maharaj ji sadhan sadhya hai ya kripa sadhya hai kya thakur ji ko haan kripa sadhya hai par hamara praytn pura hona chahiye hamara udyog hamara purusharth pura hona chahiye hoga to kripa se par agar hamara praytn nahi hai to phir bhagwan kripa kripa se sabko bhagwat prapti kyon nahi kara dete?

samm priy samm upjay bhagwan ke sab pyare hain. Lekin bhagwat prapti usi ko hoti hai jo prayatnsil hokar sadhan paksh ko pusht karta hua bhajan karta hai aur aashray rakhta hai kripa ka usko bhagwat prapti ho jati hai. Jo sadhan mein beimani kare sadhan na kare kayarta se waise jeevan pravah aur kripa se ho jaega kabhi nahi hoga kyonki sab jan to bhagwan ke hi hai na to bhagwan ki kripa ka adhikari wahi hota hai jo man vachan karm se praytn karta hai bhagwat prapti ke liye naam jap karna bhagwan naam kirtan karna bhagwat katha sunna bhagwat seva karna to uske hriday mein jo bhav utpann hota hai usi bhav se bhagwat prapti hogi bina sadhan ke bhav kaise aa jaega inke andar bhav nahi aaya inke andar bhav nahi aaya aur ek sadhan kar

raha hai uske andar bhav aa gaya to sadhan paksh se bhagwat prapti nahi hoti yah ham baat man sakte hain lekin sadhan paksh se hi bhagwat kripa ka anubhav hota hai agar sadhan nahi jo jitni koti ka sadhan karta hai utne uchh koti ka mahatma hota hai aap vichar karke dekhna par abhiman rahit hone ke liye ham kripa ka aashray lete hain ki kahin hamen sadhna ka abhiman na ho jae to yah ki bhagwat prapti kripa se hoti hai yah sadhan us kripa tak pahunchne ke liye yah sadhna bhagwan ki kripa se hi ho rahi hai aur yahi kripa ka anubhav karayegi aur yahi bhagwat sakshatkar karayegi.

is bhav se ham kripa pradhan rakhte hain ki hamare andar ahankaar na aa jae. Nahi bina sadhna ke aaj tak kisi ko bhagwat prapti kahan hui hai? Sadhan paksh to lena hi parta hai. Bina sadhan paksh ke bina bhajan ke bina sanyam niyam ke bina aradhna ke kisko bhagwat prapti ho gayi hai? Jitne bhi sant mahatma rishi muni jo bhi rasik jan hue sab ne aradhna ki sadhna ki tabhi bhagwan ko prapt jiski uchh koti ki jitni sadhna rahi utne uchh koti ka wo sant hua hai to khub aradhna karna hai par aashray kripa ka rakhna hai ye bhagwan ki kripa se hi ye aradhna ho rahi hai Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji nivedan hai ki ek samadhan kijiye maharaj ji is adhyatmik jeevan aur sansarik jeevan mein mansik santulan nahi bana pa rahe hain kya mansik santulan depression hai ya koi saya maharaj ji mansik santulan koi saya paya nahi hai.

jaise logon ko rahta hai na ki bahari chakkar koi hoga ye sab bhitri chakkar hamare dwara jo paap karm hote hain wahi hamare man ko jlate hain. Wahi hamari buddhi ko bhrasht kar dete hain. Aur koi nahi. Jaise bhut pret bhi aata hai na kisi ke dimaag mein to paap karm ke karan hi aata hai. Hamare paap karm ko bhugtane ke liye bhut ka avesh hota hai aur wo hamen dukh deta hai aur jab hamara paap karm kshay ho jaata hai to ya to koi jhadne phunkne wala mil gaya ya swayam chala jaata hai. To karm hi hamare liye bhut hai aur karm hi hamare liye bhagwan hai.

