dukh ka samna kaise karen? Itna bada dukh ki apna sharir bhi nasht karne ka prayas kiya
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
yamini Sharma ji Radhe-Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki dukh ka samna kaise karen ek ashant duniya mein sachchi antarik shanti naam jap se naam jap se naam jap se jitna naam jap karoge bhari se bhari dukh mein aandit rahoge agar ham tumse baat kar pa rahe hain to bhagwan ke naam ke bal se agar ham baithe hain to bhagwan ke naam ke bal se badi se badi dukh dukh ki paristhiti mein bhi yadi hamen koi bacha sakta hai to bhagwan aur bhagwan ka naam to ham khub naam jap karen ismen na to paisa lagta hai aur na pavitra apvitra ki baat hai aur na ismen yah hai ki bhai guru mantr liye bina ham jap nahi sakte yah bhi nahi hai bhagwan ka naam to koi bhi kabhi bhi kahin bhi kaisa bhi ho ahot supachto gariya yajya warte naam tabhyam jiski ki jibhya ke agr bhag par bhagwan ka naam virajman hai.
wo chandal bhi param pavitra aur jagat shreshth hai. Aho vat supchito gariyan gariyan mane sarvshresht wo sarvshresht hai. Chandal bhi jiski jibhya pe bhagwan ka naam virajman hai. Naam mein itni samarth hai ki ham har dukh ko gale lagakar muskurate hue ji sakte hain. Aur dekho manushya janm sangharshamay hai. Sangharshon se ghira hua hai. Koi bhi ho sabke jeevan mein sangharsh hai. Aap dekh lo jab bhagwan Ram ji prakt hue bhagwan hai na subah rajya abhishek hona hai aur sham ke hi 14 varsh ka vanvas ho jaata hai. Kitna bada sangharsh nange pair jahan mahlo mein chalte hain to foolon jaise komal gadde bichhae jaate hain.
wahi bhagwan nange pair vanvas 14 varsh tak tapas vesh vishesh udasi 14 baras Ram vanwasi to jab bhagwan mrityu lok mein janm liye avatar liye to sangharshamay jeevan raha chahe Ram ka ho chahe Krishna ka ho dekho bhagwan Krishna kahan prakt ho rahe hain kans ke jail mein Devki vasudev hathkadi bediyon se jakde hue hain aur aa kaun raha hai paramatma tmaa aa raha hai. Swayam putr banne paramatma aa raha hai. To hamara jeevan sangharshamay hai. Sabka aaj tum sukhi ho to kal dukh aayega. Aaj tum dukhi ho to kal sukh aayega. Sab din hot na ek saman.
aaj sukhi ho to abhiman mat karo. Aaj dukhi ho to bahut udas mat ho. Yah chakra hai. Sukhdukh ka chakra chalta rahta hai. Pal ki pal mein kya ho jae pata nahi takdeer ka bhai ajab khel Raghuvirr ka bhagwan ka bada ajab khel hai ki pal mein to abhi rajya abhishek hone ki baat ho rahi hai aur pal mein 14 varsh ka vanvas ho gaya. Pal ki pal mein kya ho jae kuch pata nahi takdeer ka ajab khel Raghuvirr ka. Isliye hamko dukh mein samarthyavan banne ke liye bhagwan ka naam jap karna chahiye. Naam jap se badi samarth milti hai. Bhagwan ke naam jap ke bal se har kasht muskurakar saha ja sakta hai.
to sab samasyaon ka samadhan bhagwan ka bhajan hai. Bhagwan ka chintan hai jo ham har dukh se lad sakte hain. Maharaj ji iska matlab samasya to keval man ka ek manyata aur uska vichar hi hai. Bas bas matlab kasht hona samasya nahi hai. Usse chintit ho jana ya age kya hoga? Haan hai. Agar hamara man bhagwan ke chintan mein to ham prasann hain. Ham sukhi hain. Ham bilkul dukhi nahi. Aur agar bhagwan ke chintan mein na hota yah chintan mein hota to are aag lag jati depression mein pahunch jaate. To aandit hone ke liye bhagwan ka naam yahi ham udaharan apna isliye dete hain ki pratyaksham kim prmanam jab pratyaksh ham tumhare samne baithe to aur kya praman den?
