॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #916 · 21 mai 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai. Bhavna Sharma ji bengaluru se Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji guru ji kamai ka kitna hissa dharm ke marg par lagana chahiye? Apnep samarth hamari baat suno. Agar koi aapko accident ka kes dikhayee de raha hai.

aap daud pado. Use uthao. Gaadi mein dalo. Aspataal le jao. Jitna kharch lage lagao. Koi bhukha dikhayee de raha hai. Apni bhojan ki taal use de do. Koi thandi se kamp raha hai. Apna kapda use de do. Aisa nahi hai ki ham mahine mein nikal karke rakhen. Hamen jahan zaroorat padi haan bahut aa raha ho karodon mein to bahut mission khule hain. Aise jo dharmartha mission hai unmein aap de sakte ho. Lekin grahasti mein jitna aa raha hai apne parivaar ka poshan karo. Bhagwan ke ghar mein seva virajman karo. Ati seva karo. Bhukhe tute ke sadhu sant mahatma bimar pashu pakshi koi bhi ho uski seva ki bhavna rakho.

usmen bhi yah nahi dekhna hai ki hamara dashansh khatm ho gaya. Ab to ab ham kya kharch karen. Nahi ham do-char din bhale bhukhe rah jae lekin aaj yah bimar aadmi hai. Isko ham dawai dilate hain. Aaj iski ham seva karte hain. Seva karne ki bhavna rakho. Dan dene ki bhavna mat rakho. Seva karne ke liye hamare paas jo kuch tan man dhan hai agar zaroorat padi ham dusron ki seva mein tan se bhi lagenge man se bhi lagenge aur dhan se bhi lagenge. Hamari bhavna to yah hai ki taday vastu Govinda tabhav samarpay he bhagwan aapki di hui vastu hamare paas hai jab zaroorat jahan jaise pare hamen prerit kar dena ham seva kar denge ham dan dene layak nahi hai kyonki dan apni vastu ka diya jaata hai aur vastu bhagwan ki hai to ham kya dan den bhagwan ki vastu jahan zaroorat padegi wahan laga denge waise Shastri niyam mein bataya gaya hai ki 100 mein ₹1 dharm ke liye nikal dene chahiye dashansh kahte 100 mein ₹1 dharm ke liye nikal dena chahiye ki bhai agar hamare paas ₹100 hain to ₹1 rakhen kisi dharm karya mein jab avsar aayega to ham ise laga denge.

aisa Shastri par ham kah rahe hain ki agar hamen zaroorat hai usko ₹100 ki dawa dilane ki. Hamne ₹1 nikal ke rakh to ham 90 aur laga dete hain. Bhaiya tumhari dawa 100 ki hai. Tum jao aur khao aur svasth raho. Aise bhavna se karna chahiye. Agar dan wale system pe to phir ab usko 90 kahan se chalo zaroorat to ham 90 ka ghata sah lenge ham tumhen pure 100 de denge aaj tumhen bimar ho aaj tumhen avshyakta hai to ham tumhari sahayata karte hain aisi bhavna rakhni chahiye waise Shastri niyam dashansh niklne ka hai ki 100 mein ₹1 nikal ke rakh de kabhi tirth yatra kabhi sadhu seva kabhi gau seva kabhi bimar seva unmein laga de aisa isliye dene ki baat chodo apne parivaar ka badhiya poshan karo ladka bachchha ko badhiya padhao bhav likhao aur jaruratmand ki seva kar do.

kabhi koi bhukha tuta pyasa bimar aisa jaruratmand dikhayee de to use apna bhi vastr de de koi baat nahi. Man lo ham sal odhe koi kamp raha hai to ham to ghar mein jakar dusri vyvastha kar denge. Usko odha dete hain. Ye hai sachchi seva. Koi bhukha hai ham apne hisse ka bhojan usko de dete hain. Ye sachchi seva hai. Ji. Ayush ji Bhopal se. Priyanka ji Gujarat se. Maharaj ji aap donon ka sem prashn hai. Aap kahna chah rahe hain ki aap apne andar ke sukshm ahankaar ko kaise pahchane aur mitaen? Jab kisi dusre par dosh darshan hone lage to samjhna chahiye ham mein ahankaar badh raha hai.

jab ham kisi ke dosh dekhen to apne mein guna abhiman hota hai. Tabhi dusre mein dosh dikhayee dete hain. Aur is ahankaar ka nash Gurudev ke charnon ka aashray, santo ke pavan charit padhne se aur bhagwan naam jap karne se yah apne aap nasht ho jaega. Gurudev ke charnon ka dridh aashray ho. Bhakton ke charitra ka gayan shravan ho aur khub naam jap ho to ahankaar mitiya met ho jaata hai. Bhakt charit sunne se lagta hai mere mein kya bhakti hai. Inme jo mahan bhakti rahi ye jo bhajan kiye usmen mera bhajan kitna to ahankaar nasht hota hai.

jab Gurudev ke charnon ka aashray lete hain to yah hota hai ki mere se jo sadhna ban rahi to guru kripa se ban rahi hai aur naam jap karne se hriday pavitra hota hai. Tino se ahankaar nasht ho jaata hai. Guru charnon ka aashray, bhakt ke pavan charitra ka pathan shravan aur guru charnon ka aashray se bahut jaldi labh milta hai. Jo guru charnon ke aashray mein nahi hai to ahankaar to pochhta hi rahta hai. Phir wo badhta rahta hai. Aur naam jap, naam jap bahut jaldi hriday ko pavitra karta hai. Ye teen sadhan hai ahankaar nasht karne ke liye.