agar hamare karm bigad gaye to wahi bhut ki tarah hamen satata hai aur karm hamare ban gaye to wahi bhagwan ki tarah ham par kripa karta hai. Isliye karmon ka sudhar karo. Hamare karm theek hone hamare agar karm bigad gaye hain na to aisa hi anubhav hone lagta hai. Koi depression nahi. Pehle swikrati karo. Nahi to agar kisi aadmi ko 20 bar 20 logon ko tayyar kar lo alag-alag aur usko yar tum depression mein pahunch gaye kya? Nahi nahi to. Hamen to lag raha hai tum depression mein ho aur chala jae. Dusra ave yar tum depression mein pahunch gaye kya?

aur 20on kahe agar wo aspataal na pahunch jae to hamse baat kar lo. Wo aspataal jaega aur check karwaega ki main depression mein hoon kya? Kyonki 20 logon ne kaha hai. To ham pehle kah rahe hain ki ye swikrati karo ki main depression mein nahi hoon. Ye swikrati karo ki mere upar bhut pret ka koi saya nahi. Swikrati se hi phas gaye ho. Mere upar bhagwan ki badi kripa hai aur naam jap karo. Gande aacharan mat karo. Aaj hamari samaj gande acharno ko paap man hi nahi rahi hai. Bahut jor se yah vybhchar fail raha hai.

ye jo vybhchar dosh hai bahut jor se fail raha hai. Chahe stri ho chahe purush ho sabke dimaag mein ek hi baat nach rahi hai. Bas bhog bhog bhog sansaar ye paap mahapap hai. Par stri gaman par purush gaman ye mahapap hai aur koi is par dhyan nahi de raha aur phir kahte hain depression mein ja rahe hain. Pareshaan ho rahe ho to pareshaan nahi honge to aur kya ho gaya ham khuli baat kah rahe hain apne charit ko sudharo apne acharno ko sudharo apne karm ko theek karo naam jap karo kisi se ashirwad mangne ki zaroorat nahi aur koi ashirwad aise phal phool wala bhale de de aisa ashirwad bina adhikar ke nahi mil jaata tumhen bhajan karna padega tumhen apne aacharan theek karne padenge tumhen tap karna padega tumhen paap nasht karne padenge upay ham bata dete hain bhagwan bhagwan gita mein arjun ko kya kah tumhen sahna padega tumhen mera bhajan man mana bhav mad bhakto madhya ji ma namas bhagwan samne khade hain aur kah rahe jab tak tum aisa nahi karoge tab tak mere ko nahi jaan sakte samne khade hain maharaj anannya chetam mera satat chintan karo anannya chintno mam mera anannya chintan karo bhagwan bar-bar kah rahe hain to jab bhagwan kah rahe hain to ham log to bhagwan ke das hain Sadgurudev bhagwan badi kripa jordar hai vipaksh bahut jordar vipaksh to jordar kyonki hamare Swami ka hi hai.

kisi aur ka hai kya? Hamare Swami to socho jiski ek maya shakti itni jor ki hai uski kripa shakti kitni jor ki hogi? Prabhu pehle wo kahte the ab aap are aise aise aise thodi kab bola jaata hai jaise tum mantr bol diye. Mantr hi nahi mila tumhen. Tabhi to durdasha hai. Ab kabhi mat bolna. Ab aap bata do wahi karenge. Ham to roz chillate hi rahte hain. Ham ek baat batte hain dil bhar lage hi to rahte hain. Isi mein lage rahte hain ki bhai sudhro bhai sudhro mangal ho tumhara. Radha Radha japo Ram naam japo Krishna Krishna japo hari hari japo jo man ave so japo lekin japo aur aacharan pavitra rakho.

khanpan pavitra rakho. Badhiya anand aa jaega. Ji Aniruddh ji gandheengar Radhe Radhe-Radhe maharaj ji guru ji mera prashn hai ki jeevan ka uddeshya satkarma aur Radha naam ke alawa kya ho sakta hai bas yahi hai yah hua karna abhi bakaya hai na karna na karne wale ko sudhar lo karne mein yahi do hi le lo isi se bhagwat prapti ho jaegi para stri ki taraf gandi drishti se mat dekho apni stri mein hi bhav rakho brahmcharya ka palan karo pavitra bhojan pao mans mat sharir ye sab gandi chijon mat pao. Gande aacharan mat karo aur itna uddeshya bana lo bhagwat prapti ho jaegi.