isliye bhagwan ka naam jap karo. Gande aacharan chodo. Paap aacharan chodo to aap aandit rahoge. Aap prasann rahoge. Aapka hriday shital rahega. Mahara ji ismen ek abhi prasang chal raha hai isliye kar raha hoon. Maharaj ek do-teen din pehle koi aae the. Wo apne shareerik rog ke karan itne dukhi ho gaye the ki ek to unka shareerik rog ka kasht jo unke sharir mein ho raha hai usko sah nahi pa rahe aur jo ghar wale aae the wo kah rahe the ki abhi matlab sharir nasht karne ke liye udit ho gaye the ki main itna jhal nahi paunga.
mere bachchon ko kya hoga inka ek to ye chinta pariviarik chinta dusri shareerik chinta tisra matlab kitna unko bol rahe hain to unko samjh hi nahi aa rahi maharaj ji baat to aise mein maharaj ji kafi sare aise bimar jan hain jo matlab apni isi baat se depression mein hain pariviarik chintaen shareerik kasht maharaj ji ismen matlab keval naam hi bhagwan ke naam se sab kuch ho jaega hamen bhojan bhi nahi milta tha kai kai din bhojan bhi nahi jis ashram mein ham rahne ke liye jaate 10 panch din man lo rakh liya aur jahan pata chalta kidney nahi phayl hai to turant nikal diye jaate kyonki kaun dawa karwaega aur aaj aap dekh rahe hain bhagwan sab apne aap dete hain to ham kah rahe hain man lo aapke do char bachchhe honge ghar hai parivaar hai agar aap bhagwan ke ashrit ho jao ki aisi vyvastha bana denge wo sab chalne lagega par bhagwan ke bhrose ho jae to bhagwan ka bharosa na ho to phir durgati pakki hai bhagwan ka bharosa hai to sab kuch chal raha hai ham bata rahe hain ki hamare paas koi pani dene wala nahi tha isi Vrindavan
mein aur aaj hamare paas dekho kitne sab naujawan bhai Baba ji bane hue nokri chode hue seva mein sab hain. Ye bhagwan ki kripa hai. Bhagwan hi to pyar kar rahe hain. Agar nahi to bhagwan na chahe na to apna beta apna pita ki seva nahi karta. Nahi jo paida kiya hua beta hai wo bhi ab budhe bap ki seva nahi karta. Yahan itne bachchhe sab aur gharo se aae hue seva kar rahe hain. Ye bhagwan ki kripa se to ham yahi sabko batte hain ki yadi naam jap karoge bhagwan ke bhrose rahoge to na jane kahan se wo vyvastha kar denge.
waise bhi kahavat hai jab malik deta hai to chhappad faad ke deta hai. Nahi deta wo kahan se kaise de de kuch pata nahi. Wo bahut kripal hai. Ham log adham hai. Lekin kya hamari prarthna aapko lagti hai ki thoda kam hai. Asli baat kya hai ki jo vidhna ne likh diya chathi rav ke ank rai ghate na til badhe rahhu re jeev nishank ab jaise sharir ko kasht bhogna hai tab bhogna hai. Aap log prarthna karenge to us prarthna ka phal yahi hai ki aise kasht mein bhi ham aapse baat kar rahe hain. Aise kasht mein bhi ham aap pravachan kar rahe hain.
aap sab ki prarthna hi hai ki mujhe wah bal deti hai ki main baithkar ke bhagwan ki charcha kar pata hoon. Bakaya kasht nasht nahi ho sakta. Agar nasht kiya ja sakta tha to mata kaushilya vidhva nahi hoti. Phir vichar karke dekh lena. Jinke putr bhagwan Ram unki maa ko vaidhavya sahna dashrath ji ka to yah sab vidhan hai jo vidhan hai wo hoke rahta hai bhogna parta hai ye sab bhogna parta aur
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…