inko chahe jo chahe apne ahankaar ka nash karna. Ye teen sadhan sweekar kar le. Guru charnon ka aashray bhakt charit aur naam jap ashu sinh ji hanumangadh se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab naam jap simran karte hain to sharir hi naam jap karta hai man kabhi bhutkal mein chala jaata hai kabhi bhavishya mein chala jaata hai par to maharaj ji idhar-udhar ghumta rahta hai yah usko kaise ek jagah hajir karte raho lag jaega abhyaas yog yukt chetas nigamina abhyaas banao. Jahanjahan man bhag ke jae use naam jap mein lagao. Bar-bar lagao.

dirghakal nirantar satkar sevit dridh bhumi. Dirgh kal tak yadi aisa abhyaas karoge aadar purvak to dridh ho jaega. Man lagne lagega. Aap chinta mat karo. Naam man lagne par bhi jo jaban se naam liya jaata hai wahi nishpap kar deta hai. Aap ji ne jo kaha tha na likhkar naam jo usse fark padne laga hai. Haan dhire-dhire aa jaega. Dhire-dhire aa jaega. Abhyaas yog yukt chetas nigamina abhyaas karte karte man phir swayam pakar leta hai bhajan ko ab jaise aap bilkul yah nahi kah sakte ki man nahi pakda kuch minute to pakar liya hai na ab agar na karo to man ko bechaini hogi usne pakar liya dhire-dhire aur pakdao ek minute aur pakdaya ek minute aur usko dhire dhire dhire abhyaas mein le aao to 24 ghante pakar lega usko abhyaas mein lane ki zaroorat hai Niraj goyanka ji Radhe Radhe shri hariv ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji meri ruchi shri Krishna naam mein zyada hai lekin main koshish kar raha hoon ek naam par man nahi tika pa raha kabhi Krishna naam japta hoon kabhi Govind kabhi narayan kabhi Radha Krishna kabhi Radha Govind maharaj ji man bhatakta rahta hai koi ek naam mein koi baat nahi koi baat nahi bahut achchhi dawa hai hamen ise pehle sansaar ke chintan se hatana khas baat pakdo hamara man kah raha hai Govind Govind Govind Krishna Krishna Krishna Radha Radha Radha to hamen sansaar ka chintan chhutana khas khas baat hai.

age chalkar ke ham ekaagr ho jaenge. Age chalkar ke koi ek naam apne aap adhikar prapt kar lega. Lekin abhi aise japo jaise jap rahe ho. Jab jahan man lage jab man kahe Ram Ram to Ram Ram kaho man kahe Krishna Krishna Krishna Krishna kaho. Pehle sansaar ka chintan chhute. Phir wo baat ek aa jati hai ekagrata ki ki priyata ki ki ek naam priy ho gaya. Phir usi mein hamara man lag gaya. Abhi to aise hi chalo jaise chal rahe ho. Khub sansaar ka chintan chhute, naam bhagwan ka chale. Aisa prayas karte raho. Maharaj ji aap to Radha ji ki sahachari hain.

aapko Radha ji ka priy naam pata hai to mujhe bataiye taki main ek nishtha se jap Govind naam theek hai. Haan to swayam shri ji japte hain. Ta shyame nit pran ras lal jo japte hain to shyame sundar mano hare kandap koti lalite sunagre tum Krishna kaho Govind kaho ladli ko bahut accha lagega theek hai aap khub naam jap karen jagjeet sinh ji hanumangadh se Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji vairagya kya hai duniyadari se dur hona ya swayam se antargat prem prasar hona tyag tyag, vairagya, uprati ye teen shabd shastron mein ate hain.

tyag kahte hain bhogon ki ichchha bhogne ki hai par shastr virudh hai. Ham nahi bhogenge. Hamen bhagwat prapti karni hai. Bhogon ki bhogne ki ichchha hai par ham bhogenge nahi. Use kahte hain tyag. Aur bhog samgri paas hai par bhogne ki ichchha nahi hai use kahte hain vairagya aur bhog samgri hai aisa bodh bhi nahi rah gaya hai use kahte hain uprati vairagya ka tatparya hota hai bhogne ki ichchha na rahna rag rahit ho jana hamara kisi bhi vastu vyakti sthan se rag hi nahi rah gaya hai apnapan keval ekmatra paramatma se rah gaya hai koi bhog bhogne ki ichchha nahi.

bhog ki ichchha ka nirantar ke liye tyag ho jana use vairagya kahte hain. Kiska prashn tha? Haan, bhogon ki ichchha ka tyag ho jana vairagya kahte hain. Aur bhagwan se anannya prem vah guru se anannya prem ho jana yahi jeevan ka vairagya ka phal hai. Agar vairagya keval hai aur brahm bodh nahi hai ya bhagwat prem nahi hai to vairagya kis kam ka? Vairagya ki purnata prem ya bhagwat prapti mein hai ya tatv bodh ho jae to usse vairagya ki purn keval vairagya hamen bhagwat prapti nahi kara sakta.

vairagya sahayak hai lekin hamen tatv bodh hona chahiye ya bhagwat prem hona chahiye. Do mein agar ek nahi hai to abhi purnata nahi hai. Vairagya koi khas vastu nahi hai. Khas vastu anurag hai. Mile na Raghupath bin anurag kiye koti jap jog viraga chahe jitna yog ho chahe jitna vairagya ho lekin bhagwan se prem nahi to yog kis kam ka jog kujog gyan agyanu jahan nahi Ram prem pradhanu bhagwan se prem nahi to yog kis kam sanakaad nirantar hari sharanam hari sharanam hari sharanam japte rahte hain aur brahm bodh sampann mahapurush hain.

