ekantik vartalaap evam darshan #914 · 19 mai 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Vrindavan dham ki jai shri satdev bhagwan ki jai jai jyoti kapur ji Delhi se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aisa kyon kaha jaata hai ki bhajan bhojan khajana aur yari parde mein rahni chahiye haan isse hani ho jati hai jaise aapke paas is samay ₹1 lakh ka baig mein bandal rakha ho 10 lakh ka aap bata den ek ghanta mushkil tik payega koi na koi hathak kanda mar karke tumhare rupaye le jaega.
aise hi aapka bhajan hai. Ham jo sadhan karte hain ye matlab mariyada hai ki apne bhajan ko, apne khajane ko, apne prem ko inko chhupa ke rakhna chahiye. Agar chhupaoge nahi to wah ksheen ho jaega. Apne isht prem ko chupana chahiye. Jitna gyan vigyan anubhav chhupaoge utna hi badhega aur jitna prakashit kar doge utna hi ksheen ho jaega. Yah to hamara anubhav hai ki apne sadhan ko gupt rakhna chahiye. Apni dincharya ko prakashit nahi karna chahiye. Yadi prakashit kar doge pakka 100% chhut jaegi. 100% chhut jaegi.
yah vishwas matlab ek bar nahi kai bar anubhav ki jaise prem mein akar ke bata diya usmen vighna par gaye. Matlab yah bilkul vishwas karo aap apna jo bhajan karte hain kabhi koi jaan na pave aapki pavitra dincharya na jaan pave tabhi baat banegi jaise aap apne dhan ko chhupate hain aise bhajan ko chupana chahiye prem ko chupana chahiye kiska prashn hai to samjh pa rahe hain aap ji adarsh sinh ji Lucknow se Radhe Radhe shri hariv maharaj ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji bindu ji maharaj ji ka ek pad hai das Raghunath ka nandsat ka sakha kuch idhar bhi raha, kuch udhar bhi raha.
maharaj ji meri bhi sthiti kuch aisi hi hai. Maharaj ji main sitaram ji ke charnon ke prati anannya hona chahta hoon. Kya isse meri ananyata par koi fark padega? Jabki hriday mein shri ji aur Siyaram mein koi bhed tulsidas ji maharaj vinay patrika bhi likhte hain aur shri Krishna geetavli bhi likhte hain. Shyam aur Ram mein koi antar to hai nahi. Par jab priti ki baat aati hai to Murli manohar Shyam sundar se kahte hain ki mana aap mere hi Swami ho par main sashtang dandvat tabhi karunga jab Murli ki jagah sarang ho aur Priyaju ki jagah siyaju ho unko banna para kat Murli kat Chandrika kat gopiyan ke saath apne jan ke karan shri Shyam bhae Raghunath usi samay Ram ji ke rup to priti ki ananyata aur tatv ki ananyata mein antar hai.
tatv mein wahi hai sab lekin prem mein jis rup mein ham pyar karen usi rup mein sampurn pyar karen. Ram rup mein pyar karen to wahi Shyam hai, wahi narsingh hai, wahi vaman hai. Wahi to avatar lete hain. Par ham priti Ram ji ke rup mein karen. Shyam ji se priti karen to Shyam ji se karen. Ek jagah man hai ya jo ek man bahut thaur kari. Kai kaun sachupayo ye ek man bahut jagah nahi lag sakta. Ek jagah hi lagao. Man ko sameto aur Ram rup mein lagao ya Shyam rup mein lagao. Wo ek hi hai par ek jagah lagao.
isse anand ki anubhuti hogi. Soham Goyal ji mumbai se maharaj ji mera sawal hai ki hamen bhagwan dikhte kyon nahi maharaj ji? In netron ki kshamta nahi hai. Yah jo netr bane hain, yah trigun maya se bane hain. Ye teen hi dekh sakte hain. Satogun, rajogun, tamogun aur satogun, rajogun, tamogun se bani hui vastue dekh sakte hain. Dekho andar ki jo vrittiya hain, ham unhin ko nahi dekh pate jab tak ekaagr nahi hote. Man ko, buddhi ko, chitt ko. Abhi to bachchha hai lekin uska prashn bahut badhiya hai isliye sabke liye bhagwan hai par dikhte kyon nahi ye to sabki baat hai na to jab tak hamare netron mein prem netr nahi aaenge tab tak ham bhagwan ko nahi dekh sakte jo hamare hriday mein prem netr hain wo jab khulte hain to inheen netron mein unka prakash hota hai aur inhin nainan sab sukh dekh apno janm suphal kar le inheen netron se phir wo dekh pate ate hain kyonki in netron mein prem netr prakashit ho jaate hain.
jaise virat rup dekhne ke liye bhagwan ne arjun ki drishti mein divya drishti di. To virat rup dekh paye. Shri Krishna rup to barabar dekh rahe the lekin virat rup dekhne ke liye bhagwan ne divya drishti di. Aise hi sarvatra bhagwan virajman hai. Sabke hriday mein bhagwan virajman hai. Jab tak hamare hriday mein prem nahi hoga tab tak ham nahi dekh payenge. Prem se pragat hoe main jana. Hari vyapak sarvatra samana prem te pragat hoe main jana. Jab tak prem nahi hai tab tak bhagwan ka darshan nahi ho sakta.
