॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar apne adhikar ke liye apne kareebi janon se hi ladna pare to kya karen?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

praveen Tiwari ji Gurugram se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji Gurudev bhagwan agar apne adhikar ke liye apne niji janon se hi ladna pare aur hamare man mein unke prati koi rosh utpann ho to kya isse Radha naam rupi dhan mein hani hogi mera swabhav aisa hai ki main kisi ko kasht mein nahi dekh sakta nahi mera nuksan nahi jaise kai jagah aisa hota hai ki rosh karna hota hai swabhavic jaise guru ko shishya par dosh darshan karte hue usko nirdosh banane ke liye kada swaroop prakt karna parta hai.

jaise mata-pita ko apne putr par uske dosh ko dekh ke use nirdosh banane ke liye use shasan mein lena hota hai. Aise adhikari ko apne anuyayiyon par jo uske niche karmchari hain unko kam mein lagane ke liye nirdosh kam karne ke liye unki pramad sthiti na badh pave isliye thoda rosh prakt karna hota hai. Par wah swang mane abhinay matra hona chahiye. Hriday se krodhit nahi hona chahiye. Thodi der ke liye abhinay hua. Abhinay hona chahiye na ki krodhit hona chahiye. Krodh ka abhinay aur krodh mein antar hai.

niji janon se maharaj ji jaise koi jamin samvad ho gaya ya ghar parivaar ka usmen maharaj ji kaise haan to krodh ka abhinay karna hoga. Maharaj ji lekin main unka dil bhi nahi dukhana chahta. Matlab main khona nahi chahta hoon logon ki chhoti si jamin ke liye ya phir kisi aur haan to chhod dena chahiye phir us vishay ko hi chhod dena chahiye ki aapko jo lena hai aap le lijiye aur shanti se rahie anand se rahie par kahin-kahin aisa hota hai ki agar zyada chhote chale jao to aapko zyada pareshaan kar sakte hain to thoda aisa bhi swaroop dikhana chahiye ki matlab mardit jeevan chala jae zyada zyada daya bhi theek nahi hoti aur zyada kathorta bhi nahi theek hoti to uchit kathorta ke saath daya ka prayog karen to accha rahta hai.

jaise aap chhod diye. Ab wah agle point par aapko kripalu nahi manenge ki aapne kripa ki. Wah agla kadam uthaenge. Phir chhod diya to phir agla kadam uthaenge. Aur jab pehle hi kadam par ki nyay purvak aap apni sampatti ko le sakte hain. Jaise pandavo ne kaha yadyapi ek kshatra rajya mujhe milna chahiye. Kyonki shart thi 12 varsh ka vanvas aur ek varsh ka agyatvass pura hone par pura chakravarti samrat pad aapko de diya jaega. To hamen pura rajya milna chahiye. Lekin yadi aap nahi dena chahte hain to ham bina yuddh kiye raji hain.

aap aadha rajya de dijiye. Hastinapur ka rajya aap kijiye aur indraprastha ka rajya ham karte hain. Unka nahi denge. Akhri mein karuna karke is baat par baat ai ki yadi wah panch ganv de denge to ham panchon bhai kam chala lenge lekin yuddh nahi karenge to Duryodhan ne kaha suji ke age ki nok par nahi dunga to kaha phir mahabharat pakka to bhagwan sandhi karane gaye the lekin bhagwan ki bhi baat nahi mani to jab aisi jahan murkhta ho wahan phir zyada daya nahi dikhani ni chahiye nahi aapka bhi parivaar hai to phir wo phir pareshani aa jaegi ek mariyada tak ek mariyada tak hai khao piyo anand se raho parivaar ke ho ya nijan ho iske baad mariyada se agar atikraman to phir aisa bhi hona chahiye ki agar ham bahut sidhe ban jaenge to bahut hani hoti hai.

ek bar ek ganv mein saanp bahut pareshaan kiye hue tha. Kobra narad ji nikle to logon ne prarthna ki. To narad ji to sarvagya hain. Sab bhashaon ka gyan hai. Unhone saanp se kaha aaj ke baad is ganv ke kisi bhi vyakti ko katoge nahi. Agyaa man li narad ji ki. To do din baad laut ke aae to saanp ghyal para tha. To unhone kaha are tumhari ye dasha kaise hui? Bole aapne karwai. Bole kyon? Bole aapne kaha katna nahi to jo aaya eenta mar ke chala jaata hai. Bole phuskarne ko thodi mana kiya tha.

kato mati phuskar maro lambi to bas kato mat phuskar maro. Phuskarne marogey to tumhen ghyal kar denge log. Haan phuskar ae agla kadam nahi to bas phir theek ho jaega. Phuskar ki zaroorat hoti hai. Agar phuskar ki zaroorat na ho to aapko log bewkoof manenge. Aapko log pagal manenge. Aapko aapki dayaluta kripaluta ko aapko buddhu manenge log. Sansaar ka aisa kshetra hai. Ismen zyada kripaluta aur dayaluta nahi dikhayee jati. Ismen dharm purvak nirnay kiya jaata hai. Haan kahin aise theek hai. Aap le jao khao piyo.

lekin agla kadam agar unka badhe to phir uska virodh hona chahiye kyonki parivaar hai. Agar aise hoga to to bahut hi vichitra hai. Wo chahte hain hamara virodh karo. To jo aise chahne wali kriya karen to phir unko phuskar wali wahi narad ji wali baat dikha deni chahiye ki phuskar karna chahiye. Andar se krodh nahi karna chahiye. Dekho bhagwan ne bchane ki koshish ki ki donon bhaion mein yuddh na ho. Donon bhai hi to hain. Pandu aur Dhritarashtra ke hi to putr hain. To bilkul ek ghar hi to hai. Lekin phir vinash hua.

pure kaurvon ka vinash hua. To agar hamen zaroorat pare to daya karna chahiye aur zaroorat pare to kathorta bhi karni chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…