tatv bodh hai jinko wah bhi nirantar naam jap karte hain. To naam jap karo aur asat bhogon ka tyag karo. Sat bhogon se to sharir ka poshan karo. Dharm ka palan karo. Asat bhogon ka tyag karo. Jise shastr nishedh karta hai. Jo paap karm hai unka tyag kar do to age badhte chale jaoge. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji inka bhi prashn aisa ismen puchna chah rahe hain ki matlab ek to ham chij ka tyag kar dete hain ek hai ki ichchhae hain kamnayen hain bat usko sweekar kar liya to uske parinaam mein phir vichlit nahi honge aisa matlab koi ek aise ek hai ki nahi khana mere ko rasgulla nahi khana to ek hai ki rasgulla khaonga phir rasgulla khana nahi khana yah hamare man ki baat nahi chalegi shastr kya kahta hai tasma shastram prmanam te karya karya vyavasthitau agar shastr kahta hai jaise kam bhog hai apni patni ke saath kam bhog kiya hua wo dharm mein hai lekin dusre ki patni ke saath kiya hua paap mein hai jo papi purush ye sochta hai koi shok nahi koi chinta nahi koi prayashchit nahi to papi purush hai antakran malin hai wo nich hai durgati ko prapt hoga aisa thodi ki tumhare sochne se ho jaega tumhare sochne se nahi hoga.

shastr pramanit vishay hona chahiye. Yah nahi ki ek hai ki vishyon ki lalsa hai aur usko daba raha hai aur ek hai ki vishyon ki lalsa hai. Wo bhog raha hai. Koi prayashchit nahi, koi pashchatap nahi. To to ghor papi purush ka lakshan hai. Ye to ghor papi purush ka lakshan hai. Ye koi punya atma ya satmarg wale ka lakshan thodi satmarg wale se to jara sa dharm virudh hoga to hriday jalne lagega. Traahimaam bolegaa wo pashchatap karega. Ka anusthan karega jisse uska paap nasht ho. Yah to jaise atank hai ki hazaron ko mar diya unko koi pashchatap nahi aur jakar party manate hain.

aise vishay bogi papi purush hain. Galat aacharan karte hain aur khub khushi hote hain ki aaj to hamne aisa kiya. Ye papi purush ka lakshan hai. Ye punyatma mahatma ya sataarg ka lakshan nahi. Satmarg wala hai ki jo dharm virudh aacharan bhul kar bhul na de kumargh paun. Bhul karke bhi ham asat aacharan nahi karenge. Agar asat aacharan ban gaya to bhari jalan, bhari pashchatap aur upay puchenge ki us paap ka prayashchit kya hona chahiye jo hamse ho gaya. Yah hai sataarg mein chalne walon ka aisa nahi. Ye to papi purush ka lakshan hai.

kyon? Manmani aacharan karke phir to kya hai ki goli mar rahe hain, lut rahe hain, vybhchar kar rahe hain, mauj se sharab pi rahe hain, masti se ghum rahe. Unko koi prayashchit hai kya? Ye to papi purush ka lakshan hai. Aisi gandi baat man mein mat lao. Abhi naye bachchhe ho phir gande acharno mein bahte chale jaoge. Haripath das ji Barsana se maharaj ji Radhe-Radhe shri Harivansh maharaj ji aap kah rahe hain ki ekantik vartalaap mein ek bar aapke prakt sharir ka naam to jante hi hain aur antarik sharir ka naam bhi janne ko mila.

maharaj ji ham janna chahte hain ki us swaroop ka paridhan evam paricharyaa kya hai? Maharaj kitne rupaye bank mein jama hai? Kitne jeb mein hai? Yah poster lagaya jaata hai kya? Yah poster lagaya jaata hai kya? Aapka swaroop kya hai? Uske pahnava kya hai? Aapki seva kya hai? Yah hamara personal vishay hai. Aap apni sthiti ki baat karo ki aapki sadhna mein kya vikshep hai? Uska uttar lijiye. Ye koi prachaar prasar ka vishay hai kya? Poster lagane ka vishay kya? Sadhna ko, dincharya ko, upasna ko, upasya ko gupt rakha jaata hai.

yah koi ekantik mein varnan karne wali baten hain kya? Aap apni sadhna mein bataiye ki aap kahan pahunch rahe hain. Jahan pahunchne mein vikshep ho uska uttar lijiye. Yah aisi baten nahi ki jati hai. Yah apni gupt aadmi sadharan dhan ko nahi bata sakta ki hamara bank balance kitna hamari jeb mein kitna hamare ghar mein kitna sona rakha hai? Kitna phir ye paramarth ki baat kaise wo to gupt rakhi jati hai. Yah kabhi varnan thodi ki jati hai. Aur jo kar de to khatm. Yah bhi baat hai. Agar bhavavesh mein akar apni pradhanata rakhne ke liye kar den to wahin se stop ho jaega.