jab tak gyan netr nahi tab tak tatv darshan nahi ho sakta. To prem ka pradurbhav tab hota hai jab khub naam jap karen to aap naam jap karte ho aur naam jap karo. Theek hai. Phir bhagwan ji aapse aake hath mila lenge aise aake. Theek hai. Tayyar rahna. Khub naam jap karo. Ji chandni ji Delhi se. Maharaj ji hamare pichle karm hamare vartman aur bhavishya ko kaise prabhavit karte hain? Kya pichle achhche karm vartman mein kuch hamen accha dekar jaate hain? Haan ya vartman mein kyon accha karm vartman ka accha karm tatkaal to shanti dega lekin parinaam age dega.
tatkaal phal nahi milta hai. Nahi to achhche karm karne wale dukhi dekhe jaate hain. Bure karm karne wale kahin-kahin sukhi dekhe jaate hain. To vartman mein wah bura kar raha hai to uska parinaam bhavishya bura hoga. Vartman mein bhala kar raha hai to uska parinaam bhavishya accha hoga. Wo ho sakta hai agle janm mile. Lekin abhi vartman mein jo hamen bhogne ko milega wah purv karm ka milega. Ham bura karen ya bhala karen uska koi parinaam abhi nahi milega. Abhi hamen purv ka milega. Ab uska parinaam milega.
accha karenge to abhi hriday mein sheetalata hogi. Bura karenge to hriday hamara jalenga. Lekin karm ka parinaam age prapt hoga. Hamara sharir jab racha gaya to do karmon se racha gaya paap aur punya. To pure jeevan bhar us rachna ka bhog hamen bhogna padega. Jo vidhna ne likh diya chathi rav ke ank rai ghate na til badhe rah jeev nishank pure jeevan mein sukhdukh ka chakra aata rahega aapke aaj ke karne se us par koi fark nahi padne wala haan ek fark par jaega bhajan se yadi aap bhajan karoge bhagwan ka naam jap karoge to aapke ashubh nasht ho jaenge paap nasht ho jaenge praarabdh ko sahne ki samarth milegi aur aap age nikal jaenge nahi to agar agar bhajan se wah katta nahi to bhagwat prapti aur moksh kisi ka hota hi nahi kyonki anek janmon ke karm to hamen bar-bar janm maran mein le jaate to bhajan se wo sab kat jaata hai.
ek sadhan keval hai naam jap bhajan. Jitna bhajan karoge utna bure praarabdh ko wo dabaega. Achhche praarabdh ko ubharega aur aapke donon ko nasht karke bhagwat prapti kara dega. Mukesh ji Delhi se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jeevan mein bahut kuch to gyaat nahi hai jitna bhi alp samarth yukt sadhan karne se badlav aur prakash na aae to kya karen jisse utsah aur prakash anand aae usi sadhan ko aur badhata jae jo sadhan pakde par wo sadhan shastr sammat hona chahiye santo dwara sevit hona chahiye manmani nahi hona chahiye nahi to us par vishwas nahi hai jaise jaise guru parampara yukt siddh mantr hona chahiye.
guru parampara yukt sadhna honi chahiye. To wo jab ham sadhna karen to hamen koi anubhav na ho to bhi hamen karte rahna chahiye. Jaise ham kai din ke bhukhe hain aur ham ek kaval khain to kuch anubhav nahi hota. Do char kaval khain to anubhav nahi hota. Jab aadha pet ho jaata hai tab swad aata hai bhojan mein. Nahi aadha pet to bharna hi hota hai jaldi-jaldi. Aise hi ham anant janmon mein dushkarm hue hain. Anant janmon mein paap hue hain. To hamara jo sadhan hai pehle us paap karm ko nasht karega tab anand aayega. Jab wo paap karm nasht hoga aur jahan anand aaya ab anand badhta hi chala jaega.
wo ksheen nahi hoga. Ho sakta hai 10 varsh sadhna karne par nasht ho. Ho sakta hai 10 mahine mein nasht ho jae. Ab aapki sadhan paddhti kitni jor ki hai. Utne jor ka wo aakraman karega. Aapke purv papon par aakraman karke jab usko vidhvans kar dega aapka bhajan tab aapke andar anand ki anubhuti hogi. Nahi to dason varsh sadhna karne par hriday jalta hai. Kam krodh ate rahte hain. Bada vighna dikhayee deta hai. Wo sab kuda karkat saaf kar raha hai. Sadhan kabhi vyarth nahi jaata kyonki avinashi ka jo sadhan hai wah avinashi hota hai.
to wo uska vinash karega hi karega. Hamen dhairya purvak apne sadhan mein lage rahna chahiye aur sadhan ko badhate rahna chahiye. Par sadhan ke vighnon se dur rahe. Sadhan ko chode na. Sadhan mein astha kam na hone pave aur anya aacharan paap ke na banne pave. To kafi samay mein aapko anubhav ho jaega ki hamara sadhan safal hua. Par sadhan chode na chahe safalta lage ya na lage wah kam kar raha hai jaise ham kai dino ke bhukhe thoda bhojan paye to hamko aisa nahi lagta ki bhojan jake kuch kar raha hai lekin wo tripti kar raha hai wo bhojan tripti kar raha hai aap pate rahie thodi der mein aapko lagne lagega ki hamari tripti ho gayi aise hi bhajan aapka kam kar raha hai lekin samay vyatit hone dijiye aur bhajan badhe tab wah aapko anubhav mein aayega ki wah sab papon ka nash karke hriday ko shital karke aapka param mangal kar raha hai.
