ekantik vartalaap evam darshan #995 · 8 August 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant hari bhaktan ki jai shri Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai arjun kasana ji maharaj ji kisi vastu se yadi moh zyada ho jae to use control kaise karen bhagwan se prarthna karne par jab ham kahin aasakt ho jaate hain kisi vastu vyakti vyasan sthan to hamen samarth ki zaroorat hoti hai.
to bhagwan se prarthna karen ki hamari buddhi mein aisa gyan pradan karen jisse ham mohasakta chitt ko buddhi ko hata sake aur aap mein laga sake. Isliye naam jap karen aur bhagwan se prarthna karen. Bhagwan se prarthna karne se samarth milti hai aur naam jap man buddhi ko wahan se hatne par sthan to milna chahiye. Ham koi vastu agar is se apna man hatana chahte hain to lagaen kahan? Agar is vastu se hata is vastu mein to baat to barabar ho gayi. To vastu vyakti sthan se hatakr bhagwan ke naam mein lagaen aur hatane ki samarth bhagwan se mange.
bhagwan vivek de denge, gyan de denge. Wo bade kripalu hain. Prarthna kijiye aur naam jap kijiye. Do kam kijiye jisse hamara mohashakta chitt ya man ya buddhi bhagwan mein lagkar paramanandmay ho jae. Nahi to yah moh hi bar-bar janm maran ka chakra bunta rahta hai. Hiran se moh ho gaya. Bharat ji ko to agla janm hiran ka hona para. Isliye agar hamara jis vyakti vastu sthan se moh ho jaega wo hamare naye janm ka hetu ban jaega. Jaise makan se moh ho jae to chhipkali banna padega. Usi makan mein chip ke ghumo.
dhan se moh ho jaega, sarp banna padega. Stri se moh ho jaega, stri banna padega. Hamara jahan moh ho jaega, antim samay jo chintan hoga, wahi hamen milega. Isliye ham bhagwan se pyar karen. Bhagwan ka naam jap karen. Bhagwan se prarthna karen ki hamara man sansaar mein na aasakt hokar aap mein aasakt ho. Shubham ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji kuch din to dincharya sahi chalti hai par alasya va pramad ke karan ek tar nahi chal pati dincharya kabhi na tute maharaj ji iske liye kya karna hota hai ismen brahmcharya ki kami aur ahar ki ashuddhi in do se dincharya pe fark parta hai anytha nahi parta maharaj ji jaise pitaji ka karya kahin bahar jaate hain to unke saath chale jaate hain to us hisaab se kabhi let ana hota hai to phir let sona hota hai to us wajah se ahar ahar agar pavitra rahega na to ham log jaise raat-raat bhar bhi nahi sote to apni dincharya mein kami nahi hogi.
brahmcharya ki agar vritti theek hai aur ahar shuddh hai to sona na sona usmen koi fark nahi parta. Din mein ghanta bhar so liye to ratri ki apni dincharya puri kar li. Jaise maharaj ji pitaji ka karya aisa hai ki kabhi 3:00 baje ate hain kabhi 1:00 baje ya kabhi subah ka karya hota hai to jaldi ja to hamen apni dincharya pe fark nahi padna chahiye. 3:00 baje aae ham chha ghante so liye chha ghante so liye chha ghanta sona hota na 9:00 baje uthe ab hamara 9:00 baje se prat kalin dincharya shuru ho jaegi phir maharaj ji wo man pura kah deta hai ki vah chalo ab to aaj to kam karke aae hain aaj thoda nahi nahi yahi yahi man ko theek karne ke liye brahmcharya aur bhojan hamari baat par dhyan dijiye brahmcharya aur ahar shuddh hai to aapki dincharya theek chalti rahegi aur brahmcharya theek theek nahi ahar shuddh nahi to pramad sthiti aa jaegi aur aapki dincharya badhit ho jaegi.
shilpa Sharma ji ujjain se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji naye sadhak ki aisi kya dincharya honi chahiye jisse gasta karya ke saath-saath bhakti ke marg par bhi chal sake jisse bhakti mein koi badha pahli baat naam ko pakde naam ko dusri baat vybhchar ko tyage agar parai mata bahno ki tarah ya parae purush ki taraf gandi drishti hai aur aap grahasti mein hai aur gande aacharan karte hain to bhul jao ki aap adhyatma mein chal paoge. Papvant kar sahaj subhav bhajan mor te bhav na kaun jo pe dusht hriday soi more sanukh aa soe agar aap gande aacharan karoge paap aacharan karoge to bhagwan ka bhajan nahi banega baten bhale bhagwan ki kar lo aap bhagwan ke marg mein nahi chal sakte to pehle hamko chahiye ki naam jap karke naam jap ke prabhav se papacharan ka tyag karen jo adharm aacharan hai jo paap aacharan hai unka tyag karen aur naam jap karen aur jo hamen kartavya mila hai wah bhagwan ki puja man karke karen to grahasti mein rahte hue bhi bhagwan ki prapti ho jaegi.
grahasti mein rahkar jo papacharan hote hain unke karan phir bhagwat prapti mein badha par jati hai aur grahasti mein nana prakaar ke karya hote hain. Isliye hamara man usmen batta hai to bhagwan ka bhajan nahi hota aur grahasti mein dhan ki vishesh avshyakta hoti hai. Isliye lobh badh jane ke karan ham kuch aise karm kar baithe hain jo nahi karne chahiye. Inheen ke karan bhagwan ki kripa se ham vanchit rah jaate hain. Nahi grihasth dharm sabse bada dharm hai. Dekho virakta jaise apne log hain na paida kahan hue? Grihasth ke yahan to paida hue akash se thodi paida hue.
grihasth dharmavalabi kisi na kisi grihasth se hamare mata-pita grihasth hi to the. Accha hamare vastr kahan se mil rahe hain? Grihasth se. Hamara bhojan kahan se chal raha hai? Grihasth se. Grihasth ashram pashu pakshi virakta sabka poshan karte hue agar wah bhajan kar raha hai to bahut jaldi bhagwat kripa par grahasti mein aise paap hote hain jo mante hi nahi ki hamse paap ho rahe hain. Jaise garb hatya bada bhari paap hai. Bhrun hatya bada bhari paap hai. Parai stri se vybhchar karna ya parae purush se vybhchar karna bada paap hai.