bhagwan apne hain. Koi parae thodi hai. Ham bhagwan ke ansh hain. Wo koi dusre thodi bhagwan dusre ye sharir dusra hai. Ye jo aap sharir dekh rahe ho yah dusra hai. Bhagwan apne hain. Bahut apne hain. Bahut apne nazdik hai. Main unka ansh hoon. Main unka hoon. Sansaar ka thodi hoon. Par sansaar ka rag hone ke karan bhagwan parae lagte hain aur sharir apna lagta hai. Isliye khub naam jap karo. Gande acharno se bacho. Bahut gandagi fail rahi. Bahut samaj mein gandagi fail rahi hai. Bahut pakhand fail raha hai. Nautanki fail rahi hai.

ham satya ka pradarshn kar rahe hain. Asatya mein ji rahe hain. Satya ka pravachan kar rahe hain. Asatya aacharan kar rahe hain. Apne matlab aisi sthitiyan badti chali ja rahi hain ki satya ka role kar rahe hain aur asatya mein fanse hue hain. Isliye aacharan sudharo. Sabse pahli hamari baat hai aacharan sudharo aur naam jap karo to tumhara mangal ho jae. Aacharan agar bigde hue hain aur naam jap kar rahe ho thoda bada to bhi mangal nahi hoga kyonki chalni mein gaiya duhe aur dosh da ko de ab agar chalni mein gay dhoge to tumhen bund pine ko nahi milega to gay dhona hai naam jap karna aur chalni hai achranheen hona ham kah rahe hain Ravan mein kya kami thi kya wo bhagwan shiv ki aradhna nahi karta tha ki wo vidvan nahi tha wo brahm rishi kul mein janma tha sab the par aacharan hin tha.

aacharan charit uska bigad gaya. Isliye use Rakshash kaha gaya. Nahi pulast ji ka nati hai. Uttam kul pulast kar nati. Brahm rishi pulast ji ka nati hai. Koi sadharan thodi Ravan aur vidvan to pocho mat. Aaj bhi jahan abhishek hota hoga to uske tandav ka gal kiya jaata. Jatavi galat jal pravah pavit lekin charit bigad gaya. Charit bigad gaya to sab bekar ho gaya. Wahi shankar ji hanuman ji ban ja ke pehle lanka ka nash kiya. Pahli lanka jo jalai to hanuman ji ne to jalai. To hanuman ji kaun? Shankar ji hi to hain.

11va Rudra ka avatar bhagwan hanuman ji hain. Hanuman ji sakshat bhagwan shankar hain. To jinki aradhna ki wahi pehle jakar aag laga diye. Wahi jiska charitrheen hai to isht bhi raksha nahi karta. Charitrvaan ho aur naam jap kare to badhiya mangal ho. Isliye ham sabse prarthna karte hain paap aacharan chodo ganda bhojan chodo naam jap karo tumhara mangal hoga are virat kohli aur namaskaar viraj baith prasann ho jai kahani theek hi rahna chahiye ham aapko apne prabhu ka vidhan bana batte hain thoda sa jab prabhu kisi par kripa kripa karte hain.

yah vaibhav milna kripa nahi hai. Yah punya hai. Punya se ek ghor papi ko bhi bahut dekho paap karke bhi unka koi punya hai jisse wo sukrit purv ke sukrit vash chal rahe hain. Naya papi hai. Ye vaibhav badhna ya yash badhna yah bhagwan ki kripa nahi mani jati. Bhagwan ki kripa mani jati hai. Andar ka chintan badlna. Jisse aapke anant janmon ke sanskar bhasm hokar aur agla jo hai bada uttam hoga. Andar ke chintan se hota hai. Bahar se kuch nahi hota. Matra andar ka chintan. Accha andar ka chintan ham logon ka swabhav ban gaya.