ji shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aapki kripa se aapke batae hue marg par chalne ka koshish kar raha hoon. Lekin maharaj ji koi bhi sankalp 15 se 20 din se zyada uska palan nahi kar ja pata. Uska karan hai brahmcharya ki hinta. Age wahi likha ki matlab bar-bar gira deti hai ye kam vasna to maharaj ji jeevan matlab men point jo hai wo brahmcharya khandan hai. Agar thoda brahmcharya par dhyan de dijiye to dincharya theek ho jaegi. Brahmcharya hin purush ki kabhi ek dincharya nahi chal sakti.
yah pakka niyam hai. Aur brahmachari ki dincharya mein kabhi fark nahi par sakta. Isliye koshish karo naam jap karte hue pavitra ahar alphar lete hue kusang ka tyag karte hue mobile se ya vyakti se kusang na hone pave shastr virudh sang na hone pave aur apne hath se koi aise aacharan na karen to phir brahmcharya ka poshan zaruri hai. Paramarth mein chalne ke liye brahmcharya ati avashyak hai. Yadi chahe wah grihasth hi kyon na ho to grihasth ka matlab thodi ki roz vichar karo. Nahi ek usmen bhi mariyada hai.
shastr mein varnan hai ki masik dharm ke hone ke ek saptah baad pavitra hone par santanotpatti ke liye grihasth dharm mein likha hua hai. Ek mahine mein ek bar santanotpatti ke liye masik dharm ke ek saptah baad bakaya brahmcharya rahe to grihasth mein bhi brahmcharya ki avshyakta hai. Aisa thodi hai ki manmani aacharan to phir nasht ho jaega kyonki jivni shakti hai brahmcharya wo jab tak theek nahi rahegi tab tak theek nahi rahega to brahmcharya par sudhar karo kyon bhai haan matlab koshish puri karte hain maharaj lekin 10 din ekdam achhche se rahenge phir kabhi-kabhi aisa ho jaata hai ki ek bar galti ho jati hai to pura chij haan ho jaata hai ho jaega wo man khinn ho jaega man har jaega phir utsah nahi rah jaata wo aapka hi nahi sabka ka hota hai.
to jo hamare utsah ko nasht kare bhagwat prapti ke marg mein utsahheenta paida kar de uske prati to bura bhav ana chahiye na dhikkar hai hamare jeevan ko jo main aise gir jaata hoon ab nahi girunga phir chalo phir agar gir jaate phir andar se kleshit ho phir to ek din aap aisa aayega cross kar jaoge aur agar aap har gaye to phir paramarth se bhrasht kar dega jab hamse galti ho jati hai to sidha hamare paramarth pe attack hota hai jo hamari sadhna chal rahi hoti hai wah shithil ho jati hai ki yar ab kya karen ab to phayl ho gaye nahi ham phir kamar kase phir age badhe hazar bar phayl ho jae to hazar bar ham prayas karen ye manushya jeevan ko ham vyarth nahi jane denge ham ise bhagwan ki prapti kara ke hi rahenge samjh rahe ho na haro mat jab aapka sadhan age badh jaega to ye sab prapanch chhut jaega abhi sadhan hi ladkhda raha hai bar-bar sadhan tut raha hai 10 5 varsh ek ras sadhan chal jae wahi siddh ho jaega to aap thodi mehnat karo, thodi himmat karo, thodi ladai lado man se tabhi aap jit paoge.
aur naam jap karte raho. Naam jap karte ho haan naam jap karte raho aur ladai ladte raho. Ye ladai bahut badi ladai pure vishv ko choupat kiye. Yahi man pure vishv ko choupat kiye. Manmani aacharan bhog bas isi mein lagae hue hain. Paramarth aise chadhai aur patan aise hai to chahe jaise jal ko chodo to niche ki taraf sadasya chala jaega. Lekin upar ki taraf chadna hai to yantr ki zaroorat padegi. Aise hi man ko chodo bhogon mein chala jaega. Lekin upar chadna hai to naam aur mantr ki zaroorat padegi. Jitna naam aur mantr jap karoge utna hi man urdhagami hoga.
aur jitna aap chhod doge utna hi adhogami ho jaega. Isliye khub naam mantr jap karo aur shastr ke anusaar jo nishedh hai uska sang mat karo. Parai bahan beti ka sang mat karo. Mobile se gandi baten mat dekho. Gande logon ka sang mat karo. Gande vicharon ko andar jab aae to unko kato. Naam jap ke dwara koi gandi kriya na hone pave. Tab jakar ham age paramarth mein badhte hain. Maharaj ji naam jap karte karte kab naam chhut jaata hai aur kab galat chij mein lag jaate maharaj ji iska pata nahi. Wahan ekagrata bhi samjh nahi pai na.
nahi to ek second ki bhi harkat ko pata chal jaata hai man ki. Jab aap ekaagr honge na antarmukh honge to ek second ki man gaya. Abhi pramad sthiti hai isliye abhi malinta hai isliye pakar nahi pate ho aur naam badao. Phir bhi apne ko saubhagyshali mante hain ki aapka sanidhy prapt hua. Nahi to purv karm to matlab ke khatm ho chuke ho to maharaj. Haan bilkul nahi aap himmat karke chalo jitna hai harna nahi theek hai aap himmat karke chalo tera singla ji maharaj ji main janna chahti hoon ki maine aapko hamesha pile wastron mein hi dekha hai maharaj ji iska kya rahasya hai hamare prabhu Pitambar dharan karte hain.
