॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #953 · 27 june 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant hari bhaktan ki jai shri Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai pawan ji Kolkata se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji hamare achhche vihaar ke bavjud hamen kuch logon ke saath samasya ane lagti hai.

aisa kyon hota hai maharaj ji? Hamara koi purv ka jo paap karm hai wah hamko klesh de raha hai. Jaise kabhi-kabhi hota hai ki ham aapke saath bahut accha vihaar karte hain lekin aap hamare saath accha vihaar nahi karte to wo hamara karm aapki buddhi mein baith ke hamko kasht dega. To hamen chupchap bhog lena chahiye. Kyonki hamne accha karm kiya hai. Hamne bura kiya nahi. Samne wala hamare saath jo bartaav nahi karna chahiye wah kar raha hai. To wah bechara hai. Hamara karm uski buddhi mein baithkar ke hamko kasht dilana chahta hai.

Shastri Shastri gyan adhyatma vidya adhyatma vidya aisa kahti hai ko na kan ke sukh dukh kar data nij krit karm bhog sun bhrata koi kisi ke sukh dukh dene wala nahi hamara karm hi hamko sukh aur dukh deta hai to yah mankar ki is vyakti ke sir par ab is samay hamara karm savar hai jo hamko dukh dega isliye chupchap sahan kar lena chahiye mahara ji Rahul sinh ka inka prashn hai prashn hai ki yah kah rahe hain ki ham kisi se niswarth bhav se kisi ki seva kiya parantu kam nahi ho paya kisi usse to samne wala vyakti hamen galat man leta to aise mein maharaj ji phir log bhi bhadgate hain use aur us usse vartalaap karke use samjhana chahiye ya Radha rani pe chhod dena chahiye Radha rani pe chhod do ek bar to samjhana chahiye ek bar samjhana chahiye apni baat prastut kar deni chahiye phir Radha rani pe chhod do aur agar aap nishkam ho satya marg se chal rahe ho to aapko koi bal banka nahi kar sakta yah bhi baat samjho aapko koi nicha nahi dikha sakta wo nicha dikhane ane ka prayas

hoga lekin aapko nicha nahi dikha dega. Yadi aap nishkam bhav se satya bhav mein chal rahe ho to phir parast nahi ho sakte aap. Sankat aa sakte hain. Bhadkate rahte hain to chijon ruk jati hai. Jo accha karya kar rahe hain wo bhi ruk jati. Haan. Apni peshgi kar deni chahiye. Apni safai ek bar pesh kar dena chahiye. Iske baad bhagwan pe chhod dena chahiye. Shobha ji Kolkata se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji karmon ka hamare jeevan par kya prabhav parta hai maharaj ji? Sukh aur dukh sampatti aur vipatti safalta aur asflata inka bhog bhogna hota hai.

agar hamara paap karm prabal ho gaya to ham chahe jitna vyapar safalta purvak karen safalta nahi milegi. Chahe ham padh likhkar degree prapt karen lekin ham safal nahi ho payenge. Punya prabal ho gaya. Thoda prayas bhari safalta to safalta asflata dukh sukh labhhani man apman sampatti vipatti inki prapti hoti hai. Punya aur paap karmon ke purv ke prabhav se wo hamare upar yah prabhav dalte hain. Anup Gupta ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kripya batayen ki ugr swabhav wale vyakti ko kaise shant karen?

naam jap se bhagwan ka naam jap param sheetalata pradan karta hai. Agar ham naam jap khub karen to hamara ugr swabhav namr swabhav mein pariv vinay mein parivartit ho jaega. Dainya mein parivartit ho jaega. Par wo khub dat ke bhajan karen tab aise nahi hoga. Swabhav bahut malin aur dridh hota hai. Agar jaise ugr swabhav hai, malin aur dridh hai to wah hinsa bhi kar sakta hai. Baad mein bhale roye baith ke par ugr swabhav aa gaya to ugr swabhav mein apni maa ki hinsa kar dega. Apne priyjanon ki hinsa kar dega. Bada nindniy hai.

ugr swabhav bada nindniy swabhav hai. Shant swabhav mein hota hai ki hamen bura lag raha hai par ham kuch kah nahi rahe. Chupchap sah rahe hain. Wah chalega. Lekin ugr shobha wala bura lagte hi wah kriya mein parinit ho jaega. Kriya mein parinit ho gaya to pujya janon ka apman kar dega. Priyjanon ki hinsa kar sakta hai. Isliye ugr swabhav ko control mein karne ke liye satsang suno aur naam jap karo to swabhav mein parivartan aa jaega. Nitin ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab aap kahte hain ki aapne kai kai din aapko bhojan nahi mila.

balu bhi pai maharaj ji bada hriday vyakul hota hai. Ham to ek time ka bhojan nahi karte to dusre time ekdam vyakulta aur gussa ane lag jaata hai. Maharaj aur wo lakshya tha paristhiti thi niyam tha niyam tha akash vritti akash vritti ka niyam yah hota hai ki jo paramatma tumhare samne bhej de bas wahi pana hai. Na mangna hai na ishara karna hai kisi se aisi vritti to jo ham kashi mein rahe to akash vritti se rahe ganga kinare jo bhramn raha akash vritti se raha jab jaise ghato mein baithe hain ab kaun wahan bhojan lave wahan to pavitra nagri hai wahan to santo ki nagri bhai ganv gali mein kisi kinare baithe ho to ganv mein to koi akar pooch sakta hai bhojan paya ki nahi paya Baba ji lekin Baba ji ki nagri hai lakho Baba ji hai wahan to wahan aise kaun poochne ave to bhagwan vishvanath ji ki kripa se kabhi jaise