bahirmukhi bahirmukhi ka matlab bahar bahar yash, kirti, labh, vijay isse hamko sukh milta hai. Andar se koi matlab nahi rakhta koi. Koi virla hi andar se ab kya hota hai? Bhagwan jab kripa karte hain to sant samagam dete hain. Phir dusri jab kripa hoti hai to vipreetta dete hain aur phir andar se ek rasta dete hain. Yah mera rasta hai. Yah param shanti ka rasta hai. Yah shanti ka rasta nahi. Bhagwan wo rasta dete hain aur jeev ko apne paas bula lete hain. Bina pratikultaa ke sansaar ka rag nasht nahi hota.

kisi ko bhi vairagya hota hai to sansaar ki pratikultaa dekhkar vairagya hota hai. Sab kuch hamare anukul hai to ham aandit hokar uska bhog karte hain. Jab hamare upar pratikultaa aati hai tab thes pahunchti hai ki itna jhutha sansaar to andar se bhagwan rasta dete hain. Yah sahi hai. Bhagwan bina pratikultaa ke is sansaar ko chudane ka koi bhi aushadhi nahi rakhi. Aaj tak jitne bade mahapurush hue hain jinka jeevan badla hai unko pratikultaa ka darshan karke badla hai. To kabhi pratikultaa aae to us samay aandit hoon ki mere upar ab bhagwan ki kripa ho rahi hai ki mujhe satmarg mein chalne ki prerna mil rahi hai.

agar satmarg chhuta ye sab to ek second ke liye aap vichar kijiye. Ab apna sudhar kar lo. Apne jeevan ko satya mein le aao to agla jo hoga wah bahut jor ka hoga chahe janm ho to Shri van kulvan dhanvan vaibhav sampann aise aur bhakti ki anukulta bhakti ki anukulta khas baat Shri van dhanvan kulvan nahi khas baat bhakti ki anukulta agar is janm mein bhagwat prapti nahi hui to bhagwan shri Krishna ne gita mein kaha hai ki mere bhakt ka nash nahi hota main kulvan dhanvan Shri vanon ke kul mein janm deta hoon aur phir punah bhakti ka mahaul deta hoon aur purv ka jo bhajan chhuta hua wahin se usko ab bilkul aise hi raho jaise rah rahe ho bilkul sansarik ban ke raho lekin andar ka chintan aapka badal jae andar ke chintan mein aapke yash ki bhavna na rah jae andar ke chintan mein aapko dhan badhane ki bhavna na rah jae andar ka chintan ho jae prabhu bahut janm vyatit ho gaye ab ek bar aapse milna chahti hoon ek bar aapse milna chahte hain prabhu mujhe aap chahiye ab sansaar nahi to baat ban jaegi to baat ban jaegi to isliye pehle anand purvak bhagwan ka naam jap karo.

bilkul chinta mat karo. Baba kya naam jap se ho jaega? Pura ye ham apne jeevan ka anubhav batte hain. Sankhya yog aur ashtang yog aur karm yog aur bhakti yog charon yugo mein pravesh raha hai. Pehle ham sanyasi rahe hain. 20 varsh 20 varsh sanyasi rahe kashi vishvanath ji. To ham sankhya yog, ashtang yog jo ashtang yog hai na ashtang yog, karm yog in tino ko achchhi prakaar jaan ke aur phir bhakti yog mein aae hain. Swayam bhagwan shankar se badhkar koi gyani to nahi na. Sanakaad se badhkar koi gyani nahi wo hari sharanam hari sharanam sanakaad har samay japte rahte hain bhagwan shiv Ram Ram Ram Ram Ram Ram japte rahte hain ham Vrindavan vasi Priya pritam ke upasi to jo Ram mein raah hai wahi raah hai aur jo dha hai ye ras dene wali vastu hai to ham Radha Radha Radha Radha matlab aap ye samjho ki hamari itni tarkik buddhi nahi hamari shraddhaalu buddhi nahi rahi sanyasi ki jo buddhi hoti hai wo tark pradhan hoti hai kasauti par kasne par to ham keval bhavukta mein Radha Radha ka prachaar nahi kah rahe ki hamne suna aur aise granthon mein padha aise kah rahe swayam swad le kah rahe aur vishwas ke saath kah rahe hain ki yadi aap Radha Radha japte ho to isi janm mein bhagwat prapti ho jaegi isi janm mein jaise kisi se kaha jae ki tum satya bolo mandir mein chadh ke bolo to ham mandir mein nahi ham Vrindavan mein baithe hain karodon mandir iski samanta nahi kar sakte bhagwan ka paramdhaam hai agar Radha Radha naam chal raha hai to isi janm mein bhagwat prapti ho jaegi.

