॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #974 · 18 july 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan van dham ki jai shri Sadgurudev bhagwan ki jai omkar oja ji shri Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji aapka kahna hai ki kafi samay se nirantar prayas karne ke baad bhi asflata kyon mil rahi hai purv praarabdh purv paap usko nasht karo teerthayatan stotron ka gaan naam jap paropkar isi ke dwara usko para parast kiya jaata hai.

ye kar rahe ho karo aur karo aur badao. Paropkar badao. Bade budhon ki seva karo. Koi nasha na karo. Parai mata bahno ki taraf gandi drishti mat rakho. Bhajan karo. Tirth avgahan karo. Stotron ka path karo. Abhi papon ka nash hone lagega. Abhi anand ane lagega. Gajendra moksh suna hai tumne? Gajendra moksh ka path karo. Dekho kaun sa sankat jisko tum mita nahi sakte. Gajendra moksh hai ek bhagwat mein. Aap uska path karke dekho. Har sankat ki nivitti usse ho jaegi. Par yah hai is baat ko samjhna hoga ki aapka sankat hai 500 gram aur path hua abhi 50 gram to 450 gram abhi bakaya hai.

jab ham itna path kar lenge ki 500 ke upar chalenge tab hamara mangal shuru ho jaega. Madhusudhan Agarwal ji Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji param dharm kya hai? Dharm ki paribhasha to parhit saris dharm nahi bhai aur par pida sam nahi adhimai use us ise dekhkar to samjh aata hai maharaj ji aur apne jeevan mein utarne ka prayas kar raha hoon par param dharm samjha sav pusham paro dharmo yato bhakti adhokshaje wahi param dharm hai jisse adhokshaj bhagwan shri Krishna ke charnon mein prem ho jae hamara paropkar karna hamara hamara tirth avgahan karna, hamara naam jap karna, hamara bhagwat leela katha sunna yah sab sarthak tabhi hai jab bhagwan se prem ho jae.

ek kshan ke liye bhi bhagwat vismaran na ho aur hriday mein vyakulta paida ho jae ki main janm maran ke chakra se mukt hokar bhagwan ke nitya dham mein unki nitya seva mein jaun. Yah jo ham lok dharm ka palan karte hain, iska phal hai param dharm ki prapti. Dharmam bhajas satatam taj lok dharman sevan sada sadhu purush jah kam trishnam anya dosh gun chintan mava seva katha raso nitam pabtam bole dharmam bhajas satatam satat dharm ka hi sevan karna chahiye dharm se hi chalna chahiye dharm ka palan karna chahiye dharm ka hi bhajan karna chahiye arthat dharm ka sevan karna chahiye.

bole kis dharm ka? Bole taj lok dharm lok dharmon ka tyag karke bhagwat dharm ka sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj lok dharm ka tyag karke bhagwat dharm ka palan karna. Bole ye kaise prapt hoga? Bole sada sadhu purushan ka sevan karen to bhagwat dharm ka andar pradurbhav ho jaega. Sevan sada sadhu purush ab sadhu purushan ka sang kaise karna hai to bole jah kam trishnam anya dosh gun chintan mas titwa dusre ke gun dosh ka chintan tyag de aur kamna sune hue bhogon ke bhogne ki ichchha ka naam kamna aur trishna bhoge hue bhogon ko bhogne ki ichchha ka naam trishna kamna aur trishna ka tyag kar de to sant purushan ke sang ka rang aa jaega yadi ham dusron ke dosh gun chintan karna tyag den aur kamna aur trishna ka tyag karke sant sevan karen to hamare hriday mein bahut jaldi bhagwat dharm ka pradurbhav ho jae anya dosh gun chintan mas muktava seva katha rasma ho nitmattam to bole ab kamna aur trishna ka tyag kaise ho dusron ke gun dosho ka chintan tyag kaise ho bole raat din bhagwan ka chintan karo bhagwan bhagwan ki seva karo.

bhagwan ke katha ras ka pan karo. Bhagwan ki leela ka gayan, leela ka shravan, leela ka chintan, kisi vyakti ke gun aur gun ka chintan na karo. Tat suno maya krit gun aur dosh anek gunya ubhay na dekhi dekhi so abhivak. Isliye avivek ka tyag karke kisi ke gun dosh ka chintan na karte hue seva katha rasmo nitram pavtam bhagwan ki leela katha ras ka pan karo usi ka chintan karo sant mahapurushon ka sang karo kamna trishna ka tyag karo to tumhare hriday mein param dharm ka praad sav pusham paro dharmo yato bhakti adhokshare param dharm wahi hai jismen bhagwan shri Krishna ke charnon mein prem ho jae sima sinh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji prani matra se prem karna aur sansaar ko vaman ki tarah tyagna yah donon ek

saath kaise sampark prani matra se prem nahi karna prani matra mein bhagwat bhav karke prem karna hai to hamara jo rag hai jo moh hai wo nasht ho jaega hamari durgati hoti hai rag aur moh se moh sakal vyadhin kar mula moh mul bahu shul prad yahi to hamari durgati ka karan mein samasth praniyon mein bhagwat bhav karke jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jaan ab koi fasav nahi aur bhogon ka tyag vaman ke liye yah prani se sambandh nahi rakhta ye vastu se sambandh rakhta hai kisi bhi vastu ke bhogne ki ichchha ya kisi sharir ke bhogne ki ichchha uske andar nahi rah jati jo bhagwan ke anand mein bhagwanand mein jab ek bar man lag jaata hai to aur phir in bhogon ka rama vilas Ram anuragi tajat baman jim jan bhbhagi wo bhbhagi jan jo bhagwan ke jan ho chuke hain bhagwan ke nirantar chintan mein lage hain unko itna bhagwat anand milta hai ki ye vishay bhog aise chhut jaate hain jaise baman ki taraf koi dekhna nahi chahta aise wo bhogon ki taraf dekhna bhi nahi chahega bhogne ki to baat jane do to prani sambandh aur bhog sambandh ye

donon department alag-alag hai hamari hamari drishti sarvatra bhagwat bhav se ho to ham samasth praniyon mein bhagwan ka chintan karte hue bhagwan ka darshan karte hue vihaar karenge kabhi phasenge nahi ham phaaste hain vyakti vastu sthan ke chintan se bhagwat chintan mukt karta hai phansata nahi hai aur bhajan ka phal hoga jab aapke andar bhagwat anand aayega tab vishay vaman ki tarah tyag hoga to is baat ko aap samjhe wo do do baten ho gayi ek baat nahi hai pharukh Kabir ji. Haan ji. Maharaj ji, manushya ka aisa kaun sa karm ya charit gun hai jisse paramatma sabse zyada prasann ho?

aisa koi karya jo ek manushya dusre manushya ke liye karen jisse bas isi se bas isi se us karya ka koi naam nahi hai. Kisi ka accident ho gaya. Aap jaise apne bhai ka accident hua ho to kaisa lagega? Apne putr ka hua ho to kaisa? Ham turant usmen inwolwa ho. Turant ham usmen koi bhukha hai ham apne hisse ka bhojan de de. Koi sardi se kamp raha hai ham apna vastr utar ke de de. Koi bimar hai aaj ham manoranjan mein paise nahi kharch karenge. Aaj ham bimar ko de denge. Paropkar yah bhagwan ko bahut pasand hai.

