naam jap karna chahte hain par gharwale mans-madira sab khate hain
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
lekin maharaj ji agar hamare jaise ham apne ghar mein hain aur ham ham koshish kar rahe hain naam jap ki aur hamare ghar wale mans mat sab kuch chal raha hai to ab yahi durbhagya hai ye durbhagya hai ki aisa kusang mila hai matlab ab isko ham kya kah sakte hain ki ek vyakti hai jo bhagwan ke naam ka jap karna chahta hai bhagwan lekin phir bhi bhakti ho sakti hai kyonki jab lanka mein bhakti ho sakti hai to bhakti ho sakti hai nahi ho sakti bhagwan bhagwan bhagwan vibhishan ji se kah rahe hain jim dashnan jibh bichri jaise 32 danto ke beech mein badi komal jeev rahkar apna kam chala leti hai nahi chala rahi aise hi lanka mein pura lanka nishchar nikar nivasa yahan kahan sajjan karwasa lekin wahan bhi vibhishan ji ne bhakti ki aisi bhakti ki ki bhagwan ne kaha tum sakhe sant prem aur wahan to hamen lagta hai keval vibhishan Ganesh ji aise honge jo mans na khate honge nahi to sab mans khane wale the.
madira mans ka to wahan matlab ahar hi tha. Kumbhkaran ke liye pura area jama kiya jaata tha. Jab jagta tha to area ke area ke bhainse kha jaata tha. Jaise apne pakoda khate hain na aise wo bhainse khata tha. Bhens hai, bakri hai sab matlab tabhi bhagwan brahma ji ne use chha mahine sone ka ki ek din jagah chha mahine soe nahi to puri srishti ka ahar kar jaega. Aise logon ke beech mein rahkar usne bhajan kiya to aap ghabraie mat. Wo jo jaisa karega vaisa phal payega. Aap andar hi andar Radha japiye. Andar andar isliye karen ki bahar kanthi bandhoge, tilak bandhoge to mans madira pine wale log wo aapka ho sakta hai virodh karen.
to hamen lagta hai bhakti virodh nahi. Agar koi kah raha hai kanthi na bandho to ye le. Utar ke rakh diya. Bhakti andar ka vishay hai. Bilkul sansari banke raho aur andar Radha Radha japo tumhen bhagwan ki prapti hogi. Bhajan se bhagwan ki prapti hoti hai na ki Baba ji banne se bhagwan ki prapti hoti hai na kahin bhagne se bhagwan ki prapti hoti hai. Sachchi mano aap apne ghar mein mehnat ki kamai ka jo ann pa rahe ho aur jo bhajan kar rahe ho aur kabhi bhukhe tute ko aapne bhojan kara diya. Yah sabse badhiya baat hai.
ham logon ka hisaab katta hai ki jo ham vastr pahne iska bhajan jaata hai. Jo pranam karte hain unko bhajan jaata hai. Jo bhojan dete hain unko bhajan jaata hai. Ye sab free nahi hai. Yahan sabka tax hai. Aur agar bhajan kam par gaya to hamko narak jana hai. Har har shishya dhan sokan har so guru ghor narak ma par. Accha aap is bhagvatik tax se bache hain. Mehnat ki kamai se kapde pahnte hain. Mehnat ki kamai khate hain. Aur apni mehnat ki kamai dusron ko bhi de dete hain. Gau seva, sant seva aae hue atithi ki bhikshuk ki seva to grahasti dharm bahut bada hai.
ham log grahasti dharm mein hi paida hue aur grahasti dharm se hi hamara poshan hota hai. Poshan bhi grahasti dharm se hota hai. Agar ye aap log samjhte ho ki grahasti dharm mein bhagwat prapti nahi ho sakti to aap sachchi mano sabse pehle grahasti ko bhagwat prapti hogi ki par dharm se chale ab parai bahni bitiya se gandi baten karo sharab piyo mans khao to narak jaoge chahe aur agar achhche aacharan karoge char roti apne se bacha karke gau seva sant seva mein de di to wahi tumhen bhagwat prapti karaega khub naam jap karo koi pareshani nahi kahan bhag ke jaoge aaj hamen ekant bata do kahan ekant hai kahin ekant nahi Himalay mein bhi
chale jao to wahan bhi log aajkal jo hai jahan bhi ekant samjhte ho wahi shuting shuru hai naam jap karte hain 10 minute ekant mein baith ke to usi time pe patni kuch kam bata deti hai bachchha koi baat nahi to uth ke khade ho gaye kam karne lage Radha Radha apna kam karne ke liye chal diye Radha bhagwan ko ekant mein baithkar bhajan karne se nahi milte kam karte hue bhajan karna sabse shreshth baat hai jhaddu laga rahe hain, fawda chala rahe hain, vyapar kar rahe hain, pani la rahe, kuch bhi kam kar Radha Radha Radha Radha kya jaata hai?
male chalane se bhagwan prapt hote hain. Bhagwan sumiran karne se prapt hote hain. Ham sumiran karen bhagwan ka mala ke bina sumiran karen. Gin lo bhagwan tum gin lo. Wo to sab jaan nahi rahe hain to khub bhajan karo aur grahasti mein raho aur yah jarur karo ki apni kamai ka char roti ka hissa kabhi kisi bhukhe ko khwa do kabhi kisi gay ko de do kabhi kisi bimar ko ₹1 tumhare lag jae ye badhiya paropkar paropkar ye grahasti mein jarur karna chahiye aur naam jap karna chahiye aur bhagwan ke ashrit rahna chahiye ashrit ka matlab nath sakal sampada tumhari main sevak samet sutna badhiya bhajan koi pareshani nahi.
kahin bhagne ki zaroorat nahi. Yah sochne ki zaroorat nahi ki Baba ji zyada bhajan kar lete hain. Aise kiya na aapne aise iska bhi tax hai. Hamara bhajan jaega aapke paas. Aap sashtang laut gaye na ye khushi ki baat nahi hai. Tumhare punya ja rahe hain. Agar bhajan nahi karoge to wo sashtang wala punya le gaya aur tum narak jaoge. Bahut hosh ki baat hai. Ye koi khilwad nahi. Ye jo siddh purush bhajan mein nirantar lage unhin se jagat ka kalyan hota hai. Wahi mangal hota hai. Nahi to ek ek ka tax hai. Jaise bharat sarkar ka har vastu mein tax hai na.
aise bhagwan ka tax hai. Har ek chij mein tax hai. Koi tumhare pair chu raha hai. Koi tumhari bai kar raha hai. Koi tumhen pranam kar raha hai. Koi vastr de raha hai. Koi bhojan de raha hai. Koi dhan de raha hai. Wo sab bhajan le rahe hain. Wo hamara sab bhajan le rahe hain. Koi khilwad nahi hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…