hamari akhiri shwas yadi Radha to mujhe shri ji ki prapti bhagwan ki prapti ho jaegi. Ismen koi sanshay nahi aur kisi sadhno ki koi avshyakta nahi. Aap keval andar hi andar chalaie aur likhie. Dekho ham jo kah rahe hain usko samjho. Bahut adhik naam japne ki hamen cheshta nahi karni. Kam sankhya ho lekin man laga ke ho. Jaise ham ab dekho aap likho Radha apne dimaag mein likho khule netr likho ya bahar bahar dekho dikhayee de raha hai Radha likha hua wahi kan mein suno Radha wahi andar uthao Radha ye tino ka ekakar ho jae to ye karodon naam jap ke barabar hai dekho jaise ham bola Radha aise ham 1000 Radha naam bole to ham bola Radha ye upansu hai ise upansu kahte Radha Radha Radha Radha 1000 bar yah upansh hua ab ye aise upansh ham 10,000 bar jap karen andar dekhte hue bole Radha upansu 10,000 bar naam jap karne ka phal ek bar mansik mein hai.

itna bada phal hai ye aise Radha Radha Radha chal raha hai. Netron se ham use dekh rahe hain, kano se use sun rahe hain. Aap dekhna ki agar man bhagega to aap likh nahi paoge Radha naam. Agar likh rahe ho to man bhagega nahi. To chahe 10 bar likho 100 bar likho. Lekin ek abhyaas banao aisa ki kuch samay shanti se snaan aadi karke baith gaye aur Radha Radha likh rahe hain. Usi ka chintan kar rahe hain. Ise apna jeevan bana lo. Phir aap parinaam mein khud dekh lena. Koi ghate ka sauda to hai nahi. Theek hai? Ye sakhi ko de de thakur shiv ji ki hai khub aandit raho naam jap karte raho prasham janwi ji nai Delhi se Radhe Radhe Radhehe maharaj ji maharaj ji aapke anusaar sachchi khushi kya hai?

kya khushi ek manjil hai ya yatra mein prapt kiya jane wala lakshya hai? Bandhan mukt ho jana kiska hai? Bandhan mukt koi bandhan na rahna, koi ichchha na rahna wo khushi hoti hai jismen koi bandhan nahi aur koi chahat nahi. Hamari sari chahte purn ho gayi. Ab hamare andar koi chahat nahi aur hamara koi bandhan nahi. Mrityu ka bhi bhay nahi. Yah sabse badi khushi hai. Jit gaye. Ham maya par jit gaye. Mrityu par vijay prapt kar li. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar in par vijay prapt kar li. Aur chaha par ab koi chah nahi.

kisi ka hamare upar koi prabhav nahi. Mrityu ka bhi koi bhay nahi. Isse badhkar koi khushi ho sakti hai. Har khushi ka nash karne ke liye mrityu tayyar hai. Aap chahe jitna padhe likhe ho, chahe jitne bade paddhikari ho, chahe jitne karod bank mein ho, chahe jitna sundar pati mila ho, chahe jitna sundar parivaar mila ho, lekin ek kshan mein wo sab kuch aapka chhuda degi. Har khushi mein aag laga degi. To abhi khushi nahi mili. Jab aag lagane wale mein ham aag laga den. Mrityu ko bhi ham aise parast kar den ki ab hamen bhay nahi raha.