koi udhar nikla thoda setua de diya ya thoda ek do pees barfi de di wahi kha ke Gangajal pi liya par lakshya tha bhagwat prapti isliye sab sah gaye bhagwan ne aisi kripa kari nahi to wahan kashi mein koi bhojan ki kami hai annapurna ka kshetra hai to kitne marwadi kshetra aise hain ki aap raat din chalta rahta hai aap kabhi bhi bhojan pa sakte ho lekin niyam liya tha kabhi kahin jaenge nahi kisi se mangenge nahi paas paisa nahi rakenge jo hamen bhagwan de denge wahi payenge to lakshya tha bhagwat prapti

isliye sah gaye aisa nahi ki hamen pida nahi hoti thi hamen kasht nahi hota tha hamen vyakulta nahi hoti thi bahut hoti thi par usko sah jana bhagwan ki prapti ke liye usko sahna to yah niyam ka palan karne ke liye aisi bhagwan ne samarth di thi to par ho gaya pichle hafte haridvar gaye mere santo ko dhundh parit kahin mil jae baithe bhojan dikhi nahi. Ab ab aajkal bahut bhari vyvasthaye sab chal rahi hain. To prayah sab ashraomo mein rahte hain. Prayah ab waise bhramn karna bada bhyawah ho gaya hai. Ab ek do sant kahin kisi ganv gali kinare mil jae to log mar daalen ki bachchha chor hai.

aisa hai vaisa hai. Bada samay galat chal raha hai. Ji wo kabhi-kabhi bhtak jaata hoon. Jaise ham log naam se bahut maharaj ji se naam bhi liya hoga simran bhi karte hain aisa kuch karte kabhi-kabhi man bhtak man kabhi-kabhi man nahi lagta hai lekin usi bhatkte hue man ko sambhalna hi to sadhna hai man ki tarang mar le bas ho gaya bhajan abhi ye soch ke aae the ki Vrindavan mein ek din vrat rakenge subah tak dopahar tak kuch nahi khaya phir sham ko golgappe kha li nahi yar matlab bhookh se haan nahi ismen kya hota hai kasht sahna hota hai ki ab ham gas ki goli to kha sakte hain lekin golgappa kha sakte par ham log aise kattar niyam ke the mrityu chahe ho jae apne niyam ko nahi todna mrityu ho jae nahi to aisi bhookh lagti thi na ab tumhen kaise batayen matlab ekdam bhookh hi bhookh lekin mangna nahi hamare samne akar rakh diya to ham pa liye mangna nahi kisi se kabhi pura jeevan vyatit ho gaya.

jaise log kahte hain na jawani mein udandta suti hai. Hamne jawani mein kabhi kisi mata bahan ko aise nahi dekha kabhi nahi dekha kyonki isi ki vyvastha leti to aur kahan se suhai de garmi sardi barsat sab sahna kisi se kuch na kahna keval bhagwan ki prapti ka lakshya rakhna. Bada kasht mein jeevan bade apman sahe badi galiyan sahi sansaar ki. Tab aaj jo hai bhagwan ye sab leela kar rahe hain. Om kumari ji chhattisgarh se Radhe Radhe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji brahm ya tatv sakshatkar mansik anubhav hai ya ishwar swayam chaturbhuj rup mein hath mein chakra gada shankh liye sakar rup mein darshan dete hain.

nahi nahi brahm mein apne aap se apne swaroop ka anubhav apna swaroop brahm swaroop hai. Yah sakar darshan bhagwan ki bhakti hai. Aur bhakti ke dwara jab ham bhagwan ke jis rup ka darshan chahte hain, us rup ka darshan hota hai. Brahm nirakaar hai. Usmen rup nahi hai. Usmen swayam mein swayam ka anubhav hai. Yah gyan marg se prapt hota hai. Sankhya yog ke dwara aur chaturbhuj narayan rup bhakti yog ke dwara prapt hota hai. Alag-alag marg se alag-alag bhav bhavanon dwara bhagwan ka anubhav hota hai.

jaki rahi bhavna jaisi prabhu murat dekhi tin taisi jaisi hamari bhavna hoti hai vaisa hamen darshan hota hai. Brahm ka darshan nirakaar hai aur wah anubhav swaroop hai. Anubhav gam mein bhaj santa wo gyan marg se prapt hota hai. Maharaj ji sakshatkar ki yogyta kaise banti hai? Kya keval gyan aur bhakti ke dwara jeev swayam ke sakshatkar ki or agradsar ho jaata hai? Bilkul bilkul kisi ek marg ka avlamban lekar gyan marg ka avlamban lekar ke wo apne swaroop mein sthit ho jaata hai. Brahm vid brahmav bhavti jo brahm ko jaan leta hai wo brahm swaroop ho jaata hai.

soi jane je dev janai janat tumhen tumhen ho jae. Bhakti marg mein dasoham hai aur gyan marg mein soham hai. Aham brahmashra mein hai. Donon marg satya hain. Gyan marg se nirakaar brahm ka anubhav hota hai aur bhakti marg se sakar brahm ka anubhav hota hai. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji aapne satsang mein bataya tha ki jab naam jab chalta rahta hai to sare vikar dhire-dhire nikelte hain aur khatm hote rahte hain. Ye hamen kis tarah pata chale ki abhi jo vikar ham par havi hain wo nikal rahe hain ya wo hamare regular vikar hain wo puri tarah se khatm hote hain ya dab jaate hain?

