ekantik vartalaap evam darshan #976 · 20 july 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai shri nath ji naad se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji prabhu kripa se sab kuch theek hai koi vishesh chinta nahi hai bat ek overthinking ki samasya bani
rahti hai aur man mein hamesha isko theek karna hai to naam jap shuru kar do jahan vyarth ke vichar ate hain jahan idhar-udhar ki kalpanaen aati hai wahan naam likhna shuru karo Radha Radha Radha bahut sundar ho jaega bahut anand aa jaega jahan over thinking hai va naam chala do jeevan sarthak ho jaega yah lok parlok sab mangalmay ho jaega theek hai naam chalao naam bahut naam hi sab kuch hai hamare har prashn ka uttar naam hai hamare jeevan ki sadhna ka phal naam hai ham sab santo ki vaniyo ka sar bata rahe naam hai jo naam jap karega wah utna hi mahan banega jitna adhik naam jap karega har samasyaon ka samadhan naam hai.
aap naam jap ke dekh lijiye jo hona hoga wah hoke rahega. Jo nahi hona wo ho hi nahi sakta. Bhagwan ke siddhant mein magan raho. Naam jap karo. Har vipatti par vijay prapt karo. Naam jap karke. Jo chahoge wo prapt ho jaega. Jo chahoge hamari baat man lo. Naam jap karo. Koi paisa nahi lagta. Koi kathin nahi. Ram Ram kahne mein kya kathin? Radha Radha kahne mein kya kathin hai? Jo chahoge tulsidas ji ke charnon mein jab Akbar badshah ne taj utar ke rakha na to goswami ji ke aansu aa gaye to baad mein santo ne pucha ki Akbar ne pranam kiya is anand ke karan aansu aa gaye bole nahi ki jab tulsi Ram ka nahi tha to mange kaur nahi milta tha aur aaj Ram ka hai to badshah pairo mein taj utar ke rakh raha hai to ye baat samjhna hai bhagwan ke naam mein bhagwan ka ho jane mein jo jeevan ka anand hai wah kisi pad mein nahi wo kitna bhi bank balance kar lo nahi kitna bhi sukh samgri ekatrit kar lo shanti nahi milegi doctor Devraj ji Jaipur se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ye manushya jeevan atyant durlabh hai aur iska param lakshya atma sakshatkar evam paramatma ki prapti hai.
iske liye kai marg hain. Jaise gyan yog, bhakti yog, karm yog tatha rajyog aadi. Ismen yah ismen dhyan dena hai. Samasth margo ka uddeshya paramatma prapti hai. To samasth margo ka mukhya sadhan kya hai? Chahe karm yog ho, chahe gyan yog ho, chahe bhakti yog ho ya jo bhi yog ashtang yog ho. Sabka mukhya sadhan kya hai? Mukhya lakshya kya hai? Yah baat samjho. Ashtang yog chittritti nirodha sayoga jo chittritti ka nirodh kar de chittritti ko rok de sansaar mein jane se aur paramatma mein sthit kar de use yogi kahte hain.
kahte hain na gyan brahm satyam jagan mithya jo is sansaar ke chintan ko chhod ke chintan shunya atma swaroop mein rati kar le wo gyani karm yogi sharir ke dwara sampurn cheshta karte hue bhagwan ka smaran karna sacchidanand bhagwan ka jo vishwup bhagwan hai sabki seva karna aur nirantar bhagwan ki smriti mein rahna bhakt bhagwan ke liye sampurn karm karna aur bhagwan ke leela gun ka gaan karte hue chittritti ka nirantar bhagwadakaar kar dena. Murari padar arpit chittritti sab yog ka phal ek hi aaya na sansaar ka chintan chhut jae aur bhagwan ka chintan ban jae.
bhagwan swayam kahte hain jo mera satat prem purvak bhajan karta hai use main buddhi yog pradan karta hoon. Bhagwan ke vachan hai. Bhajta priti purvkm dadam buddhi yogam tam mayatesha satat yukt naam bhagwan kah satat yukt hokar bhajtam priti purvkm to dadam buddhi yogam tam ye mamya prem purvak Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram Ram ham jap rahe hain aur sharir se bhagvatik cheshta jo bhagwan ke liye mangalmay ho rahi chahe grihasth ho chahe virakta ho nischit nischit bhagwat prapti ho jaegi. Ab sansaar ka chintan nahi chhuta to use bogi kahte hain.
yogi nahi kahte hain. Chahe prem yogi ho, chahe bhakti yogi ho, chahe gyan yogi ho, chahe karm yogi ho, chahe ashtang yogi ho, yogi yog ka tatparya hai sansaar ka chintan chhutna aur bhagwan ka chintan satat hona. Bhagwan ka chintan hona chahiye. Chahe wo pat shirt mein ho, chahe Baba ji ke bhash mein ho. Agar chintan bhogon ka ho raha to vishay hai. Chintan bhagwan ka ho raha hai to sant hai. Bhagwan ne jab vibhishan ji padhare to kaha tum sareekhe sant priy more dharhu deh nahi an niho re vibhishan ji ko bhagwan ne sant kaha bhagwan shri Ram ji ne kya veshbhusha thi lankadhipti Ravan ke pradhanmantri aur unke chhote bhai the bilkul rajbhash Usha lekin aacharan sant ke the sampurn chittritti bhagwan Ram mein rangi hui thi to bhagwan ne kaha tumhare jaise santo ke liye main avatar dharan karta hoon.
tum sari ke sant prem more dharo deh nahi ani re. Jab Ravan ne lat mari vibhishan ji ko to vibhishan ji ne sadhuta ka darshan karate hue kaha tum pitu saris bhale hi mohi mara par Ram bhaje hit nath tumhara tumhara mangal hoga yadi wo lat mar rahe hain wo mangal bata rahe hain to bhagwan shankar ne bhishan ji ko sant kaha Uma sant ke ai mand karat jo kare bhalai Ravan mand kar raha hai lat mar raha hai aur vibhishan ji bhalai kare yahi sant bhagwan shankar ne bhi sant kaha aur bhagwan Ram ji ne bhi sant kaha to ham yah na soche ki ham grihasth mein hai hamen bhagwat prapti nahi ho sakti ham grihasth mein ham bhagwan ko prapt nahi kar sakte aisa siddhant nahi karm karo aur bhagwan ke liye karo aur naam jap karo.
