kaliyug mein mansik paap nahi lagta to kya ninda-dosh darshan mansik paap hain?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Shivam Dwivedi ji Kanpur se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aajkal ninda aur dosh darshan hona manav jeevan ki ek samannya dincharya ban gayi hai pratikshan ninda dosh darshan kisi na kisi mein hota hi rahta hai maharaj ji kai santo aapke shri mukh se suna hai aur manas ki bhi chaupai hai kal kal ek punit pratapa manas punya hoi nahi papa kalyug mein mansik paap ka dand nahi milta to kya maharaj ji ninda aur dosh darshan mansik paap hai lekin ruk hi nahi paoge na vani ke jo man mein aayega wo vani mein aa jaega itna sanyam thodi hai ki man ki baat ko kaat sake.
man mein aaya to vani mein aa jae. Vani mein aaya to aparadh lagu ho gaya. To hamen ek katha sunaya karte hain ki brahma ji ke char putr hain. Satayug, treta, Dvapar aur kalyug hai to sab yah bhi char putr hain. To Satayug ko kaha ki hamne nark ki vyvastha ki hai, banaya hai. To apne rajya mein aisa karna ki tum satvic pravriti ke ho to satvic pravriti wala nark nahi jaata. Swarg jaata hai. To bole kuch aisa karna jisse nark khali na rahe. To unka is agyaa ka palan hamare rajya mein nahi ho sakta.
Satayug mein koi nark nahi jaega. Treta se kaha to treta ne kaha ham bade bhai ka anugman karenge. Jaise Satayug mein koi nark nahi jaega. Aise treta mein koi birla aise anugman mane main chalne ki koshish karunga piche Dvapar se kaha to Dvapar ne kaha aapki agyaa ka palan karne ka 100% prayas karenge. Jab kalyug se kaha to kalyug ne kaha jaise bade bhai ne kaha hamare rajya mein Satayug mein koi nark nahi jaega. Aise ham 100% prayas karenge ki aapka nark hausphul rahe. Koi swarg ya Baikunth na ja pave.
to ye kalyug hai. Yug dharm ka prabhav hai. Jhooth bolna ek batchit rah gayi. Pehle log darte the. To main jhooth boluga paap lag jaega. Nahi asatya sam patak punja. Jhooth bolne ke barabar koi paap nahi hai. Lekin kya mana ja raha hai? Jhutha hi lena, jhutha hi dena, jhuthe hi bhojan, jhooth chabena. Bole aao kuch kha lo. Bole nahi paya hai aur bilkul paye nahi hai. Lekin bol ke aa rahe hain. Bole ham aapse milna chahte kahan ho? Bole is samay to main agre mein hoon. Ek second mein jhooth bol dete. Le jhooth bolna aaj koi paap nahi mana ja raha.
kisi ki ninda karne se koi dar nahi raha. To aise hi hamare is kalyug mein aisa nahi hai ki sab dosh darshan karne wale hain. Saikadon shraddhaalu hain. To ab sankhya to nahi ki bata sakte lekin kuch ashraddhalu bhi hain. To jo ashraddhalu hain unki sankhya zyada hai. Jo shraddhaalu hain unki sankhya kam hai. Maya ke din, raat, gyan, agyaan, ninda, stuti, man, apman yah dwaand dharm hai. To yah sadaiv apna prabhav dikhate rahte hain. Inheen ke prabhav se bachne ke liye naam jap, sad granthon ka swadhyay, jo gurujanon ki vani hai, uska manan pathan isi se ham bach sakte hain aur koi upay nahi hai.
nahi to jaise manas punya ho hi nahi papa to ham rok kahan pate hain ham kah denge lekin aap asliyat mein jaan paye ki nahi piche wale batch mein yahi charcha ki ki ham logon ki drishti kriya pe rahti hai karan pe nahi rahti pehle ham kriya se hate jaise aap gali de rahe ho tum kriya se hate uska karan dhundha krodh krodh ka karan dhundha tamogun tamogun ka karan dhundha maya aur maya ka karan dhundha paramatma mul mein kaun aaya paramatma rupi power se hi ye maya pavarwan hai aur maya ke hi power se tamogun pavarwan hai aur tamogun ke power mein akar wo krodh kar gaya.
ab krodh krodh ki kriya ham dekhkar use ganda kah sakte hain. Lekin jab ham karanon par paunchenge to lagega iska karan bhi paramatma hi hai. Sabka param karan paramatma hi hai. Jaise rachna, palan aur sanhaar. To rachna mein to accha lagta hai aur palan mein accha lagta hai lekin sanhaar kisko piye? Par hota hai. Uske tino kriyaen hain. In tino kriyon ka param karan paramatma hi hai. Kathputli ka itna bhi nache vivekvan kathputli ko shabas nahi kahega. Shabas kahega kya? Ya ulta ya sidha na shabas kahega na gali dega.
nachane wale par drishti jiski hai wo kathputli ko shabas nahi kahega. Ki bhaiya yah kya hai? Wo parde ke piche se anguli chala raha hai to maya ka parda dalkar Uma daru joshit daru kahte hain lakdi aur josit kahte hain putli Uma daru josit ki nai sab nachavat Ram gosai kathputli ki tarah pura sansaar unki maya ki dori mein bandha hua nach raha hai agar isse nachne se bachna hai to mame prapaddyate maya mein tarantte bhagwan ki sharan mein ho jae. Bhagwan ka naam jap kare to maya mukt ho jae. Pakki baat samjho.