sabse zyada pasand bhagwan ki baat hai ki paropkar karna. Jatayu ji se kah rahe hain yah hamari kripa se tumhen sadgati nahi prapt ho rahi. Yah tumhare karm se prapt ho rahi hai. Jo tum Sita ji ki raksha ke liye apne prannon ki baji laga di. Yahi karm tumhen param pad mein pahuncha raha hai. To parhit saris dharm nahi bhai. Agar ham dusron ko bhagwat bhav se yukt hokar seva pahunchave to wah sidhe bhagwat prasannata pradan karte hain. Aur jo dusron ko kasht deta rahta hai to chahe jitna bada tapasvi ho bhagwan usse var kar lete hain.

jaise hiranyakashyap jaise Ravan ye bade tapasvi the. Sadharan purush nahi the. Apne tap ke prabhav se vardan prapt kiye hue the. Bhagwan ne kaat ke phenk diya. Faad ke phenk diya. Hiranyakashyap ko faad ke phenk diya aur Ravan ko kaat ke phenk diya. To jo dusron ko dukh pahunchata hai, chahe jitna bada tapasvi, balvan, vidvan chahe jitni aradhna karta ho, uska parinaam vinash hi hoga. Aur jo dusron ko sukh pahunchata hai, chahe chhoti-chhoti baat se hi ham bahut mridu bole. Hamare paas jo dhan hai wah vani hai, wah tan hai, wah man hai aur jo vastue hain.

to ham pahla sabse zyada mridu vani bole. Kisi ko dukh na pahunche. Dusra ham tan se wahi karya karen jisse dusre ko anand mile. Dusre ko sukh pahunche. Ham man se wahi sankalp karen jisse dusron ko labh mile. Dusron khud ko thaga lo aur dusron ko to aapko param labh milega. Dusron ko sukh mila aapko thag ke to aapko jo dega malik to in thagne walon se koi fark nahi parta. Isliye tan man dhan vachan inke dwara hamara uddeshya ban jae ki kisi bhi prani ko kasht nahi denge. Bas bhagwan prasann ho gaye.

ab dekho kaise-kaise log nirday hote jaate hain. Parai bahan betikon ke saath duryvhaar karke kaat dena, mar dena. Yahan pashu ko bhoon bhoon kar khana katna, ubal ab ye sab durgati hone wali hai in logon ki. Ye jitne aise aacharan karte hain ye sab yahan jalenge aur narak mein jalenge. Tab jakar pavitra honge. Phir pashu pakshi bhut pret ki yoniyan prapt hongi. Isliye manushya yoni jo mili hai wo paropkar karne ke liye mili hai. Parhit saris dharm nahi bhai. Dusron ko sukh pahunchao isse bada koi dharm nahi hai.

yahi bhagwat bhav se isi se bhagwan prasann ho jaate hain. Hareesh kumar Agarwal ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji vartman mein main samasth pariviarik uttardayitwon se nivraat ho chuka hoon. Vigat ek varsh se aapki ekantik vartalaap ka shravan kar raha hoon. Meri mata ek sant sevi bhagwat bhakt evam sadha jeevan vyatit karne wali aur sadhna mein rat thi. Mujhe Swami shri Ram Sukhdas ji maharaj ji aur pujya narayan das ji bhaktasar wale mama ji ke divya sanskar virasat mein prapt hue. Ab main bhagwat prapti ki disha mein gambhir prayas kar raha hoon.

kintu samajik tatha pariviarik vatavran barambar mere man ko viksipt kar raha hai. Evam sadhna mein vighna utpann kar raha hai. Isiliye barbas raj sut narapdeena aur hari hit aap gavan ban kina. Jab shravan samip bhay sut kesa mano jarath pan asu updesha. Kan ke samip ke bal safed hokar mano kan mein kah rahe hain ki ab tumhari vriddhavastha aa rahi hai aur age iske jo ane wali hai uska naam mrityu avastha hai. Ab upay kar lena chahiye bhagwat prapti ka to harihit aap gavan ban keen bhagwan ke liye hamen ekant sevan karna chahiye.

parivaar ke moh se nivraat hokar apne kartavya ka palan kar chuke hain. Ab aap log khao piyo anand lo. Ham jaise bane taise ab hamko chhedo mat ghar mein hi sahi par ekant vanwasi ki tarah sevan karen aur yatha labh santosh sada kahu so kachu na chaho agar din mein ek bar bhi bhojan mil jae to pet palan karen kisi ki ninda na karen koi jhagda na karen bachchon par apna adhikar na janave jo hamen bhiksha ki tarah mil jae use khain aur raat din bhajan karen to ghar mein rahte hue bhi wah sanyasi ko jo gati prapt hoti hai wahi gati prapt ho sakti hai ab aaj ka samay bahar bahar bhagne ka nahi rah gaya hai.

bahar ashraomo mein jaoge to sab arth pradhanata rah gayi hai. Wo bahut kalyug ka prabhav badhta chala ja raha hai. Aur arth ki avashyaktaen itni badh gayi. Hamen to lagta hai chupchap apne ghar mein ek kamra ashram man lo aur wahi sanyaas ka bhav karke bhajan karke mukt ho jao. Yah bahut badhiya hai. Jeevan bhar jo kamaya hai usi ki do roti khakar bhajan karo. Bhagwan ko prapt ho jao. Dusre ki halwa puri ka chintan mat karo. Nahi to jo bhajan ho raha hai wah bhi band ho jaega. Mohan ji Radhehe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap ek ravindra nath thakur ji ka ek vichar padha tha inhone to manavta ki sabse badi vijay ek dusre ke prati prem sahanubhuti hai na ki yuddh aur vibhajan mein hai.

maharaj ji aaj ke samay mein ham yah anubhav kar rahe hain ki samaj mein vaimnasya sangharsh matbhed aur bhedbhav ki bhavna dino pratdin badhti ja rahi hai. Manushya manushya ke beech duri badhti ja rahi hai. Prem, karuna, sahishnuta jaisa jeevan mulya piche chhutta ja raha hai. Maharaj ji aise mein aap aaj kya ye jagrit ho sakta hai phir se ye sab jab tak bevichar aur vyashan do par ankush nahi hoga tab tak prem aur karuna ye kaagaz mein likhi rah jaegi hriday par nahi aayegi kyonki vyabhchari purush ashu apne prannon ka poshan karne wala purush vyasan karne wala purush ye hinsa vair asakti kamna inheen mein bhramit hoga aur karuna aur prem yah to bhagvatik hai.

bhagwan adwashta sarvabhut naam maitra karun evach nirmamo nirhankar sam dukha sukha chhami aisa bhagwan ko bahut pyara hota hai jo kisi mein dosh darshan nahi karta kisi se dves nahi karta aur sabse mitrata ka vihaar rakhta hai aur sabse karuna ka vihaar karta hai aur mamta rahit hai mitrata karte hue mamta rahit hai aur karuna karte hue ahankaar rahit hai aur kshamvan purush yah mujhe bahut priy hai bhagwan bhagwan shri Krishna kahte hain to yah jo sthiti karuna ki hai agar karuna ho to vybhchar band ho jae. Matao bahno ke saath raaksasi vihaar naujawan log karte hain.