pativanchak parapti rati kar rau narak kalp sat parai 100 kalp tak raro nark mein us stri ko jana hota hai jo apne pati ka tyag karke dusre purush matlab pati ko dhokha dekar dusre purush se sambhog karti hai ya jo apni patni ko dhokha dekar dusri stri se sambhog to yah kuch jo galtiya hain agar ham in galtyon ko sudhar len aur naam jap karen aur apne kartavya ko hi puja samjhe to alag se agarbatti na jalao alag se aap aarti dhoop batti na karo to bhi bhagwan ki prasannata aapko prapt ho jaegi. Naam jap karo aur papacharan ka tyag karo to naye sadhak ka sabka jeevan mangalmay ho jaega.
prashant kumar ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab hamara man vichlit hota hai vyapar ya pariviarik ya anya karanon se to ham apne paas ganga ji ke shmashan ghat par jaate hain aur wahan chitaon ko jalte dekhte hain to man shant ho jaata hai maharaj aisa kyon kyonki us samay vairagya hota hai. Hamari buddhi jab dekhti hai ki antim nirnay yah hai tab lagta hai sab bekar hai yar. Antim nirnay jab dekhte hain isi se to mahatma Buddha ji ko vairagya hua tha. Jab unhone dekha 100 to usko rukwaya aur kaha yah kya hai?
bole manushya hi hai. Iski antim dashaen hoti hai. Bole jab antim dashaen hoti to apna jeevan barbad kyon karen? Paramatma ki prapti mein lagae. To phir unhone sanyaas lekar ke bhagwan ke chintan ke prabhav se brahm bodh sampann mahapurush ho gaye. To ye shanti milti hai. Aisa chintan karne se vairagya badhta hai. To vairagya hi shanti milti hai. Tyagantam jab ham vishyon ka chintan tyag dete hain thodi der ke liye hi sahi to hamen shanti milti hai. Jaise ham shayan mein nind mein jo hamen sukh milta hai na wo vishay chintan tyag ka hota hai.
koi chintan nahi hota. Gadh so gaye to hamari indriyan phresh ho gayi. Hamko ek nai takat mili. To aise ham jab bhagwat chintan karte hain to hamari indriyon mein bal aa jaata hai. Ham prasannata ko prapt hote hain. Par bhagwat chintan hota kahan hai? Sansaar ka chintan dekho chup baitho to sansarik chintan chal raha hai. Makdi jaise jal bunti hai. Aise man jal bun raha hai. Koi vyakti koi sthan koi vishay chalta dimaag mein nazar aayega. Bhagwan nahi aaenge. Bada vichitra khel hai. Bhagwan mein man ko lagana hota hai. Isliye naam jap karo aur jaise aise vichar hai aise vichar hamko shanti pradan karen.
kisi ko shav mein jaate hue ya kisi ki bahut rog dasha dekhkar ya mrityu dasha dekhkar isse vairagya utpann hota hai. Suneeta pradip saudha Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ham har mahine apne vyapar se kuch dharashi nikaalkar mahakaal ji ke liye nikaalte hain. To kya yah rashi mujhe mahakaal mandir mein hi bhet karni chahiye ya kisi aur satvic karya mein bhi dan swaroop haan kar sakte hain. Satvic dan mein bhi kar sakte hain. Bhagwan shiv sab rupon mein sab rupon mein virajman hai. Jaise koi bimar aadmi garib aadmi aspataal mein bharti hai.
ab dawa ke liye badi samasya hai. Agar aisi khabar milti hai to ham aur paise milakar ke bhagwan shiv ke naam se jo rakhe the wo ko de dete hain. Jaise jahan gaushalaon mein gaun ki seva ki avyvastha hai. Ham wahan gaushala mein de dete hain. Agar ham aisi vyavasthaon mein de dete hain wo shiv puja hi mani jaegi. Wo mahakaal ki hi puja mani jaegi. Wahi sab rupon mein virajman hai. Sab charachar jagat mein mata, Parvati aur bhagwan shiv hi virajman hai. Jitni stri swaroop hain, sab devi swaroop hai aur jitne purush swaroop hai sab shiv swaroop hain.
apne swaroop ko na janne ke karan hi ye gande acharno mein phas gaye. Nahi sab jeev hi shiva shiv hi jeeva. Wahi hai jo jeeva hai wahi shiva hai jo shiva hai wahi jeeva hai koi antar nahi hai sinh ji maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji yadi main kisi zyada garib ko dekhti hoon to rona aata hai aur zyada amir ko dekhti hoon to rona aata hai to maharaj ji iska karan kya hai to waise sabko chahiye dukhi ko dekhkar dukhi ho jana itni manushyta to chahiye ki kisi ke bhi dukh mein ham dukhi ho aur upay soche ki isko ham kaise sukh pahunchaen.
agar itni baat hai to ye manushyta hai. Yah raaksasi pana hai. Kisi ke sukh mein ham us dukhi hokar use dukh pradan karne ki bhavna karna aur kisi ke dukh mein ham dukhi hokar use sukh pradan ki manushyta hai. Aur sukhdukh donon se pare use bhagwan ka swaroop samjhkar seva karna yah bhagavtikta hai. Ye devatwa hai. To hamen chahiye ki kam se kam manushyatwa to le aae. To achchhi baat hai. Jo dukh mein hain unke dukh mein dravit hokar hona chahiye aur unke dukh ki nivitti ke liye upay sochna chahiye. Man vachan karm se yadi ham mein koi samarth hai to ham uski dukh nivitti jarur karen.
yah hamari manushyta hai. Manushyta ka yahi phal hai ki ham dusron ke dukh mein dukhi ho jaen aur dusron ke dukh nivitti ka upay karen. Ajay ji Radhe-dhe guru ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji main Radha Krishna ji ka naam jap karta hoon aur jap karte samay raat ko so jaata hoon aur sone ki avastha mein bhi jaap chalta rahta hai mujhe aisa abhas hota hai maharaj ji par main abhinay ki line mein hoon maharaj ji ekting karta hoon to skripta ko yad karna hota hai aur sochna bahut parta hai maharaj ji karaiktar ke liye to phir naam jap mein vyavdhan aata hai maharaj ji aise mein hamesha naam jalta chalta rahe donon hi use bhi bhagwan ki puja man lo jo abhinay kar rahe ho wah bhi bhagwan ki puja man karke ekagrata purvak apna theek abhinay karo.
chahe wah jo bhi abhinay ho wo bhagwan ne sansaar rupi rang manch par sabko abhinay de rakha hai aur aapko bhi de rakha hai. To apne abhinay ko bhagwan ki puja man lo to jaise do ghante mein abhinay kiya aur do ghante baad he shri Krishna karunamay kripamay ye do ghante ka samay jo sansaar ki leela mein gaya wo main aapko samarpit karta hoon. To karm samarpan bhi aapka bhajan ban jaega. Nahi to ekagrata to apne apne karmon mein karni hi padegi. Aur jab ekagrata karenge to naam chhut jaega. Jaise padhai hai ya office ka karya hai ya koi bhi karya jab ham ekagrata purvak karte hain to bhagwan ka naam ka vismaran ho jaata hai to us samay ham us karm ko bhi bhagwan ko samarpit kar dete hain jisse wo bhajan ban jaata hai.