vikar kabhi regular nahi hote. Matra sparshastu kaute sheetosh sukh dukhda agma pano anityas takshas bharat bhagwan arjun se kahte hain yah indriyon ke sparsh sukh ye agma pano anitatyas ye ane jane wale anitya nashvan hai inko sahna chahiye tas titas bharat ye sahne se nasht hote hain bhogne se pravriti badhti ti hai. Jaise jaise ham kriya karte hain bhogon ki waise waise gande sanskar hamare bante jaate hain. Aur jaisejaise ham dharm yukt bhog bhogte hain aur sanyam se rahte hain to hamari indriyan pavitra, hamara man pavitra, hamara bhav pavitra, phir sab param pavitra bhagwan ko prapt karne ki yogyta aa jati hai.

jab ham naam jap karte hain, pavitra aacharan rakhte hain, pavitra bhojan pate hain, pavitra vihaar karte hain to dhire-dhire dhire-dhire dirghakal nirantar satkar sevit dridh bhumi dirgh kal tak yadi nirantar naam jap kiya jae aur sanyam se raha jae to yah hamara jo indriy dosh hai kam, krodh aadi ye dhire-dhire shant ho jaate hain. Aur yah apne ko anubhav milta hai. Kisi aur ko nahi. Apna hriday nirvikaar hone lagta hai. Shant hone lagta hai. Gambhirta ane lagti hai. Prasannata jagrit ho jati hai. Ye sab devi sampada ke sadgun jagrit ho jaate hain.

himanshu ji chaum Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji puri dincharya ko nimit kaise karen? Ye samjh nahi aata. Kuch samay to nidra aur bhojan aadi mein chala jaata hai. Kuch padhai karne mein thoda kuch guru niyam mein bache kuch samay jo nidra mein samay jaata hai use bhi bhagwan ko samarpit karo. Jo padhai mein samay jaata hai use bhi bhagwan ko samarpit karo. Jo manoranjan mein samay jaata hai use bhi bhagwan ko samarpit karo. To ye samarpan yog aapko gyan yog prakashit kar dega. Aapke andar shuddh buddhi hone lagegi.

yat karo. Shiv bhagwan ne kaha jo karte ho wah mujhe samarpit kar do. To naam jap karte hue jab chetna mein hai to naam jap kar rahe hain. Jab nidra mein panch chha ghante to wah bhi bhagwan ko samarpit kar dete hain. Jab vidya adhyan ya nokri ya vyapar wah bhi bhagwan ko samarpit kar dete hain. To is samarpan yog se bhagwat prapti ki yogyta ane lagti hai. Maharaj ji chahte hain ki manoranjan aadi na kiya jae. Par manoranjan ke bina raha bhi nahi jaata. Ham kahan bilkul kijiye ham mana nahi kar rahe isiliye mana nahi kiya jod diya par asat manoranjan nahi ramayan dekhiye mahabharat dekhiye baithkar bhagwan ki charcha kijiye sat manoranjan karo bhakt jan manoranjan bhagwan ka naam hai apne bhakton ke man ka anand vardhan karne wale bhagwan hai to bhagwan ki lilaon mein manoranjan kijiye bhagwan ke charitra ko dekhiye bade gambhirta se ramanand sagar ne ramayan ki aur mahabharat ki kisi anya nahi bada sundar sansarik manoranjan se ye bhagvatik manoranjan kijiye.

aap ramayan dekhiye aap bahut se aise charit krishna charit hai. Aise charitra ko dekhiye jisse kam se kam hamara bhav to ja raha hai ki Ram ji hain, lakshman ji hain, ye hanuman ji hain. Hamara chintan to ban raha hai. Wo ek anuran kiya gaya hai leela ka. Lekin ham satya chintan karne lagte hain. Ye Siya ji hain, ye Ram ji hain, hanuman ji hain. To hamara chintan jab Siya Ram mein sab jag jani adesh hai ki sare jagat ko Siyaram mein dekho, bhagwat swaroop dekho to jab ham Ram charit dekh rahe hain to usmen to bhagwat bhav ban hi jaata hai.

kabhi rona aa jaata hai. Kabhi man ekdam lagta ab kya hoga? Ab kya hoga? To hamara pura man usmen lag jaata hai. To hamen lagta hai film aadi manoranjan se accha hai ramayan mahabharat krishna aadi manoranjan aur bhi bahut bhagvatik charitra ka anuran kiya gaya hai. Bahut se bhagvatik program hai unko dekho. Katha varta dekho ekantik suno jisse tumhara man pavitra ho. Aise charit dekhna ya aisa drishya dekhna jisse hamara man ganda ho jae. To manoranjan nahi hua. Wo to man ko aur ganda karke malin karke haan apvitra karna hai.

maharaj ji bahut sare bachchhe milte hain maharaj ji shuru yahi se karte hain bat wo aajkal Instagram reelsa Facebook mein wo kahan pahunch jaate hain pata nahi nahi thoda control karna padega apne ko thoda control karna padega aisa nahi ki ham mobile mein lage to mobile mein hi lage hain. Hamari kuch ek dincharya honi chahiye. Thodi der shastr swadhyay thodi der naam jap thodi der naam kirtan to 10 15 20 minute aadha ghanta ek ghanta agar ham koi serial dekh lete hain dharmik serial ya sansarik serial bhi dekhte hain to aise jinme gandagi nahi hai jo hamare ko gyan prapt karaen aise serial dekho dekho jad chetan gun dosh mein vishv ki kartar sant hans gun gaye pe parihri vikar ye sansaar gun aur dosh donon donon milakar bana hua hai.

aise mobile mein tv mein gun aur dosh donon hai. Dekho aap mobile se hi satsang sunkar yahan aae ho Vrindavan dham mein sadhu samagam karne ke liye to kitna badhiya kam bana ki bhagwan ki taraf mobile hi to laya. Sab logon se ham mil thodi pate hain. Hazaron log aise hain jo hamse mile nahi lekin sudhar gaye. Mans madira chhod diya, gande aacharan chhod diye. To mobile se sunkar hi to ab hazaron log hain jo apne ko bhrasht kar liye mobile se gande seene gande chitra gandi baten dekhkar apne aap ko gira liye to mobile gun aur dosh donon se yukt hai yadi ham gun chahe to bade-bade santo ke pavan charit santo ki vani bhagwan ka leela anuran yah sab milta hai aur agar ham apne ko gandagi mein le jae to desh videsh ki filmein desh videsh desh ki gandi baten ham apne dimaag ko kharab kar len.