mar dete hain. Dhan ke liye vyasan karne ke liye dhan chahiye aur dhan ke liye chori, hinsa, chhal, kapt matlab kitna mano girta chala ja raha hai ki ek hamko klip dikhayee bhagwan shankar ke arghe mein chandi lagi thi. Wo hathaudi se kaat karke aur chand rupaye ki chandi. Kitni koi do char kilo chandi thodi hogi. Chand rupaye ki chandi bhagwan shankar ki arghe se utar karke le gaye. Mata bahan ja rahi hoti chain pahne aise pakar ke ghasit liya. Wo chahe muhn ke bal gire chahe hath tut jae, pair tut jae. Matlab kitna nirdayi hota ja raha hai.

mano apni vasna ki purti ke liye kuch nahi soch raha hai. Chahe pashu ko jalakar khana ho, kaat kar khana ho, hinsa karna ho, jahan har jeev par daya karni hai, wahan karuna maitri jahan karni hai, wahan hinsa badh rahi hai. Swarth buddhi badh rahi hai. To yah bahut kalyug ka ku prabhav badh raha hai. Ab yah hai ki shastr shravan aur sant sang inheen se sadgunan ka pradurbhav hota hai. Jaise pehle log bhagwan ki chhaviya hriday mein dharan karte the. Ab sab chati mein lagae ghum rahe mobile. Matlab mobile chodna aaj ke samay mein pran chhod sakte hain lekin mobile nahi chhod sakte.

ab mobile mein jo laga hua hai badi reele hain, bade serial hain, badi chijon hain to usi mein man laga hai to shastr shravan to ho nahi sakta ki baithkar ham gita ji ka adhyan karen, manan karen, bhagwat ji ka adhyan manan karen, vedant shastron ka, smritiyon ka, ham dharm granthon ka aisa to samay nahi rah gaya aur naujawan kab gita padhne lage. Ab wah vyasan mein utar gaye kyonki sataarg mein do hi hamen laga sakte hain ya sant ya shastr shastr swadhyay ka samay nahi aur santo par shraddha nahi ye to bhagwan ki vishesh kripa kaho ki hawa si chali hai to sab santo par shraddha karne lage naujawan nahi to aisi piche baten ai thi ki jinme sant shraddha thi wah bhi nasht ho gayi thi to do hi hai jo samaj ko sudhar sakte hain.

dharm shastr dharm mahapurushon ke vachan santo ke vachan agar ham sant vachan sune sant vani sune shastron ka swadhyay karen to aaj ham phir sudhar sakte hain. Agar yah nahi to sudhrane ke koi chans nahi hai. Aur anttogat apna hi vinash karna padega. Jab aap dharm se virudh chaloge, papacharan karoge to tumhara man hi tumhen karne ke liye prerit kar dega. Apne aap apne hath se apne ko marogey. Yadi galat aacharan karoge to yahi man tumhen aisa prerit kar dega ki tum apna nash swayam kar loge. Isliye bhai karuna aur maitri bhagvatik shabd hai.

jab tak ham dusron ke prati daya ka bhav nahi layenge. Karuna ka bhav nahi layenge sabse maitri nahi karenge to hamara manushya jeevan manushya ab aap socho pati patni mein maitri bhav nahi hai jahan ardhangini kaha gaya wahan maitri bhav nahi to aisa samay chal gaya ki patni patni mein bhai bhai mein mata putr pita mein jo pavitra sambandh hai unmein bhay ka samavesh ho gaya apni maa ko putr mar dal raha hai maa apne putr ko mar mar dal rahi hai. Matlab bada vichitra samay aa raha hai. Jab ye ghatnayen suno to lagta hai shastr mein likha hai kuputro jayat kuchit kumata na bhavti.

to aaj jo hamara mansik star hai wo raaksasi bhav ko prapt hota ja raha hai. Jahan daivi sampada ani chahiye. Satvic bhav ane chahiye. Bhagwat bhav ane chahiye. Wahan raaksasi bhav badh rahe hain. Yadi ham naam jap karen, santo ki vani sune, shastr swadhyay karen to hamara sudhar ho sakta hai. Sachin ji gwalior se jai jai shri Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapki vani se suna tha ki swapna mein bhagwan ke darshan ke alawa sab mithya hai. To maharaj ji swapna mein kisi ki ninda karna, kisi par krodh karna phir jab uthte hain to maharaj ji hriday mein bahut jalan hoti hai.

matlab nahi swapna to jhutha hota hai. Usmen kya hai? Koi jalan nahi. Sanskar ke vashbhut hai man us samay man dekho koi koi swapna bilkul utaptang aata hai jiska koi matlab nahi hai bilkul galat aata hai to ye swapna ka koi aisa nahi ki aaj hamne swapna dekha aisa ho uske vishay mein chintan karke ham harshit ya shokit ho bilkul wo jhutha hai usmen kuch nahi hai wo man ki keval kalpna matra hai swapna ekdam jhutha hota hai kya hamare praarabdh ko bhi bhugwaya jaata hai kabhi-kabhi swapna mein swapna mein aise praarabdh ko bhugaya jaata hai jo anjane mein paap ban jaise ham achanak aise dekhte hue ja rahe hamara pair mendhak par par gaya, kisi jeev par par gaya, wo mar gaya.

to ab aapki ichchha to nahi thi aur achanak koi ghatna ghat gayi, koi jeev mar gaya to wo swapna mein aapko pida di jaegi. Wo swapna mein aapko kata jaega. Swapna mein aapko pita jaega. Swapna mein aapko dand diya jaega. To aap aise bhayabhit hue aur jab jage to kahin kuch nahi. To wo anjane ke paap ko usmen bhugaya jaata hai swapna mein. Aur kabhi-kabhi swapna bilkul vyarth hota hai. Uska koi talluk nahi hota. Kisi se sambandh nahi hota. Aise vyarth hota hai. Vyarth ki kalpanaen jaise ham baithe-baithe sochte rahte hain na waise hi bas kalpna hai.

swapna koi satya vishay nahi hai swapna. Haan swapna mein bhagwan ka ana aur bhakton ka ana ye satya hai. Jaise hamari kalpanaen chalti rahti hai. Sab asatya hai. Lekin usi mein bhagwan ke prati kalpna karna. Kisi sant ki baat ka chintan karna wo satya hai. Aise swapna mein santo ka darshan hona, bhagwan ka darshan hona yah accha mangalmay suchak hai aur bahut hi karuna hai bhagwan ki jo swapna mein akar darshan de de. Kedarnath Gupta ji faridabad se maharaj ji radheshyam sitaram maharaj ji jab se mere param pujya Gurudev bhagwan shri baksavar wale mama ji ka nitya leela mein pravesh hua tab se main apne aap ko anath mehsus karta hoon.

