॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya garbhvati matao ko karwachauth, navratron aadi ke vrat rakhna uchit hai ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

doctor veena Mishra ji madhya pradesh Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main stri rog visheshagya hoon kuch dino mein teej ka vrat chauth navratri jaise vrat mahilaen ki atuut shraddha rahti hai maharaj ji aise samay mein garbhvati mahilaen bhi khud garb mein pal rahe bachchhe ke swasthya ka dhyan na dekar vrat rahti hain unke nahi ho jaega nahi rahna chahiye kyonki us samay aapke hi khanpan se bachchhe ka poshan hota hai jab garbhsth shishu hota hai, wah maa ke hi khanpan vihaar se posit hota hai. To agar aap vrat rahenge to usko poshan tatv nahi milenge.

jo garbhsth shishu ko hai use poshan tatv na milne ke karan usmen beemariyan aa sakti hai, kamzori aa sakti hai aur adhik pida usko hogi kyonki poshan tatv maa se hi milte hain. To hamari samasth matao se prarthna hai ki jab garb ho to sabse bada vrat aapka hai us garbhsth shishu ka poshan karke uska jab janm de de aur wah hamare rashtr ke kam ave. Hamare desh ki seva karne layak bane. To yah bahut bada vrat ho gaya. To us samay hamen lagta hai ki jaise nirjala vrat hai ya is tarah ke vraton ka anusthan na karen kyonki wo garbhsth shishu ka poshan maa ke hi khanpan se hota hai.

achhche satvic padaarth pave aur satvic vatavran prakt karen. Bhagwat katha sune. Aise bahari to karen lekin vrat aadi na rahe. Mujhe jaisa lagta hai kyonki hamne shastron mein jo padha hai ki maa ke hi dwara garbhsth shishu ka poshan hota hai. To agar aap nau din vrat rheng to us garbhsth shishu ko wo poshan tatv nahi milenge. To isliye ab jaise karva chhaut aati hai usmen matayen bahne nirjala rahti hai. Ab garbhsth shishu ko yadi nahi poshan tatv milenge to vyakul ho jaega na pareshaan ho jaega. Wo pratikshan jo nabhi mein nali hoti hai wo maa ke hi us shareerik nason se jude hoti hai jisse poshan tatv use jaata rahta hai jise nal kahte hain nabhi nabhi se haan wo poshan tatv jaata prati ghante jo maa khati peeti hai usi se uska sar tatv nikal kar ke us garbhsth shishu ka poshan karta hai to hamen lagta hai ki matao ko bahari aradhna karni chahiye jaise bhagwan naam kirtan hai, path hai, puja hai.

ye sab karen lekin khanpan mein apne liye to sanyam kar sakte hain. Lekin us garbhsth shishu ke poshan ke liye jaise ham aushadhi avashyak hai. Aise wo bhojan avashyak hai. Poshan tatv avashyak hai us bachchhe ko to hamen lagta hai un dino vrat nahi rahna chahiye. Ji maharaj ji renu sahu ji ye kisi anya ka prashn hai. Kah rahe hain ki kya mahilaen hanuman ji ka vrat rakh sakti hain? Maharaj ji. Bahut sare log kahte hain ki nahi rakhna chahiye. Yadi aap bhagwan mante hain to ham bhagwan ke sab bachchhe hain. Chahe stri ho, chahe purush ho yah sharir hai lekin ansh to ham bhagwan ke hi hain.

to ham kyon nahi hanuman ji maharaj ki aradhna kar sakte? Ham mante hain ki pragat rup mein jab hanuman ji ke shri vigrah par bandhan va aadi in baton ko to ham lekin wo hamare bhagwan hain to ham hanuman chalisa padh sakte hain. Ham unka naam jap sakte hain. Ham unki aradhna kar sakte hain. Ham unko bhog laga sakte hain. Ham bandhan va aradh ki baat nahi kar rahe ki jaise unke sharir ke bandhan aad kyonki unka ek param brahmachari swaroop bhi hai. Param brahmachari swaroop hai na to isliye jo nishedh karne wale jan hai usi brahmcharya ko le ki wo param par wo bhagwan hai wo koi manushya thodi hai swayam shambhu hai swayam shankar bhagwan hai ki nahi prasiddh hai na swayam shankar hai 11va Rudra ka avatar hai to hamen lagta hai ki jaise aradhna to sab koi kar sakta hai par ham bandhan va aadi ke liye abhi praman nahi paya apne hath se hanuman ji ke sharir ko chuna ya unke bandhan aadi yah abhi tak hamen lekin ham apne bhav se kahte hain ki hamare wo bhagwan hain.

ham hanuman chalisa padhen. Ham hanuman ji ka naam jap karen. Ham hanuman ji ke liye bhog ki vyvastha karen. Ye man lo ghar mein hanuman ji virajman to rasoi bankar badhiya sundar bhog lagave. Ye sab ham hanuman ji ki aradhna kar sakte hain. Lekin bandhanwar chadna aadi ye hamen praman nahi mila. Isliye ham is vishay mein haan nahi kah sakte aradhna to ki ja sakti hai kyonki wah hamare bhagwan hai maharaj ji aarti kar sakte haan bhog banaiye bhog lagaiye aarti kijiye unka jo sharir shri ang seva hai uske liye haan uske liye ham uske liye ham nahi kah sakte kyonki unka ek param brahmachari swaroop hai wo param brahmachari mahan to kah de bhai hanuman ji sabke hain wo ham bhi kah rahe hain to yah sharir dharm ki mariyada to ham sharir dharm ki mariyada ke antargat kahte hain ki bandhanwar chadna aadi jo hanuman ji ka hai wah hamne kahin nahi padha ki matayen bahne chadhaen.

lekin ham bhav se kah rahe hain ki hanuman chalisa padhna, naam kirtan karna, bhog samarpit kar dena, aarti kar dena ye nishedh. Unke shri ang ki seva ke liye ham nahi kahte hain. Yah baat bajrangbal roz padha ja sakta hai. Bhagwan ka yash man karke kyon nahi kiya ja sakta? Log bolte hain ki bajrangabli roz nahi padhna chahiye. Agar ham bhagwan ka yash gaan kar rahe hain. Hamen koi anusthan thodi kar rahe hain ki ham bajrang baan ka prayog kisi ke prati anusthan kar rahe hain. Ham to bhagwan ka yash gaan kar rahe hain.

jai jai Hanumant usmen jismen to jai jai Hanumant hai na unki jai jaykar kar rahe. Unki mahima ka varnan kar rahe hain. Aur sabse badi baat hai agar ye mana jae to bajrang baan ka sahi prayog hai bhavar rog ka nash jo bhavar rog hai uska nash sharir rog to nash ek sadharan baat hai bh rog nash rog hare sab peera japat nirantar to ye baat hai japat nirantar haan nash rog hare sab peera japat nirantar aur kaun so kaj kathin jag mahi jo nahi ho ta tum paye to agar hamari shraddha hai ki ham bhagwan ka yash gaan kar rahe hain to hamen koi pareshani nahi anusthan kar rahe hain phir baat alag ho jati hai jaise ham devi maa hai durga devi katyayni devi chamunda devi ham maa bhav se aradhna kar rahe hain wo alag ho gaya aur shakti bhav se wo ek alag ho gaya hanuman ji bhagwan bhav se alag ho gaya adhin siddhion ke wah alag ho gaya.

to ham log to aradhna kar rahe hain. Unka yash ga rahe hain. Koi anusthan thodi kar rahe hain. Aisi baat hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…