jyotish hoon, chehra dekhkar bhavishya batata hoon, par pura bhavishya batane mein jhijhak hoti hai
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main ek jyotish hoon aur chehra dekhkar bhi logon ka bhavishya batata hoon. Maharaj ji par jab kisi ka bhavishya phal unki asha ke anurup nahi hota nakaratmak hota hai to mujhe unhen sachchai batane mein jhijhak si hoti hai. Kahin mere uttar sunkar wo mayus na ho jae to maharaj ji is sthiti mein mere ko kya karna chahiye maharaj ji? Waise hamen aisa lagta hai apne bhavishya ki jankari nahi karni chahiye. Aapka karya hai isliye aap karenge. Aapke paas log aaenge lekin hamse prashn kiya hai to ham isliye kahte hain ki bhavishya ko sudharne ke liye ham prayas aaj naam jap karen sat shastron ka swadhyay karen tirth yatan karen dan punya karen dusron ka upkar karen to hamara bhavishya accha hoga apne aap accha hoga jab ham bhagwan ka naam jap karenge jaise hamare bhavishya mein buri baten ani hai wah hamare purv paap karm ke anusaar jo hamare bhagya mein likha hai usi ke anusaar aati hai.
to ham apne bhagya ko badalne ke liye manushya sharir prapt kiya hai na ki apne bhagya mein jo likha hai wahi bhogte rahe. Hamen bhagya badlna hai. Ham manushya hain. Ham bhagwan ke ansh hain. To ab ham hath ya mastak ki rekha se hamen koi batave ki kal aapke upar bhari vipatti ane wali hai to pareshaan ho jaega. Jop Krishna charan man arpit to kar hai ka navgrah rank yah grah yah nakshatra to hamen bhagwan ka bhajan karna chahiye achhche aacharan karne chahiye bhavishya janne ki koshish nahi karna chahiye mana aapko jyotish ka gyan hai to aap bhavishya bhagya dekhkar bata sakte hain lekin kuch log aise hote hain jinko kuch gyan nahi hota hai aur logon ko sankat mein dal dete hain.
unke dimaag mein waise hi depression ho raha hai logon ko aur depression mein dal dete hain ki tumhare upar to yah chadha hai vaisa hoga vaisa hoga wo aadmi par itna tak galat shiksha de dete hain aise bhi updeshak hote hain jinko gyan nahi hai aisa aisa kaise ho sakta hai is tarah ke vihaar hamen lagta hai ki jyotishcharya ya shastragya jyotish shastr hai hamara lekin ham kah rahe hain ham kal ki samasya ko kyon dekh aaj ham naam jap karenge jisse sari samasyaen khatm ho jae. Mangal bhavan amangal hari Uma sahit je japat purari bhagwan shankar jinka naam jap karte hain un bhagwan shri hari ka naam jap karen usi se mangal ho jaega aur aapko chahiye ki jo unka mangal karen jisse unka utsah badhe wo baten aap bataiye.
haan, yah jarur bata sakte hain ki agar aapko samay mile to rudra abhishek karva lijiye. Samay mile to Mrityunjay jaap kara lijiye. Yah mangalmay karya bata sakte hain. Lekin aisi koi baat na batayen jisse wo aadmi disturb ho jae jisse aadmi apni shanti kho de jisse aadmi apni wo buddhi ka control kho de aur kuch aisa kar baithe. To aise koi karya na kare jo dharm virudh ho. Jo shastr samyak ho aise karya batayen. Kisi ka bhagya jaise aapko dikhayee de raha hai ki 101 din mein koi durghatna ghategi to use bata de ki 101 din mein kuch sankat ane ki baat hai to bhagwan sankat mochan ka aap path kijiye.