shri Krishna Pitambar dharan upar Pitambar dharan karte hain na aur hamari priyaju ka bhi rang pita arun man tad lata bham pit aur arunima liye hue kanchan varn ki hai to unhin ke Priya aur pritam ke ham upasak hain aur hamare guru ne hamko pila vastr hi diya to sab jitne sab pile hi dharan karte hain. Jignyasa hui ki bhagwa pahnte hain. Sadhu sant lal haan wo sanyasi hote hain. Ham vaishnav hain aur vaishnav mein Priya pritam ki upasna hai to pritam ka Pitambar aur priyaju ka rang donon milakar ke pit pit aise ham ham niche markin pahnte hain upar baniyan aur bas pila bas ye sab sabki poshak hogi Radha rani ji ko pila rang pasand hai kya jo maharaj ji pila rang pahnte hain haan Radha rani ko pasand kyonki unke pritam Pitambar dharan karte hain aur Radha rani ka swayam ka jo swaroop hai pit aur arunima mile pita arun anant ta latam anant bijliyon ki shri kant pyari jo sundar hai to apne pyare ju pyari ju ki kanti ke bhav se ham ise dharan karte hain.
harishankar Yadav ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main apni kar ya office mein Radhe-Radhe ka bhajan sunta rahta hoon. Karya bhi karta rahta hoon. Ye karne se utna hi phal milega jitna main Radhe-Radhe ekant mein japta hoon aur bilkul bilkul kyonki shravan indri mein par raha hai to hamare dimaag mein to ja hi raha hai na ki Radha Radha ho raha hai to dimaag to chal hi raha hai na wahan jahan hamare kan jaate hain wahan hamara dimaag jaata hai hamari indriyon ke saath man bhi jaata hai buddhi bhi jaata hai isliye mangal hai shravan shravan to ho raha hai na shravanam kirtanam smrnam shravan karna kirtan karna smaran karna tino ka barabar phal hai smaran andar sir shravan bahar se ho raha hai.
kirtan mukh se karte hain. To kirtan kar rahe hain to wahi phal hai. Shravan kar rahe hain to wahi phal hai. Smaran kar rahe hain to wahi phal hai. Subhadra Yadav ji gudganv se. Radhe Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji hamne phone mein dekhkar aapko guru bana liya aur aapke shri mukh se Radha naam sunkar Radha Radha japte hain. Ham kahte hain guru ki baat man lo. Guru banane se kya hai? Guru ki baat man lo. Guru ki baat man lo. Dur raho. Lakho kos dur raho. Hamari baat man lo. Tumhara mangal ho jaega. Baat manne se hai.
ham kahte hain Radha Radha japo galat aacharan mat karo. Wo guru hai. Wo jo baat hai wahi guru hai. Usi ko man lo. Usi ko aacharan mein utar lo. Usi se mangal ho jae. Aajkal aap to bade bhav se aajkal jyadatar yahi ho raha hai ki jaise anya rishte aise guru ka rishta bana liya gaya. Kuch sev santra phal phool waise to soch kalyan nahi hone wala rishta banane se kalyan nahi hota kalyan hota hai agyaa palan karne se agyaa sam su sahib seva ye sev santra rupya paisa bhojan kapda latta ye kalyan nahi karega kalyan karega unki baat man liya aur waise chal diya kabhi unse milo chahe na milo aapka kalyan ho jaega santo ki baat mein dum hoti hai kyonki anubhav kiye hue baat bolte hain na unki baat man lo isi se kalyan ho jaega.
guru banao chahe na banao. Guru banana banana isse koi mahatva nahi hai. Mahatva hai unki agyaa ka palan karna. Aap dur rah rahe ho. Are yar ye to sakshat bhagwan hai. Aapki bhavna bani. Ye to sakshat bhagwan hai. Inki baat man li. Baat man liye aapka kalyan shuru ho gaya. To baat manne se kalyan hoga. Na ki guru banane se na ki sambandh banane se na ki nazdik rahne se. Baat banti hai unki agyaa ka palan karne se. Dronacharya ji ne Eklavya ko hata diya ki ham tumhen shishya nahi mante kyonki ham raj kshatriya putro ke kulguru hain aur usne man se guru bana liya aur jakar ke Dronacharya ji ki jaisi chavi thi waisi mitti se banai aur roz pranam karke aur pratyancha chadhata aur Dronacharya ji ka smaran karta.
itna bada dhanurdhar ho gaya ki ek din arjun jangal mein ja rahe the to ek kutta bhuka. Uske bhukne matra mein uske muhn ko banon se bhar diya aur kahin ghav nahi hua. Arjun kutte ke nazdik gaye dekha banon se muhn bhara hua aur kahin ghav nahi. Bole gazab ka hastalaghav. Ham apne ko sarvshresht vishv ka dhanurdhar samjhte the. Lekin aaj main har gaya. Main dekh ke har gaya. Kaun hai aisa dhanurdhar? Dekha ki Eklavya bheel kul mein utpann hua tha. To uske nazdik gaye aur kaha vah dhanurdhar tumhare jaisa dhanudhar to mera naam arjun hai.
main Dronacharya ka shishya hoon. Dronacharya se mujhe ashirwad mila hai ki main vishv ka sabse bada dhanudhar hoon. Lekin main ghutne tekta hoon tumhare age. Tum kiske shishya ho? To unhone kaha Dronacharya ke. To kaha hamare guru ke shishya kaise ho gaye? Tab kutia le gaye aur dikhaya Dronacharya ki chavi pura aisa. To unhone Dronacharya ji se kaha aapka ashirwad galat ho gaya. Ham sarvshresht dhanudhar nahi hai. Maine sweekar kiya sarvshresht dhanudhar Eklavya hai. Tab Dronacharya ji ne uska angootha guru dakshina mein liya tha.