to hamko chahiye ki ham mobile aadmi sanyam se sadgun ko grahan karen. Ye nahi ki reel pe reel dekhte chale ja rahe hain ya gem khel rahe hain ya gandi baten dekh rahe hain. Aisa nahi hona chahiye. Pramod ji Odisha se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aap puchna chah rahe hain ki maharaj ji jab aap ghar se nikle aur sadhan usmen lage to aapko kitne sal mein pahli anubhuti hui maharaj ham to har samay yahi anubhuti karte rahe ki hamen bhagwan apni god mein liye kyonki ham akele rahe. Hamne kabhi kisi ka sang nahi kiya.

bade-bade mahapurushon ka sang kiya aur akele rahe. To hamen har samay bhagwan ki anubhuti hoti rahti thi ki hamare saath bhagwan hai. Shuru se aisa bach kyonki bachchha the 13 varsh ki avastha se ghar se nikle the to hamen anubhuti hota ki hamare paas har samay bhagwan hai. Ganga kinare bhramn karte to har samay bhagwan haan bhagwat sakshatkar mujhe sant tarikh to yad nahi hai. Par kashi ke ghato mein bhagwan shiv ki kripa ka anubhav hua. Shiv ka sakshatkar hua sakar rup mein kyonki hamari bhavna thi pragat rup mein dekhne ki to jaisi bhavna hoti hai vaisa bhagwan darshan dete hain aur us samay bas ek hi lau lagi thi kai kai din bhukhe rahte bhojan ghato mein kahan milta hai wahan to marwadi kshetra mein jao to bhojan pao jakar ke to kabhi koi ek do pees udhar se nikla barfi de di ya thoda sa satua de diya aise to wahi kamdal jal ke dhakkan mein Gangajal se shant ke chat lete aur nirantar naam jap chal raha tha to bas yahi hota aaj bhagwan ke

darshan honge aaj bhagwan ke darshan honge to kashi ka karya pura karke phir Vrindavan ke karya mein bhagwan ne bhej diya par mujhe har aaj bhi mujhe anubhav hota hai hamko lag raha hai bhagwan mujhe god mein liye hain har samay hamen ek anand ki anubhuti hoti rahti hai unka pyar unka dular mujhe bachpan se prapt hai to anubhutiyon ke to dher se dher hai kyonki pura jeevan isi mein chalte rahe par vishesh anubhuti kashi mein hamen tarikh din to pata hi nahi kyonki ham koi na mobile jeevan mein rakha hai to hamen pata kaise chalega ki aaj kaun sa din hai kaun si tarikh hai kaun kitna samay kabhi kuch nahi na ghadi na mobile na kuch nahi to hamen is sthiti mein bhi bhagwan ka dular dikhayee de raha hai bhagwan ka pyar dikhayee de raha hai to unhin ke pyar se ham chal rahe hain par ji vastvikata mein divyta kise kahte hain maharaj ji kyonki hamara prichay hi nahi hai us divyta se to divyta kya hoti hai?

dekho divyta divya ka matlab hota hai bhautik se alag bhautik chakachaundh se alag bole bada divya hai. Usko samjhne ke liye bhi alag hona padega. Haan. Usse tumhari buddhi bhautik se alag honi chahiye. Dekho aap hamen kya log dekh sakte hain. Bahut accha bol lete hain. Bahut logon ki bhid hoti hai. Bhautikta ko dekh pa rahe hain. Wo hamari divyta ko thodi dekh pa rahe hain. Hamari divyta ko to jo sadhak hoga jo sadhna kar raha hoga wo pakar payega. Nahi to laukik bhid dekhi jati hai. Bade mahatma kis baat se kah diya jaata hai?

bole unke paas 1 lakh log ate hain. Unke paas 10,000 log ate hain. Yahi to dekha jaata hai. Ye hai kya? Ye divyta hai ki bhautikta hai? Yah bhautikta hai. To koi sadhu ki pehchan bhautikta se hoti hai kya? Sadhu ki divyta ko to koi sadhu hi dekh sakta hai. Anytha nahi dekh sakta. Bhautikta dekh sakta hai. Bhautik dekh sakta hai. Bhautik baten dekhi jati hai. Divya to anubhav gamya hai. Wo keval parthiv buddhi se samjh mein nahi aa sakta hai. Sapna ji osa se Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji ishwar sarvatra hai to unhen pane ke liye itni tapasya kyon karni padti hai maharaj ji mehdi ka patta dekha hai kahin usmen lali mili kya kahin usmen lalima chupi hai kya aap dekho na dali mein lalima hai na patte mein lalima hai na pure ped mein lalima hai lekin prakriya hai jab ham uski prakriya karte hain usko bantte hain aur bant ke 40 minute apne hath mein rakhe rahte hain aur phir dho dete hain to lalima aa jati hai.

doodh mein ghee hai. Puri nikal sakte ho kya doodh mein? Nahi. Uski ek prakriya hai. Doodh ko garmaie, usko dahi jamaie, dahi ko mathie, usse makhan nikalie, makhan ko tapaie to akhiri parinaam ghee. Aise hi paramatma sarvatra hai. Lekin uski prapti ki prakriya hai. Gyan yog, karm yog, bhakti yog uske dwara jab ham tap karte hain tab uska anubhav ho jaata hai. Samjh pa rahe hain aap? Wo aise anubhav mein ane wala nahi. Nahi sabko anubhav mein aa jae. Ji bala Sharma ji udhampur se Radhe-Radhe maharaj ji.