Priya pritam ke prem ras ki baten yadi rakh sako to apne man mein gupt rakho. Ise kabhi wo to maharaj ji ne prashn kiya to nahi to ham Priya pritam ki baat hi nahi karte. Pure ekantik mein sunna gaur se sunna. Bhagwan shabd ka prayog karte hain. Kabhi Priyaju priy Lalaju aur apni pyari yah hamara gupt vishay hai. Haan koi personal aisa aaya aisa koi prashn kiya jaise maharaj ji Barsana se aae to prem ras dham se aae to chalo thodi charcha ho gayi. Apne swaroop ke varnan ke ye sab baten thodi hai.

swaroop ka thodi varnan ho sakta hai. Wo to wo to wo to swad ka vishay hai. Rasgulla aapko khawaya kaisa laga? Bole mitha kaisa mitha lagoge bole bahut mitha nahi kaisa bahut mitha bole kha ke dekh lo to tum bhi usi marg mein chal rahe ho to aao usi rang mein aao khud anubhav gamya bhaje santa wo anubhav gamya vishay usko thode se abhishek nagar ji madhya pradesh se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji joi joi sagun Janaki hi hoi asgun bhyo Ravan hi soi maharaj ji aap kah rahe hain ki lanka mein mata Sita ji ko anubhav ho raha tha matlab shagun aur inko ashwagun ho raha tha.

maharaj ji ye kah rahe hain ki ye ye ashwagun aur shagun apni antar chetna ka bhawnatmak ya pavitra ki ya dharm nishtha ka ya bahari jaise koi bili rasta kaat gayi ya chheek aa gayi isse ashu in se bili rasta kaat jae chahe bilavta rasta kaat jae isse koi fark nahi parta. Wahan ek bhagvatik sanket hai ki jab stri ka stri sharir ka bam ang phadakne lagta hai to kuch shubh hone wala hai. Aur jab purush ka bam ang phadakta hai to kuch ashubh hone wala hai. Aisa sanket hote hain. To bam ang pharakne lage Janaki ji ke to unko shubh shakun hone laga ki Ravan ke ashkun hone laga.

jab bangun ke pharkane lage to usko apashkun hone lage ki kuch ab galat hone wala hai. To wahan sanket matra keval uske liye bili mein bhagwan dekho kabhi apashkun nahi hoga. Bhagwan to bili mein bhi virajman hai. Radha Radha kaho koi badha nahi. Jab ghar se niklo to Radha Radha Radha Radha Radha jahan tumhen aisa lage kisi ne chheenk diya, kisi ne apashkun kar diya, kisi ne to wahan Radha Radha Radha bolo. Ganv mein bahut si aisi pranaliyan hain. Ye koi shastriya nahi hai. Shastri grah nakshatra hain jo pratikul hone par dand dete hain aur anukul hone par sukh suvida dete hain.

to samasth graham ki shanti ke liye bhagwan ka bhajan karen. Wo sarvlok maheshvar hain. Unke bhajan karne se koi grah nakshatra pratikul hone par bhi pratikul phal nahi deta. Aur bhagwan se vimurkh hai to anukul hone par bhi anukul phal nahi deta. Jo bhagwan shankar sahasra Vishnu aj tohi sak rakh Ram kar drohi to hamen vichar karna chahiye aur ye chheenk aur ye sab in baton par dhyan nahi dena chahiye ki bili rasta kaat gayi bili mein bhi bhagwan hai bhagwan rasta kaat gaye kya fark parta hai kuch nahi hota naam chal raha hai na sab mangal hoga aur naam nahi chal raha chahe jitne shakun ho amangal hi hai ka Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bas khas baat yahi pakdo bili katna vipatti nahi hai.

bhajan chhut jana vipatti hai. Kahe Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan ho. Shastri varta ko sweekar karna chahiye. Gramin varta to bahut vichitra bahut khali balti dekh liye. Ab wo pani lene ja raha hai. Kuan ham ghar se nikle isne khali balti dikha diya. Ab apashkun ho gaya. Ab gali la ab shakun baad mein hota. Laj juta usi samay shuru ho gaya. Ganv ki baten to ganv gramin ki bahut vichitra baat hai. Ganv ki baton mein to Shastri baat manani chahiye. Radha kesri ji bareli se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan ham roz niyam se ekantik vartalaap sunte hain to dekhta hoon ki aapko bahut pyar karne wale priy bhakt hain.

unke pyar ke age mera pyar to kuch bhi nahi hai aur apne aapko bahut chhota mehsus karta hoon. Gurudev bhagwan in sab bhakton ko dekhkar hriday mein bahut jalan si hoti hai. Ye jalan kaise khatm ho gayi maharaj ji bhakti ka to yah swaroop hai ki apne isht ko jab koi pyar karta hai to ham uski charan raj mathe par lagate hain. Hamen irshya nahi hoti. Hamen jalan nahi hota. Jo Harivansh ko naam sunawe tan man pran tas balhari. Jo Harivansh upasak sev sada seun taake charan bichri. Yadi hamare Gurudev se jo prem karte hain to hamen irshya nahi hoti.

hamen unke charan vandna karne ka man hota hai ki aho bhagya dhanya bhagya ki aap hamare Gurudev ki seva karte hain. Aap hamare Gurudev ki agyaa mein rahte hain. Aap hamare Gurudev ko pyar karte hain. Isliye ham aapko bahut pyar karte hain. Bahut aadar karte hain. Bhakti irshya nahi paida karti. Bhakti prem paida karti hai. To yah galat baat hai. Isko hatao andar se. Yah theek baat nahi hai. Jo guru ko prem karne wale hain unko mansik namaskaar karen ki dhanya bhag aap itna prem karte hain. Kaash hamare andar bhi aisa bhav ho ki ham aap jaisa Gurudev se pyar kar pave.