kuch samjh nahi aa raha maharaj ji meri nivaran karen. Waise pragat mein gurujanon ka antardhya ho jana durbhagya hi hai hamara ki ham unko pragat mein nahi dekh sakte. Par saubhagya ki unke dwara hamen naam mantr mila hai. Guru ka swaroop jo naam hai, jo mantr hai, wahi hai. Yah jo rup hai, yah to nashvan hai. Lekin guru ke dwara jo naam mantr mila hai, ham usi ko guru ka swaroop mankar nirantar sumiran karen to jahan Gurudev hain, wahin ham pahunch jaenge. Bada dular mila hai hamko bhi. Haan wah pragat ka sukh to ek sima mein hai.

pragat ka sukh ek samay ki sima mein hai. Jaise aaj aap baithe jo anand le rahe hain ho sakta hai ki kal na mile. Ye jo sharir hai ye nashvan hai. Ab kab kahan kaise kya leela ban jae. To pragat mein to jo anand milta hai santo se wo to jab antardhya ho jaate hain tab wo anand to nahi rahta. Par anand ki dor pakda jaate ho. Unke jo vachan hai agar ham man len to hamen parmanand ki prapti ho jae. Jo anand sindhu bhagwan hai wahi Gurudev hain aur unhin ki prapti ke liye jo hamen naam mantr mila hai yadi ham uska nirantar chintan karen to hamen Gurudev ke pragat abhav ka jo anubhav hota hai yah hat jaega.

naam mantr hi Gurudev ka sakshat swaroop hai aur pragat sharir to nashvan hai. Kisi bhi sant ka ho wo aaj nahi to kal nasht hona hi hai. Pakka samjh lijiye. To khub naam mantr jap karo aur jaise dekha tha wahi bhav wahi dular bar-bar unke socho to aapko sukh milega ki hamare Gurudev hamko aise pyar karte the aise bulate the hamare Gurudev aise baithe the dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam aur moksh mulam guru kripa angha ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main jab bhi kuch karti hoon koi bhi kam karti hoon to hamesha man mein shanka shanka rahti hai main sahi kar rahi hoon ya galat mere atmvishwas mein kami lagti hai maharaj ji itna zyada ho jaata hai ki agar main naam jap bhi karun to shanka rahti hai ki main pure bhav se kar rahi hoon ya nahi maharaj ji iska samadhan aap batao to bhav ho ya na ho naam jap mein sanshay mat karo bhav ku bhav ankhalashu naam japat mangal dashu yadi naam jap karoge to yah sanshay bhi nasht ho jaega bhagwan ke naam mein apaar samarth hai aap khub naam jap karo aur naam jab man aisa kahe ki shraddha se nahi ho raha.

yah bhav se nahi ho raha to phal to barabar milega. Ham shraddha se jahr khain ya shraddha se khain mar to jaenge hi na. Ham pyar se agni ko chhue ya zabardasti chhwa diya jae wo jala to degi na. Jiska jo prabhav hai wah apna karke hi rahta hai to naam ka prabhav kyon nahi karega wah to satchidanandmay hai bhav kubhav ankhalashu naam japat mangal dashu raghav ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji nitya shri Ramcharitmanas ji evam shri vinay patrika ji ka laybaddha vidhi se gayan ki kya mahima hai maharaj ji aapka to jeevan hi ye raha hai maharaj ji purv mein bhagwan ke anand mein dubna jab ham aise gayan karte hain to bahut samay baad uska prabhav hoga.

lekin jab ham rag se gayan karte hain, sangit ke saath gayan karte hain to uska tatkaal labh milta hai ki ham jhumne lagte hain. Hamara man usi mein lagne lagta hai, aandit hone lagta hai aur gategate jab hriday pavitra ho jaega to samne rup dikhayee deta hai. Jo ham leela ga rahe hain wahi leela ka chintan hone lagta hai. Phir wo bhagwan ke prem mein matvala ho jaata hai. Leela gayan ka sidha phal hai. Moh ka nash hokar bhagwan ki prapti hona. Khub bhagwan ki leela ka gayan karen. Hamen to aisa saubhagya mila hai ki subah 4:00 baje baith gaye aur din ke 2:00 baje uthe.

balkand, Ayodhya kand do-do kand ek pure karke tab phir log shanka ke liye uthe. Ab nai avastha thi na to khub bhagwan ne anand diya hai. Khub Gayatri ji ka pur charan aur sab anusthan sab khub ab pura jeevan ho gaya 11 varsh ki avastha se lage ab 55 56 varsh ki avastha hone ja rahi hai. Ab aaj suvida hui hai. Aaj logon ka sanidhy mila hai. Nahi hamne jeevan mein kabhi do aadmi khade hokar baat nahi ki. Ganga ka kinara ekant sevan apne kam se matlab aaj tak hamara koi dost nahi hai. Puri srishti mein jab dost nahi to dushman ki kya baat hai?

aaj tak koi dost nahi kisi se sabko bhagwan ka swaroop manna sabse pyar karna lekin pyar keval bhagwan se karna. Bhagwat bhav se karna. Ekant sevan karke yadi ham leela gayan karen. Ek hota hai jaise ham leela gayan kar rahe hain aur log baithe hain to hamari bhavna logon ko rijhane ke liye wo ek alag leela gayan ho gaya aur ek ho gaya ham ekant mein baithkar leela gayan kar rahe rona aa gaya ab leela gayan sarthak ho gaya gadgad mam gun gavat pulak sharira aur gadgad kanth nayan bah neera bhagwan ka leela gayan karte hue romach chhwa aansu nikalne lage ab age gaya nahi ja aur wo ruk gaya bhagwan ki rup madhuri chhaa yah hai phal yah hai leela gayan ka phal jeev ko jo sukh chahiye wo sansaar mein nahi hai isiliye chahe jitna rupya ikttha kar lo chahe jitna bhog bhog lo aap asantusht hi rahoge aur santosh tab milega jab bhagwan ka bhajan hone lagega bhagwan ka leela gayan karoge bhagwan ke bhav se dusron ko sukh pahunchaoge dekho hriday ek din accha bhojan bankar agar aap pao aur ek din wahi apne hisse ka bhojan kisi bhukhe ko pawa do.

phir dekho aapko kaisa lagta hai. Hriday mein jo ek sheetalata hogi wo chahe jitna accha bhojan pa lo aap kabhi nahi hogi. Jab dusron ko pavaoge to wo jo sheetalata hogi wo bhagvatik hoti hai. Wo amog chahe jitna badhiya sal odh lo wo sukh nahi milega. Jab koi garib kamp raha ho aur usko apna sal uda do. Phir dekho aapko kaisa lagta hai. Phir ek hriday mein umang aayegi. Phir bhagwan se dantdev ji kahte hain ki mujhe itni samarth do ki vishv mein koi dukhi hi na ho. Sabka dukh main bhog lun. Ye sabka dukh main bhog lun.

vishv mein kisi ko dukh na ho. Aisi bhavna karte hi hriday anand mein bhar jaata hai. Aur aaj kya hai ki sab chahe dukhi ho main sukhi ho jaun. Yah asuri bhav hai. Isi asuri bhav se samaj dukhi ho raha hai. Kaustup Agarwal ji pharrukhabad se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji shri ji ki kripa se main naam jap karne ka nirantar praytn kar raha hoon. Lekin maharaj ji jis din bhajan adhik ban jaata hai man mein ahankaar sa aa jaata hai. Lekin jis din bhajan kam hota hai us din glani kyon nahi hoti? Aaj rah gaya. Haan ye baat ye ye kami hai.