maharaj ji hamare kshetra ke adhiktar parivaaron mein isht puja se adhik pitr pujan par jor diya jaata hai. Jab bhi koi parivarik jan parlok gaman karta hai to uski atma ka aavahan karke usko patthar ya dhatu ki murti mein sthaapit kar diya jaata hai. Phir unki vishesh puja karte hain. Parivaar par ai koi bhi apda paristhiti wah praarabdh na mankar pitr paksh ka rushta hona mante hain. Ye sab bekar ki baten hain. Ek minute time nahi hai. Sharir chhute hi usko nark ya swarg ya karm ke anusaar anya yoniyon mein bhej diya jaata hai.

wah atma khali thodi baithi ki hamen jab chaho tab bula lo. Wah atma turant pack ho jati hai. Marne ke baad turant hi nirnay ho jaata hai ki suar banega ki kutta banega aur iske baad narak bhugwana hai to phir narak swarg bhugwana hai to swarg aur jahan jis yoni mein bhejna hai atma swatantr thodi hoti hai. Kabje mein hoti hai bhagwan ke dwara wo nirdhrit hoti hai. Haan pitrijan hai jo pitr lok mein virajman hai unke liye pinddan aadi kiya jaata hai. Pitr rin se mukt hone ke liye aisa nahi ki koi vipatti aa gayi to pitr naraz ho gaye.

karm ka parinaam aata hai. Wah pitr ki narajgi nahi aati hai. Aur bhagwan ne kaha hai pitr ko pujne wale pitro ko prapt hote hain. Bhauton ko pujne wale bhauton ko prapt hote hain. Devtaon ko pujne wale devtaon ko prapt hote hain. Aur mere ko pujne wale mere ko prapt hote hain. To ab alag-alag puja hai. Aap dekh lijiye. Harivansh ray ji Lucknow se. Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji aaj se 25 30 varsh pehle parivaar walon ne zabardasti kul guru se mujhe guru mantr dilwa diya us samay mansik rup se iske liye tayyar nahi tha maharaj ji kahne ka matlab bhul gaye kah rahe abhi haan wo wo kam bhi nahi karta ye zabardasti wali baten nahi hai ismen anubhav karke phir kisi sant ko guru mankar phir unke dwara jo upasna mantr hoti hai tab kam hota dekho zabardasti hua to aap guru ka mantr hi bhul gaye ab naya naya adhyay shuru karo.

aisa lagta hai koi aparadh bodh ho raha hai. Nahi nahi nahi ab ab ab vivek ke dwara guru ka varnan karo aur phir uske dwara jo mantr upasna mile ab karo. Jeevan ke samapti ke pehle pehle kar lo ye jisse abhi bhi Ram naam Ram naam ka jap kar rahe hain. Kisi sant se Ram naam le lo. Wahi japo. Kisi Ram naam nahi sant se Ram Ram ka naam. Prabhu Radha naam karte hain. Suman karte hain lekin man mein aisa lagta hai. Kuch second baad phir shiphta ho jaata hai man se. Ram Ram jo ham pehle abhyaas kar lete hain na wo abhyaas hamara to jaise Ram naam ka abhyaas kiya na to ab Radha Radha ratoge jahan chhutega to Ram Ram aa jaega prabhu aise haan jaise aap aapki video sunte hain phir aapke dwara bhakt utha ke prasang sunte hain phir man chahta hai ki nahi yahan bahut jaldi prapti ho jaegi man alait hota hai aise shuru karte hain ke baad bhi ekdam se man shiphta ho jaata hai tab wahan mujhe ye kaata hai prabhu ki guru dwara diya hua mantr main bhul gaya hoon nahi kar raha hoon sir mera aparadh wo to nahi hai nahi us samay anbhigyata mein ye khel hua na yadi vivek ke dwara hota to kabhi aisa nahi hota anbhigyata mein hua ab age kadam badao aap jo hai Ram Ram hi japo haan haan Ram Ram hi japo theek hai kai bar aisa hota hai ki shri Krishna mein priti hai aur shri Krishna jeevan charit pasand hai.

uska charit katha pasand hai. Lekin jab naam jap karte hain to Ram naam mukh se nikalta hai. Aisa kyon? Haan agar Ram Ram japoge to shri Krishna ki prapti ho jaegi. Accha to koi nahi nahi power power hai. Ham usko jidhar chahe udhar laga len. Hamare paas paisa hai ham jo chahe kharid len. To naam rupi dhan hai. Ham jo chahe wo prapt kar sakte hain. Matlab Krishna mein priti ho aur naam jab Ram ho to chalega. Chalega chalega chalega. Daudega aap chinta mat karo. Kyonki wahi Shyam hai, wahi Ram hai. Tatv mein to antar nahi hai.

rup mein bhi antar nahi hai. Naam mein keval antar hai. Rup wo bhi Shyam sundar wo bhi Shyam sundar. Tatv mein wahi param tatv Ram wahi param tatv shri Krishna haan ek mein dhanush liye ek mein Murli liye baat antar hai. Wahi hai wahi prabhu hai dusre nahi. Rajesh kumar nayar jai shri lakshmi narayan. Radhe-Radhe maharaj ji lagbhag sat aath sal se maharaj ji dwadash akshar mantr ka mansik jaap kar raha hoon. Guru pradatt guru pradatt hona chahiye. Guru pradatt hona chahiye. Main na devrshi ko guru manta hoon aur main chahta hoon wo bhi mujhe apna shishya mane.