yah baat to hai. Unki charan vandna karen. Unke prati sache bhav rakhen. Irshya na karen. Irshya karna bhakti nahi hai. Yah galat hai. Yah shastr virudh hai. Yah bhakti virudh hai. Bhakti irshya nahi karati. Vyakti prem karati hai. Ji par ji aisa aisa bhi aisa bhav bhi ho sakta hai ki wah age nikla ja raha hai. Main piche wahin ke va to uski charan dhul mathe par rakho. Wah age bhajan mein nikal raha hai to uske charan dhul mathe par rakho ki tumhara jaisa bhajan hamen irshya karne irshya to sansaar mein hoti hai.

bhakti mein irshya thodi hoti hai. Bhakti mein to naman hota hai. Apne se bade bhakton ke to charanamrit piya jaata hai. Juthan pai jati hai. Unki charan raj mathe par lagai jati hai. Unki dasata sweekar ki jati hai. Irshya thodi ki jati hai. Are bade bhakton ki to baat jane do. Agar koi chhota bachchha bhi counter liye Radha Radha jap raha hai to hamara man hota hai iske charan chhue. Yah hamari shri ji ka naam jap kar raha hai. Iske ham charan chhue. Goswami tulsidas ji kah rahe tulsi jake mukh se dhoke nikat Ram taake pag ki pag tali more tan ki chaam dhoke se bhi Ram koi kah de to uski charan pag tali to mera sharir aisa wo pavitra ho jaata hai to bhakti namrata sikhaati hai vinay sikhaati hai pranam uska aadar uska sammaan na ki irshya irshya ye galat baat hai gaurav saksena ji Indor se Radhehe Radhehe maharaj ji maharaj ji meri jignyasa karm karm samarpan ko leke aapne pehle bataya hai ki hamen keval apne satkarmon ko hi apne isht ko samarpit karna hai.

asatya karmon ko nahi kyonki asatya karm samarpit karne se wah wapas laut kar ate hain aur hamara bura kar dete hain. Kintu maharaj ji ham to ab sharanagat hain to koi bhi karm hamara bura jis din sharanagat ho jaoge to bura karm hoga hi nahi. Pahli baat abhi sharanagati ka process chal raha hai. Goswami tulsidas ji kah rahe hain gun tumhara samjhe nij dosh jeh sab bhanti tumhare bharosa jise sab prakaar se he hari aap par bharosa hai par gun tumhare samjhe nij dosh gun hai hari aapka diya hua hai aur galti hui to hamse hui ye abhi sharanagati ka process chalu sharanagati nahi hui sharanagati jiski ham sharan mein uske siva hamari smriti mein koi nahi to paap karm kaise ban jaega paap karm to tab banta hai jab khali samay milta hai na dhate vishay pusa sangaste upjayte jab ham vishyon ka dhyan karte hain chintan karte hain to vishay bhog ki ichchha jagrit hoti hai tabhi hamse paap banta hai aur jab ham har samay Ram Ram Krishna hari jap rahe hain kyonki ham sharanagat hain aur bhagwan accha sharanagat se agar koi chuk hone wali hai sahi mein sharanagat jo hai to kar sada tinke rakhwari jin balak rakhe mhatri main un bhakton ki sadaiv raksha karta hoon jo meri sharan mein hai jaise maa apne bachchhe ki raksha karti hai to paap karm ki sambhavna nahi.

agar ban jaata hai to ham prayashchit karte hain. Ham hriday se pashchatap karte hain. Bhagwan se vinay karte hain. Mere se galti ho gayi aur us karm ko nasht karte hain. Bhajan ke dwara na ki jama karte hain. Usko nasht karna hai. Paap karm ko nasht karna hai aur sukriton ko bhagwan ke charnon mein samarpit kar dena hai. Bhagwan se yah jarur kahna hai ki he nath main aapki sharan mein hoon. Ab mera bas nahi ki main yah na karun. Main chahta hoon ki na karun par mere se ho raha hai nath mujhe bal dijiye aur kshma kijiye prabhu mere aur hriday mein jalan honi chahiye ki mere se aisa kyon ho gaya wo sab samapt ho jaega naam jab chal raha hai wo bhasm kar dega use jama karne ki zaroorat nahi jama karna hai satkarma samjh paye aap jo sanshay aur kriyanman hai unko bhi kya ham kar sakte samarpan sanshay kyon hai sanchit karm sanchit jo sanchit karm hai wo hamare bas bas ke nahi ho, samarpit karne ke nahi ho to godam mein apne aap aag lagaenge.

jinki ham sharan mein hain. Jo kraman hai, vartman mein jo karm ho rahe hain wahi to samarpit karna hai. Praarabdh ko bhogna hai. Sanchit ko prabhu bhasm karenge. Kraman ko ham samarpit kiye de rahe hain. Hamara jeevan bilkul mangalmay ho jaega. Ji ayush ji Haryana se. Radhehe Baba. Radhe-Radhe maharaj ji Baba jaldi se jaldi Swami ji ka sakshatkar unka bhav evam nitya vihar prakt ho jae. Aisa kya karun? Kaun sa sadhan karun? Kaisi rahni dincharya zaruri Swami ji ka sakshatkar nahi hai. Zaruri hai Swami ji ki agyaa ka palan karna.

