॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #949 · 23 june 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant hari bhaktan ki Vrindavan dham ki jai shri Sadgurudev bhagwan ki jai akhil Gupta ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mithya aropon ke baad kis tarah se man ko shant kiya jae agar aap par mithya arop lag bhagwan ke naam jap ke dwara jo hamare hriday mein naam jap karta hai chalta hai jaise hamen kisi ne kaha to hamen turant janch karni hai.

agar hai to bhagwan samne se sambodhan kar rahe hain. Mujhe sudhar karna chahiye. Aur jab mujhe pata chala janch karne par ki jo samne kaha ja raha hai wo mere mein nahi hai. Bas ab wo uski buddhi hai. Ham uski buddhi ko nahi badal sakte. Wo jo bol raha hai wo bolne do. Mujhe prasann rahna hai. Mujhe uske bolne se dukhi nahi hona. Aise agar ham dukhi hone lagenge to ham kabhi sukhi nahi honge. Yahan koi kisi ko support dene wala nahi. Aap achhche marg mein chalna chaho to aapko girane ke liye hi lekin upar chadne ke liye nahi.

support mein koi nahi milega. Aap dharm se chalo dusron ka upkar karo to jiska upkar karoge wahi aapko girane ki koshish karega. Yah sansaar hai. Yahan bahut chhal, kapt dum, natak yah sab bahut chalta hai. Paye jaan jagat mein sabjan kapti kutila kalyugi tanch aap hriday se kisi ko pyar karo. Wo aapke hriday ko hi kaat dega. Aap apni jaan par khelkar dusron ko bachao. Wahi samay ane par tumhari jaan lene par utaru ho jaega. Yah sansaar hai. Isliye neki kar dariya mein dal. Accha kar aur bhul ja. Aur bura jab tumhen koi kah raha hai to tum use sweekar mat karo.

yah uski buddhi hai. Wah tum par mithya arop laga raha hai. Yah uski buddhi hai. Aap uski buddhi ko dekhkar dukhi kyon ho rahe hain? Aap bilkul fas rahie. Yah bilkul agar hamko koi kah raha hai ki yah chor hai. To mujhe pehle dekhna chahiye ki mere mein chori ke koi baat to nahi hai. Agar hai to bhagwan samne se hamen sambodhan kar sudhna chahiye. Bura nahi manna chahiye. Agar mere mein chori nahi to phir main bura kyon manu? Phir to mujhe prasann hona chahiye. To isliye mithyar rup to karenge hi. Jagat hai.

bade-bade santo ko nahi chhoda. Bhagwan ko nahi chhoda to aapko aur aapko kaise chhod dega sansaar? Bade-bade santo ko nahi chhoda. Bhagwan ko nahi chhoda. Isliye apne ko prasann rakhna hai. Apne ko rakhna hai. Apne ko inki baton mein akar ke dukhi nahi hona hai. Maharaj ji agar ham kisi vibhag mein hain jahan hamen safai dene ki avshyakta hai wahan to de sakte. Puri deni chahiye. Aur jab safai dene par bhi baat na mane to apni katarta par lage rahe. Jo hona hoga wahi hoga. Iske alawa nahi hoga. Ham aise mithya aropon pe ya aise chhal kapt walon ke niche dabne wale nahi.

bahut matlab majbut rahna chahiye. Isiliye kah rahe hain naam jap karo. Jab bhagwan ka bharosa hoga to chati chaudi karke baat karoge. Aur insaan ka bharosa hoga ki sahab agar hamko hata diye to nokri chali jaegi. Agar yah sahab thodi sahab ka sahab hai wo. Agar wo chahega to sab mangal hi ban jaega. Iski kya baat hai? Isliye mast raho naam jap karo akarsha Radhe-Radhe meri ladli jo maharaj ji main ek vidyarthi hoon ladli jo ki kripa se maine aapki YouTube ke madhyam se satsang aur ekantik vartalaap sune hain.

Gurudev bhagwan main aapke liye wo har ek chij karna chahta hoon jisse aap hamesha khush rahe aur meri ye dili ichchha ki main aapse mitrata kar taki main sari wo baten karun. Kya baton ko dhyan rakhun jisse aap prasann rahe. Haan sabse pahli baat hai ki aap girlfriend aadi ke chakkar mein mat padiega. Brahmcharya dharan kijeyega, Radha naam japiega, mata-pita ka aadar kijeyega. Bas isi se ham prasann ho jaenge aur isi se tumhari jeevan ki unnati ho jaegi. Theek hai? Ab apni shri mukh se mujhe Radha naam jap Radha Radha Radha Radhe Radhe pandit gaurav Sharma ji dau ji se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main kisi vishesh sampraday ke guru ji se dixit nahi liya hoon.

matlab kahin se liya hoon. Bat aise mein kya hamko sampraday se hi diksha leni chahiye? Yahan Gurudev ne jo sampraday ka tatparya hota hai marg. Kiska prashn hai? Jeeti rod. Agar hamen gaadi daudani hai to hamen jeeti rod ki avshyakta hogi. Sampraday ka matlab marg. Ham acharya ki sharan hote hain aur unke batae hue marg par aankh mund ke daudte hain to ham bhagwan ke paas pahunch jaate hain. Sampraday ka matlab koi bhayavah ya koi phansavat ya koi aisa nahi. Sampraday ka matlab jeeti rod sudridh marg sampraday ab jaise hamen Priya pritam ke nikunj mein jana hai Priya pritam ki seva karni hai to hamko wahi marg lena padega na to hamko Swami haridas ji ki sharan mein hona padega Harivansh ji ki sharan mein hona padega to unke batae hue marg se chalenge ab hamko sakha bhav ki upasna karni thakur mera dost hai mera yar hai to hamko Vallabhacharya ji ke marg mein chalna padega bhai hamko jahan ja jaise hamko bihari ji jana hai to bihari ji wale marg mein Radha raman ji jana to yah marg hai bhakti mein use sampraday kahte hain.