bas ho gayi bhagwat prapti. Ham karm apne liye karte hain to usmen paap karm ban jaate hain. Aur jab ham karm bhagwan ke liye karenge to wo karm nishpap hoga. Darenge ham ki ham bhagwan ko aisa paap karm kaise samarpit kar sakte hain to madartha karm bhagwat arpanam jo karm kiya jaata hai wo moksh prapti ka hetu hota hai jo apne liye kiya jaata hai wo bandhan karak hota hai to isliye bhagwat arth karm karo aur bhagwat naam jap karo bhagwat naam kirtan karo bhagwat gungan karo bhagwat leela katha suno isi se bhagwat prapti ho jaegi kya kahna ham jaise gasth jan kabhi kabbhar to bhajan kirtan kar lete hain kabhi gyan prapti ke liye pustak padhne lag jaate hain.
kabhi santo ka pravachan sun lete hain. Kabhi dhyan aapko sar baat bata di. Samjh mein aa gayi na? Prashn pura chahe jo kuch kar dalo uska uttar pehle hi aapke paas hai ki har yog ka phal hai. Sansaar ka chintan chhodkar bhagwan ke chintan mein mast hona. Badhiya marg hai. Kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utre par. Bas tum naam jap karo bhagwan ka aur sharir se nokri vyapar jo bhi aapke karya hain un karyo ko karo aur un karyo ko Krishna arpanmastu kya jaata hai man lo char ghante ham kam mein biji rahe iske baad he bhagwan ye char ghante ka samay main aapko arpit karta hoon kya jaata hai ye maha bhagwat dharm hai jo karm bhagwan ko samarpit kar diya jaata hai aur bhagwan ka smaran kiya jaata hai isi se bhagwat prapti ho jati hai ji deepak ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev kya sansarik rishte bhagvatik prem ke marg ki pathshala ho sakte hain?
sansarik rishton mein jab mahtatwakanksha aham moh matlab kam ho jae shuddh niswarth prem rah jae to kya yah ishwar prem ka ek swaroop hi hai? Niswarth prem hona to bahut kathin hai. Nahi tab hamen pata chale jab ham jisse prem karte hain hamare samne hamare prati pratikul vihaar karen. Phir bhi hamara prem surakshit rahe to hamara niswarth prem hai. Iski pariksha hai. Jaise ham aapse prem karte hain aur aap hamare pratikul chale phir bhi ham aapko prem karen. To iska matlab hamare andar swarth buddhi nahi thi.
swarth buddhi anukulta ki chah karti hai. Aur swarth na hone ke karan aapke pratikul vihaar ka hamare upar koi fark nahi para. Aur ham jyon ka tyun aapka mangal manaenge. Aapka shubh karenge. Aapke anukul chalenge. Ise pyar kahte hain. Agar yah hai to niswarth pyar hai. Agar yah nahi hai to bada mushkil hai. Sansaar mein niswarth pyar hona ye bada kathin hai. Bada kathin hai. Swarth ki kuch na kuch gandh lekar hi pyar hamara badhta hai. Rupvan gunvan dhanvan parivaar ka mera priyjan kahin na kahin koi na koi aaj nahi to kal hi hamare kam aayega.
jab yah bilkul baten na ho aur wah hamare saath pratikul vihaar karen, hamari ninda karen, hamko dukh pahunchana chahe, hamari hani kar de aur phir bhi ham pyar karen, use niswarth pyar kahte hain. Samjh mein aa raha hai aapko? Ji anshul ji Radhe Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Ji mera prashn yah hai ki agar hamen kisi samannya vyakti se prem hota hai to hamen uska chintan nirantar hota hai. Yadi hamen pata wo vyakti bhi hamse prem karta hai to ye chintan dugna ho jaata hai. Uske chintan mein hi anand prapt hone lagta hai.
maharaj ji aise hi shri ji se prem kyon nahi ho raha maharaj ji ye man itna shaitan kyon apni pahli baat pe aao ham uska chintan karte hain. Phir agar pata chal jae ki wah hamen pyar karta hai tab to ham dugna chintan ho jae. Bahut sundar sutra hai par pehle sutra mein tik jao tum. Pahla apne hi mukh se jo aapne varnan kiya uske pehle sutra mein tik jao keval anannya chintan anannya chintno mam ab aao is kasauti pe mere to Giridhar gopal dusro na koi tum apna chintan sambhalo to tumhen uttar mil jaega ki shri ji aapko kitna pyar karti kisi beech ke gavahi ki zaroorat nahi padegi wo direct aapke hriday mein pata chalne lagega ki apaar kripa ladli ji ki hai.
mere upar ladli ji ki apaar daya hai. Mujhe bahut pyar karti hain shri ji. Yah anubhav hone lagega. Chati mein anubhav hone lagega. Koi phone thodi aayega. Apne aap anubhav hone lagega. Apne aap hriday mein. Ab ham kaise batayen tumko ki jab ham prabhu se judte hain to hamare hriday mein kitna anand hota hai. Apaar anand hota hai. Ek apaar masti hoti hai. Na mrityu ka bhay na jine ki chah na koi labh na koi hani. Ek adbhut masti hoti hai. To pehle apna kshetra sambhalo. Anannya cheta satatam yoma smriti Nitysa mera anannya chintan ho.
abhi to chintan batta hai. Abhi chintan chhutta hai. Abhi chintan bhul jaate hain ham. Pehle apne kshetra ko sambhalo. Hamara ekaki prem hona chahiye. Main aapse pyar karta hoon. Aap mujhe pyar karo ya na karo. Aise bhagwan se pyar karna chahiye. Aur bhagwan to pyar samudra hai. Ham unke ansh hokar jab itna pyar karenge to hamare anshi samudra hai. Prem bhagwan prem samudra hai. Wo hamen kitna pyar karenge ye hamen anubhav mein aayega. Pehle khub naam jap karo. Bhagwan ka chintan na chhutne pave. Samjh pa rahe ho aap?