yadi ham Swami haridas ji ki agyaa ka palan karen. Roz keleemal ji ka path karen aur har swas mein kunj bihari shri haridas kahe to koi prashn ki zaroorat nahi par jaegi. Apne aap sab theek ho jaega. Har swas kunj bihari shri haridas aur keleemal ji ka roz path pura roz path keleemali ji ka karo aur kunj bihari shri haridas swason se na visre to shyama pyari kunj bihari khalne lagenge aur jab shyama pyari kunj bihari khelnge to wo hogi god haridas ki to ek hi baat ho gayi haridas ji ki god mein shyama pyari kunj bihari ka sakshatkar ho jae Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji main ganv ke mandir mein kitni bar aur maine likha bageshwar dham mein bahut jagah maharaj ji maine bahut kasmen khai ki mera brahmcharya na tute.

kasmen se brahmcharya nahi rukta hai. Kasam khane se brahmcharya nahi rukta. Satvic bhojan pane se rukta hai. Kasam khane se thodi hoga. Satoguni bhojan pao. Mobile se gandi baten mat dekho. Gande bachchon ka sang mat karo aur hastmaithun karne ki cheshta mat karo. To kuch dino mein brahmcharya theek ho jaega. Subah do-ti kilometer daud lagao. 15 20 minute dand baithak maro. Badhiya shital jal piyo. Satvic bhojan pao. Abhi dimaag theek ho jaega. Dekhoge mobile se gandi baten. Gande bachchon ka sang karoge.

hastmaithun karoge. Brahmachari banne ke liye kasam vasam thodi rok legi. Kasam thodi rok legi. Hath se gandi kriyaen kar rahe ho to usmen kasam kya karegi? Chahe ganga kasam khao, chahe bhagwan kasam khao, sab tut jaenge. Kasam tab rukti hai jab hriday pavitra hota hai. Hriday se nischay hota hai tab rukti hai. Baat samjh mein ai bachchha? Kasam tutne ka paap jo bana hai uska naam jap karo. Bhagwan ka naam jap karo. Age se gandi baten mat karo. Theek ho jaega. Daud bhag karo. Sharir ko thakaya jaata hai. Brahmcharya ke liye sharir ko thakaya jaata hai.

isse khub seva, khub vyayam, pranayam, naam jap khub isse thakaya jaata hai. Tab brahmcharya pachta hai. Aise brahmcharya thodi pachta hai. Maharaj ji bhagwan ka prem kahan? Haan sab isi mein ho jaega. Pehle gandi adte to chhute tab bhagwan se prem ho. Pehle gandi aadaton mein jo prem hai wah chhute tab age ki baat bane. Khub naam jap karo aur sharir svasth rakho. Pavitra ahar karo. Gande drishya gande bachchon ka sang tyag ho. Mohit ji karnal se Haryana Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kuch din pehle aapne naam ki sankhya ka varnan kiya tha.

aapne bataya tha ki ek karod naam jap hone par shareerik sharir nishpap ho jaata hai aur do karod pe dhan ka abhav khatm ho jaata hai. Maharaj ji main is sthitiyon ko prapt karna chahta hoon. Maharaj ji mujhe koi ek naam de do aur uska niyam ya savdhania bata dijiye. Bas Radha Radha Radha Radha Radha Radha apvitra pavitra sarwavastha pundrikaksham savayabhyantra suchi jo naam jap karta hai to bahar aur bhitar se pavitra ho jaata hai. Chahe soch mein baithe ho chahe pavitra ho kisi bhi sthiti mein nirantar naam jap karo aap bas counter ka prayog letring mein baith ke mat karna haan bakaya har samay gintin karo bahut sundar dekh lena khud nihal ho jaoge nahi ji abhi tak japta tha to kai bar na kam aur krodh gira deta hai maharaj ji krodh adhik kuch bhi gira de phir khade ho phir chalo Radha Radha Radha bahadur ki tarah chalo thokar lag jae gir jane par hamen rasta nahi rukna aise hi kam krodh sudha the hamen gira dete hain to hamen rukna nahi

phir khade hue phir chale Radha Radha Radha phir gir gaye phir Radha Radha Radha Radha ek din girna band ho jaega aur ham cross kar jaenge chalte raho chalte raho bas khanpan galat na hone pave agar khanpan galat karoge to buddhi bhrasht ho jaegi phir ab jaise man lo madira pi liya mans kha liya idhar gande bhojan pa liye to ye phir haan koi ganda aacharan mat karo ganda bhojan mat karo nikal jaoge khub naam jap karo sankhya purvak sankhya purvak ki itne aaj jap kiye aur badhaya itne aaj kiye itne aaj kiye usse man lagta hai.

aniket sinh ji mumbai se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji inka jaise aap kahte hain ki sansaar dukhalai main koi bhi kisi ka saath nahi deta. Ye kah rahe hain ki main kisi ki bhi madad karta hoon to madad lene ke baad wo insaan matlab badal sa jaata hai. Phir uska bhav alag se dikhte hain. Maharaj ji aise main madad karun age ya kisi ke yahan madad karna. Ho madad karo insaan se badle mein kuch chaho mat bhagwan se chaho inko tumne ₹500 diya uska hisaab malik dega inse nahi lena inse ichchha mat karo ki laut kar aapko thank yu bole nahi aisa nahi viparit ho jaate hain haan ho jane do na hamen usse koi lena dena nahi hamne paropkar kiya iska phal bhagwan mujhe denge insaan kya dega usko to aapne swayam diya hai.

wah usse lautkar aap kya chahte ho? Nahi. Yahi hamari kamzori hai. Adhyatma mein yahi hamari kami hai ki ham dusron ko jab sukh dete hain jaise vastr, bhojan, rupya, paisa, sahyog jo bhi dete hain. Uske baad mein ham chahte hain ki wo hamse namr rahe. Wo hamse kritagya rahe. Wo hamen pyar karen. Wo hamara sammaan karen. Lekin nahi karega kyonki maya ke dwara prerit hai. Wo nahi karega. Zyada aap upkar karoge to aapko buddhihin samjhega. Lekin aapko apni sthiti mein rahna hai ki is vyakti ke aacharan se ya is vyakti ke vihaar se mujhe dukhi nahi hona.