ye kami hai. Ahankaar to ana nahi chahiye. Kripa mein aansu ane chahiye ki aaj bhagwan ki vishesh kripa hui ki hamse accha bhajan ho gaya kyonki bhagwan ki kripa se bhajan hota hai aur jis din bhajan na ho tad vismaran param vyakulte hamen vyakulta honi chahiye dhikkar hai hamare man buddhi ko jo aaj bhagwan ke bhajan mein kami ki aisi glani honi chahiye aaj kar liya aaj rah gaya kal kar lenge nahi kal kisne dekha hai kal aae ki na aae aaj kare so jo abhi kaha kal kare so aaj kar aaj kare so ab pal mein pralya hoegi bahut karoge kab isliye aisa na talo bhajan ko mat talo gandi baton ko talo jaise gandi baat ke liye man kah raha hai to phir dekhenge achchhi baat ke liye abhi tatpar ho jao ye man maharaj ji paap punyeon ke pyar mein phasa rahta hai iske upar kaise naam jap yahi to hai naam jap hi to nirmal karta hai nirmal man jan so moh pava moh kapt chhal chhidr na bhawa to nirmal man bhagwan ka bhajan karta hai.

jitna bhajan karoge utna hi man nirmal hota chala jaega. Bhagwan ka naam wo sabun hai jo man ko nirmal karta hai. Isliye khub naam jap karo. Punya aur paap punarjanma ka jo santi hai aur is janm mein logon ke beech mein punya kamaya hai wo sathsa chalte hain ya alag-alag chalte hain nahi ya sathsa chalte hain nahi aap iska kram samjhiye ek godam hai jise sanchit karm kahte hain. Sanchit karm mane anek janmon ke karmon ka jahan sanchay hai use sanchit karm samjh rahe hain na anek janmon ke karmon ka jo ek sanchay hai godam hai use sanchit karm kahte hain.

un sanchit karm se jab sharir rachna hoti hai to manushya sharir ki rachna paap aur punya do se hoti hai. Dev sharir ki rachna punya se hoti hai. Aur jo yatna deh hai narak mein jo milta hai wah keval paap se milta hai. Manushya deh ki rachna is manushya lok mein paap aur punya se hoti hai. To wo sanchit karm se paap punya nikale gaye jo hamare godam mein jama hai. Unse anek janmon se wo bhagwan ka jod hai. Usko jodkar ke nikala aur manushya sharir mein janm se lekar maran tak ka vidhan rach diya gaya. Samjh rahe hai na?

janm se maran tak ka vidhan rach diya gaya. Use kahte hain praarabdh. Ab jo ham karm kar rahe hain ise kriman kahte hain. Ye abhi saath nahi denge hamen. Ham khub punya kar rahe hain, khub dan kar rahe hain, khub bhajan kar rahe hain. Lekin praarabdh bhog aa gaya hai paap ka to aapko dukh bhogna padega. Dan punya bhajan karte hue bhi achhche se accha karm kar rahe hain. Lekin aapko sukh shanti nahi milegi. Aapko wo praarabdh bhog ashant karega. Wo praarabdh bhog dukh dega. Jo aaj kar rahe hain. Ye kal aapke kam aayega.

vartman ka jo dan punya hai, vartman ka jo satkarma hai, vartman ka jo paropkar hai, wah bhavishya mein anand dega. Lekin aaj hamko dukh sukh ka wo kram bhogna padega jo sharir rachne ke samay rakha gaya hai. Samjh pa rahe hain aap? Haan. Wo aaj tabhi dekha jaata hai paap karm karne wala bada unnati ko prapt ho raha hai. Ek dharmatma purush kadam kadam par dukh bhog raha hai. To wo kram uske punya ka lag gaya. Jo paap karm vartman mein kar raha hai aur purv ka punya sanyog to unnati ko prapt hota chala ja raha hai.

ek punya karm kar raha hai lekin uska paap sanyog ban gaya wo dukh par dukh bhogta chala ja raha hai. Isi kram ko na samjhne ke karan log kahne lagte hain ki jo dharm mein chalte hain wo dukh bhogte hain aur jo paap karm karte hain wo ghas lete hain beimani karte hain wo bade achhche se aisa nahi hai. Aisa nahi hai. Parinaam jab apne karm ka aayega to wah punya ka anand hoga, sukh hoga aur paap ka dukh aur vipatti aur vinash hi hoga. Wo kabhi sukh pradan nahi kar sakta. Aap samjh paye mohit ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke dwara naam jap ki jo dawai mili us uska pehle to kuch bahut riekshan hua par baad mein jakar man aur hriday ki abhi safai shuru ho gayi hai.

maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki jo hich 84 ji path yahan aur bhi jo path hain aapki awaz mein sunne ko milta hai maharaj ji to matlab saath-saath dhyanpurwak padhne aur sunne ka jo phal hai kya yad karna zaruri hai maharaj ji yad karne se yah hai ki ham jaise train mein chal rahe hain to ham gunguna sakte hain pad ham ga sakte hain ham fawda chala rahe hain pad ga sakte hain andar hi andar chintan kar sakte hain ham raste mein chal rahe hain pad gungunate ja rahe hain to yad karna bahut zaruri hai yad kar lo ham kah rahe puri na yad ho pave to 10 hi pad yad kar lo to wahi 10 pad agar ham dohrate rahe to naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas naam vani nikat Shyam shyama pragat bhagwat sakshatkar karane mein samarth chaturasi ji isliye kuch pad to yad hi kar lo padhe ho to phir usmen duwidha kya hai subah subah roz path karo yad ho jaega subah subah roz path karne se brahm muhurt kal mein jo chij yad karni ho agar brahm muhurt mein usko path karne ke niyam mein ham le

len to kuch dino mein wo kanthsth ho jaegi. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji pranam maharaj ji jeevan mein prabhu ki bahut kripa hai. Bhajan mein bhi bahut man lagta hai parantu ek aparadh hua hai. Galti hai paap nahi hai. Kya iska koi upay ya prayashchit sambhav hai? Kya hai? Sampark parastri gaman. Gaman ji. Sirf message kisi ko man ki tarang hai ise naam jap se sab dhul jaega isse koi ise koi aparadh nahi kahte man ki tarang hai nahi sambhal paye wo kubhav andar prakt ho gaya sadbhav hat gaya kubhav prakt ho gaya par kriya na ho pana yah bahaduri ki baat hai hamare man mein galat sankalp galat sphurna yah ho sakta hai.

iska koi paap nahi hota. Kalik ek punit pratapa manas punya hoe aur nahi papa. Manas punya to ho jaenge lekin paap nahi lagega. To agar hamare man mein galat dharana aa rahi hai. Ab thoda sa chuk ho gayi. Message kar dena matlab kriya ban gayi. Par wo kriya gandi kriya mein nahi utar pai. Bas isliye uska koi vishesh mahatva nahi raha aur wah sahaj mein hi nasht ho jaegi. Bhagwan naam kirtan bhagwan naam smaran se bahut papon ka nash ho jaata hai. Phir ye to bahut sadharan hai par bhagwan naam ke bal se kisi utsah se sampann hokar paap na karen.

