॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

wo har vichar jo main sochta hoon wo mera hai ya koi aur ise chala raha hai ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

atul ji Radhe-Radhe guru ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji apne man ke vicharon ko kaise samjhaen kya har wo vichar jo main sochta hoon wo mera hai ya koi aur ise chala raha hai he trigun maya ke dwara man phaltu vichar phenkata rahta hai koi point ka aaya to aaya 100 mein ek do baat point ki aayegi nahi 98 baten phaltu phenkata rahta hai aur jo naam jap nahi karte aur isi man ki phaltu baton mein phaaste rahte ya to jail mein hote hain ya depression mein hote hain. Yah overthinking badhate badhate badhate badhate man mein ai lekin use kaat diya aur jo man mein ai aur katna nahi janta ya to jail jaega aur ya durgati uski hogi jite ji to yah jo hamara man hamare samne baten pesh karta rahta hai har samay uska karya hai aisa ho jae aisa kar liya jae aisa kar liya jae aisa kar liya jae usko katna hoga vivek ke dwara jo sahi baat hai use support kar dena hai.

jo galat baat hai use kaat dena hai. Aur jab aap man ki baat ko kaat doge to man tumhen jalega vyathit karega. Iska swabhav paramtam swabhav matlab mat dega aapko to usi manthan usi vyatha ko usi jalan ko sah jao to aap age badh jaoge paramarth mein aur nahi sah gaye to durgati ho jaegi. Phir to durgati ho jaegi. Ye man ke chakkar mein na pare. Man ne hi pure sansaar ko klesh mein fansa rakha hai. Bole yar man nahi mana agar man jaata to main bach jaata. To man ko manao aur man ko manane ke liye aapko power chahiye.

wo adhyatmik power chahiye. Naam jap karo. Ram Krishna hari Radha jo naam priy ho naam jap karo tabhi tumhare hriday mein pavitra aayegi. Power aayega. Man kah raha hai ki dekho pavitra man galat aacharan ki salah nahi dega. Ghrna hogi. Apvitra man achchhi baat ki salah kam dega. Gandi baat ki zyada salah dega. Aajkal mobile chal gaya hai. Ismen bhi sadgun hai. Mobile mein bhi jaise aap log baithe hain to mobile ki hi kripa se baithe. YouTube mein dekha aur yahan tak pahunch gaye. To gandi baat jo mobile mein dekhte hain jo log wo man ko aur ganda support karte hain aur ganda bana rahe hain.

man ki jo kalpanaen hain wah aur badha rahe hain. Hamen lagta hai mobile se gandi baten dekhna band ki jae. Ganda bhojan band kiya jae, ganda sang band kiya jae to man achchhi baten fenken lagega. Agar ham ganda bhojan karenge, ganda sang karenge, ganda drishya dekhenge to wah gandi baten phenkega. Hamare dwara phir gandi baten hongi aur uska parinaam bahut bura hota hai. Ek bar ganda aacharan ho gaya aur wah prakashit ho gaya aur ham phas gaye to pura jeevan barbad ho jaata hai. Samaj mein kalankit aur jail bhogna parta hai.

isliye man ki kalpanaon ko katna sikho. Vivek ke dwara unko kato. Jo galat salah hai unko nakar do. Chahe jitna kasht ho wo sah jao. Do minute ke liye wah jalata hai. Tum hamare hamen lagta hai agar ham aisa kah lete hain to shanti mil jaegi. Anand mil jaega. Nahi wah ghor ashanti mein phenk dega. Agar abhi man jao na karo to shant ho jaega. Par yah vivek tabhi kam karega jab adhyatma hoga. Naam jap karo, satsang suno, pavitra bhojan, pavitra sang karo. Tab aapke andar pavitra vichar aaenge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…