Rahul Soni ji sagar jai guru ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji pichle do salo se aapka satsang aur ekantik vartalaap sun raha hoon aur aapke batae marg par chalne ka prayas kar raha hoon. Maharaj ji mere andar ek prashn hai ki guru se milna aur guru mein milna in inme kya antar hai? Guru se milna aur guru mein milna. Guru se milne ke baad guru ki agyaa ka palan karke guru ke dwara diye hue mantr aur naam mein tanmay ho jana guru se milna hai. Samjh rahe ho? Aur jab ham bhagwadakaar sthiti ko prapt ho jaate hain to jo Gurudev wahi ham jo ham wahi Gurudev wo guru mein mil gaya.
wah gurumay ho gaya. Guru aur shishya ka bhed tab tak rahta hai jab tak agyaan rahta hai. Aur jahan agyaan nivrit hua to jo Gurudev hamari atma hai wahi hamare hriday mein spurit ho jaate hain. To guru se milna aur guru mein milna. Guru mein milna ka matlab hota hai siddh purush. Aur guru se milne ka matlab hota hai sadhak. Sadhak guru se milta hai aur jab guru ke dwara bataai hui sadhna mein paripakva avastha ko prapt hota hai to guru mein mil jaata hai. Wo guru mein ho jaata hai. Wo guru swaroop ho jaata hai.
kiska prashn tha? Baat samjhe aap? Maharaj ji ek ye tha ki matlab sadhna mein is sadhna mein chal rahe hain aur apne isht Radha vallabh ji ki apne Gurudev bhagwan ki aur acharya mahaprabhu ki chavi virajman kiye. Radha naam virajman ki aur yog sarkar ki to uski upasna kar rahe hain lekin abhi diksha prapt nahi hui hai to ye aparadh to nahi ye to saubhagya hai aparadh nahi khub seva karo khub seva karo diksha ka matlab hota hai swikrati agar ham kisi sant bhagwant ke bhav ko sweekar karte to ham shishya hi hain.
usmen koi kanthi bandhe tabhi diksha mani jae aisi baat nahi hai. Unhone baat suni aur man li to unka kalyan ho raha hai. To kalyan ke liye mangal ke liye hamen sant ki baat manna avashyak hai na ki diksha lena avashyak hai. Agar hamne unki baat man li to hamare guru hain wo chahe sambandh banao diksha ka ya na banao wo guru hain usi se kalyan ho jaega. Jaise bole Radha Radha japo Ram Ram japo to aap sant ki baat man lo ho gaye. Unke mukh se nikla hua naam aapka mangal kar dega. Lata khatri ji Jaipur se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji achhche karm ka phal accha aur bure ka bura to maharaj ji karmon se mukti kaise milegi aise mein bhagwan ki sharan mein jane se sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj bhagwan kah rahe samasth adharmon ka tyag karke dharm ko sweekar kiya jaata hai aur lok dharmon ka tyag karke bhagwat dharm sweekar kiya jaata hai lok dharm mein jaise aap kisi ke pita hain kisi ke pati hain kisi ke putr putr hai sab apnep kartavya bhagwan kah rahe sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj to aham tam sarv papbhy mokshyam mascha main tumhen bandhan se mukt kar dunga samasth karm bandho se jo hamen paap aur punya ke bandhan bandhe hue hain.
yah bhagwan ki sharan mein shubh ashubh Durg vidhvans bal tab jayat jayat jag uchchare ye sansaar par vijay wahi prapt karta hai jiske shubh aur ashubh donon nasht ho jaate hain aur wo bhagwan karte hain. Isliye bhagwan ki sharan mein hokar bhagwan ki leela katha suno. Bhagwan ka naam jap karo. Sab mein bhagwat bhavna karo. Bure aacharan na karo. Isi se sab karm bandhan bhagwan ki kripa se nasht ho jaenge. Jai jai Shri man narayan ek aaj jagat guru ramanuj Swami aaj se 1000 aath varsh ho gaye honge pragat unhone do hi sandesh diya bhagwat sharanagati kainkar lakshan vilakshan moksh bhajo ramanujo vijayate yati raja to siddhant par ham sab chal rahe hain.
to aapka jaisa adesh honge maharaj ji bhagwat aashray bhagwan naam jap bas do hi baten hain bhagwat kainkar ka matlab bhagwat aashray bhagwat aashray man vachan karm se bhagwan ka aashray lena aur nirantar bhagwan ka naam jap karna bas do mein hi beda par hai do mein jaise panchhi akash mein do pankhon se udta hai aise ham paramarth ki jordar sadhna kar lenge bharosa dridh mam bhros hi harasna dridh bharosa bhagwan ka ho aur naam mantr jaap mam dridh vishwasa khub bhagwan ka naam jap ho isi se sab sadhna apne aap aa jaengi sab mangalmay jinka naam jap karte hain unki charcha sunna accha lagega unki charcha karna accha lagega unki uchchhishtamrit pana accha lagega unka charanamrit accha sab sadhna aa jaengi do baat pakar le ek dridh bhagwat aashray anya aashray nahi ek bharoso ek bal ek as vishwas ek Ram Ghanshyam hit chatak tulsidas chatak ki tek ki tarah apne isht ki adhinta sweekar kar le aur wahi kah kar aur naam jap bas isi se sab ho jaega Shrimad bhagwat mahapuran purn 18000 shlok vishram hone ke baad bhi naam sankirtana sarv naam
dukh sam aaj bahut-bahut mangal mangala anushasan svasth rahwi rahe aur sabko anand pradan karte rahie hamara mangal anushasan jai jai jai ho patit pavan dhanyavaad dhanyavaad dhanyavaad mahima sinh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main ye janna chahti hoon ki jaise subah-subah itne log darshan ke liye ate hain unmein se kuch yahan ekantik ke yahan bhajan ke liye ate hain par sab nahi aa pate to kya Baba aap un sab par kripa krite hain ya jinki or aap dekh lete hain keval unhin par daya drishti hoti hai kyonki bahut
sari bhid aap kripa hamari taraf se nahi hoti kripa hamare isht ki taraf se hoti hai. Ham jinke das hain wo kripa karte hain. Aap jinke das se milne ke liye aae jinke das ke darshan karne ke liye aae Swami hisaab karta hai. Ham to hath jode jahan jinko dekh paye dekh paye nahi wah sabko dekh rahe hain. Wo shastron netr wale hain. Sabko dekh rahe hain. Ek kshan mein anant bramhandon ko dekh sakte hain. To wah sabko dekhte hain aur wah hisaab karte hain. Har jeev ke karm ka wah hisaab karte hain. To aap jis bhavna se aae hain jo bhav kar rahe hain hamare malik, hamare ishwar, hamare prabhu wahi aapko mangal karte hain.