virat darshan dixit ji sir maharaj ji maharaj ji jab jabjab ham bhagwat marg mein pravritta hote hain tabtab shad dosh kam krodh mad aadi apni sari shakti se hamen parast kar dete hain maharaj ji iska haan bilkul ye ye matlab aksharsha satya hai ismen koi sanshay nahi kyonki jab tak hamen pahlvan koi dekhe ki hamare niche rahta hai tab tak wo upeksha karta rahta hai jab yah samjh mein aata hai ki hamko latiyana chahta to puri takat laga deta hai. To ham jab bhagwan ki taraf chalte hain to ye jo sad vikar hain ye hamare upar havi ho jaate hain.
bahut gande tarike se. Matlab jab ham kisi ko apne vash mein karna chahte hain to koi bhi hathkanda apnana pare. Aise hi kam krodh jab koi sadhak bhagwan ke marg mein chalta hai to pura apna prabhav dikhate hain. To inka prabhav aur bhagwan ke naam ka prabhav donon alag hai. Yah prakritik hain. Matra spasht kaute sheetoshna sukh dukhda agma pano anatyas yah do baten inme hain. Ye ane jane wale hain. Sthai tik nahi sakte. Kam krodh sthai nahi tikte. Yah ane jane wale hain. Har samay thodi bane rahte hain.
agma pano bhagwan ke vachan hai. Agma pano aur anatyas yah nashvan hai aur naam tikau chij hai. Naam avinashi hai. Naam anand samudra hai. Naam mahabal hai. Sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhe Ramu. Jab bhagwan ko adhin kar sakta hai to kam krodh kya chij hai? Jab bhagwan ko adhin kar sakta hai naam japak to kam krodh kya chij hai? Kam karo to apne aap gulam ban jaenge. Par dat ke naam hona chahiye. Keval baton se baton se adhin hone wale nahi. Dat ke naam jap karo aur sahan karo. Tas titakshas bharat agma pano anityas tas titakshas bharat.
bharat ka arjun ko sambodhan karte hue bhagwan kah rahe hain inko saho sahne se ye nasht ho jaate hain. Bhogne se ye prabal ho jaate hain. Hamara man kahta hai bhogne se shanti mil jati hai. Aur tyaga shantim bhagwan kah rahe hain inke tyag se shanti milti hai. Bhogne ki ichchha ka tyag karne se paramarth pusht hota hai. Aur bhogne ki ichchha hone par bhogne se sansaar pusht hota hai. Kam pusht hota hai. Krodh pusht hota hai. Isliye bahut savdhaan. Sabse pahli galti kam ko badhava dene ki hai. Vishyon ka dhyan karna.
vishyon ka chintan karna. Dhato vishay pusan Sanga jahan ham vishyon ka chintan karte hain to wahi bhogne ki ichchha prabal ho jati hai aur jahan ichchha prabal hui wahan kam apna tandav macha deta hai dhate vishay pusa sanste sangat sanjayte kamat krodho bhi jaate krodha samoha samoha smritima smriti bhasa Buddha na buddhi na pran sthiti wo bhrasht ho jaata hai. Isliye vishyon ka dhyan nahi bhagwan ka dhyan hona chahiye. Prabhu ka chintan hona. Agar saath-saath mein vishyon ka chintan chal raha hai to hamari hani nahi kar payega.
lekin keval vishay chintan chal raha hai wo hamari hani kar dega. Ab sadhak ko chahiye ki jaise vishay chintan chal raha hai. Ab gunon ke vashbhut antahkaran man lo kam ka chintan kar raha hai to Ram ka chintan na chhutne pave. To kam hamare upar havi nahi ho payega. Aur agar bhagwan ka chintan chhut gaya to kahe Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan yah baat pakdni chahiye hanuman ji maharaj ki hai jab sumiran bhajan chhut gaya usi samay koi na koi maya fansa legi to hamen naam nirantar japna hai punam ji Gurugram se jai jai shri Harivansh maharaj ji Radhe-Radhe shri Harivansh prabhu ji trigunnatt sthiti kya hai gungunon mein barat rahe hain is sthiti ko aur adhik spasht samjhane ki kripa karen maharaj ji.
pehle to antahkaran pavitra hona chahiye. Jaise antahkaran mein hamare char part hain. Buddhi ka kam hai nischay karna. Man ka kam hai sankalp vikalp karna. Chitt ka kam hai chintan karna. Ahankaar ka kam hai kriya ko sweekar karna. Bhogon ka bhogta banna. Yah pura department ganda hai hamara. Buddhi ne nischay kar liya hai. Sharir mein, padaarth mein, vastu mein, dhan mein, pad mein ismen sukh hai aur shanti hai. Galat nischay. Hamare man ne panch gnyanedryo ke saath sansaar ke bhogon ko bhogna hi lakshya bana liya.
galat man ka nirnay. Hamara chitt, vastu, vyakti, sthan, bhog, rupya, pad, pratishtha isi ke chintan mein laga rahta hai. Galat chintan. Hamara ahankaar dashatwa bhav mein bhagwan ke na jakar bhoktatwa bhav mein akar ke maine bhoga, main bhog sakta hoon. Main bhogung. Maine ye kiya, main karta hoon. Main kar sakta hoon. Bas inheen gandagi ke karan ham teen gunon mein phas gaye. Kabhi satogun ka chakra to shant daya karuna kabhi rajogun ka chakra to bhog vasna dhan sampatti ki cha kabhi tamogun ka chakra to nidra alasya pramad ye sthitiyan aa jati hain.
jab ham nirantar bhagwan ka naam jap karte hain. Hamara nischay ek hota hai. Ki paramatma ke siva sab asatya hai. Jaise hamara ye sharir hai. Kisi pad mein hai. Kuch bhi vyapar nokri dhan sampatti ke liye jo ham kar rahe hain jo bhi dhan sampatti prapt ho rahi hai jo bhi ham bhog bhog rahe hain ek swapnik hai abhi sharir chhuta aapka pad gaya bank balance yahi rahega parivaar chhut gaya keval aap nikal kar ke gaye aur aapke saath jo paap aur punya samgri hai wo ab iske baad hamen kaun si yoni mein dala jaega hamen kuch pata nahi ye gunon ke chakra mein hamara bar-bar janm, bar-bar maran, bar-bar maa ke garb mein jana, bar-bar karmon ke chakra mein phas ke bhog bhogna yahi chala aa raha hai anadi kal se.
