॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Chess Tournament se prapt dhan se kya karen ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

harsh aur chirag ji nagpur se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap donon bhai shatranj khel khelte hain usmen pehle aapke adesh hua tha ki jo bhi dharashi jite use gau mata ka hara chara khila den maharaj ji maharaj ji ab koi bhi prayogita ham ya school mein koi bhi pariksha usse prarambh mein ham purv apne pujya Gurudev ko smaran karte hain. Radha rani ke 28 namon ka jap karte hain aur krishnay Vasudev mantr ke saath hi apna karya arambh karte hain. Gurudev aapki kripa aur Radha rani ki ashirwad se teen mahino mein hamne bahut sari shatrang jo bhi kheli usmen 45,000 ki dharashi arjit kiya hai.

aapse vinati hai ki hamen margdarshan karen ki ab is dharashi ko kahan lagaen? Abhi apne paas hi rakhe raho. Theek hai? Abhi apne paas rakhe raho. Phir ham samay se bataenge. Abhi aur ekatrit karo. Phir abki bar thakur ji ka phool bangla banwana. Theek hai? Thoda aur paisa ekatrit ho jae to jaise Radha vallabh ji ka ya bihari ji ka phool bangla banwana to tumhare khel se unka phool bangla ban jaega usmen baithe rahenge to accha rahega theek hai bhog lagwana aur thakur ji ka phool bangla thoda aur paisa ho jae matlab isse dabal ho jae to thoda phool bangla badhiya ban jaega theek hai bahut achhche bachchhe ho aise hi unnati karo khub naam jap karo aur khub achchhi unnati karo jo apni laukik unnati ko bhagwan ke charnon mein samarpit karta hai.

wah mahapurush ho jaata hai. Haan abhi bachchhe ho dekho itna dhanras ekatrit kiya na khel karke aur khel karke jab itne dabal ho jae tab phool bangla banva dena. Theek hai. Haan aapki thakur ji ki seva kar gau seva ho gayi. Ab Govind ki seva kar dena. Maharaj ji main inki mata hoon. To sir itna puchna chahti hoon aaj ki yuva pidhi jisse galat acharno mein badh gayi hai. Main chahti hoon ki inki koi bhi tarike se wo jo dharashi hai usse inki adhyatmik pragti ho aur ye sahi marg pe chale age. Ye apne aap chalenge.

apne aap sah lenge. Jinka man aur jinka dhan agar bhagwan se jud gaya kahin ek hisse mein bhi jud jae to uska patan nahi hota. Bhagwan aise raksha karte hain kar sada tike rakhwari jim balak rakhe mhatri yah jo aaj ki yuva pidhi bhrasht ho rahi hai adhyatma se nahi judi bhagwan se nahi judi shastr swadhyay nahi karte santo ki baten nahi sunte nahi mante to ab girlfriend boyfriend living relation vyasan vybhchar girte chale ja rahe hain to bina adhyatma ke buddhi pavitra nahi hoti aur aaj ka navyuvak adhyatma se judna kam chahta hai.

jud rahe hain par kam judna chahte hain. Kyonki vybhchar mein sanyam lagega adhyatma. Vyasan mein sanyam laga dega adhyatma. Wo vyasan vybhchar chodna nahi chahte. To bina gande aacharan chode koi pavitra kaise ho sakta hai? Hamari samaj kaise sukhi ho sakti hai? Jab tak gande acharno ka tyag nahi karegi. Sanyam mein jab tak byah na ho tab tak brahmcharya se raho. Mitrata karna paap nahi hai. Aap mitrata kar lo aur baad mein byah karo aur phir grahasti mein jao. Koi pareshani nahi hogi. Jaise char hotlon ka bhojan khane wala ek rasoi ka bhojan barabar nahi kha sakta kyonki uski jaban chanchal ho gayi.

aise hi rasendriy jnendriay sab indriyan hai. Aap aise badhte chale ja rahe ho vybhchar karte. Phir aap apne pati mein santusht nahi honge. Phir aap apni patni mein santusht nahi honge. Aapki vybhchar pravriti gandi aadat karegi aur phir ek dusre mein phir aisi bhawnaen ban jaengi ki wo phir hatya hinsa aadi mein utar jati hain. To bahut ye bada dukhad vishay hai aaj ka. Haan lekin lekin jinko bhagwan se ab jaise chhote-chhote bachchhe bhagwan se sambandh rakhte hain to inke aacharan nahi bigdenge. Ye satsang sunenge.

ye naam jap karte hain to inki buddhi ki raksha bhagwan karenge. Haan ab aaj ka samay bahut girta chala ja raha hai. Naujawan jo nai pidhi hai wo girta chala ja raha hai. Vyasan aur vybhchar inme pravritti bigadti chali ja rahi hain. Aur satsang sune to parivartan ho jae. Kafi parivartan ho raha hai. Jo naujawan satsang sun rahe hain wo gandi baten chhod rahe hain. Age badh rahe hain. Lekin bahut kam matlab percent mein bahut kam. Agar adhyatma ko sweekar karen to percent badh sakta hai. Adhyatma ko sweekar kiye bina shasan kiska?

na sant shasan na guru shasan na shastr shasan na bhagwan ka bhay na samaj ka bhay manmani aacharan ho rahe hain. To ye ye buddhi jo bhrasht ho jati hai wo bina bhajan ke bina bhagwan ke bina shastr ke ye buddhi pavitra kaise hogi? Maya ke dwara to buddhi malan hoti hai. Bhagwan ke dwara hi to buddhi pavitra hoti hai. Jab hoe buddhi jo param shayani agar buddhi praveen hui to bacha le jati hai. Agar praveen na hui to fansa diya pura choupat ho gayi. Zindagi barbad ho gayi. Bachchhe hi hai chahe bachchhe hi ho chahe bachchha ho bachchhe hi hain.

buddhi bhrasht ho gayi. Khatm khel. To ye buddhi bhrasht na ho. Iske liye hamen adhyatma chahiye. Bina adhyatma ke hamari buddhi pavitra nahi ho

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…