sampraday ka matlab hota hai marg. To agar hamen prabhu ke in bhavon mein chalna hai. Dasy bhav, sakhya bhav, vatsalya bhav, kanta bhav, gopi bhav, sahachari bhav to hamen usi marg wale mahapurush se judna padega. Tabhi to ham wahan pahunch jaenge. Aise ham kaise pahunch jaenge? Hamen jana bihari hai. Ham chalne lage chathi kala ki taraf. To marg to hai lekin ham kabhi bihari ju nahi paunchenge. To bihari ju pahunchne ke liye bihari ju wale hi marg mein jana padega. To usi marg ka naam sampraday hai.

bole mujhe bihari ji se pyar karna hai to Swami haridas ji se pyar karo to bihari ji se pyar ho jaega. Radha vallabh ji se hamen pyar karna hai to shri harivant mahaprabhu se pyar karo. Radha vallabh ji se pyar ho jaega. Kyonki wo jante hain kaise tumhen pyar karna hai. Wo kripa karenge. Wo apne thakur ka pyar denge. Wo apna marg bataenge. Wo mantr bataenge, upasna bataenge, path bataenge, seva bataenge. Tabhi to ham pahunch payenge. Samjh pa rahe ho? Kiska prashn tha? To sampraday ka matlab marg.

ham kisi bhi marg ko agar ham tay karna chahte hain to hamen wahan ka guide chahiye aur guide chahne ka matlab hai guru banana, acharya banana. Jab tak acharya aur guru ki sharan mein nahi honge tab tak ham marg ko tay nahi kar sakte. Gaurav sinh ji bareli se. Maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji yah kah rahe hain ki aap matlab ah sevae karte hain madad bhi karte hain bat jaise kisi ek bhikshuk ko inhone bhiksha dan de di bat kisi aise ko dekha jismen inko dosh darshan hua to phir inhone chhod diya to phir waise ham prayah prarthna karte rahte hain ki kisi bimar aadmi ko aushadhi dene ke liye vichar karne ki avshyakta nahi.

kisi bhukhe ko bhojan dene ke liye vichar karne ki avshyakta nahi ki kaisa aadmi hai. Koi accident ho gaya, koi aisi paristhiti us samay dhan kharch karne ke liye vichar karne ki avshyakta nahi. Lekin aise mangne walon ko dhan dene mein vichar karne ki avshyakta hai. Wo tumse ₹1 ₹1 karke sham ke sharab piega, mans khega, vybhchar karega, gande aacharan karega to aapko bhi narak jana padega. Dhan dene ke liye hamko bahut vicharvaan hona chahiye. Hamare dhan ka prayog kaisa hoga? Isliye patr dekhkar dhan ka dan kiya jaata hai.

dhan aise nahi ki baithe hue hain bant rahe hain. Wah sham ke sharab piyenge, gande aacharan karenge to phir wo hamari durgati ho jaegi. Bhojan ham kisi ko bhi de sakte hain. Bhojan ke liye aushadhi kisi ko de sakte hain. Sahyog paristhiti ke anusaar ham kar sakte hain. Sardi mein koi kamp raha hai ham apni shirt utar kar use de sakte hain. Ham apna kambal use de sakte hain. Lekin paisa dene ka jab samay ave to vichar kar le ki ham jahan paisa de rahe hain is paise ka hamare sadupyog hoga ki nahi hoga. Agar durpayog hoga to phir aap bhi uske sakshi bane aur aapko bhi use bhogna padega.

ji isliye bahut samjh ke bahut sambhal karke dhan dhan dan karen to bahut sambhal karke shilpa ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kah rahe hain ki jab bhi kuch accha hota hai to man mein vichar aata hai ki chalo accha kam kiya mera mere paap dhul gaye inhone jaise to ye aisa vichar karna theek haan theek hai bhagwan ki badi kripa usmen bhagwan ko jod lo bhagwan ki badi kripa hui to hamse accha karya karwaya hamare amangal nasht ho rahe hain hamare sare paap nasht ho rahe hain. Badi kripa hai bhagwan ki. Bhagwan ko jod lo.

apne ahankaar ko mat pusht karo. Bhagwan ki kripa se wo karya hua. Aisa bhav karen. Maharaj ji kah rahe hain ki jab sahi kam karte hain bat usmen bahut adachnen aati hain. Matlab phir last mein thak jaate hain ki itne sari paristhitiyan aa nahi aise hamen to nahi lagta ab tak ki sahi kam mein koi adachnen aati hain. Agar hamne lakshya bana liya to adachnen kya karegi? Archane archane hoti hi nahi. Archane uski hoti hain jo lakshya nahi banaya. Lakshya bana liya to adchan kya chij hoti hai? Raundte hue har adchan ko apne lakshya par pahunchna hai.