aise sthan par jae ham jahan mrityu ka bhi prabhav nahi parta. Wo kaun sa sthan hai? Tribhuvan mein koi sthan nahi. Brahmlok mein bhi kal ka prabhav hai. Kaalatit bhagwan ka aashray hai. Bhagwan ke charnarvind hai. Jab ham prabhu ka naam jap karte hain, priyaju ka naam jap karte hain aur apne man ko prabhu mein de dete hain aur man bhagwadakaar ho jaata hai to koi chah nahi rahti. Brahm bhuta prasann atma na sochti na kakshati na koi shok hai na koi chah hai prasann atma akhand khushi akhand anand wo prapt hota hai agar bhagwan se nahi to kaun si khushi hai hamen bata de koi bharosa second ka nahi bahut sundar sathi mila lekin minute mein mar sakta hai bahut sundar sharir hai lekin kal koi bhaykar rog ho sakta hai kaun si chij aisi hai jo bhay chinta shok rahit hai ekmatra bhagwan ka naam bhagwan ka aashray bhagwan ki sharanagati jab aisa hamen dulha mil gaya shri Krishna jab aisa dost mil

gaya shri Krishna kyonki anant bramhandon ka Swami tab jo apaar khushi hoti hai socho koi yahan ka adhikari ho bada adhikari ho aur wo aapse hath milave aur kahe ki kabhi koi samasya ho phir aapko kaisa lagega ek chati phuli ghumegi ek anand lagega nahi aur bhagwan hamare kah rahe anannya chinto mam ye jana parpasate te nitya naam yogakshemam vamyam jo nirantar mera bhajan karta hai uske yogkshem ka vahan main karta hoon jab bhagwan chati thok rahe hain to bhakt ki chati kaisi honi chahiye lekin hamen bhagwan ke

par vishwas nahi ek neta koi kah de paddhikari kah de ki wo chahe jhuthi baat hi kah de ki aap chinta na karo to to aapko kya fulan rahegi? Har samay rahegi ki yar wo hamare amuk hai aur bhagwan kah rahe hain to bhagwan ki baat ki fulan nahi ho rahi. Jabki netaji yahan nahi hai. Wo sarvatra nahi hai. Wo kisi ek sthan par honge aur wo sarvagya nahi hai. Aur wo sarv samarthyshali nahi aur mere bhagwan sarvagya hai. Sab kuch jante hain. Sarvatra hain. Sab jagah hai to yahan bhi hai. Sab samay hai to is samay bhi hai.

sabke hain to mere bhi hain. Sab mein hai to mere mein bhi hai. Aisa sarvagya sarvatra virajman sarv samarthyshali prabhu ko jab tak ham apna nahi manenge tab tak hamari khushi sthai nahi rahegi. Samjh pa rahe hain aap? Giriraj maharaj ki jai ho. Aao aao. Ab to maiya ko le aaya hoon main sang mein. Bahut sundar bahut sundar. Lao chunri jo nazar utare karo Baba main jaaunga Baba to kam se dhar le main jarur aa jaoongi Baba ke bahut kripa bahut kripa karo Baba kripa ghabrao mat to tum aise hi jaate badhiya tumhare wo bilkul wo mat kariyo Baba khub tumhari badhiya rahenge Baba tension wali baat na bilkul tension mat hamari shri ji ki sakhi hai brajvasi maa-bap ke virudh nahi jana chahta.

teen sal se prem sambandh mein hai. Maa-bap ke virudh nahi janta. Kya karen? Ek bar aapke bhagwan marg pe hai. Ab ismen badi samasya yah hai ki maa-bap ko raji karna aniwarya hai kyonki unka adhikar hai. Dekho sarvopri adhikar maa-bap ka hai. To ham yah chaenge ki apni premika ko itna samjha do ki main maa-bap ko nahi chhod sakta. Agar aap hamen chhod sakti ho to chhod dijiye. Par main maa-bap ko nahi chhod sakta. Agar aap dharm ko thoda bhi dhyan dijiye to maa-bap ka tyag. Apni apni vasna ki purti hi premika hai.

aaj ka prem jo hai wo prem nahi hai jo aap samjh rahe ho. Deh ko lekar prem hai aur deh ye mata-pita ki hai. Aur mata-pita ko ham is deh ke prem ke liye chhod den to mujhe lagta hai ki thoda aap vichar kijiye. Premika ko hath jodkar manaie ya agar aap hamare mata-pita ke virudh hain to phir ham aapko sweekar nahi kar sakte. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha hamma

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…