isliye khub naam jap karo. Bhagwan ka aashray le lo. Kiske dosh varnan karen? To ham dusre ko kya bole? Hamara safed ho aur dusre ke kale register bhare ho to lage ki sansaar mein. Lekin jab sachchai ki baat agar puchi jae imandari se to itne sab log baithe ho. Koi bata sakte ho ki aapse galti nahi hui. Agar ham imandari se poohe Vrindavan dham mein baithe to sabse galti hoti hai. Nahi hoti to jab hamare andar galti hai aur usse galti ho rahi hai to hamen lautna chahiye. Bura jo dekhn main chala bura na miliya koi jo dil khoju apnu to mujhse bura na to hamen lagta hai ki hamen apne hriday ko pavitra karna chahiye jisse hamari drishti pavitra ho jae dekho goswami ji ki drishti pavitra hui tulsidas ji maharaj ki to kya kah rahe hain Siya Ram main sab jag jani karo pranam jori jug pani sab Siyaram hai aur hamko kahan Siyaram dikhayee de rahe hain?
hamen to stri dikhayee de rahi, purush dikhayee de raha hai. To pehle hamen apni drishti pavitra karni chahiye. Tab ham dusre ki ninda karen jab ham nirdosh ho. Par samaj ka swaroop bada vichitra hai. Ki agar hamare 100 dosh hain to kshma. Par tumhare ek dosh ho gaye to ab kshma nahi. Aisi prabal bhagwan ki maya hai. To hamen lagta hai agar ham ek dusre ko kshma karke hath pakar kar ke us dosh rupi daldal se nikale to zyada accha hai na ki dosh rupi daldal mein jo phas gaya ek aur jama de do ki gehre das jae.
baat samjho. Kabhi-kabhi bade achhche logon se galti ho jati hai. Aur wo chahte hain ki ek bar kshma mil jae to hamen lagta hai aise bhi kshma karna chahiye. Dosh darshan hi nahi. Dosho se nikalna bhi chahiye. Ab kuch log hote hain jo dosho ko apna vyapar bana lete hain. Dosh karna, kshma mangna, dosh karna, kshma mangna wo to baat alag hai. Lekin kai bar aise nirdosh log bhi hote hain jinse dosh ban jaate hain. Pakka dikhayee de raha hai ki dosh darshan hai. Par unko agar kshma kar diya jae to nirdosh ho jaenge.
aise to hamen lagta hai ki agar hamare aaspas kahin aise log hain jinme hamara dosh darshan hota hai to hamko unke paas baithna chahiye. Agar wah baithkar ke samjhe to ham unhen batayen ki aap aisa karte ho agar aisa rok do to accha tab to satsangi to kai log aise hote hain jo gande acharno mein phas jaate hain unko sahyog ki zaroorat hoti hai pyar ki zaroorat hoti hai agar ham unko pyar se sahyog se to hamen lagta hai agar ham apne samaj ko aur apni drishti ko nirdosh banana chahe to ham pehle ham nirdosh ho aur phir dusron ko nirdosh karne ki cheshta karen.
doshi bankar use ninda na karen. Dekh liya ki bhai dosh hai to hamara kartavya hai. Agar hamare paas gyan rupi sabun hai to wo dag mita dete hain uska. Uska dag mita dete hain. To to wahi satsangi hua. Doshi ko sweekar karna hi satsangi ka karya hai. Agar aspataal mein bimar log nahi jaenge to aspataal ki mahima kya rahi? Ab hamen bata accha aspataal kahe ke liye bana hota hai? Bimar logon ke liye bana hota hai na. Bhagwan aur sant ka darbar kin ke liye hai? Sabke liye hai na? To ham sab agar sahi log hi akar ke to kya mahima rahi?
baat to hai ki galat log aae aur wah sudhar jae tab to mahima rahi na. Accha pahla sudhar yah hua ki jo santo ko mante hi nahi hai, galat acharno mein lage hain, wah aae to pahli pahli sidhi aae to aap pratham bhagat santan ka sang aur nischit parivartan hoga. Par samaj bakhashta nahi hai. Agar wah chadna chahta hai to pair phaislakar piche hi le jaata hai. To hamen lagta hai hamare samaj ko yah sahyog dena chahiye ki yadi jaise koi galat aacharan wala hai pakka rajistarda hai aur wo sant ke paas gaya hai to use shabashi deni chahiye ki aapne himmat ki aur sant ke paas gaye.
ab ek himmat aur kar lo. Unki baat man lo. Pahla to kadam badha diya. Dusra kadam badao ki jo asad aacharan karte unko chhodkar unki baat man lo to sant sang ka labh mil jaega. To utsah to badhana chahiye. Gire hue ko utsah badhana chahiye na ki use negative gira dena chahiye. Dekho utsah badhakar satmarg mein chalane wale bahut kam log hain. Satmarg mein chalne wale ko nirutsahit kar dene wale bahut log hain. To aaj jo hamare samaj ki vyvastha hai usmen thoda ye apne log aur to nahi satsangi log is baat par sudhar lave ki wah ek dusre ka hath pakar kar achhche marg par chalne ke liye prerit karen na ki gire hue ko aur gira de.
wah to gira hua hai. Use yadi aap chhod doge, gira doge to gira hua hai. Lekin agar pyar se hath milaya to shayad uska kadam accha chal jae. Agar vishv mein ek aadmi ko bhi sambhal diya to isse bada punya nahi hota. Man lo aap dan punya sab kar rahe hain lekin ek aadmi ko galat aacharan se bachakar achhche marg mein rakh diya. Isse bada punya nahi hota. Sabse bada punya hai kisi ek vyakti ko jo galat raah par ja raha hai use sahi raah par le ana. Ye sabse badi baat hoti
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…