ab hamen avsar mila hai manushya janm mein ki ham is chakra ko sudhar sake. Pura kaat den. Ye to koi mahapurush kaat sakta hai. Sudhar sake. Ab hamare dwara aise papa aacharan na bane jiske karan hamari durgati ho. Ham sabse achchhi yoni mein aa gaye hain. Manushya yoni. Ab hamare dwara aise aacharan na ho ki ham suar kutta bane jakar, bhut pret bane jake hamen kam se kam punah manushya sharir mile. Ham punah apne rashtr ki seva kar sake. Punah ham bhagwan ka bhajan karke sukh aur shanti ko prapt kar sake. To ye jo gunon ka chakra hai is chakra se ham tab mukt hote hain jab teen shariron se hamara rag khatm ho jaata hai.
sthul sharir, iske andar hai sukshm sharir, uske andar hai karan sharir aur sabke prakashak tatv ke rup mein atma virajman hai. Jab ham apne atma swaroop ka gyan prapt kar lete hain. Tino shariron ke rag se mukt ho jaate hain to ham trigunnatt ho jaate hain. Aur jo trigunnatt ho jaata hai uska lakshan hota hai. Wah man rahit hota hai. Wah moh rahit hota hai. Koi bhi vishay bhog samne upasthit hone par bhogne ki ichchha nahi hoti. Nirantar atma swaroop ke chintan mein magan rahta hai. Vinivritta kama samasth kamnayen uski shant ho jati hai.
man apman sukh dukh labh hani ninda stuti ismen saman ho jaata hai. Wo param pad ka adhikari hota hai. Nirman amoha jit sang dosh adhyatma nitya vinivatta kama dwaand vimukt sukh dukh sang gachchhant amodha padam tat ab trigunnatt purush gunanugun warte manushya Parth sarvsa ye kaise dekhta hai jaise ham dekh rahe hain ki aap kriya kar rahe hain lekin usmen aham nahi ki main kar raha hoon. Aise wo dekh raha hai ki ye panch bhautik sharir sukshm sharir ke dwara prerit hokar yah kriya kar raha hai.
main nahi kar raha hoon. Aur jo kriya ho rahi hai wo gunon mein ho rahi hai. Kabhi satogun mein kabhi rajogun mein kabhi tamogun mein. Wo gyani mahatma apne ko akarta jab anubhav karta hai wo moksh ko prapt ho jaata hai. Samjh paye? Kiska prashn tha? Anurag ji maharashtra se Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji he Gurudev atma ki purn shanti aur paramatma mein ekatva ki avastha ko kis sthir rup se anubhav kar sakte hain taki yah keval gyan na rah jae balki mere pratyaksh dekho jab tak indriyon ke bhogon mein sukh milta rahega aapko jab tak jagat ke har vastu vyakti sthan ko aap satya manenge tab tak kabhi bhi atma swaroop ki taraf jhaank bhi nahi sakte aap bahirmukh vritti se ham atmjyan prapt nahi kar sakte.
atmjyan prapt karne ke liye sadhna hai. Lok parlok ke bhogon se vairagya sat asat vastu ka vivek jitendri manonigrahi samadhan paramatma mein nirantar chitt ki sthiti mumukshta mein mukt ho jaun tab tak haan sadhna ke bina jaise dekho doodh mein ghee virajman hai lekin aap puri nahi bana sakte pakwan nahi bana sakte ki doodh mein pakwan bana le usi mein ghee virajman hai kaise nikaloge uski prakriya hai jisko gyan hai us prakriya ka gyan jisse hai uske paas jao aur prakriya sikho doodh ko to ubalo dahi jamao dahi ko matho makhan
nikalo ye nikal aa raha mehdi mein lalima hai lekin na patte mein hai na dal mein hai na uski chhaal mein hai aap patte ko cheer ke dekho kahin lalima dikhayee de rahi ho to uski prakriya hai usko bant bat o bant kar apne hath par rakho 30 40 minute rakhe rahne do dho do aap dekho aapka hath lal ho jaega paramatma sarvatra hai par uski prakriya hai jab tak us prakriya se sadhna nahi karoge tab tak aap us paramatma ka anubhav nahi kar sakte bilkul sarvatra virajman uske bina kisi ki satta hi nahi hai jaise ham hila dula rahe hain ye usi paramatma se ho raha hai wo paramatma antardhya ho jae to hamen murda kaha jaega usi usi paramatma ko janne ke liye sadhna karni hai.
jab tak in bhogon mein hamari priti hai, rupya paisa nana prakaar ki bhog samgri achchhi lagti hai tab tak wo paramatma gyan ke soche bina soch bhi nahi sakta. Bhogashwar prasakta naam tat chet sam vyavsayatmika buddhi samadh vidhte ye bhagwan shri Krishna ke vachan hai jisko bhog aur ishwar mein chitt aprit ho chuka hai wo samadhi arthat paramatma prapti ka lakshya hi nahi kar sakta hai agar wo aarti puja bhi karega to apni manoti purn karne ke liye apni kamnao ki chahat purn karne ke liye na ki paramatma ki prapti ke liye na ki moksh prapti ke liye isliye ham shastron ka swadhyay karen.
uchit brahmcharya ka palan karen. Uchit brahmcharya grihasth mein mahine mein ek bar masik dharm ke baad sahwas ka siddhant likha hua hai. Aur jab tak byah na ho tab tak brahmcharya se rahe. Aajkal jo gandagi fail rahi hai. Brahm gyan ki to baat jane do. Ham kah rahe hain manushyta dharan kar lo sabse achchhi baat hai. Pehle manushyta dharan brahm gyan aur moksh aur paramatma prapti ye to bahut unchai ki baat hai. Aaj manushyta nahi rah gayi hai. Raaksasi pana itna badhta ja raha hai. Pati patni ka prem surakshit nahi hai.
