kin niyamon ka palan karen ki sansaar aur bhakti ka santulan bana rahe ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
arpit ji Lucknow se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji jab koi insaan seva bhakti aur brahmcharya ka marg apnata hai lekin samaj mein uski jimmedari jaise parivaar nokri samajik kartavya bhi usse dimand rahti hai ghar walon ko tab kis tarah se santulan banana chahiye kya kuch aisa dainik niyam ho sakta hai jisse bhakti aur sansaar donon adhure na rahe haan agar patni hai to mahine mein ek bar sahwas karen shastr agyaa hai masik dharm ke pavitra hone ke baad ek bar sahwas karen aur to brahmcharya hi pusht mana jaega uska.
parai striyon ki taraf gandi drishti na karen. Apni patni se mahine mein ek bar bhagwan ko pranam karke sahwas karen. To dharm yukt kam bhagwan kahte hain main hoon. Aur iske baad naam jap apna band na hona chahiye. Sharab nahi pina, mans nahi khana, koi nasha nahi karna, ghus nahi lena, chori nahi karna, kisi ki hinsa nahi karna. To grihasth dharm mein rahte hue bhi wah bhagwan ko prapt kar lega. Naam jap mein badi samarth hai. Parai mata bahno ki taraf drishti na rakhen. Apni patni se hi anurag karen.
par ek mahine mein ek bar sahwas karen to brahmachari hi mana jaega. Samjh rahe hain? Bhai ji jab dincharya mein kuch badlav hota hai to us wakt man thoda kya badlav hota hai? Matlab jaise kuch kam zyada hai kuch kam naam jab chal raha hai na hamne ye to nahi kaha baithkar puja karo. Hamne to ek bhi bar nahi kaha ki aap baithkar ke puja karo. Ham to naam jap ki kah rahe ki subah utho aur chal do aur naam jap chal raha hai. Radha Radha Radha sham tak kam karo. Radha Radha Radha koi pareshani nahi. Hamne to nahi kaha Padmasan lagao siddhasan lagao.
grihasth ashram ke liye hai bhi nahi kyonki usko kab kaun sa karya lag jae naam jap karo. Pavitra aacharan se chalo koi nasha na karo. Isi se bhagwat prapti ho jaegi. Time bhi matlab naam jap chal sahwas ke time. Haan bilkul bilkul chodna nahi chahiye. Usi samay dil ruk jae to usi samay hamari durgati ho jaegi to ham kabhi naam nahi chhote. Radha Radha Radha ye naam us tabhi chalega jab aap dharm se sahwas kar rahe hain. Agar adharm se sahwas kar rahe hain to phir nahi mana jaega. Phir wo papacharan hoga. Dharm yukt apni patni se dharm yukt aur samay yukt ab jaise sandhya ka samay hai, din ka samay hai.
ye sab sahwas ke liye nishedh hai. Ratri ke samay mein bhagwanon dishaon ko pranam karke dishaon ke devtaon ko tab yah bahut dharm yukt ho jaata hai. Phir wah dharm yukt ho jaata hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…