agar ham akaal purush ki santan hain to unhone hamen maya mein kyon bheja ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
eeshu sinh ji ludhiyana se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapki kripa se jab se maine waheguru ji ka naam japna aur aapka satsang sunna shuru kiya hai mere jeevan ka pura drishtikon hi badal gaya hai. Ab main apne bhitar udne wale vicharon ko dekhta hoon. Mujhe gyan hai ki naam jap mujhe shuddh kar raha hai aur naam ki kripa se mujhe apni kamia bhi dikhayee dene lagi hain. Jiski wajah se yah prashn utha ki maharaj ji kripya mujhe batayen ki ye vichar meri sachchi chhipi hui vastvikata hai jo hamesha mere saath the ya keval kshnik bhram hai jo ab naam ke madhyam se shuddh ho rahe hain.
maharaj ji agar ham akaal purush ke santan hai to ham shuddh se hi shuru se hi maya ki or kyon akarshit hote hain? Unki kyonki akaal purush ki hi to maya hai kisi aur ke mam maya bhagwan likha hai na mam maya vittaya meri maya to wahi jo param purush paramatma ka ansh mam ansho main bhagwan ka ansh hoon to mam maya jaise ham bhagwan ke aise maya bhi bhagwan ki hai. Bhagwan ki sharan hokar ham maya se bach sakte hain. Lekin bhagwan ka vismaran hua to maya phir do hi kshetra hain. Ek taraf bhagwan, ek taraf maya aur maya ka matlab koi rup nahi hai uska.
koi rup nahi ki ye maya ye maya. Yahi to ascharya hai usko bata ke thodi aati hai ki dekho main maya aa rahi hoon. Phas jaata hai. Makdi ke jal mein jaise wah bunti hai usi mein phas jaata hai. Apne aap se bunta hai. Apne aap mein phas jaata hai. Wo satya hai paramatma. Ham uski taraf chale to dhire-dhire hamari asat vasnae nasht ho jaegi. Bas khas baat ham bar-bar phir yahi kah rahe hain ki gurujanon ki agyaa aur shastr agyaa agar iska palan nahi hua to bahut accha bhajan sadhan karne par bhi sadhak phas jaega.
sadhak phas jaega. Bilkul kisi se moh na karen. Kisi ko apna na mane. Sabko bhagwat swaroop mane aur shastr agyaa chale to nikal jaega. Nahi kai bar galti sang dosh mein ho jati hai. Kai bar galti aise ho jati hai ki use ham galti nahi mante. Adhik apnapan ho jane ke karan hamse galti ho jati hai. Kuch aise aparadh hain, kuch aisi galtiya hain jo badi safai se hamare andar pravesh karti hain aur ham jaan nahi pate aur hamen gira deti hain. Kuch galtiya itni ki galti galti dikhayee deti hai aur kuch galtiya aisi hai jo aise pravesh karti hai ki wah galti galti hi nahi samjh mein aati aur jab uska parinaam aata hai tab galat aata tab lagta hai ki galti ho gayi to yah jo bhagwan ki dhurant maya hai ye keval waheguru ki agyaa par chalne par guru vani par ham shravan karen kathan karen, chintan karen aur usi par chale to phir maya fansa nahi paegi.
nahi to bada sukshm vishay hai. Samjh mein nahi aata. Ab wo phaaste phaaste pura chintan usi mein chala gaya ki apne log hain jaise mrig mein to apne log apnapan hote hi wo gaya. Vishv mein kahin bhi kisi se itna bhi apnapan na ho. Agar kisi se ho to keval bhagwan ke bhav se ho to bach sakta hai. Nahi to bahut aiseise dar lagta hai. Jaise hriday aise darta hai maya se. Darta hai ki pata nahi kahan se jaise hamen vishaile kund mein chhod diya jae. Pata nahi kahan kaun si sans nak se chali jae ki muhn se chala jae hamari mrityu hamare paramarth ki mrityu ho jae.
bahut vichitra bhagwan ka khel hai. Wo jo badi sukshta se dekho tab samjh mein aata hai. Accha jo paramarth pe nahi chal rahe unko koi dikkat nahi. Kyonki gire pare hain wo kya girenge? Jo chal rahe hain dikkat wahan hai. Chalne walon mein dikkat hoti hai. To jo satya vastu ka anubhav ho naam jap se wah satya hi hai. Wah bhram nahi hai. Jaise-jaise anubhav hota jaata hai, vaisevaise apne swaroop ko prapt kar leta hai. Par yah kah dena ki akaal purush ne aisa racha hi kyon? Yah hamara prashn nahi hota.
kyon uske upar nahi raha ja sakta. Usne racha hai. Ab nikle ham. Ham fanse kyon? Yah prashn ban sakta hai. Ham nikle. Usne racha kyon? Yah ham nahi kah sakte. Andar ke vicharon se kaise lada jae maharaj ji naam jap ke dwara naam jap ke dwara agar koi galti ho jaegi badi to jab tak paap nasht nahi hoga tab tak wo vichar aapko negative dabaw dal ke jalata rahega jab wah paap nasht ho jaega tab positive vichar aa jaega aap khush ho jaoge aur jab tak paap nasht nahi hoga tab tak wah aap bhajan karne par bhi negative vichar daba dabakar aapko jalata rahega aapko klesh deta rahega aur bhale bhajan kar rahe ho to bhi jab tak wah paap nasht nahi ho jaega tab tak wo aapko aisa karta rahega.
isliye daro ki koi paap na ho jae. Nirantar naam jap karte raho. Maharaj ji abhi jaise aapne bola ki sansaar mein jo fanse hain jo gire hain wo to gire hi hai. Maharaj ji purv mein bhi mahapurushon tulsidas ji maharaj ji ho ya unhone apni vani mein ya aap gurujanon se maharaj chhoti si baat itna unko jaise aap kah rahe hai ki dar lagta hai hriday se dar lagta hai ki kahin gir na jaen. Bat sansaar mein to maharaj ji dar kya wo to nirbhay ho ke vichran kar rahe hain maharaj ji aur bilkul tanik bhi bhay nahi hai unko ki kahan idhar chhoti si baat ka jo sab jante hain aur koi galti nahi hai phir bhi maharaj ji bhayabhit ho rahe hain aur udhar nirbhay ho ke ghum rahe hain maharaj ji haan yahi to bhagwan ki prachanna maya hai nirbhay hoke matlab utsah se papachran kar rahe hain maharaj haan unko kyonki unko gyan nahi hai na agyaan ki dasha mein jaise balak vistha se khalne lagta hai agyaan ki sthiti balak ki nahi hoti to vistha se khalne lagta hai to koi khel ka vishay thodi par agyani hai wah khel raha hai agar use roka na jae to kha bhi sakta hai to isliye jaise jinko bhagwan ki maya ke dwara aparhit gyan hai Bhogeshwar prashakta naam tapat chetsa vyavsayatmika buddhi samadh vidhte jiski buddhi ka bhog aur aishwarya ne aphrn kar liya unko bhagwan ka bhajan ya bhagwat prapti karna aisi vritti hi nahi hoti.
samadhan vidhite wah paramatma ko prapt karne ka lakshya nahi bana sakte jinka bhog aur aishwarya ne gyan aphrn kar liya hai Bhogeshwar prasakta naam tapat chetsam jo gyan rupi chetna hai uska aphrn kar liya to agyani jeev isi mein mast rahta hai bhojan rupya paisa khanpan isi mein sukh ka anubhav karke wo bada chain purvak jeevan samjh raha hai hamara vyatit ho raha hai par wo vyarth jeevan vyatit ho raha hai to vyarth ja raha hai. Ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…