wahi aapko sukh pradan karenge. Hamari samarth kaha hai ki ham kripa kar sake. Ham to khud kripa ke bikhari hain. Priya lal ki kripa ke bikhari hain. Unhin ki kripa sab par hai. Unhin ki kripa se sabka mangal hota hai. Ham kisi ka mangal kar sake. Aisi ham mein samarth nahi. Ham khud jinke charnon mein apne mangal ke liye pare hain unhin mangal bhavan se sabka mangal hota hai aur wo sabko dekhte hain aur wo sab par kripa karte hain. Babli rani ji Haryana se Radhehe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji kya hamare jeevan mein ane wali anukulta evam pratikultaa mein hamare nivas sthan ka vishesh mahatva rahta hai nahi karm karm karm nivas ka koi nahi karm aisi koi bhul mein na rahe aisa nahi usmen hamara karm pradhan hota hai agar hamare karm achhche hain na to shmashan mein bhi baithkar ham parmanand mein doob jaenge agar hamare karm kharab hai to sofa mein bhi baithkar jalenge.
AC room mein bhi baithkar jalenge. To hamko karm theek karne chahiye. Karm sudharne chahiye. Ye sab bahari baton par nahi lagna chahiye. Hamare karm ka aap dekho nivas sthan kitna badhiya Vrindavan. Isse badhiya koi nivas sthan hoga. Tribhuvan mein isse badhiya koi nivas sthan hoga. Bhagwan ka dham hai. Par kya yahan dukhi log nahi hai? Kya yahan pareshaan log nahi hai? Kya yahan kam krodh ki leela nahi ho rahi? Sab ho raha hai. Sansarikta mein sab ho raha hai. To jo jaise karm ab jo keval Priya pritam ka bhajan kar rahe hain.
Priya pritam mein chitt jude unko anand ka anubhav ho raha hai. Jo sansaar mein chitt jude kam krodh lobh se pareshaan ho rahe hain. Chinta shok bhay udagnata ye unko pareshaan kar rahe hain. To hamari baat ko samjhna. Agar nivas sthan ke prabhav se dukh ya sukh ki prapti ho to Vrindavan vas se sabko parmanand ki prapti honi chahiye. Kyonki yah paramanandmay dham hai. Nahi ho rahi. Aap dekh lo baithe to raho. Tum bhi to baithe ho. Parmanand ki anubhuti hogi aapke chintan se. Aapke karm se achhche karm karoge sukh milega.
bure karm karoge dukh milega. Aaj nahi to kal milega. Aur bhajan karoge to parmanand milega. Yahan nahi jo tumhen sabse nikrisht ganda sthan bataya jae ki yah sthan wahan baith jao aur Radha Radha Radha Radha agar aapko parmanand ka anubhav na ho to mujhe batana. To sthan ka thoda sahyog to man sakte hain ki shant vatavran hai. Bhagvatik hai to hamara bhajan mein zyada ruchi hogi. Lekin sukh dukh vipatti sampatti hamare karmon ke prabhav se iska sthan se koi talluk nahi hai. Om dixit ji Radhe-Radhe guru Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki agar hamare andar bhav na ho aur keval ham vani se kahe aur ratte rahe ki shri ji mere hain.
shri ji mere hain to kya shri ji hamen bhav aa jaega. Yahan ka ek jadu hai. Tum karke dekhna. Kisi ek aise vyakti se jisse bilkul pyar nahi hai aur use roz kaho main tumhen bahut pyar karta hoon. Tumhare bina ji nahi sakta. Roz ek bar kaho aur do mahina ke baad dekho usse hat ke agar aisa lagne na lage ki main uske bina ji nahi sakta to hamen bata dena. Bhringi kida ek kide ko lakar apne mitti ke gharaune mein rakhta hai aur aise dank marta hai aur bh to jo dank marne se uski puri ekagrata us bhringi ki taraf jati hai aur bhan wo usi ka chintan karne lagta hai.
bina sharir chode anya jati ka kida bhringi kida ban jaata hai. Yadi ham yah kahte rahe ki he prabhu main aapka hoon. Jhuthi se kah raha hoon to sachchi ek din mahan bhakt ban jaega. Karke to dekhen karke to dekhen aisa maharaj ji shri ji layak matlab ham ban nahi pa rahe bhavni aur baha nahi sake shri ji loha kabhi mukut ban ke devtaon ke nahi lag pata lekin paras mani chu jae agar paras mani chu jae to loha tatkaal sona ban jae aur devtaon ke mukut par to aise hi ham loha ki tarah hain. Sant kripa bhagwant kripa se yadi naam jab chalne lage to ham paras mani rupi naam ka sparsh hote hi ham bhagwan ke yogya ho jaenge.
jo papi vyabhchari nich aacharan wale the jinse sambhshan bhi karna paap hai. Aise brahm rishi ban gaye. Aise mahatma ban gaye bhagwan ke naam ke prabhav se. To ham bhagwan ka naam jap karen. Ham mein koi yogyta nahi. Lekin naam bhagwan ki kripa se wo sab sadgun aa jaenge jisse bhagwan prasann hote hain. Ham khub naam jap karen. Nimeesh shah ji mumbai se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera yah prashn hai ki kya roz ki dincharya hi jeevan hai ki subah uthe khae piye raat tak kam kiya phir aae so gaye phir age ki zindagi ka maharaj ji kya mayne hai kya uddeshya hai yahi yahi jab vichar karoge to aapko ek rasta milega jiska naam adhyatma hai ki akhirkar kya hai kab tak jiyenge roz ki sham hamari ayu ko to nasht kar rahi ab jo kal ki sham gayi jitne minute jitne second hamari ayu mein the mainas ho gaye.
ab aaj phir mainas shuru hai. Akhirkar ham mrityu ke nazdik pahunch rahe hain. To kha ke kama karke ham ab keval apni keval ayu hi to nasht kar rahe hain. Labh kya le rahe hain? Wo labh hai bhagwan ka bhajan. Wo labh hai bhagwan ka chintan. Yadi ham aaj ek ek shwas Ram Ram bole, Radha Radha bole, Krishna Krishna bole, hari hari bole to aaj ki kamai pakki ho gayi. Ab yah tribhuvan mein kabhi nasht hone wali nahi. Trikal mein kabhi nasht hone wali nahi. Bhagwan ke naam ke prabhav se hamari durgati rukegi aur hamari sadgati hogi.