arjun ko sarvshresht dhanudhar bane rahne ke karan nahi us us veer ke samne to aap dekho ek ko nazdik rahkar shiksha di aur ek ne guru mankar agyaa ka palan kiya. Guru man liya aur unke jo jo dhanur vidya hai yah koi bhagvatik vidya to hai nahi lekin aap socho kaise pratyancha chadna kaise baan sandhan karna hai wo sab uske dimaag mein aa gaya keval guru Dronacharya ko bhagwan mankar puja to baat to ham guru ko bhav mein sweekar karen aur unki agyaa ka palan karen guru se batane ki zaroorat hai nahi ki main tumhen guru banata hoon apne aap aapka kalyan ho jaega suneeta ji maharaj ji ek mata swayam karm aur vani mein santulan bankar charit nirman kar apni
yuva santan ko bhautik akarshan nana prakaar ki lalsaon se kaise bacha sakti hai maharaj ji bachpan se jab tak bachpan se uska sudhar nahi kiya to phir jawani mein sudhar nahi ho sakta yuva mein sudhar nahi ho sakta sudhar bachpan se agar balyvastha mein uske sanskar dalo chalo papa ke pair chuo sabse Radhe-Radhe karo chalo chalo baitho 10 minute Radha Radha bolo tumhen abhi tophi layenge tumhen abhi bal usko chhote bachchhe ko Radha Radha Radha wahi bachchha jakar age bhavishya mein jawan mein bhakt banega nahi to aaj ke jo bachchhe hain thappad marte hain apne mata-pita ko apne mata-pita ko ghar se nikal dete hain.
zyada karen to kaat ke phenk dete hain. Atank bhar gaya hai dimaag mein. Dimaag mein dushtata bhar gayi hai kyonki aadhunik padhai aur aadhunik safalta dekh dekh kar ke wo par matlab unki jo buddhi hai wo bhrasht ho gayi adhyatma se bhrasht ho gayi bahut purane samay mein ganv mein nautanki hoti hai na nautanki mein ek natak dekha tha sutana daku usi sultana daku pe banaya gaya tha sultana daku tha bahut bada daku tha usko jab phansi ki saja mili angrejon ka rajya tha. To unse pucha gaya tumhari antim ichchha kya hai?
to unhone kaha hamen maa ke gale lagna hai. To unki maa bulai gayi. Wo roti hui ai. Jab gale lagi to dant se muhn mein nak kaat li usne aise. To pucha ki kyon? Aisa kyon kiya? To bole jab main kaksha ek mein tha ek kalam cura ke laya tha to maa ne kaha tha shabash bachchha likhne ke kam mein aayegi. To maine samjha accha hai aaj main sultana daku bana hoon to is maa ke karan bana hoon. Agar ye pahli kalam mein hamen thappad jama deti to aaj main phansi mein na chadta. Main aaj galat karya mein na jaata.
to bachchhe ki jivni banane wale mata-pita hi hote hain. Yadi prarambh se bachchhe ko puja mein baithana, satoguni baten sikhana, shastr sunana accha ham log sant kyon ban gaye? Ghar mein bhagwat hoti, ghar mein ramayan hoti, ghar mein sant jan ate, ghar mein jab dekho to bhagwat charcha ho rahi. Bhog laga ke bhojan pana ekdam bhagwat mohale mein kahin pyaaj lahsun nahi aata. Aisa pavitra brahmano ka kul to usse sanskar bane. Aur bhagwan ke marg mein ham aa gaye. To agar sanskar sahi na ho to phir jawani mein sambhalna kathin hota.
jawani mein to unmad avastha hoti phir nahi sambhala ja sakta. Balyvastha se bachchhe ko sambhala jae to mahan ban jaega. Aur sambhalna to garb avastha se hi hota hai. Jab bachchha garb mein ho brahmcharya se rahe khanpan sahi rakhe aur bhagwan ki charcha sune to sanskar us par padte hain. Jab kayadhu Prahlad ji ki maa garbhvati thi. Prahlad ji garb mein the to Devraj indra bandi bankar le ja rahe the. To devrshi narad ji raste mein mile. Unhone kaha inko kahan le ja rahe ho? Bole hiranyakashyap ka virya hai.
yah daitya hai mahan bhayanak hoga. Yah jab paida hoga to ise mar denge. To unhone kaha nahi garbhahatya ya balak shishu ki hatya yah theek nahi. Chodo tum ise. To narad ji ki agyaa se unhone narad ji apne ashram le gaye. Aur garbhsth shishu andar jab the tabhi se bhagwan ki charcha naudha bhakti ka varnan bhagwan ka naam kirtan apne ashram mein to devrshi narad ji ke prabhav se prad ji paida hue garbhsth shishu par prabhav parta hai. Jaise chakravyuh ki rachna garbhsth shishu Abhimanyu par prabhav para. Maa satav bhed dwaar bhhedan mein so gayi to isliye satva bhhedan karna nahi jane.
nahi chhah chakravyuh ko todna wo jaan gaye the. Garb mein hi jaan gaye the. Jab balak garb mein ho to brahmcharya rahna chahiye. Khanpan shuddh rakhna chahiye. Bhagvati ko vatavran rakhna chahiye. Aur jab bachchha ho jae to jab tak jawan na ho tab tak use achhche acharno ki shiksha deni chahiye. Puja mein baithana chahiye. To ek satoguni aadmi banega. Ab bachpan se mat-pita balak bulawe udhar bhare so jatan sikhav. Accha bachchhe dekh rahe hain hamare mata-pita kya aacharan kar rahe hain. Ab aap nasha kar rahe ho, aap gandi baten kar rahe ho, hansi majak kar rahe ho, gali de rahe ho to wahi sanskar tumhare bachchon mein par rahe hain.