mata pita putr parivaar ke jo sambandh hai jinme prem paya jaata hai. Wo aaj prem nahi dikhayee de raha hai. Patni pati ko mare de rahi hai. Pati patni ko mare de raha hai. Putr maa ka apman kar raha hai. Maa putr ki hatya kar kya kya manushyta nahi rahi ja rahi hai to brahm gyan to bahut alag ki baat hai bhojan pavitra nahi hai vichar kahan se pavitra ho jaenge to pehle hamara charit pavitra ho ham kai bar satsang mein kahte hain jo apne charit ko mahatva deta hai wo adhyatmvan banta hai aur jisne charitrheen ho gaya jo apne charit ko nasht kar diya wo kuch nahi wo pashu hai are manushya jeevan bada durlabh hai shastr mein varnan durlabho manusho devo ye manushya deh prapt karne ke liye devta tarste hain.
bade bhag manush tan pava sur durlabh sad granthan gava sadhan dham moksh kar dwarara paye na je parlo isse aap paropkar kar sakte ho isse aap rashtr seva kar sakte ho aap bhagwan ko prapt kar sakte ho aap jo chaho kar sakte ho lekin yahan hamari gati keval indriyon ke bhogon mein sthit ho gayi nana prakaar ki vasnaon ki purti chahiye to kaise ham brahm gyan ki taraf badhe kaise ham atma gyan ki taraf badhe pehle ham gandagi ko dur karen. Hamara bhojan pavitra ho, hamare aacharan pavitra ho, hamare vichar pavitra ho, paropkar ki bhavna ho, sab mein bhagwat bhavna ho, tab hamara bhajan bane.
aur jab bhajan banega tabhi gyan hoga. Bina bhajan ke shastr padh lene se brahm gyan nahi hota. Dhyan rakhna. Nahi to sab brahm gyani ho jaate. Jitendrita brahmcharya itni pavitra vastu hai jisko log samjh hi nahi rahe hain. Brahmcharya se aapki smriti balvan hogi. Aapka sharir svasth rahega. To agar aap brahmachari ho to aapka vidya adhyan, aapka vichar, aapki smriti, aapki pushta, ab gande gande aacharan, ganda ganda bhojan, ganda ganda vichar dusre ko dukh pahunchane ka jo chintan hai wo hamen nasht kiye de raha hai.
isliye hamen chahe brahm gyan to chodo pehle aacharan pavitra karo. Pehle jitendra bano, manonigrahi bano. Ham jahan chahe wahan man ko laga sakte hain. Agar ham apne aap mein aa jae to aap dhol bajao. Hamen koi fark nahi padega. Aap duniya ki baten karo bas itna samjh mein aayega ki avajen aa rahi bas uska koi chintan nahi. Abhyaas yog yukt chetsa ham jahan chahe apne chitt ko laga den. Jahan chahe apne chitt ko rok den. Abhyaas yog yukt bachpan se jaise abhyaas kiya na to jahan chahe wahan aisa nahi ki ham naam jap kar rahe hain.
man sansaar mein ja raha hai. Aisa nahi. Agar ham naam jap kar rahe hain to bilkul naam mein laga hua hai. Ek minute bhi kahin idhar se udhar nahi ho sakta. Bilkul nishane par rahega har samay. To abhyaas yog yukt chetsa naam nigamina. Bhagwan kah rahe hain aisa abhyaas karo ki chitt paramatma mein sthit ho aur sansaar ki kriyaen sharir se ho rahi ho. Kriyaen sansaar ki mukh mein ho Ram naam Ram tere hath mein. Bande tu akela nahi Ram tere saath mein. Tan se karm karo vidhinana aur man rakho jahan kripa nidhana bhagwan mein man rakha hua hai sav man Krishna padarwindo aur sharir se kriyaen ho rahi hai isse bada brahm gyani kya ho sakta hai jo bhagwan ka chintan kar raha hai aur sharir se dharm purvak kriyaen kar raha hai wahi to gyani hai aaj gyan ki baten baghari jati hai badi-badi baten ki jati hai aur chintan hota hai rupaye ka chintan hota hai man pratishtha ka kya gyan kya gyan ek gyan ka vyapar kiya ja raha hai.
gyan isliye hai ki hamara dhan se rag hat jae. Hamara bhogon se rag hat jae. Hamari paap buddhi khatm ho jae. Sab mein bhagwat buddhi ho jae. Yah gyan ka phal to hamen lagta hai. Pehle ham jitendra bane, manonigrahi bane, khub naam jap karen, paropkar karen. Apne aap atmjyan ho jaega. Kyonki ham atma swaroop hain. Hamen kisi aur ka gyan nahi prapt karna. Main swayam atma hoon. Apne deh ko main man karke main apne swaroop ko bhul gaya hoon. Isliye khub naam jap karo. Pehle naam jap se hi gyan prapt hota hai.
anjali ji surat se Radhehe maharaj maharaj ji atma prem aur swarth mein kya antar hai? Kaise pata chalega ki main atma prem kar rahi hoon ya swarthi ho rahi hoon. Atma prem nishkam hota hai aur swarth deh se sambandhi. Deh sambandhi jitni bhi mange hain wah sab swarth hai aur jahan mange khatm ho jati hain use atma prem kahte hain. Atma mein koi maang nahi hoti. Brahm bhuta prasann atma na sochti na ka sama sarveshu bhute mat bhakti late param jo atma swaroop ka gyan prapt ho jaata hai.
jise atma prem prapt ho jaata hai. Wo brahm bhut hota hai. Jo brahm bhut hota hai usmen koi soch nahi rah jati. Koi chah nahi rah jati. Prasann atma akhand anand jab andar anand ka abhav hota hai tab ham bahar anand khojte hain. Jab andar ka anand mil jaata hai to bahar phir anand ki chah nahi rahti. Bahar anand hai nahi. Anand ka bhas hai. Jaise ret mein subah subah jab ganga ji kinare bhramn karte the to jo kiran padti thi to aisa lagta tha nirmal jal bhara hua hai aur ek bund pani nahi. Use mrig mareechika kahte hain.
marbhumi mein jal ka bhan hona. To aise hi sansaar mein anand ka bhan ho raha hai. Hamen lagta hai is sharir ko bhog le to ham sukhi ho jae. Lekin us sharir ko koi bhog raha hai aur wo kisi aur sharir ko dekh raha hai. Hamen lagta hai is vastu ko bhog le to ham sukhi ho jaenge. Lekin us vastu ke bhogne ke baad aur dusri vastu ki chah ho jati. Agar anand hota to tripti ho jati. Anand hai bhagwan ke naam mein aur bhagwan ke charnon mein. Dekho kevat jab bhagwan ke charan dho raha hai to ati aand umgi anurag charan saroj pakharan laga kya phal hua bhagwan Sita ji ki anguthi de rahe hain to kya kah raha hai ab kachu nath na chahiye more din dayal anugrah to ab mujhe nahi chahiye jahan chah khatm ho jati hai use atma prem kahte hain aur jahan chah rahti hai use swarth kahte hain.