aap Mrityunjay ka jap kijiye. Aap naam jap kijiye. Bahut use sahaj mein kah karke jaise ham doctor ko shiksha dete hain ki pahli doctor hi aapki mridu bhasha hai. Are kuch nahi hai. Aap jaise hazaron rogi theek ho gaye. Bhai tum nishcint raho. Wah ek aadmi relax hua kyonki dawa to baad mein kam karegi. Aap par vishwas pehle hona chahiye. To aise hi aap usko relax wali baat to bata dijiye aur jismen disturb hona hai usko chhupakar uska upay bata dijiye ki ho sake to aap aisa kar lijiye. Ho sake to aap jo aapko jankari hai to mujhe lagta hai ki ham samaj ko disturb na karen.
kyonki aise jaise man lo aap muskura rahe ho. Abhi kahe aap inka bhagya abhi bata de ki parso ghatna ghategi pata nahi ghatna ghategi ki nahi ghategi lekin tum aaj se aaj se kahla aaj se ghatna ji ek aae the kah rahe wo pandit ji ne bata diya ki matlab ye mere bete ki alp ayu hai kah rahe tab se mera itna wo ho gayi disturb maharaj ji jana to hai hi hai inko bhi jana hai unko bhi jana hai sabko jana hai bat pehle bhavishya dekh ke ya matlab bahut zyada nakaratmak vichar maharaj ji man mein bhar jaate hain maharaj ji in baton se hamen lagta hai bach bachna chahiye.
in baton se bachna chahiye. Bhagwan ka bhajan karo. Dharm se chalo. Koi tumhara bal banka nahi kar sakta. Har vipatti ko taal thok ke nikal aa jae. Bat aisa lagta hai maharaj ji ki bata denge to ham apne bhavishya ko sudhar denge. Kya sudhar lenge? Bhagya ka parivartan Vashisht jaise mahapurush. Vashisht jaise mahapurush bharat ji se kah rahe suno bharat bhavi prabal. Bilakh kaho muni hani labh jeevan maran jas apjas vidhiha khub Sita ji ki patrika janm patrika milai thi Ram ji se satanand ji ne aur idhar Vashisht ji ne kahin yog nahi tha ki 14 varsh ka vanvas hoga lekin hona tha ho gaya jo hona itne bade-bade mahapurushon ke beech mein jo hona hai use hona hi hai maharaj ye bhi nahi rok sakte janmajan janm se ham bhatkte aa rahe hain.
manushya deh paya hai. Abki bar hamen brahm prapti honi chahiye. Bhagwat prapti honi chahiye. Hamari baat ko samjho. Ham matlab uphash nahi kar rahe. Hamari baat ko samjho aur ham kisi bhi aadmi ko disturb karne ka karya na karen. Ham kisi aadmi ko sukhi karne ka karya karen. Jaise hamare paas koi aaya hai bhai hamare bhagya ke to ham uske bhagya mein agar dekh pa rahe hain ki sankat hai to ham usko upay batte hain lekin sankat nahi batte. Yar aisa kuch lagta hai ki agar aap Mrityunjay jaap kara lo to aur accha rahega.
yah nahi bata rahe ki 15 din mein aise se aisa ho jaega. Nahi aise aise nahi. Aisa agar hota to bade-bade brahm rishi hue jo sab kuch jante hain. Sab kuch jante hain. Aap aisa na samjho. Ham bachpan se Baba ji hain. Keval mantro mein hi khela hai. Jaise log gulli, danda aur cricket khelte hain na ham mantro mein hi khela hai. Shastr ka manoranjan kiya hai aur jeevan bhar jitendra aur brahmcharya ka palan karke bhagwan ke marg mein chale hain. To kidney phayl hai aur dialysis ho raha hai aur jeena mushkil hai.
karm ka yah phal hota hai. Ab ye aaj ke karm ka phal nahi ye purv ke karm ka phal hai. Aise ham mita sakte hain. Aap vichar karo itna bhajan kar to mita sakte hain to yah kisi ke bhagya ko mita sakte hain kya bhagya ko mitarne ki takat kisi ko nahi hai jo kuch likha hai wo hoke rahega hoi soi jo Ram rach rakha ko kar tark badha to as japan lage hari nama bhagwan ka naam jap karo isi mein masti hai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…