to ham swayam sudhre, mata-pita swayam sudhre. Ye savdhani rakhen ki bachchon ki drishti mein unki kisi bhi tarah ki harkat na ane pave aur varta mein ab mata-pita lad rahe hain, gali de rahe hain. Bachchha chhota sa dekh raha hai. Wahi sanskar uske andar par rahe hain. Mata-pita galat acharno se yukt hai to bachchon mein wahi sanskar gande par rahe hain. To bahut savdhani purvak grahasti dharm mein yadi chale to ye bahut bada dharm hai. Apne bachchhe ko ek samaj ka sevit seva karne wala banae. Bhagwan ka bhakt banae to to janm hona bachchhe ka theek hua.
nahi to dekho na ab kaise-kaise bachchhe paida ho rahe hain. Ki bade budhe matao bahno ke saath kaisa vihaar kar rahe hain. Ki tum jawan ho. Gire ko uthana chahiye ki girama chahiye. Koi maa bahan janjir pahne aise nazdik motorcycle le mara aise wo hathon ghaseelti chali jae. Ab kahan laga kahan kasht hua? Ab itna nirday ho gaya hai. Ab utne mein uski jaan par khel gaye. To ye jawan log jo hai jo galat raste apna rahe hain. Uska karan hai unko bachpan se adhyatma ki shiksha nahi mili. Nahi dekho ramayan mein dekho.
prat kal uth ke raghunatha mat pita guru nave matha swayam bhagwan Ram prat kal uthkar ke mata-pita aur gurujanon ke charnon mein matha rakh ke pranam kar ab kaun bachchha pranam karta hai kyonki sikhaya nahi gaya aacharan hi nahi diye gaye jinko sikhaya gaya wo bachchhe karte hain aur jo karenge wo age unnati ko prapt honge harshit Gupta ji Delhi se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji kisi bhi karya mein nirnay lene mein man dagamgata hai. Galat na ho jae us baat ki shanka rahti hai. Aise mein kya soch ke nirnay liya jaata hai?
bhagwan ka aashray aur naam agar naam jap karoge to tumhare adhyatma bal ki vridhi hogi. Adhyatma bal jab badhta hai to buddhi praveen ho jati hai. Jab buddhi praveen hoti hai to ek second mein nirnay kar degi. Theek hai ki nahi. Theek hai aur aashray bhagwan ka ki bhagwan sarvagya hain. He bhagwan hamare andar prerna karo yah karya karun ya na karun. Bhagwan se prarthna bhagwan ka aashray aur naam jap to sahi nirnay ek second mein aa jaega. Hamari buddhi hi to bhayabhit karti hai ki pata nahi yar safalta ho ki na ho.
yah karya theek hai ki nahi theek hai. To main alpgya hoon. Lekin bhagwan sarvagya hai na to ham sabse pehle bhagwan se agar sabse pehle bhagwan se ham prarthna karenge to bhagwan ka naam hai mangal bhavan mangal bhavan amangal to amangal to age ho hi nahi sakta kyonki mangal bhavan bhagwan ka chintan kiya to aapko turant thodi hi der mein man mein aa jaega ya koi aisa sanket mil jaega ki mat karo ismen amangal hai aur agar mangal hai to hriday mein sheetalata aa jaegi aur aayega karo to bhagwan se prarthna aur naam jap ye do kam aap karo to aapke man ka jo bhay hai yah nasht ho jaega par
ye safalta tabhi hogi jab sharab nahi piyoge mans nahi khaoge parai mata bahno ke saath gandi bhavna nahi karoge agar yah parhej nahi hai to phir dawa kam nahi karegi parhej theek hai sharab pite ho kabhi kabhi-kabhi ek bar juaa ho raha tha to kuch log khade the to wahan phorsa pahuncha pehle danda mara uske kyonki wo dekh raha tha alag aise to usne kaha yahan kyon khade ho bole dekh rahe the bole sahab pahli bar aae bole sab kahte hain pahli bar aae aise sab kahte hain to galat kam kabhi-kabhi karo ya roz karo galat galat
hai agar aaj aap yahan aae ho to bhagwan bhagwan ki aap par kripa hai kyonki bina bhagwan ki kripa ke sadhu sang nahi milta. Ab moh bha bharosa hanumanta binu hari kripa mile nahi santa to kuch to le lo aur kuch de do gyan le lo aur durgun de do to niyam lo aaj se ki aap sharab nahi piyoge pakka maun ho ke nahi ji pakka guru ji haan aaj se sharab nahi piyoge bhagwan se prarthna karte hue naam jap karte hue achhche bano kyon galat karya karo roz pite nahi ho. Kabhi-kabhi kyon gandagi ko sweekar karun?