lakshya bana lo. Sahi kam ka lakshya bana lo. Phir adchan kya karegi? Adchan hoti kya hai? Hamare man ki samaj ke dwara di hui pratikultaa. Ham usko raund karke age badhenge. Yahi to hamari pariksha hai. Satya marg par chalne walon ke jab adachnen aati hain to unko aur josh aata hai aur apne satya ko prakashit karte hue chalte hain. Jaise veer hota hai jab usko badha pahunchai jati hai to usmen aur josh aata hai. Kayar purush hota hai to pith dikha ke bhag jaata hai. To adachnon se hamen harna thodi hai. Adachnon se hamen bhidna hai.

hamen sangharsh karna hai. Hamen sangharsh karne ke liye manav jeevan mila hai. Aur koi bhi aisa nahi jisko sangharsh na karna pare. Sangharsh karke ham vipatti dukh adachnon ko parast karen aur bhagwan tak pahunche. Yahi hamare manav jeevan ka lakshya hai. Kumar anshuman ji Prayagraj se. Radhehe Radhe-dhe maharaj ji maharaj shri ham gasta aur nokri peshe wale hain. Aapke ashirwad se hamare jeevan mein bahut badlav aaya aur ham bhagwat marg par chalne ka sahas juta paye hain. Itna to samjh aa gaya hai ki maharaj shri ki is marg par chalna bahut kathin hai.

lekin naam ka sahara lekar age badhne ki koshish kathin tab lagta hai kathin tab lagta hai jab hamko sansaar priy lagta hai. Priyata ke karan kathin lagta hai. Nahi to bhagwat marg kathin nahi hai. Bahut saral hai. Satya hai, anandmay hai, sukhmay hai. Jahan dukh ka lesh nahi, aisa bhagwat marg hai. To ismen kathin kya hai? Kathin to sansaar ka marg hai. Chhal hai, kapt hai, chinta hai, shok hai, bhay hai, dukh hai, mrityu hai. Yah kathin marg hai. Lekin isko ham saral samjh rahe hain. Vichar karke dekhiye. Sukhad marg kathin kaise ho sakta hai?

dukhad marg saral kaise ho sakta hai? Ham aapse mitrata karen. Aap hamare saath kapt kar den, chhal kar den, aviswas kar den. Lekin bhagwan bhagwan nahi. Bhagwan amangal nahi kar sakte. Mangal bhavan hai. Vishwas karo. Har kshan hai. Sarvatra hai to yahan bhi hai. Sab samay hai to is samay bhi hai. Sab mein hai to mere mein bhi hai. Sabke hain to mere bhi hai. Isliye bhagwan ka marg kathin lagta hai par kathin hai nahi. Sansaar ka marg sukhad lagta hai par bahut kathin hai. Aaj tak sansaar kisi ke hath mein nahi aaya. Bade-bade ho gaye, samrat ho gaye, raja ho gaye.

kisi ke hath nahi aaya. Sab khali hath gaye ki nahi gaye? Aur jo satmarg mein chala satmarg uske hath mein aaya bhajan sadhan tapasya lok mein jahan bhi jaega uska sammaan hoga wo sukh prapt karega lekin jisne adhyatma ko sweekar nahi kiya keval laukik marg ko sweekar kiya marne ke baad uske hath kya hai ek bar Sikandar vijay karke ja raha tha to ek sant nachne lage samne usne kaha kyon nach rahe ho bole aaj mujhe veer bahadur mila hai wo wo tum kam kar sakte ho jo aaj tak kisi ne nahi kiya. Bole haan bolie.

to ek sui nikali. Kaha mere kapde phat jaate hain. To main ek sui rakhta hoon. Kya parlok mein mujhe ye sui aap le jakar de sakte hain? To unhone kaha murkh ho kya? Parlok mein koi kuch le jaata hai kya? To bole phir lakho ki hinsa karte ho to jab tum parlok mein ek sui bhi nahi ja sakti to tum lakho ki hinsa kyon karte ho? Usi din se dimaag aa gaya aur usne kaha jab Sikandar mare to donon hath arthi ke bahar kar dena ki sab log dekh le itna parakrmi veer bhi yahan se kuch nahi le ja raha hai to hath lagne wali chij to adhyatma hai sukh dene wali vastu to bhagwan ke marg ki naam leela gun dham ye sab sukh dene wali hai maharaj ji mera ek prashn tha main janna chahta hoon ki hamen karta nahi hai ham drashta banke jeevan jeena chahiye kintu nahi ji paoge.

abhi jab tak bhajan nahi hoga tab tak drashta kaise ban sakte ho? Sharir mein pida hai to bhogta bankar ke bhogna padega. Jab tak bhajan ke dwara wo sthiti nahi prapt hui hai. Jab bhajan hota hai aur wo sthiti prapt hoti hai. To aise pida mehsus hoti jaise dusre sharir mein unke sharir mein pida hai to mujhe lag raha hai inke sharir mein pida hai. Lekin wo vyathit nahi hota. Kam aa raha hai to hamare andar nahi aa raha. Wo man ke andar aa raha hai. Ham uske drashta hai. Usko control kar sakte hain. Abhi hamare andar aata hai na ki ham yah bhavna kar pate hain ki man mein kam aa raha hai.

agar ham kuch dekhna chahte hain to yah bhav nahi aata ki meri netr indriy dekhna chahti hai. Bhavta main dekhna chahta hoon. Bas ye jab tak main man aur indriyon se juda hai tab tak drashta bhav nahi siddh ho sakta. Uske liye bhajan karke nirmal hona. Jaise-jaise man nirmal hoga, waise-waise aap drashta bhav mein ate chale jaenge. Aur jaise-jaise man malan hoga, waise aham man mein leen hota chala jaega. Maine kiya, main karunga, main aisa kar sakta hoon. Samjh pa rahe hain aap? Anuj singhal ji Agra se. Radhe-Radhe.

Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji aapke pravachan sunne ke baad atit ke galat karyo ke dar se naam jap shuru kiya. Karib 2 sal ho chuke hain naam jap karte-karte. Ab keval yah janne ki ichchha rah gayi hai ki bhagwat marg par abhi bhi naam jap dar ki wajah se ho raha hai ya Radha rani se prem ho gaya. Haan abhi abhi to prem to alag baat hai. Prem jab ho jaega to ek alag sthiti ho jaegi. Phir koi dar nahi rah jaata. Nirbhay ho jaata hai. Nishcint ho jaata hai. Nishuk ho jaata hai. Aur prabhu se bhi nahi darta.

aur prabhu se kahta hai yatra yatra mam janm karmaveer narke parme pade athva Radhika rati nikunj mandli tatr tatr hrid mein virajta he prabhu main aapse yah nahi mangta ki mujhe narak mat bhejna mujhe chahe narak bhejna chahe param pad bhejna mujhe iski parvah nahi par aap apne parikar sahit mere hriday mein rahe jahan bhi rahun main aapki yad karta rahun aapki yad mein rota rahun kahin bhi bhej do aap uska dar khatm ho jaata hai jab prem aata hai to nark se bhi nahi darta. Bas ek baat mangta hai ki main kabhi aapko bhulun nahi.

bisriyo na bisariyo yahi dan mohe dev shri Harivansh ke ladle mohe apni kar le. He ladle thakur Radha vallabh lal mujhe apna bana lo. Main aapko bhulun nahi aur aap bhi hamen na bhule aur jahan manave wahan bhej do. Mujhe koi dar nahi hai. To abhi prem to ham nahi kah sakte kyonki jis samay prem prakt hoga to kutumb deh te jae chhut sab hi vidhi to na sharir ki parvah na parivaar ki parvah na nark swarg ki koi parvah nark swarg apvarg as nahi tras hai jahan rakho ta raho man sukh raas hai na swarg ki apvarg moksh ki chah nahi hai aur nark se koi bhay nahi hai nirantar bhagwan ka bhajan to abhi chalta hai.

agar yah nirantar chalate rahoge to prem aa jaega. Phir asakti ho jaegi. Phir bhajan ke bina jiya nahi jaega. Koi chah nahi hai par bhajan ham nahi chhod sakte. Bhajan ke bina ham ji nahi sakte. Aisi sthiti aa jaegi. Bahut mangalmay bhagwan ki badi kripa hai ki aap bhagwan ke naam mein lag gaye. Dekh lena bahut anand ho jaega. Lok aur parlok sab sukhi ho jaoge. Is lok mein bhi sukh aur parlok mein bhi sukh. Ji teena katariya ji Jaipur se. Radhe Radhe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji kya mere naam jab se ghar ke baki logon ko bhi labh hota hai?

pura pura hota hai. Parivaar ke sab janon ka mangal shuru ho jaata hai. Agar ek bhajan karne wala ho to pure parivaar ka mangal ho jaata hai. Pure parivaar ka mangal ho jaata hai. Yahan tak ki 21 pidiyan tar jati hain. Shastron mein varnan aaya hai. To isse zyada kya mangal ho sakta hai? Abhi vartman parivaar ki to baat jane do. Piche ki hamari 14 age ki sat ye 21 pidiyan tar jati hai. Haan to phir vartman mein hamare parivaar ka mangal ho. Waise bhi samjh lo. Ek aadmi kraim karta hai. Pura parivaar jhakjhor jaata hai.

pure parivaar ka apman hota hai ki nahi hota hai? Kahan gaya batao? Wo aadmi kahan gaya? Tum uske chacha lagte ho. Tumhen to pata hoga na? Tum uske jija lagte ho. To uske ab matlab har sambandhi har jagah wahan pulis jaegi aur wahan jakar ke janch karegi pareshani paida karegi. Ek aadmi ne kraim kiya pura parivaar dukhi hota hai. Pura mohalla dukhi hota hai. Pure rishte natedar dukhi hote hain. Aise hi agar agar ham sahi chalte hain to hamare ganv wale bhi sukhi hote hain. To agar ham ek dharm se chale to hamara ganv sukhi, hamara mohalla sukhi, hamara parivaar sukhi uske upar prabhav parta hai.

aur ek aadmi agar galat chale to pura ganv dukhi ho jaata hai. Pura mohalla dukhi ho jaata hai. Pura parivaar dukhi ho jaata hai. Rishte natedar dukhi ho jaate hain. Aise hamare bhajan ka prabhav pure parivaar par parta hai. Ji aman Sharma ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke paas jaisa marij aata hai aap usko waisi dawa dete ho maharaj ji aapse brahm gyan ki baat karta hai koi to use vaisa batte hain bhakti ki baat karta hai to bhakti batte hain koi bhagwat prapti ke liye aata hai to bhagwat prapti maharaj ji main chahta hoon ki shri ji ka prem aur sharir chhutne ke baad jaise aap shri ji ke paas jaenge maharaj ji mujhe bhi waise hi jana hai maharaj ji mujhe vaisa waise chalna padega na waise chal chalna padega.