haan ye ham aapki baat ka swagat karte hain. Ab aap jap sakte hain. Devrshi narad ji ke dwara hi pradatt dwadshakshar mantr dhruv ji ko hai. Bhav se kijiye aur devrshi narad ji ko guru pad mein sthaapit kar dijiye. Aapko jab sahi bhajan hoga to swikrati ho jaegi ki devrshi narad ji aapko shishya rup mein sweekar kar liye. Aap aap japiye. Accha Gurudev main na jaise kabhi-kabhi to mansik chalta hai dwadshari mantr aur kabhi-kabhi vaishnav mata ko manta hoon main. Kabhi-kabhi beech-beech mein mera phir nahi dekho ham ye kah rahe hain ki nishana ek jagah maro.

nish ab lakshya rakhe ho amuk bindu aur her rahe ho idhar to nishana nahi lag payega. Bhagwan ek hi hain. Wahi jab shakti rup dharan karte to Vaishno devi, durga devi, kali devi wahi jab shant rup dharan karte to Siya ji, Radha ji, Rukmani ji wahi hai. Ek tatv hai. To bas ek mein lag jao. Darshan sab jagah karo, pranam sab jagah karo, jao sab jagah mana nahi. Lekin lakshya ek rakho ki mere jaise Meera ji kahti mere to Giridhar gopal dusro na koi ek jagah lag jaoge to tumhen labh prapt hone lagega. Bahut jagah man lagane se wo baat nahi banti jo unchai pe chadne ke liye chahiye.

to ek lakshya chahiye. Tumhen guru pradatt man ke bas bas guru devrshi narad ji pradatt dwaad sakshat mantr khub jap karo aur Shrimad bhagwat ka path karo. Anand main pehle main unse ek bar prarthna karun ki main aapko guru banana chahta hoon. Aap mujhe shishya bana lo. Main aapse pehle ijajat le lun main. Haan bilkul narad ji ko guru bana lo. Wo hain ab bhi hain. Wo ab bhi hain. Bilkul. Accha mera ek aur prashn hai guru se asal mein na hamen bhagwan itna kuch dete hain matlab beevi bachchhe dhan daulat paisa makan sab kuch aur ham bhagwan ka naam gingin ke lete hain.

aisa kyon? Gingin ke to lene ke liye isliye kaha gaya hai ki tumhari ruchi ban jae. Abhi ruchi nahi hai na. To jaise aaj 10,000 japa to kal 12,000 jape parso 15,000 jape aur jab japne mein aa jaoge to ye ginna khatm ho jaega. Haan waise na matlab ginne mein labh yah hai ki hamari ruchi badh jati hai. Kabhi-kabhi sote-sote bhi andar chal raha hota hai. Haan, bahut accha hai. Bas chupchap rakho, gupt rakho aur khub bhajan karo. Apvitra dasha mein na japna. Soch bathroom aadi mein naam jap karna Krishna Krishna Krishna lekin pavitra avastha mein dwadshakshar mantr theek hai rishikesh se priyanka ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji sevak vani ke tisre prakaran ke tisre chhnd mein aata hai pratham hriday shraddha jo kare acharya jan jai anusare jahan-jahan Harivansh ke rasikan ki seva jab hoi priti sahit bhuj hoon sab koi kaun dharm Harivansh ko maharaj ji ismen ismen pujya shri sevak ji maharaj ne kaha hai ki acharya se hamen prem sahit yah puchna chahiye.

acharya ka tatparya hota hai jo aacharan yukt ho. Acharya rasik koi do nahi hote. Rasik Harivansh sarwavansh shri Radhika Radhika sarwavansh Harivansh bansi Harivansh mahaprabhu ko rasik kaha gaya ki nahi kaha gaya? Shri ji rasik hai. Jaise Harivansh rasik ras jubti tu le mil sakhi pranakor lal jo rasik hai jaise Harivansh rasik nau rang piy bhrikuti bh tere khanjan lahraun to jo rasik Priya pritam ke prem mein page hue hain jo aacharan prastut karte hain shri ji ki seva ke aise rasikon se aise acharyon se ham mile aur kaun dharm Harivansh ko Harivansh ka dharm kaun hai yah ham unse poohe kaise seva kaise aacharan karen jisse Harivansh prasann ho Priya pritam prasann ho Priya pritam ki prapti ho ye baat usmen puchi gayi to kya sanshay

hai ismen maharaj ji kah rahe hain ki hamen prem sahit yah puchna chahiye ki shri Harivansh ka dharm kya hai kripya hamen bhagwan samjhane ka kripa karen ki mera aashray matlab mujhe hamari hitopasna mein aur gadh prem ho jae 84 ji aur iska to path karti hoon par phir bhi gadh prem utpann bas phir bhi nahi lagna chahiye sevak sharan sada rahe anat nahi vishram kah vani Harivansh ki kah Harivansh naam ya to naam chal raha hai ya vani naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas naam vani nikat Shyam shyama prakt aur sukh deve ko chavchit sab so hit nishkam ya sudharma Harivansh ko naam gira vishram sabki seva seva karne ka bhav ho.

sab mein shyama Shyam virajman hai. Jaise goswami ji kahte hain Siya Ram main sab jagah jani aise radheshyam sab jagah virajman hai. Chhidchhid lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat pure jagat mein bhagwan har jeevtma mein virajman hai. Sabki seva karen. Sabke prati bhav rakhen. Kisi se ladai jhagda dves paap aacharan na karen. Yahi Harivansh dharm hai. Khub naam jap karen. Vani ji ka gayan karen aur shri ji ki seva virajman karke ashtyam seva karen. Rahul Sharma ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab kisi ka accha makan aur koi gaadi achchhi dekhte hain to lagta hai aisa bada ghar mera bhi hota gaadi mere paas bhi hoti.