agar naam jap nahi chal raha to bilkul ayu vyarth ja rahi. Bilkul ayu vyarth ja rahi hai. Ye durlabh deh tabhi sarthak hai. Hamara ek jaise aapka chintan aaya na aise hi gadh chintan ho jae to aap bhayabhit ho jaenge. Ki akhirkar zindagi hai kya? Matlab kya raha? Iske baad mar gaye. Phir kuch yoni mein gaye phir khao jio maro bas itna hi kya yahi jeevan ka lakshya hai to jab yah baat aati hai tab adhyatma ka rasta nikalta hai mahanand purn parmanand is sharir ke rag se rahit aavagaman se mukt samasth kamnao se vinivatta kama adhyatma nitya vinivatta kama dwaand vimukt sukh dukh sang gachchhant mudha padam tat wo avyay pad param pad ko prapt ho jaata hai jo bhagwan ka naam jap karta hai bhagwan ki aradhna karta hai to bachchha bhagwan ka sumiran karna hi jeevan ki sarthakta hai nahi kahe Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi sumiran bhajan ho raha hai bahut badhiya jeevan kat raha hai chinta karne ki zaroorat nahi sumiran bhajan nahi ho raha to vyarth jeevan ja raha hai kisi bhi bhog ko kitni bhi bar bhog lo bar-bar wahi trishna aap dekho na bhoge hue bhog ko punah punah bhogne ki vritti ka naam trishna sune hue bhogon ko bhogne ki ichchha ka naam kamna hai.
to bar-bar wahi kamna trishna bas yah kha lo wo kha lo yah bhog lo wo dekh lo wo dekh to hamari ayu vyarth ja rahi hai. Radha Radha Radha kahte hue ham pa rahe hain kyonki pana padega. Jo bhagwan ne diya wo bhagwan ko arpit karke naam jap karte hue pa rahe hain. Jo bhagwan drishya dikha rahe hain. Sab mein bhagwan ki maya bhagwan ki leela dekh rahe hain. Naam jap kar rahe hain. Badhiya jeevan chal raha hai. Ayu uski nasht nahi hoti. Uski ayu sarthak hoti hai. Tabhi ham kahte hain jo log birthday manate hain un logon ko sochna chahiye ki ek varsh mainas hua.
ab hamara jeevan kitna hai mujhe pata nahi. Aur ek varsh mainas ho gaya to mujhe vichar karna chahiye ki is ek varsh mein maine kya mahatwapurn karya kiya? Ham apne desh ke liye kya kiya? Apne mata-pita ke liye kya kiya? Apne liye kya kiya? To ham utsav kis baat ka manaen? Log sharab pite hain. Log mans khate hain, party manate hain. Agyani bhav mein karte hain. Naam kirtan karo. 24 ghante bhagwan ka naam kirtan karo. Aaj janm divas agar manana hai to bhagwan ka naam kirtan karo. Gau se gaun ko hara chara dal do.
sant mahatmaon ko bhojan pawa do. Kisi garib ki bimari mein laga to tumhara janm hona sarthak rahega. Ye sharab aur mans aur ye party bhaji ye happy nahi hai. Happy to tab hai jab bhagwan se jeev juda. Dharm se juda. Ham kah rahe na 24 ghante kirtan baitha lo to ek ghante naam kirtan jarur karo. Bhagwan ka naam kirtan karo aur sabko bhojan pavao. Pavitra bhojan pavao. Ye gandi baten ganda ahar ye bahut buddhi ko bhrasht karne wala. Accha aaj badhiya aap khir, gulab jamun, puri, kachori, sabji ye sab pavao aur wo sab gandi chij na ho.
bole yar kya party hi nahi hui wo manenge party hi nahi wo aisi bhavna rakhte hain haan to aaj raaksasi bhav ki vridhi ho rahi hai pavitra ahar swayam karo dusron ko pao naam jap karo isi se jeevan sarthak hai hamara jo man hai wo is sansaar mein raji ho gaya hai sansaar ke bhog sansaar ke dhan sampatti rishte nate aur ismen raji hokar bhagwan ko bhul gaya hai. Yah sabse bada ghata hai. Kyonki roz ka roz hamari ayu khatm ho rahi. Mainas mein ho rahi hai. Ab hamari kitni ayu hai hamen pata nahi. Kis ghatna se sharir pura hoga yah bhi pata nahi.
to kya hamare manushya jeevan lene ka itna hi phal tha ki kamao khao jio kamao khao bhogo kya itna hi phal hai nahi manushya jeevan divya jeevan hai aur ismen divyta hai bhagwan ka smaran yadi hamne is second mein Radha kaha to yah second ka kaha hua Radha yah second samay sarthak ho gaya agar ham apne jeevan ke roz ke roz ke din khote chale ja rahe hain aur inme Radha Radha Krishna Krishna hari hari Ram Ram jo priy ho wo naam jap karen to hamare jeevan ki sarthakta ho jae. Kuch aise hamare karm jo hamen dukh dene ke liye ate hain unko kaun mitaega?
hamare dwara aise paap karm purv mein hue vartman mein bhi ho jaate hain. Galti ho jati hai. Usko mitane ke liye naam Radha Radha Radha Krishna Krishna jo naam priy ho to ham sabko chahiye ki ham koi galat ahar na karen. Koi galat pey padaarth na piye. Bhulkar kisi ko ham dukh na pahunchave aur naam jap karte hue jo kartavya karm mila hai koi master hai koi doctor hai koi wakil hai koi nyayadhish hai jo bhi jisko jo kartavya karm mila hai use apni puja samjhkar karen to yah hamara janm sarthak ho jaega hamara janm lena sarthak ho jaega aur nahi to phir is jeevan ka koi mahatva nahi aapka bank balance aapki padhai aapki degree aapka pad, aapke sambandhi, aapka makan sab yahi ek second mein chhut jana hai.
duniya mein lakho ka mela juda aur hansa jab jab uda to akela uda. Uska sathi koi nahi hota. Uska sathi sirf bhagwan ka naam hota hai. Isliye sab logon se prarthna hai pavitra bhojan pao, pavitra vichar wale bano, khub naam jap karo aur jitna ban sake dusron ka hit karo. Isse bhagwan prasann hote hain aur bhagwan prasann ho gaye to hamara manushya jeevan lena sarthak raha. Nahi to phir vyarth ho jaega. Ham roz mrityu ke nazdik pahunch rahe hain. 40 sal, 50 sal, 35 sal ki svase gayi. Ab kitne second ya minute ya mahina ya varsh hai hamen pata nahi.