wo chahe jitna mahan chah ho wo swarthi hai. Mithilesh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main aapka satsang va vartalaap teen varsh se sun rahi hoon aur Radha naam jap karti hoon. Maharaj ji mera prashn hai ki bina guru diksha ke bhagwat prapti kaise ho sakti hai? Hamare guru ji pujya hari Baba ji maharaj hain. Unhone kabhi kisi ko guru diksha nahi di. Keval nahi aap dekho guru diksha ka matlab kanthi bandhana hi keval nahi hota. Jaise ham kah rahe hain ki aap Ram Ram japo aap Radha Radha japo aap Krishna Krishna japo.
aapne wo baat man li. Aap Ram Ram japne lage. Aap Radha Radha japne to sant ke mukh se nikla mantr mulam guru vakyam jo sant ke vakya nikle unko hamne man liya ho gaya guru guru manne ka matlab hota hai ki kisi mahapurush ke mukh se hamne vachan sun liye aur apna chal diye accha aise kanthi bana lo hamari baat na mano to kya shishya ho gaye kya usse to shishya nahi mane jaoge ki aapne kanthi bana li tilak le liya mantr le liya aur man mane aacharan kar rahe ho to shishya thodi ho gaye aur lakho log aise hain jinhone kanthi nahi banai.
hamari baat man rahe hain to kya unka kalyan nahi hoga? Unka pakka kalyan hoga. To guru sambandh ka matlab hota hai kisi mahapurush ke vakyo par vishwas karke paramarth mein chal dena. Megh jaise barabar varsha karte hain. Aise sant ki kripa barabar sab par hoti hai. Bas unke vakyo ko mankar jo chal para wahi unka labh le sakta hai. Aur jo unke vakyo ki avhelna kar di wo labh nahi le sakta. Bas ye baat hai chahe kanthi banao chahe kanthi na banao punam ji Radha mandlam shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapka naam jap wala video dekha aur abhi 10-15 din pehle se main naam jap counter se shuru kar diya maharaj ji main puchna chahti hoon main ek mahtatwakankshi ladki hoon main ek din bharat desh ki rashtrapati banna chahti hoon iske liye mujhe kitna naam rahti jarmani mein hoon aap kyon nahi ban sakti wo to ham ismen is tumhareetwakanksha ko katte nahi hai.
lekin iske liye bahut bada tap chahiye. Matlab ye chhoti moti baat nahi hai. Bahut badi tapasya usne ki purv janm mein. Is janm ki nahi hai. Is janm ki tapasya nahi hai. Yah purv janm ki tapasya hai. Pure bharat mein kitne sant mahatma kitna sab ganga, yamuna, kitna Ayodhya, Mathura, kashi, kanchi, avantika puri kitni mahimashaali desh hai aur is desh ki wo rashtrapati hai to purv janm mein tapasya to aapka bhajan itna shreshth ho to rashtrapati banna to chhoti baat hai. Bhagwan ke samip pahunchkar param pad prapt ho jaata hai.
bhagwan ki prapti ho jati hai. Bhajan se kya nahi ho sakta to khub naam jap karo aur bhagwan se prarthna karte raho ki prabhu jismen hamara mangal ho wahi aap vidhan karo to na is janm mein sahi to avinashi jeev hai agle janm mein aap rashtr agle janm hi milega nahi bhagwan ki prapti to isi janm mein lekin rashtrapati ki prapti ke liye thoda sanshay hai jagat pati to mil sakta hai par ye sansarik pad hai na jagat pati chahiye jagat pati chahiye jagtapti ke to milne ke liye bilkul saral rasta hai. Ar bhav se pukaro.
bhagwan swayam gita ji mein kahte hain anannya cheta satatam yoma Nitysa tasyah sulabh Parth sulabh main uske liye sulabh hoon. Kaun? Jo mera anannya chintan karta rahta hai. Agar ham bhagwan ka nirantar naam jap kar rahe to sharir rahte ya sharir chhute mujhe nischit bhagwat prapti hogi. Isi janm mein hogi. Khub naam jap karo. Modi ji faridabad Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji hamen dusron ki sahayata karni chahiye agar wah shastraviruddha nahi hai to parantu maharaj ji kya apne karyo ko rok kar dusron ki sahayata sahi hai maharaj ji ye kah rahe hain ki main dusron ki sahayata karne chala jaata hoon to apne hi kam chhut jaate hain aur kahin na kahin wo mere par dipendent ho jaata to aise mein kya mere ko sahayata karna nahi agar apne kam se bhi shreshth avshyakta dusron ko sahayata karne ki us samay roz to aisa nahi hota roz to aisa nahi yah to kabhi-kabhi ghatna ghatti hai to hamen apna kam chhod dena chahiye.
roz to koi aisa karya nahi karta ki bhai subah se uthkar paropkar ke liye jhola tang liya ghum raha hai. Aisa nahi hota. Paropkar dhundha nahi jaata. Wo tatkalik hota hai. Jaise ham nikle ghar se aur kisi ka accident ho gaya aur badi buri dasha mein ab hamen apna kam chhod dena chahiye. Ab jaise bhi bane usko aspataal tak le jana, usko dawai karvana aur jab dekh liya ki uski vyvastha wale aa gaye to radheshyam apne kam ke liye chale jana. Apna kam us samay chhod dena chahiye jis samay vishesh avshyakta hamari ho.
ham us samay usko sahyog karen. Yahi hamari manushyta hai. Vishesh avshyakta apne aap dikhti hai ki ab iske paas koi nahi. Mujhe zaruri hai iske paas rahna to hamen apna kam chhod dena chahiye. To aapke kam se jo aapko labh milna tha usse zyada labh aapko bhagwan denge. Kyonki malik dekh raha hai na ki aap paropkar kar rahe ho to parhit saris dharm nahi bhai par pida shram nahi asmai. Yadi ham dusron ko dukh dete hain to sabse bada paap karte hain. Aur dusron ko sukh dete hain to sabse bada dharm karte hain.