gandagi hai jise shastr virodh karta hai. Aaj ke vatavran mein fail chuka hai. Ye madirpan aise fail chuka hai jaise koi jae to thanda sharbat pilae na. Aise ab party, mitrata, swagat sab isi se hone laga hai. Jab chhote the na guru ji to aisa log kahte the ki bhai isse baat mat karo. Ye sharab pita hai. Ab kahte hain ki bhai isse baat mat karo. Ye sharab nahi pita. Haan bilkul bilkul. Isliye kya hai guru ji ki Delhi shahar mein to soshlaij hone ke liye aisa ek wo ho gaya hai ki aapko jana hai aur aapko glas pakdna hai aur aap chahe piyo mat piyo par aapko glas ek ham katha suna de to tumhara uttar bahut badhiya is baat ka aa jaega brahma ji ke char putr hain waise to sab srishti hi hai Satayug treta Dvapar aur kalyug jab narak ki srishti hui to brahma ji ne Satayug se kaha jab tumhara rajya aayega beta to narak ki taraf bhi dhyan rakhna kyonki wah khali nahi rahna chahiye.
unka hamare rajya mein koi narak nahi jaega. Treta se kaha to unka bade bhaiya jis marg mein chalenge usi marg mein ham chalenge. Dvapar se kaha to Dvapar ne kaha pitaji aapki agyaa ka kuch kuch palan karne ki koshish karunga. Jab kalyug se kaha to kalyug ne kaha pitaji jaise bade bhaiya ke rajya mein koi nark nahi jaega. Aise mere rajya mein koi swarg nahi jaega. Main pura narak hausphul karunga. Samjh rahe ho na? To usi ka rajya chal raha hai. To aap jaisa kah rahe ho na ki agar sharab na piye to log kahte hain isse baat mat karo.
sharab nahi pita. Sharab pita hai isliye baat karo. Matlab total narak kalyug ne vada kiya hai. Kalyug ne vada kiya ki koi bhul chuk se bhagwat prapti kar le ya swarg chala jae. Nahi sidhe ham pura narak hausphul karenge. To dekho sharab pina, parai stri se vybhchar karna, mans khana, chori karna, juaa, ghus, aparadh pravriti ye badhti chali ja rahi hai. Aap dekho na bilkul normal ho gayi. Bilkul. To bhaiya kalyug wali baat sachchi mat karo ki yar sab hausphul ho jaenge. Nahi kuch to bach liye jae. Kuch to aap bach jao kyonki achhche aadmi ho.
aapko bhagwan ne satsang diya. Vrindavan dham aae sadhu sang ke to aapka durgun chhut jana chahiye to aaj se niyam le lo ki aap sharab nahi piyoge aur aap hi na le aur jitne baithe ho utne sab le lo gande aacharan kahe ko karo usse koi labh ek labh bata do hamko agar ek bhi labh ho to ham usko chhorne ki koshish karen hamare shastron mein to nishedh hai hi lekin pragat mein bhi ek bhi labh ho to kisi bhi tarah ki agar achchai hoti to ham usko support karte hain. Ek bhi achchai nahi aur andar jakar ke hamare kidney ko, hamare lever ko, hamare dil ko, hamari anton ko nuksan pahunchati hai.
jismen mrityu nischit ho sakti hai. Aise vyasan ko kyon kiya jae? Jismen hamare angon ki hani ho, paise ki hani ho, buddhi ki hani ho aur samaj bhi hansta hai. Jab koi zyada nashe mein ho jaata hai, aise pare dikhayee deta hai to samaj hansta hai. To isliye hamen lagta hai bhai ise chhod do. Theek hai? Aur bhagwan ka aashray lo. Naam jap karo. Achhche aadmi bano. Bure adamiyo ki sangati se bacho. Nahi to bahut hani ho jati hai. Aur aajkal bahut buraian badh rahi hain. Agar adhyatma se koi juda nahi hai to usmen buraian hi buraian bharti chali jati hai.
jara-jara si baat mein lad jana. Jara jara si baat mein ek dusre ki hatya tak kar dena. Matlab bahut hi nikrisht buddhi badh rahi. Buddhi kitna nikrisht ho rahi jo bhai hamare maa ke garb mein yar hath do hath le ja tu yar chhota hai ya bada hai kya fark parta hai tu mera bhai hai bhraat prem nahi rah gaya pati patni mein prem nahi rah gaya pita putr mein prem nahi rah gaya kitna matlab aise aacharan fail rahe hain jo sune nahi ja sakte beta maa ko mar raha hai. Maa bete ko mar rahi hai. Pati patni ko mar raha hai.
patni pati ko mar matlab kahin vishwas prem ye ye sab hatta chala ja raha hai. Kyon hatta chala ja raha hai? Kyonki durachaar badh raha hai. Vybhchar badh raha hai. Nashe badh rahe hain. Gandi baten badh rahi hain. Puri grahasti choupat hoti chali ja rahi hai. Aaj hamara samaj girta chala ja raha hai. Agar utha sakta hai koi to adhyatma utha sakta hai. Aur adhyatma ko log zyada pyar nahi karte. Matlab aise gine chune aap log hain jo adhyatma sunne aae hain. Nahi to adhyatma ko koi zyada kadar nahi karta. Kadar karta hai.
rupya kaise ave kuch bhi karna pare. Agar nokri lagna charitraheenta ka prasang hai to raji hai. Pehle tha ki chahe sab kuch nasht ho jae lekin charit hamara bachna chahiye. Kaha jaata hai izzat hai to sab kuch hai. Aur aaj kya hai? Izzat ki mitiya met hai. Nahi aur ek angrezzi mein kahavat thi ki dhan gaya to kuch nahi gaya. Swasthya gaya to kuch gaya aur charit gaya. Ab ulta hai. Ulta dimaag chal raha hai. Buddhi bhrasht hote chale ja rahi hai. Maharaj ji ate hue yahi baat kar rahe the. Ek aadmi bole ki ab koi jaise pehle bolte the ki bhai ye jo hai jail mein rah ke aaya hai to kitna ganda aadmi hoga jo andar rah ke aaya.