kyonki maine jo upkar kiya paramatma uska mujhe hisaab dega. Mujhe yah kya dega hisaab? To paropkar ka hisaab paramatma deta hai. To hamen paramatma se lena hai ya vyakti se lena hai? Agar vyakti ko aapne pani pilaya aur hath jodkar bol diya dhanyavaad aapne pani pilaya to ho gaya aapka pani pilane ka hisaab aur agar wah chala gaya to pani pilane ka hisaab thakur ji denge. Jab bhagwan denge to bahut zyada denge. To hamko vyakti se dhanyavaad lene se kya matlab hai? Ham to manaenge ki wo hamen dhanyavaad na de.

wo chupchap chala jae. Ham prabhu se lenge to aapko prasannata rahegi. Jab aap kisi ka paropkar karen aur wah aapko pratikultaa de, aapka apman karen to aapka paropkar sarkari bank mein jama ho gaya. Ab usse jo labh milega wo bechara vyakti kya de sakta tha aapko? Samjh rahe ho na? To waise bhi dehateeti bhasha mein kahte hain neki kar dariya mein dal. Kahte hain na ki achchai karo aur dariya mein baha diya. Matlab uski yad bhi mat karo ki maine iske saath neki ki thi. Tabhi wo neki phlibhut hoti hai. Ham log thoda manushya swabhav hone ke karan ye chahte hain ki yar thoda sammaan deta hai yar aisa pakka hai.

tumhi ko nahi koi bhi kare usko jhatka lagta hai. Usko jhatka lagta hai. Lekin paramarth kya kahta hai? Tere se thodi lena hai. Mujhe to malik se hisaab lena hai. Neki kar dariya mein dal. Hemant sinh ji Jaipur se. Radhe Radhe-Radhe maharaj ji. Gurudev pranam. Maharaj ji man mein hamesha yah prashn rahta hai ki meri umr mein matlab 22 23 sal ki umr mein kya yuvkon ko puja path mala jap ko adhik mahatva dena chahiye? Bahut bahut kyonki agar is avastha mein nahi kiya na to kisi avastha mein nahi kar sakte.

jaise ab ham hain aap hamen pistol dijiye aur kah dijiye chalaie to ham nahi chala payenge kyonki hamne kabhi abhyaas hi nahi kiya. Samjh rahe hain na? To ek sadharan yantr hai. Wah abhyaas na karen to nahi chal sakta. Ab hamen pata hi nahi ki kahan se chalta hai, kaise chalta hai, kya hai. To aapne jeevan mein kabhi puja nahi kiya, kabhi bhajan nahi kiya, kabhi bhagwan se chitt nahi joda to aap budhape par thodi jud sakte hain. Kyonki abhyaas nahi kiya na. To gandi baton ka abhyaas is avastha mein zyada hota hai.

to hamen chahiye ki apni gandi baton ko rok kar achchhi baton ka abhyaas karen. Sadgun layen. Bhagwan ki puja bhajan mein jab ham chitt jodenge to hamare andar achchhaiyan ayengi aur buraiyon ka nash hoga. To buraiyon ka nash ho aur accha aadmi bane. Samaj ki seva karen, rashtr seva karen, parivaar ki seva karen. Yahi manushya jeevan ka labh. Dekho aap jaise naye bachchhe jab gandi baton mein phas jaate hain to drugs lene lagte hain, nasha karne lagte hain. To jawani mein yadi sadgun na ho to durgunom ki baadh aa jati hai aur log gande acharno mein utar jaate hain.

jawan bachchhe matao bahno ki janjeeren chhin lete hain. Motorcycle se nikle aur aise pakda ab wo gire chahe mare chahe kuch bhi ho chori karne lagte hain. Bure acharno mein utar jaate hain. Agar aap sache achhche bachchhe baenge to aap jaise bachchhe samaj ka udhar kar denge. Man lo ek koi bhi pad mil jae neta ban jao chahe aap koi paddhikari ban jao ya aap sadharan purush bhi raho to bhi aap samaj ka upkar karenge. To sadgun bina bhagwan ke chintan se to aaenge nahi. Dekho aap jab puja karoge, bhajan karoge aur aapko koi shraap de kahoge yar nahi main puja bhajan karne wala hoon.

main yah sab lene wala nahi hoon. Apne aap aapka man kahega nahi yar main nahi aur agar aap puja bhajan nahi karte to aapke andar udandta rahegi phir party jwain hoga sharab mans vybhchar ye gandi baten rheng to hamen lagta hai balyvastha se achhche gunon ki taraf chalna chahiye buraiyon ka tyag karna chahiye puja bhajan ka matlab Baba ji ban jana nahi hai puja bhajan ka matlab hai achhche sadgun dharan karna achhche sadgun dharan aap aise lekin sadhuan ke vachan suno, satsang suno, andar hi andar naam jap karo, mata-pita ke charan chuo, unki seva karo, paropkar karo.