agar hamko shri ji ke paas jana hai to shri ji ke banna padega na. Shri ji ke pehle kisi sant mahapurush ki sharan mein ho. Unse diksha lo. Unke anusaar sadhna karo. Bhale grihasth mein raho lekin sadhna karni padegi. Ab aise to nahi ki ham army mein jana chahte hain. Lekin na ham daud laga rahe hain na ham vyayam kar rahe hain. Na ham kuch kar to aise aadmi kayar aadmi thodi army mein jaega. Usko to wo karna padega na. Utni daud, utni lambai, utni chaudai wo sab nishanebaji sab karna padega. Aise jab shri ji ke paas jaate hain to indriyon ko apne adhin karna, man ko adhin karna, gande aacharan na karna, brahmcharya se rahna, pavitra ahar pana, har samay naam jap karna, dusre se mridu vihaar karna yahi lakshan hai.

dhire-dhire ham shri ji ki taraf badh jaenge. Sumit Gupta ji palwal se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji jab ham koi sadhna karne ka sankalp lete hain aur nibha nahi pate to kya bhagwan naraz hote hain? Nahi bhagwan bahut karunam mein hai. Kabhi aisa nahi asflata ko ham safalta mein badalne ke liye hi manav jeevan prapt kiye hain. Yadi ham asfal hone par nirash ho jaenge to ham har gaye. Phir theek nahi hai. 100 bar asflata ho phir bhi ham 101 bar prayas karenge safal hone ka.

to hamne jaise sankalp liya ki ham amuk karya karenge nahi kar paye to phir ham agla phir agla phir agla ham kadam badhate chale jae ek din ham kar lenge nirash nahi hona bhagwan bahut udaar pita hai bhagwan bahut udaar pita hai waise vimurkh bhay nimash na akpa jab chit waise jaise bahut dhani udaar pita ho to chhoti moti galti ho jae dhyan nahi deta hai. Agar badi galti ho gayi to apne putr ka hi paksh leta hai. Aise bhagwan apne bhakt ka hi paksh lete hain. To agar hamse aisi truti ho jati hai ki hamne ham yah karenge ham nahi kar pate hain to hamen nirash nahi hona hamen.

phir prayas karna hai. Phir prayas karna hai. To ek din bhagwan ki kripa se ham wo kar lenge. Kyonki ham bahut bar apne indriy aur man ke kahne se galat aacharan kar chuke hain. To ham jab accha aacharan karne ka sankalp karte hain to unki jo gandi adte hain man aur indriyon ki wo hamko zabardasti gande marg mein le jati hain. Aur jab ham ganda karya kar lete hain to ham utsahheen ho jaate hain ki yar ab mere se nahi ho payega. Kyonki wo sat karya hai na bhagwan ka karya hai na to paap hone par man usse hat jaata hai to ham phir pavitra karen naam jap ke dwara bhagwan ki katha sune satsang sune phir ham utsah sampann bane aur age phir apne karya ko karen bhagwan naraz nahi hote garwit Sharma ji sham Sadashiv maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji hamare jeevan ki baat kab banegi shri ji sarv samarth hain jab wo abhi bani hui hai bigdi kya hai bigdi hamse hai bhagwan ne to bilkul sundar bankar bheja.

hamen manav jeevan diya. Ab ham bigad le to ismen hamari galti hai. Bhagwan ki galti nahi hai. Shri ji ki badi kripa hai. Jaban diya hai mridu bolo. Satya bolo. Aankh diya hai accha dekho. Sab mein bhagwan ko dekho. Hath diya hai dusron ko paropkar karo. Mata-pita ki seva karo. Khub dharm purvak dhan kamao. Padho likho. Unnati karo. Bhagwan ne kya kami rakhi hai? Hamko pareshani kya hai? Shikayat kya hai bhagwan se? Maharaj ji shri ji hamen dekh rahi hai jab hamari baat banegi ya ham shri ji ko dekh lenge jab hamari baat banegi baat tab banegi jab aap shri ji ka naam jap karoge dekhne sunne se Duryodhan bhi to dekh raha hai bhagwan ko kya baat bani kya bhagwan shri Krishna ko Duryodhan ne dekha na to baat bani kya mara gaya baat banegi bhagwan ka naam jap karne se dat ke naam jap karen aur shri ji nyay lene to aapko shri ji ki prapti ho jaegi aap le chaloge pakka ka garantti promis khub tum Radha Radha naam jap karo theek hai haan jab naam jap karte hain to naam hamara nauka ban jaata hai aur wahi hamko bho samudra se par kar deta hai hamen chinta nahi karni kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utrara aap bilkul chinta mat karo maharaj ji ai lav yu ab ham angrezzi to bolenge nahi ham yahi kahte hain ki ham sabko pyar karte hain lekin lekin hamara hamara jo pyar hai wah aapke pyar se alag pyar hai.

ham aapke sharir se pyar nahi karte. Ham aapse kuch chah karke pyar nahi karte hain. Ham aapko dene ke liye pyar karte hain. Aapko sukh mile. Aapko bhagwat prapti ho. Aap svasth rahe. Aap nirantar bhagwan ka bhajan karen. Achhche aacharan wale bane to ham aapse pyar karte hain. Theek hai na? Nitesh pal ji bareli se. Radhe-Radhe maharaj ji. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji apne jeevan mein adhyatmik aur sansarik lakshya ko ek saath kaise prapt kiya ja sakta hai? Kiya ja sakta hai. Jaise ham har phavde pe Ram Ram Radha Radha jape kya hamen fark padega?