maharaj ji ye sochna hai agar ham kisi ko dekhkar ke hi sochte hain ki accha makan aur achchhi gaadi honi chahiye to kisi ko mar ke dekh ke phir hamari soch kyon nahi kam karti ki hamko bhi marna hai kuch saath nahi jana hai isliye yar accha kam kar lo dusron ko sukh pahuncha lo naam jap lo bhagwan ka chintan kar lo parlok bana lo is lok ka to kuch jane wala hai nahi to parlok ke vishay mein kabhi socha paramarth ke vishay mein kabhi socha bhagwan ki prapti ke vishay mein kabhi socha ham kah rahe hain ek arab ka tumhara makan ho lekin maroge to int lad ke le jaoge kya sharir bhi to nahi jaega arabon bank mein jama ho yahi ke yahi rah jaenge yar jhuthi chij ke liye kyon itni badi kamna karna kamna karo to satya chij ki karo ki mujhe bhagwan ki prapti ho jae main sabko sukh pahunchaun mere dwara koi paap na ho main kisi ki hinsa na karun kisi ko dukh na pahunchaun ye baten socho na ye baten sochoge to pareshaan ho jaoge kyonki jitna tum kisi ka makan dekh rahe ho uske baad jab tum apna makan

tayyar karoge to aisa makan bhagwan tumhen dikha denge jo tumhara makan kuch hai hi nahi uske age phir kya karoge phir aur banao banate banate mar jaoge kuch hoga nahi ab kitni ayu rah gayi apne ko kya pata agla minute hamara hai ki nahi hamen kya garantti hamen kya garantti ki agla minute hamara hai ham agle minute rahenge ki nahi rahenge koi garantti nahi yar aisi kamai karo jo lok parlok sab jagah anand de wah bhagwan ka naam naam jap karo aur jaise bhagwan rakhe waise rah lo aur hamara antim badhiya banna chahiye mrityu ke vishay mein to koi sochta hi nahi yar aur wo satya hai wo ani hai aur sab choupat kar jani hai hamara mitra hamari patni hamara putr hamara parivaar hamara ghar hamara bank balance sab yahi rah jaega yar jab akele jana hai duniya mein lakho ka mela juda hansa jab jab uda to akela uda yar us samay ki baat socho ye kyon wo samay ane wala hai ab kab ane wala hai apne ko pata nahi 20 sal 10 sal 10 minute 10 second koi pata nahi yar isliye soch karo to achchhi karo kahe kahin int

patthar wali soch karo hain achchhi soch karo bhagwan ki kripa se jaise tumhara nirvah ho raha hai waise kar lo achhche aacharan karo bhagwan ka bhajan karo kisi ko dukh mat pahunchao isi se tumhara mangal ho jaega ji it patthar bhi mil jae aur bhagwan bhi mil jae aisa aisa guru ka aisa aisa nahi bhagwan ka lakshya kar lo to phir sab vyvastha ho sakti hai. Int patthar ka lakshya karoge to bhagwan nahi milenge. Bhagwan ka lakshya kar lo to ye sab vyvastha ho jaegi. Maharaj ji jaise jaate raste mein tujhe makan dekh bhav aata hai.

aisa mera bhi hota hai. Tabhi to kah rahe hain jab Ram naam satya bolte hue dekha hoga tab lete. Mahatma Buddha ji ko isi se to vairagya hua tha. Jab antim shav yatra ko dekha bole sabki hoti hai. Tab bole ab main satya ko prapt karunga. Aur unhone niyam liya ki jab tak brahm bodh nahi ho jaega tab tak main uthunga nahi. Vairagya lekar ke to jo bodh vriksh hai usi ke niche unko bodh prapt hua. Brahm bodh prapt isiliye brahm ke marg mein chale. Pehle dekha ek bahut jajar budha aadmi to unka yah kya hai?

bole manushya hai. Bole aisa bhi manushya hota hai. Bole har ek manushya aisa hota hai. Wah vriddhavastha hai. Vriddhavastha mein sabki jajar avastha meri bhi hogi. Bole haan ek din bhramn mein dekha ki Ram naam satya bole ye kya hai? Bole murda hai. Bole ye murda kya hota hai? Bole har aadmi marta hai. Bole ham bhi marenge. Bole haan. To phir ye rajpat patni putr parivaar ye kis kam aayega jab mar jaenge. Isiliye wo vairagya le liya. Ghar se bhag pare aur phir brahm bodh prapt kiya. Wo to bhagwan ke avatar kahe gaye.

to ham sabko chahiye ki jaisi paristhiti bhagwan diye hain usmen ham raji ho jae aur ham chah karen uttam ki jo sharir chhutne ke baad hamare kam mein ave kyonki hamari yatra keval ek sharir tak to hai nahi. Pata nahi 84 lakh yoniyon mein kis-kis yoniyon mein jana pare to ham chah karen bhagwan ki purti sab ho jaegi. To chah unchi karo, chah bhagwan se milan ki karo to yah maya apne aap mil jaegi. Maya ko sab koi bhaje Madhav bhaje na koi jo ek bar Madhav bhaje to maya cheri hoe maya dasi ho jati hai ham Krishna Krishna kah ke Krishna ke liye chale to maya piche badha ke rup mein par jati hai.

lo rupya lo bhog samgri lo aur jab ham maya ke liye daudte hain to pakar mein nahi aati hai. Isliye ham Krishna ke piche daude to maya hamare piche apne aap lag jaegi. Maneesha ji Haryana se Radhehe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhakti marg mein kaun-kaun si avasthaye aati hain? Ek sadhak wo avastha kis avastha mein hai? Kaise jane maharaj avastha ko to wahi to aapse kah rahe hain na bhautik baten bahari dekhkar jani ja sakti hai antarik sthiti ko janne ke liye yah lakshan ham bata rahe hain yah jiske ho wo samjh le ham paramarth mein chal rahe hain shanti ravyartha kalatwam viktiman shunya asha bandha samutkatha naam gane sada ruch asakti gunakhyane priti tad was tle ab iski vyakhya karte hain.