ab wo kahte hain ki jail mein rah ke aae lekin dekho kitna paisa hai. Dubai mein ghar le liya. Nyuyorka mein ghar le liya. Aap log bahari haan log kah rahe hain bhaiya koi fark nahi parta paisa hai na bas bahut hai bas haan paisa paisa ka wahi to bataya sara mahatva paise pe chala gaya hai ji jaldi se padhunga Bhagwati ki kripa hui hai aisa shayad main dobara nahi likh paunga maharaj ji jeevan mein parivartan to aaya hai ji aur ye ye ai hai hamko khinch ke ki aap ham chalenge zabardasti ab hamare ghar mein kya badla sunie aap ji ki aapke pravachan sunti hai to aankh mein aansu bharti hai ji Vrindavan ane ki jid mein mujhse roz jhagadti hai.
ji aur pati parmeshvar hota hai. Yah bhram bhi ab to tut gaya. Mujhse zyada mobile par aapko dekha karti hai. Ji mujhse zyada mobile par aur dekhiye bij aapke pravchno ke roz hriday mein bota hoon. Ji ab to main patni ke har ek baat ke sang mein hota hoon. Aur patni ka sammaan karun. Ye baat aapne boli thi. Ji. Isiliye ab roz khushi se bartan kapde dhota hoon. Isiliye ab roz khushi se aur hamare kuch apne log aae hain aap pehle dukh se dhote the sahi kah rahe hain maharaj ji hamare kai log aapse mere kuch khas log aapke darshan karne gaye jeevan badal gaya mera bhi baki hai man mein lekar jab unse puchte hain to kahte hain ki man mein lekar punya irada kahte hain jeevan apna sidha sadha kahte hain aur jo madira ki dhara dhara bahte the ab wo keval Radha Radha kahte ab wo keval Radha aur akhri suna deta hoon.
hamne bhagwan ke darshan nahi kiye. Lekin agar koi kisi mein kar le to uski shraddha hai. Lekin wo shraddha banti kaise hai? Ki srijan ka sar sari srishti mein samaya suno. Swar swar mile mridugan ban jaate hain. Aur bundbund milti hai sindhu ke srijan hetu. Int int jod ke makan ban jaate hain aur ek-ek dhaga jude prit ki katar mein to jeevan ke punya paridhan ban jaate hain aur prem ka srijan kar dharti ko jit le jo aise sant hi to bhagwan ban jaate hain. Aise sant aur ek zaroorat akhiri shabd isliye suna raha hoon.
bahut zaroorat hai wo. Maharaj ji is samay vishv mein ashanti faili hai aur padosi desh bhi hamen chain se nahi rahne deta hai. Ham yahan bhagwat gyan ki prapti mein lage hain. Wo atankwadi hamle karata hai. To mera mera to kahna hai un logon se ki dahashton aur napharton ke daur wale dekh len. Dahashton aur napharton ke daur wale dekh len. Kho chuke insaniyat us thaur wale dekh len. Phir shayad wah bhi prem ke panth par chal pare. Ek bar aapke pravachan lahaur wale dekh le. Ek bar aapke pravachan. Bahut-ba maharaj ji ashirwad bana rahe aapka.
teha sahi ji ke shlok bahut sundar bhay nasan durmati haran kal mein hari ko naam nishdin jo nanak bhaje safal hoe te kam safal hoe te kam bilkul jiva gun Govind bhajo kar suno hari naam kaho nanak sun re mana parah na jam ke dham jo prani mamta taje lobh moh ahankaar kaho nanak aapan tare auran let udhar jeev supna aur pekhna aise jag ko jaan inme kachu sancho nahi nanak bin bhagwan nish din maya karne prani dolit neet kotan mein nanak ko narayan ji cheet karodon mein koi ek hai jiske chitt mein narayan hai. Nahi to sab mamta moh mein dol rahe hain.
sarsar baat sar baat hai. Sab shastron ki sar baat hai. Aha prani kachu na chetai madi maya ke andhu kahhu nanak binu hari bhajan parattae jam fand jo maya aur ahankaar mein phas ke sansaar mein bhtak rahe hain ye sab jampur jaenge sab Yamraj ke fand mein phasenge jo hari ka bhajan nahi karte jo sukh ko chahe sada sharan Ram ki le kaho nanak sun re mana durlabh manush de sar sar baat lekin bahut sundar bahut sundar maharaj ji kripa karo maharaj ka prem hamare hriday mein pahan har jagah maharaj ke darshan bilkul ab krodh bahut jaldi aa jae ab ghar grahasti mein to aisa ho hi jaega ab mera man shant nahi rahta krodh bahut naam jap karo to sab theek ho jaega jap karo jab se kaha ja mil ja to karke to dekho karke to dekho kuch mil jaata hai haan naam jap Baba man mein bahut vichar chal rahe hain agar ham naam jap karen to vicharon ko bhi avsar nahi milega aur krodh tabhi hota hai jab halka hriday hota hai.
gambhir hriday mein krodh nahi hota. Naam jap karo hriday shital rahega. Gussa kam aayegi. Naam jap karke to dekho pehle naam jap se kaha hoega. Dekh lo. Naam jap se kaha na hoega. To main kah raha hoon bahut Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi ho itna to kabahu hans dehu sunhu kripalu kishori Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripalu kishori Radhe
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…