ham vyapar kar rahe hain. Grahak aaya usmen bhagwan ka bhav kiya aur vyapar ka karya karne phir Radha Radha Radha koi pareshani nahi. Agar ham parai stri ki taraf gandi drishti se dekhenge. Parae dhan ki beimani karenge aur ham gande bhojan payenge to hamari durgati ho jaegi. Sharab pina, mans khana, gande aacharan ye phir hamari durgati ho jaegi. Yadi ham pavitra bhojan pate hain, dharm purvak dhan kamate hain. Bhagwan ka naam jap karte hain. Dusron ka upkar karte hain to grahasti mein rahte hue bhi adhyatma ki purti ho jaegi.

koi pareshani nahi. Hai nahi? Haan. Koi nasha mat karo. Ganda bhojan mat karo. Haan bilkul. Aur naam jap karo. Naam jap karte ho maharaj yar counter rakha karo maharaj ji aise Radha Radha Radha Radha jap karte waise usse zyada banta hai maharaj prarambh mein use ki aaj hamne 500 kiye to kal ham 600 karen ham 65000 usmen ek matlab lagan lagti hai to hamen lagta hai naye sadhak ko ye counter hai mala hai inka prayog karna chahiye ji maharaj nisha Yadav ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kripya samjhaen jab kisi ki mrityu kam ayu mein hoti hai to uski svase utni hi thi.

aisa mane haan bilkul utni hi jo garb mein hi mar jaate hain unhone kya aparadh kiya tha? Jo garb ke bahar akar bhi balak avastha mein mar jaate hain usne kya aparadh kiya tha? To purv se yah nirdhrit hai ki wo garb mein hi marega. Mahilaen maharaj ji ye karva chauth ka vrat phir kis uddeshya se rakhti hain? Ye to bahut chhoti mote baten hain. Ye ganv gali wale hote hain. Ye anusthan kisi ki mrityu ko thodi bacha sakte hain. Karva chauth kisi ki mrityu ko bacha legi. Ayu jab purn hoti hai to dekho ganga ji apne hath se apne putr ko lekar ke ganga mein phenk deti thi jinda.

log to mara phenkte hain ganga ji mein. Wo jinda phenk deti thi ganga ji. Sat putr paida hote hi ganga ji mein phenk dete. Kyon? Kyonki unki ayu itni nahi thi. Unko pata tha wo asht vashu mein sat jo the unko janm lete hi mukt karna tha. To unhone kah diya tha shantnu se ki aap prashn nahi karoge hamse. Uthaya aur jinda ganga ji mein phenk diya. Wo mare aur Vasu rup ko prapt ho gaye. Lekin athwen mein rok diya to wahi Bhishma pitamah ji ke rup mein to hamare mrityu lok mein agar hamara hai ki garb se 10 din nikalne ke baad marna hai to 11wa din ham nahi dekhenge 10ven din hi mar jaenge ismen hamen shok nahi karna chahiye ye to bilkul pakka samjho jo vidhna ne likh diya chhathe rav ke ank rai ghate na til badhe rah jeev nishank jitna likha hai utna hi jiyenge iske age nahi maharaj ji jaise ham mahilaen jo vrat rakhti hain putro ke liye ya pati ke liye uske baad bhi yah bahut chhota sa support hai.

jaise hamari ayu 10 varsh hai. Ab hamko koi vighna chhota-mota ane wala hai. Maa vrat kar rahi to uska jukam theek ho jaega. Usko bukhar nahi usko chabeta nahi lagega. Usko chot nahi lagegi. Mrityu ka nischit time hota hai. Use roka nahi ja sakta. Haan. Ab jaise mrityu yog lag raha hai. Abhi mrityu nahi hai to Mrityunjay jap karo kat jaega. Mrityu yog lag raha hai lekin mrityu nahi hai to wah bach jaega. Agar mrityu hai to Mrityunjay jap bhi use nahi kaat sakta. Nahi koi bacha ke dekh le. Yog lag raha hai.

paap karm itna uska prabhavshali ho raha hai ki wo mrityu yog jaisa dand dega. To Mrityunjay jap kiya. Yog kat gaya. Ayu nahi ayu agar samapt ho gayi hai to phir samapt hi ho gayi hai. Phir use nahi badhaya ja sakta. Nahi bhagwan Ram ji apne pita dashrath ji ko jivit kar lete aur mata kaushilya vaidhavya na hoti. Vichar karo yahan jo janma right time jab aaya usko yahan se jana padega. Bilkul koi bhi vrat niyam sanyam use nahi rok sakta. Yah bahari support hota hai. Ye bahari support hota hai. Mrityu ko nahi roka ja sakta.