ek achhche aadmi ban gaye aap. Ban gaye ki nahi? Haan. Ham ye kahte hain man lo jaise samaj mein tumhen chandan tilak lagane mein, kanthi bandhne mein lage ki log kahenge dikhava karta hai. Mat karo. Achhche andar sadgun dharan karo. Andar wali baat aapki majbut honi chahiye. Andar aap Radha Radha jap rahe hain kaun janta hai nahi to andar naam jap karo aur andar sadgunan ko badao buraiyon ka tyag karo achhche aadmi bano yahi manushya jeevan ka lakshya hai ji Swami Ram Ram ji Barsana se ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Shrimad bhagwat ji ke gopi geet is baat ka sanket hai ki gopiyon ko bhagwan shri Krishna ke ishwar tatv ka bhan tha aur shlok sankhya ismen ek likha hai ki tum wo kah rahe hain ki tum samasth sharir dhariyon ke hriday mein antarjami rup se rahne wale sakshi ho.

kah rahe hain na ki aap keval Yashoda nandan nahi ho. Akhil akhil deh dhariyon ke antar mein virajman paramatma ho. Na khal gopika nandno bhava akhil dehna mantratma dik vikhan sarthito vishv gupt sakh udaywan satwatam kule aap satwat kul mein jo utpann hue ho vishv mein tatv rup se gupt ho Yashoda nandan hi keval nahi ho akhil deh dhariyon ke antratma ho ji tum brahma ji ki prarthna se vishv ki raksha karne hetu Yaduvansh mein paida hue ho maharaj ji phir gopiyon ko bhagwan shri Krishna se virah ka anubhav kyon hua prem tatv gyan alag chij hai.

tatv bodh hote hue bhi premi tatv rup mein nahi prapt karna chahta. Premi pragat rup mein bhagwan ko prapt karna chahta hai. Wo kah rahe main janti hoon. Mujhe yah bodh hai ki aap sarvatra vyapt hain. Lekin sarvatra vyapt se mujhe santosh nahi hai. Rud suram rajan Krishna darshan lalsa tasa Mahavir bhut chhari usi samay unhin ke beech mein bhagwan prakt hue. Pitambar dhara sir sakshat manmat manamtha wo tatv rup se nahi prakt hue. Wo shri Krishna rup se prakt hue. Unka tatv prem nahi hai. Tatv samjhane gaye Uddhav to kahte ham jante hain lekin hamara prem jo shri Krishna rup se hai jit dekhun tit Shyam mai tum jo tatv gyan samjhane aae ho atma tatv ka Udhav man na bhay da 20 ek hoto so gayo Shyam pe to atma tatv kiska samjha rahe hain unhin ka samjha rahe Shyam sundar hi to atma swaroop hai lekin premi tatv rup mein nahi premi sakshat rup mein prapt karna chahta hai yahi prem ka swaroop hai.

tatv ka sakshatkar sarvatra vyapt tatv hai. Yah gyan har ek mahapurush ko hota hai. Jaise hamare yahan sahachari bhav hai. To hamare yahan updesh hai ye krura papino nach satam sambhas drishya sarwa nireeksh swadhya param swadhya buddhim jo krur hai papi hain dusht hai nich hai unmein bhi sakshat Radha vallabh lal virajman hai. Bhavna karni hai. Lekin hamari tripti isse thodi hogi. Hamari tripti hogi nikas kunj thade bhae bhuja paraspat ansh shri Radha vallabh mukh kamal nirakh nayan Harivansh tatv rup mein sarvatra virajman paramatma yah hamen sansaar ke is prapanch se nivraat karta hai.

lekin premi rup ka ashik hai. Rup chhake ghumat rahe tan ko tanik na bhan narayan drig jal bahe yah prem pehchan tan man ke bichure nahi chah badhe din rah ren bahut sukshm vishay hai. Agar aapne jo prashn kiya agar use samjhe aap tan man ke bichure nahi pa chah badhe din rahan aur kabahu sanjog na manhi dekh bhari bhari nain ye sabki samjh mein le aayegi ati arti atur arat dukh bhare netr aturta vyakul bhare netr aur dekh rahe hain anuragi lampt bhul gayi gati palhu lagena Radhe tu mukh chand chakor Naina aravrat milbe ko nish din mile hi rahat mano kabahu mile na aur bhagwat rasik rasik ki baten rasik mila ko sab ye jo prem hai arabrat milwe ko nis din aur nis din mile hi rahe mano kab mile bhagwat

rasik rasik ki baten rasik mila ko sab kahla to gopi jan shri Krishna tatv premi nahi hai shri Krishna rup premi hai isiliye rup ka antar dhyan hote hi tatv ka gyan hote hue bhi suram rajan Krishna darshan lalsa tasa Mahavir bhut chhare smayman mukhambja Pitambar dhara shag sakshan manmat manamta isiliye bhagwan bhagwan turant unhee ke beech mein tasa Mahavir wahi the tatv rup mein lekin turant shri Krishna rup dharan karke Pitambar dhari koti manmat hari bhagwan apne rup ko prakashit kiya samjh pa rahe hain aap ji ke paas pahunch bhai ji ke paas baat nahi pahunchni aapko pahunchna hai bhai ji ke paas haan baat nahi pahunch baat to pahunch hi chuki aapko pahunchna hai.

ab chinta nahi karni wahi jana hai. Jahan shri ji ki seva mein bhai ji Radha Baba va jana hai apne logon ko. Bas wahi jaate hain. Aap chinta na karo. Aapka paas ban gaya hai. Paas ban gaya aapka. Maharaj ji kah rahe hain. Aap chinta na karo. Bani hui hai. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi ho itna to kabahu hans de sunhu kripalu kishori Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe avasi kripa ki kol chit ho itno to kabahu has ho tum mohi milo milo lorda

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…