shanti hamko koi gali de hamen koi mare hamen koi fark na pare. Pahla lakshan jab bhagwan kapil dev ji sant ka lakshan batte hain to usmen bhagwan titwa karunika pahla lakshan tit ismen shanti itni badi shanti tumhare andar ho ki tumhara apman ho tumhen koi mare tumhen koi gali de tumhara hriday uske prati bura ka karne ka bhav na bana pave uska mangal soche ki bhagwan isko ko sadbuddhi den. Yah svasth rahe. Isko bhagwan mangal karen. Kabhi iska amangal na ho. Kiske prati? Jo hamen mar raha hai, jo hamen gali de raha hai, jo hamari ninda kar raha hai, jo hamara apman kar raha hai.

shanti. Itni badi shanti honi chahiye. Tab samjhe ki ham bhakti marg mein chal rahe hain. Abhi wah sthiti ko prapt nahi. Sthiti to age varnan ho rahi hai. Shanti avyartha kalatwam ek minute bhi bhagwan se alag samay nahi jana chahiye. Tasmaran param vyakulte bhagwan ka vismaran hote hi vyakulta paida ho jani chahiye. Main kaise bhul gaya bhagwan ko? Ek kshan bhi bhagwan ka chintan nahi chhutna chahiye. Agar chhut gaya to vyarth samay chala gaya. Avyartha kalatwam vyarth samay nahi jana chahiye. Yah abhi chalne ki baat hai.

shanti avyartha kalatwam virakti lok parlok ke bhogon se vairagya kisi ke bhi bhog bhogne ki ichchha nahi. Ye jo bhakti ka sadhak hai uski jo unchai hoti hai wo hoti hai virakti aur phir man shunya. Apne mein koi sadgun na dekhna. Apne ko adham aur nich manna aur dusre mein sadgun dekhna. Swayam amani rahkar dusron ko man dena. Dusron ka satkar karna. Lekin jab apna man ho to dukh hona ki main is yogya nahi hoon. Main to nich hoon. Main adham hoon. Amaneena man dena kirtan ya sada hari. Jo sadaiv bhagwan ka chintan karte hue amani rahta hai.

dusron ko man deta hai. Wah bhakt hai. Man shunya shanti avyartha kalatwa virakta man shunya asha bandha ab uske andar sthiti ai isi janm mein mujhe bhagwat prapti ho jaegi jab yah lakshan aa gaye to yah lakshan aa gaya sthiti aa gayi asha bandha is janm mein mujhe bhagwan mil jaenge is janm mein mera kam ho gaya meri bhagwat jaise apne logon ke hriday mein ab thodi ki bhagwan darshan de hamara pata nahi kalyan ho ki na ho bilkul atchi liye tayyar hai. Jab bulao sir chodo bas gaye. Asha bandha dridh asha ho jani chahiye ki is janm mein mera kam ho gaya.

kyonki shanti avyartha kalatwam virakti man shunya jab yah lakshan aae to ek mahan sthiti aa gayi ki ab is janm mein mujhe bhagwat sakshatkar ho jaega. Mera kam ho gaya. Samutka har samay ek anand ek adbhut anand. Jaise hamse pucha kisi ne ki aapko kaisa anand lagta hai? To ham kaha pahli baat to vani se bata hi nahi sakte. Kyonki kisi prakritik vastu ke sukh ko aap vani se nahi bata sakte. Jaise aapko ek rasgulla khawaya jae. Kaisa laga? Aap kahoge mitha kaisa mitha? Bahut mitha nahi bahut mitha kaisa?

to aap kahoge kha ke dekh lo. Iske age aap nahi varnan kar sakte. Prakritik vastu ke swad ko bhi aap spasht varnan nahi kar sakte to aprakritik Bhagvdanand ka aap varnan kaise kar sakte hain? To hamne udaharan diya ki jaise naye ladke ko bahut sundar ladki jo bahut achchhi lagti ho aur usse byah tay ho jae to usko kaisa anand hoga? Usse karodon guna bankar ke hamare hriday mein anand har samay bana rahta hai. Isiliye kidney phayl hamko dukh nahi pahuncha pati. Har samay bhagwat anand samutkantha har samay ek utkantha bhagwan se milan ki ek bhagwan ke chintan ka adbhut anand aur naam gane sada ruchi bhagwan ke naam mein itni ruchi ho gayi ki tribhuvan ki rajya lakshmi de di jae to bhi nahi chhod sakta asakti ta gunakhyane jiske paas baith gaye bhagwan ki charcha shuru ho gayi wo bhagwan ki charcha sune aur kahe bina rah nahi sakta aur priti tad was sthale jo bhagwan ke avatar char leela hain.

jaise Ayodhya hai, Mathura hai, kashi hai, Dwarika hai, Vrindavan hai. Inme uski priti ho jati hai. Mere bhagwan ki nagriyan hai. Mere bhagwan ke dham pavitra sthano mein uski asakti ho jati hai. Bar-bar jana, darshan karna, rahne ki ichchha karna yah pavitra bhav uske andar jagrit ho jaate hain. Yadi aise bhav aa jae to jaan le bhakti sampurn apna rang jama chuki hai. Kiska prashn tha? Samjh mein ai baat? Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi de ho itna to kabahu hans de sunhu kripalu kishori Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe avasi kripa ki kol chit itnon to abhu has ho tum mohi milo milo na kripanidhii mo ko dhundt to bhatke ho

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…