nahi to sadhu mahatma man lo aap ek karva chauth sal mein ek bar hi to hoti hai karva chauth yahan roz karva chauth jaisa hai roz upasna roz vrat hai roz liya lekin marte hain na sant mahatma bhi jo raat din bhajan karte hain wo right time marte hain ki nahi koi jawani mein mar gaya koi budhapa mein mar gaya par ab is janm mein bhagwan ke paas jana hai isliye hamen koi shok nahi samjh pa rahe hain aap vaibhav thakur ji shri Radhe Radhe Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji kai priyjanon aur kai bujurgo ko bhi yah kahte hue suna hai ki zindagi badi mushkil se milti hai yaron jo bhog sakte ho bhogo enjoy karo nahi ye nahi ham ye jarur is baat pe haan kahte hain ki zindagi badi kimti hai zindagi badi mushkil se milti hai durlabh manusho devo deh naam kshanbhangura tatrap durlabh manne vaikunth priydarshanam baat ab samjho zindagi bahut kimti hai yar ise gande kamon mein nahi ise ise achhche kamon mein lagao.

isse bhagwan ki prapti karao. Bhagwan ke priy prem ko prapt karo. Yah zindagi ka labh hai. Bujurg kahte hain bhog bhogo anand lo. Bujurg bhakti bhi kar lo bat enjoy bhi karo. Hamen to aaj tak nahi samjh mein aata ki enjoy hai kahan? Hamen ham to khol ke operation karke baat batte hain. Enjoy hai kahan? Kahan enjoy hamen batao. Jo chij khao chha ghanta mein soch ban jati hai. Ban jati hai na? Manushya ko sabse zyada priy vastu kya lagti hai? Rupya isliye priy lagta hai ki hamen samgri milti hai. Samagriyon mein khanpan sabse priy pahne udne ko mile aur bhogon mein stri bhog ya purush bhog khuli baat hai.

iske alawa hamen batao aur kya chahiye? Iske alawa kya chahiye? Man, pratishtha, rupya, paisa yah sab isi ke liye hai. Andar do baten chal accha khane ko mile aur manmani bhogne ko mile. Bas yahi chahiye na marne ke baad inme se kya bacha? Final mein hamen batao jo grihasth mein aap log to grihasth hain. Aapne bhoga aapke paas kya hai anubhuti? Phir wahi bhogne ki ichchha hai na. Koi yah kah sakta hai ki main bhog karke tript ho gaya hoon aur meri koi ichchha nahi. Yah baat wahi kah sakta hai jo bhajan kar raha hai.

accha bhog sthan kahan hai? Malmutr ke dwaar hai jinko chha lo to raj laga ke sabun laga ke hath dhona pare. Wahan kahan ham kya enjoy karoge? Kahan enjoy karoge? Sharab piye naliyon mein pare rahte hain. Enjoy hai. Hain? Ek dusre ki hatya kar rahe hain. Enjoy hai. Kya enjoy? Hamen batao na enjoy kahan kar sakte ho? Kya enjoy hai? Kya anand prapt hua? Aap log to sansaar mein hain. Bhog bhog rahe hain. Kya anand prapt hua? Aur anand pocho to har samay ham kai bar bataya ki hamare hriday mein itna anand rahta hai jaise kisi naye ladke ka nai ladki se byah tay ho jae to usko kitni khushi hoti hai.

aise hazaron guna lakho guna anand hamen har samay bana rahta hai. Are bhagwan ki sharan mein injoy hai ki aise injoy hai. Sahi batao. Tumhen chinta hai ki nahi chinta hai? Hamen pai bhar ki chinta nahi hai. Pai bhar ke aaj sab vilas ho jae to hamen koi fark nahi aur aaj lakho karodon aa jae to hamen koi fark nahi. Bhagwan aur iske baad mrityu sabka bhay hai aur mrityu mera anand hai. Marne se sab jag dara mero man anand. Kab mar kab bhet ho puran parmanand. Kab sharir pura ho aur main apne prabhu ke paas jaun. Enjoy karne sacha enjoy hoga.

anant bramhandon ka Swami shri Krishna hai. Wo hamara dost hai. Hamara yar hai. Jab hamara sharir chhutega ham uske paas jaenge. Uske saath khelnge, hansenge, khaenge, kudenge aur marna hai nahi. Wahan daybiteej nahi honi. Hai blood pressure, lo blood pressure nahi bola. Wahan kidney nahi phayl hai. Wahan sab anand hai. Yar enjoy karna hai to bhagwan ka bhajan karo. Kahan enjoy hai? Yahan koi enjoy hai. Aap batao hamen kahan enjoy hai? Kya enjoy hai? Yahan koi anand hai yar. Sab chintit hai. Sab shokit hai. Jinko tum bada aadmi samjhte ho, jinko bada paddhikari samjhte ho, wah bhi pareshaan hai.

ghar, parivaar, nana prakaar ki vasnae, ichchhae sab pareshaan hai. Bachchha agar kabhi kisi ko shanti, vishram, anand aur sukh mila hai to bhagwan ki sharan mein mila hai. Is sansaar mein enjoy karne se kya? Dekho chhoti si vastu ke liye bhai bhai ki hatya kar raha hai. Pati patni mein vishwas khatm ho raha hai. Ham bade chintit hain. Bada samasya samaj mein hamare aati hai. Ye enjoy kaise kar payenge? Bahut samasya hai. Isliye enjoy ke chakkar mein mat pado. Dharm se chalo. Naam jap karo. Dharm se chalo. Bhagwan se prarthna karo ki jeevan sathi aisa mile ki ham pyar bhara jeevan vyatit kar sake.