agar ham naam jap nahi karte to yah sab yahi chhut jaega. Phir agla janm hamara hoga pashu pakshi mein. Phir ham kuch nahi kar payenge. Agar manushya jeevan mein ham kuch na kar paye prayah logon ki buddhi keval vartman bhog mein rahti hai ki aaj ka jeevan hamara sukhi hai. Kal kisne dekha hai? Nahi buddhiman wahi hai jo aaj ka bhi sukh dekhe aur kal ke sukh ki vyvastha karen. Aaj aap jis sukh mein aa gaye hain manushya jeevan mein isse bada koi sukh nahi hai. Bade bhag manush tan pava sur durlabh sad granth devtaon ke liye bhi durlabh hai.
kya ham suar kutta bankar ke sukhi ho payenge? Jab ham manushya bankar sukh na le paye to suar kutta bankar na to bhajan kar payenge na sukhi ho payenge. To anya yoniyan jo 8399 yoniyan hai unmein kisi mein itna vivek jagrit nahi jitna manushya mein jagrit hai. To ham bhagwan ka bhajan karke tirth yatan karke satkarma karke aise kamaen ki hamen phir agla manushya janm mile aur phir ham accha karya karen. Apne desh ke liye apne samaj ke liye apne vishv ke liye mangal vidhan karen to hamare manushya jeevan ki sarthakta hai.
maneesha ji Radhe Radhe Gurudev Radhe-Radhe maharaj ji maharaj jab aap svasth the tab prabhu ne koi vishesh vyvastha nahi ki. Ab jab unhone sab vyvastha kar di. Haan wahi baat hai na ki jab khane ke layak the tab khana nahi tha aur jab khane layak nahi hai to sab vyvasthaye kar di hai. Par badi kripa hai bhagwan ki ki aisi pareshaniyon ke beech mein bhi wo apni sharan mein rakhen apne charnon mein rakhen aur charcha ho jati hai bhagwan ki ye badi kripa hai. Maharaj ji kah rahe hain ki prabhu jab itna bhari praarabdh maharaj ji ho sakta to apne bachchon ki jarurton ke samay unki puri kyon nahi karte maharaj ji jab chahiye tha tabhi de dete aaj unka khel hi aise hai ki bade leela bihari hai bade leela bihari hai unki hari teri gati lakh na pare socho kisi ke yahan balak hota hai to usko suvida di jati hai aur aap jinke balak banne aa rahe hain.
unke hathkadi bediyan jakdi kans ke karagar mein vishesh kasht vishesh kasht ki paristhiti wahan kaun rahe? Akhil log bramhandon ke Swami aa rahe hain aur Devki vasudev ke hath pair mein bediyan jakdi hui hai aur dusht rakshasaon ka kada phra hai kans ka. Kisi bhi tarah ki koi suvida na di jae. Bhari kasht mein chhah bachchhe mar dale gaye. Kitna bhaykar kasht aap socho. Patthar mein patak ke navjat shishuon ki hatya kar di gayi aur dusht raja kathor shasan mein aur aa kaun rahe sakal jagat ka mangal karne wale bhagwan kans ke karagar mein prakt ho rahe Devki ji dekhkar abhi chhak nahi pa rahe hain ki wo adesh kar rahe hain hamko Gokul mein chhod jao kya itne sundar tribhuvan mohan putr ko jise ek kshan bhi alag karna pran nikal jae Devki ji ko turant vasudev ji ke god mein aur us putr ki raksha ho isliye Gokul padhra dete hain.
bada vichitra bhagwan ka leela charit hai. Isliye yah nahi kaha ja sakta ki aisa bhagwan ne kyon nahi kiya. Shayad us samay bhagwan suvida diye hote to ham ye chadhai na chadh pate. Jo sadhna ki chadhai chadhe wo chadhai na chadh pate. Phesal jaate. Bhagwan ne isiliye wo hamko kathortaen di jisse ham un kathortaon ke bal par is chadhai ko chadh paye. Aur aaj ham aap logon ke samne seva karne yogya bane ki ham apni vani ke dwara apne acharno ke dwara aapko sukhi kar pave nahi to shayad hai aisa na ho pata to bhagwan jo karte hain wo bada mangalmay karte hain.
unka har vidhan mangalmay hota hai. Maharaj ji kya har ek sadhak ke jeevan mein aisa kasht ana zaruri hai ya pratikultaa ana zaruri hai? Dekho jo jitni unchai par chadna hai to phir utni chadhai to chadhni hi padegi. To jitna jo chadh paya wah wahi sthir hai. Ab tino time badhiya bhojan mil raha ho aur aisi vyvastha sab badhiya to bhajan mein man lagega kya? Jab na khane ko na pine ko na rahne ka thikana na koi to har samay mantrakaar vritti ki bhagwan ke siva hamara koi nahi. Ek ganga maiya ka kinara aur bhagwan ka bharosa bhookh pyas se ladne ke liye sardi garmi se ladne ke liye keval chintan ko sharir se hatakr bhagwan mein lagana hai.
nirantar bhagwadakaar vritti wahi kripa aaj mili hai. Agar us samay hamen sansarik sukh milte to shayad yah labh na mil pata. To hamen lagta hai bhagwan ki vishesh kripa hai. Donon paksh mein vishesh kripa hai. Jab hamen sadhna ki chadhai par chadna tha tab suvida nahi di aur jab suvida bhogne layak le rahe to suvidhae de di. Ye kripa hai unki. Donon taraf se hamen kripa hi nazar aati hai. Aur sansarik sukh koi sansarik sukh par matlab parmanand pradan karne wale nahi. Bhagvatik sukh milna chahiye. To aaj jo ham prasann mudra mein hai yah bhagwan ki usi kripa ka phal hai.
agar wo kripa hat jae to bhrasht hone mein der na lage. Lekin bhagwan ne kripa ki. Jab ham bhrasht hone yogya the tab samgri nahi di. Jab samgri di to bhrasht hone yogya nahi rakha. Ye unki vishesh kripa hai. Bahut badi kripa hai bhagwan ki. Maharaj ji koi phir hal bata dijiye kyonki aapko sunne wale bahut sare aise bhakt jan hain jinke paas sab vaibhav hai matlab sab sukh suvidhae hain jinko hamari baat man lo dekho jo lakho ko sudharne layak banaya jaata hai na uski kadi pariksha hoti hai ki aap lakho ko lekar ke hamare paas aoge to isliye bhagwan ne hamko aisi kadi pareekshaon mein aise rakha ki tum tayyar ho aur lakho ko pakdo aur hamare paas le aao to tumko utni itni kadi pariksha nahi karni.
