॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

aap har prashn ka uttar naam jap dete hain kya koi saral ya bahari upay hai ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maharaj ji, aap har ek prashn ka uttar kam, krodh, lobh, moh jiska bhi uttar hota hai. Naam jap ka kyonki bina naam jap ke power nahi hai. Maharaj ji koi aisa upay nahi hai ki bahar bata den kahin deepak chadha den ya kahin ye sab nautanki hai. Agar aisa ho to 10 20 ten ghee lekar ke jala do aur hamen batao tumhen labh mil jae to. Kuch nahi hone wala. Bina andar ke tumne paap kiya hai andar ke chintan se. Dhyan dijiye andar aapne kamna ki aur sharir se aapke paap hua. Ab andar kaise theek hoga? Andar naam jab theek karega.

saanp baitha hai bil ke andar upar saikadon lathi jama do. Usko koi fark padega kya? Bil ke andar ghus ke mara jae tab wo marega. To is sharir rupi bil ke andar baitha hua paap hai. Us paap ko marne ke liye naam japna atyant avashyak hai. Ganga paap nasht kar sakti hai. Lekin paap ki pravriti bhajan nasht karega. Paap kiya ganga nahaya phir paap kiya to matlab kya raha ganga nahane se paap ki pravriti ka nash hoga to naam jap se hoga bhajan se hoga agar bhajan nahi karoge to har prashn ka uttar naam jap hai agar naam jap nahi karoge to samadhan ho hi nahi sakta ya aap karke dekh lo jantu bandhwa ke dekh lo havan karva ke dekh lo kalava bandhwa ke dekh lo kuch nahi hone wala Ram Ram Ram Radha Radha Radha sab baat par ji wo accha lagta hai ki dusre jaise pandit ji kar len theek rahega bat hamen kuch na karna pare tum karo paap wo pandit ji karen jab to tumhara kalyan ho jaega aise ho jaega nahi aisa kadpi nahi ho sakta kadpi nahi ho sakta to ji bahari isse matlab utna iphekta nahi padega maharaj ji bilkul asar nahi padega ham kah rahe hain dekho khas baat samjhiye swapna mein ek aadmi samudra mein doob raha hai ab wo kah raha hai bachao awaz bahar jor se nikli main samudra mein doob raha hoon bachao ab ham log saikadon taik uske samne ekatrit kar de, naukaen ekatrit kar de.

kya wah bach sakta hai? Ek upay keval hai. Jaga do use. Samjh rahe ho na? Use jaga do. Ab ek bund pani nahi jab wo samudra mein doob raha tha. Aise hi yah jagat maya prapanch hai. Jab tak gyan nahi hoga. Jab tak bhajan nahi hoga. Jaise uska ek hi upay keval jaga dena hai. Aap saikadon taira ke ekatrit kar lo. Bacha nahi sakte usko. Nauka jal jahaj nahi bacha sakte kyon wah swapna mein doob raha hai usko jaga do bas uska swapna tut jae wo jag gaya ab wo bach jaega jo sapne sir kate koi bin jage dukh dur na hoi aise jab tak aapko gyan nahi hoga tab tak aap rote rahoge is jagat ke moh mein rag mein kam mein krodh mein lobh mein thoda dan punya kiya thoda paap nasht hua phir paap kiya phir isse isse kam nahi banega kam banega paap ki jad ka nash ho aur paap ki jad hai paap ki pravriti.

us pravriti mein jab tak gyan nahi jagrit hoga tab tak baat nahi banegi. Isliye khub naam jap karna atyant aniwarya hai. Ji aur kaise pata lagega ki hamare paap nasht ho rahe hain aur ho gaye hain. Jaisejaise paap nasht hote jaenge chinta shok bhay ye sab nasht hota jaega. Apne andar apne aap hriday mein ane lagega. Main nishpap ho gaya hoon. Apne aap hriday mein ane lagega. Mere paap kam ho rahe hain. Apne aap anubhav mein aayega. Jaisejaise bhajan badhta chala jaega. Bhagwan priy lagne lage, dharm priy lagne lage, gande acharno se ghrna hone lage.

yah hai pavitra ka lakshan. Papi purush ke hriday ki sthiti kya hoti hai? Har samay wo chinta depression shok mein rahta hai. Haan negative uska har har chintan negative ho. Yahan tak negative ho jaega ki karne ki wo soch lega. Ab usko kalpon tak bhatakna padega. Are manushya janm mila hai samasya ka samadhan karne ke liye na ki samasya badhane ke liye. Kya samasya badhana hai na ki samasya mitana hai. Log samjhte nahi hai. Sochte hain aap kar lenge to ham samasyaon ka nidan kar liya aur ghor samasya mein phas gaye.

samasya ka nidan karne ka upay manushya sharir tha. Usko kho diya. Ab to sawal nahi uthta. 8399 yoniyon mein ek bhi yoni aisi nahi hai jismen aap bhajan karke bhagwan ko prapt kar le. 84 lakh yoni ki purti ye manushya sharir se hoti hai. Isi manushya sharir se bhajan karke ham apna kalyan kar sakte hain. Samasth samasyaon ka nidan bhajan hai. Agar bhajan nahi to kuch nahi hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…