pavitra jeevan vyatit kar sake. Kapil parmar ji jai maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aapne bharat ko paira olampik mein kansya padak vijeeta hue aap to maharaj ji ye kah rahe hain ki jab ye olampik mein semeephainal mein phait har gaye to maharaj ji aaj tak maharaj ji wo raat ko sota hoon ki kyon har gaya kyon har gaya aur andar hi andar taklif nikal nahi pa rahe sukhadkhe samay krtva labha labho jaya jai sukhdukh mein labhan mein aur jai vijay parajay mein saman bhav rakho. Praarabdh nahi tha vijay prapt karne ka.

isliye har aa gayi. Koi baat nahi. Ham phir prayas karte hain. Agar prayas nahi safal hota to sabse badi jit hamen karni hai. Naam jap karke mrityu par vijay prapt karni hai. Dekho ham aapse ye kahte hain ki aap bahut jit gaye. Bahut chijon aapne prapt kar li. Lekin marenge to aapke saath kuch jaega kya? Koi trophi koi aapke paas kuch bhi jaega kya nahi jaega na to akhiri vijay to aap har gaye jo akhiri final tha wo to aap har hi gaye na aapke paas kuch nahi jaega aur dekho khas baat hai man lo ye ham kah nirash nahi kar rahe hain inse lekin aapko is sthiti se uthana chahte hain ki aap jo nirasha liye baithe ho aapko jo andar andar khokhla kar rahi ye koi khas baat nahi nind nahi aati maharaj ji 6 mahine ho gaye jab se main matlab raat ko wo hara semeephainal wo bahar subah uthun nahi nahi nahi aise nahi aise phir aap depression mein chale jaoge nahi bilkul nahi ab isse upar utho ye koi khas baat nahi hai harjeet ismen khas baat hai akhiri final final bhagwan ki prapti wo hai param pad agar ye jit gaye to hamari anant janmon se jo yatra hoti chali aa rahi hai wo hamari final mein achchhi ho jaegi agar mare phir suar kutta bane aur idhar hi is janm ke bade-bade pad rakhe hain.

wo kis kam mein aaenge? Man lo aap theek hai har gaye. Koi baat nahi. Naam jap karo. Akhiri jit mano. Ham jab mare to ham pavitra aacharan karke bhagwan ka chintan karte hue mare to hamara jeevan dhanya ho jaega. Aap nirash mat hoiye. Aap Radha Radha ichchha hoti hai ki ab bahut ho gaya. 15 sal se main prayas kar raha tha ek olampik medal ke liye jo main semeephainal looz kar gaya. Matlab par ab aap naam jap karo aur prayas karo. Agar aapko isi mein vijay prapt karna hai to naam jap karo. Adhyatmik bal se paripakva hokar aap age badho.

theek hai na? Nirash mat hoiye. Chain se soie. Jit jaate to kya mil jaata? Wahwahi hi to milti yar. Wahwahi to hai. Ab marne ke baad wahwahi jaegi kya? Isliye bahut kaise-kaise vijeeta ho gaye. Kaise-kaise ham kah rahe hain ek se ek gayak ek se ek yuddh karne wale ek se ek parakrmi kaun janta hai yar unko gaye sab kal ke gal mein sab chale gaye isliye zyada chinta mat kijiye har gaye to koi baat nahi naam jap kijiye age prayas kijiye theek hai aaj aisa lag rahe ho Baba naam rup leela dham charon ke darshan aapke bhitar swayam sakshat aur muke aise sundar darshan pa ke eso hi bhav aa dhari dhare ati shobhit Shyam jo taisi bani priy sundar choti khelt khaat phirat angna pag pej vajat per kachhoti ya chavi ko

ras khan vilokat varat kam kalanidhi koti kag ke bhag ko ka sakhi hari hath sule gayo nand ke lala ki ye to bada sundar bhav hai aur eso hamara sadbhagya hai saubhagya hai ki Baba aap sab ham saban ko darshan de rahe ho aur main sanchi bata raha hoon katha karte karte bhi ham sab sab brajvasi khub naam ki mahima ko prachaar prachaar kar rahe hain lekin Baba aap yahi baithkar ke aapne tufan macha raha hai ye aapki kripa hai aap brajvasyon ki nand ke lala ki kya dwadash akshar dwadshakshar mantr aur panchakshar mantr ka mike pe jaap kar sakte hain.

nahi nahi vidvan aajkal nahi ye ye isse amangal hoga. Haan ye vaidik mantr hain. Ye upansh ya mansik jape ja sakte hain. Ye vachik ya inka kirtan nahi ho sakta. Jo karte hain wo shastr viruddhachran karte hain. Shastr mein aise Baba mike pe karte hain jorjor se subah chala dete hain. Nahi nahi ye galat hai. Ye galat hai. Ye kalyug ka prabhav hai jo gupt mantro ko aise gayan parso maine Rajendra das ji ke pravachan sun raha tha to usmen suna tha ki ye bahut badi bhul hai acharyon ki ki ye kalyug ka bilkul haan prabhav aa raha hai.

bilkul bilkul aisa hai. Baba aaj ka janmdin hai. Baba aaj ki dincharya kaisi honi chahiye? Naam kirtan karo gau ko chara dal do ek adh sant ko pawa do theek hai kisi sant ko bhojan pawa do gau ko chara dal do ghanta do ghanta naam kirtan karo theek hai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itna to kabahu haseene ho itna kabahu has de sunhu kripalu kishori Radhe sunhu kripa kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripa gopal kishori Radhe avasi kripa ki kol chit ho

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…