॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mansik santulan nahi bana pa rahi hoon kahin koi saya to nahi?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji nivedan hai ki ek samadhan kijiye maharaj ji is adhyatmik jeevan aur sansarik jeevan mein mansik santulan nahi bana pa rahe hain kya mansik santulan depression hai ya koi saya maharaj ji mansik santulan koi saya paya nahi hai jaise logon ko rahta hai na ki bahari chakkar koi ye sab bhitri chakkar hamare dwara jo paap karm hote hain wahi hamare man ko jlate hain wahi hamari buddhi ko bhrasht kar dete hain aur koi nahi. Jaise bhut pret bhi aata hai na kisi ke dimaag mein to paap karm ke karan hi aata hai.

hamare paap karm ko bhugtane ke liye bhut ka avesh hota hai aur wo hamen dukh deta hai aur jab hamara paap karm kshay ho jaata hai to ya to koi jhadne phunkne wala mil gaya ya swayam chala jaata hai. To karm hi hamare liye bhut hai aur karm hi hamare liye bhagwan hai. Agar hamare karm bigad gaye to wahi bhut ki tarah hamen satata hai aur karm hamare ban gaye to wahi bhagwan ki tarah ham par kripa karta hai. Isliye karmon ka sudhar karo. Hamare karm theek hone hamare agar karm bigad gaye hain na to aisa hi anubhav hone lagta hai.

koi depression nahi. Pehle swikrati karo. Nahi to agar kisi aadmi ko 20 bar 20 logon ko tayyar kar lo alag-alag aur usko yar tum depression mein pahunch gaye kya? Nahi nahi to. Hamen to lag raha hai tum depression mein ho aur chala jae. Phir dusra ave yar tum depression mein pahunch gaye kya? Aur 20on kahe agar wo aspataal na pahunch jae to hamse baat kar lo. Wo aspataal jaega aur check karwaega ki main depression mein hoon kya? Kyonki 20 logon ne kaha hai. To ham pehle kah rahe hain ki ye swikrati karo ki main depression mein nahi hoon.

ye swikrati karo ki mere upar bhut pret ka koi saya nahi. Swikrati se hi phas gaye ho. Mere upar bhagwan ki badi kripa hai aur naam jap karo. Gande aacharan mat karo. Aaj hamari samaj gande acharno ko paap man hi nahi rahi hai. Bahut jor se yah vybhchar fail raha hai. Ye jo vybhchar dosh hai bahut jor se fail raha hai. Chahe stri ho chahe purush ho sabke dimaag mein ek hi baat nach rahi hai. Bas bhog bhog bhog sansaar ye paap mahapap hai. Par stri gaman par purush gaman ye mahapap hai aur koi is par dhyan nahi de raha aur phir kahte hain depression mein ja rahe hain.

pareshaan ho rahe ho to pareshaan nahi honge to aur kya ho gaya? Ham khuli baat kah rahe hain. Apne charit ko sudharo. Apne acharno ko sudharo. Apne karm ko theek karo. Naam jap karo. Kisi se ashirwad mangne ki zaroorat nahi. Aur koi ashirwad aise phal phool wala bhale de de. Aisa ashirwad bina adhikar ke nahi mil jaata. Tumhen bhajan karna padega. Tumhen apne aacharan theek karne padenge. Tumhen tap karna padega. Tumhen paap nasht karne padenge. Upay ham bata dete hain. Bhagwan gita mein arjun ko kya kah tumhen sahna padega tumhen mera bhajan man mana bhav mad bhakto madhya ji mam namaskaar bhagwan samne khade hain aur kah rahe jab tak tum aisa nahi karoge tab tak mere ko nahi jaan sakte samne khade hain maharaj anannya chetam mera satat chintan karo anannya chintno mam mera anannya chintan karo bhagwan bar-bar kah rahe hain to jab bhagwan kah rahe hain to ham log to bhagwan ke das hain Sadgurudev bhagwan badi kripa jordar hai vipaksh bahut jordar haan vipaksh to jordar kyonki

hamare Swami ka hi hai kisi aur ka hai kya hamare Swami to socho jiski ek maya shakti itni jor ki hai uski kripa shakti kitni jor ki hogi prabhu pehle wo kahte the ab aap are aise aise aise thodi kab bola jaata hai jaise tum mantr bol diye mantr hi nahi mila tumhen tabhi to durdasha hai ab kabhi mat bolna ab aap bata do wahi karenge ham to roz chillate hi rahte hain ab ek baat batte hain dil bhar lage hi to rahte hain isi mein lage rahte hain ki bhai sudhro bhai sudhro mangal ho tumhara Radha Radha japo Ram Ram japo Krishna Krishna japo hari hari japo jo man ave so japo lekin japo aur aacharan pavitra rakho khanpan pavitra rakho badhiya anand aa jaega ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…