nahi to naam aparadh lagu ho jaega. Aur bahut sundar buddhi aapki kam kar rahi hai. Jo chhoti-chhoti galtyon ko bhi sant sabha mein vyakt karne ki cheshta himmat ai to koi aparadh nahi hai. Naam jap kijiye. Bahut kripa hai bhagwan ki. Aur ek shastriya siddhant hai yadi apne aparadh ko sant sabha mein vyakt kar de to tatkaal wo nasht ho jaata hai. Yah shastriya siddhant hai ki bhari sabha mein yadi apne aparadh ko vyakt kar diya jae to tatkaal nasht ho jaata hai. Bina kisi prayashchit ke nasht ho jaata hai. Radhe-Radhe maharaj ji.

maharaj ji main ek sal se apni maa ke kahne par aapko YouTube ke madhyam se sun rahi hoon. Aapki kripa se sabhi bure aacharan chhut gaye hain. Lekin aaj bhi jis jagah se mein yahan halat mein akelapan mehsus hota hai tab mere man galat sangat aur galat aacharan ki or akarshit hota hai. Aise mein naam jap aur aapki video sun leti hoon to thoda sa theek hota hai. Bat ek do bar phir se galat kar baithti hoon. Phir gilti pheel hoti hai. Rona aata hai. Maharaj ji aise mein khud ko himmat kaise du? Main buri chijon se chhutna chahti hoon.

bachna chahti hoon. Waise burai se bachne ke liye akelapan dur karne ke liye ekmatra bhagwan se prem hona hai. Pura jeevan ho gaya. Bacchapan se Baba ji bane the. Aaj tak hamara koi dost nahi hai. Koi nahi hai. Aur sambhal karke bhagwan aise jeevan vyatit karva den ki jeevan mein koi dost na rahe. Mere to Giridhar gopal dusro. Jab bhagwan se priti hone lagti hai to kisi ki avshyakta sachchi maniye. Ham jab upar se ekantik ke liye niche ate hain to ek bar hamara man jo mantr chal raha hai jo naam chal raha hai jo bhagwat chintan chal raha hai usko chhodkar main baat karun jake par lagta hai nahi samaj hit ke liye bhagwan ne bithala hai to chalo prashn uttar karte hain chalkar ke hamara man samaj mein raji nahi tumse sachchi kahte hain ekant vasi raha hai man bas itni der abhi akhiri hai jahan abhi hua thodi der ke baad ham ekant ho jaenge 24 ghante ke liye jaise ne akelapan mein lagta hai na ki aapne kaha ki akelapan hamko galat marg mein le jaata hai.

agar ham bhagwan ko apna yar mane, bhagwan ko apna pyar mane, bhagwan ko apna mitra mane to ek ghante ka sang bhi bardast nahi. Jabki satsang hai. Hamara man har samay akela rahna chahta hai. Vyakul hai. Ham saubhagya mante hain jo akele hokar bhagwan ka bhajan kar rahe hain. To akelapan hamen tab chubhega jab ham kisi vyakti vastu sthan ko apna sathi banane ki sochenge. Agar bhagwan ko banane ki sochenge to akelapan amrit lagega. Ki hamse koi na mile. Hamko koi na dekhe. To hamen lagta hai sache yar to bhagwan hi hain.

yahan to sab jhuthe yar hain. Sache pyar to bhagwan hi hain. Aaj bhi aap log pyar karte ho to bhagwan ko hi pyar karte ho. Kaise? Jaise mano patni bahut sundar hai. Aap patni se pyar karte hain. Lekin patni ke hriday se bhagwan chale gaye to aap uske sharir ko jala dete hain. To kisse pyar kar rahe the? Bhagwan se hi anjane mein bhi pyar kar rahe the. Yadi jankar bhagwan se pyar karen to aapka pyar nihal ho jae. Aapka pyar aapko avinashi bana de. Aapka pyar aapko premay kar de. Aapko kisi ki zaroorat nahi padegi.

bhagwan se itne sundar, itne karunamay, itne kripalu par hamara bhagwan se connection hona bada kathin lagta hai aur sansaar se chatpat ho jaata hai. Sansaar prakt mein dikhayee deta hai. Bhagwan dikhayee nahi dete. Isliye samasya hai. Samasya agar ek bar wo thodi si jhalak de de to apne ko avsar mil jae na ki yar hamara ab avyakt hai. Ab naam jap kar rahe hain. Man vishyon ka chintan kar raha hai to hriday mein jalan ho rahi to uska bhi swad nahi mil raha. Aur bhagwan ka rup aisa hai ki dekhne ko nahi mil raha. Samasya ye hai na ham logon ki samasya hai ki pragat mein bhog abhi bhog lo.

aapse yari karen abhi kar le lekin bhagwan se aur jabki bhagwan sabse nazdik hai par maya ka parda para hai usi parda ko hatane ke liye sadhna hai yadi ham sadhna ke dwara bhajan ke dwara wo parda hata de to hamara yar hamare hriday mein hi baitha hai kahin dur jane ki zaroorat nahi aur jab bhagwan se yari ho jati hai to phir akelapan hat jaata hai. Ye akelapan tabhi dur hoga jab bhagwan se yari ho jae. Surjeet ji Radhe-Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji prashn bahut bar aata hai ki hamne sabke saath accha karne ki koshish ki madad ki bat badle mein hamen yah mila wo mila aur nafrat hi mili ham ye kahte hain ki ham kisi ke saath achchai ka bartaav karte hain to ham badla kyon chahe bhagwan ne hamen achchai karne ka gun diya hai to ham dusron ke saath achchai karen neki kar dariya mein dal ham yah kyon dekhen ki ham usko pani pilae wah hamko thank yu bole.

wah hamen dhanyavaad bole. Wah hamare saath accha aacharan karen. Uska bura swabhav hai. Wo bura aacharan karega. Mera accha swabhav hai. Main accha aacharan karunga. To mujhe kabhi dukh nahi hoga aur ham mahan ban jaenge. Ham log isi mein gir jaate hain ki hamne iske saath accha vihaar kiya ya hamare saath bura kar raha hai. To phir ham uske saath bura vihaar ki baat sochne lagte hain. To ham apni achchai se gir jaate hain. Sochte hain bhagwan tumhen dekh lenge. Itna to aa hi jaata hai na dimaag mein. Ab ham gir gaye apni achchai se.

achchai to achchai hi rahni chahiye. Achchai mein burai. Ek bar ek kashi mein ganga ji mein bichhu bahti ja rahi thi. To ek achchai karne wale ne uthaya. Bichhu ne dank mara waise. Phir uthaya phir mara. To ek aadmi ne kaha pagal ho kya? Wo bar-bar mar raha hai dank aur aap utha rahe ho. Bole yah uska swabhav hai. Bichhu ka swabhav hai dank marna aur mera swabhav ise bachana. Main ise bachaunga aur bahar ek bar kar diya. To aise jaise galat swabhav ke log hain. Ab aap accha bartaav karenge. To wah becharey karen kya?