tumko keval hamari baat manani hai. Baat man lo to tum jahan ho wahin se bhagwat prapti ke yogya ho jaoge. Isiliye bhagwan ne itni kadi pareekshaen, aisi paristhitiyan dal dal ke pakka kiya hai ki tum hazaron ka kalyan kar sakte ho. Hazaron ko apni vani ke dwara sudhar sakte ho. To aap hamari baat man lo to aapka kalyan ho jaega. Aapka mangal ho jaega. Aapko wo tapasya aapko wo kasht nahi jhelne padenge. Jo kasht jhelkar hamne anubhav kiya wo baat tum man lo to usi se mangal ho jaega. To sab sukh suvidhaon mein rahte hue kaise bhajan?
bilkul bhajan hone lagega. Ham kah rahe hain har sukh suvida ko bhagwan ko samarpit karo. Jaise ham aise bhojan pate hain to bhojan hota hai. Lekin jab ham bhagwan ko arpit kar dete to prasad hota hai. Aur bhojan pane se punya kshay honge. Lekin prasad pane se punya badhenge. Aise nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari sampurn parivaar ko bhagwan ka arvan bhav karke aur sab mein bhagwat bhav karke naam jap karte hue ham vyapar nokri jo bhi karte hain imandari se karen to grahasti mein rahte hue ham sant hain.
grahasti mein rahte hue ham bhagwat prapt hain. Baat hoti hai acharno se chintan se wo aap bhi kar sakte ho. Accha jaise grihasth aadmi ko kam vedna ai apni patni hai apni patni se agar dusre ki patni to wahi paap ho gaya aise hi moh sataya to apne putr mein gopal ji ki bhavna karo mere bhagwan putr rup mein aae to aapka kalyan hai aapka mangal hai jaise ham charachar jagat mein bhagwat bhav kahte hain aap apne parivaar mein bhagwat bhav karke mukt ho sakte ho par bhav karna padega sab mein bhagwat bhav karna padega tan man dhan sarvasv bhagwan ka manna padega, naam jap karna padega aur koi paap aacharan na ho yah savdhani rakhni padegi.
to grihasth mein rahte hue sukh purvak bhagwan ki prapti ho jaegi. Karmaveer ji Agra se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev aapko anand kis ras mein zyada tha laga? Kashi wale mein ya Vrindavan wale mein? Ek doodh ka khoya bura peda barfi kai padaarth bante hain. Uska swad alag-alag hota hai. Lekin hota to men point doodh hi hai. Chahe shiv kaho chahe Shyam kaho wo brahm to ek hi hai na. Uska rasaswadan alag hai. Nahi doodh ki barfi ka aur khoya ko chini se bor karke aise pana aur pede alag-alag uske kai padaarth bante hain.
to swad vishesh badal sakta hai. Lekin tatv to wahi rahta hai na doodh hi. Aise hi paramatma ek hai. Chahe Ram kaho, chahe Shyam kaho, chahe shiv kaho, chahe durga kaho, chahe jo bhi kaho paramatma ek hai. Uska swad. Ab jaise naam kirtan kar rahe hain iska swad alag hai. Dhyansth hokar mantr jap rahe hain iska swad alag hai. Usi paramatma ka uski katha sun rahe hain uska swad alag hai. Uski seva kar rahe hain uska swad alag hai. Unke samne ham nach rahe hain uska swad alag hai. Lekin hai wo sab parmanand bhagwan ka hi swad.
ab bhagwan shiv ka jo swaroop hai aur bhagwan Shyam sundar ka jo swaroop hai tatv ek hai lekin donon ka alag hai. Jab ham rasaswadan ki baat karte hain to swayam bhagwan raas ras ka rasaswadan karne ke liye shiv ji gopeshwar bankar Vrindavan mein raas mein pravesh karte hain aur chunri odhkar raas ka rasaswadan karte hain. Tatv ek hai. Lekin jab swad ki baat karte hain to jo raj shiv sankaadik yachat so raj shish chadhaun kishori tere charan ki raj paun. To wahi bhagwan shankar kripa karke hamko bhejen aur kishori kishor ji ki seva mein tatv ek hai.
rasaswadan alag-alag hai. Ab jaise Shyam leela ramleela bada antar hai. Bada antar hai. Gambhir mariyada bilkul kahin itni bhi mariyada ka wahi Ram hai wahi Shyam. Prem ki ek apni mariyada hoti hai. Yah prem leela avatar leela Purushottam hai aur wo mariyada Purushottam hai. Wahan ek par leela mein bada antar hai. Prem leela swakshan prem ki ek apni mariyada hoti hai. Banseenath ki ai braj nar sunat banseero grihapti band basare darshan Madan gopal manohar manas tap nivare harshit badan bank avlokan saras madhur dhun gawe madhumay Shyam saman adhardhar mohan benu bajave raas rach van mahi Vimal kalap tar chhahi Vimal kalap tar tir supeshal shrad renwar chanda shital mand sug sugandh pawan bye ta khelt nand nanda adbhut taal mridang manohar kinkin shabd kara yamuna pulin rasik sagar raas rach van mahi dekht Madhukra keli mohe khag mrig beli mohe mrig dhenu sahit sur sundar prem magan pat chhute udgan chakit
thkit sash mandal kot Madan man lute adhar pan parirambhan ati ras anand magan saheli jai shri hit hariv rasik sach pavat dekht Madhukra keli wo adbhut ras ek gopi ek shri Krishna ek gopi ek shri Krishna wo adbhut raas ras ye kahin nahi aap dekhoge to ye inka vichitra prem ras aur unki vichitra gambhirta mariyada Purushottam bhagwan shri Ram ke pavan charit mein mariyada hi mariyada hai aur yahan prem mariyada hai to tatv ek hai jab leela ki taraf dekho to alag-alag swad hai wahi paramatma Ram bana hai wahi Shyam bana hai wahi shiv bana hai wahi durga bana hai wahi kali bana hai wahi sab rupon mein hai uske siva koi nahi hai ji Sanjay Dwivedi ji Kanpur se Radhe-Radhe maharaj ji pahalganv atankwadi hamla jo hua tha un inke putr usmen shahid ho gaye maharaj ji kah rahe hain ki ham dharm se aur shreshth karya bhi karte the par ishwar dwara aisi ghatna hui to bahut andar vyathit man hai maharaj ji isliye haan man to vyathit ho hi jaega.
