॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

10 ghante Job aur phir grahasti ke kam aise mein lagta hai diksha na hi len

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

shweta avasthi ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji hamne aapke shri mukh se suna ki bina guru diksha ke bhagwat prapti nahi hoti to kya aise mein ham matlab agar jab diksha nahi le pa rahe kyonki naam jap mein bahut shraddha hai lekin nokri 10 ghante grahasti ke karan niyamit phir dar lagta hai ki kahin naam ki mariyada bhang na ho jae isliye koi aparadh na bane nahi le lena chahiye kahin kahin kisi mahapurush se le lena chahiye to kam se kam ham bhagwan ke marg mein rajistarda to ho gaye jo hamari acharya parampara se ham wahan jud gaye.

ab hamen sankhya di gayi jaise ham sankhya dete hain prarambh mein 11 mala. Ab ham char din bilkul dod mala hi jap paye. Kam hamara laga raha. To ham agle bar 111 mein do-do mala badhate chale jaenge. To jo hamari ye kami hui puri ho gayi. Aisa nahi ki ham 10 ghante kam karte hain to ham ek ghante bhajan mein nahi de sakte. Ham de sakte 24 ghante mein agar 10 ghante kam karte hain to aap hisaab laga lijiye 6 ghante sat ghante so lijiye to 17 ghante ho gaye. Ek ghante manoranjan kar lijiye to 18 ghante ho gaye. To abhi to bahut bache.

19 20 21 22 23 24 chha ghante bache. Chha ghante mein ham teen ghante aur chhod dete hain. Teen ghante bhajan karen to bhagwat prapt nahi ho jaega. 24 ghante ke samay ka vibhag kar lijiye aap. To 10 ghante kam karna koi badi baat thodi hai. Aapke paas 24 ghante hain. 24 ghante mein sat ghante sone ke rakh lijiye. 10 ghante kam ke rakh lijiye. Ek ghante manoranjan ke liye rakh. Do ghante bhojan aadi ke liye rakh lijiye. Agar aap samay ka vibhag karen to aapke paas samay bhajan ke liye hai. Hamko bhajan ke liye samay nikalna chahiye. Nahi mrityu kab kis samay ho jae kisi ko pata nahi aur mrityu ho gayi to sab dhara rah jaega.

tumhara kam dhanda bank balance padhai likhai sab yahi ki hai. Jo naam jap loge wahi tumhari akhiri unnati hai. Naam jap nahi to sab yahan ka yahi rakha rah jaega. Hamari baat man lo. Guru mantr kahin kisi mahapurush se lekar ke aur jo jitna bane utna naam jap karo usi se mangal ho jaega. Yah bahanebaji na karo ki ham 10 ghante kam karte hain. Ye Yamraj nahi sunenge bahanebaji. Samjh rahe ho na? Ye Yamraj ye bahanebaji nahi chalenge. Wo to mar ke le hi jaenge. Kaphiyon ko maharaj ji prashn rahta hai aisa kyonki gasth jeevan mein phir unko ek ye bhay rahta hai ki agar guru dwara jo prdat niyamavli hai wo agar nahi kar paye to aparadh lagega to aur hani ho jaegi nahi bhagwan ke bhajan se kabhi hani hoti hai bhagwan ke sharanagat mein kabhi hani hoti ham kah rahe hain jaise niyamavli to uski purti ke upay bhi to hai na ham man lo panch din biji rahe ekdam bhajan nahi kar paye to ham jis din se phir fursat milegi to 11 mala ka niyam 11 mala aur ek mala aur jod lete hain aur mahina bhar chalne dete hain to pura niyam pura ho jaega.

beimani na karen. Imandari se yadi ham bhajan karen tumhare paas samay hai. Pakka samay hai. Uthte baithe chalte phirte bhi to mala hota hai. Bina mala ke bhi mala hota hai. Man lo ham train mein ja rahe hain ya ham kam kar rahe hain. To har samay ham bolte thodi rahte hain. Aur us samay hamare chal raha hai Radha Radha Radha to hamari ganna to puri ho rahi na. Aisa nahi karna chahiye ki ham grahasti ka bahana lekar bhagwan se vimurkh ho jae. Apne kam ka bahana lekar bhajan na karen. Yah galat baat hai. Aap grihasth ho aram se guru mantr lo aur jitna ban sake bhajan karo.

tumhara mangal hoga. Niyam pura nahi hoga to bhi amangal nahi hone wala. Ji man chhut dhundhta hai. Chhut dhundhta hai ki Gurudev se chhut mil jae. Kahin bhajan mein bas aur sansarik usmen to haan ismen chhut hi chhut hai bas thoda niyam palan karo aur chalte phirte uthte baithe naam jap karo tumhara mangal hi ho jaega ismen koi amangal hone ke chans nahi ki niyam nahi pura kiya to amangal ho jaega aisa nahi aisa nahi maharaj ji jaise chalte phirte bhajan to kar hi rahe hain aur naam jap bhi karte hain lekin wo santushti nahi aa pati aisa lagta hai ki abhi utna ho nahi pa raha hai ye santushti to ye santushti to hamen mein bhi nahi ho pai aaj tak to tumhen kahan se hota jaise jaisejaise labh milta hai waise waise lobh badhta hai yah siddhant hai kisi bhi vishay mein to jaise hamen bhajan karte hain na to aaj tak ham apni baat kah rahe hain aaj tak kabhi ye nahi hua ki chhak ke bhajan hua aisa kabhi nahi hua uski lolupata badhti rahti hai aisa lagta hai yar aur karen aur karen ye sab jhanjhat chodo raat din bhajan karo bhajan karne par bhi bhajan ki bhookh bhookh badhti rahe.

yahi bhajan ka phal hai. Yahi pehchan hai ki aapka bhajan sahi ho raha hai. Jab bhajan karne par bhi bhajan ki bhookh badhti rahe.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…