unke paas samgri itni hai. Wo aapki achchai ka uttar burai se denge. Aapko chahiye apni achchai bachakar unki burai ko wapas kar den. Wah burai aap par havi na ho pave. Aap par prabhav na dal pave. Tabhi achchai rahegi. Aur yah tab ho sakta hai jab ham bhagwat bhav se karen. Inme bhagwan virajman hai. To ham inse badla nahi chaenge. Bhagwan hamko denge. Hamari achchai ka phal hamen bhagwan denge. Yah kya de sakte hain? Yah burai hi de sakte hain. Isko ham prasann rahenge. Agar ham kisi vyakti se yah asha rakhen ki ham achchai karen.

wo hamare saath achchai karen to asamabhav. Yah kalyug hai. Yahan kapt chhal matlab agar aap unki aisi paristhiti mein jab koi sahyog nahi de raha, sahyog de diya aur usko pata chal gaya ki aadmi to saral swabhav ka dayavan hai to wo aapko nasht karne ki bhi soch sakta hai ki isko fansa lo. Wah yah nahi sochega ki jab koi saath nahi de raha tha tab is vyakti ne saath diya main krtjnta prakt karun nahi aaj ka samay aisa nahi aapko bewkoof mana jaega aap zyada udarta dikhange aur zyada sahyog karenge to mana jaega kam buddhi ka aadmi ji maharaj ji yahi bolte haan aur jo chhal kapt beimani karen aur bole bade praveen aadmi hain aaj sammaan kinka hota hai dambhi pakhandi chhal kapt ka aur satya se chaloge to buddhu kahe jaoge.

dusre ko zaroorat padi apni jeb se nikal ke de diya. Dusra bhukha hai apna bhojan de. Isko bhagwan aadar dete hain. To jab jisko bhagwan aadar dete hain uska koi anadar nahi kar sakta. Wo age chalkar prakashit ho jaega. Isliye aap bhagwan se judo. Insaan ki seva karo. Bhagwat bhav se badle mein usse mat chaho to aapki achchai aapko bhagwan tak pahuncha degi. Maharaj ji ham kya chahte hain ki abhi hamne accha kiya to achhche ka parinaam tatkaal accha mile bat maharaj ji ye to pakka hai na ki baad mein milega hamen pakka 1000% 1000% pakka milega jab bure karm ka phal milta hai to achchai ka phal kyon nahi milega nahi maharaj ji uska rup kya hoga wo isse accha hoga jaise hamne inko sankat vipatti mein sahyog kiya to hamare jeevan mein sankat vipatti jab kabhi aayegi to us samay bhagwan sahyog karenge aur sabse badi baat hoti hai bhagwan prasann ho jaate aur jis par bhagwan prasann ho jaate hain us par sur nar muni sab prasann ho jaate hain.

phir uska mangal hi mangal hota hai. Wo kabhi samasyaon mein nahi fas sakta. Dekho ham logon ki ek aham vritti hai jo itna to chahte hain ki bhale aap hamare badle mein kuch na karen lekin muhn par itni badhai to kar den. Itna kam sunna chahte hain. Yah bhi hata de. Yah bhi ichchha hata den. Wah bole na bole neki kar dariya mein dal mangal ho jaega tumhara. Bhagwan prasann ho gaye to sab baat ban jaegi. Maharaj ji isse santosh ho raha hai ki baad mein to accha hoga. Bahut accha hoga. Bahut accha hoga. Ye ye jo aap kar rahe ho sarkari bank mein jama ho raha hai.

jaise aap kisi ko dawa dila dete hain. Kisi ki vipatti mein sahyog kar dete hain. Kisi ko bhookh mita dete hain. Kisi ko wo bole na bole lekin malik dekh raha hai na wo hisaab aapka karega. Wo hisaab karega to bahut accha karega. Isliye hamen sansaar se nahi sansaar ke malik se jude rahna chahiye aur yah sab karya sansaar ke malik ko samarpit karna chahiye ki aapki prasannata ke liye main kar raha hoon. Badhiya baat ban jaegi. Wahi karya karm ban gaya aur wahi karya karm yog ho gaya. Jo bhagwan ko samarpit kar diya gaya wo karm yog.

karm yog bhagwan ki prapti karata hai. Aur jisko bhagwan mil gaye to phir kya durlabh rah gaya? Sab anand mil jaata hai. Kavitri doctor shubham tyagi ji Radhe-Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji isi ko ham dusre dhang se maharaj ji yah to ho gaya achchai karne wala inka prashn hai abhi dusre dhang se maharaj ji isko maharaj ji saral jo aapne abhi bataya hi maharaj ji saral sidhe vyakti ko sansaar mein kasht sahne padte hain par chalak vyakti sansaar mein sukh pata hai safal ho jaata hai nahi safal nahi hota yah galat shabd hai safal nahi hoga kabhi koi chalaki se safal ho sakta hai Ravan jaisa koi chalak purush sab vidyaon ka gyan param chalak tha kalne se badhkar koi chalak tha puri sanjivni buti jaisi hi dronagiri mein har aushadhi ko kar diya aur sadhu bankar baith gaya hanuman ji ne mar dala Ram ji ne Ravan ko mar dala raha na kok kul rohara chalak purush safal kaise ho sakta hai nahi sidha saral purush kasht pa sakta hai par safal sidha aur saral sachchai par chalne wala ho jaise dharmraj yudhishthir bilkul sidhe the yahan tak itne sidhe the ki yuddh kshetra mein kal kaun si ranneeti hai?

wah jakar Duryodhan sidhe pooch leta tha. Bhrata shri kal kal kaun sa chakravyuh rachna hai? To wo bata dete the. Isiliye bhagwan do baithak karte the. Ek yudhishthir ke saath aur ek yudhishthir se alag. Yudhishthir ke saath jo baithak ki wo chakravyuh rachna hi nahi hogi kyonki wo Duryodhan ko pata ho. Itne saral the ki wo aake pooch lete wo puri baat bata dete the. To aap dekho vinash kiska hua chatur chalak jiske saath shakuni Dushashn Karna Duryodhan ke saath itne chalak chalaki ki had the ye log to kya ye log safal hue nahi safal hue sidhe sadhe yudhishthir ji maharaj aur nash hua un chalak purushan ka to chalak purush tumhen safal hote nazar aayega lekin safal nahi ho sakta sidha sadha purush tumhen dukh bhogte nazar aayega lekin wo dukh bhogega nahi age chalkar wahi vijay ko prapt hoga.

thodi yatra aisi hai jismen sanshay ho sakta hai dekhkar ki beiman dusht chalak kapti purush unnati ko prapt ho raha hai aur dharmatma imandaar dukh ko prapt ho raha hai. Thodi der ki yatra hai lekin parinaam mein jo sahi chal raha hai uska sahi parinaam hoga aur jo galat chal raha hai uska galat parinaam hoga pakka. Aaj tak ye pura srishti ka vidhan aisa hai. Ji ji maharaj ji. Lekin transfer posting mein kai bar chalak log achchhi jagah le jaate hain aur sidhe saral logon ke transfer kahin bhi nahi nahi aisa wo dekho Duryodhan raja bana ki nahi bana?