sabse bada punya karte hain. Maharaj ji ye prashn main isliye kar raha hoon ki ek tanav mein hai isliye maharaj ji kah rahe hain ki school ke ek sathi ko apshabda bol diye. Phir wo us wah mansik tanav mein chale gaya aur usne apna sharir nasht kar liya maharaj ji. Ab kah rahe hain ki ab main sabse najren bachati phir rahi hoon. Unke mata-pita ya apne mata-pita ya samaj mein aisa ho gaya hai. Ab maharaj ji main kya karun? Matlab nahi waise waise chahiye ki kisi ka hriday is kot se dukhi na ho jae ki wah sus ki soch le.
to hamen bahut sambhalkar apne jeevan ko rakhna hai. Aur dusre ke jeevan ko bachana hai. Man lo aapka stri sharir hai, koi aapse aisa to ham bahut sambhal karke agar koi zyada updrav karta hai to ham kanun ka sahara le lete hain. Lekin ham koi aisa vihaar na karen. Ham koi aisa vachan na bole ki koi itna disturb ho jae ki su kar le. Wo achchhi baat nahi hai. To bhagwan se prarthna karo ki uski atma ko shanti mile. Uska mangal ho. Lekin us bachchhe ko bhi sochna chahiye jisne kiya ki koi kuch kah de to waise aajkal bahut bavare bachchhe hain.
bachchhe padhai mein na dhyan dekar achchai mein na dhyan dekar burai ki taraf badhte ja rahe hain. Naye-naye bachchhe bachchyan galat bhavanon se yukt hoti chali ja rahi hain. Yahi hai aajkal vatavran thoda badal raha hai. Jo dharm shastr inke viparit chal raha hai. Ab mata-pita becharey ro rahe hain. Yah naye bachchhe kuch samjh nahi rahe. Apni zindagi ko khilwad bana rahe hain. Wah tumhen nahi pasand karti. Koi na koi to pasand karega. Yar jao chodo. Tum use chhod do. Apni zindagi sambhalo. Usko apni zindagi jine do.
pyar ka matlab kya hota hai? Agar tum hamse santusht nahi ho to tum apni jahan santushtata hoti ho. Wo jeevan jio. Ham apna jeevan ji lenge. Ye to matlab bahut hi agyaan ki vrittiya fail rahi. Itna durlabh manushya sharir isko is tarah se mar dena is tarah se kar lena ye to bahut hani ka vishay hai. Ratika sinh ji Noida se ji ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji khud mein khushi ka ehsas nahi hota. Har wakt khushi ke liye kisi aur ka sahara dhundhti hoon. Khud mein aur khud mein agar bhagwan ka aashray le lo to har samay khush rahogi.
yahan bahari kahin khushi nahi hai. Yahan tumse jo pyar karega to tumhare shoshan ke liye karega. Tumhare poshan ke liye nahi karega. Tumse accha koi mil jaega to tumhen tyag dega. Yahan ka pyar to khushi de hi nahi sakta. Wo apni khushi ke liye aapse pyar kar raha hai to wo aapko kya khud kar payega? Jo hamari khushi ke liye hamse pyar kare wo bhagwan hai. Kyonki wo purn hai. Use kuch nahi chahiye. Wo keval meri khushi ke liye. Hamari donon kidney phayl hai. Sharir kasht mein rahta hai. Lekin ham khush rahte hain.
kyonki hamara pritam prabhu hai. Har samay prasann rahta hoon. Aandit rahta hoon. Kyon? Kyonki hamare yar bhagwan hai. Hamare pyar bhagwan hai. Hamara jeevan bhagwan hai. To agar sahi mayne mein khush hona chahte ho to shri Krishna se pyar karo. Ram ji se pyar karo to tumhara hriday prasann rahega. Dekh lena atishay prasannata bhagwan se prapt hogi. Sansaar se nahi. Brahm bhuta prasann atma jo bhagwan se jud gaya jo bhagwat chintan mein lag gaya wahi prasann rahta hai ek apaar anand aata rahta hai jab ham bhagwan se judte hain accha sansaar se jude to dekho sab jude ho chinta shok bhay udwagnata yahi prapt hoga chinta bhay shok udwignata yahi prapt hoga aap ji jaan se kisi ko pyar karo phir aap dekho aapko kitna dukh milta hai sukh nahi milta.
kitna dukh milta hai. Agar wah vyakti kisi ki taraf dekh bhi lega to aapke hriday mein jalan ho jaegi. Aapka hriday ashant ho jaega. Aur phir kahin sansaar mein to aisa hai nahi ki koi ek jagah tik sake. Wo to keval wahi hai jo dharm se chalta hai. Jo niyam se chalta hai. Aise sansaar mein koi aapko pyar karen. Mujhe nahi lagta. Pyar karne wale to sirf bhagwan hain jo hamare avgunnon ko bhi bhula karke hamse pyar karte hain. Yahan to keval gunon ka pyar hai. Jis din dekha ki tumse accha koi mil gaya phir breakup juhi ji nahi Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam.
maharaj ji raat ko sote samay mrityu ka sa dar lagta hai maharaj ji naam bhi leti hoon bat bhay ja nahi raha maharaj ji kya waise yah bhay bahut accha hai kiska hai yah bhay hamen to bahut accha lagta hai ki agar ham bhayabhit hain to bhagwan ka chintan hoga bhagwan ka aashray hoga sansaar ka aashray chhutega bhay to bahut achchhi chij hai hamen bhay accha lagta hai sansaar se bhay lagna mrityu se bhay lagna kisi par vishwas na hona koi dhokha kha kar sakta hai. To yah sab jab hamare andar aa jaega to ek jagah tik jaenge ham. Bhagwan ka vishwas bhagwan ka bal to ham nirbhay ho jaenge.