bade-bade shurwon ka ho gaya. Jab Abhimanyu ji padhare to arjun ji ki halat kharab thi. Arjun ji ko bhagwan swayam samjha rahe the. Phir bhi wah vyatha ko prapt ho rahe the. Kyonki putr prem pita ke hriday mein jo hota hai jab uska putr viyog ko prapt hota hai to wahi hriday janta hai. Apne log to sahanubhuti ke vachan bol sakte hain lekin jiske hriday mein hota hai uska hriday janta hai. Par ab yah jo hona hai wo hoke rahega. To ab aap dekhiye unhin unhin jeevan ka wahan pahunchna hua jinka praarabdh sampann ho chuka tha.
ab wah nimit kuch bhi bane aaj tak kabhi kisi ne kal ko doshi nahi kaha. Marta sabko kal hai. Kal ko koi doshi. Ab kal wo vivid rup dharan kar leta hai. Accident, hart attack ya kuch bhi jo bhi lekin ayu jab puri hai to wah puri ho jati hai. To hamen lagta hai yadyapi is gyan se hriday ka dard kam nahi ho jaega. Par hamko yah gyan dharan karna padega ki jab jahan jiske jaisi ho bhavtavyata taisi bane sahai aap na ave tah pe tai tahan le jae. Ab aap dekho agar ek din na jaate ek din piche ho jaate ghatna bach jati.
lekin usi samay jahan jo kuch leela honi hai wah leela to isliye dhairyvan bano hriday ko bahu hai unki patni mahine pehle nahi ham vyathit hain ham bhi kai din tak vyathit rahe jab ye ghatnayen suni na kai din tak to aap to wahan upasthit hogi jiske ankhon ke samne to sab pathiyon ke samne to pooch pooch ke mara tha ki agar hindu hai bol iske bagal mein sab pura blood se naha rahe hain Radha Radha Radha Radha badi wo to drishya hi itna bhayanak hoga ki kaise matlab do sal se ham bhi aapke ham log bhi wo 11 logon mein se gaye the aur pehle stej pe pahunch ke aapka kripa chahe jo bhi hua saath mein ham bhi the lekin ham adhe raste se laut aae the accha nahi lag raha tha wahan jane mein to hamne kaha ham baithe hain beta tum log chal ane ab to dhairya dharan karna padega bachchha wo to lekin tumne wo drishya dekha hai wo kitna bhayanak drishya hoga jis drishya ko aapne apne samne dekha ki apna jeevan saath ham log ke dimaag se jaata hi nahi hai hamare guru raman Tiwari maharaj maharaj naam jap karte haan bilkul nahi aap charcha
kar rahe to hamara hriday vyathit ho raha hai wo kai din vyathit raha jo hamne ghatna suni kai din vyathit raha jaise aap phir taja ho gaya aap to drishya dekhe hain aur aapke to pati gaye hain putr gaye hain apne log to keval sunkar to bhi hriday vyathit ho jaata hai par aapko dhairyvan banna chahiye ham log ka man bahut nahi ab dhairyvan bano rone se ya vyathit hone se disturb hone se ab hath to kuch lagega nahi apna swasthya kamzor hoga apna chintan bigdega isliye naam jap karo dhire-dhire is dukh ko hatane
ki koshish karo. Yadyap bahut kathin hai. Ham phir bhi kah rahe hain. Bahut kathin hai. Bade-bade dharmatma purush vyathit ho gaye hain in karyo mein. Bhagwan ka 14 varsh ka jo hi vanvas ka kaikei ji ne dridh to bhagwan ke viyog mein dashrath ji ke pran chale gaye. Haan Ram ha Ram kah ke apne pran to yah putr prem jab lakshman ji ko veer ghatni shakti lagi to Ram ji chilla chilla ke ro rahe the ki agar main aisa janta to pita ke vachan na manta to bhraat prem putr prem ye aise prem hai jo hamare hriday ko vyathit kar dete par ham bhagwan se manaenge ki aap logon ko dhairya den aap logon ko sukh pradan karen aur aap sukh purvak jie aap is tarah ke chintan mein agar aur badhte chale gaye to depression mein pahunch jaenge, pareshaan ho jaenge.
ab thoda himmat kijiye, dhairya kijiye. Hamen bhi hriday se vyatha hai par ab us vyatha ki purti kar nahi sakte. Ab wo aisi koi saman to hai nahi jo bazar se la ke di ja sake. Ek bar jo akriti mit gayi wo srishti mein dobara chahe lakh koshish karo wo milne wali nahi hai. Ab wo putr milne wala nahi chahe ham tum din bhar baithkar roen ya din bhar baithkar bhagwan se prarthna karen. Ab wo dobara nahi aa sakta to hamen chahiye dhairya purvak naam jap karen aur apne hriday ko santusht karen. Bhagwan ki badi vichitra leela hai.
badi vichitra leela hai. Matlab ismen kuch kaha nahi ja sakta hai. Chunri lakar ke is bachchha ko do. Inki maa ko do aur dhairya purvak raho. Sukh purvak rahne ki cheshta karo. Abhi to tum kal ke naye bachchha ho. Pura jeevan para hua hai tumhara. Dhairya purvak raho. Radhe Radhe. Dhairya purvak rahna. Dhairya purvak rahna. Ab ye aisi ki kisi ke hath ki bas ki baat nahi hai na. Achhche se raho. Achhche se raho. Prasann rahne ki koshish karo. Guru maharaj ki kripa se ashram ki jimmedari de di panch sal pehle.
ji to seva chalti hai sant maharaj naam jap nahi ho pata hai. Abhi nahi naam jap ke bina baat banegi nahi. Dekho goswami tulsidas ji ne kaha hai Ram Ram Ram ji jo tu na japi hai to tu kahun teehu tap tap hai sab theek hai sant seva sab badhiya hai par andar ka sudhar naam jap se hoga isliye naam jap ka abhyaas karo naam jap thoda kathin hai par naam jap se hi kam banega khub naam jap karo Baba sadguru aur isht mein agad shraddha kaise naam jap se kyonki naam se hriday pavitra hota hai aur pavitra hriday hi bhagwan ya bhagwat premi mahatma ke prati hamara asakti hamari priyata jati hai.
malin hriday ki priyata sansaar aur sharir mein hoti hai aur pavitra hriday ki priyata bhagwan aur Gurudev mein hoti hai. Nirmal man jan so mohe pava. Nahi to hamen chahiye ki khub naam jap karen. Bhagwan ka jo naam priy ho naam jap karen aur ganda bhojan na karen jaise mans madira sharab ye sab aisa na karen aur naam jap karen isi se Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itna to kabahu hasi ho itna to kabahu hans dey
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…