Duryodhan raja kuch din ke liye bana ki nahi bana? Lekin 100 bhai mare gaye. Asli mein raja Hastinapur ke maharaj yudhishthir hi bane. Thodi der ke liye wah pad wo dikhayee de sakta hai ki wo beimani chalaki karke phrod karke pad ko prapt kar le. Aisa ho sakta hai. Man sakte hain. Uska punya usko saath de sakta hai. Lekin parinaam jo jeevan ka parinaam hai. Wo ye pad nahi hai. Maroge to tumhare saath pad nahi jaega. Tumhare saath rupya nahi jaega. Tumhari achchai jaegi. Tumhare satkarma jaenge.

aur yah pakki baat samjh lo ki janta murkh thodi der ke liye ban sakti hai. Lekin jab aapke acharno ka aur bhagwan aisi buddhi bhrasht kar dete hain ki khula aacharan uski gandagi samne aa jati hai. Aadmi ki izzat chali gayi to kis yog rah gaya? To yah pakka samjh lo. Accha purush aur dharmatma purush dukhi ho sakta hai. Lekin har nahi sakta. Vijay ko wahi prapt hoga. Yatra yogeshwara krishno yatra partho dhanurdhara tatr vijyo bhut dhava niti matim ye nischit baat hai jahan dharm hai jahan bhagwan hai wahan vijay jarur hogi thodi der ke liye jaise 12 varsh ka vanvas ek varsh ka agyatvass maharaj yudhishthir ko hua itne dharmatma hote hue aur ye dusht log mauj udate rahe lekin parinaam mein maharaj yudhishthir hi chakravarti samrat bane aur 100 ke 100 kurav mare gaye to isliye hamen apne man ko dharm mein hi lagana chahiye.

chahe thoda dukh mile, thoda unnati kam dikhayee de, lekin age chalkar wah unnati ko prapt hoga. Dharmatma deepak ki tarah jalta hai par wo jalta rahta hai. Aur adhami haijan ki tarah jalta hai par fyuz ho jaata hai. Wo ekdam chadha aur ekdam fyuz ho gaya. Ekdam nasht ho gaya. Dharmatma purush deepak ki lau ki tarah jalta rahta hai aur apne ghar ko prakashit kar deta hai. Isliye dharm se chalo bhagwan ka aashray lo. Bure acharno se kabhi kisi ka koi labh nahi hua. Thodi der labh hote dikhayee de lekin parinaam mein vinash hi hoga.

ashanti hi hogi. Kabhi paap karm karne wala, chhal kapt karne wala sukhi nahi ho sakta. Parinaam mein thode din to aapko lag sakta hai ki sukhi ho raha hai lekin phir aisa rahega ki mitti mein mil jaega na kok kul rovan hara samne se to bahut sundar dikhayee de rahe hain aur piche jo paap kar rahe to malik dekh raha hai uska hisaab malik karega malik ki dukan mein hai sabka jeevan khata hai pai bhar ka bhi chuk nahi hoti hamare malik se ek ek baat ka hisaab hota hai agar hamne ungli bhi uthyi hai to uska bhi hisaab hai ki kyon uthyi aur kaise uthyi paramatma sabko dekh raha hai.

isliye yah mat de jano ki koi dekh nahi raha hai. Ham achchai kar rahe hain. Hamen burai par burai milti chali ja rahi hai. Koi hamare dekh nahi paramatma dekh raha hai. Aur jo ek hai ki main chhal kapt burai se badh raha hoon to dekh lena tum nasht ho jaoge. Jaise kisi ko do aadmi hath aur pair pakar kar upar satwen khand mein le ja rahe ho. Wo soche main badi maut se ja raha hoon. Maut se le ja rahe ho. Upar se patakne ke liye le jaya ja raha hai. Aise papi aadmi yadi badhotri ko ja raha hai to samjho uska nash hone wala hai aur dharmatma purush dukh mil raha hai to samjho abhi ye unchai par chadega.

to aaj tak jo hamara itihas sakshi hai jismen mahapurush gaye hain wo marg satya hai. Wah achchai hai. Wah paropkar hai. Agar ismen chalenge to ham mahapurushon ke gati ko prapt honge. Antim gati hamari sudhar jae. Yahi manushya jeevan ka labh hai. Vah guru ji ka khasa vah guru ji ki phate vah guru ji ka khasa guru ji maharaj ji ye bhagwat ka tika kiya gita ka bhag sinh sahab bahut sundar bahut sundar dambhi jogi is prakaar hota hai dimbh jogi hai is prakaar jaise srit kahe pukar smritiyan pukar karke kahte hain sab indriy sanjam kar baithe aur man mo bikhiya mahi baithe wo dikhave mein kah raha hai ki main jitendra lekin andar se vishay chintan karta hai wo dambhi sant kaha jaata dambhi pakhandi kaha jaata hai.

aisa shastron mein varnan hai. Chitwe bikhiya hi ko jaap chintan kar raha hai vishyon ka. Jaap karta dikhayee de raha hai. Lekin lalsa vishyon ki hai. Bhog bhog jo palo aap bhogo bhog jo palo aap wo bhogon ka hi chintan karta hai. Arthat dum rahit hone ke liye hriday mein paramatma ka chintan ho. Waheguru ka chintan ho. Chintan bhagwan ka ho. Prabhu kaho parmeshvar kaho ab aaj hamara chintan hi bigad gaya hai to phir dimbh mane wo damb ho gaya wo dum ho bahut sundar tika ki so jhutha sun arjan yad wahi jhutha hai jo bhogon ka chintan karta hua apne ko jitendra dikhata hai apne ko sadhu dikhata hai aur chintan bhogon ka karta hai wah jhutha hai wo dammi hai bahut sundar tika ki hai maharaj swasthya kahta hai kripa hai aap sab ki kripa vah guru ki kripa hai Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe maharaj ji kalyan ko 99 sal ho gaye agla sal 100 sal hone wala hai to maharaj ji shatabdi mahotsav manane ka vichar hai.

bhai ji ki tha maharaj ji aapki kripa hai ki sampadn ka kam is balak ko mila hua hai bahut bahut maharaj ji aap shubhkamna ashirwad aapka maharaj bhai ji ka varad hast hai to chinta mat karo bhai ji yahi karya sampadn karke lakho ko bhagwat prapt kara diya lakho ko bhagwat prapt kara diya to ye jo sampadn ka karya hai na mahapurushon ki vani ka chayan karke aur jansadhaaran mein pahunchana yah bahut badi seva hai mano bhai ji ki aapke upar apaar kripa hai aap sadaiv ekaagr jagrit chit hokar ke aur khub kijiye bhagwat bhajan se bhi badhkar hai kyonki bhagwat bhajan mein apna kalyan hai aur ismen ek shabd bhi kisi jeev ke pale par gaya to maya par vijay prapt karke bhagwan ki prapti ki or chal padega isliye bahut sundar hai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itna to kabahu haseene ho itna to kabahu has de sunhu kripalu kishori Radhe aa

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…