to us samay bhagwan ka chintan karte hue so kyonki bhagwan hi nirbhay karne wale hain. Aur sach achchhi baat hai. Ham iska nishedh nahi karte kyonki pata nahi so ke uthe ki na uthe. Hai na? Sone mein sote-sote hi dil phayl ho jaate hain. Pata nahi uth paye ki na uth paye. Bada jeevan sankat mein hai. Bada jeevan sankat mein pata nahi jeevan sathi kaisa mile. Badi samasyaen hain. Man lo jis jeevan sathi ko hamne apna pran priy mana wahi jeevan sathi hamare saath dhokha kar jae. Kab kahan kya ho jae kya bharosa bada apne pale hue parivaar ko chhod ke anjane parivaar mein jana to hamen lagta hai bahut pyar sammaan se ladki ko rakhna chahiye.
ladki ko chahiye ki apne pati ko bhagwat bhav se dekhe. Bada pyar sammaan karna chahiye. Aajkal ye sab baten kitabon mein likhi keval rah rahi hain. Vartman mein to dikh nahi rahi hai. Vartman bole ham shuru ho gaye hain. Haan agar ek ek sudhrega to sab sudhar jaenge. Ek ek sudhre na to sab sudhar jaenge. Aaj vatavran bahut ganda ho raha hai. To hamen lagta hai agar ham bhagwan ka naam jap karen, bhagwan ki kathayen sune, santo ka sang karen to hamari buddhi pavitra ho. In sab baton se hate aur bhagwan ka chintan karen to ham nirbhay ho sakte hain.
bhagwan ke chintan se nirbhay ho sakte hain. Dusra koi aisa nahi jo hamen nirbhay kar sake. Apne aap mein bhay hona achchhi baat hai. Kyonki yah bhay hi hamen bhagwan tak le jaega. Jo sabheet awa sharnai rakhyon tai pran ki nai bhagwan kahte hain jo bhayabhit hokar meri sharan mein aa gaya use main prannon se bhi adhik pyar karunga rakho tai pran ki nai shri hariv maharaj ji maharaj ji brahma ji ki agyaa se kardam rishi ji ne apne mannukul patni pane ke liye 10,000 varsh tapasya ki tab jakar dev devbhuti jaisi patni mili aur swayam bhagwan unke putr bane.
maharaj ji kya hamen bhi apne mannukul patni pane ke liye 10,000 ki to ayu le to maharaj ji kalyug mein kitne unhone to 10,000 varsh tapasya ki apne agar ekadshi upvas kar le yahi bahut badi baat hai haan karna chahiye bhagwan shiv ki aradhna amba ki aradhna karni chahiye jisse suyogya patni mil jae aisa nahi sansaar mein sab kuch hai ek se ek pavitra aacharan wale bachchhe hain ek se ek pavitra aacharan wali bachchhe hain to aradhna karni chahiye bhagwan shankar ki aradhna karni chahiye. Kahan se shuru karun? Kab se?
aaj se shuru kar do. Teen sal se juda hoon. Nirantar naam jap karne. Haan patni ke liye bhagwan shankar ko jal chadao. Bil patr chadao. Unhin se prarthna karo. Amba ji se prarthna karo. Wahi sundar pati ya sundar patni pradan karne mein samarth hain. Bima kara dijiye aap. Bima kara do. Wo to wo to phir yah chahte nahi hote. Usmen to jo samarpit ho gaye to ab joi joi pyaro kare soi mo bhagwan hamen jab patni dena hoga to patni de denge putr dena hoga putr de denge nahi dena hoga nahi denge ham bhagwan ke bhrose hain usmen apni sadhna ka phal nahi hamari sadhna ka phal shri bhagwan hai ab wo jo chahe so karen aise chala jaata hai bhagwan ki sharanagati mein bima ka matlab kal jo kah rahe the wo sharanagati hai purn sharanagati bhagwan ki to bhagwan joi joi pyaron kare soi moh bhave jaise jaise bhagwan jo kare wahi hamare liye
ham bhagwat ashrit rahte hain aapke liye kuch shri Radha kavchit pallabh vallari ke Radha padang vilan madhura sthal ke Radha yasho mukhar mat khagavli ke Radha vihar vipne ramda mano mein shri Radha sadhyam sadhnam yas Radha mantro Radha mantr datri cha Radha sarvam Radha jeevanam yas Radha Radha Radha vacham tas shesham navada neel manoray praphul rajeev vilochnay venu swarana mohit gokulay namostu gopi jan Vallabha kanha mai diyar mastana kanha mai diyar mastana ma god deevanon ka deevana bhai god deevanon ka deevana ai em sori ai em sori let pahchana bhai god deevanon ka deevana mai god deevanon ka deevana aur kaun the diwan deevani thi Meera deevani thi Meera piya vish ka pyala to pyale mein aaya nazar Nandlala to pyale mein aaya nazar Nandlala denjras poijan ka pi gayi paimana ka pi gayi paimana bye god deevanon ka deevana bye god deevanon ka deevana jidhar se bhi gujro aur jis raah jao jahan bhi raho samne unko pao jahan vi raho samne unko pao imposibal hai inse bach pana imosibal hai inse bach pana
ma god deevanon ka deevana kanha mai diyar mast kanha mai diyar mast ana ma god deevanon ka jai ho Baba kripa bani dves to sanyaas hai bat ham prem bhav se krishna ji haan aap sabhi bhagwan se prem karna hi to sanyaas hai ye sarwan karman sanyaas mat para anannya yog mam dhyaant upaste bhagwan kah rahe hain sanyaas ka swaroop yahi hai bhagwan ke do rup hai ek nirakaar atma swaroop aur ek sakar shiv swaroop Ram swaroop Krishna swaroop to bhagwan to bhagwan hi hai na chahe ham Ram Ram bole chahe shiv bole chahe Krishna Krishna tatv to ek hi hai.
usi tatv ki aradhna kar rahe hain. Aur is shariron se prem hatakr us tatv se prem karna hi atma prem hai. Chahe ham sakar prem karen ya nirakaar paramatma se prem karen. Shariron se prem na karen. Sansaar ke bhogon se prem na karen. Paramatma se prem karen. Isi baat ke ham sanyasi hain. Atma prem ya bhagwat prem. Prem zaruri hai. Bina prem ke to jeevan vyarth hai. Sanyasi hai bat ham to krishna to beta manti hai. Haan apne apne bhav se bhagwan ko dular kar sakte hain. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi mein ho itna to kabahu has de sunhu kripa kishori Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe avasi kripa ki gol chit
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…